फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Wo

फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Wo

फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला
वो: हुसैन इब्ने-अली,
पैकरे-सब्रो-रज़ा बादशाहे-कर्बला
वो: हुसैन इब्ने-अली

कौन है सरदारे-जन्नत किस के नाना हैं नबी
किस की माँ है फ़ातिमा भाई हसन बाबा अली
लाए थे किस के लिए जिब्रील कपड़े जन्नती
वो: हुसैन इब्ने-अली

फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला
वो: हुसैन इब्ने-अली,
पैकरे-सब्रो-रज़ा बादशाहे-कर्बला
वो: हुसैन इब्ने-अली
है मेरी आँखों की ठंडक है मेरे इस दिल का चैन
मैं हुसैन इब्ने-अली से हूँ तो मुझ से है हुसैन
ज़ालिमों क्या भूल बैठे ये हदीसे-पाक भी
वो: हुसैन इब्ने-अली

पैकरे-सब्रो-रज़ा बादशाहे-कर्बला
वो: हुसैन इब्ने-अली

सज्दे को लम्बा करें सरकार जिन के वास्ते
जिन को काँधों पर बिठा कर तय कराएँ रास्ते
चूमते रहते हों जिन को हर घड़ी प्यारे नबी
वो: हुसैन इब्ने-अली

पैकरे-सब्रो-रज़ा बादशाहे-कर्बला
वो: हुसैन इब्ने-अली

अपने नाना का मदीना माँ की तुर्बत छोड़ दी
एक वा’दे के लिए जीने की चाहत छोड़ दी
आज तक उन की तरह आया न आएगा कोई
वो: हुसैन इब्ने-अली

पैकरे-सब्रो-रज़ा बादशाहे-कर्बला
वो: हुसैन इब्ने-अली

जिन के बाज़ूओं की ताक़त हो अली शेरे-ख़ुदा
कर गई हो परवरिश जिन की जनाबे-फ़ातिमा
कौन उन से छीन पाए ज़ुल्फ़िक़ारे-हैदरी
वो: हुसैन इब्ने-अली

पैकरे-सब्रो-रज़ा बादशाहे-कर्बला
वो: हुसैन इब्ने-अली

हँस के अकबर की जवानी को लुटा कर दीन पर
कर के क़ुर्बां गोद में छेह माह का नन्हा जिगर
दीने-पाके-मुस्तफ़ा को दे रहे हैं ज़िंदगी
वो: हुसैन इब्ने-अली

पैकरे-सब्रो-रज़ा बादशाहे-कर्बला
वो: हुसैन इब्ने-अली

जिन के बाज़ूओं की ताक़त हो अली शेरे-ख़ुदा
कर गई हो परवरिश जिन की जनाबे-फ़ातिमा
ताहिर उन के हौसलों पर है फ़िदा ख़ुद मौत भी
वो: हुसैन इब्ने-अली

पैकरे-सब्रो-रज़ा बादशाहे-कर्बला
वो: हुसैन इब्ने-अली

इस्लामी-शायर:
हज़रत ताहिर रज़ा रामपुरी

ना’त-ख़्वाँ:
हज़रत ताहिर रज़ा रामपुरी

ये भी पढ़ें: ये अकी़दा है मेरा ये ही मेरा ईमान है / Ye aqeeda hai mera ye hi mera imaan hai | Tahir Raza Rampuri

Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala
Wo: Husain Ibne-Ali
Paikare-sabro-raza Badshah-e-Karbala
Wo: Husain Ibne-Ali

Kon hai Sardaar-e-Jannat kis ke Nana hain Nabi
Kis ki maa hai Fatima bhai Hasan Baba Ali
Laaye the kis ke liye Jibreel kapde jannati
Wo: Husain Ibne-Ali

Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala
Wo: Husain Ibne-Ali
Paikare-sabro-raza Badshah-e-Karbala
Wo: Husain Ibne-Ali
Hai meri aankhon ki thandak hai mere is dil ka chain
Main Husain Ibne-Ali se hoon to mujh se hai Husain
Zalimoon kya bhool baithe ye Hadees-e-Paak bhi
Wo: Husain Ibne-Ali

Paikare-sabro-raza Badshah-e-Karbala
Wo: Husain Ibne-Ali

Sajde ko lamba kare Sarkaar jin ke waaste
Jin ko kandhon par bitha kar tay karaye raste
Choomte rahte ho jin ko har ghadi pyaare Nabi
Wo: Husain Ibne-Ali

Paikare-sabro-raza Badshah-e-Karbala
Wo: Husain Ibne-Ali

Apne Nana ka Madina maa ki turbat chhod di
Ek waade ke liye jeene ki chahat chhod di
Aaj tak un ki tarah aaya na aayega koi
Wo: Husain Ibne-Ali

Paikare-sabro-raza Badshah-e-Karbala
Wo: Husain Ibne-Ali

Jin ke baazuon ki taqat ho Ali Shere-Khuda
Kar gayi ho parwarish jin ki Janabe-Fatima
Kaun un se cheen paye Zulfiqar-e-Haidari
Wo: Husain Ibne-Ali

Paikare-sabro-raza Badshah-e-Karbala
Wo: Husain Ibne-Ali

Hans ke Akbar ki jawani ko luta kar deen par
Kar ke qurbaan god mein cheh mah ka nanha jigar
Deen-e-Paak-e-Mustafa ko de rahe hain zindagi
Wo: Husain Ibne-Ali

Paikare-sabro-raza Badshah-e-Karbala
Wo: Husain Ibne-Ali

Jin ke baazuon ki taqat ho Ali Shere-Khuda
Kar gayi ho parwarish jin ki Janabe-Fatima
Tahir un ke hauslon par hai fida khud maut bhi
Wo: Husain Ibne-Ali

Paikare-sabro-raza Badshah-e-Karbala
Wo: Husain Ibne-Ali

Islami-shayar:
Hazrat Tahir Raza Rampuri

Na’at-Khwan:
Hazrat Tahir Raza Rampuri

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,208 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,611 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,516 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,781 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...1,514 views

Leave a Comment