Allah Hussain Sabar Tera Kitna Bara Hai Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Allah Hussain Sabar Tera Kitna Bara Hai Lyrics In Urdu and Roman Urdu
اللہ حُسینؑ صبر تیرا کتنا بڑا ہے
Betay Ka Jigar Nikla Howa Dekh Raha Hai.

Zalim Hai Keh Akbar Ki Haye Reesh Noch Kar.
Phir Samne Padar Ke Sar Kaat Raha Hai.
Laila Tu Apni Dunya Bas Dekhti Rahi.
Sartaj Par Ghareebi Betay Pe Qaza Hai.
Bolay Hussain, Akbar Se Bheer Hatatay.
Aye Zalimo Na Kuchlo Yeh Nazoon Se Pala Hai.
Haye Tooti Pasliyon Se Uthati Thi Maa Jisay.
Tooti Kamar Se Beta Uthane Woh Chala Hai.
Aisay Gira Keh Chehra Ja Khak Par Laga.
Itna Hussain Logo Zaeefi Se Lara Hai.
Zainab Ke Sar Se Chadar Utari Thi Iss Liye.
Woh Hi Nahi Raha Jo Chadar Mein Pala Hai.
Sughra Ko Kaisay Qasad Do Gay Jawab Tum.
Khat Ka Jawab Akbar Ne Seene Pe Likha Hai.
Boli Sakina, Abid Ka Shana Hila Kar.
Bhaiyya Uthao Jao Kar Mera Baba Gira Hai.
Kandhoon Pe :JOUN: Shah Ke Akbar Tha Iss Tarha.
Jaisay Khulay Zakhm Par Ik Zakhm Rakha Hai.
Poet: :Syed Joun Shah:
Soz: :Shahzaib Hasan:
Saqib Khan Party Nohay Lyrics
#AllahHussainSabarTera
#NohayLyrics

 

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,552 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,825 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,724 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,150 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,894 views

Leave a Comment