Nawasa-e-Rasool, Shah-e-Karbala Hazrat Imam Hussain ki shan me padha gaya ye intehaye khoobsurat aur eeman-afza kalam dilon ko noor se bhar deta hai.
Is manqabat ke zariye khandan-e-ahle-bait ki azeem qurbani aur unki paakeezgi ka bohot hi dilkash andaaz me zikr kiya gaya hai.
Mashhoor khwan Shakil Arfi ki aawaz me padhe gaye is maqbule aam kalam ke mukammal lyrics ko aap Roman, Hindi aur Urdu me asani se padh sakte hain.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Falak Pe Jannat Hussain Ki Hai |
| Poet / Writer | Unknown (Traditional) |
| Category | Manqabat Imam Hussain |
| Naatkhawan / Reciter | Shakil Arfi |
Naat Lyrics in Roman
(Zarron ko aasma ka muqaddar bana diya
Kanton ko chhu diya to gule tar bana diya)
Falak pe jannat hussain ki hai
Zamin pe qaba hussain ka hai
Jo saari ummat ki laaj rakh le
Wo ek sajda hussain ka hai
Habib e dabar shafi e mahshar
Jo hai wo nana hussain ka hai
Hamari bakhshish zaroor hogi
Hamen bharosa hussain ka hai
Wahi se jannat ki sarhaden hain
Jahan se maidan e karbala hai
Magar ye raste use pata hain
Jo dil se shaida hussain ka hai
Taharate jismon jaan ki khatir
Hazaron dariya rawa.n hain lekin
Taharaten jisme gusl kar len
Wo paak dariya hussain ka hai
Naat Lyrics in Hindi
(ज़र्रों को आस्मां का मुक़द्दर बना दिया
कांटों को छू दिया तो गुले तर बना दिया)
फ़लक पे जन्नत हुसैन की है
ज़मीं पे काबा हुसैन का है
जो सारी उम्मत की लाज रख ले
वो एक सजदा हुसैन का है
हबीब ए दाबर शफ़ी ए महशर
जो है वो नाना हुसैन का है
हमारी बख़्शिश ज़रूर होगी
हमें भरोसा हुसैन का है
वहीं से जन्नत की सरहदें हैं
जहाँ से मैदाने कर्बला है
मगर ये रस्ते उसे पता हैं
जो दिल से शैदा हुसैन का है
तहारते जिस्मों जां की खातिर
हज़ारों दरिया रवां हैं लेकिन
तहारतें जिसमें गुस्ल कर लें
वो पाक दरिया हुसैन का है
Naat Lyrics in Urdu
(ذروں کو آسماں کا مقدر بنا دیا
کانٹوں کو چھو دیا تو گلِ تر بنا دیا)
فلک پہ جنت حسین کی ہے
زمیں پہ کعبہ حسین کا ہے
جو ساری امت کی لاج رکھ لے
وہ ایک سجدہ حسین کا ہے
حبیبِ داور شفیعِ محشر
جو ہے وہ نانا حسین کا ہے
ہماری بخشش ضرور ہوگی
ہمیں بھروسہ حسین کا ہے
وہیں سے جنت کی سرحدیں ہیں
جہاں سے میدانِ کربلا ہے
مگر یہ رستے اسے پتا ہیں
جو دل سے شیدا حسین کا ہے
طہارتِ جسم و جاں کی خاطر
ہزاروں دریا رواں ہیں لیکن
طہارتیں جس میں غسل کر لیں
وہ پاک دریا حسین کا ہے