Muharram Noha Lyrics

Muharram Noha Lyrics

 

 

 

 

Table of Contents

Ahle Haram Mein Hai Roney Ki Dhoom

 

Ahle Haram Mein Hai Roney Ki Dhoom, Wa -Waila

Haye, Maara Gaya Saiyyed Mazloom, Wa-Waila

Haye, Luta Hai Ghar Jalti Hain Qanate

Roote Hai Jab Bacche Masoom, Wa-Waila

Ahle Haram Mein Hai Roney Ki Dhoom, Wa -Waila

Haye, Maara Gaya Saiyyed Mazloom, Wa-Waila

Haye, Desh Madina, Arey Kahye Chhode Arey Zahera Bhiyo Amma

Haye, Baire Sadawe Ban-Ma Bulawe, Aare Dil Me Udawe Khaak

Haye, Dar-Dar Jaye Lete Hain, Wa-Waila

Haye, [Not Clesr] Sitamgar Dete Hain, Wa-Waila

Koi Nahi Hai Sar Par ‘Mare

Ki-Ko Pukare Yeh Mazloom,

Ahle Haram Mein Hai Roney Ki Dhoom, Wa -Waila

Haye, Maara Gaya Saiyyed Mazloom, Wa-Waila

Haye, Ek Chadarwa Deth Na Koi, Aare Sharm Bhare Sharmaye

Haye, Chupke Chupke Rowat Rowat, Aare Haath Khade Banma

Haye, Kahte Hai Kulsoom Baazon Mein Hai, Wa Waila

Haye, Baazo-E-Zainab Aur Rasan, Wa Waila

Haye, Beti Hai Zahera Aur Ali Ki

Aaj Yeh Kaisa Hai Manshoor, Wa-Waila

Ahle Haram Mein Hai Roney Ki Dhoom, Wa -Waila

Haye, Maara Gaya Saiyyed Mazloom, Wa-Waila

Haye, Soye Zameen Par, Saare Barati, Arey Bhiya -Hu Na Aiyo Raas

Haye, Pagdi Kahat Hai, Arey Qasim Dhoola, Arey Todi Hamari Aas

Haye Quaid Huye Ek Shab Ki Dulhan, Wa-Waila

Haye, Lut Gaya Kangna, Bandhi Rasan, Wa -Waila

Haye, Rooti Hai Zanab Khaak Uda Kar

Dekhte Hai Umm-E-Kulsoom, Wa-Waila

Ahle Haram Mein Hai Roney Ki Dhoom, Wa -Waila

Haye, Maara Gaya Saiyyed Mazloom, Wa-Waila

Haye, Ghar Par Hamra Arey Loot Machi, Arey, Bagdi Karen Faryaad

Haye, Sooye Sub Pardes Musafir, Arey Desh Bhayu Barbaad

 

 

Haye, Baccho Pa Koye Roti Hai, Wa-Waila

 

Haye, Bewa Koye Jaan Khoti Hai, Wa-Waila

 

Haye, Kehti Hai Baano Asghar Jaane

Kidhar Tera Nazuk Banphool, Wa-Waila

Ahle Haram Mein Hai Roney Ki Dhoom, Wa-Waila

Haye, Maara Gaya Saiyyed Mazloom, Wa-Waila

Haye, Raat Chupaye Arey Dukhte Dil Ko, Arey Taras Na Koyi Khaye

Haye, Dukhma Satave, Quaide Banawe, Are Laakh Dukhi Chillaye

Haye, Tauq Pinhaye Aabid Ko, Wa-Waila

Haye, Kahte Hain Isko Chhain Na Do, Wa-Waila

Haye, Tan Mein Hai Tap Aur Bediyan Bhaari

Haye, Quaide Banaye Hain Mazloom, Wa-Waila

Ahle Haram Mein Hai Roney Ki Dhoom, Wa -Waila

Haye, Maara Gaya Saiyyed Mazloom, Wa-Waila

Haye, Koi Na Aawe, Aare, Koye Na Pooche, Arey Koyi Na Deve Dars

Haye, Man Me Juaitu Aave Machhaye, Arey, Zulm Kare Jallad

Haye, Subko Bhitaya Ooton Par, Wa-Waila

Haye, Di Na Kisi-Ko Ek Chadar, Wa-Waila

Haye, Shyaam Ka Mardood Raah Chala Hai

Le Kar Haram Ko Lashkar Ko, Wa-Waila

Ahle Haram Mein Hai Roney Ki Dhoom, Wa-Waila

Haye, Maara Gaya Saiyyed Mazloom, Wa-Waila

 

 

 

Ali Ka Zikr Mohammad Ka Naam Baqi Hai

 

 

Ali Ka Zikr Mohammad Ka Naam Baqi Hai

Hussain Tumse Khuda Ka Kalaam Baqi Hai.

Mitane Wale Imamat Ke Mit Gaye Lekin,

Khuda Ke Fazl Se Ab Bhi Imaam Baqi Hai

Ali Ka Zikr Mohammad Ka Naam Baqi Hai

Ali Ke Laal Ka Duniya Me Naam Baqi Hai.

Yazeed Mitgaya Zikre Anaam Baqi Hai.

Ali Ka Zikr Mohammad Ka Naam Baqi Hai

Mitaye Laakh Zamana Mitenge Hum Kaise.

Hamare Sar Pe Hamara Imam Baqi Hai.

Ali Ka Zikr Mohammad Ka Naam Baqi Hai

Hamara Unse Kabhi Faisla Nhi Hoga.

Yazeed Mar Gya Kuch Rishtedar Baqi Hain

Ali Ka Zikr Mohammad Ka Naam Baqi Hai

 

Woh Aur Honge Yateemane Mazhabo Millat.

Hamare Sar Pe Hamara Imaam Baqi Hai

Ali Ka Zikr Mohammad Ka Naam Baqi Hai

Qareeb Jhoole Ke Akar Ye Roke Bole Hussain.

Abhi Shahido’n Me Asghar Ka Naam Baqi Hai.

Ali Ka Zikr Mohammad Ka Naam Baqi Hai

Zara Ay Maut Taherja Kaha Ye Akbar Ne.

Zaeef Baap Ka Thoda Sa Kaam Baqi Hai.

Ali Ka Zikr Mohammad Ka Naam Baqi Hai

Ba Waqte Aqari Zaineb Se Roke Bole Hussain.

Tumhare Waste Darbaare Shaam Baqi Hai.

Ali Ka Zikr Mohammad Ka Naam Baqi Hai

Mujeeb* Ko Bhi Bulayenge Apne Rauze Par.

Isi Ummid Me Abtak Ghulaam Baqi Hai.

Ali Ka Zikr Mohammad Ka Naam Baqi Hai

 

 

 

 

 

 

 

Qatal-Al Husain-O-Be Karbala

 

 

Qatal-Al Husain-O-Be Karbala

Zobeh-Al Husain-O-Be Karbala

Jo Hai De Munadi Ne Yeh Sada

Labe Ahl-E-Bait Par Thi Pukar

Qatal-Al Husain-O-Be Karbala

Zobeh-Al Husain-O-Be Karbala

Jo Hai De Munadi Ne Yeh Sada

Pas Qatl Lutne Lage Haram

Badha Dard-O-Ranjo Ka Woh Alam

Khule Sar They Aale Shahe-Umam

Yehan Ahl-E-Haq Ke Labon Pe Tha

Wahan Fauj-E-Kufr Mein Shor Tha

Qatal-Al Husain-O-Be Karbala

Zobeh-Al Husain-O-Be Karbala

Jo Hai De Munadi Ne Yeh Sada

Jo-Hi Halqe Shah Par Churi Chali

To Zameen Saari Laraz Uthi

Jo Gareeb Zabt Na Kar Saki

To Tadap Ke Khaak Par Gir Padi

Suni Jab Sakeena Ne Yeh Sada

Qatal-Al Husain-O-Be Karbala

Zobeh-Al Husain-O-Be Karbala

Jo Hai De Munadi Ne Yeh Sada

Sar-E-Shah Jo Tan Se Juda Hua

Dil-E-Kayanat Tadap Utha

To Hila Ke Shana Imaam Ka

Yahi Ro Ke Bibiyo Ne Kaha

Zara Dekho Kaise Hai Yeh Sada

Qatal-Al Husain-O-Be Karbala

Zobeh-Al Husain-O-Be Karbala

Jo Hai De Munadi Ne Yeh Sada

Woh Tha Ashkbar Woh Ghamzada

Jise Khud Sambhalna Mohaal Tha

Dar-E-Khaime Tak Woh Pahouch Gaya

Soo-E-Qatlegah Jo Ki Nigah

 

To Ammama Dekh Ke Yeh Kaha

Qatal-Al Husain-O-Be Karbala

Zobeh-Al Husain-O-Be Karbala

Jo Hai De Munadi Ne Yeh Sada

Yeh Sada Thi Qalb-E-Rabaab Ki

Lo Ujad Gayi Meri Maang Bhi

Yahi Gham Hai Zinda Main Kyo Rahi

Mujhe Maut Hi Kyo Na Aa Gayi

Jo Main Na Aaj Sunte Yeh Sada

Qatal-Al Husain-O-Be Karbala

Zobeh-Al Husain-O-Be Karbala

Jo Hai De Munadi Ne Yeh Sada

Ya Nabi Mohammad-E-Mustafa

Zara Aaiye Sooey Karbala

Kise Qatl Aada Ne Hai Kiya

Ke Jo Eik Hashr Sa Hai Bapa

Yahi Kah Rahe Hain Malayka

Qatal-Al Husain-O-Be Karbala

Zobeh-Al Husain-O-Be Karbala

Jo Hai De Munadi Ne Yeh Sada

Chala Karbala Se Jo Qafila

Khule Sar They Aale Shahe Huda

Tha Imaam Qaidee Bana Hua

Thiin Aseer Bibiyan Be-Khata

Thiin Labon Pe Sabke Yeh Buka

Qatal-Al Husain-O-Be Karbala

Zobeh-Al Husain-O-Be Karbala

Jo Hai De Munadi Ne Yeh Sada

Jahan Ahil-E-Baith Zara Ruke

To Qareeb Log Bhi Aa Gaye

Jo Kise Ne Pucha Imaam Se

Ke Yeh Sar Hain Kiske Kate Huey

To Jukha Ke Sar Ko Yeh Keh Diya

Qatal-Al Husain-O-Be Karbala

Zobeh-Al Husain-O-Be Karbala

Jo Hai De Munadi Ne Yeh Sada

Likhe Kaise Haasil* E Nauhaghar

Chali Tegh Halq-E-Hussain Par

Na Tapa Ho Kaise Dil-O-Jigar

Huye Qatal Jab Shah-E-Bhair-O-Bar

Jahi Shor Jinn O Malak Mein Tha

 

 

 

Qatal-Al Husain-O-Be Karbala

Zobeh-Al Husain-O-Be Karbala

Jo Hai De Munadi Ne Yeh Sada

 

 

 

Beti Ali Ki Turbat E Zaherra Par Aayi Hai

 

(Beti Ali Ki Turbat-E Zehra Pe Aayee Hai,

Kurta Lahoo Bahara Hua Bhai Ka Layee Hai )

Kehti Hai, Ai Hussain Ki Madar, Utho Utho

Zainab Se Karbala Ka Zara Majra Suno

Amma, Pade Hai Nahar Par Abbas Choot Kar,

Amma, Sakina Soti Hai Zindan Main Be-Pidar

Amma, Kaha Se Akbar-E-Mehroo Ko Lau Main,

Amma, Kaha Se Asghar-E-Nadan Ko Pau Main

Kehti Hai, Ai Hussain Ki Madar, Utho Utho

Zainab Se Karbala Ka Zara Majra Suno

Amma, Lahoo Main Doob Ke Kasim Bhi Chal Base,

Amma, Hassan Ko Muh Na Dikhane Ko Hum Rahe

Amma, Mere Woh Aun O Mohammed Mere Pisar,

Maidaan-E-Karbala Main Pade Hai Kata Ke Sar

Kehti Hai, Ai Hussain Ki Madar, Utho Utho

Zainab Se Karbala Ka Zara Majra Suno

Amma, Habib Ibne Mazahir, Zohair O Qais

Amma, Gaye Yeh Sab Bhi Paye Nusrat E Hussain

Amma, Woh Hur They Jisne Sar Apna Kata Diya

Naqshe Qadam Hussain Mere Maa Ko Pa Liya

Kehti Hai, Ai Hussain Ki Madar, Utho Utho

Zainab Se Karbala Ka Zara Majra Suno

Amma, Hussain Karbobala Hi Main Rah Gaye,

Amma, Hussain Saare Masahib Ko Seh Gaye

Amma, Hussain Mar Gaye Be Yaaro Be Watan ,

Amma, Hussain Ko Na Mayaser Hua Kafan

Kehti Hai, Ai Hussain Ki Madar, Utho Utho

Zainab Se Karbala Ka Zara Majra Suno

Amma, Ye Haal -E-Abid-E-Bimaar Hogaya ,

Zalim Sipahi Ne Le Liya Bistar Garib Ka

Amma, Kadam Kadam Pe Aseeri Rulaye Gee,

Gardan Main Tauk Paav Main Zanjeer Thi Padi

Kehti Hai, Ai Hussain Ki Madar, Utho Utho

Zainab Se Karbala Ka Zara Majra Suno

 

 

 

Amma, Humari Chaadare Bhi Chin Gayee Tamam,

Amma, Humare Haal Par Hasti Hai Fauj E Shaam,

Amma, Yeh Ab Batao Ke Mai Jee Ke Kya Karoon

Kis Tarah Main Hussain Ke Furqat Ka Gham Sahoon

Kehti Hai, Ai Hussain Ki Madar, Utho Utho

Zainab Se Karbala Ka Zara Majra Suno

Amma Humara Ranjho Masahib Hai Dardnaak,

Amma Humare Khalbo Jigar Ho Chuke Hai Chaak

Amma Humare Nana Ki Ummat Ne Ki Daga,

Amma Humare Khoon Ko Samjhe Sab Rawa

Kehti Hai, Ai Hussain Ki Madar, Utho Utho

Zainab Se Karbala Ka Zara Majra Suno

Amma Taras Ke Reh Gaye Paani Ko Hum Tamam,

Amma Diya Na Humko Kisi Ne Bhi Ek Jaam

Amma Humare Mard Tahe Teg Hogaye,

Amma Nahake Khoon Main Bechare So Gaye

Kehti Hai, Ai Hussain Ki Madar, Utho Utho

Zainab Se Karbala Ka Zara Majra Suno

Amma Wo Bibiyon Ka Tadapna Wo Shor-O-Shay,

Amma Rahegi Yaad Wo Aabon Bukh Wo Bey

Amma Rabab Roti Hai Asgar Ko Subho Shaam,

Akbar Ko Yaad Karti Hai Laila-E-Tashnkaam

Kehti Hai, Ai Hussain Ki Madar, Utho Utho

Zainab Se Karbala Ka Zara Majra Suno

Baazu Ke Neel Dekhiye Amma Khuda Gawa,

Maktal Ki Gard Bangayee Ab Shaa Khuda Gawa

Amma Ye Bebasi Ye Qayamat Ki Bebasi ,

Amma Humare Haal Par Roti Hai Amma Bekasi

Kehti Hai, Ai Hussain Ki Madar, Utho Utho

Zainab Se Karbala Ka Zara Majra Suno

Amma Wo Shaam-E-Gurbate Shabbir Ahha,

Amma Wo Raat Kaali Wo Sunsaan Katl Gaa

Amma Batayiye Tho Main Ab Jee K Kya Karu ,

Kiss Tarah Ab Hussain Ki Furkat Ka Gam Sahu

Kehti Hai, Ai Hussain Ki Madar, Utho Utho

Zainab Se Karbala Ka Zara Majra Suno

Aaayi Fughan* Nida Ki Sare Hashr Hum Bhi Ab,

Kurta Lahoo Bhara Hua Rakh Denge Peshe Rab

Beti Tumhara Bhai Shah-E-Mashra Khain Hain,

 

 

 

Beti Tumhare Sabr Main Fathe Hussain Hai

Kehti Hai, Ai Hussain Ki Madar, Utho Utho

Zainab Se Karbala Ka Zara Majra Suno

 

 

Athara Baras Kay Ali Akbar Ka Janaza

 

 

Athara Baras Ke Ali Akbar Ka Janaza

Akbar Ka Janaza

Sheh Laate Hai Hamshakl E Payambar Ka Janaza

Athara Baras Ke Ali Akbar Ka Janaza

Akbar Ka Janaza

Khaime Mein Alam Aaya Hai Kohraam Hai Barpa

Darya Par Hai Abbas E Dilawar Ka Janaza

Athara Baras Ke Ali Akbar Ka Janaza

Akbar Ka Janaza

Is Darja Sakina Se Tha Sharmindaalamdaar

Sheh Laa Na Sake Apne Biraadar Ka Janaza

Athara Baras Ke Ali Akbar Ka Janaza

Akbar Ka Janaza

Ay Kul Ke Madagaar Madad Karne Ko Aao

Shabbir Se Uth-Ta Nahi Akbar Ka Janaza

Athara Baras Ke Ali Akbar Ka Janaza

Akbar Ka Janaza

Asghar Ki Taraf Dehk Ke Yeh Kahti Thi Bano

Kin Aakhon Se Dekhu Mai Gul E Sar Ka Janaza

Athara Baras Ke Ali Akbar Ka Janaza

Akbar Ka Janaza

Pamaal Hua Dasht May Ghodon Ki Sumon Se

Kis Tarha Uthay Qasim E Muztar Ka Janaza

Athara Baras Ke Ali Akbar Ka Janaza

Akbar Ka Janaza

Pad Jaaye Na Ya Rab Kahin Zainab Ki Nighayen

Teeron Pa Hai Rakkha Hua Sarwar Ka Janaza

Athara Baras Ke Ali Akbar Ka Janaza

Akbar Ka Janaza

 

 

 

Kya Zulm Hai Tapti Hui Reeti Par Pada Hai

Be Gor O Kafan Sipte Payambar Ka Janaza

Athara Baras Ke Ali Akbar Ka Janaza

Akbar Ka Janaza

Jab Dafn Hua Fathima Sar Peet Rahin Thin

Shabbir Dil E Saqhi E Kausar Ka Janaza

Athara Baras Ke Ali Akbar Ka Janaza

Akbar Ka Janaza

Bano Ne Kaha Teer Hain Pewast Badan Mein

Dheere Sa Uthana Mere Shohhar Ka Janaza

Athara Baras Ke Ali Akbar Ka Janaza

Akbar Ka Janaza

Zainab Ne Kaha Sar Se Mere Chhin Gaye Chadar

Tareekhea Shab Mein Utha Maadar Ka Janaza

Athara Baras Ke Ali Akbar Ka Janaza

Akbar Ka Janaza

Zainab Zara Bano Ke Kaleje Ko Sambhalo

Shabbir Ke Haaton Pa Hai Asghar Ka Janaza

Athara Baras Ke Ali Akbar Ka Janaza

Akbar Ka Janaza

Us Bahi Se Zindan Ki Musibat Koi Poochey

Jis Bhai Ke Haaton Par Ho Khawhar Ka Janaza

Athara Baras Ke Ali Akbar Ka Janaza

Akbar Ka Janaza

Sarwar Ki Sada Aati Hai Choti Si Lahad Pe

Laao Mujhe De Do Meri Dukhtar Ka Janaza

Athara Baras Ke Ali Akbar Ka Janaza

Akbar Ka Janaza

Ishrat* Main Bayan Kaise Karoon Kaise Utha Tha

Maqtal Ki Zameen Par Sah E Besar Ka Janaaza

Athara Baras Ke Ali Akbar Ka Janaza

Akbar Ka Janaza

 

 

 

 Illiya Illaya Sakina Sakina

 

 

Judaye Ka Gham Tujhko Sahna Hai Beti

Bohat Kuch Tujhse Abhi Kahna Hai Beti

Zara Der Ko Aur Nazdeek Aaja

Illiya Illaya Sakina Sakina

Tadap Kar Shah E Karbala Ne Pukara

Illiya Illaya Sakina Sakina

Rida Sar Se Zainab Ke Chhene Ge Aada

Rahe Ga Na Khaime Me Asghar Ka Jhoola

Basana Hai Jaa Kar Tumhe Qaidkhana

Illiya Illaya Sakina Sakina

Tadap Kar Shah E Karbala Ne Pukara

Illiya Illaya Sakina Sakina

Lahed Karbal Mein Hamari Bane Gi

Tumhe Qaid Khane Ki Mitte Mile Gi

Na Ab Saath Ho Ga Hamara Tumhara

Illiya Illaya Sakina Sakina

Tadap Kar Shah E Karbala Ne Pukara

Illiya Illaya Sakina Sakina

Bahhatar Ke Daagh Ek Dil Par Uthaye

Mujhe Mere Baba Bohat Yaad Aaye

Uthaya Tha Ahbar Ka Jis Dam Janaza

Illiya Illaya Sakina Sakina

Tadap Kar Shah E Karbala Ne Pukara

Illiya Illaya Sakina Sakina

Agar Apne Aamu Ke Laashe Par Jaana

To Paani Ka Koi Taqazaa Na Karna

Abhi Thak Ke Soya Hai Bhai Hamara

Illiya Illaya Sakina Sakina

Tadap Kar Shah E Karbala Ne Pukara

Illiya Illaya Sakina Sakina

Zabaan Rukh Gaye Guftagu Karte Karte

Hum Ahiwaal Ishrat* Bayan Karte Karte

Kise Ne Suna Phir Na Sarwar Ka Nauha

Illiya Illaya Sakina Sakina

Tadap Kar Shah E Karbala Ne Pukara

Illiya Illaya Sakina Sakina

 

 

 

Kah Raheth Yey Sarwar Khat Likha Hai Sughra Ne

 

 

Kah Rahe Thay Yeh Sarwar Khat Likha Hai Sughra Ne

Ai Jamaal E Paigambar, Khat Likha Hai Sughra Ne

Kah Rahe Thay Yeh Sarwar Khat Likha Hai Sughra Ne

Tumko Ai Ali Akbar, Khat Likha Hai Sughra Ne

Kah Rahe Thay Yeh Sarwar Khat Likha Hai Sughra Ne

Kahna Yeh Sakeena Se, Kab Palat Ke Aao Gi

Apni Mohini Soorat Kab Hame Dikhao Gi

Tumko Ai Ali Akbar, Khat Likha Hai Sughra Ne

Kah Rahe Thay Yeh Sarwar Khat Likha Hai Sughra Ne

Tum Hamari Jaanib Se, Pyaar Karna Asghar Ko

Jab Palat Ke Ghar Aana, Saath Laana Asghar Ko

Tumko Ai Ali Akbar, Khat Likha Hai Sughra Ne

Kah Rahe Thay Yeh Sarwar Khat Likha Hai Sughra Ne

Mustaqil Madine Ki Das Rahi Hai Tanhayee

Jald Aao Aye Bhai, Jald Aao Aye Bhai,

Tumko Ai Ali Akbar, Khat Likha Hai Sughra Ne

Kah Rahe Thay Yeh Sarwar Khat Likha Hai Sughra Ne

Ab To Chal Raha Ho Ga, Ghutiniyon Mera Asghar

Khariyat Sakeena Ki Khat Mein Bhej Do Likh Kar

Tumko Ai Ali Akbar, Khat Likha Hai Sughra Ne

Kah Rahe Thay Yeh Sarwar Khat Likha Hai Sughra Ne

Khatm Jab Hui Thahreer, Kah Rahey Thay Yeh Sarwar

Ab Hamari Gardan Par, Ho Ga Shimr Ka Khanjar

Tumko Fatima Sughra, Kya Jawaab Mein Likkhon

Kah Rahe Thay Yeh Sarwar Khat Likha Hai Sughra Ne

Barchiyon Se Chalni Hai, Seena E Ali Akbar

Hurmula Ke Nawakh Se, Mar Gaya Mera Asghar

Tumko Fatima Sughra, Kya Jawaab Mein Likkhon

Kah Rahe Thay Yeh Sarwar Khat Likha Hai Sughra Ne

Ek Din Ki Bhiyi Ka, Rann Mein Mar Gaya Shauhar

Mera Quwat E Baazoo, So Raha Hai Dariya Par

Tumko Fatima Sughra, Kya Jawaab Mein Likkhon

Kah Rahe Thay Yeh Sarwar Khat Likha Hai Sughra Ne

Jab Na Rann Mein Hum Honge, Berida Haram Honge

Karbala Se Kufe Tak, Mustaqil Sitam Honge

 

 

 

Tumko Fatima Sughra, Kya Jawaab Mein Likkhon

Kah Rahe Thay Yeh Sarwar Khat Likha Hai Sughra Ne

Bekasi E Sarwar Ko, Kya Bayaan Kare Ishrat*

Ghair Hoti Jati Thi, Kah Ke Shah Ki Haa Lat

Tumko Fatima Sughra, Kya Jawaab Mein Likkhon

Kah Rahe Thay Yeh Sarwar Khat Likha Hai Sughra Ne

 

 

Madina Lut Gaya Wo Waqt Aaiya

 

Madina Lut Gaya Wo Waqt Aaya, Ya Rasool Allah….

Pase Sarwar Tha Yeh Zainab Ka Nauha, Ya Rasool Allah

Imam E Waqt Ko Sajde Me Pyasa Qatl Kar Dala

Musalmano Ne Aisa Zulm Dhaya, Ya Rasool Allah

Hua Is Darja Sharminfa Meri Bali Sakina Se

Mere Abbas Ne Dariya Basaya, Ya Ra Sool Allah

Pase Shabbir Jab Koi Nah Tha Fauj E Aada Ne

Jalaya Khaimo Ko Asbab Luta, Ya Rasool Allah

Janaza Waleda Ka Shab Ke Parde Me Utha Lekin

Hame Beparda Ada Ne Phiraya, Ya Rasool Allah

Akele Sayyad E Sajjad Pe Lakho Mazali: Hai

Nahi Tha Koi Jo Deta Sahara, Ya Rasool Allah

Udhar Qasim Ka Laasha Ghoodon Se Pamaal Hota Tha

Idhar Hilta Tha Sughra Ka Kaleja, Ya Rasool Allah

Bula Lijiyega Apne Rauza E Akdas Pe Ishrat* Ko

Pasand Aa Jaye Jo Ishrat* Ka Nauha, Ya Rasool Allah

Layino Ne Mazalim Aur Sitam Ki Inteha Ye Hai

Jala Dala Ali Asghar Ka Jhula, Ya Rasool Allah

Batau Kiss Zaban Se Mai Mere Mazlum Bhai Ne

Uthaya Kis Tarha Akbar Ka Laasha, Ya Rasool Allah

Phuphi Nana Ke Rauze Par Chalo Nana Ke Rauze Per

Yahi Kehti Thi Ro Ro Ar Sakina, Ya Rasool Allah

 

 

 

Mujhko Baba Sada Do Agar Ho Sake

 

 

Baksh Do Jo Khata Ho Sakina Hoon Main

Lo Gale Se Laga Lo Agar Ho Sake

Mujhko Baba Sada Do Agar Ho Sake

Tashnagi Se Hain Zaban Me Kaaten Pade

Mujhko Paani Pila Do Agar Ho Sake

Mujhko Baba Sada Do Agar Ho Sake

Jal Rahi Hai Zameen, Ab To Aagosh Mein

Aao Aao Utha Lo Agar Ho Sake

Mujhko Baba Sada Do Agar Ho Sake

Dard E Furgat Badhe Ga To Mar Jaaon Gi

Yuh Na Mujhse Khafa Ho Agar Ho Sake

Mujhko Baba Sada Do Agar Ho Sake

 

 

 

 

 

 

 

Bano Nay Kaha, Jaan Say Piaray Ali Asghar

 

(Apologies For The Incomplete Wordings.

Initial Words Are Not Clear)!

Soona Jangal Bhor Andhera Asghar Aa Ja Paas

Bano Nay Kaha, Jaan Say Pyare Ali Asghar

Kya Soo Gaye Darya Ke Kanare Ali Asghar

Tum Paas Se Mere To Na Jate They Kabhi Bhi

Yuh Tanhai Mein Maan Kisko Pukare Ali Asghar, Pyare Ali Asghar

Tum Jiski Amaanat They Gaye Paas Usi Ke

Kyon Chhute Agar Hote Hamare Ali Asghar, Pyare Ali Asghar

Woh Dhoop Ki Shiddat Se Din Kat Gaya Lekin

Kis Tarah Se Maan Raat Guzare Ali Asghar, Pyare Ali Asghar

Aa Jaao To Jee Bhar Ke Tumhe Pani Pila Laon

Ya Kyun Hain Chacha Naher Kinare Ali Asghar, Pyare Ali Asghar

Akbar Hain Na Qasim Hain Na Ab Aun O Mohammad

Sab Toot Chuke Mere Sahare Ali Asghar, Pyare Ali Asghar

Din Dhal Gaya Raat Aa Gaye Dar Lagta Hai Beta

Phir Koi Shaqi Teer Na Maare Ali Asghar, Pyare Ali Asghar

Ek Lamhe Ko Phir Khaime Me Aa Jaao Ke Maadar

Woh Khoon Bhara Kurta To Utare Ali Asghar, Pyare Ali Asghar

Aagosh Me Tum Soo Ge To Shayad Yeh Sitamgar

Bandhe Ge Na Phir Haat Hamare Ali Asghar, Pyare Ali Asghar

Kohraam Tha Izzat* Lab E Baalon Pa Buka Thi

Aa Jao Ke Maa Jaan Ko Ware Ali Asghar, Pyare Ali Asghar

Kya Soo Gaye Darya Ke Kanare Ali Asghar

Bano Nay Kaha, Jaan Say Pyare Ali Asghar

 

 

 

Harm Sara-E-Hussain Kay Pasban Abbas

 

 

Haram Sara-E-Hussaini Kay Pasban Abbas

Harm Sara-E-Hussain Kay Pasban Abbas

 

 

 

Wafa Ka Laakh Khusoos-E-Amal Kiya Abbas

Shabih-E-Fatah-E-Khaibar Rahi Nishan Abbas

Haram Sara-E-Hussaini Kay Pasban Abbas

Woh Shamma Jisko Yazidi Bujha Nahin Sakte

Jala Gaey Hain Sare Raah-E-Imtehan Abbas

Haram Sara-E-Hussaini Kay Pasban Abbas

Nazar To Jaati Hai Insaan Pahonch Nahi Sakta

Fareed E Azm O Amal Ke Haih Aasman Abbas

Haram Sara-E-Hussaini Kay Pasban Abbas

Ali Ka Azm Hai Talwar Fazle Husain

Hai Intihiy-E-Tabbussum Ke Darmian Abas

Haram Sara-E-Hussaini Kay Pasban Abbas

Yeh Haath Hote Hifazat Hayaat Hote Agar

Jahan Jahan Hain Shah-E-Deen Wahan Wahan Abbas

Haram Sara-E-Hussaini Kay Pasban Abbas

Khuda Ki Raah Mein Tu Ne Kata Ke Haaton Ko

Ajal Ki Toad Ke Rakh Di Kalaaiyan Abbas

Haram Sara-E-Hussaini Kay Pasban Abbas

Idhar Ghash Aa Gaya Shayed Sakina Bibi Ko

Pukarte Hain Tumhe Shah-E-Imtihiyan Abbas

Haram Sara-E-Hussaini Kay Pasban Abbas

Huzoor-E-Tashnalabi Ka Agar Bahadar Tha

Udhar Furat Se Uthne Laga Dhuwan Abbas

Haram Sara-E-Hussaini Kay Pasban Abbas

Aseer Ho Ke Sab Ahl-E-Haram Shaheedon Ne

Tumhi To Ho Ge Sakina Ki Imtihiya Abbas

Haram Sara-E-Hussaini Kay Pasban Abbas

 

 

Karbala Ek Aftaab Aur Uski Tasweeren Bohut

 

 

Karbala Ek Aftaab Aur Uski Tanweeren Bohut

Ek Kitabae Aanghee Iski Hain Taqdeeren Bohut

Karbala, Karbala Ek Aftaab ….

Panjatan Ke Naqsh Seeney Mein Saja Kar Rakh Liye

 

 

 

Qasid E Taqdeer Ne Dikhlayee Tasweeren Bohut

Karbala, Karbala Ek Aftaab ….

Hain Bahattar Tan Shareek E Maqsad E Gibrieel Azeem

Ek Khalile Khwab Tha Jiski Hain Tabeeren Bohat

Karbala, Karbala Ek Aftaab ….

Fauq E Akbar Ne Azan Mein Bhar Diya Kuch Aur Rang

Yuhn To Mahshar Tak Suni Jayengi Gi Taqdeeren Bohat

Karbala, Karbala Ek Aftaab ….

Nusrat E Haq Mein Tere Uqba Bani Hurr E Jari

Haath Mal Kar Rah Gayen Duniya Ki Jaagireen Bohut

Karbala, Karbala Ek Aftaab ….

Ruk Saka Kab Rasta Sher E Khuda Ke Sher Ka

Rokne Ko Lakh Thi Saahil Par Shamsheeren Bohut

Karbala, Karbala Ek Aftaab ….

Bezabaan Asghar Ne Patthar Dil Hila Kar Rakh Diye

Sun Chucke The Ashqiya Purzor Taqreeren Bohut

Karbala, Karbala Ek Aftaab ….

Goshiwareen Khaich Kar Ghudka Tamachey Bhi Lagaye

Jaise Thin Us Phool Si Bachchi Ki Taqdeeren Bohut

Karbala, Karbala Ek Aftaab ….

Bedeiyan Pairoon Mein Aur Gardan Mein Tauq E Khaardaar

Phir Bhi Pahnayen Gaye Aabid Ko Zanjeeren Bohut

Karbala, Karbala Ek Aftaab ….

 

 

Maa Hai Akbar Ki

 

Maa Hai Akbar Ki, Khushjamaali Hai

Shaam Se Shamma Ek Jalaa Di Hai

Maa Hai Akbar Ki

Aa Tere Bazoon Ko Choom Lu Hussain

Tumne Laashen Kis Qadar Uthaye Hain

Maa Hai Akbar Ki

Saj Ke Zainab Ne Betoon Ko Hatiyaar

Aakhri Aarzoo Nikali Hai

Maa Hai Akbar Ki, Khushjamaali Hai

 

 

 

Uski Himmat Par Kaynaat Fida

Ke Jisne Qabr E Pisar Bana Di Hai

Maa Hai Akbar Ki, Khushjamaali Hai

Yehi Kah Kar Rootin Thin Baano

Jhoola Khali Hai, Goad Khali Hai

Maa Hai Akbar Ki

Woh Zameen Jis Par Qatl Honge Hussain

Maa Ne Baalon Se Saaj Daali Hai

Maa Hai Akbar Ki

13.5. Yeh Beti Kiski Beti Hai, Jo Jaltee Zameen Par Laytee Hai

 

Yeh Beti Kiski Beti Hai,

Jo Jaltee Zameen Par Laytee Hai

Yeh Dukhtar-E-Shah-Emadina Hai,

Aur Iska Naam Sakina Hai

Ek Din Me Ghar Veeran Hua,

Aur Jaane Ka Samaan Hua

Baba Ka Sar Sajde Mein Kata,

Absoos Ke Ab Koi Na Raha

Qasim Bhi Gaye Akbar Bhi Gaye,

Aur Jhoole Se Asghar Bhi Gaye

Aamu Bhi Naher Kanare Gaye,

Sab Ek Ek Kar Mare Gaye

Aise Bhi Yateema Koi Hai,

Ek Ek Ko Din Bhar Roi Hai

Behosh Hui Jab Soi Hai,

Aur Apni Zulfe Kholi Hain

Yeh Sab Ko Behad Pyari Thi,

Aamu Ki Raaj Dulari Thii

Jab Jab Woh Pareshan Hoti Thi,

Sene Par Baap Ke Sooti Thi

Bacchi Kis Se Faryad Kare,

Asbaab Luta Khaime Bhi Jale

Zaalim Ne Chhene Auzeeb,

 

 

 

Kurta Bhi Tamache Bhi Maare

Ab Aur Shafi Rulwaien Ge,

Inko To Qaidi Banaye Ge

Yeh Dar Dar Sab Ko Phirayen Ge,

Darbaar Me Bhi Yeh Jaayen Ge

Phir Quaid Me Kya Aalam Hoga,

Kab Zulm-E-Yezedi Kam Hoga

Dukhiyon Ko Taaza Gham Hoga,

Is Bacchi Ka Maatam Hoga

 

Yeh Kis Nay Kaha, Matam-E-Shabbir Na Hoga

 

 

(Apologies For The Incomplete Wordings.

Some Words Are Not Clear)!

Ajal Se Aah O Zaari Hai

Aisa Lagta Hai Ajal Se Aao Jald,

Hussain Naam Hai (Words Not Clear)

Sadaaey Ma’tame Shabbir Aaj Tak Na Dabi

Ghuroor Toot Gaya Kisne Kab Suna Ho Ga

Yeh Kisne Kaha, Maatame Shabbir Na Hoga

Hai Khwaab Jo Sharmindaey Ta’beer Na Hoga

Yeh Kisne Kaha, Maatame Shabbir Na Hoga

(Recording Has Gaps)

Kya Naamaey Aamaal Mein Tahreer Na Hoga

Yeh Kisne Kaha, Maatame Shabbir Na Hoga

Duniya Mein Agar Bach Bhi Gaey Dushmaney Shabbir

Wah Koi Shaheed Bhi Baqi Hi Na Hoga

Yeh Kisne Kaha, Maatame Shabbir Na Hoga

Kya Ba’eyate Baatil Ke Liye Sar Ko Jhuka Dein

Woh Baap Par Ahseno Tatheer Na Ho Ga

Yeh Kisne Kaha, Maatame Shabbir Na Hoga

Woh Khud Na Rahey, Naam Hai Allah Ka Baaqi

Jo Kahte They, Ab Na’raey Takbeer Na Hoga

Yeh Kisne Kaha, Maatame Shabbir Na Hoga

 

 

 

Jis Jis Ne Dukhaya Hai Dil E Fatima Zahra

Kya Hashr Mein Woh Ba’ese Ta’zeer Na Hoga

Yeh Kisne Kaha, Maatame Shabbir Na Hoga

Jaate Hain To Shabbir Ke Hamraah Hain Asghar

Lauteinge To Aaghosh Mein Be’sheer Na Hoga

Yeh Kisne Kaha, Maatame Shabbir Na Hoga

Jis Tgarah Phiraye Gaye Dad-Dar Haram-E-Shah

Us Wajhe Se Yeh Zahir-E-Tauqueer Na Hoga

Yeh Kisne Kaha, Maatame Shabbir Na Hoga

Bin Baap Ko Gash Aa Gaya Zindaan-E-Bala Me

Kuch Deer To Apna Xxx Tauheen Na Ho Ga

Yeh Kisne Kaha, Maatame Shabbir Na Hoga

Yeh Sach Hai Har Ek Xxx Mein Xxx Gaye Maula

Phir Sabr Kabhi Bhai Se Xxxeer No Ho Ga

Yeh Kisne Kaha, Maatame Shabbir Na Hoga

Hai Khwaab Jo Sharmindaey Ta’beer Na Hoga

Yeh Kisne Kaha, Maatame Shabbir Na Hoga

13.7. Zainab Ki Sada Thi, Kay Na Tarpao Sakina

 

Zainab Ki Sada Thi, Kay Na Tarpao Sakina

Lillaah Jahan Bhi Ho Chali Aao Sakina

Zainab Ki Sada Thi …

Main Subho Se Ta Asr Tadapti Hi Rahi Hoon

Aa Jaao Khuda Ke Liye Aa Jaao Sakina

Zainab Ki Sada Thi …

Ya Mujhko Sada Do Ke Main Leene Thume Pouchu

Ya Khud Mere Aawaaz Par Aa Jaao Sakina

Zainab Ki Sada Thi …

Qasim Hain Na Akbar Hain Na Abbas E Dilawar

Ab Kaun Thume Dhoondne Par Jaaye Sakina

Zainab Ki Sada Thi …

Raat Aa Gaye Bhooki Bhi Ho Pyaasi Bhi Meri Jaan

Aisa Na Ho Thhak Kar Kahin So Jao Sakina

 

 

 

Zainab Ki Sada Thi …

Bibi Thume Raste Bhi To Maloom Nahin Hain

Darti Hoon Ke Sehraa Me Kho Jaao Sakina

Zainab Ki Sada Thi …

Bhaiyya Ne Thume Mere Hifazat Me Diya Tha

Bhabi Se To Sharminda Na Karwaoo Sakina

Zainab Ki Sada Thi …

Maidan Me To Be-Sar Ke Hain Laashe Meri Bacchi

Shab Mein Na Unhe Dekh Ke Darr Jaao Sakina

Zainab Ki Sada Thi …

Main Dil-Jali Bewaoon Ko Deti Hoon Tasalli

Tum Roote Huey Bachchon Ko Bahlao Sakina

Zainab Ki Sada Thi …

Bibi Tumhe Ab Baap Ka Seena Na Milenga

Aa Kar Meri Aagosh Mein Soo Jao Sakina

Zainab Ki Sada Thi …

Mashad Ki Ziyarat Se Musharrab Hua Izzat*

Ab Roza-E-Abbas Par Bulwaoo Sakeena

Zainab Ki Sada Thi …

Zainab Ki Sada Thi, Kay Na Tarpao Sakina

Lillaah Jahan Bhi Ho Chali Aao Sakina

Zainab Ki Sada Thi …

 

 

 

  1. Janab Jafar Parwez Lucknowi

14.1. Sada Ye Aati Thi Zahera Ke Rann Me Haai Husain

 

Sada Yeh Aati Thi Zahra Ki, Run Mein Haaey Hussain

Pada Hai Khaak Pa Maqtal Mein Sar Kataaey Hussain

Tujhe Laeenon Ne Pyasa Shaheed Kar Daala

Diya Na Qatra Bhi Paani Ka Tujhko Hai Hussai

Pada Hai Khaak Pa Zahra Ke Qalb Ka Tukda

Jigar Pa Apne 72 Ke Zakhm Khaaey Hussain

Faras Se Gir Ke Kiya Sajdaey Khuda E Qadeer

Chala Galey Pa Jo Khanjar To Muskuraaey Hussain

Ghire They Narghaey Aada Mein Iss T Arah Sarwar

Talaash Karti Thiin Zainab Nazar Na Aaey Hussain

Jawaan Laal Ke Seene Se Khainch Li Barchi

Zara Bhi Haath Tumhaare Na Thartharaey Hussain

Muh Apna Pher Ke Mauje Furath Ki Roye

Jab Apni Goad Me Asghar Ko Rann Me Laye Hussain

Khata Mawaaf Jo Hur Ki Imaam Ne Kar Di

To Apne Haathon Se Choye Jari Ne Paye Hussain

Hazaaron Mushkilen Tujhpe Padi, Magar Parvez*

Jahan Bhi Tumne Pukara Maddad Ko Aaye Hussain

Sada Yeh Aati Thi Zahra Ki, Run Mein Haaey Hussain

 

 

 

 

Farmate Thay Abbas-E-Alamdar Na Roona

 

 

Farmate Thay Abbas-E Alamdaar Na Roona

Ai Meri Sakina Meri Ghamkhaar Na Roona

Bibi Ke Liye Laata Hoon Darya Se Main Paani

Sadqaye Ko Jaata Hai Tera Alamdaar Na Roona

Ai Meri Sakina Meri Ghamkhaar Na Roona

Tum Deodhi Par Baitho Abhi, Hum Aiye Sakina

Samjha Ke Yeh Jaata Hoon, Khabardar Na Roona

Ai Meri Sakina Meri Ghamkhaar Na Roona

Bacchon Ko Liye Khelo Yahin, Yahin Aye Meri Pyaree

Bahlaye Inhe Rakhna, Dil-Azaar Na Roona

Ai Meri Sakina Meri Ghamkhaar Na Roona

Bibi Zara Dekho To Darya Pe Hain Pahrey

Chal Jaye Jo Mujhpe Kabhi Talwaar Na Roona

Ai Meri Sakina Meri Ghamkhaar Na Roona

Tum Dekhta Rehna Mere Is Sabz Alam Ko

Chhup Jaye Yeh Nazroon Se To Ai Dildaar Na Roona

Ai Meri Sakina Meri Ghamkhaar Na Roona

Bas Itna Samajh Lena Ke Maare Gaye Ammu

Chup Rehna Khudara Meri Ghamkhaar, Na Roona

Ai Meri Sakina Meri Ghamkhaar Na Roona

Maiyyat Pa Meri Tum Na Chali Aana Sakeena

Ho Jaye Na Marna Mera Dushwar Na Roona

Ai Meri Sakina Meri Ghamkhaar Na Roona

Farmate Thay Abbas-E Alamdaar Na Roona

Ai Meri Sakina Meri Ghamkhaar Na Roona

15.2. Hai Sakina Ka Yeh Nauha Kya Mera Koi Nahin

 

Kya Mera Koi Nahin

 

 

 

Hai Sakina Ka Yeh Nauha, Kya Mera Koi Nahin

Main Sadaye Deti Hoon, Sunta Sadaa Koi Nahin

Kya Mera Koi Nahin

Hai Sakina Ka Yeh Nauha, Kya Mera Koi Nahin

Woh Sitam Mujhpar Hue Hain, Poochta Koi Nahi

Sabko Yeh Maloom Hai, Meri Khata Koi Nahin

Kya Mera Koi Nahin

Hai Sakina Ka Yeh Nauha, Kya Mera Koi Nahin

Bhai Akbar Honge Qatl, Bolta Koi Nakin

Apno Se Shikwa Hai, Ghairoon Se Gila Koi Nahin

Kya Mera Koi Nahin

Hai Sakina Ka Yeh Nauha, Kya Mera Koi Nahin

Bas Khuda Hi Jaane, Sub Judaa Mujhse Kyo Ho Gaye

Jaanti Hoon Yeh Bhi Main, Mujhse Khafa Koi Nahin

Kya Mera Koi Nahin

Hai Sakina Ka Yeh Nauha, Kya Mera Koi Nahin

Chahne Wale Mere, Sab Sar Kata Ke Soo Gaye

Ho Gaye Mai Be-Sahara, Aasra Koi Nahin

Kya Mera Koi Nahin

Hai Sakina Ka Yeh Nauha, Kya Mera Koi Nahin

Gham Mujhe Yeh Khaa Raha Hai, Chhin Gaye Chadar Mere

Chin Gaye Gauhar Mere, Iska Gila Koi Nahin

Kya Mera Koi Nahin

Hai Sakina Ka Yeh Nauha, Kya Mera Koi Nahin

Hum Pareshan-Haal Baithen Hain, Sitam Ki Dhoop Mein

Zikr Paani Ka Kya Hai, Deta Hawa Koi Nahi

Kya Mera Koi Nahin

Hai Sakina Ka Yeh Nauha, Kya Mera Koi Nahin

Zulm Ko Aada Diya Hai, Kaun Roke Ga Inhe

Ab Hamara Chhana Wala, Bacha Koi Nahin

Kya Mera Koi Nahin

Hai Sakina Ka Yeh Nauha, Kya Mer A Koi Nahin

Shimr Humse Kah Raha Hai, Zulm Bas Saithe Raho

Ab Bulane Se Chacha Ko, Aayega Koi Nahin

Kya Mera Koi Nahin

Hai Sakina Ka Yeh Nauha, Kya Mera Koi Nahin

 

 

 

Ro Ke Kahte Hai Sakeena, Ya Ali Faryaad Hai

Be-Rida Hain Beebiyan, Deta Rida Koi Nahin

Kya Mera Koi Nahin

Hai Sakina Ka Yeh Nauha, Kya Mera Koi Nahin

Shaam Ki Taarikiyon Mein, Kho Gaya Asghar Mera

Kis Taraf Jaon, Kahan Dhoondon, Pata Koi Nahin

Kya Mera Koi Nahin

Hai Sakina Ka Yeh Nauha, Kya Mera Koi Nahin

Jal Gaya Asghar Ka Jhoola, Aag Khaimon Mein Lagi

Main Luti Hoon Jis Tarhan, Aise Luta Koi Nahin

Kya Mera Koi Nahin

Hai Sakina Ka Yeh Nauha, Kya Mera Koi Nahin

Dooba Sooraj Asr Ka, Shaam-E-Gareeban Aa Gaye

Wa Husaina Ki Sada Hai, Aur Sada Koi Nahin

Kya Mera Koi Nahin

Hai Sakina Ka Yeh Nauha, Kya Mera Koi Nahin

Nauha Padti Hai Yeh Sajina, Janib-E-Maqtal Chale

Main Akeli Rah Gaye, Baba Mera Koi Nahin

Kya Mera Koi Nahin

Hai Sakina Ka Yeh Nauha, Kya Mera Koi Nahin

Apne Seene Par Sula Lo, Mujhko Baba Ek Baar

Iltija Hai Bas Yehi, Aur Iltija Koi Nahi

Kya Mera Koi Nahin

Hai Sakina Ka Yeh Nauha, Kya Mera Koi Nahin

Ek Yateema Kah Rahi Thi, Ro Ke Jafar* Baar Baar

Sar Chipane Ke Liye, Khaima Bacha Koi Nahin

Kya Mera Koi Nahin

Hai Sakina Ka Yeh Nauha, Kya Mera Koi Nahin

15.3. Kya Bataye Tujhko Zainab Kya Hua Pardes Mein

 

Kya Bataye Tujhko Zainab Kya Hua Pardes Mein

Ghar-Ka-Ghar Mara Gaya Sughra Tera Pardes Mein

Sar Jhukaye Chal Raha Tha Qafila Pardes Me In

Tha Mohammad Ka Gharana Berida Pardes Mein

Kya Bataye Tujhko Zainab Kya Hua Pardes Mein

 

 

 

Laut Kar Asghar Na Aaye Ga Tera Sughra Kabhi

Muskarane Par Mili Usko Saza Pardes Mein

Kya Bataye Tujhko Zainab Kya Hua Pardes Mein

Jiski Shaadi Ka Thuje Armaan Tha Sughra Bohut

Mar Gaya Woh God Ka Pala Mera Pardes Mein

Kya Bataye Tujhko Zainab Kya Hua Pardes Mein

Aise Mehmaani To Humne Aaj Tak Dekhi Nahi

Tashnalab Bhai Hamara Mar Gaya Pardes Mein

Kya Bataye Tujhko Zainab Kya Hua Pardes Mein

Goodiyan Paale Huye Maa Ke Ujad Kar Rah Gaye

Khoon Paani Ki Tarah Bahta Raha Pardes Mein

Kya Bataye Tujhko Zainab Kya Hua Pardes Mein

Saamne Laashe Pade They Aur Ro Paye Nahin

Ho Gaye Thi Zulm Ki Yeh Inthiya Pardes Mein

Kya Bataye Tujhko Zainab Kya Hua Pardes Mein

Apne Bachchon Ko Liye Hum Khaakh Par Baithey Rahe

Lut Gaya Asbab Sab Ka Ghar Jala Pardes Mein

Kya Bataye Tujhko Zainab Kya Hua Pardes Mein

Shyam Ka Baazar Tha Aur Sar Khule Thi Bibiyaan

Har Musibat Ka Kiya Hai Saamna Pardes Mein

Kya Bataye Tujhko Zainab Kya Hua Pardes Mein

Meri Nazren Dhoondti Thi Akbar-O-Abbas Ko

Phir Rahin Thi Dar-Be-Dar Sab Berida Pardes Mein

Kya Bataye Tujhko Zainab Kya Hua Pardes Mein

Jis Dil Mein Jo Bhi Aaya Woh Sitam Usne Kiya

Soo Chuka Tha Naher Par Bhhaiya Mera Pardes Mein

Kya Bataye Tujhko Zainab Kya Hua Pardes Mein

Kahti Thi Ro Kar Sakina Ab Watan Waapas Chalo

Ab Hamare Waaste Rakkha Hai Kya Pardes Mein

Kya Bataye Tujhko Zainab Kya Hua Pardes Mein

Sabr Kar Ke Qaidkhane Me Sajjad Ne Kaha

Ab Sakina Thujko Rahna Hai Sada Pardes Mein

Kya Bataye Tujhko Zainab Kya Hua Pardes Mein

Aabid-E-Beemar Mera Badiyaan Pahene Huey

Gharzaron Par Chala Hai Raasta Pardes Mein

 

 

 

Kya Bataye Tujhko Zainab Kya Hua Pardes Mein

Mukhtsar Itne Hai Sun Lo Daastan Pardes Ki

Asmaan Humpar Musibat Ka Gira Pardes Mein

Kya Bataye Tujhko Zainab Kya Hua Pardes Mein

Asr-E-Aashora Ka Manzar Kya Karey Jaafar* Bayaan

Chal Rahi Thi Charon So Khooni Hawa Pardes Mein

Kya Bataye Tujhko Zainab Kya Hua Pardes Mein

15.4. Shah Ne Kaha Ke Sughra, Ab Hum Na Aa Saken Ge

 

Sab Lut Gaya Hamara Ab Hum Na Aa Saken Ge

Shah Ne Kaha Ke Sughra, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Sajde Mein Sar Katega, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Qaidee Bane Ga Kunba, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Shah Ne Kaha Ke Sughra, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Paana Khabar Jo Beti, Marne Ki Tum Hanari

Farsh-E-Aza Bichana, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Shah Ne Kaha Ke Sughra, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Insaaniyat Ki Basti, Veeran Ho Chuki Hai

Deti Hai Maut Pahera, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Shah Ne Kaha Ke Sughra, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Qasim Ka Laasha Rann Mein, Paamal Kya Hua Hai

Dil Phat Gaya Hamara, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Shah Ne Kaha Ke Sughra, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Noor-E-Nazar Hamara Humse Judaa Hua Hai

Har Simth Hai Andhera, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Shah Ne Kaha Ke Sughra, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Shaane Kata Ke Bhai, Dariya Par Soo Raha Hai

Hum Rah Gaye Hain Tanha, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Shah Ne Kaha Ke Sughra, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Tooti Hui Kamar Thi Phir-Bhi Uthaya Humne

Kadiyal Jawaan Ka Laasha, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Shah Ne Kaha Ke Sughra, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Hasnae Ke Din Jab Aaye, Asghar Ko Maut Aaye

 

 

 

Khali Hua Hai Jhoola, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Shah Ne Kaha Ke Sughra, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Tukde Hamare Dil Ke, Maqtal Mein Soo Rahen Hain

Baheta Hai Khoo Ka Dariya, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Shah Ne Kaha Ke Sughra, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Laashon Ke Darmiyan Hum,Tanha Khaden Hain

Koi Nahi Hamaara, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Shah Ne Kaha Ke Sughra, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Tanhaayion Ne Humko, Qaidee Bana Diya Hai

Bibi Na Dekho Rastaa, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Shah Ne Kaha Ke Sughra, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Paamaal Hoga Laasha, Maidaan Mein Hamara

Naize Par Sar Chadega, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Shah Ne Kaha Ke Sughra, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Majbooriyan Ko Samjho, Baba Ki Apne Beti

Aada Ne Humko Ghera, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Shah Ne Kaha Ke Sughra, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Jaati Huye Hawaaon, Sughra Se Itna Kahena

Ab Khat Na Hamko Likhna, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Shah Ne Kaha Ke Sughra, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Maqtal Sa Shah Ki Jafar*, Aawaz Aa Rahi Hai

Sughra Hamari Sughra, Ab Hum Na Aa Saken Ge

Shah Ne Kaha Ke Sughra, Ab Hum Na Aa Saken Ge

 

 

 

 

Haye Ye Bachi Kon Hai Yeh To Sakina Lagti Hai

 

 

Haye Ye Bachi Kaun Hai

Yeh To Sakina Lagti Hai,

Chhaye Hai Jis Per Bebasi

Yeh To Sakina Lagti Hai,

Aati Hai Maqtal Ki Taraf,

Dekha Hai Kyon Soo-E-Najaf,

Kya Iska Dada Hai Ali,

Yeh To Sakina Lagti Hai,

Aati Hai Jo Rooti Howi,

Sadmon Sey Jaan Khooti Howi,

Padthi Howi Nad-E-Ali,

Yeh To Sakina Lagti Hai,

Kyon Roo Key Jaan Deyti Hai Yeh,

Kyon Siskiyan Leyti Hai Yeh,

Kya Mar Gaya Is Ka Koi,

Yeh To Sakina Lagti Hai,

Kano Sey Kio Khoon Hai Rawa,

Uff Yeh Tamachon Ke Nishan,

Yeh Zulm Aur Yeh Kamsini,

Yeh To Sakina Lagti Hai,

Kausar* Yeh Maqtal Ki Faza,

Tadpa Rahi Hai Dil Mera,

Taari Hai Gham Ki Teergi,

Yeh To Sakina Lagti Hai,

 

 

 

  1. Janab Mehshar Lucknowi

17.1. Ali Ka Martaba Allahu Akbar

 

Ali Ka Martaba Allahu Akbar

Abu Talib Ka Beta Naam Hyder

Laqab Karrar Aur Siddiqe Akbar

Asadullah Karrar O Safdar

Qayamt Tak Na Hoga Jinka Humsar

Khuda Ne Taygh Di Ahmed Ne Dukhtar

Wiladat Khana E Kaaba Hai Paayi

Ajal Bhi Aayi To Masjid May Aayi

Farishto Ki Tarhe Haajat Rawayi

Khuda Ne Di Jise Mushkil Kushai

Kare Murde Ko Zinda Jiski Thokar

Ali Ka Martaba Allahu Akbar

Mili Jisko Wilayat Aur Imamat

Wo Jiski Zauja Ho Khatoone Jannat

Mili Shabbir O Shabbar Jaisi Naymat

Hai Ek Chutki May Dunya Bhar Ki Daulat

Raha Jo Zeenat E Mehrab O Mimbar

Ali Ka Martaba Allahu Akbar

Fazeelat Aap Ki Kis Se Bayan Ho

Jo Masroofe Rakam Saara Jahan Ho

Waraq Chahe Zameen O Paasban Ho

Rakam Phir Bhi Na Inki Daastan Ho

Agar Ho Rasuhanyi Ye Samandar

Ali Ka Martaba Allahu Akbar

Ali Gyara Imamo Ke Pidar Hai

Nabi Hai Shehr To Yeh Inka Dar Hai

Payambar Ke Liye Seena Sipar Hai

Shabe Meraaj Haq Ke Humsafar Hai

Ali Aur Ahmed E Mursal Ka Bistar

Ali Ka Martaba Allahu Akbar

Nahi Binte Asad Si Koi Aurat

Mili Jisko Khuda Se Ye Fazeelat

Pali Aagosh May Jiski Imamat

Khuda Ka Ghar Bana Jaaye Wiladat

 

 

 

Hua Jiske Liye Dewaar May Dar

Ali Ka Martaba Allahu Akbar

Na Ghusse Se Shikan Aayi Jabeen Tak

Na Ulti Jang May Bhi Aasteen Tak

Laraz Jaate Thay Jibraeel Ameen Tak

Ali Ka Naam Hai Fathe Mubeen Tak

Likhi Daste Ali Pathar Par Naiza

Ali Ka Martaba Allahu Akbar

Madad Ko Aagaye Jisne Pukara

Diya Dushman Ko Bhi Apne Sahara

Diya Toofan May Kashti Ko Kanara

Chamak Utha Muqaddar Ka Sitara

Ali Mushkil Kusha Saaqiye Kausar

Ali Ka Martaba Allahu Akbar

Karo Har Saal Matam Murtuza Ka

Manao Gham Ali Mushkil Kusha Ka

Ye Hai Taboot Sher E Kibriya Ka

Ke Ghar Ujda Mohamed Mustufa Ka

Ke Hai Naala Kuna Shabbir O Shabbar

Ali Ka Martaba Allahu Akbar

Khuda Ka Ye Karam Kya Mujhpe Kam Hai

Ali Ka Zikr Aur Mera Qalam Hai

Ye Sab Taqdeer Ki Nazre Karam Hai

Ali Ka Naam Kitna Mohtaram Hai

Kahe Kunwa Uthake Sehto Mehshar*

Ali Ka Martaba Allahu Akbar

17.2. Bano Ki Sada Thi Yehi Faryaad Hai Faryaad

 

Bano Ki Sada Thi Yehi Faryaad Hai Faryaad

Ay Sayyede Sajjad

Kya Honge Na Hum Qaide Sitam Kabhi Azad

Ay Sayyede Sajjad

Ek Roz May Taraaj Hua Mera Bhara Ghar

Kaisa Tha Muqaddar

Socha Bhi Na Tha Honge Hum Is Tarha Se Barbaad

Ay Sayyede Sajjad

Bano Ki Sada Thi Yehi….

 

 

 

Cheh Maah Ke Baysheer Ki Wo Tashna Dahani

Paaya Nahi Pani

Kya Kya Na Huye Bali Sakeena Pe Bhi Bedaad

Ay Sayyede Sajjad

Bano Ki Sada Thi Yehi….

Hal Min Ki Sada Shah Ne Di Ran May Kayi Baar

Koi Na Tha Ghamkhar

Khanjar Se Zibha Karta Raha Shah Ko Jallad

Ay Sayyede Sajjad

Bano Ki Sada Thi Yehi….

Maare Gaye Abbas E Alamdaar Hamare

Darya Ke Kanare

Khakar Sina Dunya Se Gaye Akbar E Nashaad

Ay Sayyede Sajjad

Bano Ki Sada Thi Yehi….

Aada Se Kaho Chahe Meri Jaan Bhi Lele

Chadar Meri Dede

Be-Parda Phiraye Na Hamay Ye Sitam Ejaad

Ay Sayyede Sajjad

Bano Ki Sada Thi Yehi….

Hum Qaid Se Chootenge Watan Jayenge Kyun Kar

Akbar Hai Na Asghar

Ab Wo Kahan Sughra Bhi Na Karti Hai Bahot Yaad

Ay Sayyede Sajjad

Bano Ki Sada Thi Yehi….

Nauha Ho Mera Aur Dare Shah Huda Ho

Nazim Ki Sada Ho

Mehshar* Ka Kalaam Ban Gaya Hai Aap Ki Faryaad

Ay Sayyede Sajjad

Bano Ki Sada Thi Yehi…

17.3. Bunyad E Lailaaha Wujood E Azan Hussain

 

Bunyad E Lailaaha Wujood E Azan Hussain

Khad Khamat Is Salaat Ke Roohe Rawan Hussain

Mere Rasool E Paak Hai Quran Ki Tarha

Sher E Khuda Ki Zaat Hai Juz Daan Ki Tarha

 

 

 

Aur Sayyeda Hai Suraye Rehman Ki Tarha

Sulh E Hassan Hai Amn Ke Maidan Ki Tarha

Poore Kalame Paak Ke Hai Darmiyan Hussain

Bunyad E Lailaaha Wujood E Azan Hussain

Maula Ali Jahan Bhi Hai Haq Saath Saath Hai

Quran Ki Bandishon May Waraq Saath Saath Hai

Aur Aasman Pe Jaise Chapak Saath Saath Hai

Kalma Hai Aur Deen Ka Sabakh Saath Saath Hai

Islam Jis Jagah Hai Samajhlo Wahan Hussain

Bunyad E Lailaaha Wujood E Azan Hussain

Badnaam O Be-Nishan Lashkar Yazeed Ka

Dozakh Ki Aag Bangayi Bistar Yazeed Ka

Ruswayi Bangayi Hai Muqaddar Yazeed Ka

Koi Mahal Hai Ghar Na Koi Dar Yazeed Ka

Jannat Se Bhar Gaya Tera Aasta Hussain

Bunyad E Lailaaha Wujood E Azan Hussain

Mushkil Ke Waqt Aata Hai Khyber Shikan Ka Naam

Baraat Hai Mere Qalb Ki Shahe Zaman Ka Naam

Jaise Azan May Akbare Gulpayrahan Ka Naam

Mehshar* Ke Dil Pe Naqsh Hai Yun Panjetan Ka Naam

Yeh Dil Bana Hua Hai Tera Gulsitan Hussain

Bunyad E Lailaaha Wujood E Azan Hussain

17.4. Dunya May Ahlay Bait Ka Chercha Karay Ge Hum

Https://Www.Youtube.Com/Watch?V=K6r7qy -Zkb4

Dunya May Ahlaybait Ka Chercha Karay Ge Hum

Ashqon Se Unki Yaad Ko Taaza Karen Ge Hum

Ya Hussain, Ya Maula

Ho Apni Zindigi Gham E Sarwar Ke Waaste

Iske Siwa Na Loi Tammana Karenge Hum

Ashqon Se Unki Yaad Ko Taaza Karen Ge Hum

Ya Hussain, Ya Maula

Bole Hussain Jisko Na Duniya Bhula Sakey

Duniya Mein Yaadgaar Who Sajda Karenge Hum

Ashqon Se Unki Yaad Ko Taaza Karen Ge Hum

Ya Hussain, Ya Maula

Karb O Bala Ki Khaak Mein Hasti Mila Ke Aah

Islam Ke Viqar Ko Oocha Karen Ge Hum

 

 

 

Ashqon Se Unki Yaad Ko Taaza Karen Ge Hum

Ya Hussain, Ya Maula

Saahil Pe Ashqiya Se Abbas Ne Kaha

Jab Chhayenge Furath Par Kabza Karenge Hum

Ashqon Se Unki Yaad Ko Taaza Karen Ge Hum

Ya Hussain, Ya Maula

Asghar Chale Jo Ran Ko To Bano Ne Di Sada

Jhooley Ko Dekh Dekh Kar Roya Karenge Hum

Ashqon Se Unki Yaad Ko Taaza Karen Ge Hum

Ya Hussain, Ya Maula

Laashe Pidar Se Kah Kar Sakeena Lipat Gaye

Seene Par Kiske Raat Pe Sooya Karenge Hum

Ashqon Se Unki Yaad Ko Taaza Karen Ge Hum

Ya Hussain, Ya Maula

Mehshar,* Na Jisme Gham Ho Payambar Ki Aal Ka

Us Zindigi Se Le Ke Bhala Kya Karenge Hum

Ashqon Se Unki Yaad Ko Taaza Karen Ge Hum

Ya Hussain, Ya Maula

Dunya May Ahlaybait Ka Chercha Karay Ge Hum

Ashqon Se Unki Yaad Ko Taaza Karen Ge Hum

Ya Hussain, Ya Maula

17.5. Farmate Thay Ye Sayyede Abraar, Abbas Alamdar

 

Farmate Thay Ye Sayyede Abraar, Abbas Alamdar

Ay Lashkare Islam Ke Salaar, Abbas Alamdar

Hai Kaun Tere Baad Nigehban Harram Ka

Batlao To Waris Hai Bhala Kaun Alam Ka

Uthega Kahan Daag O Bala Ranjo Alam Ka

Hai Kaun Mera Madadgaar, Abbas Alamdar….

Farmate Thay Ye Sayyede Abraar, Abbas Alamdar

Ruqsat Jo Hue Hazrate Shabbir Harram Se

Thehre Hain Harram Lipte Hue Shahe Umam Se

Ek Bachi Bhi Lipti Hui Thi Sheh Ke Khadam Se

Thay Ghash May Udhar Abide Bemaar, Abbas Alamdar….

Farmate Thay Ye Sayyede Abraar, Abbas Alamdar

 

 

 

Zakhmo Se Badan Choor Hai Aur Haal Hai Muztar

Kis Tarha Tanha Mujse Uthe Laashaye Akbar

Aao Meri Imdad Ko Ay Mere Biradar

Tum Ho Pisare Hydere Karraar, Abbas Alamdar….

Farmate Thay Ye Sayyede Abraar, Abbas Alamdar

Lejayega Kumbe Ko Mere Shaam Ka Lashkar

Sar Nange Harram Jayenge Darbaar May Kyon Kar

Ek Ek Se Faryaad Karegi Meri Khaahar

Bemaar Mera Khaafila Salaar, Abbas Alamdar….

Farmate Thay Ye Sayyede Abraar, Abbas Alamdar

Rehjayegi Beyaro Madadgaar Sakeena

Kis Tarha Sahegi Bhala Aazaar Sakeena

Ab Hogi Na Pani Ki Talabgar Sakeena

Darya Se Ab Aajao Wafadar, Abbas Alamdar….

Farmate Thay Ye Sayyede Abraar, Abbas Alamdar

Hum Ahle Aza Karte Hai Shabbir Ka Matam

Is Gham Se Nahi Badke Hume Aur Koi Gham

Bas Saaya Figan Sar Pa Rahe Aap Ka Parcham

Kehlaate Hai Hum Aap Ke Ghamkhar, Abbas Alamdar….

Farmate Thay Ye Sayyede Abraar, Abbas Alamdar

Pudil Se Mere Door Nahi Aap Ka Rowza

Rehta Hai Mere Seene May Ek Dard Ka Darya

Daala Hai Isi Mauj May Nowhe Ka Areeza

Mehshar* Bhi Ek Adna Azadaar, Abbas Alamdar….

Farmate Thay Ye Sayyede Abraar, Abbas Alamdar

17.6. Ghame Shabbir Hai Aaho Fughan Hai

 

Ghame Shabbir Hai Aaho Fughan Hai

Yehi Mehshar* Hayate Jaweda Hai

Ghame Shabbir Hai Aaho Fughan Hai

Sanaye Sheh Mere Bas Ki Kahan Hai

Mai Qatra Hoo Wo Behre Bekaran Hai

Ghame Shabbir Hai Aaho Fughan Hai

Qalam Jo Madhe Sarwar May Rawan Hai

Yazeedi Khalb Par Noke Sina Hai

Ghame Shabbir Hai Aaho Fughan Hai

 

 

 

Jahan Khilte Hai Gul Haq E Imamat

Wo Khatoone Jina Ka Gulsitan Hai

Ghame Shabbir Hai Aaho Fughan Hai

Hussain Ibne Ali Kashti Ke Langar

Ridaye Binte Zehra Baazban Hai

Ghame Shabbir Hai Aaho Fughan Hai

Dehen Sheh Ka Payambar Ki Zaban Hai

Nabuwat Ki Imamat Tarjuma Hai

Ghame Shabbir Hai Aaho Fughan Hai

Pisar Ki Laash Par Kehti Thi Laila

Utho Beta Ke Ab Waqte Azan Hai

Ghame Shabbir Hai Aaho Fughan Hai

Kiye Ja Midhate Aale Payambar

Yehi Mehshar* Hayate Jaweda Hai

Ghame Shabbir Hai Aaho Fughan Hai

17.7. Jo Shaamil E Bazme Ghame Shabbir Nahi Hai

 

Jo Shaamil E Bazme Ghame Shabbir Nahi Hai

Haasil Usay Emaan Ki Jageer Nahi Hai

Qurbaniye Shabbir Hata Do To Ye Islam

Wo Khwab Hai Jis Khwab Ki Tameer Nahi Hai

Jo Shaamil E Bazme….

Be Hubbe Ali Sajde Hai Yun Meri Nazar May

Goya To Hai Quran Ki Tafseer Nahi Hai

Jo Shaamil E Bazme….

Bemaar Ke Paon Ki Taraf Dekhne Walon

Islam Ka Langar Hai Ye Zanjeer Nahi Hai

Jo Shaamil E Bazme….

Ay Koofiyo Be-Parda Hai Ye Hurmate Islam

Be-Parda Yahan Zainab E Dilgeer Nahi Hai

Jo Shaamil E Bazme….

Bano Ne Ye Ashoor Ki Shab Khwab May Dekha

Jhoolay May Mera Asghare Baysheer Nahi Hai

 

 

 

Jo Shaamil E Bazme….

Asghar Ki Shahadat Ne Kiya Zulm Ko Ruswa

Ab Tarkashe Aada May Koi Teer Nahi Hai

Jo Shaamil E Bazme….

Jisme Na Rawani Ho Na Ho Shaukate Alfaaz

Mehshar* Wo Tere Khaak Ki Tehreer Nahi Hai

Jo Shaamil E Bazme….

17.8. Kahti Thi Yeh Maan Khoon Bhari Mayyat Se Lipat Kar

 

Kahti Thi Yeh Maa Khoon Bhari Mayyat Se Lipat Kar

Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

Armaan Tha Pahnaoon Gi Poshaak Shahani

Afsoos Ke Raas Aayi Na Sab Ko Yeh Jawaani

Kaisa Tha Muqqadar, Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

Kahti Thi Yeh Maa Khoon Bhari Mayyat Se Lipat Kar

Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

Itna To Zara Tahro Tumhe Dhoola Bana Loon

Bas Ek Jhalak Sehre Ki Sughra Ko Dikha Doon

Bechain Thi Khawar, Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

Kahti Thi Yeh Maa Khoon Bhari Mayyat Se Lipat Kar

Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

Attharan Baras Paal Ke Parwan Chadaya

Yuh Gesoo-E-Wala Hai Mera Khoon Mein Nahaya

Yeh Kya Hua Dilbar, Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

Kahti Thi Yeh Maa Khoon Bhari Mayyat Se Lipat Kar

Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

Maa Teri Judayi Me Bhala Kaise Jiye Gi

Mar Jayi Gi Sughra, Jo Khabar Teri Sune Gi

Ab Kya Karoon Dilbar, Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

Kahti Thi Yeh Maa Khoon Bhari Mayyat Se Lipat Kar

Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

Thahro Ke Main Attharvi Mannat To Badha Loon

Phir Le Ke Balayen, Tujhe Jeene Ki Dua Doon

Sadqay Ho Yeh Maadar, Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

Kahti Thi Yeh Maa Khoon Bhari Mayyat Se Lipat Kar

 

 

 

Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

Pahle To Ek Awaaz Par Uth Jaate The Beta

Ab Itne Sadoon Pe Bhi Pahloo Nahi Badla

Kya Ho Gaya Dilbar, Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

Kahti Thi Yeh Maa Khoon Bhari Mayyat Se Lipat Kar

Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

Tum Hichkiya Ley-Ley Ke Jo Dam Tod Rahe Ho

Muh Maa Se Hamesha Ke Liye Mod Rahe Ho

Kyon Roothe Ho Dilbar, Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

Kahti Thi Yeh Maa Khoon Bhari Mayyat Se Lipat Kar

Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

Aaye Jo Hame Lootne Khaimey Mein Sitamgar

Maa De Gaye Sadayee, Ali Akbar, Ali Akbar

Chhin Jaaye Gi Chadar, Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

Kahti Thi Yeh Maa Khoon Bhari Mayyat Se Lipat Kar

Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

Jab Koi Jawan Laash Nazar Aati Hai Mahshar*

Ek Yaad Soo-E-Karbobala Jaati Hai Mahshar*

Dil Rota Hai Kah Kar, Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

Kahti Thi Yeh Maa Khoon Bhari Mayyat Se Lipat Kar

Tum Mar Gaye Or Zinda Rahi Madare Muztar

Hai Hai Ali Akbar, Hai Hai Ali Akbar

17.9. Kalaame Haq Ki Tilawat Hai Saniye Zehra

 

Kalaame Haq Ki Tilawat Hai Saniye Zehra

Ke Tarjumane Risalat Hai Saniye Zehra

Agar Hai Panjatan E Paak Aaya E Tatheer

To Ye Hai Hurmate Quran Ki Bolti Tafseer

Nabi Ke Seena Sipar Hai Jo Shahe Khaibargeer

To Inke Naam Se Qaayam Hai Maqsade Shabbir

Hussainiat Ki Niyabat Hai Saniye Zehra

Kalaame Haq Ki….

Barehna Sar Bhi Rahi Haq Ki Aabroo Bankar

Ke Ab Hai Chehrae Islam Par Wazoo Bankar

Gayi Jo Sajde May To Haq Ki Justuju Bankar

Hai Aaj Deen Ki Rag Rag May Ab Lahoo Bankar

 

 

 

Azan Se Iqamat Hai Saniye Zehra

Kalaame Haq Ki….

Jo Pahunchi Karbobala Qaid-E-Shaam Se Chutkar

Pukara Ganje Shaheedan May Sab Ko Ro Ro Kar

Kahan Ho Mere Alamdaar Aur Ali Akbar

Kahan Ho Qasime Muztar Kahan Ali Asghar

Sarapa Sog Hai Hasrat Hai Saniye Zehra

Kalaame Haq Ki….

Tumhare Baad Qayamat Guzar Gayi Bhaiya

Hujume Aam May Mai Nange Sar Gayi Bhaiya

Tumahre Sar Ki Qasam Dar Badar Gayi Bhaiya

Sakeena Qaid May Ro Ro Ke Mar Gayi Bhaiya

Dayar E Ranj O Musibat Hai Saniye Zehra

Kalaame Haq Ki….

Watan Ko Jaati Hoo Bhaiya Hamare Saath Chalo

Hai Intezaar May Sughra Hamare Saath Chalo

Udaas Hoga Madina Hamare Saath Chalo

Lagega Dil Na Hamara Hamare Saath Chalo

Ali Ke Ashk E Mohabbat Hai Saniye Zehra

Kalaame Haq Ki….

Zaban Pe Zikr Bahattar Hai Aur Zainab Hai

Ke Shab Ko Khaak Ka Bistar Hai Aur Zainab Hai

Hamesha Matame Sarwar Hai Aur Zainab Hai

Ek Aansuon Ka Samandar Hai Aur Zainab Hai

Ghame Hussain Ki Fitrat Hai Saniye Zehra

Kalaame Haq Ki….

Khuloose Dil Se Yehi Kijiye Dua Mehshar*

Ke Ho Har Ek Ko Deedaar E Karbala Mehshar*

Bulaye Rauze Pe Jo Binte Sayyeda Mehshar*

Chadao Apne Salamon Ki Ek Rida Mehshar*

Mere Qalam Ki Ibadat Hai Saniye Zehra

Kalaame Haq Ki….

17.10. La Fata Illah Ali La Saif Illa Zulfaqar

 

Shahe Mardan Shere Yazdan Quwwate Parwardig Ar

La Fata Illa Ali La Saif Illa Zulfaqar

 

 

 

Is Tarha Chalti Thi Ran May Tayghe Shere Kirdagaar

Har Taraf Se Ashkiyan May Al-Amaan Ki Thi Pukar

Kar Chuka Jab Dhayr Marhab Ko Shahe Duldul Sawar

Aa Rahi Thi Ye Sada Dewaar O Dar Se Baar Baar

Shahe Mardan Shere Yazdan Quwwate Parwardigar

La Fata Illa Ali La Saif Illa Zulfaqar

Jis Tarha Koi Khuda E Paak Se Badh Kar Nahi

Jis Tarha Koi Rasool Allah Ka Hamsar Nahi

Ek Hai Dunya May Hyder Doosra Hyder Nahi

Misle Hyder Ye Kisi Ki Taygh May Jauhar Nahi

Ek Taraf Saari Ibadat Ek Taraf Hyder Ka Waar

La Fata Illa Ali La Saif Illa Zulfaqar

Juz Ali Ka Kaun Haq Ke Waaste Sina Sipar

Kaun Uth-Ta Tha Rasool Allah Ki Awaaz Par

Kisne Qurban Kardiya Raahe Khuda May Apna Ghar

Is Haqeeqat Se Bhala Hum Kis Tarha Phayre Nazar

Hai Isi Awaaz Par Takbeer Ka Daar O Madaar

La Fata Illa Ali La Saif Illa Zulfaqar

Yaad Karlo Door Kyun Jaate Ho Kal Ki Baat Hai

Jang Ke Maidan May Kaam Aaya Wo Kiski Zaat Hai

Mehre Hairat Muttaqil Lashkar Pe Kaayanat Hai

Haq O Nusrat Aaj Bhi Name Ali Ke Saath Hai

Goonjta Hai Hyderi Naaro Se Dashte Kaarzaar

La Fata Illa Ali La Saif Illa Zulfaqar

Kaam Aaya Phir Wohi Jab Waqt Aaya Imtihan

Naam Se Jiske Larazte Hai Zameen O Aasman

Laakh Jalta Ho Ali Ke Kaarnamo Se Jahan

Sabse Afzal Aaj Hai Dunya May Hyder Ka Nishan

Aaj Bhi Sajti Hai Seeno Pe Ek Yehi Yaadgaar

La Fata Illa Ali La Saif Illa Zulfaqar

Kehte Thay Mohamed Maadare Ghamkhar Se

Is Tarha Ran May Ladenge Lashkare Kuffar Se

Sab Hame Tashbeeh Denge Jaffar E Tayyar Se

Bach Ke Jaa Payega Koi Kya Hamare Waar Se

Khaynch Denge Taygh Se Hum Badr Ke Naksh O Nigaar

La Fata Illa Ali La Saif Illa Zulfaqar

Kya Koi Rokega Humko Matame Shabbir Se

Baandh-De Koi Hame Gar Aahni Zanjeer Se

Mustaqil Hojaye Gardan Bhi Agar Shamsheer Se

Kyun Na Ho Mehshar* Aqeedat Shahe Khyber Geer Se

 

 

 

Ya Ali Kehdenge Jab Ruk Jayegi Khanjar Ki Dhaar

La Fata Illa Ali La Saif Illa Zulfaqar

17.11. Masnad E Gham Bichayi Jaati Hai

 

Masnad E Gham Bichayi Jaati Hai

Bazme Matam Sajayi Jaati Hai

Ran Ko Akbar Chale To Maa Ne Kaha

Umr Bhar Ki Kamayi Jaati Hai

Masnad E Gham Bichayi Jaati Hai

Khoon May Doobe Hai Yun Ali Akbar

Jaise Chadar Udhayi Jaati Hai

Masnad E Gham Bichayi Jaati Hai

Kisko Gharey Hue Hai Ahle Haram

Kiski Mannat Badhayi Jaati Hai

Masnad E Gham Bichayi Jaati Hai

Ek Rida Dedo Shah Ko Kubra

Laashe Qasim Uthayi Jaati Hai

Masnad E Gham Bichayi Jaati Hai

Teer Gardan Pe Khalo Ay Asghar

Pyas Yun Bhi Bujhayi Jaati Hai

Masnad E Gham Bichayi Jaati Hai

Yaad Aati Hai Ek Nanhi Lehad

Jab Bhi Shamma Jalayi Jaati Hai

Masnad E Gham….

Boli Zainab Utho Utho Abid

Aag Ghar May Lagayi Jaati Hai

Masnad E Gham Bichayi Jaati Hai

Zikre Maula Ka Faiz Hai Mehshar*

Teri Shohrat Jo Paayi Jaati Hai

Masnad E Gham Bichayi Jaati Hai

17.12. Qabre Sheh Par Ye Kehti Thi Khwahar

 

 

 

 

Qabre Sheh Par Ye Kehti Thi Khwahar

Bhaiya Utho Utho Utho Watan Ja Rahi Hoo

Apne Haathon Se Chadar Udhao

Khud Amari May Mujhko Bithao

Bin Tumhare Na Jayegi Khaahar

Utho Utho Watan Ja Rahi Hoo

Qabre Sheh Par Ye Kehti Thi Khwahar

Jo Ye Poochenge Ahle Madina

Kyun Na Humraah Aayi Sakeena

Kya Kahoo Mai Batado Biradar

Utho Utho Watan Ja Rahi Hoo

Qabre Sheh Par Ye Kehti Thi Khwahar

Saath Mere Chale Thay Watan Se

Kyun Juda Ho Rahe Ho Behan Se

Tumko Humraah Jaungi Lekar

Utho Utho Watan Ja Rahi Hoo

Qabre Sheh Par Ye Kehti Thi Khwahar

Kisko Jhoola Jhulayegi Bano

Godh Khaali Na Jayegi Bano

Mere Ghuncha Dahan Mere Asghar

Utho Utho Watan Ja Rahi Hoo

Qabre Sheh Par Ye Kehti Thi Khwahar

Haal Abid Ka Uth Ke To Dekho

Bhaiya Seene Se Isko Lagalo

Milne Aaya Hai Tumse Ye Muztar

Utho Utho Watan Ja Rahi Hoo

Qabre Sheh Par Ye Kehti Thi Khwahar

Karbala Wale Tadpe Na Mehshar*

Qatm Kardo Ye Noha Yahin Par

Rodiya Hai Qalam Bhi Ye Likh Kar

Utho Utho Watan Ja Rahi Hoo

Qabre Sheh Par Ye Kehti Thi Khwahar

17.13. Sahib E Zulfiqar Al Madaday

 

 

 

 

Sahib E Zulfiqar Al Madaday

Shah E Duldul Sawar Al Madaday

Ran Main Shabbir Aaj Hain Tanha

Dasht Main Lut Gaya Bhara Kunbaa

Ashqiya Hain Kiyay Hoay Narghaa

Hai Sitam Ka Hisaar Al Madaday

Sahib E Zulfiqar Al Madaday

Shah E Duldul Sawar Al Madaday

Khaak Per Hai Sawar E Dosh E Nabi

Tashna Lab Hain Hussain Ibne Ali

Kund Khanjar Hai Aur Shimr Shaqi

Hai Haram Ki Pukaar Al Madaday

Sahib E Zulfiqar Al Madaday

Shah E Duldul Sawar Al Madaday

Raah E Kufa Hai Shaam Ka Bazaar

Hain Rasan Basta Zainab E Ghamkhaar

Sar Khulay Bibian Hain Aur Darbar

Sakht Hai Rehguzaar Al Madaday

Sahib E Zulfiqar Al Madaday

Shah E Duldul Sawar Al Madaday

Ban Kay Qaidi Imaam Jaaain Gay

Baidiaan Pehnay Shaam Jaain Gay

Sar E Darbaar E Aam Jaaain Gay

Hongay Sab Sharamsaar Al Madaday

Sahib E Zulfiqar Al Madaday

Shah E Duldul Sawar Al Madaday

Aap Maula E Kull Hain Shah E Najaf

Haq Ne Bakhsha Hai Aap Ko Yeh Sharaf

Shah Hain Tanha Adu Hain Charon Taraf

Behr E Parwardigaar Al Madaday

Sahib E Zulfiqar Al Madaday

Shah E Duldul Sawar Al Madaday

Ab Na Abbas Hain Na Akbar Hain

Taptay Maidaan Main Khulay Sar Hain

Baysahara Hain Aur Bay Ghar Hain

Aai Ghareebon Kay Yaar Al Madaday

Sahib E Zulfiqar Al Madaday

Shah E Duldul Sawar Al Madaday

 

 

 

Aap Mushkil Kusha Zamanay Kay

Aap Haajat Rawa Zamanay Kay

Aap Khairul Wara Zamanay Kay

Sahib E Ikhtiaar Al Madaday

Sahib E Zulfiqar Al Madaday

Shah E Duldul Sawar Al Madaday

Tujh Ko Kis Baat Ka Hai Gham Mehshar*

Sar Pay Ghazi Ka Hai Alam Mehshar*

Bas Yeh Keh Kar Utha Qadam Mehshar*

Hashar Kay Taajdaar Al Madaday

Sahib E Zulfiqar Al Madaday

Shah E Duldul Sawar Al Madaday

17.14. Tamaam Aalam May Aaj Matam, Hussain Bekas Ka Ho Raha

Hay

 

Tamaam Aalam May Aaj Matam, Hussain Bekas Ka Ho Raha Hai

Alam Gharon May Sajay Huway Hain, Dilon May Farsh -E-Aza Bicha Hay

Tamaam Aalam May Aaj Matam, Hussain Bekas Ka Ho Raha Hai

Siyah Kapre Siyah Chadar, Ghamon Ki Gardo Ghubaar Sar Par

Hain Sogwaron Kay Ashk Jaari, Ke Sani-E-Zehra Be-Rida Hay

Tamaam Aalam May Aaj Matam, Hussain Bekas Ka Ho Raha Hai

Na Chashme Purnam Ho Kyon Sawali, Juloos Hay Zuljanah Khaali

Ke Mera Duldul-Sawar-Maula, Zamin-E-Karbal May So Raha Hay

Tamaam Aalam May Aaj Matam, Hussain Bekas Ka Ho Raha Hai

Alam May Mashk-E-Sakina Dekho, To Momino Bas Yeh Keh Ke Rolo

Chacha Bhatiji May Kya Hay Nisbat, Wafa -E-Abbas Kya Wafa Hay

Tamaam Aalam May Aaj Matam, Hussain Bekas Ka Ho Raha Hai

Hussain Peeri May Dil Sambhale, Ke Dil Se Uljhi Sina Nikaale

Jawaan Beta Lahu May Dooba, Zameen Pe Aeri Ragar Raha Hay

Tamaam Aalam May Aaj Matam, Hussain Bekas Ka Ho Raha Hai

Na Maar Barchi Dil-E-Nabi Par, Abhi Huway Hai Jawaan Akbar

Ye Qatl Jisko Tu Kar Raha Hay, Yehi To Ham Shakl-E-Mustafa Hay

Tamaam Aalam May Aaj Matam, Hussain Bekas Ka Ho Raha Hai

Madinay Walo Khamosh Rehna, Ghareeb Zainab Say Kuch Na Kehna

Basa Huwa Ghar Jo Le Gayi Thi, Wo Karbala May Ujad Gaya Hay

 

 

 

Tamaam Aalam May Aaj Matam, Hussain Bekas Ka Ho Raha Hai

Azaa-E-Shabbir Hay Ibadat, Janab-E-Zainab Ki Hay Amaanat

Ye Nauha Teray Qalam Se Mehshar*, Janab-E-Zahra Ki Ek Ataa Hay

Tamaam Aalam May Aaj Matam, Hussain Bekas Ka Ho Raha Hai

17.15. Thi Karbala Mein Haq Ko Zaroorat Hussain Ki

Http://Www.Nohayonline.Com/All.Pl?Filter=Nq&Text=Ali%20zia%20rizvi

Thi Karbala Mein Haq Ko Zaroorat Hussain Ki

Lagti Watan May Kaise Haaye Tabiyat Hussain Ki

Teeron Ki Chaon May Wo Imamat Hussain Ki

Ran Me Sipar Bani Hai Jamaat Hussain Ki

Thi Karbala Mein Haq Ko Zaroorat Hussain Ki

Hurr Baar Baar Kehta Tha Dum Todte Hue

Jee Bhar Ke Kar Saka Na Mai Nusrath Hussain Ki

Thi Karbala Mein Haq Ko Zaroorat Hussain Ki

Daaman Chuda Sake Na Sakina Se Shaahe Deen

Ruqsat Ke Waqt Ghair Thi Halat Hussain Ki

Thi Karbala Mein Haq Ko Zaroorat Hussain Ki

Maqtal May Jab Sakina Ne Baba Ko Di Sada

Tadpi Tadap Ke Rehgayi Maiyat Hussain Ki

Thi Karbala Mein Haq Ko Zaroorat Hussain Ki

Aaya Hai Tumse Qaid My Milne Sare Hussain

Utho Sakina Karlo Ziyarat Hussain Ki

Thi Karbala Mein Haq Ko Zaroorat Hussain Ki

Umme Rabab Saaye May Baithi Na Umr Bhar

Roti Thi Yaad Karke Musibat Hussain Ki

Thi Karbala Mein Haq Ko Zaroorat Hussain Ki

Cheene Ga Kaun Tujhse Zamane May Jeete Ji

Mehshar* Tera Qalam Hai Amanat Hussain Ki

Thi Karbala Mein Haq Ko Zaroorat Hussain Ki

 

 

 

17.16. Ya Rab Ye Iltemas Teri Janab May

 

Ya Rab Ye Iltemas Hai Teri Janab May

Mujhko Milaade Khake Dare Bu Turab May

Haasil Nahi Misle Ali Sab Ko Martaba

Garje Baargahe Risalat Maab May

Ya Rab Ye Iltemas Hai Teri Janab May

Noore Ali May Noore Mohamed May Farq Kya

Hai Aaftab Hai Ke Deha Mahtaab Ma Y

Ya Rab Ye Iltemas Hai Teri Janab May

Jhoole May Keh Rahe Thay Tewar Sagheer Ke

Zinda Rahe To Dekhna Ahde Shabab May

Ya Rab Ye Iltemas Hai Teri Janab May

Jo Ran May Beh Gaya Qasim Ke Jisme Paak Se

Wo Khoon Aagaya Hai Simat Kar Gulab May

Ya Rab Ye Iltemas Hai Teri Janab May

Ek Teer To Nikal Gaya Asghar Ke Halq Se

Paywast Ek Teer Hai Qalbe Rabab May

Ya Rab Ye Iltemas Hai Teri Janab May

Ahle Haram Ke Pyas May Shiddat Thi Is Khadar

Itni Tapish Na Hogi Kabhi Aaftab May

Ya Rab Ye Iltemas Hai Teri Janab May

Zehra Ke Ghar Ko Yaad Kare Roye Zaar Zaar

Jiska Tabaah Ghar Ho Kisi Inquilaab May

Ya Rab Ye Iltemas Hai Teri Janab May

Bas Wo Fishare Qabr Se Mehshar* Bachayega

Jisne Shagaaf Daal Diya Maahtab May

Ya Rab Ye Iltemas Hai Teri Janab May

 

 

 

17.17. Zamane May Koi Ho Nafse Payghambar To Hum Jaane

 

Zamane May Koi Ho Nafse Payghambar To Hum Jaane

Ali Ki Baat Kya Holay Koi Qambar To Hum Jaane

Hai Daawa Jaanisari Ka Bahot Islam Walon Ko

Dikhaye Rahe Haq Deke Apna Sar To Hum Jaane

Zamane May Koi Ho….

Baghair E Hubbe Hyder Jo Nabi Ke Ishq May Doobe

Nikal Kar Hum Ko Dikhlaye Labe Kausar To Hum Jaane

Zamane May Koi Ho….

Hai Pehra Alqama Par Aaj Tak Abbas E Ghazi Ka

Zara Koi Parinda Maar To Le Par To Hum Jaane

Zamane May Koi Ho….

Pahado Ke Bhi Hil Jaate Hai Dil Name Ali Sunkar

Kisi Ke Naam Par Hil Jaye Kankar To Hum Jaane

Zamane May Koi Ho….

Kaha Karti Thi Zainab Hai Hamara Sher Sa Bhai

Dikhaye Sar Se Koi Cheen Kar Chadar To Hum Jaane

Zamane May Koi Ho….

Ye Zainab Ka Kaleja Tha Ye Zainab Hi Ki Himmat Thi

Galay Par Bhai Ke Dekhe Koi Khanjar To Hum Jaane

Zamane May Koi Ho….

Tu Shayar Hai Shah E Deen Ka Tujhe Kya Khauf Hai Mehshar*

Farishte Aaye Tere Qabr Ke Andhar To Hum Jaane

Zamane May Koi Ho….

 

 

 

  1. Janab Mhazar Sahib

18.1. Ali Ali Haye Ali

 

Ro Ke Yeh Zainab Ne Kaha, Haye Ali. Ali Ali

Aa Ke Lute Karbobala, Haye Ali. Ali Ali

Chhinti Hai Ab Sar Se Rida, Haye Ali, Ali Ali

Aao Madad Ko Murtaza, Bhai Mera Qatl Hua

Ali Ali Haye Ali, Ali Ali Haye Ali

Chhota Sa Lashkar Tha Idhar, Haye Ali, Ali Ali

Fauj Ba-Kasrat Udhar, Haye Ali, Ali Ali

Baba Hamari Lo Khabar, Haye Ali, Ali Ali

Sun Lo Meri Baher E Khuda, Bhai Mera Qatl Hua

Ali Ali Haye Ali, Ali Ali Haye Ali

Haye Kahan Hain Fatima, Haye Ali, Ali Ali

Dasvin Muharram Ko Luta, Haye Ali, Ali Ali

Baag E Janab E Mustafa, Haye Ali, Ali Ali

Dasht E Bala Mein Be-Khata, Bhai Mera Qatl Hua

Ali Ali Haye Ali, Ali Ali Haye Ali

Shah Ka Alamdaar Jo Tha, Haye Ali, Ali Ali

Munis O Ghamkhaar Jo Tha, Haye Ali, Ali Ali

Fauj Ka Sardaar Jo Tha, Haye Ali, Ali Ali

Naher Par Who Mara Gaya, Bhai Mera Qatl Hua

Ali Ali Haye Ali, Ali Ali Haye Ali

Dhoop Hai Aur Tapta Hai Ban, Haye Ali, Ali Ali

Laashe Hain Be Gore Kafan, Haye Ali, Ali Ali

Kya Kare Majboor Bahen, Haye Ali, Ali Ali

Ghere Huey Hain Ashqiya, Bhai Mera Qatl Hua

Ali Ali Haye Ali, Ali Ali Haye Ali

Tha Yeh Sakeena Ka Bayan, Haye Ali, Ali Ali

Bhai Mera Kadyal-Jawan, Haye Ali, Ali Ali

Kha Ke Kaleje Pe Sina, Haye Ali, Ali Ali

Ghode Se Maqtal Me Gira, Bhai Mera Qatl Hua

Ali Ali Haye Ali, Ali Ali Haye Ali

Kahtetin Thiin Kulsoom E Hazeen, Haye Ali, Ali Ali

Naher Ko Gheren Hain Laeen, Haye Ali, Ali Ali

Paani Kahin Milta Nahin, Haye Ali, Ali Ali

 

 

 

Shhane Kate, Alam Gira, Bhai Mera Qatl Hua

Ali Ali Haye Ali, Ali Ali Haye Ali

Gurz E Garaan Sar Pe Pada, Haye Ali, Ali Ali

Mashk Chhidi, Paani Baha, Haye Ali, Ali Ali

Shaane Kate Ghazab Hua, Haye Ali, Ali Ali

Pyasoon Ka Toota Aasra, Bhai Mera Qatl Hua

Ali Ali Haye Ali, Ali Ali Haye Ali

Aaiyea Ya Kusta Kusha , Haye Ali, Ali Ali

Hum Hain Giraftaar E Bala, Haye Ali, Ali Ali

Keejiyea Ab Gham Se Reha, Haye Ali, Ali Ali

Koi Nahin Hai Aasira, Bhai Mera Qatl Hua

Ali Ali Haye Ali, Ali Ali Haye Ali

Yawar O Ansaar Gaye, Haye Ali, Ali Ali

Shah Ke Madadgaar Gaye, Haye Ali, Ali Ali

Khud Shah E Abraar Gaye, Haye Ali, Ali Ali

Khaatma Lashkar Ka Hua, Bhai Mera Qatl Hua

Ali Ali Haye Ali, Ali Ali Haye Ali

Gham Ka Hai Mazhar* Yeh Asar, Haye Ali, Ali Ali

Chaak Hua Qalb O Jigar, Haye Ali, Ali Ali

Kuch Nahi Aata Hai Nazar, Haye Ali, Ali Ali

Bus Yehi Aati Hai Sada, Bhai Mera Qatl Hua

Ali Ali Haye Ali, Ali Ali Haye Ali

 

 

 

18.1. Chalo Qafila Jaa Raha Hai Sakina

 

Chalo Qafila Jaa Raha Hai Sakina

Sakina Sakina Sakina Sakina

Woh Zindaan Mein Zainab Ka Ro-Ro Ke Kahena

Chalo Qafila Jaa Raha Hai Sakina

Sakina Sakina Sakina Sakina

Kahan Jaan-E-Zainab Tera Aashiyana

Na Baba Ka Seena Na Koi Bichona

Kabhi Ghar Pauchhna To Ghar Par Hi Sona

Chalo Qafila Jaa Raha Hai Sakina

Sakina Sakina Sakina Sakina

Safar Ek Baade Safar Zindagi Hai

Hamari Yehi Dar-Badar Zindigi Hai

Na Chalne Ki Taqaat Na Bas Mein Taherna

Chalo Qafila Jaa Raha Hai Sakina

Sakina Sakina Sakina Sakina

Jo Darpesh Hain Intihyaan Khatm Ho Le

Sitam Bas Saheen Aasman Khatm Ho Le

Nahin Isse Pahele Kahin Humko Rukna

Chalo Qafila Jaa Raha Hai Sakina

Sakina Sakina Sakina Sakina

Ali Ke Gharane Ki Rani Ho Beti

Mere Bhai Ki Tum Nishani Ho Beti

Nahin Mere Bas Mein Tumhe Chhod Jaana

Chalo Qafila Jaa Raha Hai Sakina

Sakina Sakina Sakina Sakina

 

 

 

  1. Janab Mir Takallum

19.1. Zainab Ko Har Ek Mod Pe Tadpayegi Dunya

 

Hussain Jaata Hai Marne Ko Ay Meri Zainab

Khareeb Aa Gaya Ab Waqt E Aakhri Zainab

Salaam Tumpe Ay Baba Ki Laadli Zainab

Zainab Ne Kaha Kaun Hai Pardes May Mera

Kyun Jaate Ho Tum Chhod Ke Bhaiya Mujhe Tanha

Zainab Ko Har Ek Mod Pe Tadpayegi Dunya

Yaad Aaoge Bhaiya

Baad Aapke Hoga Meri Ghurbat Ka Ye Aalam

Us Waqt Ghareebi Bhi Karegi Mera Matam

Sadaat Ko Jab Raah May Dega Koi Sadqa

Yaad Aaoge Bhaiya

Zainab Ko Har Ek Mod Pe Tadpayegi Dunya

Yaad Aaoge Bhaiya

Yaad Aayega Bhaiya Mujhe Armaan Tumhara

Tum Dekh Nahi Paaye Ho Akbar Ka Jo Sehra

Dawaat Koi Shadi Ki Madine May Jo Dega

Yaad Aaoge Bhaiya

Zainab Ko Har Ek Mod Pe Tadpayegi Dunya

Yaad Aaoge Bhaiya

Is Maah Se Mansooob Thi Bhaiya Meri Khushiyan

Thi Sab Se Badi Eid Meri Teesri Shaban

Shaban Ke Jab Chand Ko Dekhegi Ye Behna

Yaad Aaoge Bhaiya

Zainab Ko Har Ek Mod Pe Tadpayegi Dunya

Yaad Aaoge Bhaiya

Itna Tha Khayaal Aap Ko Parde Ka Baradar

Le Jaate Thay Tum Raat Ko Amma Ki Lehad Par

Ab Dekhegi Zainab Ke Khule Sar Ko Ye Dunya

Yaad Aaoge Bhaiya

Zainab Ko Har Ek Mod Pe Tadpayegi Dunya

Yaad Aaoge Bhaiya

Deedar Bhi Hojayega Beti Ke Bahane

 

 

 

Kya Shaam Ke Zindan May Aaoge Sulaane

Soyegi Nahi Jab Meri Lori Se Sakina

Yaad Aaoge Bhaiya

Zainab Ko Har Ek Mod Pe Tadpayegi Dunya

Yaad Aaoge Bhaiya

Hota Tha Takallum* Yun Juda Bhai Behan Se

Jis Tarha Koi Rooh Nikalti Ho Badan Se

Sheh Ran Ko Chale Kehti Rahi Saniye Zehra

Yaad Aaoge Bhaiya

Zainab Ko Har Ek Mod Pe Tadpayegi Dunya

Yaad Aaoge Bhaiya

 

 

 

  1. Janab Mohsin Shakib

20.1. Kehti Thi Madar Ay Ali Akbar Ran Se Do Awaaz Mujhe

 

Kehti Thi Madar Ay Ali Akbar Ran Se Do Awaaz Mujhe

Maa Tumhe Le Aaye Jaakar Ran Se Do Awaaz Mujhe

Kehti Thi Madar….

Ay Mere Abroo Kama Soye Ho Kahan

Moo Se To Bole Zara Dhoondti Hai Tumko Maa

Maine Ye Socha Kab Ay Mere Tisdhna-Dahan

Daaghe Pisar Paaungi Tha Ye Mujhe Kab Gumaan

Socha Aisa Kab Dilbar Rehgaye Saare Khaab Bikhar Kar

Ran Se Do Awaaz Mujhe

Kehti Thi Madar….

Mujhko Yehi Lagta Hai Jaise Abhi Aaoge

Aate Hi Khadmo Ke Tum Maa Ke Lipat Jaaoge

Meri Pareshani Par Kuch To Taras Khaoge

Harfe Tasalli Se Tum Dil Mera Behlaoge

Doge Dilaasa Ali Akbar Aisa Magar Hone Lag A Kyon Kar

Ran Se Do Awaaz Mujhe

Kehti Thi Madar….

Jinpe Mujhe Naaz Tha Sabko Khaza Aagayi

Gulshane Umeed Ki Har Kali Murjhagayi

Ghar Ke Charago Ko Ye Kiski Nazar Kha Gayi

Teeragi-E-Shame Gham Har Taraf Cha Gayi

Dhaate Hai Aada Sitam Humpar Jalte Hai Qa Ime Chinti Hai Chadar

Ran Se Do Awaaz Mujhe

Kehti Thi Madar….

Shame Ghareeban Gayi Raat Hui Jab Ayaan

Sayyade Sajjad Thay Ghash May Pade Neem Jaan

Aise May Zainab Bani Ghamzadon Ki Paasban

Honton Pe Mohsin* Magar Laila Ke Thi Ye Fughaan

Royegi Tumko Sada Maadar Ay Mere Pyase Ay Mere Dilbar

Ran Se Do Awaaz Mujhe

Kehti Thi Madar….

 

 

 

  1. Janab Momin Sahib

21.1. Wavaila

 

Zehra Ki Sada Hai Maqtal May Lut-Ta Hai Bhara Ghar Wavaila

Abbas E Ali Ke Baazu Ko Kaate Hai Sitamgar Wavaila

Dunya Ke Sitam Toote Uspar

Qasim Na Rahe Aur Na Akbar

Abbas E Dilawar Na Asghar

Shabbir Akele Hai Hyder

Sarwar Ke Galay Par Hai Khanjar

Ay Saaqiye Kausar Wavaila

Waavaila Waavaila….

Mashkeeza Chida Aur Pani Baha

Ek Aankh Teer E Zulm Laga

Behta Hai Kate Shano Se Kahoo

Sar Gurz E Sitam Se Chaak Hua

Aata Hai Faraz Se Jaane Ali

Kyun Rakh Ke Zameen Par Wavaila

Waavaila Waavaila….

Saahil Ke Kanare Jo Pahunchay

Toota Hai Falak Sheh Ke Sar Par

Thay Haath Kahin Mashkeeza Kahin

Laasha Tha Jari Ka Khoon May Tar

Laashe Pe Giray Hai Bhai Ke

Shabbir Tadap Kar Wavaila

Waavaila Waavaila….

Doobe Hai Lahoo May Mashk O Alam

Aaye Hai Nehr Se Shahe Umam

Masnad Pe Rakhe Jab Mashk O Alam

Sar Peet-Te Hai Ab Ahle Haram

Barpa Hai Qayam E Sarwar May

Ek Shorish-E-Mehshar Wavaila

Waavaila Waavaila….

Momin* Ye Qayamat Hai Barpa

Hai Sar Pe Buka Sab Aale Aba

Sarwar Ne Kaleja Thaam Liya

Jab Aake Sakina Ne Poocha

 

 

 

Baba Mere Ammu Darya Se

Aaye Na Palat Kar Wavaila

Waavaila Waavaila….

 

 

 

  1. Janab Mujahid Lucknowi

22.1. Qadam Qadam Pe Ali Ko Pukarte Rehna

 

Qadam Qadam Pe Ali Ko Pukarte Rehna

Rawan Hai Kashti E Emaan Isi Sahare Se

Na Ruk Sakegi Ye Zulm O Sitam Ke Dharey Se

Ali Ke Naam Pe Lag Jayegi Kanare Se

Har Ek Mauj Se Saahil Ubharte Rehna

Qadam Qadam Pe Ali Ko Pukarte Rehna

Rahe Hayat May Manzil Ko Dhoondne Walon

Talashe Haq May Na Dar Dar Ki Thokare Khao

Hamari Mano To Suye Najaf Chale Aao

Is Aasthane Pe Kismat Sawarte Rehna

Qadam Qadam Pe Ali Ko Pukarte Rehna

Ali Hai Name Khuda Aur Ibne Adam Hai

Yehi Wo Naam Hai Jispar Baqa E Aalam Hai

Khuda Ke Ghar May Jo Ubhra Wo Naqsh Mohkam Hai

Ye Naqsh Dil May Har Ek Ke Utarte Rehna

Qadam Qadam Pe Ali Ko Pukarte Rehna

Nabi Gawah Hai Zikre Ali Ibadat Hai

Amal Ye Nayk Hai Sabse Badi Sa-Adat Hai

Ali Ke Naam Pe Maut Aaye To Shahadat Hai

Nazha Ke Waqt Bhi Usko Pukarte Rehna

Qadam Qadam Pe Ali Ko Pukarte Rehna

Na Koi Ghazwa E Kyber May Jabke Kaam Aaya

Rasool E Paak Ke Lab Par Ali Ka Naam Aaya

Idhar Zaban Hili Thi Udhar Imam Aaya

Ke Jiska Kaam Hai Bigdi Sawarte Rehna

Qadam Qadam Pe Ali Ko Pukarte Rehna

Kabhi Jo Maareka E Haq Ki Baat Aayegi

Nigah E Fikr Hunar Aap Par Bhi Jayegi

Hunanin O Badr O Ohad Karbala Batayegi

Likha Hai Kiske Muqaddar May Haarte Rehna

Qadam Qadam Pe Ali Ko Pukarte Rehna

Bataye Sochke Wo Hifz Jinko Quran Hai

 

 

 

Ke Jo Ali Ka Maane Wo Kab Musalman Hai

Mujahid* Apna To Nad E Ali Pe Emaan Hai

Isi Sahare Se Hasti Guzarte Rehna

Qadam Qadam Pe Ali Ko Pukarte Rehna

22.2. Alwida Alwida Alwida Ay Hussain

 

Alwida Alwida Alwida Ay Hussain

Ye Sadaye Fughan Aur Ye Majlise

Matamo Nowha Aur Gham Ki Ye Zeenate

Chahat Hai Ye Dil Yuhin Qayam Rahe

Aah Phat-Ta Hai Dil Kis Tarha Ye Kahe

Alwida Alwida Alwida Ay Hussain

Mere Mehmaan Hai Aakhri Ye Salaam

Tujhpe Qurban Hai Aakhri Ye Salaam

Shahe Zeeshan Hai Aakhri Ye Salaam

Dil Hai Veeran Hai Aakhri Ye Salaam

Alwida Alwida Alwida Ay Hussain

Baksh De Hogayi Ho Jo Koi Khata

Haq Se Qidmat Na Humse Ada Ho Saka

Gham Yehi Hai Na Ji Bhar Ke Matam Kiya

Teri Khaatir Na Kyun Apna Sar Dediya

Alwida Alwida Alwida Ay Hussain

Gar Jiye Saal Bhar Phir Karenge Ye Gham

Royenge Phir Tere Gham May Milkar Ba-Ham

Aur Agar Margaye To Ye Hoga Alam

Haaye Afsos Jee Bhar Ke Roye Na Hum

Alwida Alwida Alwida Ay Hussain

Alwida Ay Hussain Ay Hussain Alwida

Alwida Ay Shahe Mashraqain Alwida

Binte Ahmed Ay Noore Ain Alwida

Hai Mujahid* Ke Lab Par Ye Bain Alwida

Alwida Alwida Alwida Ay Hussain

22.3. Honton Pe Mere Namay Ali Namay Ali Hai

 

Honton Pe Mere Namay Ali Namay Ali Hai

Sun Kar Jise Mushkil Badi Mushkil May Padi Hai

 

 

 

Apna To Wohi Rab Wohi Quran O Nabi Hai

Chauda Sau Baras Pehle Jo Tha Deen Wohi Hai

Honton Pe Mere Namay Ali Namay Ali Hai

Hai Baara Imamo Ki Wohi Rehbari Ab Bhi

Ek Baat Bhi Is May Na Badi Hai Lagti Hai

Honton Pe Mere Namay Ali Namay Ali Hai

Hai Panjetane Paak Kisi Rab Se Ibarat

Apne Liye Jo Raahe Amal Humne Chuni Hai

Honton Pe Mere Namay Ali Namay Ali Hai

Maa Kehti Thi Qasim To Suye Khuld Sidhaare

Kubra Ke Muqaddar May Likhi Dar Badari Hai

Honton Pe Mere Namay Ali Namay Ali Hai

Bano Ka Ye Nauha Ke Kab Aaoge Asghar

Aghosh May Lene Ko Ye Maa Dar Pe Khadi Hai

Honton Pe Mere Namay Ali Namay Ali Hai

Gardan Se Sakeena Ke Koi Khol De Rassi

Bachi Ka Gala Ghut-Ta Hai Ab Saans Ruki Hai

Honton Pe Mere Namay Ali Namay Ali Hai

Zainab Ne Kaha Chor Gayi Saath Sakeena

Nanhi Si Lehad Sham Ke Zindan May Bani Hai

Honton Pe Mere Namay Ali Namay Ali Hai

Shehzadi Kahi Jaati Thi Koofe May Jo Zainab

Be-Parda Wohi Ab Sare Darbar Khadi Hai

Honton Pe Mere Namay Ali Namay Ali Hai

Beti Hai Yehi Fathema Zehra O Ali Ki

Bazaaron May Jo Saath Chali Jo Ke Phiri Hai

Honton Pe Mere Namay Ali Namay Ali Hai

Ye Matame Sheh Zeest Ka Haasil Hai Mujahid*

Dam Seene May Hai Jab Tak Yehi Nauhagiri Hai

Honton Pe Mere Namay Ali Namay Ali Ha I

22.4. Hur Ka Sar Hai Zaanuye Shabbir Hai

 

Hur Ka Sar Hai Zaanuye Shabbir Hai

 

 

 

Marne Wale Kya Teri Taqdeer Hai

Hur Ka Sar Hai Zaanuye Shabbir Hai

Khuaf Kya Mehshar* Daaman-Geer Hai

Haath May Jab Daamane Shabbir Hai

Hur Ka Sar Hai Zaanuye Shabbir Hai

Apne Apno Ke To Kaam Aate Hai Sab

Ha Ali Maula-E-Aalam Geer Hai

Hur Ka Sar Hai Zaanuye Shabbir Hai

Kyon Na Ho Mai Hoo Ghulame Bu Turaab

Baaghe Jannat Han Meri Jageer Hai

Hur Ka Sar Hai Zaanuye Shabbir Hai

Gar Hata Do Noor-E-Ahle Bayt Ko

Kaunsi Islam May Tanveer Hai

Hur Ka Sar Hai Zaanuye Shabbir Hai

Aap Ne Jo Khwab Dekha Tha Khaleel

Karbala Us Khwab Ki Tabeer Hai

Hur Ka Sar Hai Zaanuye Shabbir Hai

Naam Hai Mera Azadare Hussain

Kaam Mera Matame Shabbir Hai

Hur Ka Sar Hai Zaanuye Shabbir Hai

.

Dekh Ummat Dekh Le Akbar Ki Laash

Ye Nabi Ki Hoo Bahoo Tasveer Hai

Hur Ka Sar Hai Zaanuye Shabbir Hai

Kat Raha Hai Taygh Se Sheh Ka Gala

Aur Baali Par Khadi Hamsheer Hai

Hur Ka Sar Hai Zaanuye Shabbir Hai

Jodta Hai Kyon Kamaan Se Teere Zulm

Hurmula Asghar Ki Kya Taqseer Hai

Hur Ka Sar Hai Zaanuye Shabbir Hai

Laashe Akbar Dekh Kar Maa Ne Kaha

Khwab Kya Dekhe Thay Kya Tabeer Hai

Hur Ka Sar Hai Zaanuye Shabbir Hai

Ek Ali Ke Thi Galay May Reesma

Ek Ali Ke Paaon May Zanjeer Hai

Hur Ka Sar Hai Zaanuye Shabbir Hai

 

 

 

22.5. Raat Bhar Maa Dil Ko Behlati Rahi

 

Yaad Jo Baysheer Ki Aati Rahi

Raat Bhar Maa Dil Ko Behlati Rahi

Tashnakamo Ki Jo Yaad Aati Rahi

Alqama Reh Reh Ke Balkhati Rahi

Raat Bhar Maa Dil Ko Behlati Rahi

Leke Aate Hai Chacha Pani Abhi

Ye Sakeena Sab Ko Samjhati Rahi

Raat Bhar Maa Dil Ko Behlati Rahi

Bole Sheh Awaaz Do Akbar Mujhe

Roshni Aankhon Ki Ab Jaati Rahi

Raat Bhar Maa Dil Ko Behlati Rahi

Roke Laila Ne Kaha Akbar Ke Saath

Dil Ki Har Ek Aarzoo Jaati Rahi

Raat Bhar Maa Dil Ko Behlati Rahi

Muddato Bano Ke Kaano May Sada

Asghare Bayshher Ki Aati Rahi

Raat Bhar Maa Dil Ko Behlati Rahi

Suye Koofa Khaafila Badta Raha

Aur Sakeena Ghurkiya Khaati Rahi

Raat Bhar Maa Dil Ko Behlati Rahi

Raat Bhar Akbar To Soye Chain Se

Maa Sarahne Ashk Barsaati Rahi

Raat Bhar Maa Dil Ko Behlati Rahi

Sheh Ka Gham Jab Se Mujahid* Ko Mila

Har Ghamo Fiqre Jahan Jati Rahi

Raat Bhar Maa Dil Ko Behlati Rahi

 

 

 

  1. Janab Muneer Alam (Muneer) Lucknowi

23.1. Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan – Pape Nawab

 

Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan

Hum-Shakl-E-Payambar Yaad Aaye

Takbeer Ki Aaiye Jaise Sada

Har Ek Ko Akbar Yaad Aaye

Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan

Hum-Shakl-E-Payambar Yaad Aaye

Hasta Jo Koi Baccha Dekha

Chha Maah Ke Asghar Yaad Aaye

Yaad Aaiye Aimoo Ko Karbo-Bala

Ek Dukhiya Maadar Yaad Aiye

Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan

Hum-Shakl-E-Payambar Yaad Aaye

Khat Bhej Ke Yeh Sughra Ne Kaha

Kya Bhool Gaye Mujhko Baba

Deedar Ko Tarsi Hai Dukhiya

Har Waqt Baradar Yaad Aaye

Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan

Hum-Shakl-E-Payambar Yaad Aaye

Ab Asr Ka Sooraj Hai Dhalta

Aur Shimr Ka Khanjar Hai Chalta

Shabbir Ka Aisa Hai Sajda

Ke Sajda-E-Haidar Yaad Aaye

Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan

Hum-Shakl-E-Payambar Yaad Aaye

Kaise Hai Musibat Ranj-O-Alam

Koofe Me Baraina-Sar Hai Haram

Har Simt Khade Hain Na-Mehram

Tatheer Ki Chadar Yaad Aaye

Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan

Hum-Shakl-E-Payambar Yaad Aaye

Meraj-E-Haya Thi Naize Par

Rukta Hi Na Tha Abbas Ka Sar

Kaithe Hai Yeh Zainab Ro-Ro Kar

Bazaar Ke Manzar Yaad Aaye

 

 

 

Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan

Hum-Shakl-E-Payambar Yaad Aaye

Zindaan Se Qaidi Jab Choote

Aur Wapas Yasrab Mein Pauche

Dil Ahl-E-Madina Ke Toote

Har-Ek Ko Sarwar Yaad Aaye

Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan

Hum-Shakl-E-Payambar Yaad Aaye

Kaihe Thi Sakeena Amma-Ja

Besheer Mera Bhaiyya Hain Kahan

Kya Us-Se Kahe Dukhiyari Maa

Besaqta Asghar Yaad Aaye

Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan

Hum-Shakl-E-Payambar Yaad Aaye

Jab Ghar Me Bana Koi Dhoola

Yaad Aa Gaya Qasin Ka Sera

Nauha Bhi Pada, Maatam Bhi Kiya

Aur Dilbar-E-Shabbar Yaad Aaye

Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan

Hum-Shakl-E-Payambar Yaad Aaye

Jis Jaah Par Kahi Paani Barse

Aur Dekhe Humne Khet Hare

Asghar Ka Laho Rukh Par Apne

Malte Hue Sarvar Yaad Aaye

Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan

Hum-Shakl-E-Payambar Yaad Aaye

Yai Kaun Muneer* Apna Hamsalf

Kyonkar Ho Hume Khauf-E-Mehshar

Ho Aakh Gham-E-Shabeer Me Tar

Aur Nazaam-E-Haidar Yaad Aaye

Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan

Hum-Shakl-E-Payambar Yaad Aaye

Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan

Hum-Shakl-E-Payambar Yaad Aaye

 

 

 

  1. Munshi Channoo Lal (Dilgeer) Lucknowi

24.1. Ghabraye Gi Zainab

 

 

Ghabraaegi Zainab,Ghabraaegi Zainab

Bhayyia Ko Madine Mein Kahan Paaye Gi Zainab

Ghabraaegi Zainab, Ghabraaegi Zainab

Ek Din Mein Bhara Ghar Hua Barbaad Ilaahi,

Aaye Who Tabahi

Ab Isko Na Aabad Kabhi Payee Gi Zainab

Ghabraaegi Zainab …

Phat Jayega Bas Dekhte Hi Ghar Ko Kaleja,

Yaad Aaoge Bhaiyya

Dhoondhe Gi Jo Tumko To Kahaan Payegi Zainab

Ghabraaegi Zainab …

Ghar Jaa Ke Kise Dekhe Gi, Qasim Hain Na Abbas,

Asghar Se Bhi Nhai Paas

Apne Ali Akbar Ko Kahan Paye Gi Zainab

Ghabraaegi Zainab …

Beta Ali Akbar Jo Watan Jaaye Gi Naashaad,

Aaye Gi Teri Yaad

Sooni Tere Soone Ki Jaghan Paaye Gi Zainab

Ghabraaegi Zainab …

Poochenge Joh Sab Loug Ke Baazu Pe Huva Kya,

Yeh Neel Hae Kaisa

Kis Kis Ko Nishan Rassi Ke Dikhlaegi Zainab

Ghabraaegi Zainab …

 

 

 

  1. Musharraf Jahan Begum

(Binte Syed Wirasat Ali Rizvi (Fikr) Lucknowi)

25.1. Lene Marne Ki Raza Maan Se Pisar Jaatey Hain

 

Lene Marne Ki Raza Maan Se Pisar Jaatey Hain

Hone Mamu Pe Fida Sipte Ali Jaatey Hain

Tham Kar Apne Kalaje Ko Janaab E Zainab

Kahtin Hain Ruksat E Aakhir Ko Pisar Jaatey Hain

Koi Roke Na Inhe, Fidhia Hain Bhai Ka Mera

Dekho Kis Shaan Se Farzand Mere Jaate Hain

Hai Ayan Jafar O Haidar Ka Ghazab Chehron Se

Saath Mein Khulq E Hasan Apne Liye Jaatey Hain

Hai Dikhane Par Tule Sheer Ki Meri Taseer

Sarbalandi Ke Liye Pesh E Rasool Jaatey Hain

Hai Tama Iski Ke Madar Mere Ghamgeen Na Ho

Baap Ki Aan Par Mitney Ke Liye Jaayey Hain

Hone Mamu Pe Fida Sipte Ali Jaatey Hain

 

 

 

  1. Janab Mushtaq Lucknowi

26.1. Yeh Kahtey The Shah E Wala, Sakina Hum Nahin Hongey

 

Yeh Kahtey The Shah E Ala, Sakina Hum Nahin Hongey

Satayen Ge Thume Aada, Sakina Hum Nahin Hongey

Hume Tum Dhoondne Niklo Gi Jab Shaam-E-Gareeban Mein

Tan E Be-Sar Pada Ho Ga, Sakina Hum Nahin Hongey

Yeh Kahtey The Shah E Ala, Sakina Hum Nahin Hongey

Tamachey Maar Kar Gauhar, Tumhare Chhenay Jaayenge

Jab Aisa Waqt Aayega Sakina Hum Nahin Hongey

Yeh Kahtey The Shah E Ala, Sakina Hum Nahin Hongey

Bhara Darbaar Ho Ga, Aur, Tumhara Imthiyan Lenge

Yazeed E Be-Haya Hoga Sakina Hum Nahin Hongey

Yeh Kahtey The Shah E Ala, Sakina Hum Nahin Hongey

Bujhane Ke Liye Kaun Aayega, Bhadkey Hue Sholay

Jale Ga Jis Ghadi Kheyma, Sakina Hum Nahin Hongey

Yeh Kahtey The Shah E Ala, Sakina Hum Nahin Hongey

Haram Ke Sar Se Chheney Jaye Gi, Chadar Sar E Maqtal

Yeh Zulm E Na Rava Hoga, Sakina Hum Nah In Hongey

Yeh Kahtey The Shah E Ala, Sakina Hum Nahin Hongey

Koi Shikwa Nahin Karna, Agar Pani Na De Aada

Tumhe Tadpayen Ge Pyaasa, Sakina Hum Nahin Hongey

Yeh Kahtey The Shah E Ala, Sakina Hum Nahin Hongey

Hamari Pyaas Ke Saaye Me, Humse Ho Ke Sharminda

Bahe Ga Hashr Tak Dariya, Sakina Hum Nahin Hongey

Yeh Kahtey The Shah E Ala, Sakina Hum Nahin Hongey

 

 

 

  1. Janab Nasir Lucknowi

27.1. Aai Ali Akbar

 

Chalay Maqtal Yeh Kahte Sahe Wala Ai Ali Akbar

Tumhare Baad Hai Andheer Duniya Ai Ali Akbar

Shabi-E-Mustafa Ho Tum Na Jaao Ru-Ba-Ru Inkey

Na Samjho In Yazeedo Ko Ab Apna Ai Ali Akbar

Chalay Maqtal Yeh Kahte Sahe Wala Ai Ali Akbar

Mai Bhooda Baap Hoon Kis Dil Se Keh Doon Jaao Marne Ko

Palat Kar Dekhna Mud-Mud Kar Accha, Ai Ali Akbar

Chalay Maqtal Yeh Kahte Sahe Wala Ai Ali Akbar

Batao Kis Jagha Khayee Hai Barchee, Kuch Pata De Do

Ke Dikhlaye Nahi Deta Hai Rasta Ai Ali Akbar

Chalay Maqtal Yeh Kahte Sahe Wala Ai Ali Akbar

Kaha Laila Ne Ghar Ana, Sitamgar Aa Gaye Ghar Mein

Bachha Lo Aa Ke Maa-Bahenon Ka Parda Ai Ali Akbar

Chalay Maqtal Yeh Kahte Sahe Wala Ai Ali Akbar

Kaleje Se Laga Kar Mayyat-E-Akbar Ko Maa Boli

Khafa Is Palne-Wali Se Ho Kya Ai Ali Akbar

Chalay Maqtal Yeh Kahte Sahe Wala Ai Ali Akbar

Mere Bacche Ko Yun Dhoola Bana Kar Kaun Laya Hai

Keh Kah Kar Ho Gaye Sakte Me Laila Ai Ali Akbar

Yeh Hasrat Thi Dulhan Ek Chand Si Maa Bihya Kar Lati

Tadap Kar Rah Gaye Dil Ki Tammana Ai Ali Akbar

Chalay Maqtal Yeh Kahte Sahe Wala Ai Ali Akbar

Mujhe Le Lenay Aaye Aur Na Apni Khariat Bheji

Yeh Likhti Hai Tumhe Is Khat Me Sughra Ai Ali Akbar

Sakeena Laash Par Rukhsaar Rakh Kar Bain Karti Thi

Chalo Jaldi Se Is Nagri Se Bhaiiya Ai Ali Akbar

27.2. Ashoor Ka Manzar Yaadh Aaya

 

 

 

 

Jab Pyaas Lagi, Ek Hookh Uthi,

Aashoor Ka Manzar Yaad Aaya

Woh Haq Ka Fidayee, Tashnajigar

Dilband-E-Payambar Yaad Aaya

Abbas Nahin, Akbar Bhi Nahin,

Qasim Bhi Nahin, Jaafar Bhi Nahin

Dil Thaam Ke Sarwar Baith Gaye

Eik Eik Ghazanfar Yaad Aaya

Jab Pyaas Lagi, Ek Hookh Uthi

Aashoor Ka Manzar Yaad Aaya

Ai Karbobala Ki Jalti Zameen,

Kya Pyaas Thi Shah Ke Bachchon Ki

Aakhon Se Abbabon Ki Roya,

Dariya Ko Jo Asghar Yaad Aaya

Jab Pyaas Lagi, Ek Hookh Uthi

Aashoor Ka Manzar Yaad Aaya

Hasrat Se Nazar Ki Maqtal Par

Hasrat Se Nazar Ki Maqtal Par

Har Zulm-O-Sitam Par Zainab Ko

Abbas-E-Dilawar Yaad Aaya

Jab Pyaas Lagi, Ek Hookh Uthi

Aashoor Ka Manzar Yaad Aaya

Ek Hookh Si Dil Mein Uthne Lagi,

Bechain Hui, Ghash Kha Ke Giri

Jab Qaid Se Chhut Ke Pouchi Watan

Zainab Ko Bhara Ghar Yaad Aaya

Jab Pyaas Lagi, Ek Hookh Uthi

Aashoor Ka Manzar Yaad Aaya

Kuch Muh Se Na Bole Shah-E-Huda,

Hasrat Se Nazar Ki Charon Taraf

Maula Ko Mere Jo Waqt-E-Aakhir

Chhota Sa Jo Lashkar Yaad Aaya

Jab Pyaas Lagi, Ek Hookh Uthi

Aashoor Ka Manzar Yaad Aaya

Qasim Jo Chale Marne Ke Liye

Kya Yaas Ka Aalam Tha Nasir*

Seeney Se Laga Kar Roye Bohut

Sarwar Ko Biradar Yaad Aaya

Jab Pyaas Lagi, Ek Hookh Uthi

Aashoor Ka Manzar Yaad Aaya

 

 

 

27.3. Kahti The Sakina Ke Na Ab Jaiye Baba

 

Kahti The Sakina Ke Na Ab Jaiye Baba

Har Simt Sitamgar Hain, Laut Aaiyea Baba

Kahti The Sakina …

Mashkiza Mera Naher Se Mangwaea Baba

Be-Haal Sakina Pe Taras Khaiyea Baba

Kahti The Sakina …

Jo Bhi Gaya Maidaan, Woh Zinda Nahi Palta

Ab Dasht Mein Asghar Ko Na Le Jaiyea Baba

Kahti The Sakina …

Pyaasi Hoon Magar Paani Ka Shikwa Na Karoon Gi

Ammu Ko Mere Naher Se Le Aaiyea Baba

Kahti The Sakina …

Jo Mujh Par Guzarti Hai, Kise Par Nahin Guzre

Ab Aa Ke, Na Jaane Ki Qasam Khaiyea Baba

Kahti The Sakina …

Allah Mohafiz Hai Mere Bhai Ka Rann Mein

Karti Hoon Dua, Aap Na Ghabraiyea Baba

Kahti The Sakina …

Badh Badh Ke Jo Dhaate Hain Sitam Hum-Par Sitamgar

Hum Aal-E-Mohammad Hain, Yeh Batlayean Baba

Kahti The Sakina …

Woh Pyaas Hai Bola Bhi Nahin Jaata Hai Mujhse

Mil Jaye Jo Paani Kahin, Bhar Laayea Baba

Kahti The Sakina …

Nasir*, Yehi Khaimon Se Sada Aati Thi Paiham

Aa Jaayea Baba, Aa Jaayea Baba

Kahti The Sakina …

 

 

 

27.4. Pursa Zahra Ko Do Aur Roote Rulate Jao

 

Pursa Zahra Ko Do Aur Roate Rulate Jao

Majlis-E-Gham Hai Yahan Ashk Bahate Jao

Pursa Zahra Ko Do Aur Roate Rulate Jao

Yaas Ne Maan Ki Tadap Kar Kaha Thairo Akbar

Kuch Tasalli Dil-E-Madar Ko Dilate Jao

Pursa Zahra Ko Do Aur Roate Rulate Jao

Baap Ke Dil Ki Tamanna Ne Pukara Akbar

Phir Azan Aa-Ke Meri Laal Sunate Jao

Pursa Zahra Ko Do Aur Roate Rulate Jao

Badh Ke Mayoosi-E-Shabbir Ne Akbar Se Kaha

Laal Murr Murr Ke Zara Shakl Dikhate Jao

Pursa Zahra Ko Do Aur Roate Rulate Jao

Ladkharate Huey Jaate Hain Hussain, Akbar Tak

Ya Ali Aa Ke Zara Raah Dikhate Jao

Pursa Zahra Ko Do Aur Roate Rulate Jao

Lash-E-Akbar Pa Pahonch Kar Shah-E-Bekas Bole

Maa Jo Pooche Kahoon Kya Yeh To Batate Jao

Pursa Zahra Ko Do Aur Roate Rulate Jao

Kaanpte Haaton Pa Maiyyat Hai Jawan Bete Ki

Bacchon Aa Aa Ke Zara Haath Batate Jao

Pursa Zahra Ko Do Aur Roate Rulate Jao

Kis Jagah Soate Ho Ai Hasliyon Waale Mere

Roothne Kitne Ho Aawaz Sunate Jao

Pursa Zahra Ko Do Aur Roate Rulate Jao

Yaade-E-Asghar Me Yeh Bano Ke Hai Bain Ai Nasir*

Kya Khata Maan Ki Hai, Itna To Batate Jao

Pursa Zahra Ko Do Aur Roate Rulate Jao

Majlis-E-Gham Hai Yahan Ashk Bahate Jao

 

 

 

27.5. Zainab Aai Zainab

Https://Www.Youtube.Com/Watch?V=Ogyfz33_R0

Tadapkar Yaas O Hasrat Ne Pukara Zainab Ai Zainab

Tera Maajaya Marne Ko Sidhara Zainab Ai Zainab

Ali Akbar Ne Bahaye Daal Ke Ghode Ki Gardan Mein

Shaqi Ne Zor Se Naiza Jo Mara Zainab Ai Zainab

Ali Akbar Ne Hichke Le Ke Dam Toda To Shah Bole

Basarat Le Gaya Aakhon Ka Tara Zainab Ai Zainab

Wafa-E-Hazarat-E Abbas Yeh Boli Na Ghabrao

Abhi Hai Sher Sa Bhaai Tumhara Zainab Ai Zainab

Shujhaat Hazarat-E-Abbas Ki Ghut Ghut Ke Yreh Boli

Bahut Majboor Hai Bhai Tumhara Zainab Ai Zainab

Hua Kohram Sab Ahle Haram Sar Peet Kar Roye

Dam-E-Rukhsat Jab Sarwar Ne Pukara Zainab Ai Zainab

Baraye Bad-Dua Zainab Ne Jab Soo-E-Falak Dekha

Gulu-E-Shah Ne Hasrat Se Pukara Zainab Ai Zainab

Tadapkar Yaas O Hasrat Ne Pukara Zainab Ai Za Inab

Bahen Ghabraye Jab Nasir* Sukoot-E-Sha Ne Farmaya

Nahin Ab Koi Bhi Nasir* Hamara Zainab Ai Zainab

Tadapkar Yaas O Hasrat Ne Pukara Zainab Ai Zainab

Tera Maajaya Marne Ko Sidhara Zainab Ai Zainab

 

 

 

  1. Janab Rahbar Sahib

28.1. Maa Dehk Na Paye Ali Akbar Tera Sehra

 

Maa Dekh Na Paye Ali Akbar Tera Sehra

Rakkhen Hain Nigahon Mein Saja Kar Tera Sehra

Thi Dil Mein Tamanna Main Tere Shaadi Rachaon

Aur Bhiya Ke Main Teri Dulhan Chand Si Laaon

Armaan Tha Ke Dekhti Madar Tera Sehra

Maa Dekh Na Paye Ali Akbar Tera Sehra

Rakkhen Hain Nigahon Mein Saja Kar Tera Sehra

Attharan Baras Paal Ke Parwaan Chadaya

Jab Bhiya Ke Din Aaye To Duniya Se Sidhara

Maa Dekh Na Paye Mere Dilbar Tera Sehra

Maa Dekh Na Paye Ali Akbar Tera Sehra

Rakkhen Hain Nigahon Mein Saja Kar Tera Sehra

Khil Jaati Kali Sehre Ki Main Dekh To Leti

Maa Le Ke Balayen Yehi Ro Ro Ke Hai Kahti

Mitti Mein Mila Aa Ke Yaha Par Tera Sehra

Maa Dekh Na Paye Ali Akbar Tera Sehra

Rakkhen Hain Nigahon Mein Saja Kar Tera Sehra

Ai Laal Tujhe Bhej Ke Sughra Ko Bulati

Mehndi Tere Haaton Mein Wohi Aa Ke Lagati

Aachal Se Chupati Tere Khawar Tera Sehra

Maa Dekh Na Paye Ali Akbar Tera Sehra

Rakkhen Hain Nigahon Mein Saja Kar Tera Sehra

Mehndi Who Lagati To Use Negh Bhi Milta

Shadi Bhi Tere Hoti Bohut Dhoom Se Beta

Maa Leti Balaye Dil E Haider Tera Sehra

Maa Dekh Na Paye Ali Akbar Tera Sehra

Rakkhen Hain Nigahon Mein Saja Kar Tera Sehra

Sehre Se Nikalten Tere Zulfon Ki Shuawen

Maa Dekh Ke Dete Tujhe Has Has Ke Duawen

Bandhoon Gi Tassawur Me Tere Sar Tera Sehra

Maa Dekh Na Paye Ali Akbar Tera Sehra

Rakkhen Hain Nigahon Mein Saja Kar Tera Sehra

 

 

 

Hai Waqt E Azan Uttho Mere Gesoo E Wale

Phir De Do Azan Maa Hai Teri Dil Ko Samhale

Arman Gaya Dil Mein Chupa Kar Tera Sehra

Maa Dekh Na Paye Ali Akbar Tera Sehra

Rakkhen Hain Nigahon Mein Saja Kar Tera Sehra

Pahlu Mein Tere Baithte Phir Aun O Mohammad

Laa Kar Main Lagati Tere Saath Hi Yahan Masnad

Aur Dekhte Abbas E Dilawar Tera Sehra

Maa Dekh Na Paye Ali Akbar Tera Sehra

Rakkhen Hain Nigahon Mein Saja Kar Tera Sehra

Ji Bhar Ke Teri Shakl Ko Maa Dekh Na Paye

Bin Bhiya Ke Ai Laal Tujhe Maut Hai Aaye

Yeh Zakhm E Jigar Kha Gaya Dilbar Tera Sehra

Maa Dekh Na Paye Ali Akbar Tera Sehra

Rakkhen Hain Nigahon Mein Saja Kar Tera Sehra

Jangal Mein Luti Hai Teri Bharpoor Jawaani

Hasrat Hi Bachi Dil Mein Mere Teri Nishani

Maqtal Se Utha Khoon Mein Naha Kar Tera Sehra

Maa Dekh Na Paye Ali Akbar Tera Sehra

Rakkhen Hain Nigahon Mein Saja Kar Tera Sehra

Duhla Main Banaoon Gi Tassawur Mein Tujhe Laal

Kahti Hai Yehi Laash Pe Maa Khole Hue Baal

Maa Dekhne Paye Na Tere Sar Tera Sehra

Maa Dekh Na Paye Ali Akbar Tera Sehra

Rakkhen Hain Nigahon Mein Saja Kar Tera Sehra

Kahti Hai Yehi De Ke Dua Fatima Zahera

Rahbar* Ne Likha Khoob Mere Laal Ka Nauha

Ta Hashr Padha Jaye Ga Akbar Tera Sehra

Maa Dekh Na Paye Ali Akbar Tera Sehra

Rakkhen Hain Nigahon Mein Saja Kar Tera Sehra

 

 

 

  1. Janab Raqam Saheb

29.1. Kartay Hain Matam Haram Abbas Ka

Https://Www.Youtube.Com/Watch?V=Llps -D11htk

Kartay Hain Matam Haram Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Aata Hain Zakhmi Alam Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Kartay Hain Matam Haram Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Hai Lab-E-Naher Hua Kya Ghazab

Teer Laga Mashk-E-Sakina Par Jab

Aa Gaya Hoton Par Dam Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Kartay Hain Matam Haram Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Kahtey Hain Ro-Ro Ke Yeh Ahl-E-Haram

Jao Hasham Sabr-O-Raza Aur Karam

Kis Taraf Bhoolen Ge Hum Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Kartay Hain Matam Haram Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Le Ke Shanenshah-E-Wafa Say Hayaat

Choomne Qadmon Ko Badhi Khud Furhaat

Dekhte Jaao Hasham Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Kartay Hain Matam Haram Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Shah Ke Ghamkhaar Par Har Ek Pal

Shah Ke Azaadaar Par Har Ek Pal

Hota Hai Ab Bhi Karam Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Kartay Hain Matam Haram Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

 

 

 

Phir Mere Maula Se Na Sambhla Alam

Pani Baha Ho Gaya Thanda Alam

Mashk Me Shayad Tha Dam Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Kartay Hain Matam Haram Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Ab Bhi Hai Basheer Par Maqtal Ki Yaad

Rahti Hai Baqi Shah-E-Karbal Ki Yaad

Phir Bhi Hai Oocha Alam Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Kartay Hain Matam Haram Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Gham Se Sakina To Wahin Ruk Gaye

Shah-E-Madina Ki Kamar Jhuk Gaye

Jab Hua Baazoo Qalam Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Kartay Hain Matam Haram Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Ab Kahan Bujh Payee Gi Dukhya Ki Pyaas

Toot Gaye Bali Sakina Ki Aas

Ho Gaya Baazoo Qalam Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Kartay Hain Matam Haram Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Ashk Ke Lahoo Ro Diya Charkh-E-Gohan

Ro Diyea Be-Sakhta Shah-E-Zaman

Dekh Ke Chalni Alam Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Kartay Hain Matam Haram Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Kahtey Hain Ro-Ro Ke Yeh Ahl-E-Haram

Jao Hasham Sabr-O-Raza Aur Karam

Kis Taraf Bhoolen Ge Hum Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

 

 

 

Kartay Hain Matam Haram Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Naize Pe Us Paara-E-Quran Ke Saath

Jaye Hain Ghamkhaar Bhi Aza Ke Saath

Padhta Hai Nauha Raqam* Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

Kartay Hain Matam Haram Abbas Ka

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka

 

 

 

  1. Raushan Jahan Begum

(Binte Syed Wirasat Ali Rizvi (Fikr) Lucknowi)

30.1. 20 Muharram – Meire Bhaai Ka Daswaan Ho Kyonkar

 

Bayn Karti Theen Zainab Yeh Roakar,

Meire Bhaai Ka Daswaan Ho Kyonkar

Fateha Kis Tarah De Yeh Khwaahar,

Meire Bhaai Ka Daswaan Ho Kyonkar

Ab Na Akbar Hain Na Aun O Jaafer,

Lutt Gaya Karbala Mein Bhara Ghr

Kaun Le Ab Khabar Haaey Aakar,

Meire Bhaai Ka Daswaan Ho Kyonkar

Fateha Doon Main Kis Kis Ka Bhai,

Lutt Gai Haaey Meri Kamaai

So Rahe Hain Zameen Par Bahattar,

Meire Bhaai Ka Daswaan Ho Kyonkar

Hai Sakeena Ki Woh Ghair Haalat,

Deikhi Jaati Nahin Uski Soorat

Roati Hai Raat Din Woh Baraabar,

Meire Bhaai Ka Daswaan Ho Kyonkar

Ab Na Abbas Hain Aur Na Qaasim,

Hai Madad Meiri Iss Waqt Laazim

Tumko Roane Na Paai Yeh Khwahar,

Meire Bhaai Ka Daswaan Ho Kyonkar

Haaey Asghar Ko Bhi Teer Maara,

Auur Akbar Bhi Jannat Sidhaara

Zakhm Dil Par Lage Hain Bahattar,

Meire Bhaai Ka Daswaan Ho Kyonkar

Zaalimon Ne Sitam Kaisa Dhaaya,

Dasht’e Ghurbat Mein Mujhko Sataaya

Koi Waaris Raha Ab Na Sar Par,

Meire Bhaai Ka Daswaan Ho Kyonkar

Dil Larazte They Seene Mein Raushan*,

Runj Se Kaanp Jaata Tha Har Tan

Jab Yeh Kahti Thi Sarwar Ki Khwahar,

Meire Bhaai Ka Daswaan Ho Kyonkar

 

 

 

  1. Janab Raza Lucknowi

31.1. Hussain Hote Hain Rukhsat Kaho Khuda Hafiz

 

Hussain Hote Hain Rukhsat Kaho Khuda Hafiz

Dilon Ki Ghair Hai Halat Kaho Khuda Hafiz

Hussain Hote Hain Rukhsat Kaho Khuda Hafiz

Musafiron Ka Muharram Mana Lo Ahl-E-Aza

Jo Aag Dil Mein Lagi Hai Bhuja Lo Ahl-E-Aza

Tum Apni Aakhon Mein Aasoon Saja Lo Ahl-E-Aza

Hai Ek Raat Ki Zahmat Kaho Khuda Hafiz

Hussain Hote Hain Rukhsat Kaho Khuda Hafiz

Baha Ke Ashq Dil-E-Fatima Ko Yaad Karo

Dil-E-Rasool Ki Poori Har Ek Muraad Karo

Laga Tha Seena-E-Akbar Par Zakhm Yaad Karo

Mile Gi Qalb Ko Raahat Kaho Khuda Hafiz

Hussain Hote Hain Rukhsat Kaho Khuda Hafiz

Alam Utha Ke Alamdar Ko Karo Rukhsat

Zameen Par Baith Kar Beemar Ko Karo Rukhsat

Saron Ko Peet Kar Sardaar Ko Karo Rukhsat

Bana Ke Nannhi Si Turbat Kaho Khuda Hafiz

Hussain Hote Hain Rukhsat Kaho Khuda Hafiz

Bujha Charaag To Tareekh Yeh Zamana Hua

Udaas Udaas Mere Ghar Ka Aashiana Hua

Rasoolzada Sue Karbala Rawana Hua

Rasool-E-Paak Ki Ummat Kaho Khuda Hafiz

Hussain Hote Hain Rukhsat Kaho Khuda Hafiz

Raza* Na Haath Se Choote Hussain Ka Daman

Sada Barasta Rahe Aasoon Ka Yeh Sawan

Aza-E-Shah Se Mahekta Raha Mera Gulshan

Nakam Ho Shah Ki Mohabbat Kaho Khuda Hafiz

Hussain Hote Hain Rukhsat Kaho Khuda Hafiz

 

 

 

31.2. Zainab Yeh Bain Kartin Thin, Baba Ab Aaiyea

 

Zainab Yeh Bain Kartin Thin, Baba Ab Aaiyea

Teeron Par Hai Hussain Ka Laasha, Ab Aaiyea

Teeron Par Teer Chalte Thay Bekas Hussain Par

Hilta Tha Arsh E Kibriya Zainab Ke Bain Par

Hai Ro Tadap Ke Teer Shah E Mashreqain Par

Kya Kya Guzar Gaye Mere Bhai Hussain Par

Baki Nahi Hai Koi Sahara, Ab Aaiyea

Zainab Yeh Bain Kartin Thin, Baba Ab Aaiyea

Teeron Par Hai Hussain Ka Laasha, Ab Aaiyea

Teeron Se Chur Chur Hain Maqtal Mein Shah E Deen

Haye Tapta Hua Sehra Hai Aur Jalti Hui Zameen

Dam Lene Ko Maidan Mein Saaya Kahin Nahin

Baaloon Se Jhadti Hai Maa Jalti Hui Zameen

Girta Hai Zein Se Laal Tumhara,Ab Aaiyea

Zainab Yeh Bain Kartin Thin, Baba Ab Aaiyea

Teeron Par Hai Hussain Ka Laasha, Ab Aaiyea

Baarish Mein Teer O Tegh Ke Sajda Ada Kiya

Sajde Mein Sar Gareeb Ka Tan Se Juda Kiya

Aaye Sada Yeh Zaherra Ki, Haaye Yeh Kya Kiya

Haye Charag E Kaaba E Eeman Bhuja Diya

Roti Hai Baithi Khaak Pe Zaherra, Ab Aaiyea

Zainab Yeh Bain Kartin Thin, Baba Ab Aaiyea

Teeron Par Hai Hussain Ka Laasha, Ab Aaiyea

Zainab Ne Jab Hata Diya Parda Khayam Ka

Dil Gham Se Choor Ho Gaya Bekas Imaam Ka

Naizey Par Sar Tha Haye, Shah E Tashnakaam Ka

Manzar Nazar Mein Aa Gaya Bazaar E Shaam Ka

Zainab Ko Be-Ridaye Se Baba Bachaiyea

Zainab Yeh Bain Kartin Thin, Baba Ab Aaiyea

Teeron Par Hai Hussain Ka Laasha, Ab Aaiyea

Ithe Chubhe Thay Teer Tan E Naazaneen Par

Ek Sajda Bhi Mohal Tha Karna Zameen Par

Kaise Sambhalta Bekas O Laachar Zein Par

Faryaad Ka Asar Na Hua Kuch Laeen Par

Khanjar Se Mere Bhai Ko, Baba Bachayea

Zainab Yeh Bain Kartin Thin, Baba Ab Aaiyea

Teeron Par Hai Hussain Ka Laasha, Ab Aaiyea

 

 

 

Seene Par Zanu Rakh Ke Chada Shimr Bad-Shiyar

Jithe Chubhe They Teer, Huey Tan Ke Aar-Paar

Tadpe Hussain Khaak Pe Nikle Lahu Ki Dhaar

Chillayi Sar Ko Peet Ke Zainab Jigar Figaar

Mojiznuma Hain Mojiza Ab To Dikhayea

Zainab Yeh Bain Kartin Thin, Baba Ab Aaiyea

Teeron Par Hai Hussain Ka Laasha, Ab Aaiyea

Reeti Ko Zalzala Tha, Gahen Mein Tha Aaftaab

Dooba Hua Lahu Mein Tha Zaherra Ka Mahataab

Waqt E Zawaal Dhoop Ki Shiddat Thi Behisaab

Dil Ghamon Se Raza* Ho Gaya, Zainab Ka Aab Aab

Waqt E Madad Hai, Yaa Ali Tashreef Laiyea

Zainab Yeh Bain Kartin Thin, Baba Ab Aaiyea

Teeron Par Hai Hussain Ka Laasha, Ab Aaiyea

 

 

 

  1. Janab Riza Lucknowi

32.1. Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey

 

Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey

Har Eh Aakh Hai Darya Ali Shaheed Huey

Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey

Nabi Ke Baad Yeh Nafs E Nabi Ki Rukhsat Hai

Hai Sogwaar Madina Ali Shaheed Huey

Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey

Lagaye Sajde Me Zarbat Jo Ibn-E-Muljim Ne

Laraz Ke Rah Gaya Kaaba Ali Shaheed Huey

Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey

Yeh Kaisa Zulm Kiya Toone Zarbat-E-Qatil

Lahoo-Lahoo Hai Musalmaan Ali Shaheed Huey

Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey

Hasan Hussain Par Toota Musibaton Ka Pahad

Utha Rahen Hain Janazaali Shaheed Huey

Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey

Pacchade Khaaten Hain Ghar Bhar Mein Zainab O Kulsoom

Uttha Hai Baap Ka Saaya Ali Shaheed Huey

Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey

Khuda Ke Baad Sahara Tha Jis-Se Woh Na Raha

Hai Gibraeel Ko Sadma Ali Shaheed Huey

Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey

Lipat Ke Maa Se Yeh Abbas Ne Kaha Ro Kar

Ghazab Hua Mere Baba Ali Shaheed Huey

Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey

Naamazion Ke Hain Aakhon Mein Khoon Ke Aasoo

Udaas Udaas Hai Sajda Ali Shaheed Huey

Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey

Hai Aaj Hoor O Malak Ki Siyah Pooshaken

Hai Kayanaat Ko Sadma Ali Shaheed Huey

Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey

 

 

 

Jabeen Se Khoon Jo Tapka To Ro Diya Ramzaan

Tadap Ke Bola Yeh Qibla Ali Shaheed Huey

Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey

Riza Jo Likh Chuka Nauha To Yeh Qalam Ne Kaha

Hasan Ko Dejyea Pursa Ali Shaheed Huey

Zuba Zuba Pe Hai Nauha Ali Shaheed Huey

 

 

 

  1. Janab Sadr Ijtehadi

33.1. Aye Mere Bezubaan Khuda Hafiz

 

Aye Mere Bezubaan, Khuda Hafiz

Ro Ke Kehti Thi Maa, Khuda Hafiz

Aye Mere Bezubaan Khuda Hafiz

Haye Ab Goad Ho Gayi Khali

Kho Gaye Tum Kahan, Khuda Hafiz

Aye Mere Bezubaan, Khuda Hafiz

Ai Mere Chand, Tum Ho Turbat Mein

Hai Andhera Yahan, Khuda Hafiz

Aye Mere Bezubaan, Khuda Hafiz

Tum Na Itna Hame Bata Ke Gaye

Ab Milo Ge Kahan, Khuda Hafiz

Aye Mere Bezubaan, Khuda Hafiz

Dekh Lo Jal Raha Hai Who Khema

Uth Raha Hai Duhan, Khuda Hafiz

Aye Mere Bezubaan, Khuda Hafiz

Tumko Dhoonde Ge Toot Kar Taren

Roye Ga Aasmaan, Khuda Hafiz

Aye Mere Bezubaan, Khuda Hafiz

Qabr Mein Tumko Dekhne Ke Liye

Kis Tarhan Aaye Maa, Khuda Hafiz

Aye Mere Bezubaan, Khuda Hafiz

Tum To Mojiznuma Ke Bete Ho

Muh Se Kah Do Ke Haan, Khuda Hafiz

Aye Mere Bezubaan, Khuda Hafiz

Haye Ab To Rasan Mein Hain Bazoo

Lut Ke Jaati Hai Maa, Khuda Hafiz

Aye Mere Bezubaan, Khuda Hafiz

Sadr* Yeh Bain Rann Mein The Maa Ke

Who Chala Karawaan, Khuda Hafiz

Aye Mere Bezubaan, Khuda Hafiz

 

 

 

33.2. Ek Maa Ka Yeh Ran Me Nala Hai

 

Ek Maa Ka Yeh Ran Me Nala Hai

Subha Ka Chaak Chaak Hai Seena

Shaam E Gham Ka Libaas Kaala Hai

Ek Maa Ka Yeh Ran Me Nala Hai

Jaan Le Li Diya Nahin Paani

Yeh Tarika Yahan Nirala Hai

Ek Maa Ka Yeh Ran Me Nala Hai

Yeh To Batlao Tum Gao Ho Jahan

Koi Jhoola Jhulane Wala Hai

Ek Maa Ka Yeh Ran Me Nala Hai

De Diya Shah Ki Goad Mein Maine

Yeh Na Samjhi Thi Chuttne Wala Hai

Ek Maa Ka Yeh Ran Me Nala Hai

Jab Suna Rann Mein Mar Gaya Bachcha

Maa Ne Mushkil Se Dil Sambhala Hai

Ek Maa Ka Yeh Ran Me Nala Hai

Sadr* Kismat Ka Kyon Karo Shikwa

Ho Rahe Ga Jo Hone Wala Hai

Ek Maa Ka Yeh Ran Me Nala Hai

 

 

 

  1. Janab Safdar Mehdi Jarwali

34.1. Aap Par Ai Mere Maula Mere Rehbar Par Salaam

 

Aap Ko Ai Mere Maula Ai Mere Rehbar Salaam

Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Kah Rahen Yeh Dar-O-Dewaar Ro-Ro Kar Salaam

Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Manzar-E-Qatle Hussain-Ibne-Ali Nazron Mein Hai

Kah Rahe Hai Taaziya Uthne Ka Yeh Manzar Salaam

Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Yeh Yawan Kahtey Hain Ro-Ro Kar Alam Ko Dekh Kar

Ai Mwre Abbas E Ghazi, Bazoo E Sarwar Salaam

Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Ghar Luta, Bachche Chhute, Bhai Chhute, Chadar Chhini

Kah Rahi Hain Auratey Ai Zainab E Muztar Salaam

Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Waqt E Rukhsat Rah Gaye Bali Sakina Quaid Mein

Sab Kaneezane Sakina Kahtey Hain Ro Kar Salaam

Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Saal Bhar Zinda Rahey To Phir Padhey Ge Alwida

Warna Maula Hum Kaheynge Qabr Mein Rah Kar Salaam

Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Zindigi Ka Kya Bharosa, Kal Rahen Ya Na Rahen

Aayie Maula Ko Kar Lein Aaj Dil Bhar Kar Salaam

Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Aap Ki Khidmat Na Ho Saki Mere Imaam

Hum Boohat Nazim Hain Maula Hum Karen Kyonkar Salaam

Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Phir Azakhane Sajen Ge Aap Ke Gham Mein Hussain

Hind Mein Phir Aayeaga Aye Mere Sarwar Salaam

Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Jaa Rahey Hain Mere Ghar Se Mehmaan E Karbala

 

 

 

Kah Rahey Hain Anjuman Ke Yeh Sabhi Mimber Salaam

Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

Zahiroon Se Ilteja Hai Jaa Kar Rauzey Par Kahey

Mere Maula Kah Raha Hai Aap Ka Safdar* Salaam

Alvida, Alvida, Alvida, Alvida

 

 

 

  1. Janab Sahir Faizabadi

35.1. Karbala Walon May Dekho Hosla Islam Ka

 

Karbala Walon May Dekho Hosla Islam Ka

Sar Kata Kar Sar Kiya Hai Maareka Islam Ka

Karbala Walon….

Sochta Hoo Kya Banega Ya Khuda Islam Ka

Har Kaso Na Kas Rehnuma Islam Ka

Karbala Walon….

Jab Bhi Dekha Hai Ghalat Haaton May Lashkar Ka Alam

Doobta Suraj Nazar Aane Laga Islam Ka

Karbala Walon….

Fathe Khyber Ya Mohamed Ab Koi Mushkil Nahi

Lijiye Wo Aagaya Mushkil Kusha Islam Ka

Karbala Walon….

Marhaba Ay Na Khudaye Kashtiye Ahle Haram

Tum Nahi Hotay To Beda Ghark Tha Islam Ka

Karbala Walon….

Kaun Kehta Hai Mulukiyat Ko Islami Nizam

Dushmane Islam Se Kya Waasta Islam Ka

Karbala Walon….

Taqte Shahi Par Rahe Ya Zere Damane Hussain

Karbala May Ho Chuka Faisla Islam Ka

Karbala Walon….

 

 

 

  1. Janab Salik Lucknowi

36.1. Ashoor Ko Jalte Khaimon Mein

 

Ashoor Ko Jalte Khaimon Mein

Kya Janiye Kya-Kya Choot Gaya

Ashoor Ko Jalte Khaimon Mein

Kya Janiye Kya-Kya Choot Gaya

Ghabra Ke Nikal Aiye Baano

Besheer Ka Jhoola Choot Gaya

Ashoor Ko Jalte Khaimon Mein

Noor Aakhon Ka Akbar Le Ke Gaye

Nazron Mein Andhera Choot Gaya

Yuh Laash Uthaye Maula Ne

Barchi Mein Kaleja Choot Gaya

Ashoor Ko Jalte Khaimon Mein

Darya Ke Kanare Mehmani

Aur Band Tha Kismat Se Paani

Ay Bahte Maujon Dekh To Lo

Besheer Bhi Pyaasa Choot Gaya

Ashoor Ko Jalte Khaimon Mein

Islam Ki Nazren Dekh To Ley

Imaan Zara Paichaan To Ley

Yeh Kaun Hai Bibi Kufe Mein

Yeh Kiska Parda Choot Gaye

Ashoor Ko Jalte Khaimon Mein

Saahil Ke Qareeb Ghode Se Girey

Abbas Ko Jalti Khaak Mile

Shabbir Ka Daaman Chhut Na Saka

Behta Hua Darya Choot Gaya

Ashoor Ko Jalte Khaimon Mein

Yeh Para-Para Laasha Hai

Shabbir Ka Jalti Reti Par

Yeh Chaliye Aalam Jhukney Ko

Ya Khaak Pa Kaba Choot Gaya

Ashoor Ko Jalte Khaimon Mein

 

 

 

Chhey Maa Ke Bacche Ki Himmat

Anjaam Se Nazre Takraye

Hoton Par Hasi Lahrane Lagi

Besheer Ka Rona Choot Gaya

Ashoor Ko Jalte Khaimon Mein

Kya Le Ke Gaye Kya Le Jaate

Bano Ko Nishani De Ke Gaye

Ek Khali Jhoola Choot Gaya

Ek Nanha Sa Kurta Choot Gaya

Ashoor Ko Jalte Khaimon Mein

36.2. Hasher Ek, Zainab-E-Dilgeer Liye Baithey Hai

 

Hasher Ek, Zainab-E-Dilgeer Liye Baithey Hai

Dil Mein Apne Gham E Shabbir Liye Baithi Hai

Hasher Ek, Zainab-E-Dilgeer Liye Baithey Hai

Koofa O Shaam Se Sajjad Abhi Guzren To

Gham E (Unclear) Jigar Mein Liye Baithey Hai

Hasher Ek, Zainab-E-Dilgeer Liye Baithey Hai

Shah Se Kah De Koi Masoom Ki Gardan Ke Liye

Hai Kamaan Zulm Ka Ek Teer Liye Baithey Hai

Hasher Ek, Zainab-E-Dilgeer Liye Baithey Hai

Kha Ke Barchi Ki Ani Khaakh Par Soney Waley

Umm E Laila Teri Tasweer Liye Baithey Hai

Hasher Ek, Zainab-E-Dilgeer Liye Baithey Hai

Yaad E Besheer Mein Jhooley Ke Kareeb Aag Gaye Rabaab

Dil Mein Ek Chand Si Tasweer Liye Baithey Hai

Hasher Ek, Zainab-E-Dilgeer Liye Baithey Hai

Aaaye Ab Chain Sakeena Ko Kahan Baad E Hussain

Goad Mein Bachchi Taqdeer Liye Baithey Hai

Hasher Ek, Zainab-E-Dilgeer Liye Baithey Hai

Mashk Bheji Na Chacha Naher Se Wapas Aaye

Yeh Gila Dukhtar E Shabbir Liye Baithey Hai

Hasher Ek, Zainab-E-Dilgeer Liye Baithey Hai

Tan Se Ai Shimr Juda Karta Abhi Farq E Hussain

Goad Mein Madar E Shabbir Liye Baithey Hai

 

 

 

Hasher Ek, Zainab-E-Dilgeer Liye Baithey Hai

Qasid Ab Der Na Kar Aa Bhi Madine Ki Taraf

Ghar Pe Sughra Koi Tahreer Liye Baithey Hai

Hasher Ek, Zainab-E-Dilgeer Liye Baithey Hai

Na Chupa Zulm E Yazeedi Na Chupa Ai Salik*

Sari Duniya Gham E Shabbir Liye Baithey Hai

Hasher Ek, Zainab-E-Dilgeer Liye Baithey Hai

Dil Mein Apne Gham E Shabbir Liye Baithi Hai

36.3. Jis Zulm Se Shabbir Ke Khaimin Me Lagi Aag

 

Jis Zulm Se Shabbir Ke Khaimon Mein Lagi Aag

Aise To Kisi Daur Mein, Dekhi Na Suni Aag

Jis Zulm Se Shabbir Ke Khaimon Mein Lagi Aag

Angaroon Par Maatam Tera Hum Karte Hain Shabbir

Yeh Bhi Tera Ejaaz Hain, Jo Phool Bani Aag

Jis Zulm Se Shabbir Ke Khaimon Mein Lagi Aag

Sajde Ko Kiya Toone Magar Shaa-E-Shariyat

Jo Toone Lagaye Thi, Na Woh Ruk Na Saki Aag

Jis Zulm Se Shabbir Ke Khaimon Mein Lagi Aag

Abbas Ki Talwaar Hai Tasweer-E-Qayamat

Yehi Kaap Ke Bijli Giri, Woh Dekho Lagi Aag

Jis Zulm Se Shabbir Ke Khaimon Mein Lagi Aag

Abbas Ki Talwaar Se Barsa Lahoo Itna

Incomplete Nauha….

36.4. Namazi Zeire Khanjar Aa Raha Hai

 

Namazi, Zeire Khanjar Aa Raha Hai

Zameen Se Aasman Takra Raha Hai

Namazi, Zeire Khanjar Aa Raha Hai

Utha To Li Jawan Beite Ki Mayyat

Shahe Waala Ko Chakkar Aa Raha Hai

Namazi, Zeire Khanjar Aa Raha Hai

 

 

 

Shahe Diin Teer Khaate Ja Rahe Hain

Lahu Tan Se Tapakta Ja Raha Hai

Namazi, Zeire Khanjar Aa Raha Hai

Badho Darya Ki Maujon Leike Saaghar

Ali Ka Sheir Pyasa Aa Raha Hai

Namazi, Zeire Khanjar Aa Raha Hai

Woh Moti Ban Raha Hai, Shahh Ke Gham Mein

In Aankhon Mein Jo Aansu Aa Raha Hai

Namazi, Zeire Khanjar Aa Raha Hai

Ishaare Madhe Maula Ke Hai Salik*

Woh Kausar Saamne Lahra Raha Hai

Namazi, Zeire Khanjar Aa Raha Hai

36.5. Thiin Ishq E Ali Mein, Rasan O Daar Se Baatein

 

 

Thiin Ishq E Ali* Mein, Rasan O Daar Se Baatein

Kya Karti Ajal, Meesam* E Tammar Se Baatein

Thiin Ishq E Ali* Mein, Rasan O Daar Se Baatein

Yeh Naasir E Shabbir* Hain, Peeche Na Hateinge

Faujein Na Karein, Aahani Deewar Se Baatein

Thiin Ishq E Ali* Mein, Rasan O Daar Se Baatein

Har Jung Mein Talwar To Khamosh Rahi Hai

Khayber* Mein Huiin, Haider* E Karrar Se Baatein

Thiin Ishq E Ali* Mein, Rasan O Daar Se Baatein

Allah Ki Marzi Ke Liye, Shaah E Shaheedan

Ab Kaun Kareiga Tere Deedar Se Baatein

Thiin Ishq E Ali* Mein, Rasan O Daar Se Baatein

Iss Teizi Se Abbas* Suey Nahr Chaley Hain

Karti Hai Hawa, Ghode Ki Raftaar Se Baatein

Thiin Ishq E Ali* Mein, Rasan O Daar Se Baatein

Abbas* Ka Hamla Hai Ke, Hamla Hai Ali* Ka

Karti Hai Ajal Lashkar E Kuffar Se Baatein

Thiin Ishq E Ali* Mein, Rasan O Daar Se Baatein

 

 

 

Talwar To Abbas* Ka Munh Deikh Rahi Hai

Abbas* Bhi Karte Nahiin Talwar Se Baatein

Thiin Ishq E Ali* Mein, Rasan O Daar Se Baatein

Zinda Hua Mar Mar Ke Kai Baar Nusairi

Bhoolin Na Magar Haider* E Karrar Se Baatein

Thiin Ishq E Ali* Mein, Rasan O Daar Se Baatein

Chhiti Hai Zabaan Hoti Hain Sachchaai Pa Mohrein

Haider* Ki Suno, Meesam E Tammar Se Baatein

Thiin Ishq E Ali* Mein, Rasan O Daar Se Baatein

Husn E Ali Akbar Ka Tassawur Hai Nazar Mein

Khud Kahte Nahi Misr Ki Bazaar Se Baaten

Thiin Ishq E Ali* Mein, Rasan O Daar Se Baatein

Sar Hum Ne Jhukayen Hai Sar E Tegh Khushi Se

Aatin Hai Hame Zulm Ki Talwaar Se Baaten

Thiin Ishq E Ali* Mein, Rasan O Daar Se Baatein

Kuch To Huwi Hai Shaam Ki Bazaar Mein Suniyea

Lipti Hui Zajeer Ki Deewar Se Baaten

Thiin Ishq E Ali* Mein, Rasan O Daar Se Baatein

Ab Rauza E Shabbir Qareeb Aa Gaya Salik*

Dil Karne Laga Saaya E Deewar Se Baaten

Thiin Ishq E Ali* Mein, Rasan O Daar Se Baatein

36.6. Who Gul Sadqa Hai Tera, Yeh Kali Teri Badalot Hai

 

Woh Gul Sadqa Hai Tera, Yeh Kali Teri Badalot Hai

Baharen Baugh E Eeman Ai Ali Teri Badalot Hain

Woh Gul Sadqa Hai Tera, Yeh Kali Teri Badalot Hai

Teri Hamlon Ne Saqqa E Haram, Dariya Ulat Daala

Jo Paye Jaam Bhi Sharmandigi Teri Badalot Hai

Woh Gul Sadqa Hai Tera, Yeh Kali Teri Badalot Hai

Mohammad Ki Zabaan Khaibar Mein Yeh Tasdeeq Karti Hai,

Nuzool E Aayate Naad E Ali Teri Badalot Hai

Woh Gul Sadqa Hai Tera, Yeh Kali Teri Badalot Hai

Jo Bach Kar Bhaag Nikle Naher Se Mud-Mud Ke Kahtey They

 

 

 

Ali Ke Sher Aaj, Yeh Zindigi Teri Badalot Hai

Woh Gul Sadqa Hai Tera, Yeh Kali Teri Badalot Hai

Ali Gyaran Imaamon Ko Hain Tere Noor Me Jalwe

Nabi Ke Deen Ki Bara-Dari Teri Badalot Hai

Woh Gul Sadqa Hai Tera, Yeh Kali Teri Badalot Hai

Tawaaf E Khaana E Kaaba Na Milta Woh Jo Milte Hain

Haram E Toor Ki Jalwagari Teri Badalot Hai

Woh Gul Sadqa Hai Tera, Yeh Kali Teri Badalot Hai

Samajhta Kaun Kaafir Hai Aur Kaun Momin Hai

Woh Sar Ko Kubr Bhi Tegh E Ali Teri Badalot Hai

Woh Gul Sadqa Hai Tera, Yeh Kali Teri Badalot Hai

Hussain Ibne Ali Ai Fatima Ke Chand Kya Kahena

Andheri Raat Me Yeh Chandni Teri Badalot Hai

Woh Gul Sadqa Hai Tera, Yeh Kali Teri Badalot Hai

Bichaye Boriya Baitha Hai Tu Kab Se Khilafat Par

Shahenshah E Nabi Yeh Saadgi Teri Badalot Hai

Woh Gul Sadqa Hai Tera, Yeh Kali Teri Badalot Hai

Balayen Le Lay Salik* Aa Idhar Ai Ulfat E Haidar

Yeh Jannat Aur Yeh Jaam E Kausari Teri Badalot Hai

Woh Gul Sadqa Hai Tera, Yeh Kali Teri Badalot Hai

 

 

 

Khamosh Hain Alqama Ki Mojain

 

 

Khamosh Hai Alqama Ki Maujay

Fiza May Bhi Maut Ka Sama Hai

Ridaye Zainab Tera Mohafiz

Ukharti Saanso Ke Darmiyan Hai

Hawaon Ke Rukh Badal Rahay Hai

Qayam Darya Se Hat Rahay Hai

Kisi Ke Teywar Bata Rahay Hai

Ke Toot Padnay Ko Aasmaan Hai

Sitam Ki Paykaan To Kheynch Lengay

Hussain Chashm-E-Jari Se Lekin

Khaalish Ka Ek Teer Aur Bhi Hai

Jo Qalb-E-Abbas May Nihaan Hai

Lahoo Lahoo Paykar E Tamanna

Qareeb Mashkeezay Sakina

Gira Hai Rahwaar Se Wo Aise

Kahin Pe Baazu Kahin Nishaan Hai

Ba Chashm-E-Purnam Bawakht E Rehlat

Ali Ne Jin Baazuon Ko Chuma

Kahin Wo Baazu Qalam Huye Hai

Kahin Pe In May Reesma Hai

Sakina Bibi Ki Tashnagi Ka

Jigar Pe Ab Tak Hai Daagh Baaqi

Wahin Wahin Mashk Bhi Milaygi

Alam Jari Ka Jahan Jahan Hai

Lagi Hai Qaimo May Aag Har Su

Ridayen Bewo Ki Chin Rahi Hai

Udaasiya Poochti Hai Shahid*

Wo Pasban-E-Haram Kahan Hai

 

 

 

37.2. Matami Fazayein Hai Aansuon Ka Toofan Hai

 

Matami Fazayein Hai Aansuon Ka Toofan Hai

Dastak-E-Ajal Sun Kar Zindagi Hirasa Hai

Har Taraf Udaasi Hai Har Nigah Veraan Hai

Aur Masjid-E-Kufa Farte Gham Se Larza Hai

Matami Fazayein Hai Aansuon Ka Toofan Hai

Aaj Gir Gaya Hoga Phir Ghilaaf Kaabe Se

Beh Raha Hai Khoon Payham Shah Ke Amamay Se

Zakhme Farq-E-Haider Ka Ab Khuda Nigehban Hai

Matami Fazayein Hai Aansuon Ka Toofan Hai

Zakhm Itna Kaari Hai Chal Na Paogay Maula

Ghar Bhi Jald Jaana Hai Aagayi Geleem Aaqa

Dar Pe Muntazir Zainab Muztar-O-Pareshan Hai

Matami Fazayein Hai Aansuon Ka Toofan Hai

Fikr-E-Karbala May Gum Hai Ali Sar-E-Bistar

Ghaliban Nigahon May Hai Koi Tah-E-Khanjar

Dekh Kar Suye Abbas Chashm-E-Shah Giryaan Hai

Matami Fazayein Hai Aansuon Ka Toofan Hai

Hai Girya Kuna Kufay Be-Pidar Hui Zainab

Aaj Ghar Ke Aangan May Nangay Sar Hui Zainab

Kal Jo Honay Wala Hai Aaj Say Numayaa Hai

Matami Fazayein Hai Aansuon Ka Toofan Hai

Itrat-E-Payambar Par Saazisho Ke Ghayray Hai

Bujh Gaya Chiraagh Aakhir Ha R Taraf Andheray Hai

Chandgaam Par Shahid Karbala Ka Maidan Hai

Matami Fazayein Hai Aansuon Ka Toofan Hai

 

 

 

  1. Janab Shahid Lucknowi

38.1. Ai Husain E Karbala Mehmaan-E-Lucknow

Https://Www.Youtube.Com/Wat Ch?V=Wdvepw6esf0

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

Tere Qadmo Ki Badaulat Ab Hai Shaan-E-Lucknow

Dard Se Maula Bhar Aaya Hai Tere Shayar Ka Dil

Teri Jaan Tak To Fugan Ho Tarjuman-E-Lucknow

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

Thes Lag Jaye Gi Tere Qalb-E-Zakhmi Ko Shahab

Warna Kar Deta Wazahat Se Bayan-E-Lucknow

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

Tere Gham Ke Mah Siwa Yeh Gham Bhi Hai Is Quam Ko

Kya Thay Aur Kya Rah Gaye Hain Taaziyaan-E-Lucknow

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

Kal Ki Woh Shahi Azakhanon Mein Tere Majlisen

Jin Me Ab Tak Kuch Nazar Aati Hai Shaan-E-Lucknow

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

Ai Ali Ke Laadle Daaman Na Chhoden Ge Tera

Jis Tarah Se Kar Le Imthiyan-E-Lucknow

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

Bas Chale Gar Chane Walon Ka Tere Ai Hussain

Tere Rauze Ko Utha Layeny Miyan-E-Lucknow

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

Do Maheene Aath Din Tak Tere Maatam Mein Hussain

Arsh Se Ja Ja Kar Takraye Fughan-E-Lucknow

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

Khuld Mein Sham-O-Saher Ki Majlison Ke Waastey

Fatiman Ne Chun Liye Do Khushbayan-E-Lucknow

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

Ek Dabeer-E-Do-Jahaan Hain Ek Anees-E-Kayanat

Ek Rooh-E-Lucknow Hai Ek Jaan-E-Lucknow

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

 

 

 

Aaaj Hai Maatam Ka Tere Aakhri Din Ai Shaab*

Jaa Rahin Hai Yeh Baharen Gulistan-E-Lucknow

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

Kis Tarhan Rukhsat Karen Ai Zeenat-E-Doshe-Rasool

Tujhse Ja Milna Hai Maula Sakhinan-E-Lucknow

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

Tere Akbar Ke Tassadiq Tere Asghar Ke Nisar

Har Jawan-E-Lucknow Har Bezubaan-E-Lucknow

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

Yeh To Kahiyea Aap Ke Bhai Ki Yah Dargha Hai

Warna Kab Tak Mit Gaya Hota Nishan-E-Lucknow

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

Dekh To Mud Kar Zara Yeh Apni Rukhsat Ka Sama

Kis Tarah Ujda Pada Hai Har Makaan-E-Lucknow

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

Alvida Ai Fatima Zahera Ke Dilbar Alvida

Har Taraf Goonji Huin Yeh Fugaan-E-Lucknow

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

Jate Jate Mere Maula Yeh Batate Jaayea

Saal Bhar Tak Kya Karen Ge Saakinan-E-Lucknow

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

Hum Gareebon Ki Taraf Se Chand Aasoo Kar Qobool

Aur De Sakte Hain Kya Hum Muflisan-E-Lucknow

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

Tab-E-Maatam Aur Yeh Aasoo Pesh Kardena Shahid*

Aakhri Shabbir Jab Aaye Miyaan-E-Lucknow

Ai Hussain E Karbala Ai Mehmaan-E-Lucknow

 

 

 

  1. Janab Shahid Naqvi

39.1. Ab Aaye Ho Baba – Izzat Lucknowi

 

Woh Karbala, Woh Sham-E-Ghariban, Woh Tirgi

Woh Zainab-E-Aseer, Woh Hifazat Khaym Ki

Aaya Woh Ek Sawaar Qareeb-E-Khayam-E-Shah

Beti Ali Ki Ghaiz Me Soohe Faras Badhi

Ulti Naqab Chhere Se Apne Sawaar Ne

Pesh-E-Nigah E Zainab-E-Mazloom They Ali

Har Chand Sabira Thi Bohat Bint-E-Fatima

Be-Saakhta Zaban Pa Yeh Faryaad Aa Gayi

Zainab Ne Kaha Baap Ke Qadmon Say Lipat Kar

Ab Aaye Ho Baba

Jab Lut Gaya Pardes Mein Amma Ka Bhara Ghar

Ab Aaye Ho Baba

Baba Agar Aana Hi Tha Khaliq Ki Reza Say

Us Waqt Na Aaye

Jab Khaak Pe Dam Torh Raha Tha Mera Akbar

Ab Aaye Ho Baba.

Kat-Kat Ke Gire Nehar Pa Jab Baazo-E-Abbas

Aur Koi Na Tha Paas

Us Waqt Sada Aap Ko Deta Tha Dilawar

Ab Aaye Ho Baba.

Jab Farsh-E-Zameen Baam-E-Falak Larza Fishaan Thay

Us Waqt Kahan Thay

Jab Baap Ke Chullu Mein Tha Khoon-E-Ali Asghar

Ab Aaye Ho Baba.

Jab Bhai Ka Sar Katta Tha Main Dekh Rahi Thi

Hazrat Ko Sada Di

Sar Kholay Hue Roti Thi Mani Khaime Ke Dar Par

Ab Aaye Ho Baba.

Jab Log Bacha Le Gaye Lashey Shohada Kay

 

 

 

Haq Apna Jata Kay

Bas Ek Tan-E-Shabbir Tha Pamaali Ki Zad Par

Ab Aaye Ho Baba.

Jab Bali Sakina Ke Gauhar Chhene Gaye The

Lagte The Tamache

Hasrat Se Mujhe Dekhte Thi Bano-E-Muztar

Ab Aaye Ho Baba.

 

 

 

  1. Janab Suroor Lucknowi

40.1. Abid E Beemaar

 

Abid E Beemar, Abid E Beemar

Ahle Haram Ka Qafila Salaar, Abid E Beemar, Abid E Beemar

Kis Se Kahen Who Apni Museebat

Paon Mein Chalen, Raasta Purkhaar

Abid E Beemar, Abid E Beemar

Ahle Haram Ka Qafila Salaar, Abid E Beemar, Abid E Beemar

Kisko Pukaren, Kisko Sada Dein

Koi Nahin Hai Uska Madadgaar

Abid E Beemar, Abid E Beemar

Ahle Haram Ka Qafila Salaar, Abid E Beemar, Abid E Beemar

Hai Yeh Sitam Ki Kaun Si Manzil

Saaye Mein Duniya, Dhoop Mein Beemar

Abid E Beemar, Abid E Beemar

Ahle Haram Ka Qafila Salaar, Abid E Beemar, Abid E Beemar

Jabse Padi Hai Tauq Gale Mein

Saas Bhi Lena, Ho Gaya Dushwaar

Abid E Beemar, Abid E Beemar

Ahle Haram Ka Qafila Salaar, Abid E Beemar, Abid E Beemar

Kisko Nigahen Dhoond Rahin Hain

Charon Taraf Hain Sirf Sitamgaar

Abid E Beemar, Abid E Beemar

Ahle Haram Ka Qafila Salaar, Abid E Beemar, Abid E Beemar

Qaid Hain Phupiyan, Who Bhi Khule-Sar

Sar Hain Jhukaye, Bekas O Laachar

Abid E Beemar, Abid E Beemar

Ahle Haram Ka Qafila Salaar, Abid E Beemar, Abid E Beemar

Us Ke Liye Hain, Raah Mein Kaaten

Jis Pe Nichawar, Khuld Ke Gulzaar

Abid E Beemar, Abid E Beemar

Ahle Haram Ka Qafila Salaar, Abid E Beemar, Abid E Beemar

Khoon Badan Ka Pee Gaye Chale

 

 

 

Haaton Mein Raasha, Zard Hain Rukhsaar

Abid E Beemar, Abid E Beemar

Ahle Haram Ka Qafila Salaar, Abid E Beemar, Abid E Beemar

Thokaren Kha Kar Karta Hai Sajdey

Dekha Nahin Hai Aisa Giraftaar

Abid E Beemar, Abid E Beemar

Ahle Haram Ka Qafila Salaar, Abid E Beemar, Abid E Beemar

Kyon Na Who Roye, Khoon Ke Aasoo

Naksh Hai Dil Par, Shaam Ka Bazaar

Abid E Beemar, Abid E Beemar

Ahle Haram Ka Qafila Salaar, Abid E Beemar, Abid E Beemar

Hum Ne Suroor* Aaj, Khoon E Jigar Se

Dil Par Likhen Hain, Nauhe Ke Aashaar

Abid E Beemar, Abid E Beemar

Ahle Haram Ka Qafila Salaar, Abid E Beemar, Abid E Beemar

40.2. Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

 

Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

Ek Yateema Ko Sar-E-Shaam Se Sataya Na Karo

Yaad Aata Hai Har Ek Lamha Madina Usko

Raas Aaya Na Watan Chhod Ke Jeena Usko

Zakhm Jo Usko Milen Ho Unho Taaza Na Karo

Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

Dekhti Ha Tumhe Jab Laute Ghar Jaate Huey

Uski Aakhoon Se Ubaltey Hai Lahii Ke Chasmey

Itna Roi Hai Usey Aur Rulaya Na Karo

Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

Tum Ho Aazad Mubarak Ho Tumhey Aazadi

Quaid E Zindan Me Sakina Hai Magar Faryaadi

Ek Quaide Ko Idhar Aa Ke Dukhaya Na Karo

Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

Yeh Woh Zindan Hai Jahan Qaid Hai Pyaasi Bachchi

Ser O Sairab Ho Tum Bujh Na Saki Pyaas Uski

Rasta Apna Badal Do Idhar Aaya Na Karo

Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

 

 

 

Baap Se Pahle Pahel Chooti Hai Kamsin Hai Bohut

Dekh Kar Tumko Tadap Jaaye Gi Mumkin Hai Bohut

Abhi Jao To Tahene Ka Iraada Na Karo

Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

Tumko Maloom Nahi Kitni Ghutan Hai Usko

Dil Bhi Zakhmi Hai Safar Ki Bhi Thakan Hai Usko

Uski Takleef Mein Ab Aur Izafa Na Karo

Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

Is Yatema Pe Bohut Tang Hui Hai Duniya

Tum Jidhar Chaahey Chale Jao Badi Hai Duniya

Qaidkhane Ke Kareeb Aa Ke Baseera Na Karo

Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

Ghair Mumkin Hai Yateemi Use Mahsoos Na Ho

Aise Shama Hai Ke Jiska Koi Fanoos Na Ho

Apne Bachcho Par Paron Ka Yahah Saya Na Karo

Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

Aak Tak Qabr E Sakina Par Udasi Hai Suroor*

Del Yeh Kahta Hai Woh Bachchi Abhi Pyaasi Hai Suroor*

Uske Rone Ke Siwa Koi Bhi Nauha Na Karo

Ai Parindon Dar E Zindaan Se Guzra Na Karo

40.3. Baba Ai Mere Baba, Aao Dhal Gaya Sooraj

 

Baba Ai Mere Baba, Aao Dhal Gaya Sooraj

Har Taraf Hai Sannata, Aao Dhal Gaya Sooraj

Sirf Apne Seenry Par, Shab Guzarne Do

Subha Phir Chaley Jaana, Aao Dhal Gaya Sooraj

Baba Ai Mere Baba, Aao Dhal Gaya Sooraj

Dono Haat Pahlaye, Main Tumhe Bulatin Hoon

Ab Nahin Raha Jaata, Aao Dhal Gaya Sooraj

Baba Ai Mere Baba, Aao Dhal Gaya Sooraj

Neend Se Bhari Aakhen, Yumko Yaad Kartin Hain

Soo-On Kis Tarhan Tanha, Aao Dhal Gaya Sooraj

Baba Ai Mere Baba, Aao Dhal Gaya Sooraj

Shaam Yak Sabhi Apne, Ghar Ko Laut Aatey Hain

Raat Ho Gayi Baba, Aao Dhal Gaya Sooraj

 

 

 

Baba Ai Mere Baba, Aao Dhal Gaya Sooraj

Dushmanon Ki Basti Mein, Khaufnaakh Sehra Mein

Tera Chachoon Main Saaya, Aao Dhal Gaya Sooraj

Baba Ai Mere Baba, Aao Dhal Gaya Sooraj

Shimr Mere Kaanon Se, Chhen Le Gaya Gauhar

Zulm Ho Gaya Kya-Kya, Aao Dhal Gaya Sooraj

Baba Ai Mere Baba, Aao Dhal Gaya Sooraj

Bas Tumhare Jaatey Hi, Ghar Jale, Chhine Chaadar

Hum-Se Phir Gaye Duniya, Aao Dhal Gaya Sooraj

Baba Ai Mere Baba, Aao Dhal Gaya Sooraj

Kya Tumhe Gawara Hai, Main Yateem Kahlayoon

Tum To Ho Mere Baba, Aao Dhal Gaya Sooraj

Baba Ai Mere Baba, Aao Dhal Gaya Sooraj

Aaj Bhi Suroor* Ab Tak, Rauza-E-Sakeena Par

Goonjta Hai Yeh Nauha, Aao Dhal Gaya Sooraj

Baba Ai Mere Baba, Aao Dhal Gaya Sooraj

40.4. Bade Husain Kisne Kaha Main Yateem Hoon

 

Bade Hussain Kisne Kaha Main Yateem Hoon

Maqtal Se Aa Rahi Hai Sada Main Yateem Hoon

Bade Hussain Kisne Kaha Main Yateem Hoon

Ro Kar Kaha Sakeena Ne Laash E Hussain Par

Ab Jaa Ke Yeh Yaqeen Hua Main Yateem Hoon

Bade Hussain Kisne Kaha Main Yateem Hoon

Jo Hai Woh Zulm Karta Hai Majboor Jaan Kar

Shayad Yehi Hai Meri Khata Main Yateem Hoon

Bade Hussain Kisne Kaha Main Yateem Hoon

Boli Sakina Shimr Se Kaanon Par Rahk Ke Haath

Gauhar Na Cheen Bhare Khuda Main Yateem Hoon

Bade Hussain Kisne Kaha Main Yateem Hoon

Daaman Phata Hua Hai Garebaan Chaak Hai

Dekhe Zameen-E-Karbobala Main Yateem Hoon

Bade Hussain Kisne Kaha Main Yateem Hoon

 

 

 

Jo Jiske Bas Me Hai Woh Sitam Dhaye Shaukh Se

Ab Kya Kareoon Kisise Gila Min Yateem Hoon

Bade Hussain Kisne Kaha Main Yateem Hoon

Phir Dekhti Hoon Kaun Tamache Lagaye Ga

Ammu Se Koi Keh De Zara Main Yateem Hoon

Bade Hussain Kisne Kaha Main Yateem Hoon

Main Apne Aasoonn Se Bujha Loongi Apni Pyas

Dariya Se Laut Aao Chacha Main Yateem Hoon

Bade Hussain Kisne Kaha Main Yateem Hoon

Sar Rakh Diya Sakina Ne Zainab Ki Goad Mein

Rakhna Phuppi Khayaal Mera Main Yateem Hoon

Bade Hussain Kisne Kaha Main Yateem Hoon

Zikr-E-Sakeena Aate Hi Dil Kaap Utha Suroor*

Jaise Kise Ne Mujhse Kaha Main Yateem Hoon

Bade Hussain Kisne Kaha Main Yateem Hoon

40.5. Bahen Ne Ro Ke Pukara,Mujhe Sahara Do

 

Bahen Ne Ro Ke Pukara,Mujhe Sahara Do

Main Bedayar Hoon Bhaiyya, Mujhe Sahara Do

Bahen Ne Ro Ke Pukara,Mujhe Sahara Do

Mera Khayaal Karo Main Aseer Hootin Hoon

Main Aaj Rah Gaye Tanah, Mujhe Sahara Do

Bahen Ne Ro Ke Pukara,Mujhe Sahara Do

Tumhare Baad Bohut Zulm Dhaye Aada Ne

Main Thak Gayi Hoon, Zara Sa Mujhe Sahara Do

Bahen Ne Ro Ke Pukara,Mujhe Sahara Do

Na Sar Pe Baap Ka Saaya, Na Maa, Na Bhai Hasan

Tum Hi Ho Mera Sahara, Mujhe Sahara Do

Bahen Ne Ro Ke Pukara,Mujhe Sahara Do

Samajh Mein Kuch Nahin Aata Ke Kya Karoon Aakhir

Tadap Rahi Hai Sakeena, Mujhe Sahara Do.

Bahen Ne Ro Ke Pukara,Mujhe Sahara Do

Tumhe Kubool Na The Mere Aakh Mein Aasoo

Bani Hoon Kab Se Sarafa, Mujhe Sahara Do

 

 

 

Bahen Ne Ro Ke Pukara,Mujhe Sahara Do

Yateem Bachchey Hain, Raande Hain, Sar Chupaoon Kahan

Bichha Hai Aag Ka Darya, Mujhe Sahara Do

Bahen Ne Ro Ke Pukara,Mujhe Sahara Do

Tumhare Khoon Mein Mushkil Kushaiye Shamil Hai

Bahen Ki Baat Hai Bhaiyya, Mujhe Sahara Do

Bahen Ne Ro Ke Pukara,Mujhe Sahara Do

Yeh Jaante Hue Majboor Hoon Akeli Hoon

Taras Na Khaye Gi Duniya Mujhe Sahara Do

Bahen Ne Ro Ke Pukara,Mujhe Sahara Do

Ghamon Ke Bojh Se Saasen Bhi Ladkhadane Kagi

Safar Tamaam Hai Mera, Mujhe Sahara Do

Bahen Ne Ro Ke Pukara,Mujhe Sahara Do

Suroor* Laash E Besar Tadap Gaya Ran Mein

Sada Jab Aaye Ke Bhaiya, Mujhe Sahara Do

Bahen Ne Ro Ke Pukara,Mujhe Sahara Do

40.6. Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

 

Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

Hai Jal Gaya Jhoola, Hai Jal Gaya Jhoola

Uski Yaad Jab Aati Dekh Kar Sukoon Paati

Sabr Aaye Ga Kyonkar, Hai Jal Gaya Jhoola

Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

Goad Ho Gayi Khaali Qatl Ho Gaya Wali

Kisse Mein Kahoon Jaakar, Hai Jal Gaya Jhoola

Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

Khoon Banke Sadmo Se Bah Raha Hai Aakhon Se

Dil Pe Chal Gayakhanjar, Hai Jal Gaya Jhoola

Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

Kis Qadar Hai Sannata Kuch Nazar Nahi Aata

Hai Dhuan-Dhuan Manzar, Hai Jal Gaya Jhoola

Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

Aa Ke Dil Se Aakhon Tak Kiski Raat Phaile Hai

 

 

 

Woh Nishani E Asghar, Hai Jal Gaya Jhoola

Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

Pahla Zakhm Yeh Khaya Woh Na Laut Kar Aaya

Dusra Laga Nashtar, Hai Jal Gaya Jhoola

Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

Kaise Din Guzarun Gi Bas Yahi Pukaroon Gi

Khaak Ho Gaya Bistar, Hai Jal Gaya Jhoola

Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

Bhoolna Hai Na-Mumkin Yaad Aaye Ga Har Din

Kaise Dil Karoon Patthar, Hai Jal Gaya Jhoola

Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

Ai Suroor* Woh Muztar Bezubaan Ki Turbat Par

Kah Rahi Thi Ro-Ro Kar, Hai Jal Gaya Jhoola

Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola

40.7. Haram Ko Kushtey E Khanjar Ki Yaad Aaye Gi

 

Haram Ko Kushtey E Khanjar Ki Yaad Aaye Gi

Watan Pohuch Kar Bhare Ghar Ki Yaad Aaye Gi

Haram Ko Kushtey E Khanjar Ki Yaad Aaye Gi

Nazar Padi Jo Kabhi Maan Ki Adh-Khile Gul Par

Tabassum-E-Ali Asghar Ki Yaad Aaye Gi

Haram Ko Kushtey E Khanjar Ki Yaad Aaye Gi

Bilak Ke Qabr Pe Besheer Ko Na Jaao Rabaab

Khule Gi Neend To Maadar Ki Yaad Aaye Gi

Haram Ko Kushtey E Khanjar Ki Yaad Aaye Gi

Rabab Bali Sakina Ko Roye Gi Din-Bhar

Andheri Raat Mein Asghar Ki Yaad Aaye Gi

Haram Ko Kushtey E Khanjar Ki Yaad Aaye Gi

Uthey Gi Koye Bhi Mayyat Jab Eithraam Ke Saath

Bahen Ko Laash-E-Sarwar Ki Yaad Aaye Gi

Haram Ko Kushtey E Khanjar Ki Yaad Aaye Gi

Madina Kaap Uthey Ga Bahen Ke Naalon Se

Watan Mein Jab Bhi Biradar Ki Yaad Aaye Gi

Haram Ko Kushtey E Khanjar Ki Yaad Aaye Gi

 

 

 

Sar-E-Hussain Se Ro Kar Kaha Sakeena Ne

Tumhe Bhi Kya Kabhi Dukhtar Ki Yaad Aaye Gi

Haram Ko Kushtey E Khanjar Ki Yaad Aaye Gi

Bahen Ko Aakhri Rukhsat Mein Dekh Lo Shabbir

Gala Katey Ga To Khahar Ki Yaad Aaye Gi

Haram Ko Kushtey E Khanjar Ki Yaad Aaye Gi

Rida Chhine Gi To Yaad Aaye Ga Furaath Ka Sher

Rasan Bandhi Gi To Akbar Ki Yaad Aaye Gi

Haram Ko Kushtey E Khanjar Ki Yaad Aaye Gi

Na Jaao Ganj-E-Shaheeda Ki Simt Ai Zainab

Base Basaye Hue Ghar Ki Yaad Aaye Gi

Haram Ko Kushtey E Khanjar Ki Yaad Aaye Gi

Suroor* Rok Bhi Jaye Bhi Pusht Ke Aihwaal

Lahed Mein Gardan E Sarwar Ki Yaad Aaye Gi

Haram Ko Kushtey E Khanjar Ki Yaad Aaye Gi

40.8. Jaata Hai Madine Se Mohammad Ka Gharana

 

Jata Hai Madine Se Mohammad Ka Ghar Ana

Sughra Ko Diye Jaata Hai Zakhmon Ka Khazana

Jata Hai Madine Se Mohammad Ka Gharana

Jo Hai Wohi Saaman-E-Safar Baandh Raha Hai

Lekin Mera Bistar Use Goshey Mein Pada Hai

Mujhse Yeh Hidayat Hai, Dawa Waqt Se Khana

Jata Hai Madine Se Mohammad Ka Gharana

Hai Saath Mein Baba Ke Chacha Bhai Hamare

Suraj Ke Tarafdaar Hain Sab Chand Sitarey

Ab Aaj Se Ghar Ho Ga Andheron Ka Thikana

Jata Hai Madine Se Mohammad Ka Gharana

Beemar Hoon Lekin Koi Khatra Toh Nahin Hai

Main Raah Mein Mar Jaoon Gi Aisa Toh Nahin Hai

Dhoonda Hai Mujhe Chhod Ke Jaane Ka Bahana

Jata Hai Madine Se Mohammad Ka Gharana

Kuch Der Woh Liptey Rahi Phupiyon Ki Ridha Se

Baba Se Kaha Aur Kabhi Apne Chacha Se

 

 

 

Le Jaane Pe Sughra Ko Magar Koi Na Maana

Jata Hai Madine Se Mohammad Ka Gharana

Pardes Mein Bhi Mere Liye Sochtey Rahna

Khat Bheh Ke Tum Sabki Khabar Bhejte Rahna

Is Chahne Wali Ko Zyadaa Na Rulana

Jata Hai Madine Se Mohammad Ka Gharana

Dil Ke Kise Goshe Mein Mera Naam Bhi Likh Lo

Phir Jisko Bhi Chaho Use Ji Jaan Se Chahoo

Lekin Mere Hissey Ki Mohabbat Na Lutaana

Jata Hai Madine Se Mohammad Ka Gharana

Main Koi Bhi Zahmat Tumhe Hone Nahin Doongi

Aakhey Toh Alag Dil Ko Bhi Rone Nahi Doongi

Tum Mere Taraf Se Koi Sadma Na Uthana

Jata Hai Madine Se Mohammad Ka Gharana

Kuch Din Mein Mera Bhai Ho Jab Bolne Wala,

De Dena Isharon Mein Use Mera Hawala

Bechain Agar Ho To Use Zyada Na Batana

Jata Hai Madine Se Mohammad Ka Gharana

Tanhayi Pade Had Se To Bhulwa Na Saku Main

Ya Aana Bhi Chhaoon Kabhi Aa Na Sakon Main

Bas Itni Guzarish Hai Kahindoor Na Jaana

Jata Hai Madine Se Mohammad Ka Gharana

Jeene Nahin Deta Mujhe Yaadon Se Bhara Ghar

Aisa Bhi Nahi Koi Jo Gham Baat Le Aa Kar

Apno Ki Tarah Bhool Gaya Mujhko Zamana

Jata Hai Madine Se Mohammad Ka Gharana

Di Lakh Suroor* Usne Na Jaane Ki Duhai

Beemar Kisi Ko Bhi Magar Rokh Na Pai

Ashkon Ki Tarah Ho Gaye Sab Log Rawana

Jata Hai Madine Se Mohammad Ka Gharana

40.9. Khat Men Yeh Sughra Ne Likha Kya Hua

 

Khat Men Yeh Sughra Ne Likha Kya Hua

Kyon Nahin Aate Ho Bhaiya, Kya Hua

Khat Men Yeh Sughra Ne Likha Kya Hua

 

 

 

Khali Jhoole Ko Jhulatin Hai Rabaab

Jhoolne Wala Woh Bachcha, Kya Hua

Khat Men Yeh Sughra Ne Likha Kya Hua

Kaun Pooche Aabid E Beemar Se

Do-Paher Mein Sara Kunba, Kya Hua

Khat Men Yeh Sughra Ne Likha Kya Hua

Umm E Laila Laash E Akbar Ke Paas

Poochte Hai Maa Ki Mamta, Kya Hua

Khat Men Yeh Sughra Ne Likha Kya Hua

Kis Liye Chhup Ho Mere Karyal Jawan

Mooh Se Kuch To Bolo Beta, Kya Hua

Khat Men Yeh Sughra Ne Likha Kya Hua

Poochte Hai Mayyat E Qasim Se Maa

Mere Bachche Tera Sehra, Kya Hua

Khat Men Yeh Sughra Ne Likha Kya Hua

Ro Padi Zainab Badan Ko Dekh Kar

Sher Sa Bhai Hamara, Kya Hua

Khat Men Yeh Sughra Ne Likha Kya Hua

Ro Pade Sughra Ka Khat Padh Kar Hussain

Kya Likhioon Beti Yahan Kya Kya Hua

Khat Men Yeh Sughra Ne Likha Kya Hua

Be-Rida Aal E Payambar Hain Suroor*

Tujhko Ai Ehsaas E Duniya Kya Hua

Khat Men Yeh Sughra Ne Likha Kya Hua

40.10. Maut Aai Aur Ali Asghar Ko Behla Le Gai

Https://Www.Youtube.Com/Watch?V=Pseuc -Uwvf8

Maut Aai Aur Ali Asghar Ko Behla Le Gayi

Haye Woh Bhi Teen Din Ka Bhooka Pyaasa Le Gayi

Maut Aai Aur Ali Asghar Ko Behla Le Gayi

Aag Khaimon Mein Lagi, Asghar Ka Jhoola Jal Gaya

Ek Nishani Rah Gayi Thi, Woh Bhi Duniya Le Gayi

Maut Aai Aur Ali Asghar Ko Behla Le Gayi

Baap Ki Aakhon Ke Aage Mar Gaya Kadyal Jawan

Seene-E-Akbar Se Jab Barchi Kaleja Le Gayi

 

 

 

Maut Aai Aur Ali Asghar Ko Behla Le Gayi

Shab Ki Bhiaye Apni Aakhon Mein Basa Kar Rakh Chukey

Phool Mein Lipta Hua Dhula Ka Sehra Le Gayi

Maut Aai Aur Ali Asghar Ko Behla Le Gayi

Apne Bachchon Par Na Roye, Bhai Ke Gham Ke Siwa

Ashq Aaye Bhi To Zainab, Dil Ko Samjha Le Gayi

Maut Aai Aur Ali Asghar Ko Behla Le Gayi

Khaak Par Tadpey Hain Kya-Kya Gul-Badan, Ghuncha-Dahan

Subhe Aashoor Baharen, Baagh-E-Zaherra Le Gayin

Maut Aai Aur Ali Asghar Ko Behla Le Gayi

Qaid Mein Bachchi Ne Dam Toda Hai Is Sasadmey Ke Baad

Tashnagi Meri, Mere Ammu Ko Dariya Le Gayi

Maut Aai Aur Ali Asghar Ko Behla Le Gayi

Bhai Ka Gham Das Dinon Tak Neend Aur Bepardagi

Le Ke Kya Aaye Thin Zainab Aur Kya Le Ke Gayi

Maut Aai Aur Ali Asghar Ko Behla Le Gayi

Qaid Se Chhut Kar, Madine Ja Kar Bano Kya Karey

Zindagi Ki Aakhri Hasrat Sakeena Le Gayi

Maut Aai Aur Ali Asghar Ko Behla Le Gayi

Khaak Par Har Umar Ka Laasha Pada Hai Ai Suroor*

Dopaher Mein Maut Ghar Ka Ghar Yeh Kiska Le Gayi

Maut Aai Aur Ali Asghar Ko Behla Le Gayi

40.11. Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey

 

Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey

Koi Bhi Na Lauta, Bohat Din Huey

Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey

Kabhi Yeh Mera Ghar Bhi Aabaad Tha

Sabhi Kuch Tha Achcha Bohat Din Huey

Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey

Bahalti Thi Asghar Ko Bahela Ke Main

Jhula Thi Jhoola Bohat Din Huey

Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey

 

 

 

Na Koi Khabar Lene Aaya Meri

Na Khat Koi Bheja Bohat Din Huey

Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey

Na Awaaz Koi Na Aahat Koi

Hai Ghar Jaise Sahera Bohat Din Huey

Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey

Juda Ho Gaye Chaand-Sooraj Mere

Tha Ghar Mein Ujaala Bohat Din Huey

Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey

Tassawur Mein Soocha Woh Mere Paas Hai

Magar Main Hoon Tanaah Bohut Din Huey

Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey

Na Taroon Se Ghar Mein Hui Raushni

Na Sooraj Hi Nikla Bohat Din Huey

Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey

Satati Hai Mujhko Yeh Tanhaiyan

Mujhe Sab Ne Chhoda Bohat Din Huey

Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey

Yeh Sab Jaante Hain Mai Beemar Hoon

Magar Kaun Aaya Bohat Din Huey

Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey

Andherey Hamaara Muqqadar Baney

Na Dekha Sawera Bohat Din Huey

Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey

Judayi Ke Gham Mein Lahoo Ban Gaya

In Aakhon Ka Dariya Bohat Din Huey

Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey

Kabhi To Sab Aayen Ge Iss Aas Mein

Abhi Tak Hoon Zinda Bohat Din Huey

Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey

Khuda Jane Waley Salaamat Rahen

Safar Mein Hai Kunba Bohut Din Huey

Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey

Suroor* Uska Khat Aaj Bhi Yaad Hai

Bas Itna Likha Tha Bohut Din Huey

 

 

 

  1. Syed Basit Hasan (Mahir) Lucknowi

41.1. Aa Jaao Ke Sughrayaad Kare

 

Furqat Mein Sakina Ki Roye, Besheer Ka Jhoola Yaad Karey

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Tu Sham E Mazaar E Zaherra Ho Tum Raunak E Koofe Ke Xxx Ho

Kaise Na Tumhe Mere Baba Nana Ka Madina Yaad Kare

Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Jaldi Se Palat Aao Ghar Mein Saiyyada Utha Kar Godi Mein

Beemar Bahen Kab Tak Baba Asghar Ka Humakna Yaad Kare

Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Khat Mera Dikha Kar Kahiyea Ga Bhaiyya Ali Asghar Se Itna

Ai Yousuf E Aal-E-Paygambar Aa Jaao Madina Yaad Karey

Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Khat De Ke Mera Baba Ko Ek Kaam Yeh Karan Ai Qasid

Abbas Chacha Se Se Kah Dena Ro Ro Ke Sughra Yaad Karey

Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Ai Badd E Saba Jab Karbo-Bala Jaana Ho To Itna Kah Dena

Pardes Jane Walon Ko Dukhiya Aaj Sughra Yaad Kare

Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Khamoosh Hai Deewaren Sari Weeran Pade Hain Daar-O-Dar

Ek Shame Haraf Ek Aal-E-Nabi Mabood Ka Kaaba Yaad Kare

Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Woh Ruhkasat-E-Aakhir Ka Manzar Woh Lachak Ke Jaane Ooton Ka

Dil Mera Abhi Tak Ai Baba Phuppiyon Se Lipatna Yaad K Are

Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Allah Ko Saupa Hai Tumko Ai Al-E-Mohammad Jaao Magar

 

 

 

Samjha Rahen Jab Bhi Mujhko Ro Ro Ke Sakina Yaad Kare

Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Jab Thandi Saasen Bharti Hai Dil Kahta Hai Asghar Asghar

Mahir* Ke Chane Walon To Allah Pe Sughra Yaad Kare

Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

41.2. Aabid Hai Beemaar

 

Haye Aabid Hai Beemar, Aabid Hai Beemar

Jhoom Raha Hai Kha Kar Tan Par

Jannat Ka Sardar

Teer O Tabar, Naizey Aur Bhaley

Khanjar Aut Talwaar

Aabid Hai Beemar, Haye Aabid Hai Beemar

Dekho Jahan Tak Phailey Hui Hai

Khaima-Khaima Aag

Shaam Ka Lashkar Loot Raha Hai

Yasrab Ka Gharbaar

Aabid Hai Beemar, Haye Aabid Hai Beemar

Dil Ko Jalaye Daal Rahi Hai

Kayi Dinin Ki Pyaas

Khoob Lada Saqqa Dariya Par

Khoob Chali Talwaar

Aabid Hai Beemar, Haye Aabid Hai Beemar

Koi Yeh Aagosh-E-Zaherra Mein

Asr Ki Manzil Aaye

Teeron Par Aaram Karen-Ge

Kab Tak Yuh Sarkaar

Aabid Hai Beemar, Haye Aabid Hai Beemar

Chhand Aur Sooraj Sab Hain Grahen Mein

Patthar Patthar Khoon

Shah-E-Zaman Ke Khushk Gale Par

Khanjar Ki Hai Dhaar

Aabid Hai Beemar, Haye Aabid Hai Beemar

Soote Hain Sab Khaak Ke Oopar

 

 

 

Kisko De Aawaaz

Qatl Huey Sab Bhai Bhatijay

Lutta Hai Gharbaar

Aabid Hai Beemar, Haye Aabid Hai Beemar

Shaam Ka Lashkar Loot Le Khaimey

Sun Le Magar Ek Baat

Itna Bata De, Zaherra Ka Ghar

Ghar Hai Ya Bazaar

Aabid Hai Beemar, Haye Aabid Hai Beemar

Kaun Aise Mein Aaye Madad Ko

Kaun Sune Fariyaad

Sar Hai Barhaina, Mujse Bandhi Hai

Zainab Hai Laachaar

Aabid Hai Beemar, Haye Aabid Hai Beemar

Koofa Hai Aur Aabid-E-Muztar

Maa Baheney Ka Saath

Dil Ke Oopar Nashtar Marey

Sajey Sajey Bazaar

Aabid Hai Beemar, Haye Aabid Hai Beemar

Chalte Chalte Dam Lene Ko

Ruke Jo Thak Kar Paon

Hoti Hai Sajjad Ke Oopar

Zulmon Ki Bauchaar

Aabid Hai Beemar, Haye Aabid Hai Beemar

Jaisa Lut Hai Zaherra Ka Ghar

Aisa Kuta Kab Koi

Dekhi Nahin Duniya Mein Luttey

Aisi Koi Sarkaar

Aabid Hai Beemar, Haye Aabid Hai Beemar

Kaisi Guzarti Hai Aabid Par

Mahir* Kaun Bataye

Maa Phupiyan Hain Sab Sar Nangey

Shaam Ka Hai Bazaar

Aabid Hai Beemar, Haye Aabid Ha I Beemar

41.3. Aao Adab Se Haider E Safdar Ke Shaher Mein

 

Aao Adab Se Haider E Safdar Ke Shaher Mein

 

 

 

Jaana Agar Ho Izm E Payambar K Shaher Mein

Ji Chachata Hai Waadiyea Makkah Se Pooch Loon

Bigda Kahan Se Aaye Payambar Ke Shaher Mein

Aao Adab Se Haider E Safdar Ke Shaher Mein

Inkaar Se Hussain Ne Aise Lagaye Aag

Jo Le Uthey Yazid E Sitamgar Ke Shaher Mein

Aao Adab Se Haider E Safdar Ke Shaher Mein

Yeh Inquilaab Dekha Hai Yaad E Ali Baad

Sarwar Na Poocha Jaata Hai Khaibar Ke Shaher Mein

Aao Adab Se Haider E Safdar Ke Shaher Mein

Mashkize Mein Samet Ke Dariya Ko Le Gaya

Haider Ek Aur Dekha Hai Haider Ke Shaher Mein

Aao Adab Se Haider E Safdar Ke Shaher Mein

Jab Se Ali Ne Toda Hai Josh E Jihaad Mein

Sarwar Na Gir Saka Kahin Khaibar Ke Shaher Mein

Aao Adab Se Haider E Safdar Ke Shaher Mein

Milta Nahin Fauj E Abbabeel Ka Jawaab

Mabood E Kayanaat Ke Lashkar Ke Shaher Mein

Aao Adab Se Haider E Safdar Ke Shaher Mein

Hur Aaya Aur Ho Gaya Sadqe Hussain Par

Khatre Ki Kya Thi Zaat Samandar Ke Shaher Mein

Aao Adab Se Haider E Safdar Ke Shaher Mein

Yak Jaan Hain Aaj Panjetan E Paak Dekhiyea

Hain Kayanaat Noor Ki Chadar Ke Sheher Mein

Aao Adab Se Haider E Safdar Ke Shaher Mein

Sunte Hain Lafatha Ke Qaside Ke Saath Saath

Talwaar Utar Ke Aagayi Haider Ke Shaher Mein

Aao Adab Se Haider E Safdar Ke Shaher Mein

Dushman Ke Dil Jalaata Hua Aasmaan Se

Chhaya Uttar Ke Aa Gaya Haider Ke Shaher Mein

Aao Adab Se Haider E Safdar Ke Shaher Mein

Tashnalabi Ne Hadd Ke Jigar Phaad Dalen Hain

Ek Paak Kali Yeh Phool Ki Patthar Ke Shaher Mein

Aao Adab Se Haider E Safdar Ke Shaher Mein

 

 

 

Mahir* Najaf Ki Khaak Se Hum Apne Waaste

Kaaba Bana Ke Baithey Hain Haider Ke Shaher Mein

Aao Adab Se Haider E Safdar Ke Shaher Mein

41.4. Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

 

Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Chamki Hai Tegh E Haider E Karrar Baar Baar

Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Bazme Ali Se Aayen Hain Qatl E Hussain Tak

Hai Aaj Hota Aaya Hai Inkaar Baar Baar

Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Jab Tak Ali Na Aa Gaye Marhab Ke Saamne

Haidar Se Bhagtey Rahe Do Chaar Baar Baar

Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Abbas Ne Furhaath Ka Saahil Ulat Diya

Ja Kar Jhukhi Nigaah Khabardaar Baar Baar

Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Haider Ke Bachpane Sa Koi Dhoondo Budshikan

Khaiber Mein Log Dar Gaye Bekaar Baar Baar

Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Islam Ki Kitaab Se Uth To Gaya Magar

Mere Ali Ki Aaye Gi Jhankaar Baar Baar

Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Majboor Kar Diya Tha Nazar Ne Hussain Ke

Abbas Dekhtey Rahey Talwaar Baar Baar

Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Aasan Nahi Banana Lahed Bezubaan Ki

Roti Hai Dast E Shah Mein Talwaar Baar Baar

Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Mahir* Nazar Se Dekhi Hai Jis Din Se Karbala

Ji Chata Hai Phir Yahi Deedar Baar Baar

Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

 

 

 

41.5. Achay Mere Baba

 

Achay Mere Baba

Hazrat Se Sakina Ne Kaha Bhool Na Jaana

Achay Mere Baba

Jab Khuld May Pahuncho To Sakina Ko Bulana

Achay Mere Baba

Baba Mere Pyare Mere Aashiq Mere Shayda

Is Waqt Phuphi Se Bataliye Kyon Maanga Hai Malboos Purana

Achay Mere Baba

Mai Jaangayi Jaate Ho Sar Apna Katane Darya Ke Kanare

Pani Ka To Laane Ka Faqat Hai Ye Bahana

Achay Mere Baba

Dur Kano Se Cheenaga To Faryaad Karoongi Mai Shimre Layeen Ki

Beti Ko Sitamgar Ke Tamachon Se Bachana

Achay Mere Baba

Tum Jaate Ho Marne Ko Hamay Kis Pa Hai Sompa Ye Ghaur Ki Hai Ja

Sajjad To Bemaar Hai Batlao Thikana

Achay Mere Baba

Mehdi Ka Mila Neig Neg Na Shaadi Ka Mila Neg, Dulha Gaya Maara

Tum Hashr Mein Qasim Se Me Mera Neg Dilana

Jab Khuld May Pahuncho To Sakina Ko Bulana

Achay Mere Baba

41.6. Ajal Se Bachane Ko Aasoon Bahaye

 

Ajal Se Bachane Ko Aasoo Bahaye

Magar Maa Ki Godi Mein Asghar Na Aaye

Ajal Se Bachane Ko Aasoo Bahaye

Yeh Himmat Thi Asghar Ki Duniya Bataye

Hasi Aa Gaye Aur Aasoo Na Aaye

Ajal Se Bachane Ko Aasoo Bahaye

Woh Saahil Par Abbas Bharten Hai Paani

Magar Bahti Maujon Se Daaman Bachaye

Ajal Se Bachane Ko Aasoo Bahaye

 

 

 

Chale Aao Asghar, Tadapti Hai Maadar

Akela Hai Jhoola Kahan Tak Jhoolaye

Ajal Se Bachane Ko Aasoo Bahaye

Na Akbar Mein Dam Hai, Na Raazi Hain Maula

Yeh Kya Dekhtey Hain Nigahen Jhukaye

Ajal Se Bachane Ko Aasoo Bahaye

Ajal Poochtey Hai Shah E Deen Se Rann Mein

Kise Laa Rahen Hain Aba Me Chupaye

Ajal Se Bachane Ko Aasoo Bahaye

Ya Hussain E Imaam, Noor E Do Ain E Imaam

Mohammad Ke Nawase Par Durood Aus Salaam

41.7. Ali Ali Bolen

 

Wa Hussain-E-Imaam, Noor-E-Do-Aine Imaam

Mohammad Ke Nawase Par Durood-O-Salaam

Badha Ke Nooh Safeena, Ali Ali Bolen,

Salid Par Dil-E-Eisa, Ali Ali Bolen,

(Unclear) Se Pooch Le Duniya, Ali Ali Bolen,

Badha Ke Nooh Safeena, Ali Ali Bolen

Murraba Khaich Le Yeh Hikmat-E-Qalam To Nahi

Jihad E Aun-O-Mohammad Kise Se Kam To Nahi

Har Ek Tegh Ka Qabza, Ali Ali Bolen

Badha Ke Nooh Safeena, Ali Ali Bolen

Itat E Naad-E-Ali Har Taraf Kiye Hain Rasool

Alam Ko Deen Ke Khaibar Me Yun Liye Hain Rasool

Alam Ka Udta Pharera, Ali Ali Bolen

Badha Ke Nooh Safeena, Ali Ali Bolen

Fazilat-E-Ali Mein Diye Jalaye Huey

Falak Se Utra Hai Apni Jabeen Jhukaye Huey

Dar-E-Ali Par Sitara, Ali Ali Bolen

Badha Ke Nooh Safeena, Ali Ali Bolen

Ladaye Hazrat-E-Abbas Ki, Khuda Ki Panaah

Woh Khoon Hai Sar-E-Saahil Ke Kaapti Hai Nigaah

 

 

 

Lahoo Mein Doobta Naiza, Ali Ali Boley

Badha Ke Nooh Safeena, Ali Ali Bolen

Kanara Chhod Diya Khauf Kha Ke Dariya Ne

Ajeeb Shaan Se Hamla Kiya Hai Saqqa Ne

Alam (Unclear) Ka Panja, Ali Ali Boley

Badha Ke Nooh Safeena, Ali Ali Bolen

Hilli Hussain Ke Hamlon Se Kufr Ki Buniyaad

Ghuroor-E-Kufr Ke Lab Par Hai Naal-O-Fariyaad

Uthaye Tegh To Duniya, Ali Ali Bolen

Badha Ke Nooh Safeena, Ali Ali Bolen

Khamooshiyon Ki Haqueeqat Hamari Jaagir Hai

Bahen Hussain Ki Zainab, Ali Ki Beeti Hai

Zabaan Chale To Lahja, Ali Ali Bolen

Badha Ke Nooh Safeena, Ali Ali Bolen

Ani To Khaich Li Barchi Ki Qalb-E-Akbar Se

Qadam Samhalna Mushkil Hai Rann Me Sarwar Se

Dhadak Dhadak Ke Kaleja, Ali Ali Bolen

Badha Ke Nooh Safeena, Ali Ali Bolen

Rawan Hai Madham-E-Mahir* Qalam Ba-Faiz E Ali,

Ubal Rahe Hain Mazamine Gham Ba-Faiz E Ali,

Hamare Qalb Ka Dhara, Ali Ali Boley

Badha Ke Nooh Safeena, Ali Ali Bolen

41.8. Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

 

Bano Kahtin Thin Ro Ro Ke Asghar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Khud Chali Aaye Turbat Par Maadar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Aasoon Ki Main Shammay Jala Doon

Zulm Ki Shab Ko Main Din Bana Doon

Khwaab Mein Meri Ek Raat Aa Kar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Bano Kahtin Thin Ro Ro Ke Asghar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Kaun Hai Jis Se Poochon Main Rasta

 

 

 

Dil Ko Thame Tadapti Hoon Beta

Chal Chuka Halq-E-Sarwar Par Khanjar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Bano Kahtin Thin Ro Ro Ke Asghar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Dar Pe Khaimey Pe Kab Se Khadi Hoon

Main Tumhare Liye Ro Rahin Hoon

Maa Ke Oopar Taras Khao Asghar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Bano Kahtin Thin Ro Ro Ke Asghar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Kaise Maidaan Se Tumko Bulaoon

Kisko Khaimon Se Ai Laal Bhejoon

Soo Gaya Nehar Pe Sher-E-Haidar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Bano Kahtin Thin Ro Ro Ke Asghar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Waqt Hai Laal Mere Ghanimat

Sar Par Chhadar Abhi Hai Salamat

Lootne Aane Wala Hai Laskhar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Bano Kahtin Thin Ro Ro Ke Asghar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Dekh Kar Zalimon Ki Adawat

Shah-E-Deen Ne Chhupa Di Hai Turbat

Kaise Turbat Par Pouchoon Main Asghar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Bano Kahtin Thin Ro Ro Ke Asghar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Muskuraye They Tum Rannmein Jaise

Maan Ki Nazron Se Nazren Mila Kar

Phir Usi Shaan Se Muskura Kar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Bano Kahtin Thin Ro Ro Ke Asghar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Sooney Sooney Hain Jitney Hain Khaimey

Sab Huey Shah-E-Wala Par Sadqay

Qasim O Aun O Abbas O Akbar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Bano Kahtin Thin Ro Ro Ke Asghar

 

 

 

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Main Chali Aaon Karne Ko Baatey

Hain Darauni Yeh Sehra Ki Raatey

Qabr Mein Chouk Uttho Na Dar Kar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Bano Kahtin Thin Ro Ro Ke Asghar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Kya Tadapta Nahin Dil Tumhara

Dhyan Aata To Hoga Hamara

Chhain Kaise Pada Maa Se Chhut Kar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Bano Kahtin Thin Ro Ro Ke Asghar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Mahir* Apna Yeh Dil Ba-Khabar Hai

Maa Ke Naalon Mein Kitna Asar Hai

Chhye Hai Yeh Sada Karbala Par

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

Bano Kahtin Thin Ro Ro Ke Asghar

Apni Turbat Ka Rasta Bata Do

41.9. Asghar Mere Asghar

 

Turbat Ko Teri Chhod Kar, Maa Jaati Hai Asghar

Asghar Mere Asghar, Asghar Mere Asghar

Ta Shab Rahe Ga Yehi Ek Nauha Labon Par

Aaye Jo Ghadi Asr Ki, Sar Kata Gaya Shah Ka

Ghar Lut Gaya Mera, Sab Qaid Hai Kunba

Kaano Se Bahen Ki Chheney Gaye Gauhar

Asghar Mere Asghar, Asghar Mere Asghar

Zalim Ne Gauhar Chhen Ke Mara Hai Tamacha

Rooti Hai Sakina, De Kaun Dilasa

Daaman Tak Aaya Hai Lahoo, Kaano Se Bah Kar

Asghar Mere Asghar, Asghar Mere Asghar

Ai Laal Tere Baba Ko Maara Gaya Kyonkar

Sajde Mein They Sarwar, Gardanpar Tha Khanjar

Maanga Kiya Paani Woh Jo Tha Dil Ka Samandar

Asghar Mere Asghar, Asghar Mere Asghar

 

 

 

Ab Shimr Ke Durron Se Hamey Kaun Bachaye

Koi Nahin Haye, Zaalim Se Chudaye

Hai Tera Chacha Soya Hua Naher Ke Upar

Asghar Mere Asghar, Asghar Mere Asghar

Din Doob Gaya Raat Hui, Phaila Andhera

Dil Phhata Hai Mera, Hai Door Sawera

Roti Hai Sakina, Tere Jhoole Se Lipat Kar

Asghar Mere Asghar, Asghar Mere Asghar

Rassi Mein Hamen Dushman-E-Deen Jakde Huey Hain

Shaane Bhi Kasse Hain Bazoo Bhi Bandhe Hain

Tum Hote To Main Goad Mein Lete Tumhe Kyonkar

Asghar Mere Asghar, Asghar Mere Asghar

41.10. Ashoor Ki Garmi Hai

 

Imaan Ke Ujaale Hain, Aashoor Ki Garmi Hai

Shabbir Ki Qismat Hai, Aur Goad Ke Paale Hain

Imaan Ke Ujaale Hain, Aashoor Ki Garmi Hai

Yahan Dil Taho Baala Hai, Wahan Chayn Ke Laale Hain

Shabbir Zaifee Mein Akbar Ko Sambhaale Hain

Imaan Ke Ujaale Hain, Aashoor Ki Garmi Hai

Jis Tarha Koi Chaahe, Ghar Loot Le Pyaason Ka

Jalti Hui Reiti Par,Sab Chaahne Waale Hain

Imaan Ke Ujaale Hain, Aashoor Ki Garmi Hai

Abid Ko Koi Deikhe, Darbar Mein Koofe Ke

Beirdi Ko Uthaaey Hain, Zanjeer Sambhaale Hain

Imaan Ke Ujaale Hain, Aashoor Ki Garmi Hai

Uljhaya Tha Laila Ne, Suljhi Hui Zulfon Ko

Phir Maut Ne Aey Akbar, Bal Geisuon Waale Hain

Imaan Ke Ujaale Hain, Aashoor Ki Garmi Hai

Deikho To Ali Asghar, Aaghosh Mein Baba Ki

 

 

 

Kya Kaanpte Haaton Se Ummat Ko Sambhaale Hain

Imaan Ke Ujaale Hain, Aashoor Ki Garmi Hai

Be’faiz Zamaane Se, Kya Unko Gharaz Koi

Ab Qabr Ki Duniya Ke Shabbir Ujaale Hain

Imaan Ke Ujaale Hain, Aashoor Ki Garmi Hai

41.11. Aye Mere Nana Payembar, Lut Gaye Zainab

 

Jo Madine Gaye Zainab, To Na Sambhla Dil E Muztar

Lo Chali Aasoo Baha Kar

Yeh Kaha Qabr E Nabi Par Lut Gaye Zainab

Aye Mere Nana Payembar, Lut Gaye Zainab

Na Woh Sher Aisa Baradar Na Jigar Jo Shah E Shappar

Na Woh Hamshakl E Payambar Na Woh Chhey Maah Ka Asghar

Lut Gaye Zainab, Aye Mere Nana Payembar, Lut Gaye Zainab

Chal Gaya Seene Par Naiza, Chida Akbar Ka Kaleja

Woh Qayamat Ka Sama Tha, Mera Bhayyia Tha Akela

Are Sun Yeh Kahani

Kabhi Laashe Ko Uthaya, Kabhi Bachchon Ko Bulaya

Kabhi Haider Ko Pukara, They Ajab Haal Me Sarwar

Lut Gaye Zainab, Aye Mere Nana Payembar, Lut Gaye Zainab

Kabhi Badhna Soo E Khaima, Kabhi Khaimey Se Palatna

Kabhi Besheer Ko Takna, Kabhi Seenay Se Lagana

Keh Na Sakoo Gi,

Kabhi Awaaaz Di Asghar, Kabhi Ro Utthe Tadap Kar

Kabhi Muh Rakh Diya Muh Par, Hai Mujhe Yaad Woh Manzar

Lut Gaye Zainab, Aye Mere Nana Payembar, Lut Gaye Zainab

Asr Ke Baad Ka Kissa, Soch Kar Dilhai Dahelta

Qatl Jab Ho Gaya Pyaasa, Pisar E Fatima Zaherra

Ghash Mein Thay Abid

Mujhe Aada Ne Sataya, Mere Khaimon Ko Jalaya

Jhoola Besheer Ka Loota, Mere Chhiney Gaye Chadar

Lut Gaye Zainab, Aye Mere Nana Payembar, Lut Gaye Zainab

 

 

 

Tha Woh Koofa Ka Fasana, Dil Se Mushkil Hai Bhulan A

Tha Mera Gham Se Zamana, Qaid Tha Sara Gharana

Are Baal They Muh Bar

Intezaamaat Bade Thay, Sare Bazaar Saje Thay

Sab Tamashaye Khade Thay, Hum Thay Wahan Khule Sar

Lut Gaye Zainab, Aye Mere Nana Payembar, Lut Gaye Zainab

Ab To Mahir* Woh Ghadi Thi, Aise Tadap Woh Padi Thi

Dar Par Khamosh Khadi Thi, Pyaas Sarwar Ko Badi Thi

Lut Gaye Zainab, Aye Mere Nana Payembar, Lut Gaye Zainab

41.12. Bain Karti Thi Sakina Mere Ammu Aao

Https://Www.Youtube.Com/Wat Ch?V=Udkzx_63c9m

Bain Karti Thi Sakina, Mere Ammu Aao

Mujhko Gherey Hain Yeh Aada, Mere Ammu Aao

Bain Karti Thi Sakina, Mere Ammu Aao

Kis Tarah Jakda Hai Rassi Se Galey Ko Mere

Dam Ghuta Jaata Hai Mera, Mere Ammu Aao

Bain Karti Thi Sakina, Mere Ammu Aao

Ab To Asghar Bhi Nahin Hai, Jo Kahoon Paani Ko

Ab Nahin Hai Koi Shikwa, Mere Ammu Aao

Bain Karti Thi Sakina, Mere Ammu Aao

(Apologies For The Incomplete Nauha)

41.13. Deikar Alam Jo Shah Ne Haider Bana Diya

 

Deikar Alam Jo Shah Ne Haider Bana Diya

Saqqa Ne Saara Saahil Khaibar Bana Diya Hai

Deikar Alam Jo Shah Ne Haider Bana Diya Hai

Aaye Ali To Rabb Ne Khushaamdeed Kah Kar

Deewar Mein Haram Ki, Ek Dar Bana Diya Hai

Deikar Alam Jo Shah Ne Haider Bana Diya Hai

Saj Kar Imambara Hum Yeh Samajh Rahey Hain

Jannat Ke Raastey Mein Ek Ghar Bana Diya Hai

Deikar Alam Jo Shah Ne Haider Bana Diya Hai

 

 

 

Pehnai Ja Rahi Hai Duniya Mein Mannaton Se

Aabid Ne Hathkadi Ko Zewar Bana Diya Hai

Deikar Alam Jo Shah Ne Haider Bana Diya Hai

Mahshar Bapa Kiye Hain Do Ungliyan Ali Ki

Bachcho Ka Ek Gharonda Khaibar Bana Diya Hai

Deikar Alam Jo Shah Ne Haider Bana Diya Hai

Naame Yazeed Dar Dar Phirta Hai Muh Chupaye

Aisa Hussain Tum-Ne Beghar Bana Diya Hai

Deikar Alam Jo Shah Ne Haider Bana Diya Hai

Apne Mujahidon Ko Saj Kar Hussain Ne Bhi

Salman Bana Diya Hai Bu-Zar Bana Diya Hai

Deikar Alam Jo Shah Ne Haider Bana Diya Hai

Abbas Ki Sujahaat Saahil Par Koi Dekhe

Haidar Se Milta-Julta Tewar Bana Diya Hai

Deikar Alam Jo Shah Ne Haider Bana Diya Hai

Mimbar Par Ja Ke Khoon Mein Mursal E Murtaza Ko

Maula Bana Ke Sab Se Badktar Bana Diya Hai

Deikar Alam Jo Shah Ne Haider Bana Diya Hai

Madh E Ali Ki Khatir Kitne Hi Meesamo Ne

Duniya Mein Sooliyon Ko Mimber Bana Diya Hai

Deikar Alam Jo Shah Ne Haider Bana Diya Hai

Kismat Ne Mujhko Mahir* Meraj Baksh Di Hai

Mujhko Ghulam E Shah E Qambar Bana Diya Hai

Deikar Alam Jo Shah Ne Haider Bana Di Ya Hai

41.14. Ha’aye Asghar Kiya Karon, Aye Jaan-E-Maadar Kiya Karon

 

Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-E-Maadar, Kya Karoon

Thi Yeh Bano Ki Fughan, Duniya Mein Rah Kar Kya Karoon

Maut Ne Barbaad Kar Daal Mera Ghar, Kya Karoon

Hai Rage Jaa Ke Liye Har Saas Nashtar, Kya Karoon

Hasratoon Ka Dil May Ek Barpa Hai Mahsher, Kya Karoon

Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-E-Maadar, Kya Karoon

Ai Mere Noor E Nazar Tumko Agar Paaon Gi Main

Dekh Lena Raat Bhar Seene Se Liptaoon Gi Main

 

 

 

Surkh Phoolon Se Chaman Gulshan Ke Mehkaoon Gi Main

Ab Na Pir Doongi Tumhe Main Ghar Se Bahar Kya Karoon

Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-E-Maadar Kya Karoon

Tum Samajhte Ho Yahan Se Apne Ghar Jaoon Gi Main

Chhod Kar Tanhan Tumhe Beta Kidhar Jaaon Gi Main

Qubr Se Takra Ke Sar Jangal Mein Mar Jaoon Gi Main

Phair Loon Kyon Na Gale Par Apne Khanjar, Kya Karoon

Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-E-Maadar Kya Karoon

Kuch Nahi Tumko Khabar Kaisa Makaan Loota Gaya

Sayyed E Abraar Ka Rann Mein Makaan Loota Gaya

Dasht E Ghurbat Me Hussaini Karawan Loota Gaya

Ab Na Akbar Hai Na Abbas E Dilawar Kya Karoon

Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-E-Maadar Kya Karoon

Maut Ne Khud Looriyan Di Neend Laane Ke Liye

Rann Mein Aaye Zalzaley Jhoola Jhulane Ke Liye

Tum Chale Maidan Mein Kaise Teer Khane Ke Liye

Ab Tumhe Turbat Se Ghaiwarey Me Laa Kar Kya Karoon

Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-E-Maadar Kya Karoon

41.15. Hai Ghamon Ne Mujhe Ghera Ho Ujala Ke Adhera

 

Hai Ghamon Ne Mujhe Ghera

Ho Ujala Ke Adhera, Na Raha Koi Sahara

Hai Sakeena Ka Yeh Naala, Aaiyea Baba

Hai Ghamon Ne Mujhe Ghera

Hai Sama Shab Ka Darona, Yeh Hawaon Ka Sahemna

Yeh Sulaghta Hua Sehra, Yeh Khamoshi Yeh Andhera

Baithi Kahan Tak, Nahi Jaane Ka Qareena

Hai Bohut Door Madina, Yahin Tadpey Gi Sakeena

Nahin Mumkin Mera Jeena, Aaiyea Baba

Hai Ghamon Ne Mujhe Ghera

Main Kahoon Aap Se Kyonkar, Dhai Safon Pe Payambar

Na Khuda Ka Hai Use Darr, Hay Bada Shimr Sitamgar

Roo’n Na Kyunkar, Mujhe Aazar Diye Hain

Mere Bazoo Bhi Bandhe Hain, Mer Durr Chhen Liyen Hain

Mujhe Mara Hai Tamacha, Aaiyea Baba

Hai Ghamon Ne Mujhe Ghera

Kabhi Nazron Mein Samana, Kabhi Jhoole Mein Humakna

 

 

 

Kabhi Haaton Ko Uthana, Kabhi Hasna Kabhi Roona

Kaise Bhula Doon, Mera Ghar Ho Gaya Soona

Woh Nahi Hasliyon Wala, Mai Pahnaon Kisse Kurta

Main Jhoolaon Kise Jhula, Aaiyea Baba

Hai Ghamon Ne Mujhe Ghera

Woh Shah E Shan E Wafa Hain, Woh Dil E Sher E Khuda Hain

Woh Mere Pyare Chacha Hain, Woh Bhatiji Par Fida Hain

Mujhko Khabar Hai, Main Sada Deti Chacha Ko

Mujhe Zalim Se Chuda Do, Mere Durr Mujh Ko Dila Do,

Woh Gayen Hain Soo E Dariya, Aaiyea Baba

Hai Ghamon Ne Mujhe Ghera

Kahe Mahir* Yeh Fasana, Hai Ajab Rang E Zamana

Luta Ahmad Ka Gharana, Kaha Karti Hai Sakina

Kaise Jiyon Gi, Yehi Kahta Hai Qareena

Ke Na Dekhon Gi Madina, Mujhe Jeene Nahi De Ga,

Mera Din Raat Ka Rona, Aaiyea Baba

Hai Ghamon Ne Mujhe Ghera

41.16. Hai Sakina Ki Sada, Aa Jaiye

 

Hai Sakeena Ki Sada, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Ai Shah E Karbobala, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Hai Sakeena Ki Sada…

Bandh Gaye Hain Sab Ke Bazoo, Ho Chhuke Hum Sab Aseer

Qafila Koofe Chala, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Hai Sakeena Ki Sada, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Zainab O Laila Ruqqaya, Ya Ho Kulsoom O Rabbab

Hai Sabhi Ka Sar Khula, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Hai Sakeena Ki Sada, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Aap Ke Jjate He Baba, Ek Qayamat Aa Gayi

Khaima Khaima Jal Gaya, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Hai Sakeena Ki Sada, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Raat Hai Ban Mein Sakeena, Dhoondti Hai Baap Ko

Rann Se Aati Hai Sada, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Hai Sakeena Ki Sada, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Laash-E-Sarwar Se Sada Aaye, Sakeena Aa Idhar

Jab Sakeena Ne Kaha, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

 

 

 

Hai Sakeena Ki Sada, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Be-Sahara Ho Chhukey Hum, Sab, Sahara Deejiyea

Ghar Luta, Khaima Jala, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Hai Sakeena Ki Sada, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Taaziane Maarta Hai, Shimr Meri Pusht Par

Naher Se Mere Chacha, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Hai Sakeena Ki Sada, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Koi Bistar Le Gaya, Beemar Bhai Ka Mera

Koi Jhoola Le Gaya, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Hai Sakeena Ki Sada, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Baandh Di Gardan Mein Meri, Shimr Ne Aise Rasan

Dam Mera Ghhutney Laga, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Hai Sakeena Ki Sada, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Le Gaya Kaanon Se Mere, Shimr Gaugar Chhen Kar

Khoon Mein Kurta Bhara Hai, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Hai Sakeena Ki Sada, Aa Jai Yea, Aa Jaiyea

Kahti Thi, Mahir*, Sakeena, Kyon Nahin Aatey Hain Aap

Kya Hui Mujhse Khata, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

Hai Sakeena Ki Sada, Aa Jaiyea, Aa Jaiyea

41.17. Haye Mera Pyasa Bhai

 

Haaey Meira Pyaasa Bhai, Haaey Meira Pyaasa Bhai

Kaisi Qayamat Asr Ko Aai, Ho Gai Tan Se Sar Ki Judaai

Zainab Ro Ro Deiwe Duhaai, Haaey Meira Pyaasa Bhai

Khoon Mein Dooba Chand Sa Mukhra, Halq Se Toone Teer Nikala

Nannhi Lahad Bhi Khud Hi Banaai, Haaey Meira Pyaasa Bhai

Sabr Ki Taqat Sabko Dikha Di, Ya Ali Kahkar Kheench Li Barchi

Maiyat E Akbar* Toone Uthaai, Haaey Meira Pyaasa Bhai

Jismein Bandha Tha Raat Mein Kangna, Usmein Pada Hai Phanda Rasan Ka

Sughra Deikhey Apni Kalaai, Haaey Meira Pyaasa Bhai

Apna Chehra Khoon Mein Bharkar, Aaya Jo Duldul Kheme Ka Dar Par

Daurti Dar Pa Sakina Aai, Haaey Meira Pyaasa Bhai

 

 

 

Asr Ke Baad Aaey Hain Sataane, Rahem Nahin Khaaya Aada Ne

Kheme Looteyaag Lagaai, Haaey Meira Pyaas A Bhai

Lakhon Ka Lashkar, Teira Budhapa, Hamle Se Tere Larzan Hai Koofa

Kisne Deikhi Aisi Ladaai, Haaey Meira Pyaasa Bhai

Kahti Thiin Mahir*, Zainab E Muztar, Aa Jaaey Kaise .

Ji Bhar Kar Main Roney Na Paai, Haaey Meira Pyaasa Bhai

41.18. Jaate Hain Hum Madine Kubra Yeh Bole Ro Kar

 

Jaate Hain Hum Madinay Kubra Yeh Boli Ro Kar

Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Zindaan Se Choot Kar, Ghar Jaate Hain Hum Madinay

Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Baba Ka Sabr Karna, Asghar Ka Dhyaan Rakhna

Tere Hawale Ghar Bhar, Jaate Hain Hum Madinay

Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Shaana Zara Hila De Ammu Ko Ab Jaga De

Kah De Yeh Koi Jaakar, Jaate Hain Hum Madinay

Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Maidan Se Uth Ke Aao, Soorat Zara Dikhaoo

Ay Bhaijaan Akbar Jaate Hain Hum Madinay

Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Jhoola Isse Jhoolana. Lori Isse Sunana

Jage Jo Shab Ko Asghar, Jaate Hain Hum Madinay

Karbala, Karbala, Haye Karbala, Sughra Yeh Bole Ro Kar

Woh Chadaroon Ka Chhinna, Woh Khaima-Khaima Jalna

Le Kar Yeh Saare Manzar, Jaate Hain Hum Madinay

Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Mahshar Bapa Tah Ban Mein, Barchi Chali Thi Rann Mein

Hum-Shakl-E-Mustafa Par, Jaate Hain Hum Madinay

Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Thanda Alam Hua Hai, Khoon-E-Ali Baha Hai

Teaghey Chali Chacha Par, Jaate Hain Hum Madinay

 

 

 

Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Zindaan Mein Soo Rahi, Khamosh Ho Gayi Hai

Lutwa Kar Apne Gauhar, Jaate Hain Hum Madinay

Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

Mahir* Miyan-E-Sehra Kubra Ka Tha Yeh Nauha

Teri Zameen Basa Kar, Jaate Hain Hum Madinay

Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar

41.19. Jaisa Apna Hai Nabi*, Koi Payamber* Na Mila

 

Jaisa Apna Hai Nabi, Koi Payamber Na Mila

Saff Shikan Deikh Liye, Eik Bhi Haider Na Mila

Fatima Aisa Koi Noor Ka Mahwar Na Mila

Aaj Tak Shabbar O Shabbir Ka Hamsar Na Mila

Panjeta Paak Se Kaunain Mein Behtar Na Mila

Jaisa Apna Hai Nabi, Koi Payamber Na Mila

Raat Bhar Tadpa Kiya, Pyaas Ke Maare Ki Tarha

Khamoshi Lab Pa Thi, Darya Ke Kinare Ki Tarha

Yaad E Sheh Dil Mein Thi, Bahte Huey Dhaare Ki Tarha

Dar E Shabbir Pa Pahoncha Hai, Sitaare Ki Tarha

Hurr Ke Manind, Naseebe Ka Sikandar Na Mila

Jaisa Apna Hai Nabi, Koi Payamber Na Mila

Aam Logon Mein Kahan, Nafse Payamber Ka Jawaab

Khaak Ke Putle Nahin, Noor Ke Paiker Ka Jawaab

Har Sipaahi Kahan Ban Jata Hai, Lashkar Ka Jawaab

Kaise Mil Jaaeiga Ashaab Mein, Haider Ka Jawaab

Bazm E Ashaab Mein Jab Doosra Bu Zarr Na Mila

Jaisa Apna Hai Nabi, Koi Payamber Na Mila

Baaghe Firdaus E Iram, Chaahiye Kausar Ke Liye

Noor Hi Zeib Hai, Kuch Noor Ke Paiker Ke Liye

Ek Samandar Ki Zaroorat Hai, Samandar Ke Liye

Rab Ne Haider Ko Chuna, Bint E Payamber Ke Liye

Chashme Qudrat Ko Bhi Iss Ghar Ke Siwa Kuch Na Mila

Jaisa Apna Hai Nabi, Koi Payamber Na Mila

 

 

 

Shab Ke Ta’binda Sitaron Se Unhein Kuch Na Mila

Din Ke Rangeen Nazaron Se Unhein Kuch Na Mila

Iss Zamaane Ki Baharon Se Unhein Kuch Na Mila

Bahte Darya Ke Kanaron Se Unhein Kuch Na Mila

Zindagi Mein Jinhein Mahir*, Gham E Sarwar Na Mila

Jaisa Apna Hai Nabi, Koi Payamber Na Mila

41.20. Kiya Abbas Ne Hamla, Sarey Sahil Wafa Chamki

 

Kiya Abbas Ne Hamla, Sarey Sahil Wafa Chamki

Kaha Lashkar Ne Bhago, Barqe Noore Murtaza Chamki

Adu Bhi Deikhkar Abbas Ko, Aapas Mein Kahte They

Jala Daleigi Sahil Ko, Jo Yeh Bijli Zara Chamki

Sadaey La’fata Se, Aayaey Tatheer Tak Suniye

Ali Ki Teigh Runn Mein, Ghar Mein Zahra Ki Rida Chamki

Gira Azraq Bhi Marhab Ki Tarha, Ghode Se Do Hokar

Hasan Ke Laal Ki Talwar Jab, Naame Khuda Chamki

Bana Deewar Mein Dar, Butt Girey Taaqon Se Kabey Ke

Haram Mein Barq E Noor E Haidery, Be’inteha Chamki

Ada Jo Zeire Khanjar Ho Gaya, Uss Eik Sajde Se

Falak Sharma Gaya, Aisi Zameen E Karbala Chamki

Jagah Deine Lage Ahle Nazar, Dil Mein Salamon Ko

Tere Ashaar Mein Mahir*, Jo Salik Ki Ada Chamki

41.21. Kul Jahan Himmat E Shabbir Ka Iqrari Hai

 

Haye Mera Mazloom Imaam,

Haye Mara Gaya Hai Tashankaam

Kul Jahan Himmat E Shabbir Ka Iqrari Hai

Laash E Akbar Dar E Khaibar Se Bohut Bhaari Hai

Kul Jahan Himmat E Shabbir Ka Iqrari Hai

Raaste Kahtey Hain Guzre Hain Idhar Se Abbas

 

 

 

Door Tak Phale Hui Bu E Wafadari Hai

Kul Jahan Himmat E Shabbir Ka Iqrari Hai

Ek Naizey Se Ulat Di Hain Hazaroon Ki Safey

Mojiza Hai Ke Yeh Abbas Ki Fankari Hai

Kul Jahan Himmat E Shabbir Ka Iqrari Hai

Kah Shabbir Ne, Yeh Fauj Hai Kya Kuch Bhi Nahin

Mere Abbas Ki Adna Si Nazar Bhari Hai

Kul Jahan Himmat E Shabbir Ka Iqrari Hai

Ghaiz Mein Chhere Se Abbas Hataye Hain Naqaab

Naher Par Chaand Hai, Kausar Par Ziabaarii Hai

Kul Jahan Himmat E Shabbir Ka Iqrari Hai

Sirf Kafir Nahin Nasloon Ko Hai Paigaam E Ajal

Yeh Hai Shamsheer E Ali, Kaat Mein Do Dhari Hai

Kul Jahan Himmat E Shabbir Ka Iqrari Hai

Sirf Khaibar Mein Payamber Ne Padhi Thi Ek Baar

Aaj Tak Silsila E Naad E Ali Jaari Hai

Kul Jahan Himmat E Shabbir Ka Iqrari Hai

Jauhar E Ashq Wo Jisme Nahin Tasweer E Hussain

Jauhari Dekh Ke Kahne Lagey, Bazaari Hai

Kul Jahan Himmat E Shabbir Ka Iqrari Hai

Ab To De Deejiyea Ai Mere Chacha Izm E Jihaad

Zindigaani Nahin, Qasim Ko Ajal Pyaari Hai

Kul Jahan Himmat E Shabbir Ka Iqrari Hai

Ro Rahin Hai Ali Akbar Ke Saraane Laila

Sahb E Ashoor Nahin, Hai Shab E Bezaari Hai

Kul Jahan Himmat E Shabbir Ka Iqrari Hai

Mahir* Ashqon Se Banata Hai Iram Ki Tasweer

Tere Deewaney Pe Bahelol Ki Hushiyaari Hai

Kul Jahan Himmat E Shabbir Ka Iqrari Hai

41.22. Mahir, Hawa E Teer Sitam Dhah Ke Reh Gaye

 

Haye Mera Mazloom Imaam,

Haye Mara Gaya Hai Tashankaam

 

 

 

Mahir, Hawa E Teer Sitam Dhah Ke Reh Gaye

Besheer Ke Labon Par Hasee Aa Ke Reh Gaye

Mahir, Hawa E Teer Sitam Dhah Ke Reh Gaye

Asghar Gaye To Aaye Na Phir Ghar Mein Laut Ke

Maa Apne Dil Ko Jhooley Se Bahlaa Ke Rah Gaye

Mahir, Hawa E Teer Sitam Dhah Ke Reh Gaye

Bano Ne Khali Paye Jo Aagosh E Shah-E-Deen

Kahte Hi Kya Zabaan Se, Ghabra Ke Reh Gaye

Mahir, Hawa E Teer Sitam Dhah Ke Reh Gaye

Kyonkar Koi Bayaan Kare Marg-E-Sagheer Ko

Nauras Kali Thi, Dhoop Mein Kumbla Ke Reh Gaye

Mahir, Hawa E Teer Sitam Dhah Ke Reh Gaye

Seraab Ho Ke Dasht Se Besheer Aaye Ga

Maa Dil Isse Khayaal Se Bahala Ke Reh Gaye

Mahir, Hawa E Teer Sitam Dhah Ke Reh Gaye

Uthne Diya Na Maut Ne Kushton Ko Khwaab Se

Aghaaz E Shah-E-Shaan Mein Aa Aa Ke Reh Gaye

Mahir, Hawa E Teer Sitam Dhah Ke Reh Gaye

Sun Kar Sakina Asr Ko Awaaz E Zul Jana

Khaimey Ke Dar Par Aaye To Ghabra Ke Reh Gaye

Mahir, Hawa E Teer Sitam Dhah Ke Reh Gaye

Mahir, Payam-E-Hashr Tha Hamla Hussain Ka

Sari Zameen Dasht Ki Chakra Ke Reh Gaye

Mahir, Hawa E Teer Sitam Dhah Ke Reh Gaye

41.23. Mere Asghar Aa Gai Shaam

 

Chhod Ke Turbat Ghar Mein Aa Ja

Goad Mein Kar Araam, Asghar

Mere Asghar Aa Gaye Shaam

Baano Dukhiya Karti Hai Nauha

Khaimey Mein Hai Korhaam, Asghar

Mere Asghar Aa Gaye Shaam

Shaam E Gareeban Pahli Hui Hai

 

 

 

Mansad E Zainab Khaak Bani Hai

Tujhko Dhoonde Tere Sakina

Paani Ka Le Kar Jaam, Asghar

Mere Asghar Aa Gaye Shaam

Mat Bhoolo Ulfat Ke Qareeney

Ghutniyon Chaltey Aao Madine

Khat Mein Likh Ke Bheja Hai Tumko

Sughra Ne Paighaam, Asghar

Mere Asghar Aa Gaye Shaam

Jal Gaye Khaimey Lut Gaya Jhoola

Aah Karoon Toh Padta Hai Durra

Subha Se Shab Tak, Shab Se Saher Tak

Rona Hai Mera Kaam, Asghar

Mere Asghar Aa Gaye Shaam

Maa Ko Aa Kar Rukhsat Kar Do

Aakhon Ke Saagar Ashkon Se Bhar Do

Qaidi Ban Kar Karbobala Se

Jaatey Hain Hum Shaam, Asghar

Mere Asghar Aa Gaye Shaam

Mahir* Hain Baano Ke Naale

Goad Mein Meri Kyon Nahi Aatey

Raat Ke Sannatey Mein Tumko

Kaise Mila Aaram, Asghar

Mere Asghar Aa Gaye Shaam

Ya Hussain E Imaam, Noor E Do Aine Imaam

Mohammad Ke Nawasey Par Durood Aur Salaam

41.24. Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

 

Haye Mera Mazloom Imaam,

Haye Mara Gaya Hai Tashankaam

Sughra Ne Kaha Hijr Mein Apne Na Rulana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

Kuch Roz Se Badla Nazar Aata Hai Zamana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

Kalmahe Dafano Par Adawat Hai Nabi Se

Badle Na Yeh Duniya Kahin Aulaad E Ali Se

 

 

 

Darti Hoon Ke Karwat Koi Badle Na Zamana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

Sughra Ne Kaha Hijr Mein Apne Na Rulana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

Ghar Mera Musalmanoo Se Dekha Nahi Jaata

Anjaan Sa Lagta Hai Mujhe Sara Madina

Duniya Ko Khatakta Hai Mohammad Ka Gharana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

Sughra Ne Kaha Hijr Mein Apne Na Rulana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

Tasweeren Laga Dena Mere Qarb O Jigar Ki

Likh Dena Mera Naam Bhi Dewaroon Par Ghar Ki

Shaadi Me Mere Bhai Ki Jab Ghar Ko Sajaana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

Sughra Ne Kaha Hijr Mein Apne Na Rulana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

Kahta Hai Yeh Bahenon Ki Mohabbat Ka Tareena

Ummeed Hai Bhoolo Gi Na Tum Mujhko Sakeena

Mere Liye Saugaat Safar Se Koi Laana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

Sughra Ne Kaha Hijr Mein Apne Na Rulana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

Veeraniyan Dekhi Nahi Jaati Hai Nazar Se

Goshe Me Padi Rahti Hoon Dar Lagta Hai Ghar Se

Ghar Kya Mujhe Veeran Nazar Aata Hai Zamana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

Sughra Ne Kaha Hijr Mein Apne Na Rulana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

Bachchon Ko Hua Karti Hai Ulfat Badi Ghar Se

Sehraoon Main Ghar Dhoondi Gi Masoom Nazar Se

Roye Jo Sakeena To Kalaje Se Lagana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

Sughra Ne Kaha Hijr Mein Apne Na Rulana

Pardes Jane Walon Mujhe Bhool Na Jaana

Sach Kahti Hoon Duniya Se Guzar Jaaye Gi Sughra

Ro-Ro Ke Tumhare Liye Mar Jaaye Gi Sughra

Baba Mere Ghar Jaldi Zara Laut Ke Aana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

Sughra Ne Kaha Hijr Mein Apne Na Rulana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

 

 

 

Din Raat Nazar Meri Lagi Rahti Hai Dar Par

Bhaiyya Ali Akbar Mere Bhaiyya Ali Akbar

Pardes Basana To Bahen Ko Bhi Bulana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

Sughra Ne Kaha Hijr Mein Apne Na Rulana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

Ay Baba Na Ji Paoongi Me Ranj-O-Bala Se

Bulwalo Madine Se Mujhe Karbobala Mein

Mahir* Lab-E-Sughra Par Hai Har Dam Yeh Fasana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

Sughra Ne Kaha Hijr Mein Apne Na Rulana

Pardes Jaane Walon Mujhko Bhool Na Jaana

41.25. Phool Sahraon Mein Abid Ne Khila Daale Hain

 

Phool Sahraon Mein Abid Ne Khila Daale Hain

Kitne Veerane Baharoon Ne Basa Daale Hain

Phool Sahraon Mein Abid Ne Khila Daale Hain

Dekho Abbas Ki Nazron Ko Labe Nahar E Furath

Eh Bijlee Se Kaye Toor Jala Daalen Hain

Phool Sahraon Mein Abid Ne Khila Daale Hain

Malik O Meesam O Ammar, Abuzar, Belhol

Ishq E Haider Ne Bhi Deewane Bana Daale Hain

Phool Sahraon Mein Abid Ne Khila Daale Hain

Ulfat E Aal E Mohammad Ko Duwaaen Deejay

Barah Raaste Dar E Jannat Ke Bana Daale Hain

Phool Sahraon Mein Abid Ne Khila Daale Hain

Maatam E Shah Mein Uthti Hui Aawazon Ne

Naksh Bayat Ke Jahan Paye Mita Daale Hain

Phool Sahraon Mein Abid Ne Khila Daale Hain

Sar Ba Sajda Nazar Aatey Hain Khudaayan E Haram

Sar Khudaoon Ke Bhi Haidar Ne Jhuka Daale Hain

Phool Sahraon Mein Abid Ne Khila Daale Hain

Tegh E Haidar Se Bhi Kuch Tez Hai Shamsheer E Hussain

Isne To Kufr Ke Bhi Aasar Mita Daale Hain

 

 

 

Phool Sahraon Mein Abid Ne Khila Daale Hain

Khaich Kar Khuld Dar E Aal E Nabi Par Mahir*

Door Ke Raaste Nazdeek Bana Daale Hain

Phool Sahraon Mein Abid Ne Khila Daale Hain

41.26. Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

 

Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Silsila Noor E Imaamat Ka Chala Eik Se Eik

Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Ek Mein Bhi Na Mile, Bu E Wafa E Abbas

Phool To Gulshan E Aalam Mein Khila Eik Se Eik

Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Ek Sar De Ke Gira, Doosra Sar Le Ke Badha

Tez Yuh Raah E Shaadat Mein Chala Eik Se Eik

Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Panjatan Paak Ne Dekha Jo Iraada Hur Ka

Bakshwane Lage Sab Hur Ki Khat Eik Se Eik

Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Paye Haider Par Zara Aa Ke Haram Mein Dekho

Sar Jhukayen Hain Zamane Ke Khuda Eik Se Eik

Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Yuh Kiya Ibne Mazahir Ne Zaeefi Mein Jihaad

Rann Mein Dikhla Di Jawani Ki Ada Eik Se Eik

Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Lakh Haye Huey Shamsheer O Sina O Khanjar

Kissa E Karbobala Kahta Raha Eik Se Eik

Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Zaahiron Se Kaho Aahista Qadam Rakh Ke Chalo

Soone Wale Hain Tahe Khaak E Shifa Eik Se E Ik

Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Fatima Royen, Ali Roye, Mohammad Roye

Gham E Shabbir Mein Barsi Hai Ghata Eik Se Eik

Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

 

 

 

Koi Aaya Na Nusairi Ke Khuda Teri Tarah

Aaye Kaabe Mein Zamane Ke Khuda Eik Se Eik

Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Zakir O Shayar O Salik Hain Hami Mein Mahir*

Apne Kunbe Mein Bhi Maddahah Huwa Eik Se Eik

Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

41.27. Taatey Mabood Be Hubbe Ali Achchi Nahin

 

Ta’atey Ma’bood Be Hubbe Ali Achchi Nahin

Ho Haram Mein Bhi To Aisi Bandagi Achchi Nahin

Khush Na They Jo Dosh E Mustafa Par Be Khuda

Jo Bahaana Dhoonde Woh Paighambari Achchi Nahin

Ta’atey Ma’bood Be Hubbe Ali* Achchi Nahin

Deikh Kar Abbas Ko Bhaage, Yeh Kahte Lashkari

Deikho Saahil Par Nazar Abbas Ki Achchi Nahin

Ta’atey Ma’bood Be Hubbe Ali Achchi Nahin

Qatl E Marhab Se Hamara Yeh Aqeeda Ho Gaya

Dushmanon Ke Waaste Naad E Ali Achchi Nahin

Ta’atey Ma’bood Be Hubbe Ali Achchi Nahin

Baab E Haider Per Na Utre To Sitara Kya Karey

Baab E Haider Ke Siwa Deodhi Koi Achchi Nahin

Ta’atey Ma’bood Be Hubbe Ali Achchi Nahin

Zikr E Haider Sunn Ke Wo Tadpe, Na To Phir Kya Karey

Zakhm Gahra Ho To Be’shak Raushni Achchi Nahin

Ta’atey Ma’bood Be Hubbe Ali Achchi Nahin

Qarya Qarya Phir Rahey Hain Jo Aqeede Doston

Unn Se Kah Do Deen Mein Saudagari Achchi Nahin

Ta’atey Ma’bood Be Hubbe Ali Achchi Nahin

Zikr E Haider Sunn, Ameer E Sham Ki Batein Na Kar

Xxxx Xxxx Ke Saamne Jaadugari Achchi Nahin

Ta’atey Ma’bood Be Hubbe Ali Achchi Nahin

Madhe Haider Keejiye, Ya Karbala Par Boliye

Jo Baraaey Naam Ho, Woh Zaakiri Achchi Nahin

Ta’atey Ma’bood Be Hubbe Ali Achchi Nahin

 

 

 

Aey Meri Aankhon Ki Badli, Khoob Ghir Ghir Kar Baras

Majlis E Sarwar Mein, Ashkon Ki Kami Achchi Nahin

Ta’atey Ma’bood Be Hubbe Ali* Achchi Nahin

Mustafa Ke Noor Ki Baradari Ke Ma’siwa

Do Jahan Mein Eik Bhi Baaradari Achchi Nahin

Ta’atey Ma’bood Be Hubbe Ali Achchi Nahin

Aarzoo Hai Meiri Mahir*, Umr Rokar Kaat Doon

Yaad E Sarwar Se Khushi Ki Zindagi Achchi Nahin

Ta’atey Ma’bood Be Hubbe Ali Achchi Nahin

41.28. Thi Sada Yeh Zaiab Ki Aaye Tum Nahi Baba

 

Thi Sada Yeh Zaiab Ki Aaye Tum Nahi Baba

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Qatl Ho Gaya Bhai, Aaye Kyo Nahi Baba

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Zulmato Ke Deire Hain, Har Taraf Andhere Hain

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Gham Ki Raat Hai Aaye, Aaye Tum Nahi Baba

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Raat Ki Khamoshi Hai, Aur Sakeena Roti Hai

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Hum Hai Aur Hai Tanhaye, Aaye Tum Nahi Baba

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Saani E Payamber Ne, Baba Mere Akbar Ne

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Seene Par Sina Khaye, Aaye Tum Nahi Baba

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Dil Dhadta Jaaya Hai, Jaise Koi Aata Hai

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Jab Kabhi Hawa Aaye, Aaye Tum Nahi Baba

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Dono Haath Katwa Kar, Soo Raha Hai Dariya Par

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Mera Sher Sa Bhai, Aaye Tum Nahi Baba

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

 

 

 

Shah Ka Gulezar Tha, Jiska Naam Asghar Tha

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Usko Bhi Qaza Aaye, Aaye Tum Nahi Baba

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Rann Mein Halq E Sarwar Par, Shimr Ka Chala Khanjar

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Kayanaat Tharraye, Aaye Tum Nahi Baba

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Us Nashaib Tak Jaa Kar, Laashe Shah Se Pe Bahla Kar

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Main Sakeena Ko Laye, Aaye Tum Nahi Baba

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Ek Di Ki Bhiyee Ka, Bandh Kar Khul Gaya Kangna

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Raat Aseeri Ki Aaye, Aaye Tum Nahi Baba

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Rann Se Nausha Aata Hai, Tukde Tukde Laasha Hai

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Khoon Bhar Baraat Aaye, Aaye Tum Nahi Baba

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Bint E Fatima Mahir*, Deten Thi Sada Mahir*

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Har Taraf Hai Tanhaye, Aaye Tum Nahi Baba

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

 

 

 

  1. Syed Hasnain Haider Naqvi

42.1. Laash Akbar Ki Jo Maqtal Se Utha Laaye Hussain

 

Laash Akbar Ki Jo Maqtal Se Utha Laaye Hussain

Nowjawan Ko Safe Awwal Se Utha Laaye Hussain

Di Sada Laashe Pisar Aan Ke Leja Baanu

Chid Gaya Barchi Se Akbar Ka Kalaija Baanu

…Laash Akbar Ki

Dekhle Aakhri Deedare Pisar Marta Hai

Saamne Aankhon Ke Ye Noore Nazar Marta Hai

Dum Hai Seene May Ruka Zaqmon Se Khoon Jaari Hai

Haaye Baanu Tere Ghar Lutne Ki Taiyaari Hai

…Laash Akbar Ki

Pahunchi Qaime May Jo Hazrat Ke Ye Purdard Sada

Muztarab Hogayi Namoose Rasoole Do Sara

Peet-Ti Zainab E Muztar Nikal Aayi Bahar

Baanu Ghabra Ke Khule Sar Nikal Aayi Bahar

…Laash Akbar Ki

Roke Banu Se Ye Farmane Lage Sarware Deen

Sar Na Peeto Abhi Zindan Hai Mera Maahe Jabeen

Sab Chute Ab Na Raha Koi Hamara Baanu

Is Jawan Bete Ke Gham Ne Hame Maara Baanu

…Laash Akbar Ki

 

 

 Azandoakbarsaherhuihai

 

Dasht E Bala Me Kehti Thi Madar Aza Do Akbar Sahar Hui Hai

Leke Balye Sadqe Ho Madar Aza Do Akbar Sahar Hui Hai

Ye To Mai Samjhi Sote Ho Ghafil Kya Karon Lekin Sooni Hai Mehfil

Isliye Tumse Kehti Hai Madar Aza Do Akbar Sahar Hui Hai

Sahe Jaman Ke Saath Jinhone Jalti Zami Par Sajde Kiye Hai

Aye Hai Wo Bhi Qaak Pe Besar Aza Do Akbar Sahar Hui Hai

Maine To Jana Jage Hue Ho Zakm Bhi Tan Par Khaye Hue Ho

Tumko Jaga Doon Ran Me Yeh Keh Kar Aza Do Akbar Sahar Hui Hai

Saaf Agar Tum Kehdo Yeh Mujhse Jaqmi Sina Me Dard Siwa Hai

Phir Na Kahon Mai Shana Hila Kar Aza Do Akbar Sahar Hui Hai

Is Pa Tajjub Hota Hai Mujhko Need Ye Kaisi Ayei Hai Tumko

Uthte Nahi Ho Kehti Ho Rokar Aza Do Akbar Sahar Hui Hai

Keh Diya Hota Mujhse Jo Shai Ne Qalb Me Tere Naiza Laga Hai

Kahe Ko Kehti Tumse Ye Muztar Aza Do Akbar Sahar Hui Hai

Mai Yeh Na Kehti Qheme Me Aao Garmi Ki Izzat Tan Pe Uthao

Aarzo Itni Ayei Hon Lekar Aza Do Akbar Sahar Hui Hai

Chup Gaya Dekho Sara Andhera Hogaya Bilkul Noor Ka Tadka

Pad Lo Namaze Aakhri Uth Kar Aza Do Akbar Sahar Hui Hai

Halki Si Ran Me Phaili Safeedi Raat Ye Kaati Ne Kali Zulf Sameti

Nikle Taare Bolte Aksar Aza Do Akbar Sahar Hui Hai

Maine Ibadat Sari Hai Qilqat Dil Me Chupi Hai Uski Mohabbat

Naame Qhuda Hai Sabki Zuba Par Aza Do Akbar Sahar Hui Hai

Charq Pa Kam Kam Tare Hai Baqi Baithe Hai Uth Ke Sare Namazi

Baghe Iram Se Aye Hai Haidar Aza Do Akbar Sahar Hui Hai

 

 

 

  1. Syed Wirasat Ali Rizvi (Fikr) Lucknowi

44.1. Aey Momino Jis Maah Mein Maare Gaey Sarwar, Uski Hai

Yakum Aaj

Nauha For 01 Muharram

 

Aey Momino Jis Maah Mein Maare Gaey Sarwar, Uski Hai Yakum A Aj

Jis Maah Mein Sar Nange Phirin Zainabe Muztar, Uski Hai Yakum Aaj

Mashkeezah Sakina Ka Liye Naher Pa Aake, Shaanon Ko Kata Ke

Jis Maah Mein Maare Gaey Abbase Dilaawar, Uski Hai Yakum Aaj

Ba’ade Rufaqaa Qatl Ke Maidaan Mein Aake,Barchi Ki Ani Se

Jis Maah Mein Maare Gaey Hamshakle Payambar, Uski Hai Yakum Aaj

Jangaah Mein Haathon Pa Shahey Har-Do_Sara Ke, Lub Khushk Dikha Ke

Jis Maah Mein Besheer Sidhaare Suey Kausar, Uski Hai Yakum Aaj

Jis Maah Mein Sar Tan Se Juda Ho Gaya Shahh Ka, Afsoas Ki Hai Ja

Jis Maah Mein Tar Khoon Se Hua Shimr Ka Khanjar, Uski Hai Yakum Aaj

Sar Peeto Mohibbon Ke Shahe Kaun O Makaan Ki, Sultaane Zamaan Ki

Jis Maah Mein Paamaal Hui Laashe Mutahar, Uski Hai Yakum Aaj

Zahra-Wa Rasoole Madani, Haidere Safdar, Aur Hazrate Shappar

Jis Maah Mein Be_Chain Rahe Qab Ke Ander, Uski Hai Yakum Aaj

Kyun Fikr* Muharram Mein Bhi Kya Dil Ko Ho Farhat, Ek Gona Masarrat

Jis Maah Mein Main Jaaunga Qabre Shahhe Deen Par, Uski Hai Yakum Aaj

44.2. Doosri Maah’e Moharram Ki Hai Roaein Momeneen.

Nauha For 02 Muharram

 

Doosri Maah’e Muharram Ki Hai Roaein Momeneen

Karbala Mein Aa Chuke Hain Maalike Khuld’e Bareen

Bast O Hashtum Ko Rajab Ki Jab Chale Sultaane Deen

Auur Aamaada Hui Chalne Pa Beemaar O Hazeen

 

 

 

Shah Ne Farmaaya Ke Beemaari Mein Kyunkar Saath Loon

Fatima Sughra Abhi Kuch Roaz Tum Thahro Yaheen

Jab Kisi Jaa Par Hamaara Hoga Aey Beiti Qayaam

Bheij Kar Akbar Ko Bulwa Leinge Hum Tumko Waheen

Shah Se Sughra Ne Kaha Achcha Agar Jaat’e Hain Aap

Rahne Deejey Meire Choate Bhaai Ko Baaba Yaheen

Jaan Se Apni Ziyaada Hai Mujhe Asghar Azeez

Iski Furqat Mein Main Mar Jaaungi Beemaar O Hazeen

Baad Isske Goad Mein Sughra Ne Asghar Ko Liya

Aur Kaha Roakar Sidhaarein Ab Shah’e Dunya O Deen

Jab Bahot Israar Asghar Ke Liye Shah Ne Kiya

Tab Yeh Baatein Yaas O Hasrat Se Bhari Sughra Ne Keen

Khud Se Gar Asghar Chala Jaaey Kisi Ki Goad Mein

To Khushi Se Saath Le Jaawein Imam’e Istaqeen

Sun Ke Yeh Phailaaey Sab Ne Haath Asghar Ki Taraf

Par Na Utra Goad Se Woh Kaukab’e Charkh’e Bareen

Nizd’e Asghar Usske Baad Aaey Hussain Ibne Ali

Aur Kaha Yeh Kaan Mein Asghar Ke Kyun Aey Mah Jabeen

Bakhshishe Ummat Ka Kya Tumko Nahin Mutlaq Khayaal

Ab Chalo Karbo Bala Ko Najm’e Khatmul Mursaleen

Sun Ke Yeh Aawaaz Shah Ki Goad Mein Aaya Woh Tifl

Algharaz Raahi Huey Waan Se Sipeh Saalaar’e Deen

Woh Safar Hle Haram Ka, Aur Woh Bachchon Ka Saath

Dhoop Ki Hiddat, Hawaaein Garm Aur Tapti Zameen

Raaste Ki Sakhtiyaan Saht’e Huey Waarid Huey

Doosri Maah’e Aza Ko Karbala Mein Shah’e Deen

Fikr* Ko Ab Hind Mein Rahna Bahot Dushwaar Hai

Apne Rauz’e Par Bula Lo Ya Imam’e Muttaqeen

44.3. Teesri Maah’e Aza Ki Aai Jab Aey Momeneen.

Nauha For 03 Muharram

 

 

 

 

Teesri Maah’e Aza Ki Aai Jab Aey Momeneen

Arsh Ko Junmbish Hui, Hilne Laga Carkhe Bareen

Choar Kar Shahr’e Madina Aaey Hain Karb O Bala

Raakibe Doash’e Payamber, Rahmatul-Lilaalameen

Iss Taraf To Khaimaey Ahle Haram Hotey Hain Nasb

Chaar Soo Se Aa Rahe Hain Uss Taraf Aadaaey Deen

Kis Kiye Yeh Ho Raha Hai Karbala Mein Izdehaam

Jung Par Aamaada Hain Kis Se Yeh Afwaaje Laeen

Uss Se Larne Ke Liye Aadaaey Deen Tayyaar Ha In

Khudd Samajhte Hain Jise Dilband’e Khatmul Mursaleen

Halataa Maujood Hai Quraan Mein Jis Ke Liye

Zeenat’e Arsh’e Khuda Hai Aur Imam Al Muttaqeen

Saikron Khatt Bheij Kar Pahle Talab Usko Kiya

Aur Aamaada Hain Bahr’e Qatl Ab Aadaaey Deen

Munharif Saara Zamaana Ho Gaya Mazloom Se

Taalibe Baiyat Imame Waqt Se Hain Mushrekeen

Ghair Ki Baiyat Kare Kis Tarha Farzand’e Rasool

Yeh Sitam Kaisa Hai Bolo To Sahi Aey Ahle Keen

Kar Dua Aey Fikr* Haq Se Phir Ziyaarat Ho Naseeb

Damm Agar Nikle To Nizd’e Rauzaey Sultaan’e Deen

44.4. Moharram Ki Hai Cauthi Dil Pa Taari Ek Naya Gham Hai

Nauha For 04 Muharram

 

Muharram Ki Hai Cauthi Dil Pa Taari Ek Naya Gham Ha I

Zameene Karbala Par Khaimaey Shaahe Do_Aalam Hai

Chali Aati Hain Faujein Qatl Karne Shaah’e Waala Ko

Talaatum Hai, Zameen’e Karbala Junmbish Mein Paiham Hai

Idhar Be_Taabiyaan Ahle Haram Ki Barhti Jaati Hain

Udhar Pyaasa Lahu Ka Shaah Ke, Har Eik Azlam Hai

 

 

 

Laeen Shadaan Hain, Waan Faujon Ki Kasrat Barhti Jaati Hai

Yahaan Tanha Imame Deen Hain Aur Sakte Ka Aalam Hai

Shaqi, Khaimon Ke Paas Aate Hain Dauraate Huey Ghoare

Darey Jaate Hain Bachche, Bibiyon Mein Shoare Maatam Hai

Hua Hai Karbala Mein Aapka Jis Roaz Se Aana

Usi Taareekh Se Faujon Ka Nargha Shah Pa Paiham Hai

Talab Farmaaiye Ab Karbala Mein Fikr* Ko Aaqa

Ke Uske Dil Ka Ranjo Gham Se Ab Kuch Aur Aalam Hai

44.5. Paanchvin Maahe Moharram Ki Hui Jab Momeneen.

Nauha For 05 Muharram

 

Paanchvin Maahe Muharram Ki Hui Jab Momeneen

Karbala Mein Fauj Leikar Aa Gaya Shimr’e Laeen

Kya Sitamgar They Ke Nizd’e Khaimaey Ahle Haram

Ghoare Daptaate Huey Aate They Paiham Ahle Keen

Woh Chamak Naizon Ki Aur Jhankaar Talwaaron Ki Aah

Sunn Ke Bachche Khauf Se Girte They Ba’laaey Zameen

Shah Se Jab Zainab Ne Poocha Yeh Ke Ab Aaya Hai Kaun

Sar Jhuka Kar Aap Yeh Boale, Hai Yehi Shimre Laeen

Jaise Hi Naame Laeen Shah Ki Zabaan Par Aa Gaya

Hazrate Ainab Hueen, Hadd Se Siwa Andoah_Geen

Shah Ne Farmaaya, Bahen Kyun Iss Qadar Hai Izteraab

Yaas Se Kahne Lageen Yun Binte Khatmul Mursaleen

Khudd Suna Hai Main Ne Naana Ko Yeh Farmaate Huey

Qaatile Shappeer Hoaga, Eik Din Shimre Laeen

Aap Hi Farmaaiye Phir Kyun Na Hoon Main Be_Hawaas

Panjetan Mein Bas Faqat Hain Aap Hi Ya Shaahe Deen

Sunn Ke Yeh Shah Ne Kaha, Sabr O Raza Se Kaam Lo

Maslahat Hai Haq Ki, Kyun Ho Iss Qadar Andoah_Geen

 

 

 

Ya Hussain Ibne Ali Sadqaa Rasool Allah Ka

Karbala Mein Fikr* Ki Ho Qabr Rauzey Ke Qareen

44.6. Shashum Maahe Aza Ko Karbala Mein Hashr Barpa Tha

Nauha For 06 Muharram

 

Shashum Maahe Aza Ko Karbala Mein Hashr Barpa Tha

Hussain Ibne Ali Se Munharif Saara Zamaana Tha

Khayaame Shaahe Deen Uthwa Rahey They Naher Se Aadaa

Alamdaare Hussain Ibne Ali Ko Ghaiz Aataa Tha

Yahaan To Roaktey They Jung Se Abbas Ko Sarwar

Laraai Aaj Hi Ho, Har Shaqi Ka Waan Iraada Tha

Carha Kar Jisko Kaandhey Par Payamber Fakhr Karte They

Usi Ibne Rasul_Allah Par Faujon Ka Nargha Tha

Ba_Majboori Hataaey Uss Ne Apne Khaime Darya Se

Ke Jiski Milk Mein Aey Mominoon Har Eik Darya Tha

Idhar To Naher Se Khaime Haram Ke Uthte Jaate They

Udhar Shappir Ki Aankhon Se Jaari Khoon Ka Darya Tha

Yeh Kaisa Inqelaab Aaya Zamaane Mein Ke Darya Par

Khayaam Aada Ke Uss Ja Hain Jahaan Par Shah Ka Khaima Tha

Habaab Iss Gham Se Ab Tak Sar Patakte Hain Lab’e Saahi L

Ke Shaahe Bahr O Bar Ke Waaste Darya Pa Pahra Tha

Yeh Qismat Thi Jo Ek Shabb Bhi Rahey Aey Fikr* Raoze Par

Humm Aise Aasiyon Ka Karbala Mein Kab Thikaana Tha

44.7. Saatween Maahe Aza Ki Aaj Hai Aey Momeneen .

Nauha For 07 Muharram

 

Saatween Maahe Aza Ki Aaj Hai Aey Momeneen

Band Paani Kar Chukey Hain Shaah Par Aadaae Deen

Pahrey Bithwaae Gaey Hain Naher Par Iss Waastey

 

 

 

Taa Na Paaein Eik Qatra Bhi Imam Al Muttaqeen

Jaanwar Tak Naher Se Seiraab Hon Afsoas Hai

Aur Tarsein Eik Qatre Ko Shahe Dunya O Deen

Hai Yeh Din Makhsoos Bahrey Qasime Gulgoon Qaba

Haalate Ibne Hasan Bhi Kuch Sunein Ab Haazereen

Iss Qadar Kamsin Tha Farzande Hasan Aey Momene En

Pushte Markab Par Bithaane Aaey They Khud Shaahe Deen

Naaseron Ko Jamaa Karke Jab Shabe Aashoor Aah

De Chuke Sabko Shahaadat Ki Khabar Sultaane Deen

Jorh Kar Haathon Ko Qasim Ne Kiya Yeh Arz Tab

Naam Meira Bhi Shaheedon Mein Likha Hai Ya Naheen

Shah Ne Poocha Maut Kaisi Hai, Bata Aey Naunehaal

Shahed Se Zaayed Hai Sheereen, Tab Ye Bola Wo Haseen

Sun Ke Yeh Shah Ne Kaha Haan Tum Bhi Kal Hoage Shaheed

Aur Ali Asghar Ko Bhi Maareinge Yeh Aadaaey Deen

Naame Asghar Sunte Hi Qasim Ne Ghabra Kar Kaha

Aey Chacha Khaimon Mein Bhi Darr Aaeinge Kya Ye Laeen

Hon Fida Jaanein Hamaari Kis Qadar Ghairat Thi,Aah

Dheyaan Se Be_Pardagi Ke Ho Gaey Qasim Hazeen

Ab Main Kahta Hoon Ke Aao Shaam Ke Baazaar Mein

Aur Zara Deikho To Haaley Itrate Sultaane Deen

Jin Ke Parde Ka Tumhein Itna Tha Aey Maula Khayaal

Aam Majme Mein Khule Sar Hain Woh Baa Haal’e Hazeen

Ab Jigar Phatta Hai Nauha Khatm Kar Aey Fikr* Jald

Aur Dua Kar Yeh Ke Damm Nikle To Rauze Ke Qareen

 

Hai Makhsoos Aathveen Maahe Aza Ki Jis Dilaawar Se.

 

Nauha For 08 Muharram – Shahaadat’e Hazrat Abbas (As)

 

Hai Makhsoos Aathveen Maahe Aza Ki Jis Dilaawar Se

Bari Ulfat Thi Uss Jarraar Ko Sibte Payamber Se

 

 

 

Talaaya Phir Rahe They Shah Shabe Aashoor Jab Har Soo

To Kulsoom Uss Ghari Yeh Kah Rahi Theen Uss Dilaawar Se

Ke Bhayya Subho Ko Qurbaaniye Aale Mohammed Hai

Nisaar Aulaadein Apni Sab Kareinge Shaahe Deen Par Se

Nahin Hai Koi Bhi Aulaad Mujh Dukhiya Ki Duniya Mein

Hijaab Aaeiga Kal Ke Din Mujhe Sibte Payamber Se

Suni Jab Yaas Ki Taqreer Yeh Abbas’e Ghaazi Ne

To Rakhkar Sar Ko Qadmon Par Kaha Kulsoom’e Muztar Se

Hoon Main Bhi To Ghulam Eik Aapka, Kyun Aapko Gham Hai

Mujhe Kal Aap Sadqa Keejiyega Shaahe Deen Par Se

Gharaz Hamsheer Ko Taskeen De Kar Chupp Huey Maula

Khitaab Ab Main Yeh Karta Hoon Alamdaare Dilaawar Se

Ke Aey Aaqa Khabar Lillaah Leeje Roaz’e Aashoorah

Sitamgar Ley Gaey Chaadar Usi Kulsoom Ke Sar Se

Usi Ghar Mein Chale Aaey Laeen, Leeje Khabar Maula

Ke Jaari Rasm Parde Ki Hui Thi Aah Jis Ghar Se

Shaqi Aabid Ko Leikar Ab Chale Hain Jaanibe Koofa

Utheiga Baar Kyunkar Tauq Ka Beemaar O Laaghar Se

Bula Leeje Suey Karbo Ala Ab Fikr* Ko Maula!

Ke Sadme Uth Nahin Sakte Hain Us Ke Qalbe Muztar Se

44.9. Yeh Boale Hazrate Abbas Aake Sarwar Se

Nauha For 08 Muharram – Sawari / Shahadat Hazrat Abbas (As)

 

Yeh Boale Hazrate Abbas Aake Sarwar Se

Ke Sabr Ho Nahin Sakta Hai Ab Iss Ahqar Se

Hain Bachche Tashna Dahaani Se Jaan Balab Maula

Sadaae Al’atash Aati Hai, Khaimon Ke Dar Se

Jo Izne Jung Nahin, Laane Deejiye Paani

Ke Meiri Pyaari Sakeena Na Aab Ko Tarse

Yeh Sunke Hazrate Shappeer Ne Jhukaaya Sar

 

 

 

Samajh Li Bhaai Ki Marzi, Sukoote Sarwar Se

Utha Ke Mashko Alam, Aur Aur Leike Eik Naizah

Chala Dileir Raza Paate Hi Baraadar Se

Bhaga Ke Fauje Sitam, Aur Bhar Ke Naher Se Mashk

Suey Khayaam Phire Larte Fauje Akfar Se

Thi Mashk Doash Par Aur Dast’e Raast Mein Naizah

Jo Ek Laeen Ne Kiya Usspa Waar Khanjar Se

Sambhaala Mashko Alam Baaein Haath Se Leikin

Tamaam Fauj Ki Thi Jung Ek Dilaawar Se

Bil_Aakhir Usspa Bhi Talwaar Ek Shaqi Ki Pari

Lahoo Ka Bah Gaya Darya Taney Mutaahar Se

Magar Thi Koshishe Abbaas, Paani Bach Jaaey

Ke Surkhuroo Hoon Pilakar Main Binte Sarwar Se

Dabaa Ke Daanton Mein Tasma, Barhe They Aap Abhi

Ke Aa Ke Teer Para Ladhkare Sitamgar Se

Idhar To Mashk Chidi, Dhaar Nikli Paani Ki

Ek Aah Sard Udhar Nikli Qalbe Muztar Se

Kuch Aur Aage Barhe They, Ke Sar Pa Gurz Para

Khitaab Karke Kaha Tab Jari Ne Sarwar Se

Ke Jaan Apni Fida Ki Ghulaam Ne Maula

Dua Hai Seir Hoon Ab Deed’e Rooe Anwar Se

Sada Yeh Sunke, Kamar Thaam Ke Chale Hazrat

Yeh Kahte Jaate They Ro Ro Ke Shaah, Akbar Se

Kidhar Se Aai Nida, Jald Le Chalo Beita

Ke Marte Waqt Galey Mil Loon, Main Baraadar Se

Gharaz Ke Pahonche To Ghaltaan They Khoon Mein Abbas

Na Deikhi Jaati Thi Haalat Jari Ki Sarwar Se

Utha Ke Sar Rakha Zaanu Pa, Aur Roake Kaha

Agar Ho Koi Tamanna, Kaho Baraadar Se

Kahaa Yeh Hazrat’e Abbas Ne Ke Aey Aaqa

Tha Dil Mein Shauq’e Ziyaarat, Magar Muqaddar Se

 

 

 

Ek Aankh Teer Se Zakhmi Hai, Aur Doosri Par

Jama Hai Khoon Nikalkar, Shigaafta Sar Se

Aba Ka Daaman Utha Kar Woh Khoon Shah’e Deen Ne

Churaaya Dasht Mein Ro Ro Ke Dast’e Athar Se

Rukh’e Hussain Ko Hasrat Se Deikhkar Ek Baar

Qareeb Apne Bulaakar Kaha Yeh Akbar Se

Kujhe Yaqeen Hai Pas’e Qatl, Fauj’e Koofa O Shaam

Kareingi Be_Adabi Jism’e Shaahe Safdar Se

Sipurd Karke Meri Laash, Ibne Saad Ko Tum

Meri Taraf Se Yeh Kah Deina, Baaniye Shar Se

Eiwaz Hussain Ke Paamaal Kar De Laash Meri

Ke Roaz’e Hashr Khijaalat Na Ho Payamber Se

Khitaab Shah Se Kiya Phir, Ke Meire Laashe Ko

Huzoor Uthaaein Na Lillaah Iss Jagah Par Se

Kiya Tha Waada Sakeena Se, Paani Laane Ka

Hoon Sharmsaar Main Aaqa Ki Pyaari Dukhtar Se

Yeh Kahte Kahte Sidhaare Suey Jinaan Abbas

Hussain Roaey Lipat Kar Tan’e Baraadar Se

Dua Karo Bas Ab Aey Fikr* Tum Ke Ya Abbas

Qareeb Qabr Miley Rauzaey Munawwar Se

44.10. Adu Ki Fauj Mein Qatl’e Shahe Be_Kas Ka Saamaan Hai.…

Nauha For 09 Muharram – Shab’e Aashoor

 

Adu Ki Fauj Mein Qatl’e Shahe Be_Kas Ka Saamaan Hai

Hamaara Syed O Aaqa Faqat Ek Shab Ka Mehmaan Hai

Mili Hai Mohlat Ek Shab Ki Jo Aada Se Ibaadat Ki

To Surf’e Ta’atey Ma’abood Har Ek Ba_Dilo Jaan Hai

Isi Shab Naaseron Ko Jam’a Karke Shaahe Waala Ne

Kaha Sab Se Saher Ko Qatl Ka Meire To Saamaan Hai

 

 

 

Tumhaari Gardanon Se Apni Baiyat Main Uthaata Hoon

Jidhar Chaahe Chaley Jaao, Tumhaara Haq Nigehbaan Hai

Kaha Yeh Har Jaree Ne Gir Ke Qadmon Par Shahey Deen Ke

Nahin Chooteiga Daaman Hum Se Jab Tak Jism Mein Jaan Hai

Khudaara Hum Ghulaamon Ko Na Qadmon Se Juda Keeje

Fida Ho Jaaein Hum Sab Aap Per Yeh Dil Mein Armaan Hai

San Iksath, Jumey Ki Raat Aur Sannaate Ka Woh Aalam

Hai Taareeki Zamaane Bhar Mein, Zulf’e Shab Pareishaan Hai

Bula Lo Karbala Mein Fikr* Ko Aey Syed’e Waala

Waheen Ki Sarzameen Par Qabr Ho, Yeh Dil Mein Armaan Hai

 

 

Jab Hua Halqey Ali Asghar Nishaana Teer Ka

 

 

Nauha For 10 Muharram – Rukhsate Aakhir Imaam Hussain (A.S.)

 

Jab Hua Halqey Ali Asghar Nishaana Teer Ka

Aur Shahe Deen Dafn Laasha Kar Chuke Be_Sheer Ka

Aake Khaimey Mein Kiya Sab Beebiyon Se Yeh Khitaab

Ab Jahaan Mein Koi Bhi Moonis Nahin Shabbir Ka

Tum Sabhon Ko Haq Ta’alaa Ki Hifaazat Mein Diya

Dhiyaan Rakhna Baad Meire Aabide Dilgeer Ka

Qaaid Iss Beemaar Ko A’adaa Kareinge Meire Baad

Qaher Hoaga Baar Uthaana, Tauq Aur Zanjeer Ka

Durr Sakeena Ke Utaareinge Tamaache Maar Kar

Aur Koi Moonis Na Hoaga Dukhtare Shabbir Ka

Haaey Nannha Sa Gala Rassi Mein Baandheinge Shareer

Haal Kya Uss Waqt Hoaga Be_Kaso Dilgeer Ka

Nange Sar Tum Sabko Bhi Le Jaaeinge Baazaare Sham

Hoaga Ek Anmboah Uss Jaa Par, Jawaan O Peer Ka

Gar Koi Poocheiga Unse, Tum Sabhon Ka Haal E Zaar

To Kaheinge, Hai Yeh Kunba Shaahe Khaibar_Geer Ka

 

 

 

Sabr Karna Har Museebat Par, Tumhein Haq Ki Qasam

Mitt Nahin Sakta Mitaaey Se Likha Taqdeer Ka

Deyr Hoti Hai, Khuda Haafiz, Salaame Aakhri

Ab Bahot Mushtaaq Hoon Main Shimr Ki Shamsheer Ka

Khoon Ke Aansu Ab Qalam Roata Hai Bas Aey Fikr* Bas

Phir Gaya Aankhon Mein Naqsha Rauzaey Shabbeer Ka

44.12. Aakey Khaime Mein Kaha Shah Ne Ke Khwaahar, Alwidaa

Nauha For 10 Muharram- Sawari Imam Hussain (As)

 

Akey Khaime Mein Kaha Shah Ne Ke Khwaahar, Alwidaa

Main Bhi Marne Jaata Hoon, Aey Binte Haider,Alwidaa

Baad Meire Sabr Karna, Jo Museebat Bhi Parey

Alwida Aey Zainab O Kulsoom O Muztar, Alwidaa

Jaake Aabid Ke Sarhaane Phir Yeh Boale Shaahe Deen

Aey Mere Be_Kas Pisar, Beemaar O Laaghar, Alwidaa

Tum Imame Waqt Hoage Meire Mar Jaane Ke Baad

Sabr Har Haalat Mein Karna, Bahr’e Daawar, Alwidaa

Beiriyaan Aur Tauq Pahnaaein Tumhein Gar Ashqiya

Bad_Dua Karna Na Aey Dil_Bande Haider, Alwidaa

Phir Galey Lipta Ke Yoon Baali Sakeena Se Kaha

Aey Mere Seene Pa Soane Waali Dukhtar, Alwidaa

Zidd Na Karna Baad Meire Aey Meri Noor E Nazar

Ab Mohaafiz Hai Tera, Khallaaq’e Akbar, Alwidaa

Aansuon Ke Taar Ne Dil Ki Ragein Sab Toar Deen

Chup Raho Roa Leina Beiti Mujh Se Chutt Kar, Alwidaa

Pyaar Karke Phir Sakeena Ko Utaara Goad Se

Aur Kaha Ahle Haram Se Shah Ne Roakar, Alwidaa

Aakhri Sohbat Hai Yeh Aur Aakhri Yeh Guftagu

Ab Na Kuch Tumse Kahoonga Ta_Ba Mahshar, Alwidaa

 

 

 

Tum Ko Bhi Pahonche Meri Jaanib Se Aey Fizza Salaam

Aey Kaneeze Maadare Shappir O Shappar, Alwidaa

Hind Se Ab Tak Na Nikley Tum To Aey Fikr*E Hazeen

Aur Rukhsat Kar Diya, Sarwar Ko Roakar, Alwidaa

44.13. Roaze Aashoora Pase Qatle Imaamal Almuttaqeen

Nauha For 10 Muharram – Shaam-E-Gareeban

 

Roaz’e Aashoora Pas’e Qatle Imam Almuttaqeen

Maal O Zar Loota Jalaaey Khaimahaaey Shaah’e Deen

Ek Qanaat’e Soakhta Ki Aar Mein Sab Beebiyaan

Khaak Par Baithi Theen Bachchon Ko Liye, Ba_Dil Hazeen

Iss Taraf Bachche Pare They Gjash Mein Bhook Aur Pyaas Se

Ser O Seiraab Uss Taraf Honey Lagi Fauj’e Laeen

Jaanwar Tak Fauj Ke Jab Pa Chuke Aab O Ta’am

Tab Ghiza Bheiji Paey Atfaal’e Shaahenshaahe Deen

Zaujaey Hurr Leike Mashke Aab Aur Kuch Rotiyaan

Fauje Aada Se Gai Jiswaqt Bachchon Ke Qareen

Beebiyaan Samjheen Ke Aate Hain Laeen Phir Lootne

Hazrat’e Zainab Ba_Sad Andoah Farmaane Lageen

Roate Roate Bhooke Pyaase Bachche Soaey Hain Abhi

Loot Leina Subho Aakar, Qaid Hain Hum Sab Yaheen

Main Hoon Bibi Zaujaey Hurr, L Aai Hoon Aab O Ta’am

Baa Adab Usne Kaha Yoon, Aake Zainab Ke Qareen

Hain Gurisnah Aur Pyaase Teen Din Se Nau Nihaal

Deejiye Paani Unhein Ya Khwaahare Sultaane Deen

Rakh Diya Yeh Kahke Farshe Khaak Par Aab O Ta’am

Aur Khd Bhi Sar Jhuka Kar Baithi Baalaaey Zameen

Deikhte Hi Rotiyon Ke Tuke Aur Paani Ki Mashk

Ho Gaya Aaho Buka Ka Shoar Aey Fikr*E Hazeen

 

 

 

Itrat’e Aale Nabi Yaan Be_Rida Mehfil Mein Hai

 

 

Nauha For 10 Muharram – Shaam-E-Gareeban

 

Itrat’e Aale Nabi Yaan Be_Rida Mehfil Mein Hai

Muztareb Waan Rooh’e Zahra Qabr Ki Manzil Mein Hai

Jisko Kaandhey Par Carhaate They Payamber Aey Yazeed

Sar Usi Ka Takht Ke Neeche Teri Mehfil Mein Hai

Hain Hazaaron Zakhm Khud Mar Jaaeiga Ibne Rasool

Zebha Ka Aey Shimr Ab Kyun Qasd Teire Dil Mein Hai

Hai Yazeed’e Ru_Siyah To Takht Par Baa_Izzo Shaan

Aur Imame Waqt Mujrim Ki Tarah, Mehfil Mein Hai

Maujein Maatam Kar Rahi Hain, Sar Patakte Hain Hubaab

Khoon Jo Abbaas’e Jari Ka Daaman’e Saahil Mein Hai

Shaam Ka Zindaan Na Raushan Kar Saki Jo Chaandni

Daagh Uss Se Aaj Tak Qalb’e Mahey Kaamil Mein Hai

Kashtiye Umr’e Hussain Ibne Ali Hoti Hai Gharq

Ek Talaatum Aaj Aab’e Khanjar’e Qaatil Mein Hai

Ek Jafaa Se Kyun Na Hon Do Khoon Ke Darya Rawaan

Halq’e Asghar Mein Jo Naawak Hai Woh Shah Ke Dil Mein Hai

Apne Raozey Par Hussain Aey Fikr* Khud Bulwaaeinge

Karbala Jaane Ki Hasrat Gar Tumhaare Dil Mein Hai

44.15. Tashte Purkhoon Mein Nazar Jab Shaah Ka Sar Aa Gaya

Nauha For 10 Muharram

 

Tasht’e Purkhoon Mein Nazar Jab Shaah Ka Sar Aa Gaya

Sab Pukaar’e Lo Shafaq Mein, Mehr’e Anwar Aa Gaya

Shimr Se Paani Talab Karte Hi Karte Waqte Asr

Barh Ke Pyaase Ke Galey Tak Aab’e Khanjar Aa Gaya

Bahr’e Khoon Mein Gharq Hoakar Haaey Aashoore Ke Din

Tashna Kaamon Ka Safeena, Nizd’e Kausar Aa Gaya

 

 

 

Ley Chaley Sar Nangey Jab, Ahl’e Haram Ko Ashqiya

Ban-Key Chaadar Khud Ghubaare Dasht Sar Par Aa Gaya

Zoaf Bola Aabide Beemaar Kholo Ghash Se Aankh

Beiriyaan Leikar Qareen Jis Dum Sitamgar Aa Gaya

Shah Ne Deikha Yaas Ki Nazron Se Suuey Aasmaan

Halq Ke Nazdeek Jab Qaatil Ka Khanjar Aa Gaya

Deikhne Waaley Yeh Samjhey, Hai Shafaq Mein Aaftaab

Khoon’e Farq’e Shaah Jab Chehre Pa Bahkar Aa Gaya

Dard Laila Ke Kaleije Mein Utha Ek Daf’atan

Jab Kabhi Lub Par Kisi Ke Naam’e Akbar Aa Gaya

Zindagi Jo Fikr* Ki Shauq’e Ziyaarat Mein Kati

Jaankani Ke Waqt Khud, Maulaaey Qambar Aa Gaya

44.16. Khoon Se Tar Kab Eik Tanha Shah Ki Peishaani Hui

Nauha For 10 Muharram

Khoon Se Tar Kab Eik Tanha Shah Ki Peishaani Hui

Panjetan Ki Aaj Goya Runn Mein Qurbaani Hui

Do_Paher Mein, Sab Azeezo Aqruba Maarey Gaey

Yun Hussain Ibne Ali Ki, Khaana Weeraani Hui

Jab Gaya Duniya Se Sooey Khuld Mehmaan’e Hussain

Khoob Hooraan’e Jinaan Mein Hurr Ki Mehmaani Hui

Ho Chuka Ta’araaj Jab Duniya Mein Baagh’e Mustafa

Tab Yzeed’e Ru_Siyah Ko Bhi Pasheimaani Hui

Zulm Se Shimr’e Bud Imaan Ke, Rahey Koofa Mein Aah

Aabid’e Muztar Ki Zakhmi, Pusht’e Nooraani Hui

Roaz Pard’e Mein Shafaq Ke, Charkh Roata Hai Lahoo

Karbala Mein Jabse Shashmaahe Ki Qurbaani Hui

Akbaro Abbaso Qasim, Bhi Huey Run Mein Shaheed

Aur Rangeen Khoon Se, Shah Ki Bhi Peishaani Hui

Ashqiya Ke Asp Tak Peetey Rahey Darya Se Aab

Aur Baraaey Shaah’e Bahro Bar, Nigehbaani Hui

 

 

 

Jis Ke Darwaaze Pa Rahta Tha Malaaek Ka Hujoom

Haaey Kya Baad’e Nabi Uss Ghar Ki Weeraani Hui

Panjetan Ka Khaatema Shimr’e Laeen Ne Kar Diya

Asr Ko Sajd’e Mein Kham, Jab Shah Ki Peishaani Hui

Jab Kinaare Naher Ke Shaane Katey Abbas Ke

Haath Maujon Ne Maley, Darya Mein Tughyaani Hui

Aaftaab Aaya Gahen Mein, Ho Gai Duniya Siyaah

Gul Hayaat’e Shaah Ki Jab, Shamme Nooraani Hui

Muztareb Aey Fikr* Kyun Ho, Jaaogey Karb O Bala

Hai Agar Qismat Mein, Aur Ta’aeed’e Rabbaani Hui

 

 

Paamaal Karkey Laashaey At’har Hussain Ka

 

Nauha For 10 Muharram

 

Paamaal Karkey Laashaey At’har Hussain Ka

Nayze Pa Ashqiya Ne Rakha Sar Hussain Ka

Latkaaya Gah Darakht Mein, Gah Baab’e Shaam Mein

Rakkha Gaya Tanuur Mein, Gah Sar Hussain Ka

Jab Hurmula Ne Teer Lagaaya Hai Halq Par

Munh Tak Raha Tha Yaas Se, Asghar Hussain Ka

Be_Chain Tha Jo Raat Se, Paani Ke Waaste

Ghaltaan Hai Ab Lahu Mein Woh Gauhar Hussain Ka

Zainab Pukaarin, Deikhta Hai Ibne Saad Tu

Aur Kaatta Hai Shimr’e Laeen Sar Hussain Ka

Be_Aab Hota Khanjare Qaatil Na Kis Tarah

Sookha Gala Tha, Be_Kaso Muztar Hussain Ka

Teighein Usi Ki Sharm Se Abtak Hain Aab Aab

Sookha Gala Jo Tha, Tahey Khanjar, Hussain Ka

Har Ek Ne Laash Apne Azeezon Ki Maang Li

Paamaal Ho Gaya Tan’e Be_Sar Hussain Ka

Ya Rab Baraaey Panjetan’e Paak, Fikr* Ko

Dikhla De Jald Rauzaey Anwar Hussain Ka

 

 

 

44.18. Phool To Do Din Bahaare Jaanfeza Dikhla Gaey

Nauha For 10 Muharram

Jab Vatan Se Karbala Mein Shaah’e Waala Aa Gaey

Tashna Lab Bachche Bhi Kausar Ka Kanaara Pa Gaey

Jism Nooraani, Tapish Se, Dhoop Mein Kumhla Gaey

Baagh’e Zahra Ke Shajar Sab Dhoop Mein Kumhla Gaey

Phool To Do Din Bahaare Jaanfeza Dikhla Gaey

Hasrat Unn Ghunchon Pa Hai, Jo Bin Khile Murjha Gaey

Naizaey Qaatil, Dil’e Sadpaash’e Akbar Deikhiye

Laash’e Qasim Aur Sum’e Aspaan, Muqaddar Deikhiye

Dasht Mein Be_Jaan Pare Hain, Aun O Jaffer Deikhiye

Teer’e Seh Shoaba, Baraaey Halq’e Asghar Deikhiye

Phool To Do Din Bahaare Jaanfeza Dikhla Gaey

Hasrat Unn Ghunchon Pa Hai, Jo Bin Khile Murjha Gaey

Dukhtar’e Sarwar Ne Qaid’e Sham Mein, Rehlat Jo Ki

Roaey Yun Ahl’e Haram, Deewaar’e Zindaan Hil Gai

Hazrat’e Aabid Chale Taaboot Utha Kar, Jis Ghari

Be_Kasi Mayyat Ke Aage Kahti Jaati Thi Yehi

Phool To Do Din Bahaare Jaanfeza Dikhla Gaey

Hasrat Unn Ghunchon Pa Hai, Jo Bin Khile Murjha Gaey

Karbala Mein Jis Ghari Sughra Ka Aaya Naama_Bar

Naaseraan’e Shaah’e Deen, Be_Jaan Pare They Khaak Par

Deikh Kar Yeh Waaqeya Palta Jo Woh Khasta Jigar

Jaake Sughra Se Madeen’e Mein Kaha Sar Peetkar

Phool To Do Din Bahaare Jaanfeza Dikhla Gaey

Hasrat Unn Ghunchon Pa Hai, Jo Bin Khile Murjha Gaey

Qaid’e Zindaan Se Huey Aazaad Jab Zainul’aba

Aur Chuti Band’e Rasan Se Dukhtar’e Mushkilkusha

Karbala Mein Dafn, Jaakar Sab Shaheedon Ko Kiya

Dasht’e Ghurbat Se Baraabar Aa Rahi Thi Ye Sada

Phool To Do Din Bahaare Jaanfeza Dikhla Gaey

Hasrat Unn Ghunchon Pa Hai, Jo Bin Khile Murjha Gaey

Dafn Laashey Kar Chuk’e Jiswaqt Zainal Aabedin

Saath Raandon Ko Liye Pahonche Madin’e Ke Qareen

Mut’tela Karne Gaya Jisdam Basheer’e Dil_Hazeen

 

 

 

Kahte They Aawaaz Sunkar Yun Madin’e Ke Makeen

Phool To Do Din Bahaare Jaanfeza Dikhla Gaey

Hasrat Unn Ghunchon Pa Hai, Jo Bin Khile Murjha Gaey

Kya Likhoon Aey Fikr* Dasht’e Karbala Ke Waaqeyaat

Khatm Ho Sakta Nahin Gham Ka Fasaana Taa Hayaat

Bhooke Piyaase Uth Gaey Jis Roaz Se Woh Khush Sifaat

Aaj Tak Aawaaz Deit’e Hain Lab’e Shatt’e Furaat

Phool To Do Din Bahaare Jaanfeza Dikhla Ga Ey

Hasrat Unn Ghunchon Pa Hai, Jo Bin Khile Murjha Gaey

44.19. Shaheed Zaher Se Hona To Tha Hasan Ke Liye

Nauha For 10 Muharram

 

Shaheed Zaher Se Hona To Tha Hasan Ke Liye

Bana Tha Shimr Ka Khanjer Shah’e Zaman Ke Liye

Hai Tauq’e Aaheni Sajjad’e Khasta Tan Ke Liye

Aur Ahle Bait Ke Baazu Falak Rasan Ke Liye

Libaas’e Khuld Jisey Eid Mein Diya Haq Ne

Hazaar Haif Woh Mohtaaj Hai Kafan Ke Liye

Jawaan Honey Na Paaey Ke Run Mein Qatl Huey

Thi Kumsini Ki Shahaadat Bine Hasan Ke Liye

They Karbala Mein Sud_Afsoas, Roaz’e Aashoorah

Zamaane Bhar Ke Masaaeb Shahe Zaman Ke Liye

Yazeed Ke Liye To Takht O Taaj, Kyun Aey Charkh?

Sar’e Hussain Hai Darbaar Mein Lagan Ke Liye

Jahaan Mein Shiyon Ka Jabtak Geroah Baaqi Hai

Alam Raheiga, Alamdaar’e Safshikan Ke Liye

Rasool’e Paak Jise Choomte They Rah Rah Kar

Chari Yazeed Ki Hai, Uss Lub O Dahan Ke Liye

Firaaq’e Panjetan’e Paak Mein Sadaa Roaein

Hui Thi Khilqat’e Gham Shaah Ki Bahen Ke Liye

Jinhon Ne Khalq Mein Pardey Ki Rasm Jaari Ki

 

 

 

Woh Ahle Bait Hain Zaalim Ki Anjuman Ke Liye

Hai Fikr* Hind Mein Be_Taab Ya Imam’e Raza

Bula Lo Rauzaey Aqdas Pa Panjetan Ke Liye

44.20. Udhar To Fatah Ki, Fauje Adu Mein Shaadmaani Hai.

Nauha For 10 Muharram

 

Udhar To Fatah Ki, Fauje Adu Mein Shaadmaani Hai

Idhar Ansaar’e Shah Par Teen Din Se Bund Paani Hai

Udhar To Aatish’e Ghaiz O Ghazab Se Surkh Haiin Naari

Idhar Rung’e Rukh’e Shah Misle Khursheed, Arghwaani Hai

Ali Akbar Ki Surat Deikh Kar Har Eik Kahta Tha

Pisar Sarwar Ka Yeh, Ahmed Ki Tasweer’e Jawaani Hai

Kamar Bhi Kham Hai, Dil Bhi Hai Shikasta, Shah Ka Sadmon Se

Aur Usspar Qaher Yeh Beite Ki Mayyat Bhi Uthaani Hai

Galey Mein Tauq, Beiri Paaon Mein, Haathon Mein Hathkaryaan

Gire Partey Haiin Aabid Raah Mein, Yeh Natawaani Hai

Chala Marne Jawaan Beita, To Sarwar Ne Kaha Roakar

Ilaahi Khair Karna, Yeh Payamber Ki Nishaani Hai

Udhar To Fauje Koofa Naher Se Seiraab Hoti Hai

Idhar Sibte Nabi Par Teen Din Se Bund Paani Hai

Tarapti Hai Misaal’e Barq, Pyasoon Ke Liye Maujein

Talaatum Mein Ise Se Alqama Ka Aaj Paani Hai

Tamanna Karbala Jaane Ki Rahti Hai Sada Dil Ko

Agar Hai To Yehi, Ek Fikr* Ko Runj’e Nehaani Hai

44.21. Turbate Besheer Pa Kahti Thi Maan

Nauha For 10 Muharram

 

Turbate Be_Sheer Pa Kahti Thi Maan Asghar Utho

Kab Tak Iss Tanhaai Mein So_Oage Aey Dilbar Utho

Hai Andheira Ghar Mein, Nazron Mein Jahaan Taareek Hai

 

 

 

Kab Talak Pinhaan Rahoage, Aey Mahe Anwar Utho

Hum Sabhon Ko Qaid Karke Ashqiya Le Jaaeinge

Kis Tarha Tanha Tumhein Choreigi Yeh Maadar Utho

Goad Khaali Deikhkar Pooche Agar Sughra Tumhein

Kya Kahe Uss Na_Tawaan Se Maadare Muztar Utho

Goad Se Meiri Juda Hoate Na They Tum To Kabhi

Neend Iss Sunsaan Ban Mein Aa Gai Kyunkar Utho

Kis Liye Naaraaz Ho, Aao Mana Loon Main Tumhein

Kuch Zabaan Se To Kaho, Sadqe Gai Maadar Utho

Doodh Do Din Se Na Paaya, Iss Liye Roothey Ho Kya

Be_Kaso Majboor Hai Maan, Aey Mere Dilbar Utho

Kis Tarha Tanha Andheiri Raat Mein Neend Aaeigi

Aao Seene Se Laga Ley Maan Ali Asghar Utho

Ho Gai Hai Zindagi Dushwaar Ab Afkaar Se

Fikr*, Rauze Par Chalo, Bas Ya Ali Kahkar Utho

44.22. Hazrat Abbas – Pyaas-Atfaale Shahe-Deen Ki

Nauha For 10 Muharram

 

Pyaas Atfaal’e Shahe Deen Ki Bujhaane Ke Liye

Jaate Hain Abbas’e Ghaazi, Paani Laane Ke Liye

Boale Shah Dil Thaam Kar, Maqtal Ko Jab Akbar Chale

Doon Reza Kis Tarha Barchi Dil Pa Khaane Ke Liye

Laash’e Akbar Aai Khaime Mein To Maadar Ne Kaha

Kya Gaey They Ghar Se Maqtal Khuld Jaane Ke Liye

Neend Ajal Ki Aa Gai Tumko Mere Karyal Jawaan

Aur Hum Mushtaaq They Doolha Banaane Ke Liye

Kaisi Yeh Ghaflat Hai, Bas Ab So Chuke Beita Utho

Maan Sarhaane Aai Hai Tumko Jagaane Ke Liye

Mayyat,E Asghar Pa Maadar Ne Kaha Sar Peet Kar

Run Mein Kya Beita Gaey They Teer Khaane Ke Liye

 

 

 

Ghutniyon Chalne Na Paaey They Ke Maut Aai Tumhein

Maan Akeili Rah Gai Sadme Uthaane Ke Liye

Yaan Giri Baali Sakeena, Run Mein Laash’e Shaah Par

Waan Chala Shimr’e Laeen Durrey Lagaane Ke Liye

Ya Hussain Ab Fikr* Ko Karb O Bala Bulwaaiye

Dil Bahot Beitaab Hai, Rauze Pa Jaane Ke Liye

44.23. Boli Maan Dey Gaey Tum Daagh’e Judaai Beita

Nauha For 10 Muharram

 

Boli Maan Dey Gaey Tum Daagh’e Judaai Beita

Haaey Iss Sin Mein Tumhein Bhi Ajal Aai Beita

Tum Ko Doolha Bhi Na Aey Laal Banaane Paai

Ke Sinan Seene Pa Zaalim Ne Lagaai Beita

Dil Mein Hasrat Thi Ke Parwaan Charhaati Tum Ko

Par Yahaan Aak’e Luti Meiri Kamaai Beita

Shah Akeile Hain Bas Ab So Chuke Aey Laal Utho

Neend Kaisi Ali Akbar Tumhein Aai Beita

Kis Liye Roothe Ho Aao Main Mana Loon Tumko

Kuch Zabaan Se To Kaho Sadqe Yeh Daai Beita

Maiyat Aai Ali Asghar Ki To Bolin Yeh Rabaab

Neend Is Pyaas Mein Kyunkar Tumhein Aai Beita

Dil Mein Armaan Tha Ke Main Doodh Barhaati Lekin

Hui Paikaan Se Teri Doodh Barhaai Beita

Raat Andheiri Hai, Biyaabaan Hai, Dar Jaao Ge

Goad Mein Aao Yeh Kya Dil Mein Samaai Beita

Waari Iss Dasht Mein Mujh Kokhjali Se Chut Kar

Haaey Aaghoash’e Lahad Tumne Basaai Beita

Choti Si Laash Pa Aey Fikr* Yeh Maan Kahti Thi

Ghutniyon Chalne Na Paaey Ajal Aai Beita

 

 

 

44.24. Sabr Ki Tasweer Aey Mazloom Imam

Nauha For 10 Muharram

 

Sabr Ki Tasweer Aey Mazloom Imaam

Arsh Ki Tanweer Aey Mazloom Imaam

Nakhudaaey Kashtiye Deen’e Rasool

Saheb’e Tauqeer Aey Mazloom Imaam

Tashna Lub, Be_Yawaro, Be_Aashna

Kushtaey Shamsheer Aey Mazloom Imaam

Aey Mer’e Aaqa, Mer’e Beikas Hussain

Aey Mer’e Shappeer Aey Mazloom Imaam

Aap Ke Baad, Aap Ke Farzand Ke

Daal Di Zanjeer Aey Mazloom Imaam

Aur Saron Se Bekason Ke Cheen Li

Chadar’e Tatheer Aey Mazloom Imaam

Koofa Ke Baazaar Mein, Aadaaey Deen

Kart’e Hain Tash’heer Aey Mazloom Imaam

Hai Rasan Mein Zulm Ke Jakri Hui

Aapki Humsheer, Aey Mazloom Imaam

Rauzey Par Ab Hind Se Bulwaaiye

Fikr* Hai Dilgeer Aey Mazloom Imaam

44.25. Gyarhween Maahe Aza Ko Hukm’e Ibne Saad Se

Nauha For 11 Muharram

 

Gyarhween Maahe Aza Ko Hukm’e Ibne Saad Se

Apne Maqtoolon Ke Laashe, Fauj Waalon Ne Chuney

Aur Ikattha Karke Dafnaaya Unhein Baad’e Namaaz

Par Nabi_Zaadon Ke Laashe Dhoop Mein Jalte Rahey

Apne Kushton Ko Shaqi Dafna Ke Jab Fhaarigh Hu’e

Laaey Be_Mahmil Shutar, Ahle Haram Ke Waastey

Aur Baghaire Maqna O Chaadar Ki Ya Sabko Sawaar

 

 

 

Tauq Pahnaaya Galey Mein Aabid’e Dilgeer Key

Sayyed’e Sajjad Ke Chehr’e Ka Rang Urta Hua

Deikh Kar Zainab Yeh Boaleen, Aabid’e Dilgeer Sey

Hai Yeh Kya Haalat Tumhaari, Dil Ko Samjhaao Zara

Waarison Mein Ab Tumheen Baaqi Ho Hum Sab Ke Liey

Sabr Main Kyunkar Karoon, Aabid Ne Zainab Se Kaha

Apne Maqtoolon Ke Laash’e Dafn Unhon Ne Kar Diey

Par Mere Baaba Ki Uryaan Laash Hai Run Mein Pari

Deikhoon Kin Aankhon Se Jalti Dhoop Mein Tapte Huey

Bibiyon Mein Hashr Tha Aey Fikr* Laashey Deikh Kar

Par Shaqi Qaidi Banakar Suuey Koofa Ley Gaey

44.26. Jahaan Mein Aaj Ibne Saqiye Kausar Ka Suyyum Hai

Nauha For 12 Muharram – Suyyum

 

Jahaan Mein Aaj Ibne Saqiye Kausar Ka Suyyum Hai

Qateel’e Raah’e Haq, Sardaare Bahr O Bar Ka Suyyum Hai

Rahi Jalti Zameen Par Laash Jis Mazloom Ki Uryaan

Usi Shaahe Do Aalam, Kushtaey Khanjar Ka Suyyum Hai

Jo Saqqaaey Sakina Aur Alambardaare Lashkar Tha

Usi Dilbande Haider, Ghaazio Safdar Ka Suyyum Hai

Qalam Shaane Huey Darya Pa Jiske, Roaze Aashoora

Karo Maatam Ke Aaj Uss Saaniye Jaafar Ka Suyyum Hai

Sinaan Seene Pa Kha Ke, Jis Ne Apni Jaan Di Run Mein

Usi Noore Nigaahe Shaahe Deen, Akbar Ka Suyyum Hai

Jawaani Roaegi Jispar Qayaamat Tak Zamaane Mein

Usi Karyal Jawaan Humshakle Paighamber Ka Suyyum Hai

Na Jo Pusht’e Faras Par, Kamsini Se Baith Sakta Tha

Zamaane Mein Usi Lakhte Dile Shappar Ka Suyyum Hai

Shuja’at Aur Ghairat, Jis Ke Sin Par Fakhr Karti Thi

Usi Naashaado Kamsin, Qasim’e Muztar Ka Suyyum Hai

 

 

 

Barhaaya Doodh Jiska Hurmala Ne, Apne Paikaan Se

Azeezon Aaj Uss Naadaan, Ali Asghar Ka Suyyum Hai

Hua Tha Qatl Jo Jo Nusrate Shaahe Do Aalam Mein

Uraao Khaak Aaj Un Ghaaziyo Safdar Ka Suyyum Hai

Tujhe Aey Fikr* Jiski Qabr Par Jaane Ki Hasrat Hai

Usi Mazloom, Tashna Lab, Shahe Be_Sar Ka Suyyum Hai

44.27. Utha Pachcheeswin Maah’e Aza Ko Aah Woh Aaqa

Nauha For 25 Muharram – Shahaadat Hazrat Imam Zainal Aabedin (A.S.)

Utha Pachcheeswin Maah’e Aza Ko Aah Woh Aaqa

Ke Zainal Aabedin Jis Ne Tha Duniya Mein Laqab Paaya

Thi Woh Pachchanwe Hijri, Hua Tha Hashr Yeh Barpa

Hisham Ibne Malik Ke Zahr Se Maare Gaey Aaqa

Chabaaya Surat’e Ashdar Angootha Go Ke Shaitaan Ne

Magar Masroof Jab Bhi Ta’ate Haq Mein Rahe Aaqa

Kuein Mein Gir Pare Baqer Na Farq Aaya Ibaadat Mein

Zabaan Se Uff Na Ki, Aada Ne Go Be_Hadd Sitam Dhaaya

Banein Jin Se Ke Mas Hoakar Jawaaher, Aab Ke Qatre

Unheen Haathon Mein Hathkaryaan Pinhaaein, Hayf Hai Aada

Kiya Tha Sang’e Aswad Nasb Hazrat Hi Ne Kaab’e Mein

Laeenon Ne Magar Phir Bhi Imam’e Waqt Kab Maana

Tha Shambe Ka Din Aey Fikr*, Aur Panjum Thi Wo Shabaan Ki

Wo San Tey’ees Hijri Tha Huey They Aap Jab Paida

44.28. Mehmaan Jise Makr Se Aada Ne Bulaaya, Hai Beeswaan

Uska

Nauha For 30 Muharram – Baraaey Beeswaan

Mehmaan Jise Makr Se Aada Ne Bulaaya, Hai Beeswaan Uska

Pyaasa Jise Aashoor Ke Din Dasht Mein Maara, Hai Beeswaan Uska

Aur Teen Din Afsoas Rahi Dhoop Mein Mayyat, Be_Dafn Zameen Par

Sar Jiska Tha Naizey Pa Laeenon Ne Charhaaya, Hai Beeswa An Uska

 

 

 

Tha Saaniye Jaafar Jo Alamdaare Hussaini, Darya Ke Kinaare

Shaane Kate Jiske, Suey Firdaus Sidhaara, Hai Beeswaan Uska

Jo Mashk Sakeena Ki Liye Naher Gaya Tha, Afsoas Ki Hai Jaa

Aada Ne Jise Gurz’e Garaan_Baar Lagaaya, Hai Beeswaan Uska

Tha Chashm’e Hussain Ibne Ali Ki Jo Basaarat, Aur Qalb Ki Quwat

Khaakar Jo Sinaan Seene Pa Firdaus Sidhaara, Hai Beeswaan Uska

Tha Surat O Seerat Mein Jo Humshakl’e Payamber, Lakht’e Dil’e Sarwar

Khud Jisko Jawaani Pa Sada Naaz Raheiga, Hai Beeswaan Uska

Kamsin Jo Lara Fauj Se Ibne Shahe Khaibar, Lakhte Dil’e Shapper

Paamaal Hua Phool Sa Tan Dasht Mein Jiska, Hai Beeswaan Uska

Maidaan Mein Shah Paani Pilaane Jise Laaey, Daaman Se Chupaaey

Aashoor Ke Din Teer Se Jo Nahr Hua Tha, Hai Beeswaan Uska

Rah Jaaeigi Aey Fikr* Tere Dil Mein Yeh Hasrat, Hogi Na Ziyaarat

Tu Hind Se Rauzey Pa Na, Jis Shaah Ke Pahoncha, Hai Beeswaan Uska

44.29. Boleen Zindaan Mein Zainab Yeh Roakar

Nauha For 10 Safar – Baraaey Maheena

 

Boleen Zindaan Mein Zainab Yeh Roakar, Qaid Mein Ho Gaya Ek Maheena

Hum Sabhon Ki Khabar Lo Baraadar, Qaid Mein Ho Gaya Ek Maheena

Paas Apne Bula Leeje Bhaai, Uth Nahin Sakti Mujhse Judaai

Sabr Kabtak Kareigi Yeh Khwaahar, Qaid Mein Ho Gaya Ek Maheena

Ahle Qarya Ne Mayyat Uthaai, Dasht’e Ghurbat Mein Turbat Banaai

Hum To Ab Tak Hain Laachaar O Muztar, Qaid Mein Ho Gaya Ek Maheena

Dhoop Din Bhar Ki Aur Oas Shab Ki, Ghair Haalat Hai Zindaan Mein Sabki

Pahonchein Kyunkar Tumhaari Lahad Par, Qaid Mein Ho Gaya Ek Maheena

Ab Jafaaon Ki Bhi Hadd Hui Hai, Zabt Karne Ki Quuwat Nahin Hai

Roane Bhi Paai Ab Tak Na Tum Par, Qaid Mein Ho Gaya Ek Maheena

Deikho Sajjaad Ko Aake Bhayya, Aahini Tauq Gardan Mein Daala

Jaan Balab Hai Woh Beemaar O Laaghar, Qaid Mein Ho Gaya Ek Maheena

 

 

 

Hai Sakeena Ki Bhi Ghair Haalat, Deikhi Jaati Nahin Uski Surat

Kurhti Hai Aap Ki Pyaari Dukhtar, Qaid Mein Ho Gaya Ek Maheena

Shimr Ne Be_Khata Durrey Maare, Aur Kaanon Se Gauhar Utaarey

Bachchi Roati Hai Abtak Bilak Kar, Qaid Mein Ho Gaya Ek Maheena

Jin Se Phir Jaaey Saara Zamaana, Fikr* Unka Kahaan Par Thikaana

Kyun Na Hon Zulm Unn Be_Kason Par, Qaid Mein Ho Gaya Ek Maheena

44.30. Maan Choti Si Mayyat Pa Yeh Ro Ro Ke Pukaari, Aey Shah Ki

Yateemah

Nauha For 10 Safar – Wafaat Janabe E Sakeena (A.S.)

 

Maan Choti Si Mayyat Pa Yeh Ro Ro Ke Pukaari, Aey Shah Ki Yateemah

Pardeis Mein Kya Tum Bhi Khafa Ho Gaeen Waari, Aey Shah Ki Yateemah

Sabr Aa Gaya Lipta Ke Sar’e Shaahe Zaman Ko, Kya Iss Liye Chupp Ho

Thi Baap Ki Furqat Mein Sada Girya O Zaari, Aey Shah Ki Yateemah

Hain Zakhm Jo Kaanon Mein Dikha Do Woh Padar Ko, Rukhsaar Dikha Do

Aur Peeth Pa Durron Ke Nishaan, Maan Gai Waari, Aey Shah Ki Yateemah

Roti Theen Shab O Roaz Padar Ke Liye Aey Jaan, Maadar Gai Qurbaan

Kya Paate Hi Sar Khuld Gai Teiri Sawaari, Aey Shah Ki Yateemah

Seeney Pa Sadaa Baap Ke Tumm Soti Theen Shab Ko, Gham Kyun Na Ho Sabko

Be_Hosh Hai Ab Khaak Pa Maadar Tere Waari, Aey Shah Ki Yateemah

Kis Baat Pa Roothi Ho Zara Aankh To Kholo, Kuch Munh Se To Bolo

Sadqey Gai Maan Chaand Si Surat Pa Tumhaari,Aey Shah Ki Yateemah

Kumhla Gaya Kis Waaste Yeh Chaand Sa Chehra, Kya Haal Hai Teira

Kya Too Bhi Suey Baagh E Jinaan Aaj Sidhaari, Aey Shah Ki Yateemah

Zindaaney Bala Mein Hai Qayaamat Ka Andheira, Maan Kya Karey Dukhiya

Ghurbat Mein Hai Be_Goro Kafan Laash Tumhaari, Aey Shah Ki Yateemah

Aey Fikr* Tha Zindaan Mein Bapa Shoar’e Qayaamat, Thamti Na Thi Riqqat

Sab Ahle Haram Kahte They Baa_Girya O Zaari, Aey Shah Ki Yateema

44.31. Jahaan Mein Aaj Ibne Saqiye Kausar Ka Chehlum Hai.

Nauha For 20 Safar – Baraaey Chehlum

 

 

 

 

Jahaan Mein Aaj Ibne Saqiye Kausar Ka Chehlum Hai

Qateel’e Raah’e Haq, Sardaare Bahr O Bar Ka Chehlum Hai

Rahi Jalti Zameen Par Laash Jis Mazloom Ki Uryaan

Usi Shaahe Do Aalam, Kushtaey Khanjar Ka Chehlum Hai

Jo Saqqaaey Sakina Aur Alambardaare Lashkar Tha

Usi Dilbande Haider, Ghaazio Safdar Ka Chehlum Hai

Qalam Shaane Huey Darya Pa Jiske, Roaze Aashoora

Karo Maatam Ke Aaj Uss Saaniye Jaafar Ka Chehlum Hai

Sinaan Seene Pa Kha Ke, Jis Ne Apni Jaan Di Run Mein

Usi Noore Nigaahe Shaahe Deen, Akbar Ka Chehlum Hai

Jawaani Roaegi Jispar Qayaamat Tak Zamaane Mein

Usi Karyal Jawaan Humshakle Paighamber Ka Chehlum Hai

Na Jo Pusht’e Faras Par, Kamsini Se Baith Sakta Tha

Zamaane Mein Usi Lakhte Dile Shappar Ka Chehlum H Ai

Shuja’at Aur Ghairat, Jis Ke Sin Par Fakhr Karti Thi

Usi Naashaado Kamsin, Qasim’e Muztar Ka Chehlum Hai

Barhaaya Doodh Jiska Hurmala Ne, Apne Paikaan Se

Azeezon Aaj Uss Naadaan, Ali Asghar Ka Chehlum Hai

Hua Tha Qatl Jo Jo Nusrate Shaahe Do Aalam Mein

Uraao Khaak Aaj Un Ghaaziyo Safdar Ka Chehlum Hai

Tujhe Aey Fikr* Jiski Qabr Par Jaane Ki Hasrat Hai

Usi Mazloom, Tashna Lab, Shahe Be_Sar Ka Chehlum Hai

44.32. Safar Ki Bast O Hashtum Ko Uthey Duniya Se Paighamber

Nauha For 28 Safar – Baraaey Hazrat Mohammed E Mustafa (Sawaw) Aur

Imam Hasan (A.S.)

 

Safar Ki Bast O Hashtum Ko Uthey Duniya Se Paighamber

Isi Taareekh Naana Ke Qareen Jannat Gaey Shabbar

Hui Hijrat Zamaane Se Nabi Ki Gyaara Hijri Mein

 

 

 

San’e Panjaah Mein Maara Hasan Ko Haaey Sam Deikar

Na Kyunkar Donon Aankhon Se Bahein Aansu Ke Woh Gham Hai

Jigar Ka Zakhm Hai Ek, Doosra Daagh’e Dil’e Muztar

Janabe Sayyada Roane Na Paaiin Baap Ke Gham Mein

Huey Kya Kya Sitam Baad’e Rasul Allah Itrat Par

Jalaan’e Aaey Baabe Ilm’e Paighambar Ka Darwaazah

Yeh Kaisa Zulm Tha Duniya Mein Kyun Aey Charkh’e Kina_Warr

Giraaya Fatima Zahra Pa Darwaaza Laeenon Ne

Rasan Mein Haif Hai Baandha Gulooey Haidere Safdar

Janaaza Jab Hasan Ka Nizd’e Qabre Mustafa Pahoncha

To Baarish Chaar Jaanib Se Hui Teeron Ki, Laashe Par

Na Paai Qabr Iss Bei_Kas Ne Naana Ke Qareen Hai Hai

Charhaate They Sada Kaandhe Pa Jisko Apney Paighamber

Ziyaarat Bhi Nahin Mumkin Hai Ae Fikr* Iss Zamaane Mein

Mitaaya Najdiyon Ne Yuun Nishaane Raozaey Athhar

44.33. Ya Hazrat’e Shappeer Khuda Haafiz O Naaser

Nauha For 08 Rabiul Awwal – Alwida

 

Ya Hazrat’e Shappeer Khuda Haafiz O Naaser,

Aey Saaheb’e Tauqeer Khuda Haafiz O Naaser

Farzand’e Rasool, Ibne Ali, Shahe Do_Aalam,

Shahenshahe Dilgeer Khuda Haafiz O Naaser

Maasumaey Kaunain Ki Aaghosh Ke Paaley,

Aey Saaheb’e Tauqeer Khuda Haafiz O Naaser

Sardaare Jawanaane Jinaan, Zeenate Aalam

Aey Arsh Ki Tanveer Khuda Haafiz O Naaser

Kis Tarha Ghulaam Aapko Rukhsat Karein Maula

Kyunkar Kahein Dilgeer Khuda Haafiz O Naaser

Mohtaaje Kafan, Be_Watan O Saabir O Shaakir

Aey Sabr Ki Tasweer Khuda Haafiz O Naaser

 

 

 

Be_Yaar O Madadgaar, Shaheed’e Rah’e Khaliq

Aey Kushtaey Shamsheer Khuda Haafiz O Naaser

Tashna Dahan, Aawaara Watan, Shahe Shahidaan

Aey Be_Kas O Dilgeer Khuda Haafiz O Naaser

Aey Fikr* Hum Ab Bhi Na Gaey Rauzaey Shah Par

Aur Jaate Hain Shappeer Khuda Haafiz O Naaser

44.34. Diya Zahr Ibne Ali Un Naqi Ko

Nauha For 8 Rabiul Awwal – Shahadat Imam Hasan Askari (A.S.)

 

Diya Zahr Ibne Ali Un Naqi Ko

Janaab’e Imam E Hasan Askari Ko

Rakha Qaid Mein Moatamid Ne Hameisha

Na Syyed Pa Aaya Taras Uss Shaqi Ko

Darindon Ko Jis Ghar Mein Paala Gaya Tha

Bula Kar Wahaan Bheija Ibne Ali Ko

Namaaz Aapne Uss Jagah Jab Adaa Ki

Kiye Sajde Un Mooziyon Ne Wali Ko

Nikal Aaey Parhkar Namaaz Aap Lekin

Na Maana Imam E Zaman Muttaqi Ko

Rawayat Mein Tahreer Hai Moatamid Ne

Diya Sharbat’e Sam Waseeye Nabi Ko

Jise Peete Hi Zahr Phaila Jasad Mein

Raha Teen Din Karb Ibne Ali Ko

Thi Woh Maah’e Suyyum Ki Taareekh Hashtum

Chupaaya Tahey Khaak Haq Ke Wali Ko

Tha San Do Sau Aur Saath Hijri Woh Aey Fikr*

Diya Sab Ne Pursa Ali Aur Nabi Ko

44.35. Uthi Hai Aaj Woh Aey Mominon Duniya Se Masooma

Nauha For 3 Jamadi Us Saani – Baraaey Janab’e Fatima Zahra (A.S.)

 

 

 

Uthi Hai Aaj Woh Aey Mominon Duniya Se Masooma

Pidar Ke Ghum Mein Aadaa Ne Jise Roane Se Bhi Roaka

Kiye Aise Janaabe Sayyada Par Zulm Duniya Mein

Rahin Baad’e Nabi Pachchanwe Din Dahr Mein Zahra

Samajh Kar Be_Kas O Be_Bas Nabi Ke Baad Aada Ne

Kiya Baagh’e Fidak Bhi Ghasb, Toara Ghar Ka Darwaaza

Na Be_Izn Aaya Jis Ghar Mein Malak, Dar Aaey Waan Naari

Gala Baandha Ali Ka, Minnatein Karti Rahin Zahra

Kiye They Yoon Wasaaya, Fatima Zahra Ne Haider Se

Ke Inn Logon Ko Meri Laash Par Hargiz Na Bulwaana

Tum Apne Haath Se Ghuslo Kafan Ya Bulhasan Deina

Parhaana Khud Namaaz Aur Dafn Karna Khud Mera Laasha

Na Par Jaaey Nazar Na_Mahramon Ki Meri Mayyet Par

Shab’e Taareek Mein Taaboot Suey Qabr Le Jaana

Khata Khidmat Guzaari Mein Hui Ho Gar Koi Mujhse

Samajh Kar Apni Laundi, Bahr’e Khaliq Afo Kar Deina

Bari Mehnat Se Chakki Pees Kar Paala Hai Bachchon Ko

Khayaal Aey Bul_Hasan Rakhna, Mere Baad Inn Yaseeron Ka

Agar Koi Khata Ho Ya Ameer Al Momenin Inn Se

Saza Deine Se, Be_Maan Ka Samajh Kar Dar Guzar Karna

Din Aur Taareekh O Saal Aey Fikr* Yun Rehlat Ka Likkha Hai

Do_Shamba, Teesri Maah’e Shashum, San Giyaarah Hijri Tha

44.36. Shaheed’e Zahr, Dil O Jaane Fatima Zahra

Nauha For 3 Rajab – Shahadat Hazrat Imam Ali Naqi (A.S.)

 

Shaheed’e Zahr, Dil O Jaane Fatima Zahra

Dahum Imam Ali Un Naqi Shahe Waala

Shaheed Imam Mohammed Taqi Huey They Jab

 

 

 

To Chah Baras Ke Madine Mein They Imam’e Huda

Kiya Talab Mutawakkil Ne Bheij Kar Naamey

Gaey Iraq To Phir Shaah’e Deen Ko Qaid Kiya

Rahe Hiraasat’e Shaahi Mein Baarah Saal Magar

Rahi Eta’at O Tableegh’e Haq Ki Fikr Sada

Tha Bahr’e Ilm Ka Faiz Az Iraq Ta Ba Ajam

Har Eik Simt Se Aate They Ilm Ke Joya

Khilaaf Guzri Jo Hazrat Ki Shohrat’e Ilmi

To Shaah’e Waqt Ko Abbasiyon Ne Bharkaaya

Jab Aa Gaya Mutawakkil Ko Maut Ka Paighaam

To Sultanate Mein Bahut Sakht Inquilab Hua

Na Aaya Takht’e Khilaafat Pa Motazil Mal’oon

To Zahr Uss Ne Imam’e Zaman Ko Dilwaaya

Tha Saal Hijri Woh Do Sau Pachaas O Chaar Aey Fikr*

Do_Shamba Teesri Maah’e Rajab Ko Hashr Hua

44.37. Karo Uss Imame Shashum Par Buka

Nauha For 15 Rajab – Shahadat Hazrat Imam Jafer E Sadiq (A.S.)

 

Karo Uss Imame Shashum Par Buka

Jo Pandarhwin Maah’e Rajab Ko Utha

Khilafat Jun Hi Paai Mansoor Ne

To Chunn Chunn Ke Saadaat Ka Khoon Kiya

Darakhton Pa Latkaaey Sar Saikron

Hazaaron Ko Deewaar Mein Chunn Diya

Bulaaya Kai Baar Inhein Bhi Magar

Tha Ejaaz, Zaalim Na Kuch Kar Saka

Hua Qatl’e Saadaat Se Jab Faraagh

To Aamaada Phir Qatl’e Shah Par Hua

Bine Zaid Ko Deike Kuch Maal O Zar

Makaan Pahle Naari Se Jalwa Diya

 

 

 

Madeene Ke Haakim Ko Phir Bheija Hukm

Na Zinda Rahein Saadiqe Ba Safa

Mohammed Suleman Ke Farzand Ne

Unhein Zahr Angoor Mein De Diya

Likho Fikr Manqoot Mein Saal’e Faut

Huey Jaffer Ibne Mohammed Juda

44.38. Imame Haftumi Moosiy’ye Kaazim Dilbare Zahra

Nauha For 25 Rajab – Shahadat Hazrat Imam Moosiye Kazim (A.S.)

 

Imame Haftumi Moosiy’ye Kaazim Dilbare Zahra

Wasiye Sadiqe Aale Nabi Ko Zahr Se Maara

Muqayyad Sat’rah Saal Aap Zindaan Mein Rahe Paiham

Magar Shikwa Bajuz Zikre Khuda Lab Tak Nahin Aaya

Namaazein Parhta Tha Waqte Fazeelat Rozadaar Uthkar

Faraaghat Paate Hi Karta Tha Phir Ma’abood Ka Sajda

Suns Yun Shah Ko Kahte Ba’arha Darbaane Zindaan Ne

Ke Khwahish Thi, Diya Toone Mujhey Ta’at Ko Ghar Tanha

They Ek Din Mubtalaae Dard Maula, Yeh Khabar Sunkar

Tabeebe Khaas Ko Haroon Rasheed’e Nahes Ne Bheija

Yeh Fahmaaesh Hakeem’e Ru’siya Se Ki Thi Ta’akeedan

Dawa Mein Ibne Farzand’e Nabi Ko Zahr De Deina

Pilaai Hasb’e Farmaaesh Tabeeb’e Khaas Ne Shah Ko

Dawa Peete Hi Haal Abtar Hua Mazloom O Be_Kas Ka

Rajab Ki Bast O Panjum, Jumaa San Ek Sau Teraasi Mein

Imame Haftumi Ko Be_Haya Ne Zahr Se Maara

Safar Ki Sat’tara, Yakshamba Tha, San Ek Sau At’thaais

Imame Moosiye Mazim Huey They Fikr* Jab Paida

 

 

 

44.39. Chale_Hain_Jaanibe_Masjid_Ali Sansaar Rota Hai

Nauha For 19 Ramadan – Shahadat Maula Ali (A.S.)

 

Chale Hain Jaanibe Masjid Ali Har Eik Roata Hai

Gareibaan’e Sahar Bhi Mominon Ab Chaak Hota Hai

Sitaara Subho Ka Hai Cheierta Dil Ke Phapholon Ko

Har Ek Jhonka Naseem’e Sard Ka Nashtar Chubhoata Hai

Imame Awwalin Ki Aakhri Shabb Hai Ibaadat Ki

Charaaghey Zindagi Kuch Deir Mein Khaamosh Hota Hai

Lipatti Hain Idhar Murghabiyaan Qadmon Se Hazrat Ke

Udhar Har Halqaey Zanjeer’e Darr Mein Shoar Hota Hai

Bata Aey Masjid’e Koofa, Tahey Mehraab Pichl’e Se

Chupaaey Teigh’e Sam Aalood Yeh Kaun Aaj Soata Hai

Ali Ibne Abi Taalib Ka Gham Wo Gham Hai Aalam Mein

Ke Jo Sunta Hai Woh Ro Ro Ke Apni Jaan Khoata Hai

Shab’e Basto Yakum Ramzaan Sunn Chaalis Hijri Se

Falak Bhi Roaz Pardey Mein Shafaq Ke Khoon Rota Hai

Bula Lo Jald Aaqa Fikr* Ko Bhi Apney Rauzey Par

Ke Ab Zikr’e Najaf Se Wo Bahot Beitaab Hota Hai

44.40. Aey Mominon Hai Beeswin Maah’e Ramazaan Ki

Nauha For 20 Ramadan – Shahadat Maula Ali (A.S.)

 

Aey Mominon Hai Beeswin Maah’e Ramazaan Ki, Wa Hasrat O Darda

Batlaati Hai Barhti Hui Hasrat Yeh Makaan Ki, Waa Hasrat O Darda

Ab Noor Na Deikheiga Koi Sheir E Khuda Ka, Ghul Hoga Buka Ka

Raunaq Hai Faqat Eik Hi Shabb Bazm’e Jahaan Ki, Waa Hasrat O Darda

Jab Zakhm’e Sar’e Shaah Ko Jar’raah Ne Deikha, Sar Peet Ke Bola

Ummid Nahin Sehatte Sardaar’e Jahaan Ki, Waa Hasrat O Darda

Har Kuuchao Baazaar Mein Hai Shoar’e Qayaamat, Kaisi Hai Museebat

Badli Hui Haalat Hai Har Ek Peer O Jawaan Ki, Waa Hasrat O Darda

Hasnain Bhi Beitaab Hain Zainab Bhi Hain Muztar, Hum Roaein Na Kyunkar

 

 

 

Rukhsat Hai Koi Aan Mein Shaah’e Do_Jahaan Ki, Waa Hasrat O Darda

Bin Baap Ke Bachchon Ki Bahot Ghair Hai Haalat, Thamti Nahin Riqqat

Ab Kaun Khabar Leiga Yateemaan’e Jahaan Ki, Waa Hasrat O Darda

Deikha Hai Lahoo Jab Se Sar’e Shaah’e Huda Ka, Andheir Hai Duniya

Beitaab Hain Maujein Bhi Har Ek Bahr’e Rawaan Ki, Waa Hasrat O Darda

Iss Ghum Se Sar’e Mauj’e Saba Jin Bhi Hain Giryaan, Hai Hashr Ka Saamaan

Aawaaz Hawaaon Se Bhi Aati Hai Fughaan Ki, Waa Hasrat O Darda

Ab Kar Yeh Dua Haq Se Mayassar Ho Ziyaarat, Bar Aaey Yeh Hasrat

Aage Nahin Aey Fikr* Bas Ab Taab Bayaan Ki, Waa Hasrat O Darda

44.41. Waseeye Mustafa (Saw) Ka Mominon Ta’aboot Jaata Hai

Nauha For 21 Ramadan – Shahadat Maula Ali (A.S.)

 

Waseeye Mustafa (Saw) Ka Mominon Ta’aboot Jaata Hai

Har Ek Peer O Jawaan Iss Gham Mein Sar Par Khaak Uraata Hai

Yateemaan’e Ali Roat’e Jo Hain Sar Peet Kar Paiham

To Har Aansu Ka Qatra Arsh Ko Jumbish Mein Laata Hai

Chaley Hain Leike Taaboot’e Padar Shabbir Aur Shabbar

Janaab’e Zainab O Kulsum Ko Ghash Par Ghash Aata Hai

Hai Ek Shoar’e Qayaamat Koochao Baazar Mein B Arpaa

Najaf Ki Simt Kufa Se Janaaza Shayh Ka Jaata Hai

Idhar Hasnain Taaboot’e Padar Par Surf’e Girya Hain

Talaatum Hai Udhar, Dajla Ka Paani Josh Khaata Hai

Hawaaon Par Asar Hai Yeh Gham’e Fakhr’e Suleimaan Ka

Ke Har Jhonka Bagoola Ban Ke Khaak’e Dasht Uraata Hai

Makeen’e Khaanaey Ma’abood Uttha Aaj Duniya Se

Yeh Sannaata Hamein Koofa Ki Masjid Ka Bataata Hai

Hai Ek Sakt’e Ka Aalam Aaj Tak Eik Eik Zarr’e Par

Dar O Diwaar’e Kufa Se Gham’e Shayh Umdaa Aata Hai

Najaf Jaane Ki Hai Aey Fikr* Hasrat To Bahot Lekin

Ziyaarat Ho Mayassar, Deikhiye Woh Din Kab Aata Hai

 

 

 

44.42. Masmoom Huey Lakhte Dil’e Saaqiye Kausar, Wa Hasrato

Darda

Nauha For 23 Ziqa’ad – Shahadat Hazrat Imam Ali Raza (A.S.)

Waseeye Mustafa (Saw) Ka Mominon Ta’aboot Jaata Hai

Har Ek Peer O Jawaan Iss Gham Mein Sar Par Khaak Uraata Hai

Yateemaan’e Ali Roat’e Jo Hain Sar Peet Kar Paiham

To Har Aansu Ka Qatra Arsh Ko Jumbish Mein Laata Hai

Chaley Hain Leike Taaboot’e Padar Shabbir Aur Shabbar

Janaab’e Zainab O Kulsum Ko Ghash Par Ghash Aata Hai

Hai Ek Shoar’e Qayaamat Koochao Baazar Mein Barpaa

Najaf Ki Simt Kufa Se Janaaza Shayh Ka Jaata Hai

Idhar Hasnain Taaboot’e Padar Par Surf’e Girya Hain

Talaatum Hai Udhar, Dajla Ka Paani Josh Khaata Hai

Hawaaon Par Asar Hai Yeh Gham’e Fakhr’e Suleimaan Ka

Ke Har Jhonka Bagoola Ban Ke Khaak’e Dasht Uraata Hai

Makeen’e Khaanaey Ma’abood Uttha Aaj Duniya Se

Yeh Sannaata Hamein Koofa Ki Masjid Ka Bataata Hai

Hai Ek Sakt’e Ka Aalam Aaj Tak Eik Eik Zarr’e Par

Dar O Diwaar’e Kufa Se Gham’e Shayh Umdaa Aat A Hai

Najaf Jaane Ki Hai Aey Fikr* Hasrat To Bahot Lekin

Ziyaarat Ho Mayassar, Deikhiye Woh Din Kab Aata Hai

44.43. Jawaani Roeigi Jin Par Sada Woh Kushtaey Gham

Nauha For 29 Ziqa’ad – Shahadat Hazrat Imam Mohammed Taqi (As)

Jawaani Roeigi Jin Par Sada Woh Kushtaey Gham

Nawein Imam Mohammed Taqi, Shahe Aalam

Juda Padar Se Huey Paanch Saal Ke Sinn Mein

Gaey Imame Razaae Ghareeb, Sooey Ajam

Rahey Madeene Mein Chah Saal, Baap Se Chutt Kar

Ke Motasim Ne Bulaaya Iraq Mein Ba Sitam

 

 

 

Rakha Ba Izzato Tauqeer Pahle Paas Apne

Dilaaya Khaane Mein Phir Shaahe Deen Ko Zahr’e Sitam

Hai Doosri Yeh Rawaayat, Tha Zahr Sharbat Mein

Ke Jis Se Raahiye Jannat Huey, Imame Nahum

Thi Zauja Aapki Mamun Rasheed Ki Dukhtar

Uss Umme Fazl Ke Haathon Hua Yeh Zulm O Sitam

Gharaz Ke Qaatile Hazrat Hai, Motasim Billah

Diya Ho Khaane Mein Ya Sharbate Anaar Mein Sam

Seh Shamba,Aur Thi Untees Maahe Zeeqaada

Sidhaare Do Sad O Bastum Mein Shah Suey Iram

Hui Hai Zindagi Dushwaar Hind Mein Ab To

Bula Lo Fikr* Ko Rauzey Pa Ya Shahey Aalam

44.44. Shahadat Pa Gaey Zahr’e Wegha Se Paanchwein Rahbar

Nauha For 7 Zilhijja – Shahadat Hazrat Imam Mohammed Baqer (A.S.)

Shahadat Pa Gaey Zahr’e Wegha Se Paanchwein Rahbar

Imame Ins O Jin Hazrat Mohammed Baqare Athhar

Hisham Ibne Malik Jab Aapse Kuch Bahes Karta Tha

Shikast Usko Barabar Deita Tha Woh Ibne Paighamber

Kudoorat Ke Sabab, Bahr’e Talab Ek Roaz Zaalim Ne

Kiya Ghoara Rawaana, Zeen’e Sam Aalood Kaswaakar

Suna Jis Dam Sawaari Aai Hai Darbaare Shaahi Se

Haram Se Milke Nikle Aur Baithey Pushte Markab Par

Asar Phaila Jasad Mein Zahr Ka, Markab Pa Jab Baithey

Hua Maa’el Ba Sabzi Chand Sa’at Mein Tane Anwar

Do_Shamba Saat Zilhijja San Ek Sao Sola Hijri Thi

Utha Duniya Se Jab Noor E Nigaahe Abide Muztar

Seh Shamba, Pandarah Maahe Rajab Thi, Saal Sattaawan

Hua Tha Fikr* Jab Paida Woh Ibne Saaqiye Kausar

 

 

 

44.45. Daakhile Koofa Hua Jab Naaeb’e Sultaane Deen

Nauha For 9 Zilhijja – Shahadat Hazrat Muslim Ibne Aqeel (A.S.)

Daakhile Koofa Hua Jab Naaeb’e Sultaane Deen

Az Rahe Makr Aaey Baiyat Ko Hazaaron Mushrekin

Le Li Baiyat Koofiyon Se Hazrat’e Muslim Ne Jab

Naama Ek Bahr’e Talab Bheija Suey Sultaane Deen

Baad Iss Ke Ho Gaey Sab Ahle Koofa Munharif

Aur Baraaey Qatl’e Muslim Aa Gai Fauj’e Laeen

Aalam’e Tanhaai, Shiddat Pyaas Ki, Jaaen Kahaan

Ab Kahin Dhoonde Se Bhi Jaaey Amaan Milti Nahin

Ittefaqan Raah Mein Jab Khanaey Tau’a Mila

Tab Kaha Paani Pila De Bahr’e Khatmul Mursaleen

Jaam Paani Ka Pila Ke Momina Ne Baa_Adab

Aap Se Naam O Nishaan Poocha Ba_Aawaaze Hazeen

Baad Israar Uss Se Haalat Be_Kasi Ki Jab Kahi

Sunte Hi Naam Apne Ghar Mein Le Gai Woh Paak Deen

Raat Bhar Mehmaan Rahe, Larke Ne Uske Subho Ko

Haakime Koofa Se Kah Kar Bheij Di Fauje Laeen

Ghar Se Nikle Suntey Hi Ghoron Ki Taapon Ki Sada

Aur Kheenchi Teigh Bahr’e Qatle Fauj’e Mushrekeen

Ho Gaey Jab Aap Se Maghloob Woh Makkaar Sab

Karke Khas_Posh Ek Garhey Ko Hat Gaey Peechey Laeen

Larte Larte Hazrate Muslim Gire Uss Ghaar Mein

Hamla_War Naizon Se Be_Kas Par Huey Aadaaey Deen

Baad’e Qatl Ek Resmaan Se Paaey Mayyat Baandhkar

Kheenchte Phirte They Baazaaron Mein Koofa Ke Laeen

Kar Dua Aey Fikr* Khaliq Se Ke Mar Jaane Ke Baad

Qabr Ko Mil Jaaey Nizd’e Rauzaey Muslim, Zameen

44.46. Khinchi Hai Teigh Ke Hai Charkh Par Hilaal’e

Nauha For 29-Zilhijja-Chaand Raat – Shab E Aaghaaz’e Maah E Moharram

 

 

 

 

Khinchi Hai Teigh Ke Hai Charkh Par Hilaal’e Aza

Sawaad’e Shabb Hai Ke Khaimon Se Hai Dhuwaan Uttha

Na Chaand Deikhte Hi Kis Tarah Bahein Aansu

Isi Maheene Mein Ahmed Ka Ghar Tabaah Hua

Yeh Chaand Wo Hai Ke Dasween Ko Jiski Haaey Ghazab

Sarey Hussain Hua Waqte Asr Tun Se Juda

Yehi Wo Chaand Hai Jis Mein Ke Ahle Koofa Ne

Jalaaey Khaime Aur Ahl’e Haram Ko Loot Liya

Imame Waqt Jo They Baad’e Sarwar’e Zeeshaan

Isi Maheene Mein Aadaa Ne Unko Loot Liya

Hua Tha Jinke Makaan Se Riwaaj Parde Ka

Isi Maheene Mein Cheeni Saron Se Unke Rida

They Jamaa Koochao Baazaar Mein Tamashaai

Hujoom’e Aam Mein Ahle Haram Ka Sar Tha Khula

Khuda Ke Waaste Kuch Zaalimon Taras Khaao

Hujoome Aam Kuja Aal E Buturaab Kuja

Yazeed Takht Pa Hai, Zeire Takht Farq E Imam

Sar E Hussain Kuja, Majlise Sharab Kuja

Hai Ishtiyaaq E Ziyarat Se Hind Mein Be_Taab

Bula Lo Fikr* Ko Raoze Pa Apne Aey Maula

 

 

 

  1. Janab Tajammul Lucknowi

45.1. Kise Nasir Milay Aise Shahe Dilgeer Se Pehle

 

Kise Nasir Milay Aise Shahe Dilgeer Se Pehle

Wafa Ki Laaj Rakhli Margaye Shabbir Se Pehle

Badi Sharmindagi Unko Hui Maidan E Khyber May

Alam Lekar Jo Nikle Shahe Kyber Geer Se Pehle

Kise Nasir Milay Aise Shahe Dilgeer Se Pehle

Sanad Quran Ki Ahlebayt Ke Haq May Batati Hai

Ye Zaahir Thay Na Nuzoole Aayaye Tatheer Se Pehle

Kise Nasir Milay Aise Shahe Dilgeer Se Pehle

Pata Chalta Hai Ye Anjame Hur Se Dekhle Dunya

Dare Jannat Nahi Milta Dare Shabbir Se Pehle

Kise Nasir Milay Aise Shahe Dilgeer Se Pehle

Shaheede Raahe Haq Akbar Hue Baysheer Se Pehle

Kaleja Sheh Ka Tha Noke Sina Par Teer Se Pehle

Kise Nasir Milay Aise Shahe Dilgeer Se Pehle

Kaha Akbar Se Sheh Ne Mujko Kyon Majboor Karte Ho

Zakah Marne Ki Maango Zainab E Dilgeer Se Pehle

Kise Nasir Milay Aise Shahe Dilgeer Se Pehle

Ghame Sarwar Diya Haq Ne Tajammul* Shukr Laazim Hai

Badi Daulat Ata Ki Khuld Ki Jageer Se Pehle

Kise Nasir Milay Aise Shahe Dilgeer Se Pehle

 

 

 

  1. Janab Tanveer Mohaani

46.1. Shabbir Ka Waada E Wafa Ho Ke Rahe Ga

(Abbas Ke Rauze Par Simat Aaye Gi Duniya)

 

Yeh Arzaq E Shaami Hai Samhal Hazrat E Shamil

Ek Waar, Bas Sar Tan Se Juda Ho Ke Rahe Ga

Shabbir Ka Waada Hai Wafa Ho Ke Rahe Ga

Abbas Ke Rauze Par Simat Aaye Gi Duniya (4)

Har Maangne Waale Ka Bhala Ho Ke Rahe Ga

Shabbir Ka Waada Hai Wafa Ho Ke Rahe Ga

(Repeated Thrice)

Shabbir Ki Pad Jaayegi Jis Waqt Nighayen (3)

Hur Naam Hai Chota Sa Bada Ho Ke Rahey Ga

Shabbir Ka Waada Hai Wafa Ho Ke Rahe Ga

(Repeated Twice)

Mashkiza Jo Bharne Ke Liye Sher Chala Hai (4)

Roka Ga Ise Jo Woh Fana Ho Ke Rahe Ga

Shabbir Ka Waada Hai Wafa Ho Ke Rahe Ga

(Repeated Twice)

Bigde Nazar Aatey Hain Alamdaar Ke Tewar (4)

Dariya Par Abhi Hashr Bapa Ho Ke Rahe Ga

Shabbir Ka Waada Hai Wafa Ho Ke Rahe Ga

(Repeated Twice)

Siffin Se Khamosh Hai Abbas Ki Shamsheer (4)

Chamke Gi To Lashkar Yeh Hawa Ho Ke Rahe Ga

Shabbir Ka Waada Hai Wafa Ho Ke Rahe Ga

(Repeated Twice)

Kahta Hi Jo Sarwar Ki Azaddari Ko Fitna (4)

Woh Shaks Giraftar E Bala Ho Ke Rahe Ga

Shabbir Ka Waada Hai Wafa Ho Ke Rahe Ga

(Repeated Twice)

Kar Dein Gein Mujhe Salik O Mahir Ke Hi Jaisa

Andaaz Yeh Ek Roz Ata Ho Ke Rahe Ga

Shabbir Ka Waada Hai Wafa Ho Ke Rahe Ga

 

 

Sakina Rah Gaye Pyaasi Yeh Hai Abbas Ka Nauha

 

Sakina Rah Gaye Pyaasi Yeh Hai Abbas Ka Nauha

Laho Bhi De Diya Apna, Sakins Rah Gaye Pyaasi

Mera Laasha Suey Khaima Na Le Jayen Shah E Wala

Wahan Sab Ko Gila Ho Gaya, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Main Ibn E Saqiyea Kausar, Mera Mansab Hai Saqqaye

Hua Jaata Hoon Sharminda, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Diya Tha Usne Mashkiza Badi Ummeed Se Mujhko

Main Kaise Ghar Chaloon Aaqa, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Main Jab Bhi Sooch Leta Hoon, Tadap Jata Hai Dil Mera

Meri Aakhoon Ne Bhi Dekha, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Jise Khud Apne Haatoh Se, Alam Ke Saath Bandha Tha

Ka Kaam Aaya Woh Mashkiza, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Mere Haaton Ka Kat Jaana, Qayamat To Kaha Jaye

Qayamat Yeh Hui Barpa, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Main Tashnalab Palat Aaya, Koi Shikwa Nahin Mujhko

Mujhe Hai Bas Yehi Sadma, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Yahi Ek Baat Kaate Ke Tarah Dil Mein Khatakti Hai

Mere Qabze Mein Tha Dariya, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Ali O Fatama Ke Saamne Jis Waqt Jaaon Ga

Unhe Kaise Bataoon Ga, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina Rah Gaye Pyaasi

 

 

 

Tassavur Jaam E Kauthar Ka Nazara Baagh E Jannat Ka

Mujhe Achcha Nahi Lagta, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Bohut Roye Shah E Ala Jo Abbas E Dilawar Ne

Yeh Kak Kar Apna Dam Toda, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Bahaye Khoon Ke Aasoon Mere Aakhon Ne Ai Urfi*

Larazte Haaton Se Likhta, Sakina Rah Gaye Pyaasi

Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina Rah Gaye Pyaasi

 

 

 

  1. Janab Vaishi Lucknowi

48.1. Ai Rasool E Khuda Dekhye

 

Ai Rasool E Khuda Dekhye

Ek Zara Janib E Karbala Dekhiyea

Kat Gaya Aap Ka Do-Paher Mein Chaman

Khaakh Par Soo Rahen Hain Gareeb Ul Watan

De Rahi Hai Sada Karbala, Dekhiyea

Ai Rasool E Khuda Dekhye

Woh Jo Akbar Tha Shabbir Ka Laadla

Chand Se Uske Seeney Par Naiza Laga

Naujawani Mein Aaye Qaza, Dekhiyea

Ai Rasool E Khuda Dekhye

Bekhata Aap Ka Laal Maara Gaya

Kar Ke Mehmaan, Qatra Na Paani Diya

Kat Gaya Un Sabhon Ka Gala, Dekhiyea

Ai Rasool E Khuda Dekhye

Rone Paye Na Bhai Ko Apne Bahen

Bekhata Bazoon Mein Bandhi Hai Rasan

Qaid Mein Jaye Ga Qafila, Dekhiyea

Ai Rasool E Khuda Dekhye

Arsh E Azam Se Utra Sitara Jahan

Be Ijazat Malak Bhi Na Aayen Jahan

Kya Ghazab Woh Ghar Se Gaya, Dekhiyea

Ai Rasool E Khuda Dekhye

Rann Mein Aun O Mohammad Bhi Maarey Gaye

Aur Abbas E Ghaazi Ke Bazoo Katey

Halq E Asghar Pe Nawak Laga, Dekhiyea

Ai Rasool E Khuda Dekhye

Laadli Aap Ki, Zainab E Khastatan

Uske Bazoon Mein Bandhi Gayi Hai Rasan

Chhin Gaye Uske Sar Se Rida, Dekhiyea

Ai Rasool E Khuda Dekhye

Zer E Khanjar Nawasa Raha Aapka

 

 

 

Pyaas Mein Kar Diya Shimr Ne Sar Juda

Panjetan Ka Hua Khatima, Dekhiyea

Ai Rasool E Khuda Dekhye

Vaishi* Aakhir Likhey Kis Taraha Haal E Gham

Jo Khata Ho Gaye …..

(Apologies For The Incomplete Nauha)

 

 

 

  1. Janab Wazir Sahib

49.1. Abbas Ke Laashe Par Shabbir Pukare

 

Abbas Ke Lashe Pa Yeh Shabbir Pukare,

Uttho Mere Bhai

Hum Khaime Se Yahn Aaye Hain Lene Ko Tumhare,

Uttho Mere Bhai

Peeri Ka Saath Chhin Gaya Hum Go Gaye Be -Aas,

Koi Na Raha Paas

Maan Jaao Tum Hi Ai Meri Peeri Ke Sahare

Uttho Mere Bhai

Kya Yeh Bhi Koyi Mohabbat Ka Hai Andaaz

Hai Aashiqu-E-Jaanbaaz

Daryia Ko To Keh Kar Gaye Kausar Ko Sidhare

Uttho Mere Bhai

Tum Bali Sakina Ke Liye Laye Na Paani,

Woh Roti Hai Jaani

Bacchi Ki Zabaan Dekho Aur Asghar Ke Ishare

Uttho Mere Bhai

Qurban Huye Mashk Pe Tum Jaan-E-Biradar

Lekin Mere Safdar

Tum Arsh-E-Wafa Ke Ho Chamakte Huwe Taare

Uttho Mere Bhai

Dharas Thi Bari Sub-Ko, Khayaal Iska To Karte

Ghurbat Mein Na Marte

Tum Jeete Magar Hum Bhi To Himmat Nahi Hare

Uttho Mere Bhai

Cheene Ge Redha Zainab-O-Kulsoom Ki Asraat

Yeh Ghaazi O Jallad

Hum Chhod Ke Ab Jaye Unhe Kis-Ke Sahare

Uttho Mere Bhai

Kehte The Wazir* Aha Yeh Jab Shah-E-Do-Alam

Ek Hashr Tha Parham

Tum Muj-Se Zaefee Me Juda Ho Gaye Pyaree

Uttho Mere Bhai

 

 

 

Abbas Ke Lashe Pa Yeh Shabbir Pukare,

Uttho Mere Bhai

 

 

 

  1. Janab Yousuf Lucknowi

50.1. Sajde Mein Tere Sher Ne Talwar Khaie Hai

 

Sajde Mein Tere Sher Ne Talwar Khaie Hai

Haider Jahan Se Uthte Hain Gham Ki Khudaii Hai

Yeh Shor Hai Fiza Mein, Khudaa Ki Duhaye Hai

Allah Se Yeh Kehti Thi Jannat Mein Fatima

Bacche Mere Yateem Huey, Ai Duhaai Hai

Aata Nahi Hai Betiyon Ko Maut Ka Yakeen

Zainab Pukarti Hai Ke, Kya Neend Aiye Hai

Abbas Ka Tarapna Na Zainab Se Poocheyea

Kahta Hai Bachpana Yehi, Pahli Judai Hai

Boli Hasan-Hussain Se Zainab Shikast Shikast

Sunti Hoon Mere Baap Ne Talwar Khaiye Hai

Ab To Tu Ibne Muljim-E Maloon Ki Tegh Ne

Bistar Ko Malaal Ki Soorat Dikhaye Hai

Ikkeswi Ko Uth Gaya Duniya Ka Baadshah

Mayyat Hasan-Hussain Ne Kyonkar Uthai Hai

Gibrael Lalazar Hai Mohammad Hain Beqaraar

Sab Ambiyan Ne Khaak Saro Par Udaye Hai

Aye Momino Tumhara Jo Pahela Imaam Tha

Usko Layen Ne Sajde Me Zarbat Lagaye Hai

Yusuf* Ka Haal Rahem Ke Kabil Hai Ab Falak

Maula-E-Do-Jahan Me Mushkil-Kushaiye Hai

Sajde Nein Tere Sher Ne Talwar Khaie Hai

 

 

Haaye Akbar Ghar May Aao

 

 

Maa Ka Naala Laash Tak Aata Hai Akbar Ghar Mein Aao

Dekh Koi Yun Bhi Rulwata Hai Akbar Ghar Mein Aao

Haaye Akbar Ghar Mein Aao

Aakhri Dedaar Mumkin Ho To Dikhlado Mujhe

Laash Uthane Ran Mein Baap Aata Hai Akbar Ghar Mein Aao

Haaye Akbar Ghar Mein Aao

Tukde Tukde Hogaya Nazuk Kaleja Waqte Jab

Is Tarha Barchi Koi Khata Hai Akbar Ghar Mein Aao

Haaye Akbar Ghar Mein Aao

Sadqe Jaungi Wafa Ehde Jawani Ne Na Kuch

Itne Jaldi Koi Mar Jaata Hai Akbar Ghar Mein Aao

Haaye Akbar Ghar Mein Aao

Tum Yahan Maqtal Mein Ho Aur Maa Hai Deowri Par Tapa

Meri Jaan Ulfat Mein Farq Aata Hai A Akbar Ghar Mein Aao

Haaye Akbar Ghar Mein Aao

Tumse Milna Kya Tumhari Maa Ke Kismat Mein Nahi

Dil Mera Kaahe Ko Ghabrata Hai Akbar Ghar Mein Aao

Haaye Akbar Ghar Mein Aao

Khaime Ke Dar Par Tumhare Waaste Roti Hai Maa

Aise Koi Maa Ko Rulwata Hai Akbar Ghar Mein Aao

Haaye Akbar Ghar Mein Aao

Kheme Ke Dar Par Tha Aye Zakhir* Yeh Laila Ka Bayaan,

Koi Itni Raah Dikhlata Hai Akbar Ghar Mein Aao

Haaye Akbar Ghar Mein Aao

51.2. Keh Raha Tha Husn Maa Se Naujawani Dekhna

 

Keh Raha Tha Husn Maa Se Naujawani Dekhna

Ho Jawan Akbar To Ahmad Ki Nishaani Dekhna

 

 

 

Keh Raha Tha Husn Maa Se Naujawani Dekhna

Qatl Akbar Hogaye Aaya Jo Aalam Mein Shabaab

Haaye Kab Mumkim Hui Maa Ko Jawani Dekhna,

Keh Raha Tha Husn Maa Se Naujawani Dekhna

Aaaj Kar Lo Zulm, Faujon Se Yeh Kahtey They Hussain

Qhatm Kar Ke Chaar Din Ki Zindigani Dekhna

Keh Raha Tha Husn Maa Se Naujawani Dekhna

Bhej Kar Apne Chacha Ko Thi Sa Kina Muntazir

Tha Na Qismat Mein Magar Darya Ka Paana Dekhna

Keh Raha Tha Husn Maa Se Naujawani Dekhna

Aise Aalam Mein Mili Thin Maan Se Akbar Ko Riza

Zulf Ke Bal Kah Rahet They Naujawani Dekhna

Keh Raha Tha Husn Maa Se Naujawani Dekhna

Le Ke Naiza Fauj Se Kah Kar Chala Ibne Anas

Khaak Me Miltey Hai Akbar Ki Jawaani Dekhna

Keh Raha Tha Husn Maa Se Naujawani Dekhna

Itne Arman The Dil-E-Laila Mein Aaye Zakhir* Magar,

Ho Saka Mumkin Na Maa Ko Jawani Dekhna

Keh Raha Tha Husn Maa Se Naujawani Dekhna

 

 

 

Ay Saaniye Zehra, Ay Saaniye Zehra

 

Hai Shame Ghariban Ki Ye Awaaz

Ay Saaniye Zehra, Ay Saaniye Zehra

Soona Hua Ran Cha Gayi Maqtal May Udaasi

Sairaab Hui Khoon Se Jo Khaak Thi Pyasi

Gulshan Hua Pamaal Har Ek Phool Hai Baasi

Khaime Ki Nigehbaan Hai Mohammad Ki Nawasi

Din Chup Gaya Raat Aa Gayi Sunsaan Hai Sehra

Ay Saaniye Zehra, Ay Saaniye Zehra

Allah Ke Mehboob To Jannat Ko Sidhaare

Jangal Ki Hawa Sunti Hai Ab Bain Tumhare

Madhosh Hue Neendh May Akaash Ke Taare

Maare Gaye Abbas Bhi Darya Ke Kanare

Ab Unki Jagah Girde Haram Do Tumhi Pehra

Ay Saaniye Zehra, Ay Saaniye Zehra

Mazloom Behan Bhai Ke Laashe Pe Khadi Hai

Lab Bandh Rawan Aankhon Se Ashkon Ki Jhadi Hai

Be-Gor O Kafan Laash Biyabaan Mein Padi Hai

Ek Hashr Ka Maidan Hai Qayamat Ki Ghadi Hai

Jab Bheeg Gayi Yaad To Saraaab Hua Gehra

Ay Saaniye Zehra, Ay Saaniye Zehra

Bhai Se Kaho Aake Sakina Ko Sula Do

Qasim Ko Pukaro Ali Akbar Ko Sada Do

Abbas Zara Aake Rida Sar Par Uda-Do

Beton Se Kaho Aun Ke Mehmil May Bithado

Kal Suboh Ko Jaana Hai Tumhe Chod Ke Sehra

Ay Saaniye Zehra, Ay Saaniye Zehra

Jangal Se Sakina Ko To Le Aayi Hoon Jaakar

Asghar Ko Bhi Tum Godh May Le Aao Uthakar

Behlao Kahani Koi Baqar Ko Sunakar

Kyon Laayi Na Tum Khaak Se Akbar Ko Jagakar

Jangal Bhi Hai Purhol Andhera Bhi Hai Gehra

Ay Saaniye Zehra, Ay Saaniye Zehra

Bibi Se Basad Arz Yahi Kehta Hai Akhtar*

 

 

 

Ay Noore Dil E Fathima Lakhte Dile Hyder

Ay Kushta E Gham Sayyad E Mazloom Ki Khaahar

Mai Misle Qadab Hoon Mujhe Kar Dijiye Gowhar

Tareekhe Abad May Mera Parcham Ho Sunhehra

Ay Saaniye Zehra, Ay Saaniye Zehra

52.2. Jangle Main Bharey Ghar Ko Luta Aye Hai Zainab

 

Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Abid Ko Kisi Tarha Bacha Laayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Bandwa Ke Rasan Haaton May Aur Khutbe Sunaake Ghar Baar Lutaake

Dewaar Bade Kufr Ke Dha Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Jis Shehr May Shehzaadiyo Ki Tarha Rahi Thi Naazon Se Pali Thi

Sar Nange Usi Shehr May Ho Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Jo Hijre Padar May Rahe Har Waqt Pareshan Soyi Nahi Ek Aan

Us Bachi Ko Zindaan May Sulaa Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Dhaaras Thi Bahot Bhai Ko Jis Bhai Ke Dam Se Dil Phat-Ta Hai Gham Se

Saahil Pe Akela Usay Choad Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Chhey Maah Ke Asghar Ko Bhi Jhoole Ke Bajaaye Dukh Dard Chipaaye

Aaghosh May Turbat Ke Sulaa Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Thay Aun-O-Mohammad Jo Meri Aankhon Ke Taare Mamu Ke Dulaare

Qurbaan Unhe Bhai Par Kar Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Tha Akbar-E-Nashaad Jo Is Ghar Ka Ujaala Wo Gaysuon Wala

Marqad May Akela Usay Choad Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Naadim Hai Bahot Laa Saki Qasim Ko Na Humra Wa Hasrat-O-Darda

Kubra Ko Magar Saath Liye Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

 

 

 

Pani Jo Piye Ehle Watan Pyaas Na Bhulay Moo Ashkon Se Dholay

Kehne Ko Ye Bhai Ka Payaam Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Manzar Wo Bhula Sakti Nahi Ta Dame Aakhir Hai Kehne Se Qaasir

Jo Shaam Ke Darbaar May Dekh Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Kis Waqt Khuda Jaane Qadam Nikle Thay Ghar Se Chaadar Chini Sar Se

Ab Tak Na Masayab Se Nikal Paayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Shabbir Pe Ab Royega Ta Hashr Zamana Hai Gham Ka Fasana

Majlis Ki Bina Shaam May Daal Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Reh Jayega Akhtar* Ufaqe Gham Pe Tera Naam Kya Khoob Hai Inaam

Nowha Tera Sun-Ne Ke Liye Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab Ay Shehr-E-Madina

 

 

 

  1. Janab Zamin Abbas

53.1. Qabr-E-Asghar Pa Kahti Thi Madar

 

Qabre Asghar Pe Kehti Thin Maadar

Kis Tarah Main Watan Jaaon Asghar

Chhod Kar Tum Ko Aye Mere Dilbar

Kis Tarah Main Watan Jaaon Asghar

Jab Bhi Dekhoon Gi Main Khali Jhoola

Yaad Aao Ge Tum Mujhko Beta

Yaad Aaye Ga Jhoole Ka Manzar

Kis Tarah Main Watan Jaaon Asghar

Khat Mein Likkha Hai Sughra Ne Tumko

Bhoole Jaa Kar Tum Apni Bahen Ko

Kya Batoon Gi Main Usko Ja Kar

Kis Tarah Main Watan Jaaon Asghar

Tum Jawaan Ho Ge Soocha Tha Beta

Aur Banoon Gi Main Tumko Dhoola

Rah Gayen Hasrateen Dil Mein Ghut Kar

Kis Tarah Main Watan Jaaon Asghar

Hai Tere Woh Tashna-Dahaani

Zaalimon Ne Pilaya Na Paani

Teer Zaalim Ne Maara Gale Par

Kis Tarah Main Watan Jaaon Asghar

Yaad Karti Hai Tumko Sakeena

Ab To Dushwaar Hai Mera Jeena

Kaise Samjhaon Usko Main Dilbar

Kis Tarah Main Watan Jaaon As Ghar

Ab Na Qasim Hain Na Aun-O-Jafar

Ab Na Abbas Hain Aur Na Akbar

Lut Gaya Ek Din Mein Bhara Ghar

Kis Tarah Main Watan Jaaon Asghar

Mujh Par Guzari Woh Kyonkar Bataoon

Haal-E-Dil Tumko Kaise Sunaoon

Chhen Leye Hai Layeenon Ne Chadar

Kis Tarah Main Watan Jaaon Asghar

 

 

 

Yaad Mein Asghar Aise Zaban Ke

Bain They Ran Mein Zamin* Yeh Maan Ke

Main Jiyon Gi Kaise Tumse Bichad Kar

Kis Tarah Main Watan Jaaon Asghar

Qabre Asghar Pe Kehti Thin Maadar

Kis Tarah Main Watan Jaaon Asghar

 

 

Ro Ke Kehti Thi Madar – Ai Sakina Ghar Chalo

 

 

Ro Ke Kehti Thi Yeh Madar – Ai Sakina Ghar Chalo

Chain Aaye Mujhko Kyonkar, Ai Sakina Ghar Chalo

Jab Chalin Thi Main Madine Se To Thi Godh Bhari

Ab Nahin Godi Mein Asghar, Ai Sakina Ghar Chalo

Maang Bhi Ujidi Hai Meri Goad Bhi Khali Hui

Ab Na Qasim Hain Na Akbar, Ai Sakina Ghar Chalo

Parda Baalon Se Kiya Tha Shaam Ke Darbaar Mein

Dil Pe Beeti Hai Hum Ko Chadar, Ai Sakina Ghar Chalo

Tum Kaha Karti Thi Amma Kab Watan Jaayenge Hum

Ab Watan Jaati Hun Chhut Kar, Ai Sakina Ghar Chalo

Woh Andgeri Qabr Aur Woh Qaidkhana Shaam Ka

Neend Aaye Tumko Kyonkar, Ai Sakina Ghar Chalo

Yeh Bata Do Meri Jaan Pooche Gar Sughra Tumhe

Kya Bataoon Usko Jaakar, Ai Sakina Ghar Chalo

Tum Akeli Ho Yahan Baba Ka Seena Bhi Nahin

Chhod Kar Jaoon Main Kis Par, Ai Sakina Ghar Chalo

Bain Se Bano Ke Zamin* Qaidkhana Hil Gaya

Jab Kaha Madar Ne Ro Kar, Ai Ai Sakina Ghar Chalo

Ro Ke Kehti Thi Yeh Madar – Ai Ai Sakina Ghar Chalo

 

 

 

 

 

Aabaad Hui Karbobala-Ujada Hai Madina

 

Aabaad Hui Karbobala – Ujada Hai Madina, Barbaad Hui Main

Yuh Hazrat-E-Zainab Ne Kaha Peet Ke Seena, Barbaad Hui Main

Ek Din Tha Isi Naher Ke Karti Thi Main Shahi, Aaj Aise Tabhai

Paani Ko Tarasta Hai Mera Shah-E-Madina, Barbaad Hui Main

Aabaad Hui Karbobala – Ujada Hai Madina, Barbaad Hui Main

Mehendi Bhi Tere Haaton Ki Na Chhotene Paye, Key Ho Gaye Bewa

Ek Shab Kin Dulhan Ke Liye Dushwaar Hai Jeena, Barbaad Hui Main

Ek Din Tha Ke Chadar To Hati Thi Nere Sar Se, Sooraj Bhi Na Nikla

Baazaaron Mein Sar-Nange Phirata Hai Kameena, Barbaad Hui Main

Aabaad Hui Karbobala – Ujada Hai Madina, Barbaad Hui Main

Kis Laash Par Roon, Kise Chhodon Baradar, Laashe Hain Bahhattar

Had Yeh Hai Ke Roone Ki Ijaazat Bhi Mili Na, Barbaad Hui Main

Ai Baba Utar Naizay Se, Seene Se Laga Loon, Dil Shaad Ho Mera

Dheke Gi Na Phir Chhand Sa Chhera Yeh Sakina, Barbaad Hui Main

Aabaad Hui Karbobala – Ujada Hai Madina, Barbaad Hui Main

Yuh Hazrat-E-Zainab Ne Kaha Peet Ke Seena, Barbaad Hui Main

54.2. Aaj Hai Qafila Ki Qafila Salar Bahen

 

Aaj Hai Qafila Ki Qafila Salar Bahen

Utho Bhaiyya Ke Watan Jaati Hai Lachaar Bahen

Aaj Hai Qafila Ki Qafila Salar Bahen

Shimr Ne Mare Sakina Ko Tamachey Bhaiyya

Sahem Se Khauf Se Woh Rone Na Paye Bhaiya

Ghaiz Se Kaap Gaye Aap Ki Lachaar Bahen

Utho Bhaiyya Ke Watan Jaati Hai Lachaar Bahen

Aaj Hai Qafila Ki Qafila Salar Bahen

 

 

 

Jis Ghadi Karbobala Se Main Soo E Shaam Chali

Balon Se Muh Ko Chhupaye Thi, Na Kuch Dekh Saki

Iss Liye Kar Na Saki Bhaiyya Ka Deedar Bahen

Utho Bhaiyya Ke Watan Jaati Hai Lachaar Bahen

Aaj Hai Qafila Ki Qafila Salar Bahen

Hai Karta Tha Gardan Se Woh Beadabi

Aaap Ke Sarf E Mutahir Re Phirata Tha Chhadi

Haat Malti Thi Tadap Kar Teri Lachaar Bahen

Utho Bhaiyya Ke Watan Jaati Hai Lachaar Bahen

Aaj Hai Qafila Ki Qafila Salar Bahen

Dar Ba Dar Zalimon Ne Phiraya Humko

Chhen Li Sar Se Rida, Qaidi Banaya Humko

Nange-Sar Dekh Chuki Shaam Ki Bazaar Bahen

Utho Bhaiyya Ke Watan Jaati Hai Lachaar Bahen

Aaj Hai Qafila Ki Qafila Salar Bahen

Humko Kuffar Ke Janib Se Nawazish Yeh Hui

Khoon Bahane Ke Khata Baksh Yey Khwaish Bhi Hui

Kis Tarah Karti Qubool, Aap Ki Lachaar Bahen

Utho Bhaiyya Ke Watan Jaati Hai Lachaar Bahen

Aaj Hai Qafila Ki Qafila Salar Bahen

Bhaiyya Main Aap Ko Do Gaz Bhi Kafan De Na Saki

Chalte Chalte Hi Tumhe Kurta Bahen De Na Saki

Kis Qadar Dasht Mein Majboor Thi Lachaar Bahen

Utho Bhaiyya Ke Watan Jaati Hai Lachaar Bahen

Aaj Hai Qafila Ki Qafila Salar Bahen

54.3. Aao Godi Mein Asghar Humak Kar

 

Bano Kahtin Thin Ba Khasta Haali

Aao Goadi Mein Asghar Humak Kar

Waari Maan Kaisi Hai Goad Khali

Aao Goadi Mein Asghar Humak Kar

Mujhko Har Dam Hai Teri Kahani

Bale Dil Mein Tum Yeh Kya Tum Ne Thani

Bas Bohut Khele Jangal Mein Jaani

Aao Goadi Mein Asghar Humak Kar

Yaad Ho Tum Nahin Dil Se Bhoole

Bhola Mooh, Baal Sar Ke Jhandoole

 

 

 

Ek Baras Bhi Na Jhoole Mein Jhoole

Aao Goadi Mein Asghar Humak Kar

Roze Raushan Hui Mooh Dulhaon

Ya Alo Kah Ka Haikal Pinhaoon

Bhooke Ho, Doodh Tumko Pilaoon

Aao Goadi Mein Asghar Humak Kar

Bano Kahtin Thin Ba Khasta Haali

Aao Goadi Mein Asghar Humak Kar

54.4. Abbas Kahan Ho Aajao Jahan Ho

Https://Www.Youtube.Com/Watch?V=Pdyxxnax -I8

Sar Katgaya Jab Dasht May Zehra Ke Pisar Ka

Hilti Thi Zameen Kaampta Tha Arshe Moalla

Surkh Aandhi Chali Khoon Ugalne Laga Sehra

Wehshat Ka Ye Aalam Tha Ke Hilta Tha Kaleja

Thi Ek Qayamat Sare Maqtal Jo Bapa Thi

Gunji Hui Sehra May Faqad Ek Sada Thi

Abbas Kahan Ho Aajao Jahan Ho

Sine Pa Sina Kha Chuke Akbar Gaye Maare

Khaali Hua Jhoola Ali Asghar Gaye Maare

Tanha Hui Saydaniya Sarwar Gaye Maare

Zainab Hai Pareshan Chale Aao Jahan Ho

Abbas Kahan Ho Aajao Jahan Ho

Namuse Payambar Ko Badi Aas Thi Tumse

Kya Aisi Bhala Bhai Khata Hogayi Hamse

Phatjaye Kaleja Kahin Zainab Ka Na Gham Se

Kyon Roothe Ho Kis Waaste Nazro Se Niha Ho

Abbas Kahan Ho Aajao Jahan Ho

Is Dashte Musibat May Kahan Kho Gaye Bhai

Naize Ki Ani Aayaye Tatheer Tak Aayi

Aajao Zara Chorke Darya Ki Taraai

Chadar Sare Zainab Se Utarti Hai Kahan Ho

Abbas Kahan Ho Aajao Jahan Ho

Ye Ahle Sitam Aur Qayamat Na Machade

Sab Lootke Asbabe Haram Aag Lagade

Darr Hai Kahin Bemaaar Ka Qaima Na Jalade

Phir Char Taraf Sirf Dhuan Sirf Huan Ho

 

 

 

Abbas Kahan Ho Aajao Jahan Ho

Aane Pa Sitam Aur Sitamgar Tulay Hai

Talware Liye Sab Dare Qaima Pa Khade Hai

Mardo May Fakad Abide Bemaar Bache Hai

Khanjar Kahin Abid Ke Galay Par Na Rawan Ho

Abbas Kahan Ho Aajao Jahan Ho

Bacha Koi Rota Hai Udhar Taapo May Aake

Bachi Koi Roti Hai Idhar Khaake Tamachay

Laaun To Bhala Laaun Zuban Aisi Kahan Se

Alfaaz Nahi Haal Jo Bachon Ka Bayan Ho

Abbas Kahan Ho Aajao Jahan Ho

54.5. Aina, Aina Ai Ali Akbar

 

Aina-Aina Ai Ali Akbar

Thame Kamar Ko Kahte The Sarwar

Awaaz Do….

Tadap Ke Maa Ne Kaha, Beboyon Buka Na Karo

Abhi-Abhi Mere Akbar Ko Neend Aaye Hai

Yeh Mera Laal Jahan Ko Jaga Ke Soya Hai, Ya Hussai N

Buland Kar Ke Sadayen Isse Khafa Na Karo, Ya Hussain

Abhi-Abhi Mere Akbar Ko Neend Aaye Hai

Yeh Meri Jaan E Tamanna, Thaka Hai Bohut, Ya Hussain

Yeh Teen Roz Ka Pyasaa, Thaka Hai Bohut, Ya Hussain

Na Jaag Jaye Kahin To, Kaho Buka Na Karo

Abhi-Abhi Mere Akbar Ko Neend Aaye Hai

Pahen Ke Apne Lahu Ka Libaas Aaya Hai, Ya Hussain

Na Xxxx Yeh Le Lay, Paas Aaya Hai, Ya Hussain

Maqaam-E-Fikr Hai, Ro-Ro Ke Tum Gila Na Karo

Abhi-Abhi Mere Akbar Ko Neend Aaye Hai

Tamaam Raat Ibadat Ko Yeh Bhi Jaaga Hai, Ya Hussain

Woh Pure Shukr-E-Shahdat Ko Yeh Bhi Jaaga Hai, Ya Hussain

Lagi Hai Aakh, Pareshan, Ise Zara Na Karo

Abhi-Abhi Mere Akbar Ko Neend Aaye Hai

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

 

 

 

Akbar-E-Kariyal Jawan

 

 

Akbar-E-Kadiyal Jawan, Akbar-E-Kadiyal Jawan

Seene Pe Akbar Ne Jab Zulm Ki Khaayi Sina

Har Taraf Chaayi Hui Gham Ki Thi Tareekiyan

Kehti Thi Sar Peet Kar Is Tarha Maqtal Maymaa

Akbar-E-Kadiyal Jawan….

Kaise Hue Beta Tum Aankhon Se Meri Nihaa

Kaise Pura Shoab May Maa Tumhe Dhoonde Kahan

Tum Hi Do Awaaz Ho Ali Akbar Jahan

Akbar-E-Kadiyal Jawan….

Algharaz Pahunchay Wahan Thokare Khaate Hussain

Khoon May Dooba Hua Aaya Nazar Noore-Ayn

Kehke Zameen Par Giray Haaye Mere Dil Ke Chain

Akbar-E-Kadiyal Jawan….

Dekha Ke Seene Se Hai Khoon Ka Dariya Rawan

Dard Se Noore Nazar Khaak Pa Hai Neem Jaan

Khaynchli Dil Thaam Ke Seene Se Shah Ne Sina

Akbar-E-Kadiyal Jawan….

Laashaye Akbar Na Jab Shah-E-Huda Se Utha

Rukh Kiya Suye Najaf Aaiye Mushkilkusha

Kaise Pura Shoab May Dekhiye Mai Lut Gaya

Akbar-E-Kadiyal Jawan….

Sadke Ho Tum Par Ye Maa Aankhein To Kholo Zara

Sadke Ho Tum Par Ye Maa Moo Se To Bolo Zara

Sadke Ho Tum Par Ye Maa Zakhm To Dholo Zara

Akbar-E-Kadiyal Jawan….

54.7. Ali Ali Hai, Ali Wali Hai

 

Badal Raha Hai Nizame Aalam

Qadamqadam Inquilaab Payham

Magar Hamari Zaban Pe Har Dam

Ali Ali Hai, Ali Wali Hai

Ye Naame Naami Isme Aazam

Isi Se Milta Hai Azme Mohqam

Sanad Mili Jisko La Fata Ki

 

 

 

Wo Marde Maidan Yehi Ali Hai

Ali Ali Hai, Ali Wali Hai

Zabane Aadam Pe Ya Ali Hai

Zabane Qatam Pe Ya Ali Hai

Wo Ibteda Thi Ye Inteha Hai

Ajal Ali Hai Abad Ali Hai

Ali Ali Hai, Ali Wali Hai

Dayaze Qum Wo Nabi Ka Qutba

Dikha Rahe Hai Wasi Ka Chehra

Idhar Baland Ho Rhe Hai Maula

Udhar Se Aayat Utar Rahi Hai

Ali Ali Hai, Ali Wali Hai

Ghubaar Dil Ka Hai Rukh Pe Chaaya

Alam Ali Ne Hai Ran May Paaya

Kisi Ka Chehra Damak Raha Hai

Kisi Ki Rangat Udi Udi Hai

Ali Ali Hai, Ali Wali Hai

Zamana Dekhe To Zulm Ki Had

Hue Aale Nabi Muqayyad

Barehna Sar Hai Ali Ki Beti

Rida Bhi Aada Ne Cheen Li Hai

Ali Ali Hai, Ali Wali Hai

 

 

 

Ali Ne Maanga Tha Ghazi Ko Karbala Ke Liye

 

 

Wafa Thi Unke Liye Auy Yeh Wafa Ke Liye

Ali Ne Maanga Tha Ghazi Ko Karbala Ke Liye

Jari Ke Pairon Ko Chooma Hai, Roz E Aashoora

Yeh Khushnaseebi Rahi, Mauje Al Qama Ke Liye

Ali Ne Maanga Tha Ghazi Ko Karbala Ke Liye

Wafa Thi Unke Liye Auy Yeh Wafa Ke Liye

Ali Ne Maanga Tha Ghazi Ko Karbala Ke Liye

Hussain Jhoola Jhulate Thay, Inko Yeh Kah Kar

Yeh Kaam Aayega Zainab, Trte Rida Ke Liye

Ali Ne Maanga Tha Ghazi Ko Karbala Ke Liye

Wafa Thi Unke Liye Auy Yeh Wafa Ke Liye

 

 

 

Ali Ne Maanga Tha Ghazi Ko Karbala Ke Liye

Lab E Furath Jo Bazoo Qalam Hue Inke

Bohut Bada Tha Yeh Gham Rooh E Sayyada Ke Liye

Ali Ne Maanga Tha Ghazi Ko Karbala Ke Liye

Wafa Thi Unke Liye Auy Yeh Wafa Ke Liye

Ali Ne Maanga Tha Ghazi Ko Karbala Ke Liye

Alam Ke Saaye Mein Aate Hi Mil Gayi Seyhat

Tadap Rahe Thay Kai Din Se Jo Shifa Ke Liye

Ali Ne Maanga Tha Ghazi Ko Karbala Ke Liye

Wafa Thi Unke Liye Auy Yeh Wafa Ke Liye

Ali Ne Maanga Tha Ghazi Ko Karbala Ke Liye

Na Jane Kis Liye Haidar Ne Inke Baazo Ko

Hazaar Bose Gale Se Laga Laga Ke Diye

Ali Ne Maanga Tha Ghazi Ko Karbala Ke Liye

Wafa Thi Unke Liye Auy Yeh Wafa Ke Liye

Ali Ne Maanga Tha Ghazi Ko Karbala Ke Liye

Sakina Baba Se Isne Wigha Dilaao Hame

Zara Sa Kaam Yeh Kar Do Faqat Chacha Ke Liye

Ali Ne Maanga Tha Ghazi Ko Karbala Ke Liye

Wafa Thi Unke Liye Auy Yeh Wafa Ke Liye

Ali Ne Maanga Tha Ghazi Ko Karbala Ke Liye

 

 

 

Band Paani Kar Diya Aal E Payambar Ke Liye

 

 

Band Paani Kar Diya Aal E Payambar Ke Liye

Mar Gaye Atfaal E Sarwar Ek Saagar Ke Liye

Saath Mera Chhod Do Atfaal Se Kahte They Shah

Sab Yeh Jhagde Ho Rahen Hain Ek Mere Sar Ke Liye

Saqi E Kausar Ke Bachche Is Tarah Se Tashnalab

Dam Labon Par Aa Gaya Tha Ek Saagar Ke Liye

Aayat E Tatheer Ke Malik Bata Ab Kya Karen

 

 

 

Betiyan Zaherra Ki Hain Mautaaj Chadar Ke Liye

Kya Karoon Bhai Mera Shane Kata Kar Mar Gaya

Warna Main Mautaaj Hoti Ek Chadar Ke Liye?

Ho Bhare Darbaar Mein Jab Dakhila Hamsheer Ka

Kuch To Karna Intezam Us Waqt Chadar Ke Liye

Hil Gaye Dil Koofe Walon Ke Jo Zainab Ne Kaha

Zulm Jo Chaho Karo Aal E Payambar Ke Liye

Phir Nazar Ki Soo E Naher E Alqama Aur Yeh Aha

Mere Ghairatdaar Kya Kahtey Ho Khahar Ke Liye?

54.10. Bayan Yeh Kartin Thin Banoo Gaye Kahan Asghar

Bayan Yeh Kartin Thin Banoo , Gaye Kahan Asghar

Hamari Aakhon Mein Andher Hai Jahan Asghar

Bayan Yeh Kartin Thin Banoo , Gaye Kahan Asghar

Kabhi Juda Na Huey Thay Hamare Pahloo Se

Akale Sooge Ge Jangal Mein Ab Kahan Asghar

Bayan Yeh Kartin Thin Banoo , Gaye Kahan Asghar

Na Neend Aaye Gi Beta Tumhe Bagair Mere

Lipat Ke Chain Se Sootey Jo Hoti Maa Asghar

Bayan Yeh Kartin Thin Banoo , Gaye Kahan Asghar

Bagair Mere Pilaye Ga Doodh Kaun Tumhey

Akale Rooge Le Le Ke Hichkiyan Asghar

Bayan Yeh Kartin Thin Banoo , Gaye Kahan Asghar

Ishare Doodh Ke Peeney Ke Kar Lo Dai Se

Phirao Hooton Pe Sookhi Hui Zaban Asghar

Bayan Yeh Kartin Thin Banoo , Gaye Kahan Asghar

Tumhara Khoon Hua Nahaq, Yeh Sab Pe Hai Zahir

Zameen Gawah Hai Shahid Hai Aasman, Asghar

Bayan Yeh Kartin Thin Banoo , Gaye Kahan Asghar

Jhandoole Baalon Ki Khushboo Jo Yaad Aati Hai

Patakhti Sar Ko Hai Pairoon Tumhari Maa Asghar

Bayan Yeh Kartin Thin Banoo , Gaye Kahan Asghar

 

 

 

Gale Ke Zakhm Ko Eeza Na Ho Kaheen Waari

Badhaoon Aao Main Mannat Ki Hasliyan Asghar

Bayan Yeh Kartin Thin Banoo , Gaye Kahan Asghar

Hazaar Haif Bichone Uthaye Jaayen Hain

Tumhari Jhoole Ki Khulti Hain Dooriyan Asghar

Bayan Yeh Kartin Thin Banoo , Gaye Kahan Asghar

 

 

 

Ek Raat Ki Bhiaye Yeh Bayan Kahti Thi Rokar

 

 

Ek Raat Ki Bhiaye Yeh Bayan Kahti Thi Rokar

Main Lut Gaye Sahib

Haye Tum Ran Mein Pade Soote Ho

Yahan Main Hoon Khule Sar

Main Lut Gaye Sahib

Ek Shor Hua Khaimey Mein Jab Aaye Sitamgar

Jab Mar Gaye Sarwar

Haye Khaimey Jale Asbab Luta Chhin Gaye Chadar

Main Lut Gaye Sahib

Kangne Ki Jagha Haatho Mein Ab Dohri Rasan Hai

Yeh Ranj-O-Mehan Hai

Haye Afshan Ki Jagha Khaak Padi Hai Mere Sar Par

Main Lut Gaye Sahib

Durron Se Hui Chhauthi Rasan Se Huey Chale

Dil Par Chale Bhale

Haye Jab Mooh Ki Dikhaye, Main Phiraye Gaye Dar Dar

Main Lut Gaye Sahib

Nat Cheen Le Aada Ne Hai Khoon Naak Se Jaari

Main Kyon Na Hoon Zaari

Haye Bhaiya Ali Akbar Hain Na Abbas E Dilawar

Main Lut Gaye Sahib

Amma Ne Mujhe Aan Ke Rand-Sala Pinhaya

Aur Sehara Badhaya

Haye Jab Choodiya Todin To Sukhan Laye Yeh Lab Par

Main Lut Gaye Sahib

 

 

 

Shaadi Mein Jahan Jaaongi Sab Mujhse Daren Ge

Yeh Kalma Kahen Ge

Haye Bewa Hai Yeh Saya Na Pade Iska Dulhan Par

Main Lut Gaye Sahib

Rakhey Huey Aakhon Par Rahi Saath Thi Kubra

Kaheti Thi Woh Dukhiya

Haye Aise Hui Shaadi Hua Barbaad Bhara Ghar

Main Lut Gaye Sahib

Ek Raat Ki Bhiaye Yeh Bayan Kahti Thi Rokar

Main Lut Gaye Sahib

 

 

 

Ek Sakta Hai, Biyabaan Ki Fiza Khamosh Hai

 

 

Ek Sakta Hai, Biyabaan Ki Fiza Khamosh Hai

Khaak Par Laashe Pade Hain, Karbola Khamosh Hai

Subha Ko Ahle Haram Ki Yaad Aati Hai Azan

Waqt E Maghrib Hai, Shabi E Mustafa Khamosh Hai

Ek Sakta Hai, Biyabaan Ki Fiza Khamosh Hai

Who Humakna, Muskarana Aur Lipatna Shah Se

Asghar E Masoom Ki Har Ek Ada Khamosh Hai

Hai Sakeena Goad Mein Zainab Ke, Asoon Hain Rawa

Sooti Hai Masoom Aur Ma Behawa Khamosh Hai

Hain Shaheedon Ke Bhi Laashe, Laash E Shah Ke Kareeb

Qafila Saalar Chup Hai, Qafila Khamosh Hai

Kuch Dhuan Baki Abhi Hai, Dher Mein Raakh Ke

Shah Ke Khaime Jal Chukey Hain Aur Fiza Khamosh Hai

Bedeyan Hain Paye E Abid, Nek Gardan Mein Hai Tauq

Rooti Hai Zanjeer Lekin Naksh E Pa Khamosh Hai

Ek Sakta Hai, Biyabaan Ki Fiza Khamosh Hai

 

 

 

Ghar Caloo Shaam Hoti Hai Asqhar

 

 

 

Qabre Asghar Pe Kehti Thin Madar

Gahar Chalo Shaam Hoti Hai Asghar

Aao Jhoola Tumhe Main Juhlaoo

Lori De Kar, Thaphak Ke Sulaoon

Neend Aaiye Gi Jungal Me Kyokar

Gahar Chalo Shaam Hoti Hai Asghar

Soona Jangal Hai Aur Hooka Ban Hai

Yah Musafir Ko Ranj O Nahen Hai

Kyo Lagaya Hai Khaak Par Bistar

Gahar Chalo Shaam Hoti Hai Asghar

Neli Dori Hai Nazuk Kalai

Chhe Mahinee Ki Meri Kamaai

Bhoore Baalon Pe Sadqe Ho Maadar

Gahar Chalo Shaam Hoti Hai Asghar

Lene Aaiye Ho Tumko Ai Beta

Tukde Hota Hai Mera Kaleja

Teer Maare Na Koi Sitamgar

Gahar Chalo Shaam Hoti Hai Asghar

Basti Jangal Me Tumne Basai

Yeh Jaghan Tumko Kyo Raas Aiye

Sooni Goodi Hai Maan Ki Ai Dilbar

Gahar Chalo Shaam Hoti Hai Asghar

Bha Gaye Teri Soorat Zameen Ko

Le Liya Mujhse Tujh Nazneen Ko

Yeh Na Soocha Ke Roye Gi Maadar

Gahar Chalo Shaam Hoti Hai Asghar

Qabre Asghar Pe Kehti Thin Madar

Gahar Chalo Shaam Hoti Hai Asghar

 

 

 

Goonj Rahi Hai Ye Sada Ya Hussain

 

 

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!

Goonj Rahi Hai Yeh Sada, Ya Hussain

Tujhko Laeenon Ne Sataya, Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!

Teen Shab O Roz Ka Pyaasa Hussain

 

 

 

Dasht E Bala Mein Tujhe Maara, Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Huss Ain!

Bayat E Batil Ke Talabgaar Thay

Zulm O Sitam Ke Liye Tayyar Thay

Kitne Tere Sar Ke Kharidar Thay

Tune Magar Sar Na Jhukaya, Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!

Bhej Ke Khat Tujhko Bulaya Gaya

Tera Watan Tujh Se Chudaya Gaya

Qabr Se Nana Ki Hataya Gaya

Paikar E Tasleem O Raza Ya Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!

Karbobala Gher Ke Laye Tujhey

Tere Aziz O Rafaqa Saath Thay

Naher Se Khaimey Bhi Hataye Gaye

Guzr Zara Bhi Na Hua, Ya Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!

Dasht Mein Thodi Si Jagha Mil Gaye

Amad E Aada Se Zameen Hill Gaye

Aur Nazar Jab Soo E Sahil Gaye

Uspe Laeeno Ka Tha Saaya, Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!

Kya Shabe Aashoor Ka Hangaam Tha

Saara Jahan Larza Barandaam Tha

Tujhko Ibadat Se Faqad Kaam Tha

Karta Raha Zikr Khuda Ka Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!

Suboh Dahum Ka Ho Bhala Kya Bayaan

Dene Laga Jab Tera Akbar Azaan

Jaise Thi Awaaze Nabi Begumaan

Karbobala Thi Ke Madina Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!

Fauje Hussaini May Bada Josh Tha

Tune Bhi Pyaso Ko Sahara Kiya

Saaniye Hyder Lo Alam Dediya

Sab Ne Unhe Faqr Se Dekha Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!

Suye Imam Ek Namazi Barha

 

 

 

Dil Se Basad Shaan E Niyazi Barha

Fauje Udoo Se Hur E Ghazi Barha

Aake Qadam-Bosh Hua Ya Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!

Haaye Muhibbe Shahe Aali Maqaaam

Jinka Habib Ibne Mazaahir Hai Naam

Zainabe Dilgeer Ne Bheja Salaam

Tumne Gale Unko Lagaya Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!

Phir To Ajab Hashr Bapa Ho Gaya

Ek Ke Baad Fida Hogaya

Dekhte Hi Dekhte Kya Hogaya

Ab Koi Nasir Na Raha Ya Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!

Saaniye Zehra Ka Bura Haal Tha

Jab Ke Tadaruk Na Koi Ban Pada

Auno Mohammad Ko Fida Kar Diya

Us Pa Bhi Tu Bach Na Saka Ya Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!

Madare Qasim Ka Jigar Dekhiye

Jazbaye Emaan Ka Asr Dekhiye

Bhej Diya Ran May Pisar Dekhiye

Jo Hua Pamaale Jafa Ya Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!

Hazrate Abbas Bhi Marne Chale

Nehr Par Jarraar Ke Baazu Kate

Thaam Ke Aap Apni Kamar Reh Gaye

Hogayi Chup Roke Sakeena Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!

Hogaye Ruqsat Ko Shabihe Rasool

Ab Shahe Bekas Thay Bahot Dil Maloool

Aayi Kahin Se Ye Sadaye Batool

Mai Teri Himmat Pe Fida Ya Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!

Asghar E Besheer Par Jaane Fida

Khaiche Huey Teer Badha Hurmala

Qatta Kalaam E Shah E Wala Hua

Soo E Falak Aap Ne Dekha, Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!

 

 

 

Dhal Gaya Din Aur Qareeb Aaye Shaam

Phir To Akaley Thay Shah E Anaam

De Diya Sar, Khatm Kiya Apna Kaam

Deen E Nabi Khoob Bachaya, Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!

Goonj Rahi Hai Yeh Sada Ya Hussain

Tujhko Laeenon Ne Sataya, Hussain

 

 

Haaye Hussain Pyaase Hussain

 

 

Haaye Hussain Pyaase Hussain

Damishk Mai Jo Gareebeon Ka Khafela Pahoncha

Yazeede Nahes Ne Darbar Me Bula Bheja

Bahen Se Shaye Ki Shahadath Ka Waqeya Poocha

Tarap Ke Binthe Ali Ne Yazeed Se Ye Kaha

Zamee Ki Goad Me Islam Ka Sitara Hai

Mere Gareeb Ko Lakhon Ne Milke Mara Hai

Haaye Hussain Pyaase Hussain

Kaha Yazeed Se Zainab Ne Aye Sitham Ara

Ghazab Kiya Tere Lashkar Ne Roze .Aashora

Mere Hussain Ko Jangul Me Ghair Kar Mara

Ali Ka Kardiya Barbad Ghar Ka Ghar Sara

Jo Bekafan Hai Abhi Tak Ali Ka Pyaara Ha I

Mere Gareeb Ko Lakhon Ne Milke Mara Hai

Haaye Hussain Pyaase Hussain

Suhaag Ojra Kisi Ka Kisiki Kokh Jali

Kisi Ka Jal Gaha Daman Rida Kisi Ki Chini

Kisi Ki Maang Me Karbobala Ki Qakh Padi

Nabi Ki Aal Hai Zindan Me Ya Ali Madadi

Jahan Mai Zainab E Dilger Besahara Hai

Mere Gareeb Ko Lakhon Ne Milke Mara Hai

Haaye Hussain Pyaase Hussain

Shaheed Ho Gaye Abbaso Khasim O Akbar

Wo Mere Aaon O Mohammed Wo Mere Noor E Nazar

Mai Tujhko Doondho Kahan Bezaban Ali Asghar

Bathao Bibion Main Roon Aaj Kis Kis Par

Shakhi Ne Sibthe Payember Ka Sar Utara Hai

Mere Gareeb Ko Lakhon Ne Milke Mara Hai

 

 

 

Haaye Hussain Pyaase Hussain

Ye Ranjo Gham Sitam O Zoor Aur Jafa Kabtak

Rasool Zadiyan Balwe Me Berida Kabtak

Rahegi Qaid Me Aulade Murtuza Kabtak

Nabi Ki Aal Pe Ye Zulme Narewa Kabtak

Mujhe Tho Mauth Bhi Alam Me Ab Gawara Hai

Mere Hussain Ko Lakhon Ne Milke Mara Hai

Haaye Hussain Pyaase Hussain

Damishk Mai Jo Gareebeon Ka Khafela Pahoncha

Yazeede Nahes Ne Darbar Me Bula Bheja

Bahen Se Shah Ki Shahadath Ka Waqeya Poocha

Tarap Ke Binte Ali Ne Yazeed Se Ye Kaha

Zamee Ki Goad Me Islam Ka Sitara Hai

Mere Hussain Ko Lakheon Ne Milke Mara Hai

Haaye Hussain Pyaase Hussain

54.16. Haaye Kis Tarha Kati Sham-E-Ghariban Zainab

 

Haaye Kis Tarha Kati Sham-E-Ghariban Zainab

Kitna Purhol Tha Karbal Ka Bayabaan Zainab

Haaye Kis Tarha Kati Sham-E-Ghariban Zainab

Aag Khaimo May Lagi Bhai Bhatije Na Pisar

Kitni Us Waqt Hui Aap Pareshan Zainab

Haaye Kis Tarha Kati Sham-E-Ghariban Zainab

Ek Barchi Ne Jigar Kar Diya Chalni Warna

Kitne Thay Dil May Tere Hasrat-O-Armaan Zainab

Haaye Kis Tarha Kati Sham-E-Ghariban Zainab

Aag Ke Sholon Se Sajjad Ko Laayi Kyon Kar

Aaj Tak Qalb Hai Us Haal Pe Giriyan Zainab

Haaye Kis Tarha Kati Sham-E-Ghariban Zainab

Qalbe Majrooh Pe Kya Guzri Shabe Ghurbat May

Aay Jis Waqt Nazar Ganje Shaheedan Zainab

Haaye Kis Tarha Kati Sham-E-Ghariban Zainab

Toota Sa Naiza Liye Aap Andheri Shab May

Misle Abbas Rahi Sab Ki Nigehban Zainab

Haaye Kis Tarha Kati Sham-E-Ghariban Zainab

 

 

 

Pusht Par Haath Bandhe Sar Khule Aada Ke Sitam

Kaise Dafnati Bhala Laashe Shaheedan Zainab

Haaye Kis Tarha Kati Sham-E-Ghariban Zainab

54.17. Hai Kamar Jhukgai

 

Kartey They Sarwar Buka,

Haye Kamar Jhuk Gai,

Mar Gaya Bhai Mera,

Haye Kamar Jhuk Gai,

Mar Gaye Hum Jeete Ji

Chhut Gaye Hum Se Sabhi

Ho Gaye Baazo Juda

Haye Kamar Jhuk Gai,

Quwat-E-Baazoo Tha Woh

Qalb Ki Taaqat Tha Woh

Ho Gaye Hum Benawa

Haye Kamar Jhuk Gai,

Thaam Lo Baazoo Pisar

Le Chalo Soo-E-Farath

Mar Gaye Tere Chacha

Haye Kamar Jhuk Gai,

Ley Chalo Akbar Wahan,

Bhai Hai Mera Jahan,

Jald Chalo Mehlaqa,

Haye Kamar Jhuk Gai,

Dar Pe Khadi Beqarar

Karti Hai Woh Intezaar

Us-Se Kahoon Ga Main Kya

Haye Kamar Jhuk Gai,

Ley Key Chacha Ka Alam,

Noha Yeh Parhtey Howey,

Jao Sooye Khaimagah,

Haye Kamar Jhuk Gai,

Pyas Sey Sab Hain Nidhal

Pani Ka Hoga Sawal

Kehna Woh Sab Behgaya

 

 

 

Haye Kamar Jhuk Gai,

Aisa Ali Ab Kahan

Paye Ga Sibt-E-Nabi

Jaisa Ke Abbas Tha

Haye Kamar Jhuk Gai,

 

 

Hai Mominon Ke Lab Par Maula Madat Ko Aao

 

Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Hai Rooh E Jaan E Haider, Maula Madad Ko Aao

Hum Ho Rahen Hai Be-Ghar, Maula Madad Ko Aao

Jeena Hua Hai Dubhar, Maula Madad Ko Aao

Koi Nahi Hai Yawar, Maula Madad Ko Aao

Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Gheren Huey Hain Humko Zulm-O-Sitam Ke Toofan

Ab Kashti-E-Aza Ke Bastum Hi Ho Nigehban

Koi Nahi Hai Rahbar Hain Karwan Pareshan

Har Ek Bachcha Raha Hai Ab Apna Apna Daman

Kisko Banayen Rahbar, Maula Madad Ko Aao

Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Maula Tumhara Gham Bhi Mushkil Hai Ab Manana

Mumkin Nahi Hai Koi Soorat Alam Uthana

Mit Jaye Quam-E-Shia Hai Khwaish-E-Zamana

Dard-O-Sitam Mein Ab Hai Bidat Ka Taziana

Ab Hai Galon Pe Khanjar, Maula Madad Ko Aao

Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Phir Aaftab-E-Haq Par Chhaya Hai Abr-E-Baatil

Har Ahle-Haq Ka Jeena Phir Ho Raha Hai Mushkil

Be-Jurm Mominoon Par Chalti Hai Tegh-E-Qatil

Faryaad Adl Ki Hi Hai Koi Nahi Hai Adil

Sadqe Yeh Quam Tumpar, Maula Madad Ko Aao

Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Is Jurm Par Hai Humko Mashke Sitam Banayia

Jo Humne Majlisen Ki Aur Jo Alam Uthaya

Zalim Ka Zulm Humne Duniya Ko Kyon Bataya

Hum Khud To Ro Rahe They Auron Ko Kyo Rulaya

Ilzam Hai Yeh Humpar, Maula Madad Ko Aao

Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

 

 

 

Zalim Yeh Chahete Hai Naam-O-Nishan Mita De

Eilan-E-Haq Hai Jinse Un Mabaton Ko Dha Dey

Chun Chun Ke Mominoon Ka Ek Ek Ghar Jala De

Is Sher-E-Luckhnow Ko Ek Karbala Bana De

Hum Jaan Bachayen Kyonkar, Maula Mad Ad Ko Aao

Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Hum Momnoon Ke Dil Par Chalte Hain Gham Ke Aarey

Behal Ho Rahen Hain Zulm-O-Sitam Ke Marey

Ghere Huey Hai Humko Toofan Ke Tez Dharey

Kashtiye Zindigi Ab Kyonkar Lage Kanare

Toota Hua Hai Langar, Maula Madad Ko Aao

Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Daure Yazeediyat Ka Phir Sar Utha Raha Hai

Nam-O-Nishane Haq Ko Aksar Mita Raha Hai

Batil Ko Haq Aur Haq Ko Batil Bata Raha Hai

Maula Charag-E-Haq Par Dasdil Mila Raha Hai

Lillah Bhar-E-Dawar, Maula Madad Ko Aao

Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Duniya Ki Taqaton Par Itra Rahen Hain Zalim

Har Fail-E-Haq Ko Biddat Balta Rahen Hain Zalim

Qual-E-Rasool-E-Haq Ko Jhutla Rahen Hain Zalim

Har Tarhan Zulm Humpar Dha Rahen Hain Zalim

Amn-O-Aman Ho Kyonkar, Maula Madad Ko Aao

Hai Mominon Ke Lab Par, Maula Madad Ko Aao

Mahboob-E-Kibriya Ka Sadka Madad Ko Aao

Bazoo-E-Mustafa Ka Sadka Madad Ko Aao

 

 

Hai Sham-E-Gariban Mein Zainab Ka Nala

 

Hai Sham-E-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Kahan Ho Sakeena, Kahan Ho Sakeena

Hai Sham-E-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Kalaje Se Apne Laga Loon Main Aao

Mera Dil Dhadakta Hai Tum Darr Na Jao

Hai Ghari Khamoshi Hai Ghaira Andhera

Kahan Ho Sakeena, Kahan Ho Sakeena

Hai Sham-E-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Kadam Soo E Saahil Na Hargiz Badhana

 

 

 

Khuda Ke Liye Soo E Dariya Na Jaana

Wahan Kaise Dekho Gi Saqqa Ka Laasha

Kahan Ho Sakeena, Kahan Ho Sakeena

Hai Sham-E-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Dikhata Hai Maidaan Qayamat Ka Manzar

Bhala Kaise Dhoondo Gi Tum Qabr E Asghar

Har Ek Simth Chhaya Hua Hai Andhera

Kahan Ho Sakeena, Kahan Ho Sakeena

Hai Sham-E-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Sabhi Khoon E Dil Mein Nahaye Huey Hain

Baraati Galoon Ko Kataye Huey Hain

Ajal Le Ke Aaye Hai Qasim Ka Sehra

Kahan Ho Sakeena, Kahan Ho Sakeena

Hai Sham-E-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Meri Jaan Jaana Na Ganj E Shaheedan

Tadapti Ho Tum Aur Hogi Pareshan

Sina Khaye Soota Hai Bhai Tumhara

Kahan Ho Sakeena, Kahan Ho Sakeena

Hai Sham-E-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Pukar Aaye Tumko Main Dariya Par Jaa Kar

Mai Pooch Aaye Saqqa Ka Shaana Hila Kar

Lagaye They Mashkiza Dil Se Tumhara

Kahan Ho Sakeena, Kahan Ho Sakeena

Hai Sham-E-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Chali Aao Godi Mein Tum Ko Suli Doon

Tumhe Karbala Ki Kahani Suna Doon

Rulaoo Na Apni Phuphi Ko Khudara

Kahan Ho Sakeena, Kahan Ho Sakeena

Hai Sham-E-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Main Gang E Shaheeda Gayi Dil Sambhale

Main Chhup Thi Magar Dil Mein Ghutte They Nala

Wahan Bhi Pata Mil Na Paya Tumhara

Kahan Ho Sakeena, Kahan Ho Sakeena

Hai Sham-E-Gariban Mein Zainab Ka Nala

Gale Lag Ke Baba Ke Roi Hai Shayad

Gile Shikwe Kar Kar Ke Sooie Ho Shayad

Mai Sooe Nasheb Aa Rahi Hoon Sakeena

Kahan Ho Sakeena, Kahan Ho Sakeena

Hai Sham-E-Gariban Mein Zainab Ka Nala

 

 

 

Zamana Hua Aaye Shaam E Ghareeba

They Maah E Haram Khaake Sahera Par Girya

Fazayen Sunatin Hain Ab Tak Yeh Nauha

Kahan Ho Sakeena, Kahan Ho Sakeena

Hai Sham-E-Gariban Mein Zainab Ka Nala

 

 

Haq Hai Ali Ke Saath, Ali Hai Nabi Ke Saath

 

Haq Hai Ali Ke Saath, Ali Hai Nabi Ke Saath

Ye Jiske Saath Hai, Hai Khuda Bhi Unhi Ke Saath

Haq Hai Ali Ke Saath, Ali Hai Nabi Ke Saath

Koi Ali Ke Koi Hai Ghaire Ali Ke Saath

Momin Kisi Ke Saath Munafiq Kisi Ke Saath

Haq Hai Ali Ke Saath, Ali Hai Nabi Ke Saath

Roza Namaaz Haj O Ziaraat Sab Khubool

Lekin Ye Shart Hai Ke Ho Hubbe Ali Ke Saath

Haq Hai Ali Ke Saath, Ali Hai Nabi Ke Saath

Salman E Ahlebayt Koi Bhi Na Ban Saka

Yun Tha Sabhi Ka Baithna Uthna Nabi Ke Saath

Haq Hai Ali Ke Saath, Ali Hai Nabi Ke Saath

Aaye Hai Hum Jahan May Baraye Ghame Hussain

Ye Dard To Mila Hai Hame Zindagi Ke Saath

Haq Hai Ali Ke Saath, Ali Hai Nabi Ke Saath

Qurbaan Karke Hum Ne Zamane Ki Har Khushi

Apnaya Hai Hussain Ke Gham Ko Khushi Ke Saath

Haq Hai Ali Ke Saath, Ali Hai Nabi Ke Saath

Qayam Hai Deen Farshe Aza E Hussain Se

Ye Baat Sochna Kabhi Sanjeedgi Ke Saath

Haq Hai Ali Ke Saath, Ali Hai Nabi Ke Saath

Bete Ke Dil Se Kyanch Rahe Hai Sina Hussain

Ya Rab Nikal Na Aaye Kaleja Ani Ke Saath

Haq Hai Ali Ke Saath, Ali Hai Nabi Ke Saath

 

 

Hum Aise Bande Ko Apna Imaam Kahtey Hain

 

 

 

 

Hum Aise Bande Ko Apna Imaam Kahtey Hain

Nusairi Jinko Khuda La Kalaam Kahtay Hain

Karo Yazeed Ki Bayat Toh Jaan Bach Jaye

Imaam E Waqt Se Yeh Ahle Shaam Kahtey Hain

Hum Aise Bande Ko Apna Imaam Kahtey Hain

Ajal Ne De Hume Fursat To Aayenge Sughra

Bahen Se Akbar E Seeren Kalaam Kahtey Hain

Hum Aise Bande Ko Apna Imaam Kahtey Hain

Luta Hai Mariya Mein Aa Ke Kafila Koi

Jale Hue Shah E Deen Ke Khayaam Kahtey Hain

Hum Aise Bande Ko Apna Imaam Kahtey Hain

Rakhe Huey Sare Abbas Apne Zaano Par

Karo Wasiyat E Aakhir, Imaam Kahtey Hain

Hum Aise Bande Ko Apna Imaam Kahtey Hain

Sipurd Baad E Imaamat Ke Baad, Aabid Se

Hussain Shiyon Ko Apna Salaam Kahtey Hain

Hum Aise Bande Ko Apna Imaam Kahtey Hain

 

 

 

Islaam Par Ehsaan E Hussain Ibne Ali Hain

 

 

 

Maula Ne Jalaye Hai Toh Yeh Shama Jali Hai

Islaam Par Ehsaan E Hussain Ibne Ali Hai

Jo Zulm Ke Mahrab Ka Jigar Kaat Ke Rakh De

Who Sabr Ki Talwaar Hussain Ibne Ali Hain

Islaam Par Ehsaan E Hussain Ibne Ali Hai.

Zainab Hain Agar Fatima Zaherra Ka Namoona

Abbas Ki Har Baat Mein Andaaz E Ali Hai

Islaam Par Ehsaan E Hussain Ibne Ali Hai

Uthta Hai Dhuan Seene Dariya Se Musalsal

Pyaase Hain Hussain, Aag Zamane Mein Lagi Hai

Islaam Par Ehsaan E Hussain Ibne Ali Hai

Shabbir Ka Gham, Akbar O Abbas Ke Hamrah

Quraan Padha Hai Kabhi Tafseer Padhi Hai

 

 

 

Islaam Par Ehsaan E Hussain Ibne Ali Hai

Beemar Ko Zanjeer Pinhaten Hain Sitamgar

Abbas Ko Zainab Ki Nazar Dhoond Rahi Hai

Islaam Par Ehsaan E Hussain Ibne Ali Hai

Hamshakl E Payambar Ke Sina Dil Mein Lagi Hai

Maan Dil Ko Sambhale Dar E Khaime Par Khadi Hai

Islaam Par Ehsaan E Hussain Ibne Ali Hai

Ai Sabr Zara Tham Lo Shabbir Ka Daaman

Hamshakl E Payambar Ke Sina Dil Mein Lagi Hai

Islaam Par Ehsaan E Hussain Ibne Ali Hai

Kahne Ko Sabhi Kahte Hain Apne Ko Musalman

Jannat Me Wohi Jaye Ga Jo Panjatani Hai

Islaam Par Ehsaan E Hussain Ibne Ali Hai

 

 

Jab Chaman Gulzar E Jannat Ke Saware Jaayenge

 

 

Jab Chaman Gulzar E Jannat Ke Saware Jaayenge

Aashiq E Baagh E Nabi Us Dam Pukare Jaayenge

Jitne Taare Hain Falak Par, Ai Ghulaaman E Ali

Unse Ooche Mere Aahon Ke Sharare Jaayenge

Kaaptey Haaton Se Turbat Khod Ke Shah Ne Kaha

Humse Asghar Qabr Me Kyonkar Utarey Jaayenge

Bhajo Jannat Ya Ke Dozaq Ai Nusairi Ke Khuda

Hum Kisi Aalam Mein Ho Tumko Pukare Jaayenge

Kahtey Thin Baali Sakina, Paani Layen Ge Zaroor

Jab Chacha Abbas Darya Ke Kinare Jaayenge

Ai Farishton Aayenge Hum Sab Unhi Ke Sath Sath

Hashr Mein Jab Karbala Wale Pukare Jaayenge

Baithe Rehti Hai Hamesha Shouk Me Labbaik Ke

Kyon Zameen E Karbala Hum Kab Pukare Jaayenge

Le Chalo Hamrah Apne Ya Hussain Ibne Ali

Hashr Ko Jannat Mein Hum Kiske Sahare Jaayenge

 

 

 

Jab Chaman Gulzar E Jannat Ke Saware Jaayenge

 

 

 

Jab Yaad Sakina Ko Teri Athi Hai Baba

 

 

Jab Yaad Sakina Ko Teri Athi Hai Baba

Sar Zinda Ke Deewareon Se Takrathi Hai Baba

Darbare Yazeedee Me Bhala Kaise Mai Jaeon

Hai Chaak Gareban Haya Athi Hai Baba

Jab Yaad Sakina Ko Teri Athi Hai Baba

Kaneon Se Tapaktha Hai Laho Sheneon Pe Mere

Zalim Ki Aziyath Mujhe Tadpathi Hai Baba

Jab Yaad Sakina Ko Teri Athi Hai Baba

Marjaongi Pyasi Na Kabhi Mangoongi Pani

Asghar Ki Mujhe Pyaas Jo Yaad Athi Hai Baba

Jab Yaad Sakina Ko Teri Athi Hai Baba

Jab Tak Tere Seene Pe Na Sojaye Sakina

Zinda Me Ose Neendh Kahan Athi Hai Baba

Jab Yaad Sakina Ko Teri Athi Hai Baba

Jalthe Howe Khaimeon Ke Nazaare Hain Nazar Me

Ye Bath Khayaleon Se Kahan Jathi Hai Baba

Jab Yaad Sakina Ko Teri Athi Hai Baba

Yaad Athe Hain Jab Shumere Sithamgar Ke Mazalim

Ye Nanhi Si Dukhthar Teri Ghabrathi Hai Baba

Jab Yaad Sakina Ko Teri Athi Hai Baba

Hai Kaun Mere Paas Jiyon Kiske Sahare

Tanhayi Meri Mauth Bani Jathi Hai Baba

Jab Yaad Sakina Ko Teri Athi Hai Baba

 

 

 

 

Kahtin Thin Baano Shab E Ashoor – Asghar Soo Rahoo

 

 

Kahtin Thin Baano Shab E Ashoor – Asghar Soo Raho

Raar Bhar Ki Zindagi Hai, Aao Dilbar Soo Raho

Aaj Ki Shab Aakhri Hai, Aao Lipta Loon Gale

Kal To Khali Goad Ho Ga Pahloo E Maadar, Soo Raho

Ho Abhi Kamsin Abhi Darna Na Shab Ko Ai Meri Jaan

Lein Ge Jangal Me Khabar Ai Laal Sarwar Soo Raho

Aao Lipta Loon Kaleje Se Tumhe Jee Bhar Ke Aaj

Kal Se To Soo Ge To Baba Paas Dilbar Soo Raho

Kis Tarah Dil Ko Sambhale Madar E Khasta Jigar

Dasht E Tanhaye Mein Honge Kal Se Asghar Soo Raho

Sabr Kyukar Aayega Ai Lal Tumse Choot Kar

Phir Na Maan Ke Paas Tum Aao Ge Asghar Soo Raho

Kal Zameen E Karbala Ki Khaakh Mein Mil Jaao Ge

Aaj Ki Shab Ghamzada Maan Se Lipat Kar Soo Raho

Kahtin Thin Baano Shab E Ashoor – Asghar Soo Raho

 

54.26. Karbala Mein Jis Ghadi Mara Gaya Ibne Ali

 

Karbala Mein Jis Ghadi Mara Gaya Ibne Ali

Tab Farishton Ne Khabar Gibraeel Ko Jaa Kar Yeh Di

Aashiane Mein Tu Kya Baitha Hai Apne Ai Gari

Ai Muqqarib Kibriya Ke, Ai Mohammad Ke Raqeeb

Le Khabar Dasht E Bala Mein Fatima Ka Ghar Gaya

Jisko Tu Jhoola Jhulata Tha Who Bekas Mar Gaya

Jiski Khatir Par Bhi Chata Tha Tu Ai Rooh Gul Nami

Aur Khilata Tha Jise Tu Mewa E Khulde Bareen

Aah Who Mara Pada Hai Aaj Ba Ru E Zameen

Laash Us Bekas Ki Gaade Koi Itna Bhi Nahin

 

 

 

Jis Hussain Ibne Ali Ka Do Jahan Mein Raaj Hai

Aaj Who Bekas Kafan Aur Gohr Ka Mohtaj Hai

Karbala Mein Jis Ghadi Mara Gaya Ibne Ali

 

54.27. Lipti Hui Lashe Se Yeh Kahti Thi Sakina – Uttho Mere Baba

 

Lipti Hui Lashe Se Yeh Kahti Thin Sakina – Uttho Mere Baba

Haye Seene Se Laga Lo Mujhe Ya Shah-E-Madina – Uttho Mere Baba

Jangal Soo Gaya Raat Andheri – Bechain Hai Beti

Haye Kya Bholey Ho Seene Par Sulane Ka Kareena – Uttho Mere Baba

Asghar Na Rahe Aur Na Bhaiyya Ali Akbar – Sab Ho Gaye Be-Sar

Haye Bhaya To Hai Amu Ko Mere Maut Ne Chhena – Uttho Mere Baba

Bin Baap Ki Main Ho Gaye Aur Ghar Hua Barbaad – Fariyad Hai Faryaad

Hai Raas Aaya Na Tomko Yeh Muharram Ka Maheena – Uttho Mere Baba

Dulha Ko To Paamal Kiya Quaid Dulhan Ko – Loota Hai Bahen Ko

Hai Dekha Nahi Duniya Me Yeh Shaadi Ka Kareena – Uttho Mere Baba

Yuh Shimr-E-Sitamgar Ne Gala Rassi Se Jakda – Dam Ghuta Hai Mera

Hai Is Dukh Se Behtar Hai Ke Mar Jaaye Sakina – Uttho Mere Baba

Roti Hoon To Aada Mujhe Durrey Hain Lagate – Aur Ghulkiyan Dete

Hai Taskeen Ka Kya De Hain Yakeen Maut Kahi Na – Uttho Mere Baba

Ghar Phook Diya Aaj Rida Chhen Le Sar Se – Aur Maare Tamache

Hai Dewar Bhi Mera Shims-E-Sitamgar Ne Chhena – Uttho Mere Baba

Lipti Hui Lashe Se Yeh Kahti Thin Sakina – Uttho Mere Baba

Haye Seene Se Laga Lo Mujhe Ya Shah-E-Madina – Uttho Mere Baba

 

 

Maan Kahtin Thin Ke Maamta Jis Dam Sataye Gi

 

Maa Kehti Thi Ki Maamta Jis Dam Sataye Gi

Akbar Tumhari Yaad Bhi Barchi Lagaye Gi

Naazon Se Tumko Paala Tha, Yeh Jaante Na Thin

Pardes Mein Hum Honge Tumhe Maut Aayegi

 

Maa Poochti Hain Deer Se, Akbar Jawaab Do

Tum Mar Gaye Ho Ab Kise Dhoola Banaye Gi

Akbar Utho Akeley Hain Nargey Mein Shah E Deen

Fauj E Adu Hussain Ka Ab Khoon Bahaye Gi

Tum Chalte Waqt Itna Bhi Maa Se Na Kah Gaye

Zinda Na Ghar Mein Aayen Ge Ab Laash Aaye Gi

Beta Tha Mere Pardey Ka Tumko Bohut Khayaal

Ab Fauj E Shaam Sar Khule Dar Dar Phirayegi

Maan Kis Tarah Se Joode Gi, Batlao Mere Laal

Tukde Jo Dil Ke Dhoond Ke Maqtal Se Laayegi

Maa Kehti Thi Ki Maamta Jis Dam Sataye Gi

 

 

54.29. Maan Yeh Kahten Thin Ke Tum Marne Na Jaana Akbar

 

Maan Yeh Kahten Thin Ke Tum Marne Na Jaana Akbar

Daagh Mujhko Na Zaeefi Mein Dikhana Akbar

Main Fida Naam E Khuda Aaye Jawaani Teri

Abhi Sandal Mujhe Baki Hai Lagana Akbar

Maan Yeh Kahten Thin Ke Tum Marne Na Jaana Akbar

Apne Marne Ki Sunate Ho Khabar Maadar Ko

Tumko Laazim Nahin Jo Mujhko Sunana Akbar

Maan Yeh Kahten Thin Ke Tum Marne Na Jaana Akbar

Dhyan Aata Nahi Kuch Meere Budhape Ka Tumhe

Chhayea Kya Tumhe Yuh Dil Ko Dukhana Akbar

Maan Yeh Kahten Thin Ke Tum Marne Na Jaana Akbar

Mai Jo Mar Jaon Toh Phir Yaad Mujhe Bhi Karna

Apni Madar Ko Na Tum Dil Se Bhulana Akbar

Maan Yeh Kahten Thin Ke Tum Marne Na Jaana Akbar

Apne Marne Ki Sunate Ho Khabar Maadar Ko

Hai Abhi Mujhko Tera Bhiya Rachana Akbar

Maan Yeh Kahten Thin Ke Tum Marne Na Jaana Akbar

 

 

 

Maula Ali Ali Mera Aaqa Ali Ali

 

 

Maula Ali Ali Mera Aaqa Ali Ali

Deene Muhammadi Ka Sahara Ali Ali

Jab Fatha Jang Ho Na Saki Thi Teen Roz Tak

Aakhir Labe Rasool Se Nikla Ali Ali

Maula Ali Ali Mera Aaqa Ali Ali

Uska Har Ek Bigda Hua Kaam Ban Gaya

Mushkil May Jab Kisi Ne Pukara Ali Ali

Maula Ali Ali Mera Aaqa Ali Ali

Mayyat Jawan Ki Leke Chale Jab Suye Qayam

Kehte Thay Zere Lab Shahe Wala Ali Ali

Maula Ali Ali Mera Aaqa Ali Ali

Jalte Hue Qayam Se Aati Thi Ye Sada

Ab To Madad Ko Aaiye Baba Ali Ali

Maula Ali Ali Mera Aaqa Ali Ali

 

 

 

Mayyat Khuda Ke Sher Ki Suye Najaf Chali

 

 

Mayyat Khuda Ke Sher Ki Suye Najaf Chali

Har Samt Ek Shor Hai Maula Ali Ali

Mayyat Khuda Ke Sher Ki Suye Najaf Chali

Shahzade Shahzadiya Baba Ko Rote Hai

Haq Ke Wali Ko Khalq Ke Maula Ko Rote Hai

Zehra Ke Ghar May Kaisi Musibat Ye Aagayi

Mayyat Khuda Ke Sher Ki Suye Najaf Chali

Deewaro Dar Hai Nowhakuna Shehr Soghwaar

Sar Ko Patakte Jaate Hai Maula Ke Jaanisar

Ek Tayghe Zehr Baar Ne Dunya Ujaad Di

Mayyat Khuda Ke Sher Ki Suye Najaf Chali

Mazloomiyat Ka Haq Ka Madadgar Mar Gaya

Bewaon Ka Yateemo Ka Ghamkhar Mar Gaya

Mushkil Kusha Juda Hua Mushkil Ye Aagayi

Mayyat Khuda Ke Sher Ki Suye Najaf Chali

Zainab Ki Nazrein Baba Ko Paayengi Ab Kahan

 

Kulsoom Roti Jaati Hai Le Le Ke Hichkiyan

Baba Ki Yaad Aati Hai Har Waqt Har Ghadi

Mayyat Khuda Ke Sher Ki Suye Najaf Chali

Nauso Rehwaro Mehre Wilayat Ne Shaam Ki

Mayyat Uthao Kaandho Par Zakhmi Imam Ki

Kehte Chalo Yahan Se Najaf Tak Ali Ali

Mayyat Khuda Ke Sher Ki Suye Najaf Chali

 

 

 

Mere Ghareeb Ko Lakhon Ne Milke Maara Hai

 

 

(Haye Husain, Pyaase Hussain)

 

 

Damishq May Jo Ghareebon Ka Kaarwan Pahuncha

Yazeed Neyst Ne Darbaar May Bula Bheja

Behan Se Sheh Ki Shahadat Ka Waqia Poocha

Tadap Ke Binte Ali Ne Yazeed Se Ye Kaha

Zameen Ki Godh May Islam Ka Sitara Hai

Mere Ghareeb Ko Lakhon Ne Milke Maara Hai

Haaye Hussain Pyase Hussain

Kaha Yazeed Se Zainab Ne Sitam Aara

Ghazab Kiya Tere Lashkar Ne Roze Ashoora

Mere Hussain Ko Jangal May Ghayr Kar Maara

Ali Ka Kardiya Barbaad Ghar Ka Ghar Saara

Jo Bekafan Hai Abhi Tak Nabi Ka Pyara Hai

Mere Ghareeb Ko Lakhon Ne Milke Maara Hai

Haaye Hussain….

Suhaag Ujda Kisi Ka Kisi Ki Kokh Jali

Kisi Ka Jalgaya Daman Rida Kisi Ki Chini

Kisi Ki Maang May Karbobala Ki Khaak Padi

Nabi Ki Aal Hai Zindan May Ya Ali Madadi

Jahan May Zainabe Dilgeer Be-Sahara Hai

Mere Ghareeb Ko Lakhon Ne Milke Maara Hai

Haaye Hussain….

Ye Ranjo Gham Ye Sitam Jor Aur Jafa Kab Tak

Rasool Zadiyan Balwe May Berida Kab Tak

Rahegi Qaid May Aulaade Murtuza Kab Tak

Nabi Ki Aal Par Ye Zulm Naarwa Kab Tak

Mujhe To Maut Hi Aalam May Ab Gawara Hai

Mere Ghareeb Ko Lakhon Ne Milke Maara Hai

Haaye Hussain….

 

 

Qabr E Sarwar Par Kaha Zainab Ne Ro Kar, Alwida

 

Qabr-E-Sarwar Par Kaha Zainab Ne Ro Kar, Alwida!

Kuch Khabar Hai Hum Pa Kya Guzari Baradar, Alwida!

Aag Khaimon Mein Laga Di, Lashkar E Kuffar Ne

Chhen Leen Saidaniyon Ke Sar Se Chadar, Alwida!

Kunbe Waale Saath They, Jab Main Watan Se Aaye Thin

Aaj Jaati Hoon Akeli, Ghar Luta Kar, Alwida!

Be-Khata Maare Sakina Ko Tamachey, Shimr Ne

Le Liye Masoom Ke Kaanon Se Gauhar, Alwida!

Neend Kaisi Aai Hai, Soya Karo Ge Kab Talak?

Lo Phupi Jaati Hai, Uttho Mere Akbar, Alwida!

Ho Gayi Sharte Wafa Par, Tum Na Aaye Shaam Mein

Taaziane Maartey Thay, Jab Sitamgar, Alwida!

Shaam Ke Darbaar Mein, Thay Saat Sau Kursi-Nasheen

Thay Rasan-Basta Wahan, Aal E Payambar, Alwida!

Thi Bohut Ummeed, Hai Abbas Sa Bhai Mera

Main Na Jaoongi Kabhi Koofa Khule-Sar, Alwida!

Phir Nazar Ki Soo E Naher E Alqama Aur Yeh Kaha

Mere Ghairatdaar Aey Saqi E Kausar, Alwida

Yeh Khalish Dil Se Na Jaaye Gi, Qayamat Tak Kabhi

Haye Koofe Mein Gai, Zainab Khule Sar, Alwida!

Qabr-E-Sarwar Par Kaha Zainab Ne Ro Kar, Alwida!

 

 

Ro Ke Yeh Zainab Ne Kaha, Ali Ali Haye Ali

 

 

Ro Ke Yeh Zainab Ne Kaha, Ali Ali, Haye Ali

Aa Ke Lute Karbobala, Ali Ali, Haye Ali

Chini Gaye Sar Se Rida, Ali Ali, Haye Ali

Aao Madad Ko Murtaza, Bhai Mera Qatl Hua

Ali Ali Haye Ali, Ali Ali Haye Ali

Aaiyea Ab Mushkilkusha, Ali Ali, Haye Ali

 

Hum Hain Giraftaar E Bala, Ali Ali, Haye Ali

Keejiyea Ab Gham Se Rihya, Ali Ali, Haye Ali

Koi Nahi Hai Aasra, Ali Ali, Haye Ali

Bhai Mera Qatl Hua, Ali Ali, Haye Ali

Haye Kahan Hain Fatima, Ali Ali, Haye Ali

Dasvin Muharram Ko Luta, Ali Ali, Haye Ali

Dar E Janaab E Murtuza, Ali Ali, Haye Ali

Dasht E Bala Mein Bekhata, Ali Ali, Haye Ali

Bhai Mera Qatl Hua, Ali Ali, Haye Ali

Kashti E Deen Ka Nakhuda, Ali Ali, Haye Ali

Ummat E Jadd Ka Peshimaam, Ali Ali, Haye Ali

Dasht Mein Jo Pyaasa Raha, Ali Ali, Haye Ali

Khushk Gala Kaata Gaya, Ali Ali, Haye Ali

Bhai Mera Qatl Hua, Ali Ali, Haye Ali

Ro Ke Yeh Zainab Ne Kaha, Ali Ali, Haye Ali

Aa Ke Lute Karbobala, Ali Ali, Haye Ali

Yaawar O Ansaar Gaye, Ali Ali, Haye Ali

Shah Ke Madadgaar Gaye, Ali Ali, Haye Ali

Buzurg E Abraar Gaye, Ali Ali, Haye Ali

Khatama Lashkar Ka Hua, Ali Ali, Haye Ali

Aao Madad Ko Murtaza, Ali Ali, Haye Ali

Haye Kahan Hain Fatima, Ali Ali, Haye Ali

Dasvin Muharram Ko Luta, Ali Ali, Haye Ali

Baagh E Janab E Murtaza, Ali Ali, Haye Ali

Dasht E Bala Mein Bekhata, Ali Ali, Haye Ali

Bhai Mera Qatl Hua, Ali Ali, Haye Ali

Ro Ke Yeh Zainab Ne Kaha, Ali Ali, Haye Ali

Aa Ke Lute Karbobala, Ali Ali, Haye Ali

Chhota Sa Lashkar Tha Idhar, Ali Ali, Haye Ali

Fauj Bakasrat Thi Udhar, Ali Ali, Haye Ali

Suno Meri Bahr E Khuda, Ali Ali, Haye Ali

Dasht E Bala Mein Bekhata, Ali Ali, Haye Ali

Khatama Lashkar Ka Hua, Ali Ali, Haye Ali

Gheren Huay Hain Ashquiya, Ali Ali, Haye Ali

Aao Madad Ko Murtaza, Ali Ali, Haye Ali

Dasht E Bala Mein Bekhata, Ali Ali, Haye Ali

Qatra Na Paani Ka Mila, Ali Ali, Haye Ali

Bhai Mera Qatl Hua, Ali Ali, Haye Ali

 

Ro Ke Yeh Zainab Ne Kaha, Ali Ali, Haye Ali

Aa Ke Lute Karbobala, Ali Ali, Haye Ali

Halq Pe Khanjar E Laeen, Ali Ali, Haye Ali

Sajde Mein Sarwar Ki Jabeen, Ali Ali, Haye Ali

Jalti Hai Maqtal Ki Zameen, Ali Ali, Haye Ali

Qatra Na Paani Ka Mila, Ali Ali, Haye Ali

Dasht E Bala Mein Bekhata, Ali Ali, Haye Ali

Khushk Gala Kaata Gaya, Ali Ali, Haye Ali

Kya Karoon Mai Mere Khuda, Ali Ali, Haye Ali

Koi Nahi Hai Aasra, Ali Ali, Haye Ali

Aao Madad Ko Murtaza, Ali Ali, Haye Ali

Bhai Mera Qatl Hua, Ali Ali, Haye Ali

Ro Ke Yeh Zainab Ne Kaha, Ali Ali, Haye Ali

Aa Ke Lute Karbobala, Ali Ali, Haye Ali

Humko Rulate Hain Laeen, Ali Ali, Haye Ali

Khaimey Jalate Hain Laeen, Ali Ali, Haye Ali

Durrey Lagate Hain Laeen, Ali Ali, Haye Ali

Aao Madad Ko Murtaza, Ali Ali, Haye Ali

Dasht E Bala Mein Bekhata, Ali Ali, Haye Ali

Koi Nahi Hai Aasra, Ali Ali, Haye Ali

Gheren Huay Hain Ashquiya, Ali Ali, Haye Ali

Kya Karoon Mai Mere Khuda, Ali Ali, Haye Ali

Haye Kahan Hain Fatima, Ali Ali, Haye Ali

Khatama Lashkar Ka Hua, Ali Ali, Haye Ali

Bhai Mera Qatl Hua, Ali Ali, Haye Ali

Ro Ke Yeh Zainab Ne Kaha, Ali Ali, Haye Ali

Aa Ke Lute Karbobala, Ali Ali, Haye Ali

Zulm O Jafa Ki Anjuman, Ali Ali, Haye Ali

Baran Galey Ek Rasan, Ali Ali, Haye Ali

Shah Ka Sar Aur Lagan, Ali Ali, Haye Ali

Kyon Na Qayamat Ho Bapa, Ali Ali, Haye Ali

Aao Madad Ko Murtaza, Ali Ali, Haye Ali

Dasht E Bala Mein Bekhata, Ali Ali, Haye Ali

Khatama Lashkar Ka Hua, Ali Ali, Haye Ali

Gheren Huay Hain Ashquiya, Ali Ali, Haye Ali

Koi Nahi Hai Aasra, Ali Ali, Haye Ali

Bhai Mera Qatl Hua, Ali Ali, Haye Ali

 

Ro Ke Yeh Zainab Ne Kaha, Ali Ali, Haye Ali

Aa Ke Lute Karbobala, Ali Ali, Haye Ali

Shimr E Sitamgar Hai Aur, Ali Ali, Haye Ali

Aabid E Beemar Hain Aur, Ali Ali, Haye Ali

Tauq E Garahbaar Hai Aur, Ali Ali, Haye Ali

Dasht E Bala Mein Bekhata, Ali Ali, Haye Ali

Gheren Huay Hain Ashquiya, Ali Ali, Haye Ali

Aao Madad Ko Murtaza, Ali Ali, Haye Ali

Haye Kahan Hain Fatima, Ali Ali, Haye Ali

Khatama Lashkar Ka Hua, Ali Ali, Haye Ali

Bhai Mera Qatl Hua, Ali Ali, Haye Ali

Koi Nahi Hai Aasra, Ali Ali, Haye Ali

Ro Ke Yeh Zainab Ne Kaha, Ali Ali, Haye Ali

Aa Ke Lute Karbobala, Ali Ali, Haye Ali

Dhoop Hai Aur Tapta Hai Ban, Ali Ali, Haye Ali

Laashey Hain Begoore Kafan, Ali Ali, Haye Ali

Kya Kare Majboor Bahen, Ali Ali, Haye Ali

Koi Nahi Hai Aasra, Ali Ali, Haye Ali

Aao Madad Ko Murtaza, Ali Ali, Haye Ali

Qatra Na Paani Ka Mila, Ali Ali, Haye Ali

Dasht E Bala Mein Bekhata, Ali Ali, Haye Ali

Khushk Gala Kaata Gaya, Ali Ali, Haye Ali

Kya Karoon Mai Mere Khuda, Ali Ali, Haye Ali

Haye Kahan Hain Fatima, Ali Ali, Haye Ali

Bhai Mera Qatl Hua, Ali Ali, Haye Ali

Ro Ke Yeh Zainab Ne Kaha, Ali Ali, Haye Ali

Aa Ke Lute Karbobala, Ali Ali, Haye Ali

 

 

Sad Alvida Hussaina Wa Hasrata Hussaina

 

 

Sadal Vida Husaina, Wa Hasrata Husaina

Rooh E Hasan Husaina, Wa Hasrata Husaina

Shahe Zaman Husaina, Wa Hasrata Husaina

Tashna Dahan Husaina, Wa Hasrata Husaina

Sadal Vida Husaina, Wa Hasrata Husaina

Haamiye Roaz E Mahshar, Wa Hasrata Husaina

Saqiye Hauz E Kausar, Wa Hasrata Husaina

 

 

Tashna Lab O Musafar, Wa Hasrata Husaina

Halq To Zeir E Khanjar, Wa Hasrata Husaina

Jism Tapaan Wa Muztar, Wa Hasrata Husaina

Bar Seena At Sitamgat, Wa Hasrata Husaina

Goyad Sakina Pur Gham, Wa Hasrata Husaina

Az Dast E Shimr E Azlam, Wa Hasrata Husaina

Khoon Shud Rawan Az Gosham, Wa Hasrata Husaina

Jaan E Butool O Ahmed, Wa Hasrata Husaina

Bankar Jafaey Be Had, Wa Hasrata Husaina

Zainab Shuda Muqayyad, Wa Hasrata Husaina

Aey Gulbun E Imamat, Wa Hasrata Husaina

Janam Fida Baja Nast, Wa Hasrata Husaina

Pasz Murda Az Jahan Nast, Wa Hasrata Husaina

Bastande Qaum E Aada, Wa Hasrata Husaina

Daryak Rasan Ba Eiza, Wa Hasrata Husaina

Aal E Rasool E Khudra, Wa Hasrata Husaina

Zanhaaey Sham O Kufa, Wa Hasrata Husaina

Ba Bandaey Tamasha, Wa Hasrata Husaina

Zainab Aseer E Aada, Wa Hasrata Husaina

Sadha Kursi Nasheen Ast, Wa Hasrata Husaina

Hakim Shami Laeen Ast, Wa Hasrata Husaina

Peishash Zainab Hazeen Ast, Wa Hasrata Husaina

Shah Zulm O Jafa Shud, Wa Hasrata Husaina

Ba Qaid E Mubtila Shud, Wa Hasrata Husaina

Sakina Be Rida Shud , Wa Hasrata Husaina

Az Marg E Zeen Asar Shud, Wa Hasrata Husaina

Haal E Jahan Digar Shud, Wa Hasrata Husaina

Zainab Barahna Sar Shud, Wa Hasrata Husaina

Goyad Zehra Hazina, Wa Hasrata Husaina

Awara Shud Madina, Wa Hasrata Husaina

Shud Be Padar Sakina, Wa Hasrata Husaina

Zakhmi Shuda Khudaya, Wa Hasrata Husaina

Az Taziyana Harja, Wa Hasrata Husaina

Pahlooey Bint E Zehra, Wa Hasrata Husaina

 

 

Sar Ali Ka Sajda E Khaaliq May Zarbat Ke Liye

 

Sar Ali Ka Sajda E Khaaliq May Zarbat Ke Liye

Hashr Tak Ek Daaghe Ruswayi Hai Ummat Ke Liye

Ghar Lutaaya Jaan Tak Dedi Hidayat Ke Liye

Aur Kya Karte Gunehgaran E Ummat Ke Liye

Sar Ali Ka Sajda E Khaaliq May Zarbat Ke Liye

 

 

Hydere Karaar Se Virsa Mila Aulaad Ko

Hogayi Qismat Shahadat Har Imamat Ke Liye

Sar Ali Ka Sajda E Khaaliq May Zarbat Ke Liye

Ghar May Khaaliq Ke Ameer Ul Momineen Ka Qatl Ho

Masjid E Kufa Bani Thi Is Qayamat Ke Liye

Sar Ali Ka Sajda E Khaaliq May Zarbat Ke Liye

 

 

Shaheed E Karbala Hussain, Hussain Hussain Hussain

Hussain

 

Hussain Hussain Hussain Hussain

Hussain Hussain Hussain Hussain

Shaheed E Karbala Hussain

Hussain Hussain Hussain Hussain

Ghareeb E Nainawan Hussain

Hussain Hussain Hussain Hussain

Beyaaro Beyawar Hussain

Hussain Hussain Hussain Hussain

Beyfaujo Beylashkar Hussain

Hussain Hussain Hussain Hussain

Ishab Rasool E Alama

Hussain Hussain Hussain Hussain

Ishab Ali E Murtaza

Hussain Hussain Hussain Hussain

Ishab Janaab E Fatima

Hussain Hussain Hussain Hussain

Ishab Hasan E Mushtaba

Hussain Hussain Hussain Hussain

Aayat Badashtey Karbala

Hussain Hussain Hussain Hussain

Girdad Badaurey Khemaha

Hussain Hussain Hussain Hussain

Giryad Badaurey Lashaha

Hussain Hussain Hussain Hussain

Pursande Arzey Nainawa

Hussain Hussain Hussain Hussain

Qasim E Naushaham Kuja

Hussain Hussain Hussain Hussain

Akbar E Naujawan Kuja

Hussain Hussain Hussain Hussain

Asghar E Shirkharam Kuja

Hussain Hussain Hussain Hussain

Abbas Alamdaram Kuja

 

 

Hussain Hussain Hussain Hussain

Bugo Ke Kushtashud

Hussain Hussain Hussain Hussain

 

 

Siwa Nabi Ke Ali Se Behtar Koi Nahi Hai Koi Nahi

 

 

Bayan Karne Ko Yun To Sharaf Bayan Karti Hai Sabhi Ke

Magar Jo Akhlay Saleem Rakhta Hai Jaanta Hai

Siwa Nabi Ke Nahi Hai Koi Ali Se Behtar Koi Nahi Hai Koi Nahi

Siwa Nabi Ke Ali Se Behtar Koi Nahi Hai Koi Nahi

Hunain-O-Badr-O-Ohad Se Poocho

Amal Ke Do Neem Sar Se Poocho

Ali Ki Do Ungliyo Ki Taaqat

Hai Kya Ye Khyber Ke Dar Se Poocho

Qasam Khuda Ki Misale Hyder Koi Nahi Hai Koi Nahi

Siwa Nabi Ke Ali Se Behtar Koi Nahi Hai Koi Nahi

Ghadeer Se Jabke Maine Poocha

Hai Tujhko Maloom Saar Kissa

Siwa Ali Ke Hai Aur Koi Banaya Jisko Nabi Ne Maula

Tadap Ke Bola Ye Khum Ka Mimbar Koi Nahi Hai Koi Nahi

Siwa Nabi Ke Ali Se Behtar Koi Nahi Hai Koi Nahi

Ali Ki Talwaar Chal Rahi Hai

Nabi Ka Chehra Damak Raha Hai

Koi Datta Hai Ohad May, Koi Nazar Bachakar Sarak Raha Hai

Nabi Ke Paas Ab Siwaye Hyder Koi Nahi Hai Koi Nahi

Siwa Nabi Ke Ali Se Behtar Koi Nahi Hai Koi Nahi

Lagaye Wo Naaraye Salooni

Madina-E-Ilm Ka Jo Dar Ho

Nabi Ke Farmaan Ke Mutabiq Jidhar Ko Mud Jaye Haq Udhar Ho

Siwaye Hyder Ke Aisa Rehbar Koi Nahi Hai Koi Nahi

Siwa Nabi Ke Ali Se Behtar Koi Nahi Hai Koi Nahi

Chali Jo Binte Asad Jo Badkar

Dewaare Kaaba Ye Boli Has Kar

Isi Tarha Aur Isi Jagah Par

Khadi Thi Ek Din Ek Aur Maadar

Magar Tumhare Sharaf Se Badkar Koi Nahi Hai Koi Nahi

Siwa Nabi Ke Ali Se Behtar Koi Nahi Hai Koi Nahi

Patak Rahi Hai Sar Apna Maujay

 

Kataye Baazu Pada Hai Saqqa

Ajeeb Aalam Hai Bekasi Ka

Hussain Ran May Khade Hai Tanha

Alam Alamdar Aur Lashkar Koi Nahi Hai Koi Nahi

Siwa Nabi Ke Ali Se Behtar Koi Nahi Hai Koi Nahi

Sina Kaleje Pe Khaaye Beta

Pyasa Karwat Badal Raha Hai

Hussain Hasrat Se Dekhte Hai

Jawan Ka Dam Nikal Raha Hai

Sahara Dede Zara Jo Badkar Koi Nahi Hai Koi Nahi

Siwa Nabi Ke Ali Se Behtar Koi Nahi Hai Koi Nahi

Tamam Bhai Bhateeje Bete

Pade Hai Maqtal May Sar Kataye

Tamam Saathi Bichad Chuke Hai

Koi Nahi Jo Madad Ko Aaye

Khade Hai Ran May Akele Sarwar Koi Nahi Hai Koi Nahi

Siwa Nabi Ke Ali Se Behtar Koi Nahi Hai Koi Nahi

 

 

Utha Koi Janaza Phir Sayyeda Ke Ghar Se

 

 

Utha Koi Janaza Phir Sayyeda Ke Ghar Se

Hasrat Baras Rahi Hai Ek Ek Bam O Dar Se

Ye Kisko Ro Rahi Hai Zainab Tadap Tadap Kar

Jannat May Sayyeda Ne Chadar Gira Di Sar Se

Utha Koi Janaza Phir Sayyeda Ke Ghar Se

Jisne Khuda Ke Ghar Ko Bakshi Thi Aake Zeenat

Wo Aaj Ho Raha Hai Ruqsat Khuda Ke Ghar Se

Utha Koi Janaza Phir Sayyeda Ke Ghar Se

Hai Bandh Aankh Shayad Aaram Aa Gaya Hai

Maula Tadap Rahe Thay Unnees Ki Sehr Se

Utha Koi Janaza Phir Sayyeda Ke Ghar Se

Zainab Ke Baazuon Ko Shabbir Choomte Hai

Kya Jaaniye Ali Ne Kya Keh Diya Pisar Se

Utha Koi Janaza Phir Sayyeda Ke Ghar Se

Qaatil Ko Apne Thanda Sharbat Pilane Wal A

Bechain Ho Raha Hai Khud Zehr Ke Asr Se

Utha Koi Janaza Phir Sayyeda Ke Ghar Se

 

Koofe Ka Zarra Zarra Rota Hai Khoon Ke Aansoo

Mehroom Ho Rahe Hai Hasnain Ab Pidar Se

Utha Koi Janaza Phir Sayyeda Ke Ghar Se

 

 

 

Wo Teen Din Ki Pyas, Wo Tashna Labon Ki Shaam

 

 

Woh Teen Din Ki Pyaas, Woh Tashna-Labon Ki Shaam

Apne Gharon Se Door Woh Un Be-Gharon Ki Shaam

Bewaon Ki Yateemon Ki Aur Qaidiyon Ki Shaam

Durron Ki Taziyano Ki Aur Khanjaron Ki Shaam

Woh Teen Din Ki Pyaas, Woh Tashna-Labon Ki Shaam

Besaaya Aasmaan Woh Maqtal Ki Garm Reit

Sehra E Be-Ama May Woh Khastaton Ki Shaam

Woh Teen Din Ki Pyaas, Woh Tashna-Labon Ki Shaam

Khaimon Ke Ird Gird Woh Laashe Azizon Ke

Aur Dashte Karbala May Woh Un Besaron Ki Shaam

Woh Teen Din Ki Pyaas, Woh Tashna-Labon Ki Shaam

Lejaye Kaun Inka Lahoo Bastiyon Ki Samt

Phaili Ye Saare Shehr May Ab Dushmano Ki Shaam

Woh Teen Din Ki Pyaas, Woh Tashna-Labon Ki Shaam

Asghar Tumhari Yaad May Hum Sab Hai Ashqbaar

Bibi Sakeena Dekhiye Yeh Aansoon Ki Shaam

Woh Teen Din Ki Pyaas, Woh Tashna-Labon Ki Shaam

Woh Gyaarveen Ke Chaand Ki Afsurda Roshni

Balon Se Mooh Chipaye Woh Shehzadiyon Ki Shaam

Woh Teen Din Ki Pyaas, Woh Tashna-Labon Ki Shaam

 

 

 

 

 

Yeh Zulm Naya Kaisa Ai Gardish E Dauran Hai

 

 

Yeh Zulm Naya Kaisa Hai Gardish E Dauran Hai

Hai Khushk Gala Shah Ka Aur Khanjar E Kurran Hai

Yeh Zulm Naya Kaisa Hai Gardish E Dauran Hai

Ada Se Kaha Shah Ne Asghar Ki Khata Kya Hai

Paani Ise Do Thoda Yeh Pyaas Se Bejaan Hai

 

 

 

Yeh Zulm Naya Kaisa Hai Gardish E Dauran Hai

Khaime Mein Jo Shah Aaye Rukhsat Ko Jo Farmaiya

Jaate Hain Khudahafiz, Allah Nigebaan Hai

Yeh Zulm Naya Kaisa Hai Gardish E Dauran Hai

Aabid Ne Kaha Baba, Kya Hukm Mujhe Ab Hai

Farmaya Aseeri Hai, Aur Shaam Ka Zindaan Hai

Yeh Zulm Naya Kaisa Hai Gardish E Dauran Hai

Zainab Ne Kaha Ro Kar, Kis Tarah Kadam Utthe

Darbar Hai Aabid Ka, Aur Sar Mera Uriyan Hai

Yeh Zulm Naya Kaisa Hai Gardish E Dauran Hai

Pamaal Ho Sab Aada Rann Mein Sar E Shah Ke

Laashe Par Is Hi Bais Ab Gardish E Asba Hai

Yeh Zulm Naya Kaisa Hai Gardish E Dauran Hai

 

Zahera Zahera Pursa Lo Bahattar Ka

 

 

Karbal Ki Kahani Jab Koi Bhi Sunaye Ga

Dilwalon Ki Aakhon Se Ek Darya Bahaye Ga

Woh Qafila Sarwar Ka Jo Shaan Se Nikla Tha

Sughra Ko Khabar Kya Thi Na Laut Ke Aaiye Ga

Zehra Zahera Pursa Lo Bahattar Ka

Tooti Hai Kamar Shah Ki Ghabra Na Magar Akbar

Farzand-E-Nabi Teiri Mayyat Ko Uthaye Ga

Zehra Zahera Akbar Ka Bhi Pursa Lo

Pamaal Hua Qaasim Jab Ghodon Ki Taapon Se

Kis Tarah Chacha Teiri Mayyat Ko Uthaye Ga

Zehra Zahera Qasim Ka Bhi Pursa Lo

Tha Haaton Ke Katne Ka Kuch Gham Na Dilawar Ko

Saidaniyon Ka Parda Ab Kaun Bachaye Ga

Zehra Zahera Abbas Ka Bhi Pursa Lo

Sarwar Ne Uthaye They Sab Saathiyon Ke Laashe

Shabbir Tera Lasha Ab Kaun Uthaye Ga

Zehra Zahera Shabbir Ka Bhi Pursa Lo