Sar Ta Ba Qadam Hai Tane Sultane Zaman Phool Naat Lyrics

Sar Ta Ba Qadam Hai Tane Sultane Zaman Phool Naat Lyrics

 

Sar ta ba-qadam hai tan e sultane zaman phool Naat Lyrics

Sar ta ba-qadam hai tan e sultane zaman phool
Lab phool, dahan phool, zakan phool, badan phool

Sadqe me tere baagh to kya laye hai ban phool
Iss guncha e dil ko bhi to imaa ho ki ban phool

Tinka bhi hamare to hilaye nahi hilta
Tum chaho to ho jaye abhi kohe mehan phool

WALLAH jo mil jaye mere ghul ka paseena
Maange na kabhi itr na fir chahe dulhan phool

Dil-basta wa khu-gashta na khusbu na latafat
Kyo guncha kahu hai mere AAQA ka dehan phool

Shab yaad thi kin daanto ki shabnam ki dam e subh(a)
Shokhane bahari ke jada-u hai kiran phool

Dandaan o lab o zulf o rukhe shah ke fidayi
Hai durre adan la’ale yaman mushke khotan phool

Bu hoke nahi ho gaye taabe rukhe shah me
Lo ban gaye hai ab to haseeno ka dahan phool

Ho baare gunah se na khazil doshe azeeza(n)
Lillah meri na’ash kar aaye jane chaman phool

Dil apna bhi shaidayi hai us naakhun e paa ka
Itna bhi mahe nou pe na ay charkhe kuhan phool

Dil khol ke khu ro le game aarize shah me
Nikle to kahi hasrat e khu-naaba shudan phool

Kya gaaza mala garde madeena ka jo hai aaj
Nikhre hue joban me qiyamat ki phaban phool

Garmi ye qiyamat hai ki kaante hai zabaa(n) par
Bulbul ko bhi ay saaqi e sahba wa laban phool

Hai kaun ki girya kare ya faatiha ko aaye
Bekas ke uthaye teri rehmat ke bharan phool

Dil ghum tujhe ghere hai khuda tujhko wo chamkaye
Suraj tere khirman ko bane teri kiran phool

Kya baat Raza us chamanistaan e karam ki
Zahra hai kali jisme husain aur hasan phool

Sar Ta Ba Qadam Hai Tane Sultane Zaman Phool Naat Lyrics
Sar Ta Ba Qadam Hai Tane Sultane Zaman Phool Naat Lyrics

 

Sar Ta Ba Qadam Hai Tane Sultane Zaman Phool Naat Lyrics
Sar Ta Ba Qadam Hai Tane Sultane Zaman Phool Naat Lyrics

 

===================== सर ता ब क़दम है तने सुल्तानें ज़मन फ़ूल Hindi Lyrics=============

 

सर ता ब क़दम है तने सुल्तानें ज़मन फ़ूल
लब फूल, दहन फूल, ज़क़न फूल, बदन फूल

सदक़े में तेरे बाग़ तो क्या लाए हैं “बन” फूल
इस गुन्चए दिल को भी तो ईमा हो कि बन फूल

तिन्का भी हमारे तो हिलाए नहीं हिलता
तुम चाहो तो हो जाए अभी कोहे मिह़न फूल

वल्लाह जो मिल जाए मेरे गुल का पसीना
मांगे न कभी इतर् न फिर चाहे दुल्हन फूल

दिल बस्ता व ख़ूं गश्ता न खुशबू न लत़ाफ़त
क्यूँ गुन्चा कहूं है मेरे आक़ा का दहन फूल

शब याद थी किन दांतों की शबनम कि दमे सुब्ह़
शोख़ाने बहारी के जड़ाऊ है करन फूल

दन्दानो लबो जुल्फ़ो रुख़े शह के फ़िदाई
हैं दुर्रे अ़दन,ला’ले यमन,मुश्के खुतन फूल

बू हो के निहां हो गए ताबे रुख़े शह में
लो बन गये हैं अब तो हसीनो का दहन फूल

हों बरे गुनाह़ से न ख़ज़िल दोशे अ़ज़ीजां
लिल्लाह मेरी ना’श कर ऐ जाने चमन फूल

दिल अपना भी शैदाई है उस नाखूने पा का
इतना भी महे नौ पे न ऐ चर्ख़े कुहन! फूल

क्या ग़ाज़ा मला गर्दे मदीना का जो है आज
निख़रे हुए जोबन में क़ियामत की फबन फूल

गरमी यह क़ियामत है कि कांटे हैं ज़बां पर
बुलबुल को भी ऐ साक़िये सहबा व लबन फूल

है कौन कि गिर्या करे या फ़ातिह़ा को आए
बेकस के उठाए तेरी रह़मत के भरन फूल

दिल ग़म तुझे घेरे हैं खुदा तुझको वोह चमकाए
सूरज तेरे ख़िरमन को बने तेरी किरन फूल

क्या बात रज़ा उस च-मनिस्ताने करम की
ज़हरा है कली जिसमें हुसैन और ह़सन फूल

 

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...338 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...209 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...195 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...168 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...156 views

Leave a Comment