Hadaiq e Bakhshish Lyrics

Hadaiq e Bakhshish Lyrics

Wah Kya Joodo Karam Hay Shahe Bat-Ha Tera

Nahi Sunta Hi Nahi Maangne Waala Tera
Dhaare Chalte Hain Ataa Ke Wo Hain Qatra Tera
Tare Khilte Hain Sakhaa Ke Wo Hay Zar-Ra Tera
Faiz Hay Ya Shahe Tasneem Nirala Tera
Aap Pyaso Ke Tajas-Sus Me Hay Dariya Tera
Agniyan Palte Hain Dar Se Wo Hay Bada Tera
Asfiya Chalte Hain Sar Se Wo Hay Rasta Tera
Farsh Waale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Jaanen
Khusrawa Arsh Pe Urta Hay Phareraa Tera
Aasmaan Khwan, Zameen Khwan Zamana Mehmaan
Sahibe Khana Laqab Kiska Hay Teraa Teraa
Main To Maalik Hi Kahoonga Ke Ho Maalik Ke Habeeb
Ya’ani Mahboob O Muhib Me Nahi Mera Tera
Tere Qadmoun Me Jo Hain Ghair Ka Muh Kya Dekhein
Kon Nazroun Pe Charhe Dekh Ke Talwaa Tera
Bahre Saail Ka Hun, Sail Na Kuwein Ka Pyasa
Khud Bujha Jaye Kaleja Mera Cheenta Teraa
Chor Haakim Se Chupa Karta Hain Yaan Uske Khilaaf
Tere Daaman Me Chupe Chor Anokha Teraa
Aankhein Thandi Ho Jigar Taze Ho Jaan-E-Sairaab
Sachhe Suraj Wo Dil-Aara Hai Ujala Tera
Aik Main Kya Mere Is Yaan Ki Haqeeqat Kitni
Mujhse Sau Laakh Ko Kaafi Hay Isharaa Tera
Muft Paala Tha Kabhi Kaam Ki Aadat Na Paree
Ab Amal Poochte Hain Haaye Nikamma Teraa
Tere Tukro Se Pale Ghair Ki Thokar Pe Na Daal
Jhirkiyaan Khaayein Kahan Chor Ke Sadqa Tera
Khwar O Bimar O Khatavar O Gunahgaar Hun Main
Rafe’a O Nafe’a O Shafe’a Lakab Aaqa Teraa
Meri Taqdeer Buri Ho To Bhalee Kardey Ke Hay
Mahwo Isbaat Ke Daftar Me Karora Tera
Tu Jo Chahe To Abhi Mayl Merey Dil Ke Dhulein
Ke Khuda Dil Nahi Karta Kabhi Mayla Tera
Kiska Muh Takiye Kaha Jaiye Kis Se Kahiye
Tere Hi Qadmoun Pe Mitt Jaye Yeh Paala Tera
Tu Ne Islam Diya Tu Ne Jama’at Me Liya
Tu Kareem Ab Koi Phirta Hain Atiyya Tera
Maut Sunta Hun Sitam Talkh Hain Zahraa Ba-E Nab
Kaun La De Mujhe Talwo Ka Ghusala Tera
Dur Kya Janiye Bad-Kaar Pe Kaise Guzre
Tere Hi Dar Pe Mare Be-Kaso Tanha Tera
Tere Sadqe Mujhe Ik Boond Bohat Hay Teri
Jis Din Achho Ko Milay Jaam Chalakta Tera
Haram-O-Taibah Wa Baghdad Jidhar Kije Nigah
Jyot Parti Hay Teri Noor Hay Chanta Tera
Teri Sarkaar Me Laata Hay Raza Usko Shafee
Jo Mera Ghous Hay Aur Laadla Beta Teraa

Wah Kya Martaba Ae Ghous Hai Bala Tera

Wah Kya Martaba Ae Ghous Hai Bala Tera
Unche Uncho Ke Saro Se Kadam Aala Tera
Sar Bhala Kiya Koi Jane Ki Hain Kesa Tera
Avaliya Malte Hain Aankhain Wo Hain Talwa Tera
Kiya Dabe Jis Pe Himayat Ka Ho Panja Tera
Sher Ko Khatare Main Lata Nahi Kutta Tera
Tu Huseni Hasani Kiyu Na Muhiyudin Ho
Ae Khijar Majmaae Baharen Hain Chashma Tera
Kasame De De Ki Khilata Hain Pilata Hain Tuje
Piyara Allaha Tera Chahane Wala Tara
Mustafa Ke Tane Be Saya Ka Saya Dekha
Jis Ne Dekha Meri Jah Jalwae Jeba Terai
Bne Jahara Ko Mubarak Ho Uruse Kudrat
Qadri Paae Tasduk Mere Dulha Tera
Kiyon Na Kasim Ho Ki Tu Ibne Abil Kasim Hain
Kiyon Na Qadri Ho Ki Mukhtar Hain Baba Tera
Nabwi Menh, Alvi Fashl Batuli Gulshan
Hasani Phool Huseni Hain Mahkana Hain Tera
Nabawi Jill Alwi Bujn Batuli Manjil
Hasani Chand Huseni Hani Ujala Tera
Nabawi Khur Alwi Koh Batuli Maadin
Hasani Lal Huseni Hain Tajalla Tera
Bahar-O Bar Sahar-O Kari Sahal-O Hujan Dast-O Chman
Kon Se Chak Pe Pahunchata Nahi Daawa Tera
Husne Niyyat Ho Khata Phir Khabhi Karta Hi Nahi
Aajmaya Hain Yagana Hain Dogana Tera
Aarje Ahawal Ki Pyaso Me Kahan Tab Magar
Aankhain Ek Abre Karam Takti Hain Rasta Tera
Mot Najdik Gunahon Ki Tahe Mail Ke Khol
Aa Baras Ja Ki Naha Dhole Ye Pyasa Tera
Aab Aamad Wo Kahe Aur Me Taymmum Barkhast
Muste Khak Apni Ho Aur Noor Ka Ahala Tera
Jan To Jate Hi Jaegi Kiyamat Ye Hain
Ki Yahan Marne Pe Thahara Hain Najara Tera
Tuj Se Dar, Dar Se Sag Aur Se Sag Hain Mujko Nisbat
Meri Gardan Main Bhi Dur Ka Dora Tera
Is Nisani Ke Jo Sag Hain Nahi Mare Jate
Hashr Tak Mere Gale Me Rahe Patta Tera
Meri Kismat Ki Kasam Khae Sagane Bagadad
Hind Me Bhi Hu To Deta Rahu Pahra Tera
Tare Ijjat Ke Nisar Ae Mere Gairat Wale
Aah Sad Aah Ki Yunh Khwar Ho Barda Tera
Bad Sahi, Chor Sahi, Mujarim-O Nakara Sahi
Ae Wo Kesa Hi Sahi Hain Tu Karima Tera
Muj Ko Ruswa Bhi Agar Koi Kahega To Yunhi
Ki Wahi Na Woh Rija Bandae Rusawa Tera
Hain Rija Yunh Na Bilak Tu Nahi Jayyed To Na Ho
Sayyede Jayyede Har Dahar Hain Maola Tera
Fakhre Aaka Me Raza Aur Bhi Ek Najme Rfi
Aa Chal Likha Layen Sana Khwano Main Chehara Tera
 
Al Aman Qahar He Ya Ghaus Woh Tikha Tera Lyrics

Al Aman Qahar He Ya Ghaus Woh Tikha Tera
Mar Key Bhi Chain Sey Sotaa Nahin Maara Tera
Baadalon Sey Kahin Rukti Hay Karakti Bijlee,
Dhaalein Cheent Jaati Hain Uthta Hay Jo Tegha Teraa.
Aks Ka Dekh Key Munh Aur Biphar Jaata Hay,
Chaar Aaina Key Bal Ka Nahin Nezaa Teraa.
Koh-E-Sar Mukh Ho To Ek Waar Mein Do Par Kale,
Haath Parta Hi Nahin Bhool Key Aucha Tera
Is Pey Yeh Qeher Key Ab Chand Mukhalif Tere,
Chahate Hain Key Ghata Dein Kahin Paaya Tera
Aql Hoti To Khuda Sey Nah Laraai Lete,
Yeh Ghataein Usey Manzoor Barhaana Tera
Warafa’naa Laka Zikrak Ka Hay Saaya Tujh Par,
Bol Baala Hay Tera Zikr Hay Ooncha Teraa.
Mit Gaye Mit Te Hain Mit Jaayenge Aa’daa Tere,
Na Mitaa Hay Na Mitega Kabhi Charcha Tera
Tu Ghataaye Sey Kisi Key Na Ghata Hay Na Ghatay,
Jab Barhaaye Tujhe Allah Ta’ala Teraa.
Samm-E-Qaatil Hay Khuda Ki Qasam Unka Inkaar,
Munkir-E-Fadl-E-Huzoor Aah Ye Likkha Tera
 
Ghum Ho Gaye Beshumar Aaqa

Ghum Ho Gaye Beshumar Aaqa
Banda Tere Nisaar Aaqa
Bigda Jaata Hai Khel Mera
Aaqa Aaqa Savaar Aaqa
Manjdhaar Pe Aake Naav Tuti
De Haath Ki Hu Main Paar Aaqa
Tuti Jati Hain Peeth Meri
Lillah Ye Bojh Utaar Aaqa
Halka Hai Agar Hamara Palla
Bhari Hain Tera Waqar Aaqa
Majboor Hain Hum To Fikr Kya Hai
Tumko To Hain Ikhtiyar Aaqa
Main Duur Hu Tum To Ho Mere Paas
Sun Lo Meri Pukaar Aaqa
Mujhsa Koi Ghumzada Na Hoga
Tumsa Nahi Ghumgusar Aaqa
Girdaab Me Pad Gayi Hai Kashti
Duba Duba Utaar Aaqa
Tum Wo Ki Karam Ko Naaz Tumse
Main Wo Ke Badee Ko Aar Aaqa
Fir Muh Na Pade Kabhi Khiza Ka
De De Aisi Bahaar Aaqa
Jiski Marzi Khuda Na Taale
Mera Hai Wo Naamdar Aaqa
Hain Mulke Khuda Pe Jiska Qabza
Mera Hain Wo Kaamgar Aaqa
Soya Kiye Naabkaar Bande
Roya Kiye Zaar Zaar Aaqa
Kya Bhul Hai Unke Hote Kahlaye
Duniya Ke Ye Tajdaar Aaqa
Unke Adna Gada Pe Mit Jaye
Aise Aise Hazaar Aaqa
Be-Abre Karam Ke Mere Dhabbe
La Tagsiluhal-Bihar Aaqa
Itni Rehmat Raza Pe Kar Lo
La Yakrubuhul Bawaar Aaqa

Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega

Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega
Shad Har Nakam Ho Hi Jayega
Jan De Do Wa’ada E Deedar Par
Naqd Apna Dam Ho Hi Jayega
Shad Hai Firdous Yani Ek Din
Qismat E Khuddam Ho Hi Jayega
Yad Reh Jayengi Ye Be-Bakiya
Nafs Tu To Ram Ho Hi Jayega
Be Nishano Ka Nishan Mit-Ta Nahi
Mit-Te Mit-Te Nam Ho Hi Jayega
Yad E Ghesu Zikr E Haq Ah Kar
Dil Me Paida Lam Ho Hi Jayega
Ek Din Awaz Badlenge Ye Saz
Chah-Chaha Kohram Ho Hi Jayega
Sailo Daman Sakhee Ka Tham Lo
Kuch Na Kuch In’am Ho Hi Jayega
Yad E Abru Karke Tadpe Bulbulo
Tukde Tukde Dam Ho Hi Jayega
Mufliso Unki Gali Me Ja Pado
Bagh E Khuld Ikram Ho Hi Jayega
Gar Yuhi Rehmat Ki Tawile Rahi
Madh(A) Har Ilzam Ho Hi Jayega
Bada Khwari Ka Sama Bandhne To Do
Shaikh Durd-Asham Ho Hi Jayega
Gham To Unko Bhulkar Lipta Hai Yu(N)
Jaise Apna Kam Ho Hi Jayega
Mit Ki Gar Yuhi Raha Karz E Hayat
Jan Ka Nilam Ho Hi Jayega
Aqilo Un Ki Nazar Seedhi Rahe
Borwo Ka Bhi Kam Ho Hi Jayega
Ab To Layi Hai Shafa’at Afw Par
Badhte Badhte Am Ho Hi Jayega
Ay Raza Har Kam Ka Ik Waqt Hai
Dil Ko Bhi Aram Ho Hi Jayega

Na Aasmaan Ko Yun Sar Kashida Hona Tha

Na Aasmaan Ko Yun Sar Kashida Hona Tha
Hujure Khake Madina Khmida Hona Tha
Agar Gulo Ko Khijan Na Rasida Hona Tha
Kinare Khare Madina Damida Hona Tha
Hujur Unke Khilafe Adab Thi Betabi
Meri Ummid Tuze Aarmida Hona Tha
Nazara Khake Madina Me Rahte Milati
Dile Haji Tuze Aske Chakida Hona Tha
Panahe Damane Daste Haram M Chin Aata
Na Sarb Dil Ko Gijale Ramida Hona Tha
Ye Kaise Khulta Ki In Ke Shiva Safia Nahi
Abas N Auro Ke Aage Tapida Hona Tha
Hilale Kaise N Banta Ki Mahe Kamil Ko
Salame Abrue Sah Me Khmida Hona Tha
L-Am L Anna Jahannam Tha Waedaey Ajali
N Munikaro Ka Abas Bad Akida Hona Tha
Nasim Kyun N Samim Unki Tayba Se Laati
Ki Shubhe Gul Ko Gariba Dariba Hona Tha
Tapkata Range Junun Ishqesah Me Har Gul Se
Rage Bahar Ko Nastar Rasida Hona Tha
Baja Tha Asr Pe Khak Mazare Paak Ko Naaz
Ki Tuzsa Asr Nasin Aafrida Hona Tha
Gujrate Jaan Se Ek Shor Ya Habib Ke Shat
Fugan Ko Nalae Halke Barida Hona Tha
Mere Karim Gunah Jahar Hai Magar Aakhir
Koy To Sahade Safaat Chida Hona Tha
Teri Kaba Ke N Kyun Niche Daman Ho
Ki Khaksaro Se Ya Kab Kashida Hona Tha
Raza Jo Dil Ko Banan Tha Jalwa Gahe Habib
To Pyare Kaide Khudi Se Rahida Hona Tha

Ya Shafi E Umam Lillah Kar Do Karam

Ya Shafi E Umam Lillah Kar Do Karam
Rab Salaamat Rakhe Tera Sohna Haraam
Ham Ghulamo Ka Rakhna Khudara Bharaam
Rab Salaamat Rakhe Tera Sohna Haraam
Muntashir Hain Khayalaat Ki Waadiyaan
Lut Gaya Hai Sukoon Waaliye Do Jahaan
Rehem Farma De Ab Teri Ummat Hain Hum
Rab Salaamat Rakhe Tera Sohna Haraam
Mere Haathon Main Kaasa Hai Umeed Ka
Hoon Bhikaari Shaha Main Teri Deed Ka
Main Gadaaye Haraam Too Nabi Mohtaram
Rab Salaamat Rakhe Tera Sohna Haraam
Kis Ko Jaakar Kahein Taajdaare Haraam
Ghera Daale Hue Hain Zamane Ke Gham
Door Ho Jaaye Gham Ya Nabi Mohtasham
Rab Salaamat Rakhe Tera Sohna Haraam
Tere Yaadon Maa’moor Seena Rahe
Saamne Mere Tera Madina Rahe
Dar Pe Baitha Rahoon Leke Main Chashme Nam
Rab Salaamat Rakhe Tera Sohna Haraam
Ya Nabi Apni Ulfat Ki Saugaat De
Apni Shayane Shaan Hum Ko Khairaat De
Is Se Matlab Nahi Hai Siwaa Ho Ke Kam
Rab Salaamat Rakhe Tera Sohna Haraam
Haazri Ho Niyazi Ki Darbaar Mein
Umr Guzre Yoonhi Tere Azkaar Me
Aate Jaate Rahe Teri Chaukhat Pe Hum
Rab Salamat Rakhe Tera Sohna Haraam
Tooba Mein Jo Sab Sey Oonchi Naazuk Seedhi Nikli Shaakh
Tooba Mein Jo Sab Sey Oonchi Naazuk Seedhi Nikli Shaakh,
Maangun Naat-E-Nabi Likhne Ko Rooh-E-Quds Sey Aisi Shaakh.
Mawla Gulbun Rahmat Zahra Sibtain Uski Kaliyan Phool,
Siddique-O-Farooq-O-Usman-O-Haidar Har Ek Uski Shaakh.
Shaakh-E-Qaamat Sheh Me Zulf-O-Chashm-O-Rukhsaar-O-Lab Main,
Sunbul Nargis Gul Pankhariyan Qudrat Ki Kya Phooli Shaakh.
Apne In Baaghon Ka Sadqa Woh Rahmat Ka Paani De,
Jis Sey Nakhl-E-Dil Mein Ho Paida Pyaare Teri Wilaa Ki Shaakh.
Yaad-E-Rukh Mein Aahein Kar Key Ban Mein Main Roya Aayi Bahaar,
Jhoomein Naseemein Nisaan Barsa Kaliyan Chatkein Mehki Shaakh.
Zaahir-O-Baatin Awwal-O-Aakhir Zeb-E-Faroo’-O-Zain-E-Usool,
Bagh-E-Risaalat Mein Hay Tu Hi Gul Ghuncha Jar Patti Shaakh.
Aal-E-Ahmad Khuzbiyadi Yaa Sayyad-E-Hamza Kun Madadi,
Waqt-E-Khazaan-E-Umre-E-Raza Ho Barg-E-Huda Sey Na Aari Shaakh.
Phir Utha Walwala E Yaad E Mugheelaan E Arab

Phir Khincha Daaman E Dil Sooye Beaabaan E Arab
Bagh E Firdous Ko Jaate Hain Haazaaraan E Arab
Haee Sehra E Arab Haee Beaabaan E Arab
Meethi Baatein Teri Deen E Ajam Imaan E Arab
Namkeen Husn Tera Jaan E Ajam Shaan E Arab
Ab To He Girya E Khoon Gauhar E Daamaan E Arab
Jismein Do La’al The Zahra Ke Woh Thee Kaan E Arab
Dil Wohi Dil He Jo Aankhon Se Ho Hairaan E Arab
Aankhein Wo Aankhein Hain Jo Dil Se Hon Qurbaan E Arab
Haee Kis Waqt Lagi Phaans Alam Ki Dil Mein
Ke Bohot Door Rahe Khaar E Mugheelan E Arab
Fasl E Gul Lakh Na Ho Wasl Ki Rakh Aas Hazaar
Phoolte Phalte Hain Be Fasl Gulistaan E Arab
Sadqe Hone Ko Chale Aate Hain Laakhon Gulzaar
Kuch Ajab Rang Se Phoola He Gulistaan E Arab
Andaleebi Pe Jagharte Hain Kate Marte Hain
Gul-O-Bulbul Ko Laraata He Gulistaan E Arab
Sadqe Rahmat Ke Kahaan Phool Kahaan Khaar Ka Kaam
Khud He Daaman Kash E Bulbul Gul E Khandaan-Arab
Shaadi E Hashr He Sadqe Mein Chutenge Qaidi
Arsh Par Dhoom Se He Daawat E Mehmaan E Arab
Charche Hote Hain Ye Kamhlaee Hue Phoolon Mein
Kyoon Ye Din Dekhte Paate Jo Biyabaan E Arab
Tere Be Daam Ke Bande Hain Raeesaan E Ajam
Tere Be Daam Ke Bandi Hain Haazaaraan E Arab
Hasht E Khuld Aeein Wahan Kasb E Latafat Ko Raza
Chaar Din Barse Jahan Abr E Bahaaran E Arab
Naimatain Banta Jis Simt Woh Zeeshaan Gaya,

Saath Hi Munshiaey Rehmat Ka Qalam Daan Gaya
Le Khabar Jald Ke Ghairon Ki Taraf Dhiyaan Gaya
Mere Maula Mere Aqa Tere Qurbaan Gaya
Dil Hai Woh Dil Jo Teri Yaad Se Ma’moor Raha
Sar Hai Woh Sar Jo Tere Qadmon Pe Qurbaan Gaya
Unhein Jana Unhein Mana Na Rakhha Ghair Se Kaam
Lillah Al Hamd Main Duniya Se Musalmaan Gaya
Jaan O Dil Hosh Wa Khirad Sab To Madine Pahonche
Tum Nahi Chalte Raza Sara To Samaan Gaya
Aah Woh Aankh Ke Nakaame Tamanna Hi Rahi
Hai Woh Dil Jo Tere Dar Se Pur Arman Gaya
Aur Tum Par Mere Aqa Ki Ineat Na Sahi
Najdiyo! Kalmah Padhane Ka Bhi Ehsaan Gaya
Aaj Le Unki Panah Aaj Madad Maang Unse
Phir Na Maanege Qeamat Mein Agar Maan Gaya
Uff Re Munkar Yeh Badha Joshe Ta’assub Akhir
Bheed Me Haath Se Kam Bakht Ke Imaan Gaya
Kharab Hal Kya Dil Ko Pur Malal Kya
Kharab Hal Kya Dil Ko Pur Malal Kya
Tumhare Kuche Sey Rukhsat Kya Nihal Kya
Na Rue Gul Abhi Dekh N Bue Gul Shudhi
Kaja Ne Laake Kafas Sey Shikasta Baall Kya
Wo Dil Ki Khun Shuda Armaan The Jis Me Mal Dala
Fugan Ki Gore Sahida Ko Paemal Kya
Ye Rae Kya Thi Waha Sey Palatne Ki E Nafs
Shitamagar Ulati Chhuri Sey Hamne Halal Kya
Ye Kab Ki Muz Sey Adawat Thi Tuze Ko E Jalim
Chhudake Sange Dare Paak Sar Wabal Kya
Chaman Sey Fenk Diya Aashiyaney Bulbul
Ujada Khaney Be Kash Bada Kamal Kya
Tera Shitam Jada Aankhon Ne Kya Bigada Tha
Ye Kya Samay Ki Dur In Sey Wo Jamal Kya
Hujur Un Ke Khayale Watan Mitana Tha
Ham Aap Mit Gay Achchha Farag Baal Kya
Na Ghar Ka Rakha Na Is Dar Ka Hay Na Kami
Ha Be Basi Par Bhi Kuchh Khayal Kya
Jo Dil Ne Mar Ke Jalaya Tha Mannato Ka Chirag
Shitam Ki Arj Rahe Sar Sar Jawal Kya
Madina Chhud Ke Wirana Hind Ka Bhaya
Ye Kaisey Hae Hawaso Ne Ikhtelal Kya
Tu Jis Ke Waste Chhud Aaya Tayba Sha Mahbub
Bata To Is Shitam Aara Ne Kya Nihal Kya
Abhi Abhi To Chaman Me The Chahchahe Nagah
Ye Dard Kesa Utha Jis Ne Ji Nidhal Kya
Ilaahi Sun Le Raza Jite Ji Ki Muala Ne
Sagane Kucha Me Chehara Mera Bahal Kya

واہ کیا ُجود و کرم ہے شَہِ بَطْحا تیرا
واہ کیا ُجود و کرم ہے شَہِ بَطْحا تیرا
نہیں ُسنتا ہی نہیں مانگنے والا تیرا
دھارے چلتے ہیں عطا کے وہ ہے قطرہ تیرا
تارے کِھلتے ہیں َ َسخا کے وہ ہے ذَرّہ تیرا
فیض ہے یا شَہِ تسنیم نِرالا تیرا
آپ پیاسوں کے تَجَسُّس میں ہے دریا تیرا
اَغنیا پلتے ہیں دَر سے وہ ہے باڑا تیرا
اَصفیا چلتے ہیں سر سے وہ ہے رَستا تیرا
فرش والے تِری شوکت کا عُلو کیا جانیں
خُسروا عرش پہ اُڑتا ہے پَھریرا تیرا
آسماں خوان، زمیں خوان، زمانہ مہمان
صاحبِ خانہ لقب کس کا ہے تیرا تیرا
میں تو مالِک ہی کہوں گا کہ ہو مالِک کے حبیب
یعنی محبوب و محب میں نہیں میرا تیرا
تیرے قدموں میں جو ہیں غیر کا منہ کیا دیکھیں
کون نظروں پہ چڑھے دیکھ کے تلوا تیرا
بحر سائل کا ہوں سائل نہ کنوئیں کا پیاسا
خود بجھا جائے کلیجا مِرا چھینٹا تیرا
چور حاکم سے چھپا کرتے ہیں یاں اس کے خلاف
تیرے دامن میں چُھپے چور انوکھا تیرا
آنکھیں ٹھنڈی ہوں جگر تازے ہوں جانیں سیراب
سچّے سورج وہ دِل آرا ہے اُجالا تیرا
دِل عبث خوف سے پتّا سا اُڑا جاتا ہے
پلّہ ہلکا سہی بھاری ہے بھروسا تیرا
ایک میں کیا مِرے عِصیاں کی حقیقت کتنی
مجھ سے سو لاکھ کو کافی ہے اِشارہ تیرا
مُفت پالا تھا کبھی کام کی عادت نہ پڑی
اب عمل پوچھتے ہیں ہائے نِکمَّا تیرا
تیرے ٹکڑوں سے پلے غیر کی ٹھوکر پہ نہ ڈال
جِھڑکیاں کھائیں کہاں چھوڑ کے صَدقہ تیرا
خوار و بیمار و خطا وار و گنہ گار ہوں میں
رافع و نافع و شافع لقب آقا تیرا
میری تقدیر بُری ہو تو بھلی کر دے کہ ہے
محو و اثبات کے دفتر پہ کڑوڑا تیرا
تُو جو چاہے تو ابھی میل مرے دل کے دُھلیں
کہ خُدا دِل نہیں کرتا کبھی مَیلا تیرا
کس کا منہ تکیے کہاں جائیے کس سے کہیے
تیرے ہی قدموں پہ مِٹ جائے یہ پالا تیرا
ُ تو نے اِسلام دیا ُ تو نے جماعت میں لیا
ُ تو کریم اب کوئی پھرتا ہے عطیَّہ تیرا
موت ُسنتا ہوں سِتَم تَلْخ ہے زہرا بۂ ناب
کون لا دے مجھے تلووں کا غَسالہ تیرا
دُور کیا جانئیے بدکار پہ کیسی گزرے
تیرے ہی در پہ مَرے بیکس و تنہا تیرا
تیرے صدقے مجھے اِک بوند بہت ہے تیری
جس دِن اَچّھوں کو مِلے جام چھلکتا تیرا
حرم و طیبہ و بغداد جدھر کیجئے نِگاہ
َ جوت پڑتی ہے تِری نور ہے َ چھنتا تیرا
تیری سرکار میں لاتا ہے رضاؔ اُس کو شفیع
جو مِرا غوث ہے اور لاڈلا بیٹا تیرا
Tu Hai Woh Ghaus Ke Har Ghaus Hai Shaida Tera

Tu Hai Woh Gais Ke Har Gais He Payasa Tera
Suraj Aglow Ke Chamakte Te Chamak Kar Dubeh
Ufaq Noore Pe He Mahr Hamesha Tera
Murg Sab Bolte He Bol Ke Chup Rehte Heh
Ha Aseel Ek Nawasanj Rahe Ga Tera
Jo Wali Qabal Te Ma Baad Howe Ya Hoonge
Sab Adab Rakteh He Dil Me Mere Aaka Tera
Tujse Aur Dahar Ke Aqtaab Se Nisbat Kaisi
Qutub Khud Koon He Khadim Tera Chela Tera
Saare Aqtaabe Jaha Karte He Kaabe Ka Tawaaf
Kaaba Karta He Tawaafe Dare Wala Tera
Too He Nausha Baraati He Ye Saara Gulzaar
La’ee He Fasle Saman Goondh Ke Sehra Tera
Daaliyah Jhoomti He Raqse Khushi Joush Pe He
Bulbule Jholti He Gaathi He Sehra Tera
Geet Kaliyo Ki Chatak Gazle Hazaaro Ki Chahak
Baagh Ke Saazo Me Bajta He Tarana Tera
Kis Ghulistaan Ko Nahin Fasle Bahari Se Niyaaz
Kaun Se Silsile Meh Faiz Na Ayaa Tera
Heh Raza Yoon Na Balak To Nahein Jayyad To Na Ho
Sayyidi Jayyad Har Dahar He Maula Tera
Hum Khak Hain Aur Khak Hi Mawa Hain Hamara

Khaki To Wo Aadam Jade Aala Hain Hamara
Allah Hame Khak Kare Apni Talab Me
Ye Khak To Sarkar Se Tamaga Hain Hamara
Jis Khak Pe Rakhate The Kadam Sayyede Aalam
Us Khak Pe Kurba Dile Shaida Hain Hamara
Kham Ho Gai Pushte Falak Is Taane Jamin Se
Sun Ham Pe Madina Hain Wo Rutba Hain Hamara
Us Ne Lakabe Khak Shahenshah Se Paya
Jo Haidere Karar Ki Maula Hain Hamara
E Mudaiyo Khak Ko Tum Khak Na Samjo
Is Khak Me Madfun Shahe Batha Hain Hamara
Hain Khak Se Taamir Majare Shahe Koanain
Maamur Isi Khak Se Kibala Hain Hamara
Hum Khak Uda Lenge Jo Vo Khak Na Pai
Abad Raza Jis Pe Madina Hain Hamara
Muhammad Mazhar Kamil Hain Haq Ki Shaan Izzat Ka

Nazar Aata Ha Is Kasrat Main Kuchh Andaz Wahadat Ka
Yahi Hain Asle Aalam Madae Ijade Khilkat Ka
Yahaa Wahadat Main Barapa Hain Ajaba Hangama Kasrat Ka
Gada Bhi Muntazir Hain Khuld Main Neko Ki Dawat Ka
Khuda Din Khar Se Laae Sakhi Ke Ghar Ziyafat Ka
Gunah Magfor Dil Ke Rosan Khuak Aankhe Jigar Thnda
Taalalllah Mahe Tayaba Aalma Teri Talaat Ka
Na Rakhi Gul Ke Jhose Husan Ne Gulsan Main Ja Baki
Cahtkata Phir Kaha Guncha Koy Bage Risaamat Ka
Bhda Ye Silsila Rahamat Ka Dhroe Julf Wala Main
Tasalsul Kale Koso Rah Gaya Isaya Ki Julmat Ka
Safe Matma Ude Khali Ho Jinda Tukte Zanzir
Gunhgaro Chalo Maula Ne Dark Hula Hain Jannat Ka
Sikhaya Hain Ye Kis Gustakha Ne Aaina Ko Ya Rab
Najara Roe Jana Ka Bahana Karke Heart Ka
Idhar Ummat Ki Hasrat Par Udhar Khaliak Ki Rahmat Ka
Nirala Toar Hoga Gadise Chame Safaat Ka
Bhade Is Dajha Muhje Kasate Afjaal Wala Ka
Kinara Mil Gaya Is Nahar Se Dariyae Wahadat Ka
Khame Julfe Nabi Sajid Hain Maharabe Do Abro Ka
Ki Ya Rab Tu Hi Wali Hain Siayah Karane Ummat Ka
Madd E Jhose Giya Baha De Koha Or Sahara
Nazar Aa Jaae Jalwa Be Us Paak Tubat Ka
Hue Kamkawabie Hijara Main Saato Pade Kamkawabi
Tasvvuar Khub Bandha Aankho Ne Astare Tubat Ka
Yaki Hain Waqke Jalwa Lagjise Pae Nigah Pae
Mile Jose Safae Jism Se Pa Boss Hajrat Ka
Yaha Chhdaka Namak Wa Marhame Kafur Hath Aaya
Dile Jakhmi Namak Parawuda Hain Kis Ki Malahat Ka
Ilaahi Muntajir Hu Wo Kharame Naaz Farmaae
Bicha Rakha Hain Fas Aankho Ne Kamkhwabe Basarat
Na Ho Aaka Ko Sajda Aadamo Usuf Ko Sunati Hain
Magar Sidhe Jaraea Dab Hain Apani Sariat Ka
Jabane Khar Kis Kis Dard Se Un Ko Sunati Hain
Tadpana Dashte Tayba Me Jigar Apagar Fukrat Ka
Sirhane Un Ke Bismil Ke Ye Betabi Ka Matam Hain
Shahe Koasar Tarhahum Tashna Jata Hain Jiyarat Ka
Jinhe Makrad Me Ta Hashr Ummati Kah Kar Pukaroge
Hame Bhi Yad Kar Lo Un Me Sadka Apni Rahemat Ka
Vo Chamki Bijliyan Ya Rab Tajalli Haie Jano
Ki Chashme Toor Ka Surma Ho Dil Mushtak Ruyat Ka
Raza Khasta Joshe Bahare Isyo Se Na Dhabarana
Kabhi To Hath Aa Jaega Daman Un Ki Rahemat Ka
Lamyati Nazeero Kaafi Nazarin
Lamyati Nazeero Kaafi Nazarin
Misle To Na Shud Paida Jaana
Jag Raaj Ko Taaj Tore Sar So
Hai Tujh Ko Shahey Do Sara Jaana
Ana Fi Atshiv Wa Sakha Ka Atam
Aye Gesu E Paak Aye Abr E Karam
Barsan Haare Rimjhim Rimjhim
Do Boond Idhar Bhi Gira Jaana
Al Bahro Alaa Wal Mavjo Tagha
Mann Bekaso Tufaan Hosh Ruba
Manjdhaar Me Hu Ya Rasoolallah
Manjdhaar Me Hu Bigri Hai Hawaa
Moori Naiya Paar Laga Jaana
Ar Rooho Fida Ka Fazid Harka
Yak Shola Digar Barzan Ishqa
Mora Tan Mann Dhan Sab Phoonk Diya
Yeh Jaan Bhi Pyaare Jala Jaana
Al Qalbo Shyjivm Wal Hamo Shujut
Dil Dar Chuna Jaan Zer Chuno
Pat Apni Bhi Pat Mai Kaise Kahu
Mera Kaun Hai Tere Siwa Jaana
Bas Khaama E Khaam Nawa E Raza
Na Yeh Taraz Meri Na Yeh Rang Mera
Irshaad E Ahibba Na Atik Tha
Nachaar Is Raah Para Jaana
Mora Jiyera Larje Dharak Dharak
Taiba Se Abhi Na Suna Jaanaa
Shor E Mehno Sun Kar Main Dawan Aaya
Shor E Mehno Sun Kar Main Dawan Aaya
Shaki Main Tere Sadake May De Ramja Aaya
Is Gul Ke Shiva Har Gul Bagos Gira Aaya
Dekhe Hi Gi E Bulbul Jab Waqte Fuga Aaya
Jab Baame Tazlla Par Wo Nayyare Ja Aaya
Sar Tha Gira Zuk Kar Dil Tha Jo Tapa Aaya
Jannat Ko Haram Samja Aate To Yaha Aaya
Ab Tak Ke Har Ek Ka Munh Kahata Hun Kaha Aaya
Tayba Ke Shiva Sab Bag Pamale Fana Honge
Dekhoge Chaman Walo Jab Ahade Khijan Aaya
Sar Aur Wo Sange Dar Aankha Aur Wo Bajme Nur
Jalim Ko Watan Ka Dhiyaan Aaya To Kaha Aaya
Kuchh Naeat Ke Tabke Ka Aalm Hi Nitala Hai
Sakta Me Padi Hai Aakl Chakkar Me Guman Aaya
Jalti Thi Jami Kaisi,Thi Dhup Kadi Kaisi
Lo Wo Kade Be Saya Ab Saya Kuna Aaya
Tayba Se Ham Aate Hain Kahie To Jina Walo
Kya Dekhe Ke Jeeta Hai Jo Wan Se Yaha Aaya
Le Tuike Alam Se Ab Aajad Ho E Kumari
Chatkhi Liey Bakhisas Ki Wo Sarwe Rawa Aaya
Nama Se Raza Ke Ab Mit Jaao Bure Kamo
Badkar Raza Khush Ho Kam Bhale Honge
Wo Achchhe Miya Pyara Achchho Ka Miya Aaya
Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya,

Lamey Batin Me Gumne Jalway Jahir Gaya.
Teri Maji Pa Gaya Suraj Bhi Fira Ulate Kadam,
Teri Ungali Uth Gai Mah Ka Kaleja Chir Gaya.
Badh Chali Teri Jiya Andher Aalm Se Ghata,
Khul Gaya Desoo Tera Rahmat Ka Badal Se Ghata Gaya.
Bandh Gai Teri Hawa Sawa Me Khak Udane Lagi,
Badh Chali Teri Jiya Aatis Pe Pani Phir Gaya.
Teri Rahmat Se Safiyullah Ka Beda Par Tha,
Tere Sadake Se Najiyullah K Bajara Tar Gaya.
Teri Aamad Thi Ki Baitullah Mujare Ko Zuka,
Teri Haibat Thi Ki Har But Thar Thara Kar Gir Gaya.
Momin Unaka Kya Huaa Allah Uska Ho Gaya,
Kafir Un Se Kya Phira Allah Hi Se Phir Gaya
Wo Ki Is Dar Ka Huaa Khalke Khuda Us Ki Hui,
Wo Ki Is Dar Se Phir Allah Us Se Phir Gaya.
Mujko Deewana Batate Ho Main To Wp Husyaar Hu,
Paanw Jab Taife Haram Me Thak Gae Sar Phir Gaya.
Ramatul Lil Aalmi Aafat Me Hun Kaisi Karun,
Mere Muala Main To Is Dil Me Bala Se Ghir Wo.
Main Tere Hatho Ke Sadake Kaisi Kakriya Thi Wo,
Jin Se Itane Kafiro Ka Dafaatan Munh Phir Gaya.
Kyun Janabe Bu Huraira Thaw O Kaisa Jaame Shir,
Jis Se Sattar Shahibo Ka Dugha Se Munh Phir Gaya
Wasta Pyare Ka Esa Ho Ki Jo Sunny Mare,
Yu Na Farmaey Tere Shahid Ki Wo Fajir Gaya.
Ars Par Dhoome Machi Wo Momine Shaleh Mila,
Fars Se Matam Uthe Wo Tayyeb-O Tahir Gaya.
Allah Allah Ye Uluey Khas Abdiyyat Raza,
Banda Milne Ko Karib Hajrate Kadirgaya.
Thokare Khate Firoge Unke Dar Par Pad Raho,
Kafila To E Raza Awwal Gaya Aakhir Gaya.
Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya
Lamey Batin Me Gumne Jalway Jahir Gaya.
Taab E Miraat E Saher Gard E Bayabaan E Arab

Ghaaza E Rooye Qamar Dood E Charaaghaan E Arab
Allah Allah Bahaar E Chamanistaane Arab
Paak Hain Lauth E Khizaan Sey Gul-O-Rehaan E Arab
Joshish E Abr Sey Khoon E Gul E Firdous Kare
Cher De Rag Ko Agar Khaar E Bayabaan E Arab
Tishna E Neher E Jinaan Har Arabi-O-Ajami
Lab E Har Neher E Jinan Tishna E Neesaane Arab
Toq E Gham Aap Hawae Pare Qumri Sey Gire
Agar Aazad Kare Sarw E Khuramaan E Arab
Meher E Meezan Mein Chupa Ho To Hamal Mein Chamke
Dale Ek Boond Shabe De Mein Jo Baaraan E Arab
Arsh Sey Muzda E Bilqees E Shafa’at Laaya
Taair E Sidrah Nasheen Murgh E Sulemaan E Arab
Husn E Yusuf Pe Kateen Misr Mein Angasht E Zanaan
Sar Kataate Hain Tere Naam Pe Mardaan E Arab
Koocha Koocha Mein Mahekti Hay Yahaan Boo– E Qamees
Yusufistaan Hay Har Ek Gosha E Kan’aan E Arab
Bazm E Qudsi Mein Hay Yaad E Lab E Jaan Bakhsh Huzoor
Aalam E Noor Mein Hay Chashma E Haywaan E Arab
Paayay Jibreel Ne Sarkaar Sey Kya Kya Alqaab
Khusr-O-Khail E Malak Khaadim E Sultan E Arab
Bulbul-O-Nilpar-O-Kabak Bano Parwaano
Meh-O-Khursheed Pe Hanste Hain Charaghaan E Arab
Hoor Sey Kya Kahein Moosa Sey Magar Arz Karein
Ke Hay Khud Husn E Azal Taalib E Jaanaan E Arab
Karam E Naat-Key Nazdeek To Kuch Door Nahin
Ke Raza E Ajami Ho Sag E Hassaan E Arab
Jobano(N) Par Hai Bahare Chaman Aaraaiye Dost

Khuld Ka Naam Na Le Bulbule Shadaaiye Dost
Thak Ke Baithe To Dare Dil Pe Tamannaiye Dost
Kaun Se Ghar Ka Ujaala Nahi Zaibaaiye Dost
Arsaye Hashr Kuja Mauqife Mahmood Kuja
Saaz Hungamo(N) Se Rakhti Nahi(N) Yaktaaiye Dost
Mehr Kis Munh Se Jilau Daariye Jaana(N) Karta
Saaye Ke Naam Se Bezaar Hai Yaktaaiye Dost
Marne Waalo Ko Yaha(N) Milti Hai Umre Javed
Zinda Chchodegi Kisi Ko Na Masihaaiye Dost
Unko Yakta Kiya Aur Khalq Banayi Ya’ni
Anjuman Karke Tamaasha Kare Tanhaaiye Dost
Kaa’ba Wa Arsh Mein Kohraam Hai Naakaami Ka
Aah Kis Bazm Me Hain Jalwaye Yaktaaiye Dost
Husne Be Parda Ke Parde Ne Mita Rakkha Hai
Dhoonde Jaaye(N) Kaha(N) Jalwaye Harjaaiye Dost
Shauq Roke Na Ruke Paao Uthaye Na Uthe
Kaisi Mushkil Mein Hain Allah Tamannaaiye Dost
Sharm Se Jhukti Hai Mehraab Ki Saajid Hain Huzoor
Sajda Karwati Hai Kaa’be Se Jabee(N) Saaiye Dost
Taajwalo Ka Yaha Khaak Me Maatha Dekha
Saare Daaraao(N) Ki Daaraa Huyi Daaraaiye Dost
Toor Par Koi, Koi Charkh Pe Ye Arsh Se Paar
Saare Baalaao Pe Baala Rahi Baalaiye Dost
Anta Feehim Ne Adu Ko Bhi Liya Daaman Mein
Aishe Javed Mubarak Tujhe Shaidaaiye Dost
Ranje Aa’da Ka Raza Chaara Hi Kya Hai Jab Unhe
Aap Gustaakh Rakhe Hilmo Shikaibaaiye Dost
Zahe Izzato Aetala-E Muhammad
Zahe Izzato Aetala-E Muhammad
Ke Hai Arsh E Haq Zere Paa-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Makaa(N) Arsh Unka Falak Farsh Unka
Malak Khaadimane Sara-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Khuda Ki Raza Chahte Hai Do Aalam
Khuda Chahta Hai Raza-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Ajab Kya Agar Raham Farma Le Hum Par
Khuda-E Muhammad Baraa-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Muhammad Baraa-E Janaab E Ilahi
Janaab E Ilahi Baraa-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Basi Itre Mahboobi-E Kibriya Se
A-Baye Muhammad Kabaa-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Baham Ahad Bandhe Hai Wasl E Abad Ka
Raza-E Khuda Aur Raza-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Dame Naz’a Jaari Ho Meri Zabaa(N) Par
Muhammad Muhammad Khuda-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Asaa-E Kaleem Azdahaye Ghazab Tha
Giro(N) Ka Sahara Asaa-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Main Kurbaan Kya Pyari Pyari Hai Nisbat
Ye Aan-E Khuda Wo Khuda-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Muhammad Ka Damm Khaas Bahre Khuda Hai
Siwaye Muhammad Bara-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Khuda Unko Kis Pyar Se Dekhta Hai
Jo Aankhei(N) Hai Mahve Lika-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Zulu Me Ijabat Khawasi Me Rehmat
Badhi Kis Tuzuk Se Dua-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Izabat Ne Jhuk Kar Gale Se Lagaya
Badhi Naaz Se Jab Dua-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Izabat Ka Sehra Inayat Ka Joda
Dulhan Banke Nikli Dua-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Raza Pul Se Ab Wajd Karte Guzariye
Ki Hai Rabbe Sallim Sada-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Bandah Qaadir Ka Bhi Qaadir Bhi Hay Abdul Qaadir,

Sir-E-Baatin Bhi Hay Zaahir Bhi Hay Abdul Qaadir.
Mufti-E-Shar’a Bhi Hay Qaazi-E-Millat Bhi Hay,
Ilm-E-Asraar Sey Maahir Bhi Hay Abdul Qaadir.
Manba’a Faiz Bhi Hay Majma’a Afdaal Bhi Hay,
Meher-E-Irfaan Ka Munnawar Bhi Hay Abdul Qaadir.
Qutb-E-Abdaal Bhi Hay Mehwer -E-Irshaad Bhi Hay,
Markaze Daairah-E-Sir Bhi Hay Abdul Qaadir.
Salak-E-Irfaan Ki Ziya Hay Yahi Dur-E-Mukhtaar,
Fakhr-E-Ashbaah-Wa-Nazair Bhi Hay Abdul Qaadir.
Us Key Farmaan Hain Sab Shaareh Hukm-E-Shaare’,
Mazhare Naa Hi-O-Aamir Bhi Hay Abdul Qaadir.
Zee Tasarruf Bhi Hay Maazoon Bhi Mukhtar Bhi Hay,
Kaar-E-Aalam Ka Muddabir Bhi Hay Abdul Qaadir.
Rashk-E-Bulbul Hay Raza Laala-E-Sad Daagh Bhi Hay,
Aap Ka Waasif-O-Zaakir Bhi Hay Abdul Qaadir.
Guzre Jis Rah Se Wo Sayyid E Wala Ho Kar

Reh Gayi Sari Zameen Anbar E Sara Ho Kar
Rukh E Anwar Ki Tajjali Jo Qamar Ne Dekhi
Reh Gaya Bosah Dah E Naqsh E Kaf E Pa Ho Kar
Waye Mehroomi E Qismat Ke Main Phir Ab Ki Baras
Reh Gaya Hamrah E Zawwar E Madinah Ho Kar
Chaman E Taiba Hay Wo Bagh Ke Murgh E Sidrah
Barson Chehke Hain Jahan Bulbul E Shaida Ho Kar
Sar-Sar E Dasht E Madinah Ka Magar Aya Khyal
Rashk E Gulshan Jo Bana Ghuncha E Dil Wa Ho Kar
Gosh E Sheh Kehte Hain Faryad Rasi Ko Ham Mein
Wada E Chashm Hay Bakhshain Ge Goya Ho Kar
Paye Sheh Par Gire Ya Rab Tapish E Meher Se Jab
Dil E Betab Ure Hashr Mein Para Ho Kar
Hay Yeh Ummeed Raza Ko Teri Rahmat Se Shaha
Na Ho Zandani E Dozakh Tera Bandah Ho Kar
Tumhaare Zarre Key Par To Sitaar Haaye Falak,

Tumhaare Na’al Ki Naaqis Misl Ziyaaye Falak.
Agar Che Chaale Sitaron Sey Par Gaye Laakhon,
Magar Tumhari Talab Mein Thake Na Paaye Falak.
Sar-E-Falak Na Kabhi Taa Ba Aastaan Pohoncha,
Keh Ibtidaaye Bulandi Thee Intihaaye Falak.
Ye Mit Key Un Ki Rawish Par Huwa Khud Unki Rawish,
Keh Naqsh-E-Paaye Zameen Par Na Soat-E-Paaye Falak.
Tumhari Yaad Mein Guzri Thee Jaagte Shab Bhar,
Chali Naseem Hue Band Deed Haaye Falak.
Na Jaag Uthain Kahin Ahl-E-Baqee Kuchi Neend,
Chala Yeh Narm Na Nikli Sadaye Paaye Falak.
Yeh Un Key Jalwe Ne Keen Garmiyan Shab-E-Asraa,
Keh Jab Sey Charkh Mein Hain Naqrah-O-Talaaye Falak.
Mere Ghani Ne Jawaahar Sey Bhar Diya Daaman,
Gaya Jo Kaasa-E-Mai Le Key Shab Gadaye Falak.
Raha Jo Qaane’ Yak Naan-E-Sookhta Din Bhar,
Mili Huzoor Sey Kaan-E-Gehr Jazaye Falak.
Tajammal-E-Shab-E-Asraa Abhi Simat Na Chuka,
Keh Jab Sey Waisi Hi Kotal Hay Sabz Haaye Falak.
Khitaab-E-Haq Bhi Hay Dar Baab-E-Khalq-Min-Ajalik,
Agar Idhar Sey Dam-E-Hamd Hay Sadaaye Falak.
Ye Ahl-E-Bait Ki Chakki Sey Chaal Seekhi Hay,
Rawaan Hay Be Madad Dast Aasiya-E-Falak.
Raza Ye Naat-E-Nabi Ne Bulandiyan Bakhsheen,
Laqab Zameen-E-Falak Ka Hua Samaaye Falak.
Sar Ta Ba-Qadam Hai Tan E Sultane Zaman Phool

Lab Phool, Dahan Phool, Zakan Phool, Badan Phool
Sadqe Me Tere Baagh To Kya Laye Hai Ban Phool
Iss Guncha E Dil Ko Bhi To Imaa Ho Ki Ban Phool
Tinka Bhi Hamare To Hilaye Nahi Hilta
Tum Chaho To Ho Jaye Abhi Kohe Mehan Phool
Wallah Jo Mil Jaye Mere Ghul Ka Paseena
Maange Na Kabhi Itr Na Fir Chahe Dulhan Phool
Dil-Basta Wa Khu-Gashta Na Khusbu Na Latafat
Kyo Guncha Kahu Hai Mere Aaqa Ka Dehan Phool
Shab Yaad Thi Kin Daanto Ki Shabnam Ki Dam E Subh(A)
Shokhane Bahari Ke Jada-U Hai Kiran Phool
Dandaan O Lab O Zulf O Rukhe Shah Ke Fidayi
Hai Durre Adan La’ale Yaman Mushke Khotan Phool
Bu Hoke Nahi Ho Gaye Taabe Rukhe Shah Me
Lo Ban Gaye Hai Ab To Haseeno Ka Dahan Phool
Ho Baare Gunah Se Na Khazil Doshe Azeeza(N)
Lillah Meri Na’ash Kar Aaye Jane Chaman Phool
Dil Apna Bhi Shaidayi Hai Us Naakhun E Paa Ka
Itna Bhi Mahe Nou Pe Na Ay Charkhe Kuhan Phool
Dil Khol Ke Khu Ro Le Game Aarize Shah Me
Nikle To Kahi Hasrat E Khu-Naaba Shudan Phool
Kya Gaaza Mala Garde Madeena Ka Jo Hai Aaj
Nikhre Hue Joban Me Qiyamat Ki Phaban Phool
Garmi Ye Qiyamat Hai Ki Kaante Hai Zabaa(N) Par
Bulbul Ko Bhi Ay Saaqi E Sahba Wa Laban Phool
Hai Kaun Ki Girya Kare Ya Faatiha Ko Aaye
Bekas Ke Uthaye Teri Rehmat Ke Bharan Phool
Dil Ghum Tujhe Ghere Hai Khuda Tujhko Wo Chamkaye
Suraj Tere Khirman Ko Bane Teri Kiran Phool
Kya Baat Raza Us Chamanistaan E Karam Ki
Zahra Hai Kali Jisme Husain Aur Hasan Phoo
Paat Woh Kuch Dhaar Ye Kuch Zaar Hum
Paat Woh Kuch Dhaar Ye Kuch Zaar Hum
Ya Ilaahi Kyun Kar Utre Paar Hum
Kis Bala Ki Mai Se Hain Sarshaar Hum
Din Dhala Hote Nahi(N) Hushiyaar Hum
Tum Karam Se Mushtari Har Aib Ke
Jin Se Na Maqboole Har Bazaar Hum
Dushmano(N) Ki Aankh Mein Bhi Phool Tum
Dosto(N) Ki Bhi Nazar Mein Khaar Hum
Lagzishe Pa Ka Sahara Ek Tum
Girne Waale Lakho(N) Na Hanjaar Hum
Sadqa Apne Baazuo Ka Al Madad
Kaise Tode(N) Ye Bute Pindaar Hum
Dam Qadam Ki Khair Aye Jaane Maseeh
Dar Pe Laaye Hain Dile Beemar Hum
Apni Rehmat Ki Taraf Dekhe Huzoor
Jaante Hain Jaise Hain Badkaar Hum
Apne Mehmaano(N) Ka Sadqa Ek Boond
Mar Mite Pyaase Idhar Sarkaar Hum
Apne Kooche Se Nikala To Na Do
Hain To Had Bhar Ke Khudai Khwar Hum
Haath Uthakar Ek Tukda Aye Kareem
Hain Sakhi Ke Maal Mein Haqdaar Hum
Chandni Chatki Hai Unke Noor Ki
Aao Dekhe(N) Saire Tooro Naar Hum
Himmat Aye Zo’f Unke Dar Par Gir Ke Ho(N)
Be Takalluf Saayae Deewar Hum
Ba Ata Tum Shah Tum Mukhtar Tum
Benawa Hum Zaar Hum Nachaar Hum
Tumne To Laakhon Ko Jaane(N) Fer Di(N)
Aisa Kitna Rakhte Hain Aazaar Hum
Apni Sattari Ka Ya Rab Waasta
Ho(N) Na Ruswa Bar Sare Darbaar Hum
Itni Arze Aakhri Keh Do Koi
Naav Tooti Aa Pade Manjdhaar Hum
Muh Bhi Dekha Hai Kisi Ke Afw Ka
Dekh O Isyaa(N) Nahi Be Yaar Hum
Main Nisaar Aisa Muslamaa(N) Kijiye
Tod Daale(N) Nafs Ka Junnaar Hum
Kab Se Failaye Hain Daaman Taige Ishq
Ab To Paaye(N) Zakhm Daaman Daar Hum
Sunniyat Se Khatke Sab Ki Aankh Mein
Phool Hokar Ban Gaye Kya Khaar Hum
Na Tuwani Ka Bhala Ho Ban Gaye
Naqshe Paaye Taalibaane Yaar Hum
Dil Ke Tukde Nazre Haazir Laaye Hain
Aye Sagaane Koochaye Dildaar Hum
Qismate Sauro Hira Ki Hirs Hai
Chahte Hain Dil Mein Gehra Gaar Hum
Chashm Poshi Wa Karam Shaane Shuma
Kaare Ma Bebaaki Wa Israar Hum
Fasle Gul Sabza Saba Masti Shabaab
Chchode(N) Kis Dil Se Dare Khummar Hum
Maikada Chut-Ta Hai Lillah Saaqiya
Ab Ke Saagar Se Na Ho(N) Hoshiyaar Hum
Naazishe Karte Hain Aapas Mein Malak
Hain Ghulamane Shahe Abraar Hum
Lutf Az Khud Raftagi Ya Rab Naseeb
Ho Shaheede Jalwaye Raftaar Hum
Unke Aage Da’waye Hasti Raza
Kya Bake Jaata Hai Ye Har Baar Hum
Ishq Moola Mein Ho Khoo Baar Kinar Daman

Yakhuda Jald Kahin Aeye Bahhar Daman
Bah Chali Aankhh Bhi Ashkon Ki Terhan Daman Par
Ke Nahi Taar Nazar Juz Do Sah Taar Daman
Ashk Barsaun Chalay Kocha E Janaan Se Naseem
Yakhuda Jald Kahin Niklay Bukhar Daman
Dil Shidun Ka Yeh Huwa Daman E Ather Pay Hajhoom
Baidil Abad Huwa Naam Dyar E Daman
Mushk Sa Zulff Sheh O Noor Fishan Roye Huzoor
Allah Allah Halb E Jaib O Khaar E Daman
Tujh Se Ae Gul Mein Sitam Deedah E Dast E Hurman
Khalish Dil Ki Kahoon Ya Gham E Khaar Daman
Aks Afgan Hai Hilal E Lab E Sheh Jaib Nahi
Mohar Aariz Ki Shu’ayen Hain Nah Taar Daman
Asshk Kehte Hain Yeh Shedai Ki Ankhen Dho Kar
Ae Adab Gard E Nazar Ho Nah Gubhar Daman
Ae Raza Aah Woh Bulbul Ke Nazar Mein Jis Ki
Jalwa E Jaib Gul Aeye Nah Bahhar Daman
Yaad Mein Jis Ki Nahi Hosh E Tan O Jaa(N) Hum Ko

Phir Dikha Day Woh Rukh Ae Mohar Faroza(N)! Hum Ko
Der Se Aap Mein Aana Nahi Milta Hai Hamein
Kya Hi Khud Rafta Kya Jalwa E Janaa(N)! Hum Ko
Jis Tbssm Ne Gulisitan Pay Girayi Bijli
Phir Dikha Day Woh Adaye Gul E Khanda(N) Hum Ko
Kash Aaweza E Qandil E Madinah Ho Woh Dil
Jis Ki Soozish Ne Kya Rashke Cheragha(N) Hum Ko
Arsh Jis Khoobi Raftaar Ka Pamaal Huwa
Do Qadam Chal Ke Dikha Saro Kharama(N)! Hum Ko
Shama Tayyiba Se Mein Parwana Rahon Kab Taq Door
Haan Jala Day Sharer Aatish Panha(N)! Hum Ko
Khauf Hai Sama Kharashi Sagh Tayyiba Ka
Warna Kya Yaad Nahi Naala O Afgha(N) Hum Ko
Khaak Ho Jaien Dar E Pak Pay Hasrat Mِt Jaye
Yaa Ilahi Nah Phira Be Sir O Sama(N) Hum Ko
Khaar Sehraye Madinah Nah Nikal Jaye Kahin
Wehshat Dil Nah Phira Koh O Byaba(N) Hum Ko
Tang Aeye Hain Do Aalam Tri Betabi Se
Chain Lainay Day Tapay Seena E Sozaa(N) Hum Ko
Paao(N) Ghirbaa(N) Hue Raah E Madinah Nah Mili
Ae Junoo(N)! Ab To Miley Rukhsat Zanda(N) Hum Ko
Mere Har Zakham Jigar Se Yeh Nikalti Hai Sada
Ae Malih Arabi! Kar Day Namakdaa(N) Hum Ko
Sair Gulshan Se Asiiraan Qafas Ko Kya Kaam
Nah Day Takleef Chaman Bulbul E Bastaa(N) Hum Ko
Jab Se Aankhon Mein Samai Hai Madinah Ki Bahar
Nazar Atay Hain Khazaa Deedaa Gulisita(N) Hum Ko
Gir Lab Pak Se Iqraar Shafaat Ho Jaye
Yun Nah Be Chain Rakhay Joshish E Isyaa(N) Hum Ko
Nayyar Hashar Ne Ik Aag Laga Rakhi Hai !
Taez Hai Dhoop Miley Saaya E Dama(N) Hum Ko
Reham Farmayie Ya Shah Ke Ab Taab Nahi
Taabkey Khoon Rulay Gham E Hijra(N) Hum Ko
Chaak Daman Mein Nah Thak Jayoo Ae Dast E Junoo(N)
Purze Karna Hai Abhi Jaib O Gireyba(N) Hum Ko
Parda Uss Chehra E Anwar Se Uttha Kar Ik Baar
Apna Aaina Bana Ae Meh Taba(N) Hum Ko
Ae Raza Wasf Rukh E Pak Sunanay Ke Liye
Nazar Dete Hain Chaman, Murgh Ghazal Khwa(N) Hum Ko
Woh Suey La Lazaar Phirte Hain
Woh Suey La Lazaar Phirte Hain
Tere Din Ay Nahar Phirte Hain
Jo Tere Dar Se Yar Phirte Hain
Dar-Ba-Dar Yu Hi Khaar Phirte Hain
Phool Kya Dekhu Meri Aankhon Mein
Dashte Taibah Ke Khaar Phirte Hain
Jaan Hain Jaan Kya Nazar Aaye,
Kyu Adu Gird-E-Gaar Phirte Hain
Unke Ima Pe Dono Bagho Par,
Khaile Lailo Nahar Phirte Hain
Wardiya Bolte Hain Har Kaare
Pehra Dete Suvaar Phirte Hain
Laakhon Qudsi Hain Kaam-E-Khidmat Par
Laakhon Girde Mazaar Phirte Hain
Har Charag-E-Mazaar Par Qudsi
Kaise Parwa-Navar Phirte Hain
Baaye Raste Na Ja Musafir Sun
Maal Hain Rahbaar Phirte Hain
Jaag Sunsaan Ban Hai Raat Aayi
Gurg Behre Shikaar Phirte Hain
Rakhiye Jaise Hain Khanazad Hain Hum
Mol Ke Aibdaar Phirte Hain
Us Gali Ka Gada Hu Main Jisme
Maangte Taajdaar Phirte Hain
Haye Gafil Wo Kya Jagah Hain Jaha
Paanch Jaate Hain Chaar Phirte Hain
Koyi Kyu Pooche Teri Baat Raza
Tujhse Kutte Hazaar Phirte Hain
Wasfe Rukh Unka Kiya Karte Hain Sharh E Wash Shams O Dhuha Karte Hain

Unki Hum Maddh O Thana Karte Hain Jinko Mahmood Kaha Karte Hain
Maahe Shaq Gashta Ki Soorat Dekho Kaamp Kar Mehr Ki Raj’at Dekho
Mustafa Pyaare Ki Qudrat Dekho Kaise Ayjaz Hua Karte Hain
Tu Hay Khursheed E Risalat Pyare Chup Gaye Teri Ziya Main Taare
Ambiya Aur Hay Sab Mah Paare Tujhse Hi Noor Liya Karte Hain
Ay Balaa Be Khirdi E Kuffar Rakhte Hain Aise Key Haq Main Inkaar
Ke Gawahi Ho Gar Usko Darkaar Be Zabaan Bol Utha Karte Hain
Apne Maula Ki Hay Has Shaan E Azeem Jaanwar Bhi Kare Jinki Ta’zeem
Sang Karte Hain Adab Sey Tasleem Per Sajde Me Gira Karte Hain
Rif’ate Zikr Hay Tera Hissa Dono ‘Aalam Me Hay Tera Charcha
Murgh E Firdous Pas Az Hamde Khuda Teri Hi Madh O Thana Karte Hain
Ungliyaan Paayi Wo Pyaari Pyaari Jinse Dariya E Karam Hay Jaari
Josh Par Aati Hay Jab Ghamkhwari Tishn E Sairaab Huwa Karte Hain
Haan Yahi Karti Hain Chirriyan Fariyaad Haan Yahin Chaahti Hay Hirni Daad
Isi Dar Par Shutraan E Naashaad Gil E Ranjo ‘Anaa Karte Hain
Aasteen Rehmat E ‘Aalam Ulte Kamare Paak Pe Daaman Baandhe
Girne Waalo Ko Kucha E Dohzakh Sey Saaf Alag Kheench Liya Karte Hain
Jab Sabaa Aati Hay Taibah Sey Idhar Khilkhila Parrti Hay Kaliyan Yaksar
Phool Jaamah Sey Nikal Kar Baahar Rukhe Rangeen Ki Thana Karte Hain
Tu Hay Woh Badshah E Kouno Makaan Ki Malake Haft Falak Key Har Aan
Tere Maula Sey Shah E Arsh ‘Aywan Teri Daulat Ki Dua Karte Hain
Jiske Jalwe Sey Uhud Haytaabaan Ma’dane Noor Hay Uska Daamaan
Hum Bhi Us Chaand Pe Ho Kar Qurbaan Dil E Sangi Ki Jila Karte Hain
Kyo Na Zeba Ho Tujhse Taajwari Tere Hi Dam Ki Hay Sab Jalwa Gari
Malak O Jinn O Bashar Hoor O Pari Jaan Sab Tujh Pe Fida Karte Hain
Toot Parrti Hain Balayein Jin Par, Jinko Milta Nahin Koi Yaavar
Har Taraf Sey Wo Pur Armaan Phir Kar Unke Daaman Mein Chupa Karte Hain
Lab Par Aa Jaata Hay Naam E Janaab Muh Me Ghul Jaata Hay Shahde Naayaab
Wajd Me Ho Key Hum Ay Jaan Betaab Apne Lab Choom Liya Karte Hain
Lab Pe Kis Muh Sey Ghum E Ulfat Layen Kya Balaa Dil Hay Alam Jiska Sunayein
Hum To Unke Kafe Paa Par Mit Jaye Unke Dar Par Jo Mita Karte Hain
Apne Dil Ka Hay Unhi Sey Aaram Sompe Hay Apne Unhi Ko Sab Kaam
Lou Lagi Hay Key Ab Us Dar Key Ghulaam Chaara E Dard E Raza Karte Hain
Zairo Paas-E-Adab Rakhho Hawas Jaane Do
Zairo Paas-E-Adab Rakhho Hawas Jaane Do
Aankhein Andhi Huwi Hain Unnko Taras Jaane Do
Sookhi Jaati Hay Ummeed-E-Gurba Ki Kheti
Boondiya Lakka-E-Rehmat Ki Barras Jaane Do
Palti Aati Hay Abhi Wajd Mein Jaane Sheereen
Naghma-E-Qum Ka Zara Kaano Mein Ras Jaane Do
Hum Bhi Chaltay Hay Zara Kaafile Waalo Thehro
Gathriyaan Tosh-E-Ummeed Ki Kas Jaane Do
Deed-E-Gul Aur Bhi Karti Hay Qiyamat Dil Par
Hum-Safeero Humein Phir Sue Qafas Jaane Do
Aatish-E-Dil Bhi To Bharkaawo Adab Waa(N) Naalo
Kaun Kehta Hay Ki Tum Zabte Nafs Jaane Do
Yoon Tane Zaar Key Dar Pe Huwe Dil Key Sho’lo
Shewa-E-Khaanah Bar Andaziye Khas Jaane Do
Aay Raza Aah Ki Yoon Sahl Katein Jurm Key Saal
Do Ghari Ki Bhi Ibadat To Baras Jaane Do
Poochte Kya Ho Arsh Par Yun Gaye Mustafa Ke Yun

Kaif Ke Parr Jaha’n Jale Koyi Bataye Kya Ke Yun
Qasre Dana Ke Raz Me Aqle To Gum He Jaisi He
Ruhe Qudus Se Poochiye Tum Ne Bhi Kuch Suna Ke Yun
Maine Kaha Ki Jalwa E Asl Me Kis Tarah Gume
Subha Ne Noore Mehr Me Mitt Ke Dikha Diya Ke Yun
Haye Re Zouq E Bekhudi Dil Jo Sambhalne Sa Laga
Chak Ke Mahak Me Phool Ki Gir Ne Lagi Saba Ke Yun
Dil Ko De Nooro Daghe Ishq Phir Mai Fida Do Neem Kar
Mana He Sun Ke Shaqqe Mah Ankho Se Ab Dikha Ke Yun
Dil Ko He Fikr Kis Tarah Murde Jhilate He Huzoor
Ay Mai Fida Laga Kar Ek Thokar Use Bata Ke Yun
Bagh Me Shukre Wasl Tha Hijr Me Hay Hay Ghul
Kam He Unke Zikr Se Kher Wo Yun Hua Ke Yun
Jo Kahe She’aro Pase Shar’a Dono Ka Husn Kyun Kar Aye
La Use Paishe Jalwa E Zam Zame Raza Ke Yun
Hay Lab-E-Isaa Sey Jaan Bakhshi Niraali Haath Mein

Sang Reze Paate Hain Sheerin Maqaali Haath Mein
Be Nawaon Ki Nigaahein Hain Kahaan Tehreer-E-Dast
Reh Gayien Jo Paa Key Jood-E-Laa Yazaali Haath Mein
Kya Lakiron Mein Yadullah Khat Sar-O-Aasa Likhaa
Raah Yoon Is Raaz Likhne Ki Nikaali Haath Mein
Jood Shahe Kausar Apne Pyason Ka Joya Hay Aap
Kya Ajab Ur Kar Jo Aap Aaye Piyaali Haath Mein
Abr Nisyaan Momino Ko Taigh Uriyaan Kufr Par
Jam’a Hain Shaan-E-Jamaali-O-Jalaali Haath Mein
Maalik-E-Kaunain Hain Go Pass Kuch Rakhte Nahin
Do Jahan Ki Nematein Hain Un Key Khaali Haath Mein
Saaya Afgan Sar Pe Ho Parcham Ilaahi Jhoom Kar
Jab Liwaul-Hamd Le Ummat Ka Waali Haath Mein
Har Khate Kaf Hay Yahaan Aay Dasht-E-Baizaaye Kaleem
Mojzan Daryaae Noor-E-Be Misaali Haath Mein
Wo Giraan Sangi Qadr-E-Mas Wo Arzaani Jood
Nauiya Badla Kiye Sang Walaali Haath Mein
Dastageere Har Do Aalam Kar Diya Sibtain Ko
Aay Main Qurbaan Jaan-E-Jaan Angusht Kya Lee Haath Mein
Aah Wo Aalam Key Aankhein Band Aur Lab Par Durood
Waqf Sang-E-Dar Jabeen Rauza Ki Jaali Haath Mein
Jis Ne Bai’at Ki Bahaar-E-Hassan Par Qurbaan Raha
Hay Lakeerein Naqsh-E-Taskheer-E-Jamaali Haath Mein
Kaash Ho Jaaun Lab-E-Kausar Mein Yoon Waa Rafta Hosh
Le Kar Us Jaan-E-Karam Ka Zel Aali Haath Mein
Aankh Mehwe Jalwa-E-Deedaar-E-Dil Pur Josh-E-Wajd
Lab Pe Shukr-E-Bakhshish Saaqi Pyaali Haath Mein
Hashr Mein Kya Kya Mazey Waaraftagi Key Loon Raza
Laut Jaaun Paa Key Wo Daamane Aali Haath Mein
Woh Kamal E Husn E Huzoor Hai Ki Guman E Naqs Jahan Nahi

Kay Gumaan-E-Naqs Jahaan Naheen
Yay-Hee Phool Khaar Say Duur Hay
Yay-Hee Sham’a Hai Kay Dhu-Aan Naheen
Do Jahan Ki Behtariyan Nahi
Ke Amaniye Dilo Jaan Nahi
Kaho Kya Hain Wo Jo Yaha Nahi
Magar Ik Nahi Ki Wo Haan Nahi
Bakhuda Khuda Ka Yay-Hee Hay Darr
Nahin Aur Koi Maffar Maqqar
Joe Wahaan Say Ho Yaheen Aakay Ho
Joe Yahaan Naheen Tou Wahan Naheen
Main Nisaar Tere Kalaam Par
Mili Yun To Kisi Ko Zabaan Nahi
Wo Sikhan Hai Jisme Sukhan Na Ho
Wo Bayaan Hain Jiska Bayaan Nahi
Hain Unhi Ke Noor Se Sab Ayaan
Hain Unhi Ke Jalwo Me Sab Nihaan
Bane Subha Taabishe Mehar Se Rahe
Peshe Mehar Yeh Jaan Nahi
Wahi Noor E Haq Wahi Jille Rab
Hain Unhi Se Sab Hain Unhi Ka Sab
Nahi Unki Milk Mein Aasmaan
Ki Jameen Nahi Ki Jamaan Nahi
Teyray Aagay Youn Hayn Dabbay Lachay
Fu-Saha A’rab Kay Barray Barray
Ko-Ee Jaanay Muh Mayn Zubaan Naheen
Naheen Balkay Jism Mein Jaan Naheen
Wo-Hee Noor-E-Haq Wo-Hee Zillay Rub
Hai Unhee Say Sub Hai Unhee Ka Sub
Naheen Unkee Milk Meyn Aasmaan
Ke Zameen Nahin Ke Zamaan Naheen
Wo-Hee Laa Makaan Kay Makeen Huay
Sar-E-‘Arsh Takht Nasheen Huay
Wo Nabee Hai Jiss Kay Hain Yay Makaan
Wo Khuda Hai Jiss Ka Makaan Naheen
Sar-E-‘Arsh Per Hai Teree Guzar
Dil-E-Farsh Per Hai Teree Nazar
Malakoot-O-Mulk Mayn Ko-Ee Shay
Naheen Wo Tujh Pay A’yaan Naheen
Karoon Teray Naam Pay Jaan Fida
Na Buss Aik Jaan Dou Jahaan Fida
Dou Jahaan Say Bhee Naheen Jee Bharaa
Karoon Kiya Karoroon Jahaan Naheen
Karoon Madhay Ahle-E-Doel Raza
Parray Iss Bala Meyn Meyree Balaa
Meyn Gada Hoon Apnay Kareem Ka
Meyra Deen Paara-E-Naan Naheen
Zamana Haj Ka Hai Jalwa Diya Hai Shahide Gul Ko

Ilahi Taaqate Parwaaz De Parhaye Bulbul Ko
Bahare Aayi Joban Par Ghira Hai Abr Rehmat Ka
Labe Mushtaaq Bheege(N) De Ijazat Saaqiya Mul Ko
Mile Lab Se Woh Mushqee(N) Mohr Wali Dam Mein Dam Aaye
Tapak Sun Kar Qume Isaa Kahu Masti Mein Qulqul Ko
Machal Jaau Sawaale Mudda’aa Par Thaam Kar Daaman
Behekne Ka Bahana Paau Qasde Be Ta-Ammul Ko
Dua Kar Bakhte Khufta Jaag Hungame Ijaabat Hai
Hataya Subhe Rukh Se Shah Ne Shab-Haaye Kaakul Ko
Zabane Falsafi Se Amn Kharqo Iltiyaam Asara
Panahe Daure Rehmat Haaye Yak Saa-At Tasalsul Ko
Do Shamba Mustafa Ka Jum’aye Aadam Se Behtar Hai
Sikhana Kya Lihaaze Haisiyat Khoo E Ta’ammul Ko
Wufoore Shaane Rehmat Ke Sabab Jur’at Hai Aye Pyare
Na Rakh Bahare Khuda Sharminda Arze Be Ta-Ammul Ko
Pareshani Mein Naam Unka Dile Sad Chaak Se Nikla
Ijaabat Shana Karne Aayi Gesuye Tawassul Ko
Raza Nuh Sabzaye Gardoo(N) Hain Kotal Jiske Maukib Ke
Koi Kya Likh Sake Uski Sawari Ke Tajammul Ko
Hajiyo Aao Shahenshah Ka Roza Dekho
Hajiyo Aao Shahenshah Ka Roza Dekho
Kaba To Dekh Chuke Kabe Ka Kaba Dekho
Rukn E Shami Se Miti Wah’shate Shame Ghurbat
Ab Madine Ko Chalo Subhe Dil Aaraa Dekho
Aabe Zam-Zam To Piyaa Khub Bujha-E Piyase
Aao Jude Shahe Kowsar Ka Bi Darya Dekho
Zayre Mizaab Mile Khoob Karamke Cheente
Abre Rahmat Ka Yaha Zowr Barasnaa Dekho
Dhum Dekhi Hai Dare Kaba Pe Betaabo Ki
Unke Mushtako Me Hasrat Ka Tadapna Dekho
Misle Parwana Phiri Karte The Jis Sham’a Ke Gird
Apni Us Sham’a Ko Parwana Yaha Ka Dekho
Khub Ankho Se Lagaya He Gilaafe Kaba
Qasre Mahbub Ke Parde Ka Bhi Jalwa Dekho
Wan Mutiyo Ka Jigar Khauf Se Pani Paya
Yan Siyahkaro Ka Daman Pe Machalna Dekho
Awwali Khana E Haq Ki To Ziyaye Dekhi
Aakhri Bait E Nabi Ka Bhi Tajalla Dekho
Aymane Tur Ka Tha Rukne Yamani Me Farog
Shola E Tur Yaha Anjuman-Ara Dekho
Mehre Madar Ka Maza Deti Hai Aagosh E Hateem
Jin Pe Maa Bap Fida Yan Karam Unka Dekho
Arz E Haajat Me Raha Ka’aba Kafeel E Injaah
Aao Ab Dad-Rasi E Shahe Taibah Dekho
Dho Chuka Zulmate Dil Bosa-E Sunge Aswad
Khaak Bosi-E-Madina Ka Bhi Rutba Dekho
Kar Chuki Rif’ate Kaba Pe Nazar Par-Vaze
Topi Ab Tham Ke Khaq E Dar E Wala Dekho
Be-Niyazi Se Waha Kapti Payi Ta’at
Joshe Rehmat Pe Yaha Naz Gunah Ka Dekho
Juma E Makka Tha Ird Ahle Ibadat Ke Liye
Mujrimo! Aao Yaha Ird E Doshamba Dekho
Multazim Se To Gale Lag Ke Nikale Armaan
Adab O Shouq Ka Yaha Baham Ulajhna Dekho
Khoob Mas’a Me B-Ummide Safa Daud Liye
Rahe Janan Ki Safaka Bhi Tamasha Dekho
Raqs E Bismil Ki Bahare To Mina Me Dekhi
Dil E Khu-Naba Fisha Ka Bhi Tadapna Dekho
Zinate Kaba Me Tha Lakh Arooso Ka Banaw
Jalwa Farma Yaha Kownain Ka Doolha Dekho
Gowr Se Sun To Raza Kaaba Se Aati He Sadaa
Meri Ankho Se Mere Piyare Ka Roza Dekho
Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho

Jub Pade Mushkil Sha’e Mushkil Kusha Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Bhool Jawu Naza’ki Takleef Ko
Shaadiye Deedare Husne Mustafa Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Gor Teera Ki Jab Aayeh Sakht Raat
Unke Pyaare Moonh Ki Subha Jaa Fiza Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jub Padre Mahshar Me Shore Daar-O-Geer
Amn Dene Waale Pyaare Peshwa Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jub Zabaane Baahar Aayey Pyaas Se
Saahib-E-Kauthar Sha’e Jood-O-Ataa Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Sard-E-Mehri Par Ho Jab Khurshid-E-Hashr
Sayyad-E-Besaaya Ke Zille-E-Liwaa Ka Saath Ho
Ya Ilaah Garmi-E-Mahshar Seh Jub Bharke Badan
Daaman-E-Mahboob Ki Thandi Hawaa Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Nama-E-A’maal Jub Khulne Lage
Aib-E-Pooshe Khalq Sat’taare Khata Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jub Bahe Aankhe Hisaab-E-Jurm Me
Un Tabassum Rez-E-Honto Ki Dua Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jub Hisaabe Khanda-E-Bejaa Rulaaye
Chashme Giryaane Shafi-E-Murtaja Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Rang Laayi Jab Meri Be Haaqiyah
Unki Neechi Neechi Nazro Ki Hayaa Ka Saatho Ho
Ya Ilaahi Jub Chalo Tareekh Raahe Pul Siraate
Aftaab-E-Haashmi Noorul Huda Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jub Sare Shamsheer Par Chalna Pare
Rabbe Sallim Kehne Waale Ghamzudah Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jo Dua’e Nek Hum Tujhe Se Kare
Qudsiyo Ke Lub Se Aameen Rab’bana Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jub Raza Khaab-E-Giraa Se Sar Uthaa’e
Daulat-E-Bedaar Ishk-E-Mustafa Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Le Chale Jub Dafan Karne Qabar Me
Ghause-E-Azam Peshwa’e Awliya Ka Saath Ho
Naare Dozakh Ko Chaman Kar De Bahare Aariz

Zulmate Hashr Ko Din Kar De Nahare Aariz
Main To Kya Cheez Hoon Khud Sahibe Qur’an Ko Shaha
Laakh Mushaf Se Pasand Aayi Bahare Aariz
Jaise Qur’an Hai Wird Use Gule Mehboobi Ka
Yun Hi Qur’aa(N) Ka Wazifa Ha Waqare Aariz
Garche Qur’aa(N) Hai Na Qur’aa(N) Ki Barabar Lekin
Kuch To Hai Jis Pe Hai Woh Madha Nigaare Aariz
Toor Kya Arsh Jale Dekh Ke Woh Jalwaye Garm
Aap Aariz Ho Magar Aainaye Daare Aariz
Turfa Aalam Hai Woh Qur’an Idhar Dekhe(N) Udhar
Mushafe Paak Ho Hairane Bahare Aariz
Tarjama Hai Ye Sifat Ka Woh Khud Aainaye Zaat
Kyun Na Mushaf Se Zyada Ho Waqare Aariz
Jalwa Farmaye(N) Rukhe Dil Ki Siyahi Mit Jaye
Subha Ho Jaaye Ilahi Shabe Taare Aariz
Naame Haq Par Kare Mehboob Dilo Jaa(N) Qurbaa(N)
Haq Kare Arsh Se Ta Farsh Nisaare Aariz
Mushk Bu Zulf Se Rukh Chehre Se Baalo(N) Mein Shu-Aa’
Mo’jiza Hai Halabe Zulfo Tataare Aariz
Haq Ne Bakhsha Hai Karam Nazre Gadaya(N) Ho Qabool
Pyare Ik Dil Hai Woh Karte Hain Nisaare Aariz
Aah Be Mayagiye Dil Ki Raza-E- Mohtaj
Le Kar Ik Jaan Chala Bahre Nisaare Aariz
Kya Theek Ho Rukh-E-Nabwi Par Misaal-E-Gul,

Paa Maal Jalwaye Kaf-E-Paa Hay Jamaal-E-Gul.
Jannat He Un Key Jalwa Sey Jo Yaaye Rang-O-Boo,
Aay Gul Hamaare Gul Sey Hay Gul Ko Sawaal-E-Gul.
Un Key Qadam Sey Sil’aye Ghaali Hui Jinaan,
Wallah Mere Gul Sey Hay Jaah-O-Jalaal-E-Gul.
Sunta Hoon Ishq-E-Shah Mein Dil Hoga Khoon Fashaan,
Yaa Rab Ye Muzdah Sach Ho Mubarak Ho Faal-E-Gul.
Bulbul Haram Ko Chal Gham-E-Faani Sey Faidah,
Kab Tak Kahegi Haaye Wo Ghuncha-O-Laal-E-Gul.
Ghamgeen Hay Shauq-E-Ghaazah-Khaak-E-Madinah Main,
Shabnam Sey Dhul Sakegi Na Gird-E-Malaal-E-Gul.
Bulbul Yeh Kya Kaha Main Kahaan Fasl-E-Gul Kahaan,
Ummeed Rakh Key Aam Hay Jood-O-Nawaal-E-Gul.
Bulbul Ghara Hay Abre Walaa Muzdah Ho Key Ab,
Girti Hay Aashiyana Pe Barq-E-Jamaal-E-Gul.
Yaa Rab Hara Bhara Rahe Daagh-E-Jigar Ka Bagh,
Har Mah Mahe Bahaar Ho Har Saal Saal-E-Gul.
Rang-E-Muthrah Sey Kar Kay Khajal Yaad Shah Mein,
Kheencha Hay Ham Ne Kaanton Pe Itr-E-Jamaal-E-Gul.
Main Yaad-E-Sheh Me Rowoon ‘Anaa Dil Karein Hujoom,
Har Ashke Laala-E-Faam Pe Ho Ehtemaal-E-Gul,
Hain Akse Chehra Sey Lab Gulgon Mein Surkhiyaan,
Dooba Hay Badr-E-Gul Sey Shafaq Mein Hilaal-E-Gul.
Naat-E-Huzoor Mein Mutarannim Hay Andaleeb,
Shaakhon Key Jhoomne Sey Ayaan Wajd-O-Haal-E-Gul.
Bulbul Gul-E-Madinah Hamesha Bahaar Hay,
Do Din Ki Hay Bahaar Fanaa Hay Maal-E-Gul.
Shaikhain Idhar Nisaar Ghani-O-Ali Udhar,
Ghuncha Hay Bulbulon Ka Yameen-O-Shimaal-E-Gul.
Chahe Khuda To Payeinge Ishq-E-Nabi Mein Khuld,
Nikli Hay Naama-E-Dil-E-Pur Khoon Me Faal-E-Gul.
Kar Us Ki Yaad Jis Sey Mile Chain Andaleeb,
Dekha Nahi Keh Khaar-E-Alam Hay Khyaal-E-Gul.
Dekha Tha Khwaab-E-Khaar-E-Haram Andaleeb Ne,
Khatka Kiya Hay Aankh Me Shab Bhar Khyaal-E-Gul.
Un Do Ka Sadqa Jinko Kaha Mere Phool Hain,
Kijiye Raza Ko Hashr Mein Khandaa Misaal-E-Gul.
Hai Kalaam E Ilahi Me Shams-O-Duha
Hai Kalaam E Ilahi Me Shams-O-Duha
Tere Chehre Noore Faza Ki Qasam
Qasam E Shab E Taar Me Raaz Yeh Tha,
Ke Habeeb Ki Zulfe Duta Ki Qasam
Tere Khulq Ko Haq Ne Azeem Kaha,
Teri Khilq Ko Haq Ne Jameel Kiya
Koee Tujh Sa Huwa Hai Na Hoga Shaha,
Tere Khaliqe Husn O Ada Ki Qasam
Woh Khuda Ne Hai Martaba Tujh Ko Diya,
Na Kisi Ko Mile Na Kisi Ko Mila
Ke Kalaam E Majeed Ne Khaee Shaha,
Tere Shehro Kalamo Baqa Ki Qasam
Tera Masnade Naaz Hai Arshe Baree,
Tera Mehrame Raaz Hai Rooh E Ameen
Tu Hi Sarware Har Do Jahaan Hai Shaha,
Tera Misl Nahi Hai Khuda Ki Qasam
Yehi ‘Arz Hai Khaliq E Ard O Sama,
Woh Rasool Hai Tera, Mai Bandah Tera
Mujhe Unki Jawaar Me Day Woh Jagah,
Ke Hai Khuld Ko Jiski Safa Ki Qasam
Tu Hi Bandaun Pa Karta Hai Lutf O ‘Ata,
Tujhi Pe Bharosa Hai Tujhi Se Dua
Mujhe Jalwah E Pak Rasool Dikha,
Tujhe Apne Hi Izz O ‘Ala Ki Qasam
Mere Gar Chay Gunah Hai Had Se Siwa,
Magar Un Se Ummed Hai Tujh Se Rija
Tu Raheem Hai Unka Karam Hai,
Gawah Woh Kareem Hai Teri ‘Ata Ki Qasam
Yehi Kehti Hai Bulbule Baagh E Jina,
Ke Raza Ki Tarha Koee Sehre Bayaan
Nahi Hind Me Wasif Shahe Huda,
Mujhe Shaukhe Tabae Raza Ki Qasam
Ariz-E-Shams-O-Qamar Se Bhi Hain Anwar Aeriyan

Arsh Ki Ankhon Ke Tare Hain Woh Khushtar Aeriyan
Ja Baja Partau Figan Hain Asman Par Aeriyan
Din Ko Hain Khursheed Shab Ko Maho Akhtar Aeriyan
Najme Gardoon To Nazar Ate Hain Chote Aur Woh Pau
Arsh Par Phir Kyun Na Hon Mahsoos Lagar Aeriyan
Dab Ke Zere Pa Na Gunjaish Samane Ko Rahi
Ban Gaya Jalwa Kafe Pa Ka Ubhar Ka Aeriyan
Unka Mangta Pau Se Thukra De Woh Duniya Ka Taj
Jis Ki Khatir Mar Gaye Mun’am Agad Kar Aeriyan
Do Qamar, Do Panjaye Khur, Do Sitare, Dus Hilal
Unke Talwe, Panje, Nakhun, Paye Athar Aeriyan
Haye Us Patthar Se Us Seene Ki Qismat Fodiye
Be Takalluf Jis Ke Dil Mein Yun Karen Ghar Aeriyan
Taje Roohul Quds Ke Moti Jise Sajda Karen
Rakhti Hain Wallah Woh Pakeeza Gohar Aeriyan
Ek Thokar Me Uhud Ka Zalzala Jata Raha
Rakhti Hain Kitna Waqar Allahu Akbar Aeriyan
Charkh Par Chadte Hi Chandi Mein Siyahi A Gayi
Kar Chuki Hai Badr Ko Taksal Bahar Aeriyan
Aye “Raza” Toofane Mehshar Ke Talatum Se Na Dar
Shad Ho! Hain Kashtiye Ummat Ko Langar Aeriyan.
Ahle Siraat Rooh E Ameen Ko Khabar Karen

Jaati Hai Ummate Nabavi Farsh Parr Karen
Inn Fitanhaye Hashr Se Kahdo Hazar Karen
Naazo Ke Paale Aate Hai Rah Se Guzar Karen
Badd Hai To Aapke Hai Bhale Hai To Aapke
Tukdo Se To Yahan Ke Pale Rukh Kidhar Karen
Sarkaar Hum Kameeno Ke Atvaar Par Na Jaye
Aaqa Huzoor Apne Karam Par Nazar Karen
Unki Haram Ke Khaar Kashida Hai Kis Liye
Aankho Me Aaye Sar Pe Rahe Dil Me Ghar Karen
Jaalo Pe Jaal Padd Gaye Lillah Waqt Hai
Mushkil Kushayi Aap Ke Nakhun Agar Karen
Manzil Kadee Hai Shane Tabassum Karam Kare
Taaron Ki Chaanv Noor Ke Tadke Safar Karen
Kilke Raza Hai Khanjare Khu-Khwar Barq-Baar
A’ada Se Kehdo Khair Manaye Na Shar Karen
Unki Mahek Ne Dil Ke Ghunche Khila Diye Hain

Jis Raah Chal Diye Hain Kooche Basa Diye Hain
Ik Dil Hamara Kya Hai Aazaar Uska Kitna
Tum Ne To Chalte Phirte Murde Jila Diye Hain
Unke Nisar Koi Kaise Hi Runj Mein Ho
Jab Yaad Aa Gee Hain Sab Gham Bhula Diye Hain
Asra Mein Guzre Jis Dam Bere Pe Qudsiyon Ke
Hone Lagi Salaami Parchum Jhuka Diye Hain
Jab Aa Gein Hai Josh E Rehmat Pe Unki Ankhen
Jalte Bujha Diye Hain Rote Hansa Diye Hain
Mere Karim Se Gar Qatra Kisi Ne Maanga
Dariya Baha Diye Hain Durbe Baha Diye Hain
Allah Re Kya Jahannam Ab Bhi Na Sard Hoga
Ro Ro Ke Mustafa Ne Dariya Baha Diye Hain
Mulk E Sukhn Ki Shahi Tum Ko Raza Musallam
Jis Simt Aa Gee Hain Sikke Bitha Diye Hain
Hum Se Faqir Bhi Ab Pheri Ko Uthte Honge
Ab To Ghani Ke Dar Par Bistar Jama Diye Hain
Aane Do Ya Dubo Do Ab To Tumhari Janib
Kashti Tum Hi Pe Chori Langar Utha Diye Hain
Dulha Se Itna Kehdo Pyare Sawari Roko
Mushkil Mein Hain Baraati Purkhar Laa Diye Hain
Rukh Din Hai Ya Mehre Sama, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Shab Zulf Ya Mushke Khuta, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Mumkin Me Ye Qudrat Kaha, Wajib Me Abdiyat Kaha
Hairan Hu Ye Bhi Hai Khata, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Haq Ye Ki Hai Abde Ilah Aur Alam E Imkan Ke Shah
Barzakh Hai Wo Sirre Khuda, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Bulbul Ne Ghul Unko Kaha, Kumree Ne Sarve Janfiza
Hairat Ne Jhunjhla Kar Kaha Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Khursheed Tha Kis Zour Par Kya Badh Ke Chamka Tha Qamar
Be-Parda Jab Wo Rukh Hua Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Dar Tha Ki Isyan Ki Saza Ab Hogi Ya Rouze Jaza
Dee Unki Rehmat Ne Sada Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Koyi Hai Nazo Zuhad Par Ya Husne Tauba Hai Sipar
Yan Hai Faqat Teri Ata Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Din Lahv Me Khona Tujhe, Shab Subha Tak Sona Tujhe
Sharme Nabi Khaufe Khuda Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Rizq E Khuda Khaya Kiya, Farman E Haq Tala Kiya
Shukre Karam Tarse Saza Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Hai Bulbule Rangi Raza Ya Tutiye Nagma Sara
Haq Yeh Ki Wasif Hai Tera Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Chamane Taiba Mein Sumbul Jo Sawaare Gesu

Hoor Badh Kar Shikane Naaz Pe Waare Gesu
Ki Jo Baalon Se Tere Rauze Ki Jaaroob Kashi
Shab Ko Shabnam Ne Tabarruk Ko Hain Dhaare Gesu
Hum Siyah Kaaron Pe Ya Rab Tapishe Mahshar Mein
Saaya Afgan Hon Tere Pyare Ke Pyare Gesu
Charche Hooron Mein Hain Dekho To Zara Baale Burraq
Sumbule Khuld Ke Qurban Utare Gesu
Aakhire Hajj Ghame Ummat Mein Paresha(N) Ho Kar
Teerah Bakhton Ki Shafa’at Ko Sidhare Gesu
Gosh Tak Sunte The Fariyad Ab Aaye Taa Dosh
Ki Bane Khana Badoshon Ko Sahare Gesu
Sukhe Dhano(N) Pe Humare Bhi Karam Ho Jaaye
Chaye Rehmat Ki Ghata Ban Ke Tumhare Gesu
Ka’baye Jaa(N) Ko Pinhaya Hai Gilafe Mushkee(N)
Udh Ke Aaye Hain Jo Abr Pe Tumhare Gesu
Silsila Paa Ke Shafa’at Ka Jhuke Padte Hain
Sajdaye Shukr Ke Karte Hain Ishare Gesu
Mushk Boo Koocha Ye Kis Phool Ka Jhada Un Se
Hooriyo Ambare Saara Huye Saare Gesu
Dekho Qur’an Me Shabe Qadr Hai Ta Matlaye Fajr
Ya’ni Nazdeek Hain Aariz Ke Woh Pyare Gesu
Bheeni Khushboo Se Mahak Jaati Hain Galiya(A) Wallah
Kaise Phoolo Mein Basaye Hain Tumhare Gesu
Shaane Rehmat Hai Ki Shaana Na Juda Ho Dam Bhar
Seena Chaakon Pe Kuch Is Darja Hain Pyare Gesu
Shaana Hai Panjaye Qudrat Tere Baalon Ke Liye
Kaise Haathon Ne Shaha Tere Saware Gesu
Uhade Paak Ki Choti Se Ulajh Le Shab Bhar
Subah Hone Do Shabe Eid Ne Haare Gesu
Muzda Ho Qibla Se Ghanghor Ghatayen Umdee
Abroo(On) Par Woh Jhuke Jhoom Ke Baare Gesu
Taare Sheerazaye Majmuaye Kaunain Hain Yeh
Haal Khul Jaaye Jo Ik Dum Hon Kanare Gesu
Tel Ki Boonde Tapakti Nahi Baalon Se Raza
Subhe Aariz Pe Lutate Hain Sitare Gesu
Pul Se Utaro Rah Guzar Ko Khabhar Na Ho Lyrics

Jibreel Par Bichaae To Par Ko Khabhar Na Ho
Kaantaa Mere Jighar Sat Gham E Rozgaar Ko
Yoon Kheench Leejie Ke Jighar Ko Khabhar Na Ho
Faryaad Ummate Jo Kare Haal E Zaar Mein
Mumkin Nahin Ke Khair E Bashar Ko Khabhar Na Ho
Kehte The Yeh Buraaq Se Uske Sabaq Ravee
Yoon Jaie Ke Ghard E Safar Ko Khabhar Na Ho
Farmaate Hen Yeh Dono Hen Sardaar E Do Jahaa
E Murtazaa! Ateeq O Umar Ko Khabhar Na Ho
Esa Ghumaa De Un Ke Vilaa Mein Khuda Humein
Dhoondhaa Kare Par Apne Khabhar Ko Khabhar Na Ho
Aa Dil! Haram Ko Rokne Waalon Se Chup Ke Aaj
Yoon Uth Chale Ke Pehlo Wabar Ko Khabhar Na Ho
Teer E Haram Hen Yeh Kaheen Rishta Bapaa Na Ho
Yoon Dekhiyeh Ke Taare Nazar Ko Khabhar Na Ho
E Khaar E Taibah! Dekh Ke Daaman Na Bheekh Jae
Yoon Dil Mein Aa Ke Deedah E Tar Ko Khabhar Na Ho
E Shauq E Dil! Yeh Sajdah Ghar Un Ko Ravaa Nahin
Acha! Woh Sajda Ke Jie Sar Ko Khabhar Na Ho
Un Ke Sivaa Raza Koe Haame Nahin Jahaa
Ghuzra Kare Pisar Pe Pidar Ko Khabhar Na Ho
Kya Hi Zauk Afza Shafa’at Hain Tumhari Wah Wah

Karz Leti Hain Gunah Parhezgari Wah Wah
Khama-E-Qudrat Ka Husn-E-Dastkaari Wah Wah
Kya Hi Tasveer Apne Pyare Ki Sawaari Wah Wah
Ashk Shab Bhar Intezar-E-Afwe Ummat Mein Bahe(N)
Main Fida Chaand Aur Yu Akhtar Shumari Wah Wah
Ungliya(N) Hain Faiz Par Toote Hain Pyase Jhoom Kar
Nadiya(N) Panjab E Rehmat Ki Hain Jaari Wah Wah
Noor Ki Khairaat Lene Daudte Hain Mehre Maah
Uthti Hain Kis Shaan Se Gard Sawaari Wah Wah
Neem Jalwe Ki Na Tab Aaye Qamar Saa To Sahi
Mehar Aur Un Talwo Ki Aaina Daari Wah Wah
Nafs Ye Kya Zulm Hain Jab Dekho Taaza Jurm Hain
Naatwa(N) Ke Sar Par Itni Bojh Bhari Wah Wah
Mujrimo Ko Dhundhti Phirte Hain Rehmat Ki Nigaah
Taaliye Bargashta Teri Saazgaari Wah Wah
Arz Begi Hain Shafa’at Afw Ki Sarkaar Mein
Chat Rahi Hain Mujrimo Ki Fard Saari Wah Wah
Kya Madine Me Saba Aayi Ki Phoolo Me Hain Aaj
Kuch Nayi Buu Bheeni-Bheeni Pyari-Pyari Wah Wah
Khud Rahe Parde Me Aur Aaina Akse Khaas Ka
Bhej Kar Anjaano Se Ki Rahdaari Wah Wah
Is Taraf Rouze Ka Noor Us Samt Mimbar Ki Bahaar
Beechme Jannat Ki Pyari Pyari Kyari Wah Wah
Sadqe Is In’aam Ke Qurbaan Us Ikraam Ke
Ho Rahi Hain Dono Aalam Me Tumhari Wah Wah
Para-E-Dil Bhi Na Nikla Dil Se Tohfe Me Raza
Un Sagane Ku Se Inti Jaan Pyari Wah Wah
Rashke Qamar Hun Range Rukhe Aftab Hun
Rashke Qamar Hun Range Rukhe Aftab Hun
Zarra Tera Jo Aye Shahe Gardoon Janab Hun
Durre Najaf Hoon Gauhare Pake Khunshab Hun
Ya’ni Turabe Reh Guzare Bu Turab Hun
Gar Ankh Hoon To Abr Ki Chashme Purab Hun
Dil Hoon To Barq Ka Dile Pur Iztirab Hun
Khooneen Jigar Hoon Taire Be Asiyan Shaha
Range Paridaye Rukhe Gul Ka Jawab Hun
Be Aslo Be Sabat Hoon Behre Karam Madad
Parwardaye Kanare Sarabo Habab Hun
Ibrat Faza Hai Sharme Gunah Se Mera Sukoot
Goya Labe Khamoshe Lahad Ka Jawab Hun
Kyun Nala Soz Le Karoon Kyun Khoone Dil Piyu
Seekhe Kabab Hoon Na Main Jame Sharab Hun
Dil Basta Be Karar, Jigar Chak, Ashkbar
Guncha Hoon Gul Hoon Barqe Tapan Hoon Sahab Hun
Da’wa Hai Sab Se Teri Shafa’at Pe Beshtar
Daftar Me Asiyon Ke Shaha Intikhab Hun
Maula Duhayi Nazron Se Gir Kar Jala Ghunlam
Ashke Muzah Rasidaye Chashme Kabab Hun
Mit Jaye Ye Khundi To Woh Jalwa Kahan Nahin
Darda Me Ap Apni Nazar Ka Hijab Hun
Sadqe Hoon Us Pe Nar Se Dega Jo Makhlasee
Bulbul Nahin Ki Atashe Gul Par Kabab Hun
Qalib Tahee Kiye Hama Agosh Hai Hilal
Aye Shah Saware Taiba! Main Teri Rikab Hun
Kya Kya Hain Tujh Se Naz Tere Kasr Ko Ke Main
Ka’be Ki Jan, Arshe Bari Ka Jawab Hun
Shaha Bujhe Sakar Mere Ashkon Se Ta Na Main
Abe Abas Chakidaye Chashme Kabab Hun
Main To Kahan Hi Chahun Ke Banda Hoon Shah Ka
Par Lutf Jab Hai Keh Den Agar Woh Janab ‘Hun’
Hasrat Me Khak Bosiye Taiba Ki Aye Raza
Tapka Jo Chashme Mehar Se Woh Khoone Nab Hun
Phir Ke Gali Gali Tabaah Thokare Sab Ki Khayen Kyoon

Dil Ko Jo Akal De Khuda Teri Gali Se Jayen Kyoon
Rukhsate Qaafila Ka Shor Gashse Hame Uthae Kyoon
Sote Hain Unke Sayen Mein Koyi Hamme Jagaaye Kyoon
Yaade Huzoor Ki Qasam Gaflate Aish He Sitam
Khoob Hai Qaide Ghum Mein Hum Koyee Hamme Chhurae Kyoon
Dekh Ke Hazrate Gani Phel Pare Faqeer Bhi
Chaayi He Ab To Chauni Hashr Hi Aana Jae Kyoon
Jaan He Ishqe Mustafa Roz Fizoo Kare Khuda
Jis Ko Ho Dard Ka Mazaa Naaze Dawa Uthae Kyoon
Woh Jo Nathe To Kuch Natha Woh Jo Naho To Kuch Naho
Jaan Hai Woh Jahan Ki, Jaan Hai To Jahaan Hai
Hai To Raza Nira Sitam Jurm Pe Gar Lajaaye Hum
Koyee Bajaaye Soze Gam Saze Tarab Bajaaye Kyoon
Raah-E-Irfan Sey Jo Hum Naa Deedah Ru Mahram Nahin

Mustafa Hay Masnad-E-Irshad Par Kuch Gham Nahin
Hoon Musalman Garchey Naqis Hi Sahi Aay Kamilo
Mahiyat Pani Ki Akhir Yam Sey Nam Mein Kam Nahin
Ghunchey Maa Awha Key Jo Chatkey Dana Key Bagh Mein
Bulbul-E-Sidrah Tak Un Ki Bu Sey Bhi Mahram Nahin
Us Mein Zam-Zam Hay Key Tham-Tham Is Mein Jam-Jam Hay Key Beesh
Kasrat-E-Kawsar Mein Zam-Zam Kee Tarah Kam-Kam Nahin
Panjah-E-Mihr-E-Arab Hay Jis Sey Darya Bah Gaye
Chashmah-E-Khurshid Mein To Naam Ko Bhi Nam Nahin
Aysa Ummi Kis Liye Minnat Kash-E-Ustaad Ho
Kya Kifaayat Is Ko Iqra’a Rabbuka’l Akram Nahin
Aws Mihr-E-Hashr Par Par Jaye Pyaso To Sahee
Us Gul-E-Khandan Ka Rona Giryah-E-Shabnam Nahin
Hay Unhin Key Dam Qadam Ki Bagh-E-Aalam Mein Bahar
Woh Na Thay Aalam Na Tha Gar Woh Na Hon Aalam Nahin
Saayah-E-Diwar-O-Khaak-E-Dar Ho Yaa Rab Aur Raza
Khwahish-E-Dayhim-E-Qaysar Shawq-E-Takht-E-Jam Nahin
Bartar Qayaas Se Hai Maqaame Abul Hussain

Sidra Se Poocho Rif’ate Baame Abul Hussain
Wa Rasta Paaye Bastaye Daame Abul Hussain
Aazaad Naar Se Hai Ghulame Abul Hussain
Khatte Siyah Mein Noore Ilahi Ki Taabishe(N)
Kya Subhe Noorbaar Hai Shaame Abul Hussain
Saaqi Suna De Sheeshaye Baghdad Ki Tapak
Mehki Hai Booye Gul Se Mudaame Abul Hussain
Booye Kabaabe Sokhta Aati Hai Mai-Kasho
Chalka Sharaabe Chisht Se Jaame Abul Hussain
Gulgoon Sahar Ko Hai Sa-Hare Soze Dil Se Aankh
Sultane Soharward Hai Naame Abul Hussain
Kursi Nasheen Hai Naqshe Muraad Unke Faiz Se
Maulaye Naqshband Hai Naame Abul Hussain
Jis Nakhle Paak Mein Hain Chiyalees Daaliyaa(N)
Is Shaakh Un Mein Se Hai Banaame Abul Hussain
Masto(N) Ko Aye Kareem Bachaye Khumaar Se
Ta Daur Hashr Dauraye Jaame Abul Hussain
Un Ke Bhale Se Laakhon Gareebon Ka Hai Bhala
Ya Rab Zamaana-Baad Bakaame Abul Hussain
Mela Laga Hai Shaane Maseeha Ki Deed Hai
Murde Jilaa Raha Hai Khiraame Abul Hussain
Sar Gashta Mehro Mah Hain Par Ab Tak Khula Nahi
Kis Charkh Par Hai Maahe Tamaame Abul Hussain
Itna Pata Mila Hai Ke Yeh Charkh Chambaree
Hai Haft Paaya Zeenaye Baame Abul Hussain
Zarre Ko Mehr, Qatre Ko Dariya Kare Abhi
Gar Josh Zan Ho Bakhshishe Aame Abul Hussain
Yahya Ka Sadqa Waarise Iqbaal Mand Paaye
Sajjaadaye Shuyookhe Kiraame Abul Hussain
Inaam Lein Bahaare Jinaa Tehniyat Likhen
Phoole Phale Tu Nakhle Maraame Abul Hussain
Allah Hum Bhi Dekh Lein Shehzaade Ki Bahaar
Soonghe Gule Muraad Mashaame Abul Hussain
Aaqa Se Mere Suthre Miyan Ka Hua Hai Naam
Is Achche Suthre Se Rahe Naame Abul Hussain
Ya Rab Woh Chaand Jo Falake ‘Izzo Jaah Par
Har Sair Mein Ho Gaam Ba Gaame Abul Hussain
Aao Tumhe Hilaale Sipahre Sharaf Dikhayen
Gardan Jhukayen Bahre Salaame Abul Hussain
Qudrat Khuda Ki Hai Ke Talaatum Qanaa(N) Uthi
Bahre Fanaa Se Mauje Dawaame Abul Hussain
Ya Rab Hume Bhi Chashni Us Apni Yaad Ki
Jis Se Hai Shakkari(N) Labo Kaame Abul Hussain
Haan Taaleye Raza Teri Allah Re Yawari
Aye Bandaye Judoode Kiraame Abul Hussain
Yaad Me Jiski Nahi Hoshe Tano Jaan Hum Ko

Phir Dikhade Woh Rukh Aye Mehre Faroza Hum Ko
Der Se Aap Mein Aana Nahi Milta Hain Humein
Kya Hi Khud-Rafta Kiya Jalwaye Janaan Hum Ko
Jis Tabassum Ne Gulistaan Pe Girayi Bijli
Phir Dikhade Woh Adaaye Gule Khandan Hum Ko
Jab Se Aankhon Me Samayi Hai Madine Ke Bahaar
Nazar Aate Hain Khazaan Deeda Gulistaan Hum Ko
Kaash Aaweezaye Kindeele Madina Ho Woh Dil
Jis Ki Sozish Ne Kiya Rashke Charaaga Hum Ko
Arsh Jis Khoobiye Raftaar Ka Paamaal Hua
Do Qadam Chal Ke Dikha Sarve Khiraamaan Hum Ko
Shamaye Taiba Se Main Parwana Rahoon Kab Tak Door
Haan Jala De Sha-Rare Aatishe Pinha! Hum Ko
Khauf Hai Sam’a Kharashiye Sage Taiba Ka
Warna Kya Yaad Nahin Naa-La O Afgaan Hum Ko
Khaak Ho Jaayen Dare Paak Pe Hasrat Mit Jaaye
Ya Ilahi Na Fira Be Saro Saamaan Hum Ko
Khaare Sahraaye Madina Na Nikal Jaaye Kahin
Wahshate Dil Na Fira Koho Bayaabaan Hum Ko
Tang Aaye Hain Do Aalam Teri Betaabi Se
Chain Lene De Tape Seenaye Sozaan Hum Ko
Paaun Girbaal Huye Raahe Madina Na Mili
Aye Junoon! Ab To Mile Rukhsate Zindaan Hum Ko
Mere Har Zakhme Jigar Se Ye Nikalti Hai Sada
Aye Maleehe Arabi! Karde Namakdaan Hum Ko
Saire Gulshan Se Aseerane Qafas Ko Kya Kaam
Na De Takleefe Chaman Bulbule Bustaan Hum Ko
Gar Labe Paak Se Iqraare Shafa’at Ho Jaaye
Yun Na Bechain Rakhe Joshishe Isyaan Hum Ko
Nayyare Hashr Ne Ik Aag Laga Rakhi Hai!
Tez Hai Dhoop Mile Saaya E Daamaan Hum Ko
Reham Farmaiye Ya Shah Ki Ab Taab Nahin
Tabake Khoon Rulaye Ghame Hijraan Hum Ko
Chaake Daamaan Mein Na Thak Jaaiyo Aye Daste Junoon
Purze Karna Hai Abhi Jebon Gharibaan Hum Ko
Parda Us Chehraye Anwar Se Utha Kar Ik Baar
Apna Aaina Bana Aye Mahe Taabaan Hum Ko
Aye Raza Wasfe Rukhe Paak Sunane Ke Liye
Nazr Dete Hain Chaman! Murge Ghazal Khwaan Hum Ko
Sacchi Baat Sikhate Yeh Hain
Sacchi Baat Sikhate Yeh Hain
Seedhi Raah Chalate Yeh Hain
Naz E Rooh Me Aasani De
Kalma Yaad Dilate Yeh Hai
Marqad Me Bando Ko Thapak Kar
Meethi Neend Sulaate Yeh Hai
Apne Bharam Se Hum Halko Ka
Palla Bhari Banate Yeh Hai
Laakh Balaye Karoro Dushman
Kon Bachaye Bachate Yeh Hai
Apni Bani Hum Aap Bigare
Kon Banaye Banate Yeh Hai
Thanda Thanda Meetha Meetha
Peete Hum Hai Pilaate Yeh Hai
Sallim Sallim Ki Dhaaras Se
Pul Se Paar Lagate Yeh Hai
Inna Aataina Kal Kauthar
Saari Kasrat Paate Yeh Hai
Unke Haath Me Har Kunji Hai
Maalik E Kul Kehlate Yeh Hai
Bap Jaha Bete Se Bhage
Lutf Waha Farmate Yeh Hai
Maa Jab Iklaute Ko Chhore
Aa Aa Keh Kar Bulate Yeh Hai
Qasr E Daana Tak Kis Ki Rasaai
Jaate Yeh Hai Aate Yeh Hai
Keh Do Raza Se Khush Ho Khush Reh
Muzda Riza Ka Sunaate Yeh Hai
Bheeni Suhani Subh Me Thandak Jigar Ki Hai

Kaliyaan Khili Dilo Ki Hawa Ye Kidhar Ki Hai
Khubti Huwi Nazar Mei Adaa Kis Sahar Ki Hai
Chubhti Huwi Jigar Mei Sadaa Kis Gajar Ki Hai
Daaley Hari Hari Hai To Baaley Bhari Bhari
Kishte Amal Pari Hai Ye Barish Kidhar Ki Hai
Hum Jaye Aur Qadam Se Lipat Kar Haram Kahey
Sounpa Khuda Ko Ye Azmat Kis Safar Ki Hai
Hum Girdey Kaaba Phirte They Kal Tak Aur Aaj Wooh
Hum Par Nisaar Hai Ye Iradat Kidh’ar Ki Hai
Kalik Jabeen Ki Sajdaaye Dar Se Chudaavogey
Mujh Ko Bhi Le Chalo Ye Tamanna Hajar Ki Hai
Dooba Huwa Hai Shouq Mei Zam Zam Aur Aankh Se
Jhaale Baras Rahey Hai Ye Hasrat Kidhar Ki Hai
Barsa Ke Jaane Walo Pa Ghouhar Karu Nisaar
Abrey Karam Se Arz Ye Mizaabey Zar Ki Hai
Aagooshe Shouq Kholey Hai Jin Ke Liye Hateem
Woh Phir Ke Dekhte Nahi Ye Dhun Kidhar Ki Hai
Haa’n Haa’n Rahey Madina Hai Ghafil Zara Tu Jaag
Wo Paav Rakhne Waley Ye Jaa Chashmo Sar Ki Hai
Waaru Qadam Qadam Pa Kay Har Dam Hai Jaane Nao
Ye Raahey Jaan Fiza Mere Moula Ke Dar Ki Hai
Ghadiya Gini Hai Barso Ke Ye Shubh Ghadi Phiri
Marmar Ke Phir Ye Sil Mere Seene Se Sar Ki Hai
Allaho Akbar Apne Qadam Aur Ye Khaakey Pak
Hasrat Malai’ka Ko Jahaan Waz’ye Sar Ki Hai
Mea’raj Ka Sama Hai Kaha Pahonchey Zae’roo
Kursi Se Onchi Kursi Usi Pak Ghar Ki Hai
Ushhaq Rouza Sajdey Mei Suye Haram Jhukey
Allah Jaanta Hai Ke Niyyat Kidhar Ki Hai
Ye Ghar Ye Dar Hai Uska Jo Ghar Dar Se Paak Hai
Muzhdah Ho Be-Gharo Kay Salaa Achchey Ghar Ki Hai
Mehboobe Rabbe Arsh Hai Is Sabz Qubba Mei
Pahlu Mei Jalwa Gah Ateeqo Umar Ki Hai
Chaye Malaika Hai Lagaatar Hai Durood
Badley Hai Pahrey Badli Mei Barish Durar Ki Hai
Sa’dayn Ka Qiraan Hai Pahluye Maah Mei
Jhurmut Kiye Hai Taarey Tajalli Qamar Ki Hai
Sattar Hazaar Subh Mei Sattar Hazaar Shaam
Yun Bandagiye Zulfo Rukh Aatho Pahar Ki Hai
Jo Ek Baar Aye Dobara Na Ayenge
Rukhsat Hi Bargah Se Bas Is Qadar Ki Hai
Tadpa Karey Badal Ke Phir Aana Kaha Naseeb
Bey Hukm Kab Majaal Parinde Ko Par Ki Hai
Ay Waye Beikasiye Tammana Ke Ab Ummeed
Din Ko Na Shaam Ki Hai Na Shab Ko Sahar Ki Hai
Ye Badliyan Na Ho To Karooron Ki Aas Jaye
Aur Bargaahe Marhamate Aaam Tar Ki Hai
Masoom Ko Hai Umr Mei Sirf Ek Bar Bar
Aasi Padey Rahe To Sila Umr Bhar Ki Hai
Zinda Rahe To Haazriye Baargaah Naseeb
Mar Jaye To Hayaate Abad Aysh Ghar Ki Hai
Moflis Aur Aisey Dar Se Phirey Be-Ghani Huve
Chandi Har Ek Tarah To Yaha Gadiya Gar Ki Hai
Jaana Pe Takiya Khaak Nihali Hai Dil Nihaal
Han Be-Nawa’o Khoob Ye Sorat Guzar Ki Hai
Hai Chatro Takht Saya-E Dewaaro Khaake Dar
Shaho Ko Kab Naseeb Ye Dhaj Karro Far Ki Hai
Iss Paak Ku Mei Khaak Ye Basar Sar-Ba-Khaak Hai
Samjhe Hai Kuch Yahi Jo Haqiqat Basar Ki Hai
Kyo Taajdaaro! Khwaab Mei Dheki Kabi Ye Shai
Jo Aaj Jholiyo Mei Gadhayaane Dar Ki Hai
Jaaru-Kasho Mei Chehre Likhey Hai Mulook Ke
Wo Bhi Kaha Naseeb Faqat Naam Bhar Ki Hai
Taiba Mei Mar Ke Thande Chaley Jaav Aankhey Bandh
Seedhi Sadak Ye Shahre Shafa’t Nagar Ki Hai
Aasi Bhi Hai Chahitey Ye Taiba Hai Zahido!
Makka Nahi Ke Jaanch Jaha Khair O Shar Ki Hai
Shaane Jamaal Taiba Jana Hai Naf’a Mahaz
Wus’at Jalale Makka Mei Soodo Zar Ki Hai
Kaba Hai Beshak Anjum-Aara Dulhan Magar
Saari Bahar Dhulhano Mei Dulha Ke Ghar Ki Hai
Kaba Dhulhan Hai Turbate At-Har Nayi Dulhan
Ye Rashk E Aftaab Wo Gairat Qamar Ki Hai
Dono Bani Sajeeli Aneeli Bani Magar
Jo Pe’ Ke Paas Hai Wo Suhagan Kun’war Ki Hai
Sar Sabze Wasl Ye Hai Siyaa Poshey Hijr Wo
Chamki Dupatto Se Hai Jo Haalat Jigar Ki Hai
Ma Wo Shuma To Kya Ke Khaleel E Jaleel Ko
Kal Dhekna Ki Unse Tamanna Nazar Ki Hai
Apna Sharaf Dua Se Hai Baaki Raha Kabool
Ye Jaane Unke Haath Mei Kunji Asar Ki Hai
Jo Chahey Unse Maang Ki Dono Jahaa’n Ki Khair
Zar Na-Khareeda Ek Kaneez Unke Ghar Ki Hai
Roomi Ghulam Din Habshi Baandiyan Shab’e
Ginti Kaneez Zaado Mei Shaamo Sahar Ki Hai
Itna Ajab Bulandiye Jannat Pe Kisliye
Dekha Nahi Ke Bheek Ye Kis Unchey Ghar Ki Hai
Arshe Bari Pe Kyo Na Ho Firdous Ka Dimaagh
Utri Huvi Shabeeh Tere Baamo Dar Ki Hai
Wo Khuld Jismei Utregi Abrar Ki Baraat
Adna Nichawar Uss Mere Dulha Ke Sar Ki Hai
Amber Zameen Abeer Huwa Mushke-Tar Gubaar
Adna Si Ye Shanaakhat Teri Rahguzar Ki Hai
Sarkaar Hum Gawaro Mei Tarze Adab Kaha
Humko To Bas Tameez Yahi Bheek Bhar Ki Hai
Maangenge Maange Jayenge Muh Maangi Payenge
Sarkar Mei Na Laa Hai Na Hajat Agar Ki Hai
Uff Be-Hayayi’aa Ke Ye Muh Aur Tere Huzoor
Ha Tu Kareem Hai Teri Khu’ Dar Guzar Ki Hai
Tujh Se Chupau Muh To Karu Kiske Saamne
Kya Aur Bhi Kisi Se Tawaqqo Nazar Ki Hai
Jaavu Kaha Pukaru Kisey Kiska Muh Taku
Kia Pursish Aur Ja’ Bhi Sagey Be-Hunar Ki Hai
Baab E At’a To Ye Hai Jo Bahka Idhar Udhar
Kaisi Kharaabi Uss Nagharey Dar-Ba-Dar Ki Hai
Aabad Ek Dar Hai Tera Aur Tere Siwa
Jo Baargah Dekhiye Ghairat Khandar Ki Hai
Lub Wa Hai Aankhey Bandh Hai Phayli Hai Jholiya
Kitne Maaze Ki Bheek Tere Paak Dar Ki Hai
Ghera Andheriyo Ne Duh’ee Hai Chand Ki
Tanha Hu Kaali Raat Hai Manzil Khatar Ki Hai
Kismat Mei Laakh Pech Ho Sau Bal Hazaar Kaj
Ye Saari Ghutthi Ik Teri Seedhi Nazar Ki Hai
Aisi Bandhi Naseeb Khule Mushkiley Khuli
Dono Jaha Mei Dhoom Tumhari Kamar Ki Hai
Jannat Na Dey Na Dey Teri Ruyat Ho Khair Se
Is Ghul Ke Aagey Kisko Hawas Bargho Bar Ki Hai
Sharbat Na Dey Na Dey To Karey Baat Lutf Se
Ye Shahad Ho To Phir Kise Parwa Shakar Ki Hai
Mai Khana-Zaad Kohna Hu Surat Likhi Huwi
Bando Kaneezo Mei Mere Madar Pedar Ki Hai
Mangta Ka Haath Uth-Te Hi Daata Ki Dayn Thi
Doori Qubool O Arz Mei Bas Haath Bhar Ki Hai
Sanki Wo Dekh Baad’e Shafat Ki De Hawa
Ye Aabru Raza Tere Damaan E Tar Ki Hai
Nabi Sarvar-E-Har Rasool O Vali Hai
Nabi Sarvar-E-Har Rasool O Vali Hai
Nabi Razdar-E-Ma’ Llah Li Hai
Vo Nami Ke Nam-E-Khuda Naam Tera
Raoof O Raheem O Aleem O Ali Hai
Hai Betaab Jis Ke Liye Arsh-E-Azam
Vo Is Rah Rave Laa Makaan Ki Gali Hai
Nakeeren Karte Hai Taazim Meri
Fida Hoke Tuj Pe Ye Izzat Mili Hai
Talatum Hai Kashti Pe Tufan-E-Gam Ka
Ye Kesi Hava-E-Mukhalif Chali Hai
Na Kyu Kar Kahu Ya Habeebi Agisni
Isi Naam Se Har Musibat Tali Hai
Saba Hai Muje Sarsar-E-Daste Tayba
Isi Se Kali Mere Di Ki Khili Hai
Tere Chaaron Hamdam Hai Yak Jaan Yak Dil
Abu Bakr Farrok Usmaa Ali Hai
Khuda Ne Kiya Tuj Ko Agah Sab Se
Do Alam Mai Jo Kuchh Kafi V Jali Hai
Tamanna Hai Farmaiye Roz-E-Mehshar
Ye Teri Rihaee Ki Chitthi Mili Hai
Shafa’at Kare Hashr Mai Jo Raza Ki
Siva Tere Kis Ko Ye Kudrat Mili Hai
Kiske Jalway Ki Jhalak He Ye Ujala Kya He

Har Taraf Deed-E -Herat Zada Tak Ta Kya He
Mang Man Manti Munh Mangi Murade Le Ga
Na Yaha Na He Na Mangta Se Ye Kahna Kya He
Hum He Unke Wo He Tere To Huwe Hum Tere
Is Se Barh Kar Teri Samt Aur Wasila Kya He
Un Ki Ummat Me Banaya Unhe Rahmat Bheja
Yu Na Farma Ke Tera Reham Me Dawa Kya He
Sadqa Pyare Ki Haya Ka, Na La Mujhse Hisab
Baqsh Be Puche Lajaye Ko Laja Na Kya He
Zahid Un Ka Mai Gunahgaar Wo Mere Shafey
Itni Nisbat Mujhe Kya Kam He Tu Samjha Kya He
Bebasi Ho Jo Mujhe Pursishe Aamal Ke Waqt
Dosto Kya Kahu Us Waqt Tamanna Kya He
Kash Fariyad Meri Sunkar Ye Farmaye Huzoor
Haan Koi Dekho Ye Kya Shor He Ghogha Kya He
Kon Aafat Zada He Kis Pe Bala Tooti He
Kis Musibat Me Giraftar He Sadma Kya He
Kis Se Kahta He Ke Lillah Khabar Lijiye Meri
Kion He Betab Ye Be Cheni Ka Rona Kya He
Is Ki Becheni Se He Khatir-E-Aqdas Pe Malal
Be Kasi Kaisi He Pucho Koi Guzra Kya He
Yu Malaik Kare Maaroz Ke Aqa Ek Mujrim He
Is Se Pursish He Bata Tune Kya Kya Kya He
Samna Qahar Ka He Daftar-E-Aamal He Pesh
Dar Raha He Ke Khuda Hukm Sunata Kya He
Aap Se Karta He Fariyad Ke Ya Sha-E-Rusul
Banda Bekas He Shaha Reham Me Waqfa Kya He
Ab Koi Dam Me Giraftare Bala Hota Hun
Aap Aajain Tu Kya Kouf He Khatka Kya He
Sun Ke Ye Aarz Meri Behre Karam Josh Me Aai
Yun Malaik Ko Ho Irshad Teharna Kya He
Kis Ko Tum Mo’ride Aafat Kya Chahte Ho
Hum Bhi To Aake Zara Dekhein Tamasha Kya He
Un Ki Aawaz Pe Kar Uthu Mai Be Sakhta Shour
Aur Tadap Kar Kahu Ab Mujhe Parwa Kya He
Lo Wo Aaya Mera Haami…Mera Gham Khaar-E-Umam
Aagayi Jaan Tane Be Jaan Me Ye Aana Kya He
Phir Mujhe Daman-E-Aqdas Me Chupalein Sarwar
Aur Farmain Hato Is Pe Taqaza Kya He
Banda Aazad Shuda He Ye Hamare Dar Ka
Kaisa Lete Ho Hisab Is Pe Tumhara Kya He
Chor Kar Mujh Ko Farishte Kahe Mahkoom Hein Hum
Hukm Wala Ki Na Taalim Ho Zahra Kya He
Ye Sama Dekh Ke Mehshar Me Uthe Shour Ke Wah!!
Chashm-E-Baddur Ho Kya Shaan He Rutba Kya He
Sadqe Is Raham Ke Is Saya’e Daman Pe Nisar
Apne Bande Ko Musibat Se Bachaya Kya He
Aai Raza Jan-E-Ana Dil Tere Nagmo Ke Nisar
Bul Bule Baghe-E-Medina Tera Kehna Kya He.
Qaafile Ne Soo E Taibah Kamar Arayi Ki
Qaafile Ne Soo E Taibah Kamar Arayi Ki
Mushkil Aasaan Ilaahi Meri Tanhaayi Ki
Laaj Rakh Li Tam’ E ‘Afw Key Saudaayi Ki
Ey Mein Qurban Mere Aaqa Barri Aaqayi Ki
Farsh Taa Arsh Sab Aayina Zama’ir Haazir
Bass Qasam Khaaiye Ummi Teri Daanaayi Ki
Shash Jehat Samt E Muqabil Shab O Roz Ek Hi Haal
Dhoom ‘Wannajm’ Mein Hay Aap Ki Beenaayi Ki
Paansau Saal Ki Raah Aisi Hay Jaise Dogaam
Aas Hum Ko Bhi Lagi Hay Teri Shunwaayi Ki
Chaand Ishare Ka Hila Hukm Ka Baandha Sooraj
Waah Kya Baat Shaaha Teri Tawaanaayi Ki
Tang T Hehri Hay Raza Jiske Liye Woos’ate ‘Arsh
Bass Jagah Dil Mein Hay Us Jalwah E Harjaayi Ki
Dushman-E Ahmad Pe Shiddat Kijiye
Dushman-E Ahmad Pe Shiddat Kijiye
Mulhidon Ki Kiya Murwwat Kijiye
Zikr Unka Chheriye Har Bat Mein
Chherna Shetan Ki Aadat Kijiye
Misle Faras Zalzale Hon Najd Me
Zikr-E Aayaate Wiladat Kijiye
Ghaiz Me Jal Jaa Yen Be Dino Ke Dil
Ya Rasool Allah Ki Kasrat Kijiye
Kijiye Charcha Unhi Ka Subho Sham
Jaane Kaafir Par Qayamat Kijiye
Shirk Thahre Jis Me Tazime Habib
Us Bureh Mazhab Pe Lanat Kijiye
Zaalimo! Mahboob Ka Haq Tha Yahi
Ishq Ke Badle Adawat Kijiye
Ghaus-E-Azam Aap Se Faryad He
Zinda Phir Ye Pak Millat Kijiye
Mere Aaqa Hazrate Achche Mian
Ho Raza Ac’cha Wo Soorat Kijiye
Sunte Hain Ki Mehshar Mein Sirf Unki Rasai Hai

Gar Unki Rasaaee Hai Lo Jab To Ban Aayi Hai
Machla Hai Ki Rehmat Ne Ummeed Bandhai Hai
Kya Baat Teri Mujrim Kya Baat Banai Hai
Sab Ne Safe Mehshar Mein Lalkaar Diya Hum Ko
Aye Bekason Ke Aaqa Ab Teri Duhai Hai
Yun To Sab Unhi Ka Hai Par Dil Ki Agar Poocho
Yeh Toote Hue Dil Hi Khaas Unki Kamai Hai
Zaair Gaye Bhi Kab Ke Din Dhalne Pe Hai Pyaare
Uth Mere Akele Chal Kya Der Lagaaee Hai
Baazare Amal Mein Toh Sauda Na Bana Apna
Sarkar Karam Tujh Mein Aibee Ki Samai Hai
Girte Huwo Ko Muzda Sajde Mein Gire Maula
Ro Ro Ke Shafa’at Ki Tamheed Uthai Hai
Aye Dil Yeh Sulagna Kya Jalna Hai To Jal Bhi Uth
Dum Ghutne Laga Zaalim Kya Dhooni Ramai Hai
Mujrim Ko Na Sharmao Ahbaab Kafan Dhak Do
Muh Dekh Ke Kya Hoga Parde Mein Bhalai Hai
Ab Aap Hi Sambhalein Toh Kaam Apne Sambhal Jaayein
Humne To Kamai Sab Khelon Mein Ganwai Hai
Aye Ishq Tere Sadqe Jalne Se Choote Saste
Joh Aag Bujha Degi Woh Aag Lagai Hai
Hirso Hawase Bad Se Dil Tu Bhi Sitam Kar Le
Tu Hi Nahi Begana Dunya Hi Parai Hai
Hum Dil Jale Hain Kiske Haat Fitnon Ke Parkaale
Kyun Foonk Du Ik Uf Se Kya Aag Lagai Hai
Taiba Na Sahi Afzal Makkah Hi Bada Zaahid
Hum Ishq Ke Bande Hain Kyun Baat Badhai Hai
Gunahgaron Ko Hatif Se Naweede Khush Ma’ali Hai

Mubarak Ho Shafa’at Ke Liye Ahmad Sa Wali Hai
Tera Kadde Mubarak Gulbune Rehmat Ki Dali Hai
Ise Bo Kar Tere Rab Ne Bina Rehmat Ki Dali Hai
Kaza Haq Hai Magar Is Shok Ka Allah Wali Hai
Jo Unki Rah Mein Jaaye Wo Jaan Allah Wali Hai
Mein Ek Mohtaj Be Wak’at Gada Tere Sage Dar Ka
Teri Sarkar Wala Hai Tera Darbar Aali Hai
Tumhari Sharm Se Shane Jalal Haq Tapakti Hai
Khame Gardan Hilale Aasmane Zuljalali Hai
Abu Bakro Umar Usmano Hayder Jis Ke Bulbul Hein
Tera Sarwe Saheeh Us Gulbane Khubi Ki Dali Hai
Raza Kismat Hi Khul Jaaye Jo Geelan Se Khitab Aaye
Ke Tu Adna Sage Dargahe Khuddame Ma’ali Hai
Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noore Baari Hijab Me Hai

Zamana Taarik Ho Raha Hai Ki Mehr Kab Se Nikaab Me Hai
Nahi Wo Meethi Nigaah Waala Khuda Ki Rehmat Hai Jalwa Farma
Ghazab Se Unke Khuda Bachaye Jalaal E Baari Etaab Me Hai
Jali-Jali Bu Se Uski Paida Hai Sozish E Ishqe Chashme-Wala
Kabaabe Aahu Me Bhi Na Paaya Maza Jo Dil Ke Kabaab Me Hai
Unhi Ki Bu Maya E Saman Hai Unhi Ka Jalwa Chaman Chaman Hai
Unhi Se Ghulshan Mehek Rahe Hai Unhi Ki Rangat Ghulab Me Hai
Teri Julu Me Hai Maahe Taibah Hilaal Har Margo Zindagi Ka
Hayaat Jaa(N) Ka Rikab Me Hai Mamaate A’ada Ka Daab Me Hai
Siy(A)H Libasane Daare Duniya Wa Sabz-Poshane Arshe Aala
Har Ik Hai Unke Karam Ka Pyasa Ye Faiz Unki Janaab Me Hai
Wo Ghul Hain Lub-Haye Naazuk Unke Hazaaro Jhadte Hai Phool Jinse
Ghulab Ghulshan Me Dekhay Bulbul Ye Dekh Ghulshan Gulaab Me Hai
Jali Hai Soze Jigar Se Jaa(N) Tak Hai Taalib E Jalwa E Mubarak
Dikha Do Wo Lab Ki Aab E Haiwa(N) Ka Lutf Jinke Khitaab Me Hai
Khare Hain Munkar Nakeer Sarr Par Na Koi Haami Na Koi Yaavar
Bata Do Aakar Mere Payamabar Ki Sakht Mushkil Jawab Me Hai
Khudae Kehar Hai Ghazab Par Khule Hai Badd-Kariyo(N) Ke Daftar
Bacha Lo Aa Kar Shafe’e Mehshar Tumhara Banda Azaab Me Hai
Kareem Aisa Mila Ke Jiske Khule Hai Haath Aur Bhare Khazane
Batao Ay Mufliso Ke Phir Kyu Tumhara Dil Izterab Me Hai
Gunah Ki Tareekiyan Ye Chaaen Umand Ke Kaali Ghata-E Aayeen
Khuda Ke Khursheed Mehr Farma Ki Zarra Bas Izteraab Me Hai
Kareem Apne Karam Ka Sadqa La-Eeme Be Qadr Ko Na Sharma
Tu Aur Raza Se Hisaab Lena Raza Bhi Koi Hisaab Me Hai
Kya Mahekte Hain Mahekne Wale
Kya Mahekte Hain Mahekne Wale
Boo Pe Chalte Hain Bhatakne Wale
Jagmaga Uthi Meri Gor Ki Khaak
Tere Qurbaan Chamakne Wale
Mahe Bedaag Ke Sadqe Jaaun
Yun Damakte Hain Damakne Wale
Arsh Tak Phaili Hai Taab E Aariz
Kya Jhalakte Hain Jhalakne Wale
Gul E Taiba Ki Sana Gaate Hain
Nakhl E Tooba Pe Chahekne Wale
Aasiyo! Thaam Lo Daaman Un Ka
Wo Nahin Haath Jhatakne Wale
Abr E Rehmat Ke Salaami Rehna
Phalte Hain Paude Lachakne Wale
Arey Ye Jalwa Gaahe Jaanan Hain
Kuch Adab Bhi Hain Phadakne Wale
Sunniyo! Un Se Madad Maange Jao
Pade Bakte Rehte Hain Bakne Wale
Sham’e Yaad E Rukh E Jaanan Na Bujhe
Khaaq Ho Jaaye Bhadakne Wale
Maut Kehti Hai Ke Jalwa Hai Qareeb
Ek Zaraa So Lein Bilakne Wale
Hum Bhi Khumhlaane Se Gaafil The Kabhi
Kya Hansa Gunche Chatakne Wale
Nakhl Se Chhutke Ye Kya Haal Huwa
Aah! O Patte Khadakne Wale
Jab Gire Munh Sooye Maikhana Tha
Hosh Mein Hai Ye Behekne Wale
Dekh O Zakhm E Dil Aape Ko Sambhal
Phoot Behte Hain Tapakne Wale
Mae Kahaan Aur Kahaan Main Zaahid
Yun Bhi To Chhakte Hain Chhakne Wale
Kaf E Dariya E Karam Mein Hai Raza
Paanch Fawware Chhalakne Wale
Ya Ilahi Reham Farma Mustafa Ke Waaste
Ya Ilahi Reham Farma Mustafa Ke Waaste
Ya Rasoolallah Karam Kije Khuda Ke Waaste
Mushkile(N) Hal Kar Shahe Mushkil Kusha Ke Waaste
Kar Balaayen Rad Shahide Karbala Ke Waaste
Sayyide Sajjaad Ke Sadqe Mein Saajid Rakh Mujhe
Ilme Haq De Baaqire Ilme Huda Ke Waaste
Sidqe Saadiq Ka Tasadduq Saadiqul Islam Kar
Be Gazab Raazi Ho Kaazim Aur Raza Ke Waaste
Behre Maa’roofo Saree Maa’roof De Be Khud Saree
Junde Haq Mein Gin Junaide Baa Safaa Ke Waaste
Behre Shibli Shere Haq Duniya Ke Kutton Se Bacha
Ek Ka Rakh Abde Waahid Be Riya Ke Waaste
Bul Farah Ka Sadqa Kar Gham Ko Farah De Husno Saa’d
Bul Hasan Aur Boo Saeede Saa’de Zaa Ke Waaste
Qadri Kar Qadri Rakh Qadriyon Mein Utha
Qadre Abdul Qadire Qudrat Numa Ke Waaste
‘Ahsanallahu-Lahum-Rizqan’ Se De Rizqe Hasan
Bandaye Razzaaq Taajul Asfiya Ke Waaste
Nasr Abee Saaleh Ka Sadqa Saaleho Mansoor Rakh
De Hayaate Dee(N) Muhiyye Jaa(N) Fizaa Ke Waaste
Toore Irfano Uluwwo Hamdo Husna Wa Baha
De Ali Moosa Hasan Ahmed Bahaa Ke Waaste
Behre Ibrahim Mujh Par Naare Gham Gulzaar Kar
Bheek De Data Bhikaari Baadshah Ke Waaste
Khaanaye Dil Ko Ziya De Roo-E-Imaa(N) Ko Jamaal
Shah Ziya Maula Jamaalul Auliya Ke Waaste
De Muhammad Ke Liye Rozi Kar Ahmed Ke Liye
Khwaane Fazlullah Se Hissa Gadaa Ke Waaste
Deeno Dunya Ke Mujhe Barkaat De Barkaat Se
Ishqe Haq De Ishqi Ishqe Intima Ke Waaste
Hubbe Ahle Bait De Aale Muhammad Ke Liye
Kar Shahide Ishq Hamza Peshwa Ke Waaste
Dil Ko Achcha Tan Ko Suthra Jaan Ko Purnoor Kar
Achche Pyare Shamse Dee(N) Badrul Ula Ke Waaste
Do Jahaa(N) Mein Khaadime Aale Rasoolallah Kar
Hazrate Aale Rasoole Muqtada Ke Waaste
Sadqa In Aa’yaa(N) Ka De Che Ain Izz Ilmo Amal
Afwo Irfa Aafiyat Ahmed Raza Ke Waaste
Chamak Tujhse Paate Hain Sab Paane Waale

Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Waale
Barasta Nahi Dekh Kar Abr E Rehmat
Badoo(N) Par Bhi Barsa De Barsane Waale
Madine Ke Khitte Khuda Tujhko Rakhhe
Ghareebo Faqeero Ke Thehrane Waale
Tu Zinda Hai Wallah Tu Zinda Hai Wallah
Mere Chashme Aalam Se Chup Jaane Waale
Me Mujrim Hu Aaqa Mujhe Saath Le Lo
Ke Raste Me Hai Jaa Baja Thane Waale
Haram Ki Zamee(N) Aur Qadam Rakh Ke Chalna
Are Sar Ka Mouqa Hai O Jaane Waale
Chal Uth Zabah Farsa Ho Saaki Ke Dar Par
Dar E Jood Hai Mere Mastane Waale
Tera Khaye Tere Ghulamo Se Uljhe
Hai Munkir Ajab Khaane Gurrane Waale
Rahega Yu Hi Unka Charcha Rahega
Pade Khaaq Ho Jaye Jal Jaane Waale
Ab Aayi Shafa’at Ki Sa’at Ab Aayi
Zara Chain Le Mere Ghabhrane Waale
Raza Nafs Dushman Hai Dumme Na Aana
Kaha Tumne Dekhe Hai Chandrane Waale
Muzda Bad Aye Aasiyo Shafe E Shahe Abrar Hai

Teheniyat Aye Mujrimo Zate Khuda Gaffar Hai
Chand Shak Ho Paer Bolein Janawar Sajda Karein
Barakallah Marja-E-Alam Yehi Sarkar Hai
Jinko Su-E-Aasama Phaila Ke Jal Thal Bhar Diye
Sadqa Un Hatho Ka Pyare Hamko Bhi Darkar Hai
Ghore Ghore Paao Chamka Do Khuda Ke Waste
Noor Ka Tarka Ho Piyare Ghor Ki Shab Taar Hai
Tere Hi Daaman Pe Har Aasi Ki Parti Hai Nazar
Ek Jaan-E-Be Khata Par Do Jahan Ka Baar Hai
Rehamatullil Aalami Teri Duhaee Dab Gaya
Ab To Maula Be Tarha Sar Per Gunah Ka Baar Hai
Ghunj Ghunj Uthey Hain Nagmat-E-Raza Se Bostan
Kyu Na Ho Kis Phool Ki Mid’hat Mai Waminkaar Hai
Momin Woh Hai Jo Unki Izzat Pe Mare Dil Se

Ta’zeem Bhi Karta Hai Najdi To Mare Dil Se
Wallah Woh Sun Lenge Fariyad Ko Pahuchenge
Itna Bhi To Ho Koi Jo Ah Kare Dil Se
Bichdi Hai Gali Kaisi Bigdi Hai Bani Kaisi
Pooch Koi Ye Sadma Arman Bhare Dil Se
Kiya Usko Giraye Dahr Jis Par Tu Nazar Rakkhe
Khak Us Ko Utaye Hashr Jo Tere Gire Dil Se
Bahka Hai Kahan Majnoon Le Dali Banon Ki Khak
Dam Bhar Na Kiya Khaima Laila Ne Pare Dil Se
Sone Ko Tapaye Jab Kuch Meel Ho Ya Kuch Mail
Kiya Kam Jahannam Ke Dahre Ko Khare Dil Se
Ata Hai Dare Wala Yoon Zauqe Tawaf Ana
Dil Jan Se Sadqe Ho Sir Gird Fire Dil Se
Aye Abre Karam Fariyad Fariyad Jala Dala
Is Sozishe Gham Ko Hai Zid Mere Hare Dil Se
Dariya Hai Chadha Tera Kitni Hi Udayi Khak
Utrenge Kahan Mujrim Aye Afw Tere Dil Se
Kiya Janen Yame Gham Mein Dil Doob Gaya Kaisa
Kis The Ko Gaye Arman Ab Tak Na Tere Dil Se
Karta To Hai Yad Unki Gaflat Ko Zara Rook
Lillah Raza Dil Se Han Dil Se Are Dil Se
Ronaq E Bazm E Jahan Hain Aashiqan E Sokhta

Keh Rahi Hai Shama Ki Goya Zuban E Sokhta
Jis Ko Qurs Mohar Samjha Hai Jahan Ae Mu’emo!
Unn Ke Khawan Jood Se Hai Aik Naam E Sokhta
Mah E Mann Yeh Nayyar Mehshar Ki Garmi Taabke
Aatish E Isyaa(N) Mein Khud Jalti Hai Jaan E Sokhta
Barq E Angisht Nabi Chamki Thi Is Par Aik Baar
Aaj Taq Hai Seena E Meh Mein Nishan E Sokhta
Mohar Aalam Taab Jhukta Hai Piye Tasleem Roz
Pish E Zarraat Mazaar Baed Laan E Sokhta
Kuucha E Gaisoye Janaan Se Chalay Thandhi Naseem
Baal O Par Afshaan Hon Yarab Bulbulaan E Sokhta
Behr E Haq Ae Behr E Rehmat Ik Nigah E Lutaf Baar
Taabkey Be Aabb Tarpae(N) Maahiyaan E Sokhta
Rokash Khurshid Mehshar Ho Tumharay Faiz Se
Ik Sharar E Seena E Shaedaaiya(N) Sokhta
Aatish E Gulhaaey Ne Dil Kiye Kya Kya Kabaab
Khizr Ki Jaa(N) Ho Jila Do Maahiyan E Sokhta
Aatish Glhaye Tayyiba Par Jalanay Ke Liye
Jaan Ke Taalib Hain Piyaray Bulbulaan E Sokhta
Lutaf Barq E Jalwa E Mairaaj Laya Wajad Mein
Sh’ula Jawala Saan Hai Aasman Sokhta
Ae Raza Mazmoon Soze Dil Ki Riffat Ne Kya
Is Zamin E Sokhta Ko Aasman Sokhta
Allah Allah Ke Nabi Se
Allah Allah Ke Nabi Se
Fariyaad Hai Nafs Ki Badee Se
Din Bhar Khelon Mein Khaak Udaayi
Laaj Aayi Na Zarro Ki Hansi Se
Shab Bhar Sone Hee Se Garaz Thi
Taaron Ne Hazaar Daant Peese
Imaan Pe Maut Behtar O Nafs
Teri Naapaak Zindagi Se
O Shahad Numaaye Zahar Dar Jaam
Gum Jaaoon Kidhar Teri Badee Se
Gehre Pyare Purane Dilsoz
Guzra Main Teri Dosti Se
Tuj Se Jo Uthaaye Main Ne Sadme
Aise Na Mile Kabhi Kisi Se
Uf Re Khud Kaam Be Murawwat
Padta Hai Kaam Aadmi Se
To Ne Hi Kiya Khud Se Naadim
Tu Ne Hi Kiya Khazil Nabi Se
Kaise Aaqa Ka Hukm Taala
Hum Mar Mite Teri Khud-Saree Se
Aati Na Thi Jab Badee Bhi Tujh Ko
Hum Jaante Hain Tujhe Jabhi Se
Had Ke Zaalim Sitam Ke Katthar
Patthar Sharmaayen Tere Jee Se
Hum Khaak Mein Mil Chuke Hain Kab Ke
Nikla Na Gubaar Tere Jee Se
Hai Zaalim! Main Nibahoon Tujh Se
Allah Bachaye Us Ghadi Se
Jo Tum Ko Na Jaanta Ho Hazrat
Chaalen Chaliye Us Ajnabi Se
Allah Ke Saamne Who Gun The
Yaaron Main Kaise Muttaqi Se
Rehzan Ne Loot Lee Kamaayi
Fariyaad Hai Khizr Haashmi Se
Allah Koonye Main Khud Gira Hoon
Apni Naalish Karu(N) Tujhi Se
Hain Pushte Panah Gause Aa’zam
Kyun Darte Ho Raza Kisi Se
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare
Bekasi Loot Le Khuda Na Kare
Isme Rouze Ka Sajdah Ho Ki Tawaaf
Hosh Me Jo Na Ho Wo Kya Na Kare
Ye Wahi Hai Ki Baksh Dete Hai
Kaun In Jurmo Par Saza Na Kare
Sab Tabeebo Ne De Diya Hai Jawaab
Aah Eesa Agar Dawaa Na Kare
Dil Kaha Le Chala Haram Se Mujhe
Are Tera Bura Khuda Na Kare
Uzre Ummeed E Afw(A) Gar Na Sune
Ru Siyaah Aur Kya Bahana Kare
Dil Me Roushan Hai Shamm’e Ishq E Huzoor
Kaash Joshe Havas Hawa Na Kare
Hashr Me Hum Bhi Sayr Dekhenge
Munkir Aaj Unse Ilteja Na Kare
Zof Maana Magar Ye Zaalim Dil
Unke Raste Me To Thaka Na Kare
Jab Teri Khu Hai Sabka Jee Khana
Wahi Achha Jo Dil Bura Na Kare
Dil Se Ik Zouk E May Ka Talab Hu
Kaun Kehta Hai Itteqa Na Kare
Le ‘Raza’ Sab Chale Madine Ko
Mai Na Jaun Are Khuda Na Kare
Sabse Aula Wo Aala Hamara Nabi
Sabse Aula Wo Aala Hamara Nabi
Sab Sey Baala Wo Waala Hamaara Nabi.
Apne Maula Ka Piyara Hamaara Nabi
Dono A’alam Ka Dulha Hamaara Nabi.
Bazme Aakhir Ka Shamae Faraouza Hua
Noor E Awwal Ka Jalwah Hamaara Nabi.
Bujh Gayi Jiske Aage Sabhi Mashaley
Shama’a Woh Le Kar Aaya Hamaara Nabi.
Jiske Talwon Ka Dhovan Hai Aabe Hayaat
Hain Wo Jaane Masiha Hamaara Nabi
Khalq Se Auliyah Auliyah Se Rasool
Aur Rasoolon Se A’ala Hamaara Nabi
Husn Khaata Hain Jinke Namak Ki Qasam
Woh Maleehe Dilaara Hamaara Hamaara Nabi
Zikr Sab Pheeke Jab Tak Na Mazkur Ho
Namakeen Husn Waala Hamaara Nabi
Jiski Do Boond Hain Kausaer O Salsabeel
Hain Wo Rehmat Ka Dariya Hamaara Nabi
Jaise Sab Ka Khuda Aik Hai Waise Hi
Inka Unka Tumhara Hamaara Nabi
Karno Badli Rasoolo Ki Hoti Rahi
Chaand Badli Ka Nikla Hamaara Nabi
Kaun Deeta Hain Dene Ko Muh Chahiye
Deene Waala Hai Sachha Hamaara Nabi
Saare Achhon Me Achha Samajhiye Jise
Hain Us Achhe Se Achha Hamaara Nabi
Kya Khabar Kitne Taare Khile Chup Gaye
Par Na Doobe Na Dooba Hamaara Nabi
Mulke Qaunain Mein Ambiya Taajdaar
Taajdaro Ka Aaqa Hamaara Nabi.
La Makaa Tak Ujalaj Hai Jisko Wo Hain.
Har Makaa Ka Ujala Hamaara Nabi.
Saare Uncho Mein Uncha Samajhiye Jise.
Hai Uss Unche Se Uncha Hamaara Nabi.
Sab Chamak Waale Ujhlo Me Chamka Kiye.
Andhe Sheesho Mein Chamka Hamaara Nabi.
Gamzado Ko Raza Mushda Di Je Ke Hain
Be Kasoon Ka Sahara Hamara Nabi.
Arshe Haq He Musnade Rif’at Rasoolullah Ki

Dekhni He Hashr Me Izzat Rasoolullah Ki
Qabr Me Lehrayenge Tha Hasr Chashme Noor Ke
Jalwah Farma Hogi Jab Tal’at Rasoolullah Ki
Kaafiro Par Taighe Waala Se Giri Bakre Ghazab
Abr-Aasa Cha Gayi Haibat Rasoolullah Ki
Laa Wa Rabbil Arsh Jisko Jo Mila Unse Mila
Bat’ti He Kownain Me Ne’mat Rasoolullah Ki
Wo Jahannum Me Gaya Jo Unse Mustaghni Huwa
Hai Khalleelullah Ko Haajat Rasoolullah Ki
Sooraj Ulte Paaw Palte Chaand Ishaare Se Ho Chaak
Andhe Najdi Dekhle Qudrat Rasoolullah Ki
Tujhse Aur Jannat Se Kya Matlab Wahabi Duur Ho
Hum Rasoolullah Ke, Jannat Rasoolullah Ki
Zikr Roke Fazal Kaate Naqs Ka Juya(N) Rahe
Phir Kahe Mardak Ke Hu Ummat Rasoolullah Ki
Najdi Usne Tujhko Mohlat Di Ki Iss Aalam Me Hai
Kaafiro Murtad Pe Rehmat Rasoolullah Ki
Hum Bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse Fazoo
Aur Naa Kehna Nahee Aadat Rasoolullah Ki
Ahle Sunnat Ka He Bera Paar Ashaabe Rasool
Najm He Aur Naav Hai Itrat Rasoolullah Ki
Khaaq Ho Kar Ishq Me Aaram Se Sona Mila
Jaan Ki Akseer Hai Ulfat Rasoolullah Ki
Toot Jaa-Enge Gunaahgaro Ke Fawran Qaid-O-Bund
Hashr Ko Khuljaaegi Taaqat Rasoolullah Ki
Ya Rabb Ik Saa’at Me Dhul Jaa-E Siyaahkaro Ke Jurm
Josh Par Aa Jaaye Ab Rehmat Rasoolullah Ki
Hai Ghule Baaghe Qudus Rukhsaar E Zeba E Huzoor
Sarve Ghulzaar E Qadam Kaamat Rasoolullah Ki
Ae Raza Khud Saahibe Quraan Hai Mud’daahe Huzoor
Tujhse Kab Mumkin He Phir Midhat Rasoolullah Ki
(Sallallahu Alahi Wa Sallam)
Peysh E Haq Muzhda Shafa’at Ka Sunate Jeeinge

Ap Route Jeeinge Hum Ko Hasate Jeeinge
Dil Nikal Jane Kee Ja Hai Ah! Kin Ankhoon Se Wo
Hum Se Piyason Ke Liye Darya Ba Ha Te Jeeinge
Kushtgane Garmiye Mahshar Ko Wo Jane Maseeh
Aj Daman Ki Hawa De Kar Jilate Jeenge
Gul Khilega Aj Yeh Unki Naseeme Faiz Se
Khoon Route Eenge Hum Muskurate Jeenge
Han Chalo Hasrat Zad Oon Sunte Hain Wo Din Aj Hai
Thee Khabar Jisskee Ke Wo Jalwa Dikhate Jeeinge
Kuch Khabar Bhee Hai Faqeeron Aj Wo Din Hai Ke Wo
Na’mat E Khuld Apne Sadqe Meyn Luta Te Jeeinge
Khak Uftado Buss Unn Ke Ane Hee Kee Der Hai
Khud Wo Girr Kar Sajdah Meyn Tum Ko Utha –Te Jeeinge
Wus’ateyn Dee Hain Khuda Ne Daman E Mehboob Ko
Jurm Khulte Jeeinge Aur Wo Chupate Jeeinge
Lo Wo Ee Muskurate Hum Aseeron Kee Taraf
Khirman E Is’iyan Pe Bij Lee Gira Te Jeeinge
Sokhta Jano Pe Wo Pur Joshe Rahmat Ee Hain
Abe Kausar Se Lagi Dil Ki Bujhate Jeenge
Aftab Unka Hii Chamkega Jab Auron Ke Chirag
Sarsare Joshe Bala Se Jhilmilate Jeenge
Pee Quba Puul Se Guzrenge Teri Awaz Par
Rabbi Sallim Ki Sada Par Wajd Late Jeenge
Sarware Di Lije Apne Natwano Ki Khabar
Nafso Shaitan Seyida Kab Tak Dabate Jeenge
Hush Ar Tak Da Leyn Ge Hum Pey Da Ish E Maula Kee Dhoom
Miss Le Fa Ris Najd Ke Qil Aey Gira Te Jeeinge
Khak Ho Jeei(N) A’doo Jal Kar Magar Hum Tou Raza
Dum Mey(N) Jab Tak Dum Hai Zikr Unn Ka Suna Te Jeei(N)Ge
Aankhein Ro Ro Ke Sujane Wale
Aankhein Ro Ro Ke Sujane Wale
Jaane Waale Nahi Aane Wale
Sun Le Aada Main Bigadane Ka Nahi
Vo Salamat Hain Banane Wale
Aankhain Kuch Kehati Hain Tuj Se Pegham
O-Dare Yar Ke Jane Wale
Phir Na Karvat Li Madine Ki Taraf
Are Chal Jhute Bahane Wale
Nafs Main Jak Huva Tu Na Mita
Ae Meri Jan Ke Khane Wale
Jite Kya Dekh Ke Hain Ae Huro
Tayba Se Khuld Main Ane Wale
Sath Lelo Muje Main Mujlim Hu
Rah Me Palke Hain Thane Wale
Koi Din Main Ye Sara Aujad He
Are Ao-Chhavani Chhane Wale
Jabah Hote Hain Vatan Se Bichhde
Dale Kyo Gate Hain Gane Wale
Are Bad Fal Hari Hoti Hain
Dale Ka Jangala Sunane Wale
Husn Tera Sana Dekha Sunna
Kehte Hain Agre Jamane Wale
Wahi Dhoom In Ki He Mashaalla
Mit Gaye Ap Mitane Wale
Kyu “Raza” Aaj Gali Suni Hain
Uth Mere Dhoom Machane Wale
Raah Pur Khar Hai Kya Hona Hai
Raah Pur Khar Hai Kya Hona Hai
Paa(N)V Afgaar He Kiya Hona He
Khushk He Khoon Ki Dushman Zalim
Sakht Khunkhaar He Kiya Hona He
Humko Bid Kar Wahi Karna Jis Se
Dost Bezaar He Kiya Hona He
Tan Ki Aab Kaun Khabar Le He-He
Dil Ka Aazaar He Kiya Hona He
Meethe Sharbat De Maseeha Jab Bhi
Zid He Inkaar He Kiya Hona He
Dil Ki Teemar Hamara Karta
Aap Bimaar He Kiya Hona He
Par Kate, Tang Kafas Aur Bulbul
Nou-Giraftaar He Kiya Hona He
Chup Ke Logo(N) Se Kiye Jiske Gunah
Woh Khabardaar He Kiya Hona He
Are O Mujhrim E Be-Parwah Dekh
Sar Pe Talwaar He Kiya Hona He
Tere Bimaar Ko Mere Isaa
Gash Lagatar He Kiya Hona He
Nafse Puzor Ka Wo Zor Aur Dil
Zer He Zaar He Kiya Hona He
Kaam Zinda Ke Kiye Aur Hame
Shouke Gulzaar He Kiya Hona He
Haye Re Neend Musafir Teri
Kooch Taiyar He Kiya Hona He
Duur Jaana He Raha Din Thoda
Rah Dushwaar He Kiya Hona He
Ghar Bhi Jaana He Musafir Ki Nahi
Mat Pe Kiya Maar He Kiya Hona He
Jaan Halkaan Hui Jaati He
Baar Sa Baar He Kiya Hona He
Paar Jaana He Nahi Milti Naav
Zor Par Dhaar He Kiya Hona He
Raah To Taigh Par Aur Talwo(N) Ko
Gila-E Khaar He Kiya Hona He
Roushni Ki Hame Aadat Aur Ghar
Teera-Wo Taar He Kiya Hona He
Beech Me Aag Ka Dariya Ha-Il
Qasd Us Paar He Kiya Hona He
Iss Kadee Dhoop Ko Kyu Kar Jhele
Shola Jan Naar He Kiya Hona He
Haye Bigdi Tu Kaha Aakar Naav
Ayn E Manj-Dhaar He Kiya Hona He
Kal To Deedar Ka Din Aur Yaha
Aankh Bekaar He Kiya Hona He
Muh Dikhane Ka Nahi Aur Sahar
Aam Darbaar He Kiya Hona He
Unko Raham Aaye To Aaye Warna
Woh Kadi Maray Kiya Hona He
Le Wo Haakim Ke Sipahi Aaye
Subhe Izhaar He Kiya Hona He
Wa(N) Nahi Baat Banane Ki Majaal
Chaara Iqraar He Kiya Hona He
Saath Walo Ne Yahi Chor Diya
Bekasi Yaar He Kiya Hona He
Aakhri Deed He Aao Mil Le
Rang Bekaar He Kiya Hona He
Dil Hame Tumse Lagana Hi Na Tha
Ab Safar Baar He Kiya Hona He
Jaane Walo Pe Ye Rona Kaisa?
Banda Nachaar He Kiya Hona He
Naz’a Me Dhyan Na Batt Jaye Kahi
Ye Abas Pyar He Kiya Hona He
Iska Ghum He Ki Har Ek Ki Soorat
Gale Ka Haar He Kiya Hona He
Baatein Kuch Aur Bhi Tumse Karte
Par Kaha Vaar He Kiya Hona He
Kyu Raza Kudhte Ho Haste Uththo
Jab Wo Ghaffar He Kiya Hona He
Sarwar Kahoon Ke Malik O Maula Kahoon Tujhe

Baagh-E-Khaleel Ka Gul-E-Zaiba Kahoon Tujhay
Hurman Naseeb Hon Tujhe Ammid Geh Kahoon
Jaan-E Morad O Kaan Tamanna Kahoon Tujhe
Gulzaar Quds Ka Gul E Rangin Adaa Kahoon
Darmaan Dardِ Bulbul Shaida Kahoon Tujhe
Subh-E-Watan Pay Shaam-E-Ghareeban Ko Doon Sharaf
Bey-Kas Nawaaz Gey-Sue-Oon Wala Kahoon Tujhay
Allah Ray Teyray Jism-E-Munawwar Kee Taa-Bishein
Aey Jaan-E-Jaan Mein Jaan-E-Tajalla Kahoon Tujhay
Be Daagh Lala Ya Qamar Be Kalaf Kahoon
Be Khaar Gulbane Chaman Aara Kahoon Tujhe
Mujrim Hoon Apnay Af’oo Ka Samaan Karoon Shah-Aa
Ya’nee Shafe’e Roz-E-Jaza Ka Kahoon Tujhay
Is Murda Dil Ko Muzda Hayaat Abadd Ka Dun
Taab O Twan Jaan-E Masiihaa Kahoon Tujhe
Teyray Tou Wasf A’eb Ta-Na-Hee Say Hain Baree
Hairaan Hoon Meyray Shah Mein Kya Kya Kahoon Tujhay
Keh Lay Gee Sub Kuch Unkay Sana Khuwaan Kee Khamshee
Chup Ho Raha Hoon Keh Kay Mein Kiya Kiya Kahoon Tujhay
Leykin Raza Nay Khatm-E-Sukhan Iss Pay Kar Dia
Khaaliq Ka Banda Khalq Ka Aaqa Kahoon Tujhay
Arsh Ki Aql Dang Hai Charkh Pe Asmaan Hai

Jane Muraad Ab Kidhar Haye Tera Makaan Hai
Bazme Sana E Zulf Me Meri Aruse Fikr Ko
Saari Bahaar E Hasht Khuld Chota Sa Itrdaan Hai
Arsh Pe Jaake Murge Aql Thak Ke Gira Gash Aa Gaya
Aur Abhi Manzilo Pare Pehla Hi Aastan Hai
Arsh Pe Taaزa Cher Chaar Farsh Pe Turfa Dhoom Dhaam
Kaan Jidhar Lagaiye Teri Hi Daastaan Hai
Ik Tere Rukh Ki Roushni Chain Hai Do Jahaan Ki
Ins Ka Uns Usi Se Hai Jaan Ki Wo Hi Jaan Hai
Wo Jo Na The To Kuch Na Tha Wo Jo Na Houn To Kuch Na Ho
Jaan Hain Wo Jahaan Ki Jaan Hai To Jahan Hai
Ghod Me Aalam E Shabaab Haal E Shabaab Kuch Na Pooch
Ghulbune Baagh E Noor Ki Aur Hi Kuch Uthaan Hai
Tujhsa Siyahkaar Kaun Unsa Shafe’a Hai Kahan
Phir Wo Tujhi Ko Bhool Jaen Dil Ye Tera Guman Hai
Peshe Nazar Wo Nou Bahaar Sajde Ko Dil Hai Bekaraar
Rokiye Sar Ko Rokiye Haan Yahi Imtehaan Hai
Shaan E Khuda Na Saath De Unke Kheram Ka Wo Baaz
Sidra Se Tazamee Jise Narm Si Ek Uraan Hai
Baare Jalaal Utha Liya Garche Kaleja Shak Hua
Yu To Ye Maahe Sabza Rang Nazroun Me Dhaan Pan Hai
Khauf Na Rakh Raza Zara Tu To Hai Abad E Mustafa
Tere Liye Amaan Hai Tere Liye Amaan Hai
Andheri Raat Hai Gham Ki Ghata Isyaan Ki Kaali Hai

Dile Bekas Ka Is Aafat Mein Aaqa Tu Hi Waali Hai
Na Ho Maayoos Aati Hai Sada Gore Ghareeba(N) Se
Nabi Ummat Ka Haami Hai Khuda Bando(N) Ka Waali Hai
Utarte Chaand Dhalti Chaandni Jo Ho Sake Kar Le
Andhera Paakh Aata Hai Yeh Do Din Ki Ujaali Hai
Are Yeh Bhediyon Ka Ban Hai Aur Shaam Aagayi Sar Par
Kahaan Soya Musaafir Haaye Kitna Laa Ubaali Hai
Andhera Ghar, Akeli Jaan, Dam Ghut-Ta, Dil Uktaataa
Khuda Ko Yaad Kar Pyaare Woh Saa’at Aane Waali Hai
Zamee(N) Tapti, Kateeli Raah, Bhaari Bojh, Ghaail Paau(N)
Musibat Jhelne Waale Tera Allah Waali Hai
Na Chaunka Din Hai Dhalne Par Teri Manzil Hui Khoti
Are O Jaan Wale Neend Ye Kab Ki Nikaali Hai
Raza Manzil To Jaisi Hai Woh Ik Main Kya Sabhi Ko Hai
Tum Is Ko Rote Ho Yeh To Kaha Yaa(N) Haath Khaali Hai
Soona Jungle Raat Andheri Chayi Badli Kali He

Sone Wale Jagte Rahiyo Choron Ki Rakhwali He
Ankh Se Kajal Saf Chura Lain Yan Woh Chor Bala Ke He
Teri Takri Takee He Aur Tu Ne Neend Nikali He
Yeh Jo Tujh Ko Bulata He Yeh Thag He Mar Hi Rakhe Ga
Hye Musafir Dam Main Na Ana Mat Kaisi Matwali He
Sona Pas He Soona Ban He Sona Zehar He Uth Pyare
Tu Kehta He Meethi Neend He Teri Mat Hi Nirali He
Ankhne Mal Na Jhunjna Par Na Lakh Jamahi Angrayi
Array Nam Pe Uthne Ke Larta He Uthna Bhi Kuch Gali He
Jugnoo Chamke Patta Kharke Mujh Tanha Ka Dil Dharke
Dar Samjhaye Koi Pavan He Ya Agiya Be Tali He
Badal Garge Bijli Tarke Dhak Se Kaleja Ho Jaye
Ban Main Ghata Ki Bhayanak Soorat Kaisi Kali Kali He
Paon Utha Aur Thaukar Khayi Kuch Sambhla Phir Aondhe Mon
Neend Ne Phislan Kar Di He Aur Dhortak Khayi Nali He
Sathi Sathi Keh Ke Pukaron Sathi Ho Tu Jawab Aye
Phir Jhunjla Kar Sir De Patko Chal Re Mola Wali He
Tum To Chand Arab Ke Ho Pyare Tum To Ajam Ke Sooraj Ho
Dekho Mujh Bekas Par Sab Ne Kaisi Afat Dali He
Shehed Dikhaye Zehar Pilaye Katil Daen Shohar Kush
Iss Murdar Pe Kiya Lalchaya Dunya Dekhi Bhali He
Woh Tu Nihayat Sasta Soda Baich Rahe Hen Jannat Ka
Hum Muflis Kiya Moal Chukayen Apna Hath Hi Khali He
Mola Tere Afw-O-Karam Ho Mere Gawah Safayi Ke
Warna Raza Se Chor Pe Teri Digree Tu Iqbali He
Na ‘Arsh E Ayman Na Inni Zaahibun Mein Meyhmaani Hay

Na Lutf E Udun Yaa Ahmad Naseeb E Lan Taraani Hay
Naseeb E Dostaan Gar Unkey Dar Par Maut Aani Hay
Khuda Yun Hi Karein Phir To Humesha Zindgaani Hay
Ussi Dar Par Tarapatey Hain Machltey Hain Bilaktey Hain
Uttha Jaata Nahin Kya Khoob Apni Naa Tawaani Hay
Har Eik Deewaro Dar Par Mehr Ne Ki Hay Jabeen Saayi
Nigaar E Masjid E Aqdas Mein Kab Sone Ka Paani Hay
Terey Mangtaa Ki Khaamoshi Shafaa’at Khwaah Hay Us Ki
Zabaan E Be Zabaani Tarjumaan E Khasta Jani Hay
Khule Kya Raaz E Ehboob O Muhib Mastaane Ghaflat Par
Sharaab E Qad Ra’ Yal Haq Zayb E Jaam E Man Ra Aani Hay
Jahaan Ki Khaakroobi Ne Chaman Aaraa Kiya Tujh Ko
Saba Hum Ne Bhi Un Galiyo Ki Kuch Din Khaak Chhani Hay
Shahaa Kya Zaat Teri Haq Numaa Hay Fard E Imkaan Mein
Keh Tujh Sey Koi Awwal Hay Na Tera Koi Saani Hay
Kahaan Us Ko Shak E Jaan E Jinaan Mein Zar Ki Naqaashi
Iram Key Taayire Rang E Pareeda Ki Nishaani Hay
Ziyabun Fee Thiyabin Lab Pe Kalma Dil Mein Gustakhi
Salaam Islam Mulhid Ko Keh Tasleem E Zabani Hay
Ye Aksar Saath Unke Shaana O Miswaak Ka Rehna
Bataataa Hay Ki Dil Reshon Pein Zaaid Mehrbaani Hay
Isi Sarkaar Sey Dunia O Deen Milte Hay Saail Ko
Yahi Darbaare ‘Aali Kanz E Aamal O Amaani Hay
Duroodein Soorat E Baala Moohit E Maah E Taybah Hein
Barasta Ummat E ‘Aasi Pen Ab Rahmat Ka Paani Hay
Ta’aala Allah Istighna Terey Dar Key Gadaaon Ka
Keh Unko Aaar Far O Shaukat E Saahib Qur’ani Hay
Woh Sar Garme Shafaa’at Hay Araq Afshaan Hay Peshani
Karam Ka Itr Sandal Ki Zameen Rehmat Ki Ghaani Hay
Hirz E Jaan Zikr E Shafaat Kijiye
Hirz E Jaan Zikr E Shafaat Kijiye
Naar Se Bachne Ki Surat Kijiye
Un Ke Dar Pe Jaise Hain Mit Jayiye
Naatuaano Kuch To Himmat Kijiye
Un Ke Dar Par Baitiye Ban Kar Faqeer
Benawaao Fikr E Sarwat Kijiye
Jin Ka Husn Allah Ko Bhi Bha Gaya
Aise Pyaare Se Muhabbat Kijiye
Naara Kijiye Ya Rasoolallah (Salla Llahu ‘Alayhi Wa Sallam) Ka
Mufliso Saamaan E Dolat Kijiye
Hum Tumhare Ho Ke Kis Ke Paas Jaaye
Sadqa Shehzaado Ka Rahmat Kijiye
Aap Sultaan E Jahaan Hum Benawaa
Yaad Hum Ko Waqt E Nemat Kijiye
Tujh Se Kya Kya Ae Mere Taiba Ke Chand
Zulmat E Ghum Ki Shikaayat Kijiye
Dar Badar Kab Tak Phire Khasta Kharaab
Taiba Me Madfan Inaayat Kijiye
Phir Palat Kar Mun Na Is Jaanib Kiya
Such Hain Aur Dawa E Ulfat Kijiye
Uqrabaa Hub E Watan Behimmati
Aah Kis Kis Ki Shikaayat Kijiye
Ab To Aqa Mun Dikhane Ka Nahi
Kis Tarha Raf E Nidaamat Kijiye
Kis Se Kehyiye Kya Kya Kya Ho Gaya
Khud Hi Apne Par Malaamat Kijiye
Arz Ka Bhi Ab To Mun Partaa Nahi
Kya Ilaaj E Dard E Furqat Kijie
Apni Ik Meethi Nazar Ke Shehad Se
Chaarah E Zehr E Museebat Kijiye
De Khuda Himmat Ke Ye Jaan E Hazeen
Aap Par Waari Wo Surat Kijiye
Aap Hum Se Bar Kar Hum Par Mehrbaan
Hum Kare Jurm Aap Rahmat Kijiye
Jo Na Bhoola Hum Ghareebo Ko Raza
Yaad Us Ki Apni Aadat Kijiye
Shukr E Khuda Ki Aaj Ghari Us Safar Ki Hai

Jis Par Nisaar Jaan Falaaho Zafar Ki Hai
Garmi Hai Tap Hai Dard Hai Kulfat Safar Ki Hai
Na Shukr Ye To Dekh Azeemat Kidhar Ki Hai
Kis Khaaqe Paak Ki Tu Banee Khaaqe Pa Shifa
Tujhko Kasam Janab E Maseeha Ke Sarr Ki Hai
Aabe Hayaat E Ruh Hai ‘Zarqa’ Ki Boond Boond
Akseer A’azame Mase Dil Khaaq Darr Ki Hai
Humko To Apne Saaye Me Aaram Hi Se Laaye
Heele Bahane Waalo Ko Ye Rah Darr Ki Hai
Lut-Te Hai Maare Jaate Hai Yu Hi Suna Kiye
Har Baar Di Wo Aman Ki Ghairat Hajar Ki Hai
Wo Dekho Jagmagati Hai Shab Aur Qamar Abhi
Pahro Nahi Ki Bisto Chahrum Safar Ki Hai
Maahe Madina Apni Tajalli Ataa Kare
Ye Dhalti Chandni To Pahar Do Pahar Ki Hai
Mann Zaar-Turbati Wa-J-Bat Lah Shafa’ati
Un Par Durood Jinse Naved In Bashar Ki Hai
Unke Tufail Haj Bhi Khuda Ne Kara Diye
Asl E Muraad Haazri Uss Paak Darr Ki Hai
Ka’abe Ka Naam Tak Na Liya Taibah Hi Kaha
Poocha Tha Humse Jisne Ki Nuhzat Kidhar Ki Hai
Ka’aba Bhi Hai Unhi Ki Tajalli Ka Ayk Zill
Roushan Unhi Se Aks Se Putli Hajar Ki Hai
Hote Kaha Khaleelo Bina Ka’aba Wo Mina
Lau Laak Wale Sahibe Sab Tere Ghar Ki Hai
Maula Ali Ne Vaari Teri Neend Par Namaz
Aur Wo Bhi Asr Sabse Jo A’ala Khatar Ki Hai
Siddeeq Balki Ghaar Me Jaa(N) Uss Pe De Chuke
Aur Hifze Jaa(N) To Jaan Furuze Gurar Ki Hai
Haa(N) Tu Ne Unko Jaan, Unhe Fer Di Namaz
Par Wah To Kar Chuke The Jo Karni Bashar Ki Hai
Sabit Hua Ki Jumla Faraiz Furu’a Hai
Aslul Usool Bandagi Us Taajvar Ki Hai
Shar Khair, Shor Sur, Sharar Dur, Naar Nur
Bushra Ki Baargah Ye Khairul Bashar Ki Hai
Mujrim Bulaye Aaye Hai ‘Jau-K’ Hai Gawah
Phir Radd Ho Kab Ye Shaan Kareemo Ke Darr Ki Hai
Badd Hai Magar Unhi Ke Hai Baaghi Nahi Hai Hum
Najdi Na Aaye Usko Ye Manzil Khatar Ki Hai
Tuf Najdiyat Na Kufr Na Islam Sab Pe Harf
Kafir Idhar Ki Hai Na Udhar Ki Adhar Ki Hai
Haakim Hakeem Daado Dawa De Ye Khuch Na De
Mardood Ye Muraad Kis Aayat Khabar Ki Hai
Shakle Bashar Me Noore Ilahi Agar Na Ho
Kya Kadr Us Khameera E Maao Mad(A)R Ki Hai
Noore Ilahi Kya Hai Muhabbat Habeeb Ki
Jis Dil Me Ye Na Ho Wo Jagah Khufo Khar Ki Hai
Zikre Khuda Jo Unse Juda Chaho Najdiyo
Wallah Zikre Haq Nahi Kunji Sakar Ki Hai
Be Unke Waaste Ke Khuda Kuch Ataa Kare
Haasha Galat Galat Ye Hawas Be-Basar Ki Hai
Maqsood Ye Hai Aadamo Nuuho Khaleel Se
Tukhme Karam Me Saari Karamat Samar Ki Hai
Unki Nubuvvat Unki Ubuvvat Hai Sabko Aam
Ummul Bashar Aroos Unhi Ke Pesar Ki Hai
Zaahir Me Mere Phool Haqeeqat Me Mere Nakhl
Uss Ghul Ki Yaad Me Ye Sadaa Bul Bashar Ki Hai
Pehle Ho Unki Yaad Ki Paaye Jila Namaz
Yeh Kehte Hai Azaan Jo Pichle Pahar Ki Hai
Duniya Mazaar Hashr Jahaan Hai Ghafoor Hai
Har Manzil Apne Chaand Ki Manzil Gafar Ki Hai
Un Par Durood Jinko Hajar Tak Kare Salaam
Un Par Salaam Jinko Tahiyyat Shajar Ki Hai
Un Par Durood Jinko Kase Be-Kasa Kahe
Un Par Salaam Jinko Khabar Be-Khabar Ki Hai
Jinno Bashar Salaam Ko Haazir Hai Assalam
Yeh Bargah Maalik E Jinno Bashar Ki Hai
Shamso Qamar Salaam Ko Haazir Hai Assalam
Khubi Unhi Ki Jyot Se Shamso Qamar Ki Hai
Sab Bahro Bar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Tamlik Unhi Ke Naam To Har Bahro Bar Ki Hai
Sango Shajar Salaam Ko Haazir Hai Assalam
Kalme Se Tar Zabaan Darakhto Hajar Ki Hai
Arzo Asar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Malja Ye Baargah Dua O Asar Ki Hai
Shorida Sarr Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Raahat Unhi Ke Qadmo Me Shorida Sarr Ki Hai
Khasta Jigar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Marham Yahi Ki Khaak To Khasta Jigar Ki Hai
Sab Khushko Tar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Ye Jalwa Gaah Maalike Har Khushko Tar Ki Hai
Sab Karro Far Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Topi Yahi To Khaaq Pe Har Karro Far Ki Hai
Ahle Nazar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Ye Gard Hi Surma Sab Ahle Nazar Ki Hai
Aansu Baha Ki Beh Gaye Kaale Gunah Ke Dher
Haathi Dubav Jheel Yaha Chashme Tar Ki Hai
Teri Kaza Khaleefa E Ahkaame Zil Jalaal
Teri Raza Haleef Kazawo Kadar Ki Hai
Yeh Pyari Pyari Kyari Tere Khaana Baagh Ki
Sard Isko Aabo Taab Se Aatash Safar Ki Hai
Jannat Me Aa Ke Naar Me Jaata Nahi Koi
Shukre Khuda Naweed Najaato Zafar Ki Hai
Mo’min Hu Mo’mino Pe Rauf Ur Raheem Ho
Sa-Il Hu Sa-Ilo Ko Khushi La-Nahar Ki Hai
Daaman Ka Waasta Mujhe Is Dhup Se Bacha
Mujhko To Shaak Jaado Me Us Duphar Ki Hai
Maa Dono Bhai Bete Bhateeje Azeez Dost
Sab Tujhko Soupe Milk Hi Sab Tere Ghar Ki Hai
Jin Jin Muraado Ke Liye Ahbaab Ne Kaha
Peshe Khabeer Kya Mujhe Haajat Khabar Ki Hai
Fazle Khuda Se Ghaib E Shahadat Hua Unhe
Iss Par Shahadat Aayato Wahiyo Asar Ki Hai
Kahna Na Kahne Wale The Jab Se Tu Ittela’a
Maula Ko Qoulo Qailo Har Khusko Tar Ki Hai
Unn Par Kitaab Utri Bayaanul Li-Kulli Shay
Tafseel Jisme Abaro Ma Gabar Ki Hai
Aage Rahi Ataa Wo Baqadre Talab To Kya
Aadat Yaha Ummeed Se Bhi Beshtar Ki Hai
Be Maange Dene Wale Ki Ne’amat Me Gark Hai
Maange Se Jo Mile Kise Faham Is Kadar Ki Hai
Ahbaab Iss Se Badh Ke To Shayad Na Paaye Arz
Na Karda Arz Arz Ye Tarze Digar Ki Hai
Dandaa(N) Ki Naat Khwa Hu Na Payab Hogi Aab
Naddi Gale-Gale Mere Aabe Guhar Ki Hai
Dashte Haram Me Rehne De Sayyad Agar Tujhe
Mitti Azeez Bulbule Be-Baalo Par Ki Hai
Ya Rabb Raza Na Ahmade Parina Hoke Jaay
Ye Bargah Tere Habeebe Abarar Ki Hai
Taufeeq De Ki Aage Na Paida Ho Khu-E Badd
Tabdeel Kar Jo Khaslate Badd Peshtar Ki Hai
Aa Kuch Suna De Ishq Ke Bolo(N) Me Ay Raza
Mushtaq Tab-A Lazzate Soze Jigar Ki Hai
Woh Sarwar E Kishwar E Risalat Jo Arsh Par Jalwa Gar Huye The

Nee Nirale Tarab Ke Saaman Arab Ke Mehman Ke Liye The
Bahar Hai Shadiyan Mubarak Chaman Ko Aabadiyan Mubarak
Malak Falak Apni Apni Le Main Yeh Ghar Ana Dil Ka Bolte The
Wahan Falak Per Yahan Zameen Main Rachi Thi Shaadi Machi Thi Dhoomein
Udhar Se Anwar Haste Aate Idhar Se Naf-Haat Ooth Rahe They
Yeh Joot Padti Thi Unke Rukh Ki Ke Arsh Tak Chandni Thi Chhatki
Woh Raat Kya Jagmaga Rahi Thi Jagah Jagah Nasb Aaine They
Nei Dulhan Ki Phaban Main Kaaba Nikhar Ke Sanwara Sanwar Ke Nikhra
Hajar Key Sadqe Kamar Key Eik Til Main Rang Lakhoon Banao Key They
Nazar Main Dulha Key Pyare Jalwe Hea Se Mehrab Sir Jhukee
Siyah Parde Ke Moun Per Aanchal Tajaliye Zaat E Bahat Se The
Khushi Ke Badal Umand Ke Aee Diloon Ke Taoos Rang Lee
Woh Naghma E Naat Ka Samaan Tha Haram Ko Khud Wajd Aa Rahe The
Yeh Jhooma Mizab E Zar Ka Jhoomer Ke Aa Raha Kaan Per Dhalak Ker
Phuhar Barsi To Moti Jhar Ker Hatim Ki Gaud Mein Bhare They
Dulhan Ki Khushboo Se Mast Kapre Nasim E Gustakh Aanchloon Se
Gilaf E Mushkeen Jo Oord Raha Tha Ghazal Naafe Basaa Rahe The
Pahadiyoon Ka Woh Husn E Taz’ee Woh Oonchi Choti Woh Nazo Tamqeen
Saba Se Sabzah Main Lehrein Aateen Dupatte Dhani Chune Huye The
Naha Ke Nehroon Ne Woh Chamakta Libas Aabe Rawan Ka Pehna
Ki Mauj E Chadiyaan Thi Dhaar Lachka Habab E Tabaan Ke Thal Take The
Purana Purdag Malgaja Tha Utha Diya Farsh Chandni Ka
Hajoom E Tare Nigah Se Kosoon Qadam Qadam Farsh Baadley The
Ghubar Ban Ker Nisaar Jeein Kahan Ab Uss Rah Guzar Ko Peein
Hamare Dil Huriyoon Ki Aankhein Farishtoon Ke Per Jahan Biche The
Khuda Hee De Sabr Jaan E Purgham Dikhaoon Kyun Kar Tujhe Woh A’alam
Jab Unko Jhurmat Main Lake Qudsi Jinaa Ka Dulha Bana Rahe The
Utar Ker Unke Rukh Ka Sadqa Yeh Noor Ka But Raha Tha Bada
Ke Chand Suraj Machal Machal Ker Jabeen Ki Khairat Mangte The
Wohi To Ab Tak Chalak Raha Hai Wohi To Joban Tapak Raha Hai
Nahane Me Jo Gira Tha Pani Katore Taroon Ne Bhar Liye The
Bacha Jo Talwoon Ka Unke Dhouwan Bana Woh Jannat Ka Rang O Roghan
Jinhoon Ne Dulha Ki Pei Utran Woh Phool Gulzar E Noor Ke The
Khabar Yeh Tehweele Maher Ki Thi Ke Rut Sunhani Ghadi Phire Gee
Wahan Ki Poshak Ze-Be Tan Ki Yahan Ka Joda Badha Chuke The
Tajaliy E Haq Ka Sehra Sar Per Salat O Tasleem Ki Nichawar
Do Roya Qudsi Pare Jama Kar Kharhe Salami Ke Waaste The
Jo Hum Bhi Waan Hote Khaq E Gulshan Lipat Ke Qadmoon Se Ley Te Utran
Magar Karein Kiya Naseeb Main To Yeh Namuradi Ke Din Likhe The
Abhi Na Aee The Pusht E Zeen Tak Ke Sir Hui Maghfirat Ki Shallak
Sada Shafa’at Ne Di Mubarak! Gunaah Mastana Jhoomte The
Ajab Na Tha Rakhsh Ka Chamakna Gazal E Dam Khurdasa Bhadakna
Shuaein Bukke Urha Rahi Theen Tadapte Ankhoon Pe Saieqe The
Hujum E Umeed Hai Ghatao Muradein De Kar Inhein Hatao
Adab Ki Baagein Liye Badhao Malaika Me Yeh Ghal Ghale The
Uthi Jo Garde Rahe Munawar Woh Noor Barsa Ke Raaste Bhar
Ghire The Badal Bhare The Jal Thal Umand Ke Jangle Ubal Rahe The
Sitam Kiya Kaisi Mat Kathi Thi Qamar Woh Khak Unke Rah Guzar Ki
Utha Na Lea Ke Milte Milte Ye Daagh Sab Dekhte Mite They
Burraq Ke Naqshe Sum Ke Sadqe Woh Gul Khilee Ke Sare Rastey
Mehakte Gulban Mehakte Gulshan Hare Bhare Lahlaha Rahe The
Namaz E Aqsa Main Tha Yehi Seer Ean Houn Ma’ani E Awwal Akhir
Key Dast Basta Hain Pichey Hazir Jo Salatanat Aage Kar Gee The
Yeh Unki Aamad Ka Dab-Daba Tha Nikhar Her Shaiy Ka Ho Raha Tha
Nujoom O Aflak Jam O Mina Ujalte The Khangaltey They
Naqab Ulte Woh Mehr E Anwar Jalal O Rukhsar Garmiyoon Per
Falak Ko Hebat Se Tap Charhi Thi Tapakte Anjum Ke Aable Tha
Yeh Joshishe Noor Ka Asar Tha Key Aabe Gohar Qamar Qamar Tha
Safaey Rah Se Phisal Phisal Kar Sitare Qadmon Pe Laut’te The
Badha Ye Lehra Ke Behr O Wahdat Key Dhul Gea Naam E Raige Kasrat
Falak Key Teloon Ki Kiya Haqeeqat Yeh Arsh O Kursi Do Bulbule The
Woh Zill E Rehmat Woh Rukh Key Jalwe Ke Taare Chupte Na Khilne Paate
Sunehri Zarbaft Udi Atlas Yeh Than Sab Dhoop Chaoon Ke The
Chala Woh Serve E Chamaan Kharamaa Na Ruk Saka Sidra Se Damaan
Palak Jhapakti Rahi Woh Kab Ke Sab Aeno Aan Se Guzar Chuke The
Jhalak See Eik Qudsiyoon Per Aei Hawwaa Bhi Daman Ki Phir Na Pei
Sawari Dulha Ki Dur Pohnchi Barat Main Hosh Hi Gee The
Thake The Ruhul Amin Key Bazu Chuta Woh Daman Kahan Woh Pehloo
Rikab Chooti Ummeed Tuti Nigah E Hasrat Key Walwaley The
Ravish Ki Garmi Ko Jis Ney Socha Dimag Se Eik Bhabuka Phoota
Khirad Key Jungle Main Phool Chumka Dahar Dahar Ped Jal Rahe The
Jiloo Main Jo Murge A’qal Ure The Ajab Boore Haloon Girte Parte
Woh Sidrah Hee Per’rahe The Thak Kar Charha Dam Tewar Aa Gee The
Qavi They Nurgan E Waham Ke Per Ure To Urdne Ko Aur Dam Bhar
Utha’ee Seene Ki Aisi Thokar Ke Khoone Andesha Th’oo’kte The
Suna Yeh Itne Mein Arsh E Haq Ne Ke Le Mubarak Ho Taaj Waley
Wohi Qadam Khair Se Phir Aee Jo Pehle Taaj E Sharaaf Tere The
Yeh Sunke Be Khud Pukar Utha Nisar Jaoon Kahan Hain Aaqa
Phir Unke Talwoon Ka Paoon Bosa Yeh Meri Aankhon Ke Din Phire The
Jhuka Tha Mujre Ko Arsh E Aala Gire They Sajde Me Bazme Bala
Yeh Aankhein Qadmoon Se Mal Raha Tha Woh Girde Qurbaan Ho Rahe The
Ziyaein Kuch Arsh Per Yeh Aaein Ke Sari Qindileen Jhilmileeen
Huzoor E Khurshid Kya Chamakte Chairagh Moun Apna Dekh Te The
Yehi Sam’an Tha Ke Paike Rehmat Khabar Yeh Lea Ke Chaliye Hazrat
Tumhari Khatir Kushada Hain Woh Jo Kalim Per Band Rastae The
Badh E Muhammad Qaree Ho Ahmed Qareeb Aa Sarwar E Mumajjad
Nisar Jaoon Yeh Kiya Nida Thi Yeh Kiya Samaan Tha Yeh Kiya Maze The
Tabarakallah Shan Teri Tujhi Ko Zaiba Hai Be Niyazi
Kahin To Woh Josh E Lan-Tarani Kaheen Takaze Visal Ke The
Khirad Se Keh Do Ke Sir Jhuka Le Gumaan Se Guzre Guzarne Wale
Pare Hain Yahan Khud Jaihat Ko Laale Kise Batee Kidhar Gee The
Surag Aino Mataa Kahaan Tha Nishan E Kaifo Illa Kahan Tha
Na Koi Rahi Na Koi Sathi Naa Sang E Manzil Naa Merhale The
Udar Se Peham Taqaze Aana Idhar Se Mushkil Qadam Barhana
Jalal O Haibat Ka Saamna Tha Jamalo Rehmat Ubharte The
Barhe To Lekin Jhee-Jhakte Darte Hea Se Jhukte Adab Se Rukte
Jo Qurb Unhi Ki Ravish Pe Rakhte To Lakhoon Manzil Ke Fasile The
Per Unka Barhna To Naam Ko Tha Haqeeq’tan Fail Tha Udhar Ka
Tanazuloon Mein Taraki Afza Dana Tadalla Key Silsile The
Hua Yeh Aakhir Ke Aik Bajra Tamoje Bahrey Hoo Mein Ubhra
Dana Ki Godi Mein Unko Lekar Fana Ke Langar Utha Diye The
Kise Mile Ghat Ka Kinara Kither Se Guzra Kahan Utra
Bhara Jo Misle Nazar Tarara Woh Apni Aankhoon Se Khud Chupe The
Uthe Jo Qasre Dana Ke Parde Koi Khabar Dey To Kiya Khabar De
Wahan To Ja Hee Nahin Duee Ki Na Keh Ke Woh Bhi Na The Are The
Woh Baag Kuch Aisa Rang Lea Ke Guncha O Gul Ka Faraq Uthea
Girah Mein Kal’liyoon Ki Baag Phoole Guloon Ke Takme Lage Hue The
Muhito Markaz Mein Faraq Mushkil Rahe Na Faasil Khutoot E Wasil
Kamaan E Hairat Mein Sir Jhukee Ajeeb Chakar Mein Da’ere The
Hijab Uhne Mein Lakhoon Parde Har Aik Parde Main Lakhon Jalwe
Ajab Ghari Thi Ke Waslo Furqat Janam Ke Bichre Gale Mile The
Zabanein Sukhi Dikha Ke Mojein Tarap Rahi Thien Ke Pani Paein
Bhanwar Ko Yeh Zofe Tashnagi That Ke Halqe Aankhoon Mein Par Gee The
Wohi Hai Awwal Wohi Hai Aakhir Wohi Hai Batin Wohi Hai Zahir
Usi Ke Jalwe Usi Se Milne Usi Se Uski Taraf Gee The
Kaman E Imakan Ke Jhute Nukto Tum Awwal Akhir Ki Phair Mein Ho
Muhit Ki Chal Se To Pucho Kidhar Se Aee Kidhar Gee The
Udhar Se Theen Nazre Shah Namaz’ain Idhar Se Inaam E Khusravi Mein
Salam O Rehmat Ke Haar Gundh Ker Glue E Pur Noor Mein Pare The
Zabaan Ko Intezar Guftan To Gos Ko Hasrat E Shunidan
Yahan Jo Kehna Tha Keh Liya Tha Jo Baat Sun’ni Thi Sun Chuke The
Woh Burj E Batha Ka Mahpara Bahishat Ki Sair Ko Sidhara
Chamak Pe Tha Khuld Ka Sitara Ke Iss Qamar Ke Qadam Gee The
Suroor E Maqdam Ki Roshni Thi Ke Tabishoon Se Mah E Arab Ki
Jina Ke Gulshan The Jhaar Farshi Jo Phool The Sab Kanwal Bane The
Tarab Ki Nazish Ke Haan Lachakiye Adab Woh Bandish Ke Hill Na Sakiye
Yeh Josh E Ziden Tha Keh Pode Kasha Kish E Arah Ke Tale The
Khuda Ki Qudrat Keh Chand Haq Ke Karoroon Manzil Mein Jalwa Kar Ke
Abhi Na Taroon Ki Chaoon Badli Keh Noor Ke Tarke Aa Liye The
Nabi E Rehmat Shafi E Ummat Raza Pe Lillah Ho Ineat
Ise Bhi Unn Khal’atoon Se Hisa Jo Khas Rehmat Ke Waan Bate The
Sana E Sarkar Hai Wazifa Qabool E Sarkar Hai Taman’na
Na Sheari Ki Hawas Na Parwah Radi Thi Kiya Kaise Kafiye The

Leave a Comment

Hadaiq e Bakhshish Lyricsgggggg