Hadaiq e Bakhshish Lyrics |
Wah Kya Joodo Karam Hay Shahe Bat-Ha Tera |
Wah Kya Joodo Karam Hay Shahe Bat-Ha Tera Nahi Sunta Hi Nahi Maangne Waala Tera |
Dhaare Chalte Hain Ataa Ke Wo Hain Qatra Tera Tare Khilte Hain Sakhaa Ke Wo Hay Zar-Ra Tera |
Faiz Hay Ya Shahe Tasneem Nirala Tera Aap Pyaso Ke Tajas-Sus Me Hay Dariya Tera |
Agniyan Palte Hain Dar Se Wo Hay Bada Tera Asfiya Chalte Hain Sar Se Wo Hay Rasta Tera |
Farsh Waale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Jaanen Khusrawa Arsh Pe Urta Hay Phareraa Tera |
Aasmaan Khwan, Zameen Khwan Zamana Mehmaan Sahibe Khana Laqab Kiska Hay Teraa Teraa |
Main To Maalik Hi Kahoonga Ke Ho Maalik Ke Habeeb Ya’ani Mahboob O Muhib Me Nahi Mera Tera |
Tere Qadmoun Me Jo Hain Ghair Ka Muh Kya Dekhein Kon Nazroun Pe Charhe Dekh Ke Talwaa Tera |
Bahre Saail Ka Hun, Sail Na Kuwein Ka Pyasa Khud Bujha Jaye Kaleja Mera Cheenta Teraa |
Chor Haakim Se Chupa Karta Hain Yaan Uske Khilaaf Tere Daaman Me Chupe Chor Anokha Teraa |
Aankhein Thandi Ho Jigar Taze Ho Jaan-E-Sairaab Sachhe Suraj Wo Dil-Aara Hai Ujala Tera |
Aik Main Kya Mere Is Yaan Ki Haqeeqat Kitni Mujhse Sau Laakh Ko Kaafi Hay Isharaa Tera |
Muft Paala Tha Kabhi Kaam Ki Aadat Na Paree Ab Amal Poochte Hain Haaye Nikamma Teraa |
Tere Tukro Se Pale Ghair Ki Thokar Pe Na Daal Jhirkiyaan Khaayein Kahan Chor Ke Sadqa Tera |
Khwar O Bimar O Khatavar O Gunahgaar Hun Main Rafe’a O Nafe’a O Shafe’a Lakab Aaqa Teraa |
Meri Taqdeer Buri Ho To Bhalee Kardey Ke Hay Mahwo Isbaat Ke Daftar Me Karora Tera |
Tu Jo Chahe To Abhi Mayl Merey Dil Ke Dhulein Ke Khuda Dil Nahi Karta Kabhi Mayla Tera |
Kiska Muh Takiye Kaha Jaiye Kis Se Kahiye Tere Hi Qadmoun Pe Mitt Jaye Yeh Paala Tera |
Tu Ne Islam Diya Tu Ne Jama’at Me Liya Tu Kareem Ab Koi Phirta Hain Atiyya Tera |
Maut Sunta Hun Sitam Talkh Hain Zahraa Ba-E Nab Kaun La De Mujhe Talwo Ka Ghusala Tera |
Dur Kya Janiye Bad-Kaar Pe Kaise Guzre Tere Hi Dar Pe Mare Be-Kaso Tanha Tera |
Tere Sadqe Mujhe Ik Boond Bohat Hay Teri Jis Din Achho Ko Milay Jaam Chalakta Tera |
Haram-O-Taibah Wa Baghdad Jidhar Kije Nigah Jyot Parti Hay Teri Noor Hay Chanta Tera |
Teri Sarkaar Me Laata Hay Raza Usko Shafee Jo Mera Ghous Hay Aur Laadla Beta Teraa |
Wah Kya Martaba Ae Ghous Hai Bala Tera |
Wah Kya Martaba Ae Ghous Hai Bala Tera Unche Uncho Ke Saro Se Kadam Aala Tera |
Sar Bhala Kiya Koi Jane Ki Hain Kesa Tera Avaliya Malte Hain Aankhain Wo Hain Talwa Tera |
Kiya Dabe Jis Pe Himayat Ka Ho Panja Tera Sher Ko Khatare Main Lata Nahi Kutta Tera |
Tu Huseni Hasani Kiyu Na Muhiyudin Ho Ae Khijar Majmaae Baharen Hain Chashma Tera |
Kasame De De Ki Khilata Hain Pilata Hain Tuje Piyara Allaha Tera Chahane Wala Tara |
Mustafa Ke Tane Be Saya Ka Saya Dekha Jis Ne Dekha Meri Jah Jalwae Jeba Terai |
Bne Jahara Ko Mubarak Ho Uruse Kudrat Qadri Paae Tasduk Mere Dulha Tera |
Kiyon Na Kasim Ho Ki Tu Ibne Abil Kasim Hain Kiyon Na Qadri Ho Ki Mukhtar Hain Baba Tera |
Nabwi Menh, Alvi Fashl Batuli Gulshan Hasani Phool Huseni Hain Mahkana Hain Tera |
Nabawi Jill Alwi Bujn Batuli Manjil Hasani Chand Huseni Hani Ujala Tera |
Nabawi Khur Alwi Koh Batuli Maadin Hasani Lal Huseni Hain Tajalla Tera |
Bahar-O Bar Sahar-O Kari Sahal-O Hujan Dast-O Chman Kon Se Chak Pe Pahunchata Nahi Daawa Tera |
Husne Niyyat Ho Khata Phir Khabhi Karta Hi Nahi Aajmaya Hain Yagana Hain Dogana Tera |
Aarje Ahawal Ki Pyaso Me Kahan Tab Magar Aankhain Ek Abre Karam Takti Hain Rasta Tera |
Mot Najdik Gunahon Ki Tahe Mail Ke Khol Aa Baras Ja Ki Naha Dhole Ye Pyasa Tera |
Aab Aamad Wo Kahe Aur Me Taymmum Barkhast Muste Khak Apni Ho Aur Noor Ka Ahala Tera |
Jan To Jate Hi Jaegi Kiyamat Ye Hain Ki Yahan Marne Pe Thahara Hain Najara Tera |
Tuj Se Dar, Dar Se Sag Aur Se Sag Hain Mujko Nisbat Meri Gardan Main Bhi Dur Ka Dora Tera |
Is Nisani Ke Jo Sag Hain Nahi Mare Jate Hashr Tak Mere Gale Me Rahe Patta Tera |
Meri Kismat Ki Kasam Khae Sagane Bagadad Hind Me Bhi Hu To Deta Rahu Pahra Tera |
Tare Ijjat Ke Nisar Ae Mere Gairat Wale Aah Sad Aah Ki Yunh Khwar Ho Barda Tera |
Bad Sahi, Chor Sahi, Mujarim-O Nakara Sahi Ae Wo Kesa Hi Sahi Hain Tu Karima Tera |
Muj Ko Ruswa Bhi Agar Koi Kahega To Yunhi Ki Wahi Na Woh Rija Bandae Rusawa Tera |
Hain Rija Yunh Na Bilak Tu Nahi Jayyed To Na Ho Sayyede Jayyede Har Dahar Hain Maola Tera |
Fakhre Aaka Me Raza Aur Bhi Ek Najme Rfi Aa Chal Likha Layen Sana Khwano Main Chehara Tera |
Al Aman Qahar He Ya Ghaus Woh Tikha Tera Lyrics |
Al Aman Qahar He Ya Ghaus Woh Tikha Tera |
Mar Key Bhi Chain Sey Sotaa Nahin Maara Tera |
Baadalon Sey Kahin Rukti Hay Karakti Bijlee, Dhaalein Cheent Jaati Hain Uthta Hay Jo Tegha Teraa. |
Aks Ka Dekh Key Munh Aur Biphar Jaata Hay, |
Chaar Aaina Key Bal Ka Nahin Nezaa Teraa. |
Koh-E-Sar Mukh Ho To Ek Waar Mein Do Par Kale, Haath Parta Hi Nahin Bhool Key Aucha Tera |
Is Pey Yeh Qeher Key Ab Chand Mukhalif Tere, Chahate Hain Key Ghata Dein Kahin Paaya Tera |
Aql Hoti To Khuda Sey Nah Laraai Lete, |
Yeh Ghataein Usey Manzoor Barhaana Tera |
Warafa’naa Laka Zikrak Ka Hay Saaya Tujh Par, |
Bol Baala Hay Tera Zikr Hay Ooncha Teraa. |
Mit Gaye Mit Te Hain Mit Jaayenge Aa’daa Tere, |
Na Mitaa Hay Na Mitega Kabhi Charcha Tera |
Tu Ghataaye Sey Kisi Key Na Ghata Hay Na Ghatay, Jab Barhaaye Tujhe Allah Ta’ala Teraa. |
Samm-E-Qaatil Hay Khuda Ki Qasam Unka Inkaar, Munkir-E-Fadl-E-Huzoor Aah Ye Likkha Tera |
Ghum Ho Gaye Beshumar Aaqa |
Ghum Ho Gaye Beshumar Aaqa Banda Tere Nisaar Aaqa |
Bigda Jaata Hai Khel Mera Aaqa Aaqa Savaar Aaqa |
Manjdhaar Pe Aake Naav Tuti De Haath Ki Hu Main Paar Aaqa |
Tuti Jati Hain Peeth Meri Lillah Ye Bojh Utaar Aaqa |
Halka Hai Agar Hamara Palla Bhari Hain Tera Waqar Aaqa |
Majboor Hain Hum To Fikr Kya Hai Tumko To Hain Ikhtiyar Aaqa |
Main Duur Hu Tum To Ho Mere Paas Sun Lo Meri Pukaar Aaqa |
Mujhsa Koi Ghumzada Na Hoga Tumsa Nahi Ghumgusar Aaqa |
Girdaab Me Pad Gayi Hai Kashti Duba Duba Utaar Aaqa |
Tum Wo Ki Karam Ko Naaz Tumse Main Wo Ke Badee Ko Aar Aaqa |
Fir Muh Na Pade Kabhi Khiza Ka De De Aisi Bahaar Aaqa |
Jiski Marzi Khuda Na Taale Mera Hai Wo Naamdar Aaqa |
Hain Mulke Khuda Pe Jiska Qabza Mera Hain Wo Kaamgar Aaqa |
Soya Kiye Naabkaar Bande Roya Kiye Zaar Zaar Aaqa |
Kya Bhul Hai Unke Hote Kahlaye Duniya Ke Ye Tajdaar Aaqa |
Unke Adna Gada Pe Mit Jaye Aise Aise Hazaar Aaqa |
Be-Abre Karam Ke Mere Dhabbe La Tagsiluhal-Bihar Aaqa |
Itni Rehmat Raza Pe Kar Lo La Yakrubuhul Bawaar Aaqa |
Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega |
Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega Shad Har Nakam Ho Hi Jayega |
Jan De Do Wa’ada E Deedar Par Naqd Apna Dam Ho Hi Jayega |
Shad Hai Firdous Yani Ek Din Qismat E Khuddam Ho Hi Jayega |
Yad Reh Jayengi Ye Be-Bakiya Nafs Tu To Ram Ho Hi Jayega |
Be Nishano Ka Nishan Mit-Ta Nahi Mit-Te Mit-Te Nam Ho Hi Jayega |
Yad E Ghesu Zikr E Haq Ah Kar Dil Me Paida Lam Ho Hi Jayega |
Ek Din Awaz Badlenge Ye Saz Chah-Chaha Kohram Ho Hi Jayega |
Sailo Daman Sakhee Ka Tham Lo Kuch Na Kuch In’am Ho Hi Jayega |
Yad E Abru Karke Tadpe Bulbulo Tukde Tukde Dam Ho Hi Jayega |
Mufliso Unki Gali Me Ja Pado Bagh E Khuld Ikram Ho Hi Jayega |
Gar Yuhi Rehmat Ki Tawile Rahi Madh(A) Har Ilzam Ho Hi Jayega |
Bada Khwari Ka Sama Bandhne To Do Shaikh Durd-Asham Ho Hi Jayega |
Gham To Unko Bhulkar Lipta Hai Yu(N) Jaise Apna Kam Ho Hi Jayega |
Mit Ki Gar Yuhi Raha Karz E Hayat Jan Ka Nilam Ho Hi Jayega |
Aqilo Un Ki Nazar Seedhi Rahe Borwo Ka Bhi Kam Ho Hi Jayega |
Ab To Layi Hai Shafa’at Afw Par Badhte Badhte Am Ho Hi Jayega |
Ay Raza Har Kam Ka Ik Waqt Hai Dil Ko Bhi Aram Ho Hi Jayega |
Na Aasmaan Ko Yun Sar Kashida Hona Tha |
Na Aasmaan Ko Yun Sar Kashida Hona Tha Hujure Khake Madina Khmida Hona Tha |
Agar Gulo Ko Khijan Na Rasida Hona Tha Kinare Khare Madina Damida Hona Tha |
Hujur Unke Khilafe Adab Thi Betabi Meri Ummid Tuze Aarmida Hona Tha |
Nazara Khake Madina Me Rahte Milati Dile Haji Tuze Aske Chakida Hona Tha |
Panahe Damane Daste Haram M Chin Aata Na Sarb Dil Ko Gijale Ramida Hona Tha |
Ye Kaise Khulta Ki In Ke Shiva Safia Nahi Abas N Auro Ke Aage Tapida Hona Tha |
Hilale Kaise N Banta Ki Mahe Kamil Ko Salame Abrue Sah Me Khmida Hona Tha |
L-Am L Anna Jahannam Tha Waedaey Ajali N Munikaro Ka Abas Bad Akida Hona Tha |
Nasim Kyun N Samim Unki Tayba Se Laati Ki Shubhe Gul Ko Gariba Dariba Hona Tha |
Tapkata Range Junun Ishqesah Me Har Gul Se Rage Bahar Ko Nastar Rasida Hona Tha |
Baja Tha Asr Pe Khak Mazare Paak Ko Naaz Ki Tuzsa Asr Nasin Aafrida Hona Tha |
Gujrate Jaan Se Ek Shor Ya Habib Ke Shat Fugan Ko Nalae Halke Barida Hona Tha |
Mere Karim Gunah Jahar Hai Magar Aakhir Koy To Sahade Safaat Chida Hona Tha |
Teri Kaba Ke N Kyun Niche Daman Ho Ki Khaksaro Se Ya Kab Kashida Hona Tha |
Raza Jo Dil Ko Banan Tha Jalwa Gahe Habib To Pyare Kaide Khudi Se Rahida Hona Tha |
Ya Shafi E Umam Lillah Kar Do Karam |
Ya Shafi E Umam Lillah Kar Do Karam Rab Salaamat Rakhe Tera Sohna Haraam |
Ham Ghulamo Ka Rakhna Khudara Bharaam Rab Salaamat Rakhe Tera Sohna Haraam |
Muntashir Hain Khayalaat Ki Waadiyaan Lut Gaya Hai Sukoon Waaliye Do Jahaan |
Rehem Farma De Ab Teri Ummat Hain Hum Rab Salaamat Rakhe Tera Sohna Haraam |
Mere Haathon Main Kaasa Hai Umeed Ka Hoon Bhikaari Shaha Main Teri Deed Ka |
Main Gadaaye Haraam Too Nabi Mohtaram Rab Salaamat Rakhe Tera Sohna Haraam |
Kis Ko Jaakar Kahein Taajdaare Haraam Ghera Daale Hue Hain Zamane Ke Gham |
Door Ho Jaaye Gham Ya Nabi Mohtasham Rab Salaamat Rakhe Tera Sohna Haraam |
Tere Yaadon Maa’moor Seena Rahe Saamne Mere Tera Madina Rahe |
Dar Pe Baitha Rahoon Leke Main Chashme Nam Rab Salaamat Rakhe Tera Sohna Haraam |
Ya Nabi Apni Ulfat Ki Saugaat De Apni Shayane Shaan Hum Ko Khairaat De |
Is Se Matlab Nahi Hai Siwaa Ho Ke Kam Rab Salaamat Rakhe Tera Sohna Haraam |
Haazri Ho Niyazi Ki Darbaar Mein Umr Guzre Yoonhi Tere Azkaar Me |
Aate Jaate Rahe Teri Chaukhat Pe Hum Rab Salamat Rakhe Tera Sohna Haraam |
Tooba Mein Jo Sab Sey Oonchi Naazuk Seedhi Nikli Shaakh |
Tooba Mein Jo Sab Sey Oonchi Naazuk Seedhi Nikli Shaakh, Maangun Naat-E-Nabi Likhne Ko Rooh-E-Quds Sey Aisi Shaakh. |
Mawla Gulbun Rahmat Zahra Sibtain Uski Kaliyan Phool, Siddique-O-Farooq-O-Usman-O-Haidar Har Ek Uski Shaakh. |
Shaakh-E-Qaamat Sheh Me Zulf-O-Chashm-O-Rukhsaar-O-Lab Main, Sunbul Nargis Gul Pankhariyan Qudrat Ki Kya Phooli Shaakh. |
Apne In Baaghon Ka Sadqa Woh Rahmat Ka Paani De, Jis Sey Nakhl-E-Dil Mein Ho Paida Pyaare Teri Wilaa Ki Shaakh. |
Yaad-E-Rukh Mein Aahein Kar Key Ban Mein Main Roya Aayi Bahaar, Jhoomein Naseemein Nisaan Barsa Kaliyan Chatkein Mehki Shaakh. |
Zaahir-O-Baatin Awwal-O-Aakhir Zeb-E-Faroo’-O-Zain-E-Usool, Bagh-E-Risaalat Mein Hay Tu Hi Gul Ghuncha Jar Patti Shaakh. |
Aal-E-Ahmad Khuzbiyadi Yaa Sayyad-E-Hamza Kun Madadi, Waqt-E-Khazaan-E-Umre-E-Raza Ho Barg-E-Huda Sey Na Aari Shaakh. |
Phir Utha Walwala E Yaad E Mugheelaan E Arab |
Phir Utha Walwala E Yaad E Mugheelaan E Arab Phir Khincha Daaman E Dil Sooye Beaabaan E Arab |
Bagh E Firdous Ko Jaate Hain Haazaaraan E Arab Haee Sehra E Arab Haee Beaabaan E Arab |
Meethi Baatein Teri Deen E Ajam Imaan E Arab Namkeen Husn Tera Jaan E Ajam Shaan E Arab |
Ab To He Girya E Khoon Gauhar E Daamaan E Arab Jismein Do La’al The Zahra Ke Woh Thee Kaan E Arab |
Dil Wohi Dil He Jo Aankhon Se Ho Hairaan E Arab Aankhein Wo Aankhein Hain Jo Dil Se Hon Qurbaan E Arab |
Haee Kis Waqt Lagi Phaans Alam Ki Dil Mein Ke Bohot Door Rahe Khaar E Mugheelan E Arab |
Fasl E Gul Lakh Na Ho Wasl Ki Rakh Aas Hazaar Phoolte Phalte Hain Be Fasl Gulistaan E Arab |
Sadqe Hone Ko Chale Aate Hain Laakhon Gulzaar Kuch Ajab Rang Se Phoola He Gulistaan E Arab |
Andaleebi Pe Jagharte Hain Kate Marte Hain Gul-O-Bulbul Ko Laraata He Gulistaan E Arab |
Sadqe Rahmat Ke Kahaan Phool Kahaan Khaar Ka Kaam Khud He Daaman Kash E Bulbul Gul E Khandaan-Arab |
Shaadi E Hashr He Sadqe Mein Chutenge Qaidi Arsh Par Dhoom Se He Daawat E Mehmaan E Arab |
Charche Hote Hain Ye Kamhlaee Hue Phoolon Mein Kyoon Ye Din Dekhte Paate Jo Biyabaan E Arab |
Tere Be Daam Ke Bande Hain Raeesaan E Ajam Tere Be Daam Ke Bandi Hain Haazaaraan E Arab |
Hasht E Khuld Aeein Wahan Kasb E Latafat Ko Raza Chaar Din Barse Jahan Abr E Bahaaran E Arab |
Naimatain Banta Jis Simt Woh Zeeshaan Gaya, |
Naimatain Banta Jis Simt Woh Zeeshaan Gaya, Saath Hi Munshiaey Rehmat Ka Qalam Daan Gaya |
Le Khabar Jald Ke Ghairon Ki Taraf Dhiyaan Gaya Mere Maula Mere Aqa Tere Qurbaan Gaya |
Dil Hai Woh Dil Jo Teri Yaad Se Ma’moor Raha Sar Hai Woh Sar Jo Tere Qadmon Pe Qurbaan Gaya |
Unhein Jana Unhein Mana Na Rakhha Ghair Se Kaam Lillah Al Hamd Main Duniya Se Musalmaan Gaya |
Jaan O Dil Hosh Wa Khirad Sab To Madine Pahonche Tum Nahi Chalte Raza Sara To Samaan Gaya |
Aah Woh Aankh Ke Nakaame Tamanna Hi Rahi Hai Woh Dil Jo Tere Dar Se Pur Arman Gaya |
Aur Tum Par Mere Aqa Ki Ineat Na Sahi Najdiyo! Kalmah Padhane Ka Bhi Ehsaan Gaya |
Aaj Le Unki Panah Aaj Madad Maang Unse Phir Na Maanege Qeamat Mein Agar Maan Gaya |
Uff Re Munkar Yeh Badha Joshe Ta’assub Akhir Bheed Me Haath Se Kam Bakht Ke Imaan Gaya |
Kharab Hal Kya Dil Ko Pur Malal Kya |
Kharab Hal Kya Dil Ko Pur Malal Kya Tumhare Kuche Sey Rukhsat Kya Nihal Kya |
Na Rue Gul Abhi Dekh N Bue Gul Shudhi Kaja Ne Laake Kafas Sey Shikasta Baall Kya |
Wo Dil Ki Khun Shuda Armaan The Jis Me Mal Dala Fugan Ki Gore Sahida Ko Paemal Kya |
Ye Rae Kya Thi Waha Sey Palatne Ki E Nafs Shitamagar Ulati Chhuri Sey Hamne Halal Kya |
Ye Kab Ki Muz Sey Adawat Thi Tuze Ko E Jalim Chhudake Sange Dare Paak Sar Wabal Kya |
Chaman Sey Fenk Diya Aashiyaney Bulbul Ujada Khaney Be Kash Bada Kamal Kya |
Tera Shitam Jada Aankhon Ne Kya Bigada Tha Ye Kya Samay Ki Dur In Sey Wo Jamal Kya |
Hujur Un Ke Khayale Watan Mitana Tha Ham Aap Mit Gay Achchha Farag Baal Kya |
Na Ghar Ka Rakha Na Is Dar Ka Hay Na Kami Ha Be Basi Par Bhi Kuchh Khayal Kya |
Jo Dil Ne Mar Ke Jalaya Tha Mannato Ka Chirag Shitam Ki Arj Rahe Sar Sar Jawal Kya |
Madina Chhud Ke Wirana Hind Ka Bhaya Ye Kaisey Hae Hawaso Ne Ikhtelal Kya |
Tu Jis Ke Waste Chhud Aaya Tayba Sha Mahbub Bata To Is Shitam Aara Ne Kya Nihal Kya |
Abhi Abhi To Chaman Me The Chahchahe Nagah Ye Dard Kesa Utha Jis Ne Ji Nidhal Kya |
Ilaahi Sun Le Raza Jite Ji Ki Muala Ne Sagane Kucha Me Chehara Mera Bahal Kya |
Wah Kya Joodo Karam Hay Shahe Bat-Ha Tera |
Wah Kya Joodo Karam Hay Shahe Bat-Ha Tera Nahi Sunta Hi Nahi Maangne Waala Tera |
Dhaare Chalte Hain Ataa Ke Wo Hain Qatra Tera Tare Khilte Hain Sakhaa Ke Wo Hay Zar-Ra Tera |
Faiz Hay Ya Shahe Tasneem Nirala Tera Aap Pyaso Ke Tajas-Sus Me Hay Dariya Tera |
Agniyan Palte Hain Dar Se Wo Hay Bada Tera Asfiya Chalte Hain Sar Se Wo Hay Rasta Tera |
Farsh Waale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Jaanen Khusrawa Arsh Pe Urta Hay Phareraa Tera |
Aasmaan Khwan, Zameen Khwan Zamana Mehmaan Sahibe Khana Laqab Kiska Hay Teraa Teraa |
Main To Maalik Hi Kahoonga Ke Ho Maalik Ke Habeeb Ya’ani Mahboob O Muhib Me Nahi Mera Tera |
Tere Qadmoun Me Jo Hain Ghair Ka Muh Kya Dekhein Kon Nazroun Pe Charhe Dekh Ke Talwaa Tera |
Bahre Saail Ka Hun, Sail Na Kuwein Ka Pyasa Khud Bujha Jaye Kaleja Mera Cheenta Teraa |
Chor Haakim Se Chupa Karta Hain Yaan Uske Khilaaf Tere Daaman Me Chupe Chor Anokha Teraa |
Aankhein Thandi Ho Jigar Taze Ho Jaan-E-Sairaab Sachhe Suraj Wo Dil-Aara Hai Ujala Tera |
Aik Main Kya Mere Is Yaan Ki Haqeeqat Kitni Mujhse Sau Laakh Ko Kaafi Hay Isharaa Tera |
Muft Paala Tha Kabhi Kaam Ki Aadat Na Paree Ab Amal Poochte Hain Haaye Nikamma Teraa |
Tere Tukro Se Pale Ghair Ki Thokar Pe Na Daal Jhirkiyaan Khaayein Kahan Chor Ke Sadqa Tera |
Khwar O Bimar O Khatavar O Gunahgaar Hun Main Rafe’a O Nafe’a O Shafe’a Lakab Aaqa Teraa |
Meri Taqdeer Buri Ho To Bhalee Kardey Ke Hay Mahwo Isbaat Ke Daftar Me Karora Tera |
Tu Jo Chahe To Abhi Mayl Merey Dil Ke Dhulein Ke Khuda Dil Nahi Karta Kabhi Mayla Tera |
Kiska Muh Takiye Kaha Jaiye Kis Se Kahiye Tere Hi Qadmoun Pe Mitt Jaye Yeh Paala Tera |
Tu Ne Islam Diya Tu Ne Jama’at Me Liya Tu Kareem Ab Koi Phirta Hain Atiyya Tera |
Maut Sunta Hun Sitam Talkh Hain Zahraa Ba-E Nab Kaun La De Mujhe Talwo Ka Ghusala Tera |
Dur Kya Janiye Bad-Kaar Pe Kaise Guzre Tere Hi Dar Pe Mare Be-Kaso Tanha Tera |
Tere Sadqe Mujhe Ik Boond Bohat Hay Teri Jis Din Achho Ko Milay Jaam Chalakta Tera |
Haram-O-Taibah Wa Baghdad Jidhar Kije Nigah Jyot Parti Hay Teri Noor Hay Chanta Tera |
Teri Sarkaar Me Laata Hay Raza Usko Shafee Jo Mera Ghous Hay Aur Laadla Beta Teraa |
واہ کیا ُجود و کرم ہے شَہِ بَطْحا تیرا واہ کیا ُجود و کرم ہے شَہِ بَطْحا تیرا نہیں ُسنتا ہی نہیں مانگنے والا تیرا دھارے چلتے ہیں عطا کے وہ ہے قطرہ تیرا تارے کِھلتے ہیں َ َسخا کے وہ ہے ذَرّہ تیرا فیض ہے یا شَہِ تسنیم نِرالا تیرا آپ پیاسوں کے تَجَسُّس میں ہے دریا تیرا اَغنیا پلتے ہیں دَر سے وہ ہے باڑا تیرا اَصفیا چلتے ہیں سر سے وہ ہے رَستا تیرا فرش والے تِری شوکت کا عُلو کیا جانیں خُسروا عرش پہ اُڑتا ہے پَھریرا تیرا آسماں خوان، زمیں خوان، زمانہ مہمان صاحبِ خانہ لقب کس کا ہے تیرا تیرا میں تو مالِک ہی کہوں گا کہ ہو مالِک کے حبیب یعنی محبوب و محب میں نہیں میرا تیرا تیرے قدموں میں جو ہیں غیر کا منہ کیا دیکھیں کون نظروں پہ چڑھے دیکھ کے تلوا تیرا بحر سائل کا ہوں سائل نہ کنوئیں کا پیاسا خود بجھا جائے کلیجا مِرا چھینٹا تیرا چور حاکم سے چھپا کرتے ہیں یاں اس کے خلاف تیرے دامن میں چُھپے چور انوکھا تیرا آنکھیں ٹھنڈی ہوں جگر تازے ہوں جانیں سیراب سچّے سورج وہ دِل آرا ہے اُجالا تیرا دِل عبث خوف سے پتّا سا اُڑا جاتا ہے پلّہ ہلکا سہی بھاری ہے بھروسا تیرا ایک میں کیا مِرے عِصیاں کی حقیقت کتنی مجھ سے سو لاکھ کو کافی ہے اِشارہ تیرا مُفت پالا تھا کبھی کام کی عادت نہ پڑی اب عمل پوچھتے ہیں ہائے نِکمَّا تیرا تیرے ٹکڑوں سے پلے غیر کی ٹھوکر پہ نہ ڈال جِھڑکیاں کھائیں کہاں چھوڑ کے صَدقہ تیرا خوار و بیمار و خطا وار و گنہ گار ہوں میں رافع و نافع و شافع لقب آقا تیرا میری تقدیر بُری ہو تو بھلی کر دے کہ ہے محو و اثبات کے دفتر پہ کڑوڑا تیرا تُو جو چاہے تو ابھی میل مرے دل کے دُھلیں کہ خُدا دِل نہیں کرتا کبھی مَیلا تیرا کس کا منہ تکیے کہاں جائیے کس سے کہیے تیرے ہی قدموں پہ مِٹ جائے یہ پالا تیرا ُ تو نے اِسلام دیا ُ تو نے جماعت میں لیا ُ تو کریم اب کوئی پھرتا ہے عطیَّہ تیرا موت ُسنتا ہوں سِتَم تَلْخ ہے زہرا بۂ ناب کون لا دے مجھے تلووں کا غَسالہ تیرا دُور کیا جانئیے بدکار پہ کیسی گزرے تیرے ہی در پہ مَرے بیکس و تنہا تیرا تیرے صدقے مجھے اِک بوند بہت ہے تیری جس دِن اَچّھوں کو مِلے جام چھلکتا تیرا حرم و طیبہ و بغداد جدھر کیجئے نِگاہ َ جوت پڑتی ہے تِری نور ہے َ چھنتا تیرا تیری سرکار میں لاتا ہے رضاؔ اُس کو شفیع جو مِرا غوث ہے اور لاڈلا بیٹا تیرا |
Tu Hai Woh Ghaus Ke Har Ghaus Hai Shaida Tera |
Tu Hai Woh Ghaus Ke Har Ghaus Hai Shaida Tera Tu Hai Woh Gais Ke Har Gais He Payasa Tera |
Suraj Aglow Ke Chamakte Te Chamak Kar Dubeh Ufaq Noore Pe He Mahr Hamesha Tera |
Murg Sab Bolte He Bol Ke Chup Rehte Heh Ha Aseel Ek Nawasanj Rahe Ga Tera |
Jo Wali Qabal Te Ma Baad Howe Ya Hoonge Sab Adab Rakteh He Dil Me Mere Aaka Tera |
Tujse Aur Dahar Ke Aqtaab Se Nisbat Kaisi Qutub Khud Koon He Khadim Tera Chela Tera |
Saare Aqtaabe Jaha Karte He Kaabe Ka Tawaaf Kaaba Karta He Tawaafe Dare Wala Tera |
Too He Nausha Baraati He Ye Saara Gulzaar La’ee He Fasle Saman Goondh Ke Sehra Tera |
Daaliyah Jhoomti He Raqse Khushi Joush Pe He Bulbule Jholti He Gaathi He Sehra Tera |
Geet Kaliyo Ki Chatak Gazle Hazaaro Ki Chahak Baagh Ke Saazo Me Bajta He Tarana Tera |
Kis Ghulistaan Ko Nahin Fasle Bahari Se Niyaaz Kaun Se Silsile Meh Faiz Na Ayaa Tera |
Heh Raza Yoon Na Balak To Nahein Jayyad To Na Ho Sayyidi Jayyad Har Dahar He Maula Tera |
Hum Khak Hain Aur Khak Hi Mawa Hain Hamara |
Hum Khak Hain Aur Khak Hi Mawa Hain Hamara Khaki To Wo Aadam Jade Aala Hain Hamara |
Allah Hame Khak Kare Apni Talab Me Ye Khak To Sarkar Se Tamaga Hain Hamara |
Jis Khak Pe Rakhate The Kadam Sayyede Aalam Us Khak Pe Kurba Dile Shaida Hain Hamara |
Kham Ho Gai Pushte Falak Is Taane Jamin Se Sun Ham Pe Madina Hain Wo Rutba Hain Hamara |
Us Ne Lakabe Khak Shahenshah Se Paya Jo Haidere Karar Ki Maula Hain Hamara |
E Mudaiyo Khak Ko Tum Khak Na Samjo Is Khak Me Madfun Shahe Batha Hain Hamara |
Hain Khak Se Taamir Majare Shahe Koanain Maamur Isi Khak Se Kibala Hain Hamara |
Hum Khak Uda Lenge Jo Vo Khak Na Pai Abad Raza Jis Pe Madina Hain Hamara |
Muhammad Mazhar Kamil Hain Haq Ki Shaan Izzat Ka |
Muhammad Mazhar Kamil Hain Haq Ki Shaan Izzat Ka Nazar Aata Ha Is Kasrat Main Kuchh Andaz Wahadat Ka |
Yahi Hain Asle Aalam Madae Ijade Khilkat Ka Yahaa Wahadat Main Barapa Hain Ajaba Hangama Kasrat Ka |
Gada Bhi Muntazir Hain Khuld Main Neko Ki Dawat Ka Khuda Din Khar Se Laae Sakhi Ke Ghar Ziyafat Ka |
Gunah Magfor Dil Ke Rosan Khuak Aankhe Jigar Thnda Taalalllah Mahe Tayaba Aalma Teri Talaat Ka |
Na Rakhi Gul Ke Jhose Husan Ne Gulsan Main Ja Baki Cahtkata Phir Kaha Guncha Koy Bage Risaamat Ka |
Bhda Ye Silsila Rahamat Ka Dhroe Julf Wala Main Tasalsul Kale Koso Rah Gaya Isaya Ki Julmat Ka |
Safe Matma Ude Khali Ho Jinda Tukte Zanzir Gunhgaro Chalo Maula Ne Dark Hula Hain Jannat Ka |
Sikhaya Hain Ye Kis Gustakha Ne Aaina Ko Ya Rab Najara Roe Jana Ka Bahana Karke Heart Ka |
Idhar Ummat Ki Hasrat Par Udhar Khaliak Ki Rahmat Ka Nirala Toar Hoga Gadise Chame Safaat Ka |
Bhade Is Dajha Muhje Kasate Afjaal Wala Ka Kinara Mil Gaya Is Nahar Se Dariyae Wahadat Ka |
Khame Julfe Nabi Sajid Hain Maharabe Do Abro Ka Ki Ya Rab Tu Hi Wali Hain Siayah Karane Ummat Ka |
Madd E Jhose Giya Baha De Koha Or Sahara Nazar Aa Jaae Jalwa Be Us Paak Tubat Ka |
Hue Kamkawabie Hijara Main Saato Pade Kamkawabi Tasvvuar Khub Bandha Aankho Ne Astare Tubat Ka |
Yaki Hain Waqke Jalwa Lagjise Pae Nigah Pae Mile Jose Safae Jism Se Pa Boss Hajrat Ka |
Yaha Chhdaka Namak Wa Marhame Kafur Hath Aaya Dile Jakhmi Namak Parawuda Hain Kis Ki Malahat Ka |
Ilaahi Muntajir Hu Wo Kharame Naaz Farmaae Bicha Rakha Hain Fas Aankho Ne Kamkhwabe Basarat |
Na Ho Aaka Ko Sajda Aadamo Usuf Ko Sunati Hain Magar Sidhe Jaraea Dab Hain Apani Sariat Ka |
Jabane Khar Kis Kis Dard Se Un Ko Sunati Hain Tadpana Dashte Tayba Me Jigar Apagar Fukrat Ka |
Sirhane Un Ke Bismil Ke Ye Betabi Ka Matam Hain Shahe Koasar Tarhahum Tashna Jata Hain Jiyarat Ka |
Jinhe Makrad Me Ta Hashr Ummati Kah Kar Pukaroge Hame Bhi Yad Kar Lo Un Me Sadka Apni Rahemat Ka |
Vo Chamki Bijliyan Ya Rab Tajalli Haie Jano Ki Chashme Toor Ka Surma Ho Dil Mushtak Ruyat Ka |
Raza Khasta Joshe Bahare Isyo Se Na Dhabarana Kabhi To Hath Aa Jaega Daman Un Ki Rahemat Ka |
Lamyati Nazeero Kaafi Nazarin |
Lamyati Nazeero Kaafi Nazarin Misle To Na Shud Paida Jaana |
Jag Raaj Ko Taaj Tore Sar So Hai Tujh Ko Shahey Do Sara Jaana |
Ana Fi Atshiv Wa Sakha Ka Atam Aye Gesu E Paak Aye Abr E Karam |
Barsan Haare Rimjhim Rimjhim Do Boond Idhar Bhi Gira Jaana |
Al Bahro Alaa Wal Mavjo Tagha Mann Bekaso Tufaan Hosh Ruba |
Manjdhaar Me Hu Ya Rasoolallah |
Manjdhaar Me Hu Bigri Hai Hawaa Moori Naiya Paar Laga Jaana |
Ar Rooho Fida Ka Fazid Harka |
Yak Shola Digar Barzan Ishqa |
Mora Tan Mann Dhan Sab Phoonk Diya Yeh Jaan Bhi Pyaare Jala Jaana |
Al Qalbo Shyjivm Wal Hamo Shujut Dil Dar Chuna Jaan Zer Chuno |
Pat Apni Bhi Pat Mai Kaise Kahu Mera Kaun Hai Tere Siwa Jaana |
Bas Khaama E Khaam Nawa E Raza Na Yeh Taraz Meri Na Yeh Rang Mera |
Irshaad E Ahibba Na Atik Tha Nachaar Is Raah Para Jaana |
Mora Jiyera Larje Dharak Dharak Taiba Se Abhi Na Suna Jaanaa |
Shor E Mehno Sun Kar Main Dawan Aaya |
Shor E Mehno Sun Kar Main Dawan Aaya Shaki Main Tere Sadake May De Ramja Aaya |
Is Gul Ke Shiva Har Gul Bagos Gira Aaya Dekhe Hi Gi E Bulbul Jab Waqte Fuga Aaya |
Jab Baame Tazlla Par Wo Nayyare Ja Aaya Sar Tha Gira Zuk Kar Dil Tha Jo Tapa Aaya |
Jannat Ko Haram Samja Aate To Yaha Aaya Ab Tak Ke Har Ek Ka Munh Kahata Hun Kaha Aaya |
Tayba Ke Shiva Sab Bag Pamale Fana Honge Dekhoge Chaman Walo Jab Ahade Khijan Aaya |
Sar Aur Wo Sange Dar Aankha Aur Wo Bajme Nur Jalim Ko Watan Ka Dhiyaan Aaya To Kaha Aaya |
Kuchh Naeat Ke Tabke Ka Aalm Hi Nitala Hai Sakta Me Padi Hai Aakl Chakkar Me Guman Aaya |
Jalti Thi Jami Kaisi,Thi Dhup Kadi Kaisi Lo Wo Kade Be Saya Ab Saya Kuna Aaya |
Tayba Se Ham Aate Hain Kahie To Jina Walo Kya Dekhe Ke Jeeta Hai Jo Wan Se Yaha Aaya |
Le Tuike Alam Se Ab Aajad Ho E Kumari Chatkhi Liey Bakhisas Ki Wo Sarwe Rawa Aaya |
Nama Se Raza Ke Ab Mit Jaao Bure Kamo |
Badkar Raza Khush Ho Kam Bhale Honge Wo Achchhe Miya Pyara Achchho Ka Miya Aaya |
Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya, |
Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya, Lamey Batin Me Gumne Jalway Jahir Gaya. |
Teri Maji Pa Gaya Suraj Bhi Fira Ulate Kadam, Teri Ungali Uth Gai Mah Ka Kaleja Chir Gaya. |
Badh Chali Teri Jiya Andher Aalm Se Ghata, Khul Gaya Desoo Tera Rahmat Ka Badal Se Ghata Gaya. |
Bandh Gai Teri Hawa Sawa Me Khak Udane Lagi, Badh Chali Teri Jiya Aatis Pe Pani Phir Gaya. |
Teri Rahmat Se Safiyullah Ka Beda Par Tha, Tere Sadake Se Najiyullah K Bajara Tar Gaya. |
Teri Aamad Thi Ki Baitullah Mujare Ko Zuka, Teri Haibat Thi Ki Har But Thar Thara Kar Gir Gaya. |
Momin Unaka Kya Huaa Allah Uska Ho Gaya, Kafir Un Se Kya Phira Allah Hi Se Phir Gaya |
Wo Ki Is Dar Ka Huaa Khalke Khuda Us Ki Hui, Wo Ki Is Dar Se Phir Allah Us Se Phir Gaya. |
Mujko Deewana Batate Ho Main To Wp Husyaar Hu, Paanw Jab Taife Haram Me Thak Gae Sar Phir Gaya. |
Ramatul Lil Aalmi Aafat Me Hun Kaisi Karun, Mere Muala Main To Is Dil Me Bala Se Ghir Wo. |
Main Tere Hatho Ke Sadake Kaisi Kakriya Thi Wo, Jin Se Itane Kafiro Ka Dafaatan Munh Phir Gaya. |
Kyun Janabe Bu Huraira Thaw O Kaisa Jaame Shir, Jis Se Sattar Shahibo Ka Dugha Se Munh Phir Gaya |
Wasta Pyare Ka Esa Ho Ki Jo Sunny Mare, Yu Na Farmaey Tere Shahid Ki Wo Fajir Gaya. |
Ars Par Dhoome Machi Wo Momine Shaleh Mila, Fars Se Matam Uthe Wo Tayyeb-O Tahir Gaya. |
Allah Allah Ye Uluey Khas Abdiyyat Raza, Banda Milne Ko Karib Hajrate Kadirgaya. |
Thokare Khate Firoge Unke Dar Par Pad Raho, Kafila To E Raza Awwal Gaya Aakhir Gaya. |
Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya Lamey Batin Me Gumne Jalway Jahir Gaya. |
Taab E Miraat E Saher Gard E Bayabaan E Arab |
Taab E Miraat E Saher Gard E Bayabaan E Arab Ghaaza E Rooye Qamar Dood E Charaaghaan E Arab |
Allah Allah Bahaar E Chamanistaane Arab Paak Hain Lauth E Khizaan Sey Gul-O-Rehaan E Arab |
Joshish E Abr Sey Khoon E Gul E Firdous Kare Cher De Rag Ko Agar Khaar E Bayabaan E Arab |
Tishna E Neher E Jinaan Har Arabi-O-Ajami Lab E Har Neher E Jinan Tishna E Neesaane Arab |
Toq E Gham Aap Hawae Pare Qumri Sey Gire Agar Aazad Kare Sarw E Khuramaan E Arab |
Meher E Meezan Mein Chupa Ho To Hamal Mein Chamke Dale Ek Boond Shabe De Mein Jo Baaraan E Arab |
Arsh Sey Muzda E Bilqees E Shafa’at Laaya Taair E Sidrah Nasheen Murgh E Sulemaan E Arab |
Husn E Yusuf Pe Kateen Misr Mein Angasht E Zanaan Sar Kataate Hain Tere Naam Pe Mardaan E Arab |
Koocha Koocha Mein Mahekti Hay Yahaan Boo– E Qamees Yusufistaan Hay Har Ek Gosha E Kan’aan E Arab |
Bazm E Qudsi Mein Hay Yaad E Lab E Jaan Bakhsh Huzoor Aalam E Noor Mein Hay Chashma E Haywaan E Arab |
Paayay Jibreel Ne Sarkaar Sey Kya Kya Alqaab Khusr-O-Khail E Malak Khaadim E Sultan E Arab |
Bulbul-O-Nilpar-O-Kabak Bano Parwaano Meh-O-Khursheed Pe Hanste Hain Charaghaan E Arab |
Hoor Sey Kya Kahein Moosa Sey Magar Arz Karein Ke Hay Khud Husn E Azal Taalib E Jaanaan E Arab |
Karam E Naat-Key Nazdeek To Kuch Door Nahin Ke Raza E Ajami Ho Sag E Hassaan E Arab |
Jobano(N) Par Hai Bahare Chaman Aaraaiye Dost |
Jobano(N) Par Hai Bahare Chaman Aaraaiye Dost Khuld Ka Naam Na Le Bulbule Shadaaiye Dost |
Thak Ke Baithe To Dare Dil Pe Tamannaiye Dost Kaun Se Ghar Ka Ujaala Nahi Zaibaaiye Dost |
Arsaye Hashr Kuja Mauqife Mahmood Kuja Saaz Hungamo(N) Se Rakhti Nahi(N) Yaktaaiye Dost |
Mehr Kis Munh Se Jilau Daariye Jaana(N) Karta Saaye Ke Naam Se Bezaar Hai Yaktaaiye Dost |
Marne Waalo Ko Yaha(N) Milti Hai Umre Javed Zinda Chchodegi Kisi Ko Na Masihaaiye Dost |
Unko Yakta Kiya Aur Khalq Banayi Ya’ni Anjuman Karke Tamaasha Kare Tanhaaiye Dost |
Kaa’ba Wa Arsh Mein Kohraam Hai Naakaami Ka Aah Kis Bazm Me Hain Jalwaye Yaktaaiye Dost |
Husne Be Parda Ke Parde Ne Mita Rakkha Hai Dhoonde Jaaye(N) Kaha(N) Jalwaye Harjaaiye Dost |
Shauq Roke Na Ruke Paao Uthaye Na Uthe Kaisi Mushkil Mein Hain Allah Tamannaaiye Dost |
Sharm Se Jhukti Hai Mehraab Ki Saajid Hain Huzoor Sajda Karwati Hai Kaa’be Se Jabee(N) Saaiye Dost |
Taajwalo Ka Yaha Khaak Me Maatha Dekha Saare Daaraao(N) Ki Daaraa Huyi Daaraaiye Dost |
Toor Par Koi, Koi Charkh Pe Ye Arsh Se Paar Saare Baalaao Pe Baala Rahi Baalaiye Dost |
Anta Feehim Ne Adu Ko Bhi Liya Daaman Mein Aishe Javed Mubarak Tujhe Shaidaaiye Dost |
Ranje Aa’da Ka Raza Chaara Hi Kya Hai Jab Unhe Aap Gustaakh Rakhe Hilmo Shikaibaaiye Dost |
Zahe Izzato Aetala-E Muhammad |
Zahe Izzato Aetala-E Muhammad Ke Hai Arsh E Haq Zere Paa-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم |
Makaa(N) Arsh Unka Falak Farsh Unka Malak Khaadimane Sara-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم |
Khuda Ki Raza Chahte Hai Do Aalam Khuda Chahta Hai Raza-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم |
Ajab Kya Agar Raham Farma Le Hum Par Khuda-E Muhammad Baraa-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم |
Muhammad Baraa-E Janaab E Ilahi Janaab E Ilahi Baraa-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم |
Basi Itre Mahboobi-E Kibriya Se A-Baye Muhammad Kabaa-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم |
Baham Ahad Bandhe Hai Wasl E Abad Ka Raza-E Khuda Aur Raza-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم |
Dame Naz’a Jaari Ho Meri Zabaa(N) Par Muhammad Muhammad Khuda-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم |
Asaa-E Kaleem Azdahaye Ghazab Tha Giro(N) Ka Sahara Asaa-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم |
Main Kurbaan Kya Pyari Pyari Hai Nisbat Ye Aan-E Khuda Wo Khuda-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم |
Muhammad Ka Damm Khaas Bahre Khuda Hai Siwaye Muhammad Bara-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم |
Khuda Unko Kis Pyar Se Dekhta Hai Jo Aankhei(N) Hai Mahve Lika-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم |
Zulu Me Ijabat Khawasi Me Rehmat Badhi Kis Tuzuk Se Dua-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم |
Izabat Ne Jhuk Kar Gale Se Lagaya Badhi Naaz Se Jab Dua-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم |
Izabat Ka Sehra Inayat Ka Joda Dulhan Banke Nikli Dua-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم |
Raza Pul Se Ab Wajd Karte Guzariye Ki Hai Rabbe Sallim Sada-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم |
Bandah Qaadir Ka Bhi Qaadir Bhi Hay Abdul Qaadir, |
Bandah Qaadir Ka Bhi Qaadir Bhi Hay Abdul Qaadir, Sir-E-Baatin Bhi Hay Zaahir Bhi Hay Abdul Qaadir. |
Mufti-E-Shar’a Bhi Hay Qaazi-E-Millat Bhi Hay, Ilm-E-Asraar Sey Maahir Bhi Hay Abdul Qaadir. |
Manba’a Faiz Bhi Hay Majma’a Afdaal Bhi Hay, Meher-E-Irfaan Ka Munnawar Bhi Hay Abdul Qaadir. |
Qutb-E-Abdaal Bhi Hay Mehwer -E-Irshaad Bhi Hay, Markaze Daairah-E-Sir Bhi Hay Abdul Qaadir. |
Salak-E-Irfaan Ki Ziya Hay Yahi Dur-E-Mukhtaar, Fakhr-E-Ashbaah-Wa-Nazair Bhi Hay Abdul Qaadir. |
Us Key Farmaan Hain Sab Shaareh Hukm-E-Shaare’, Mazhare Naa Hi-O-Aamir Bhi Hay Abdul Qaadir. |
Zee Tasarruf Bhi Hay Maazoon Bhi Mukhtar Bhi Hay, Kaar-E-Aalam Ka Muddabir Bhi Hay Abdul Qaadir. |
Rashk-E-Bulbul Hay Raza Laala-E-Sad Daagh Bhi Hay, Aap Ka Waasif-O-Zaakir Bhi Hay Abdul Qaadir. |
Guzre Jis Rah Se Wo Sayyid E Wala Ho Kar |
Guzre Jis Rah Se Wo Sayyid E Wala Ho Kar Reh Gayi Sari Zameen Anbar E Sara Ho Kar |
Rukh E Anwar Ki Tajjali Jo Qamar Ne Dekhi Reh Gaya Bosah Dah E Naqsh E Kaf E Pa Ho Kar |
Waye Mehroomi E Qismat Ke Main Phir Ab Ki Baras Reh Gaya Hamrah E Zawwar E Madinah Ho Kar |
Chaman E Taiba Hay Wo Bagh Ke Murgh E Sidrah Barson Chehke Hain Jahan Bulbul E Shaida Ho Kar |
Sar-Sar E Dasht E Madinah Ka Magar Aya Khyal Rashk E Gulshan Jo Bana Ghuncha E Dil Wa Ho Kar |
Gosh E Sheh Kehte Hain Faryad Rasi Ko Ham Mein Wada E Chashm Hay Bakhshain Ge Goya Ho Kar |
Paye Sheh Par Gire Ya Rab Tapish E Meher Se Jab Dil E Betab Ure Hashr Mein Para Ho Kar |
Hay Yeh Ummeed Raza Ko Teri Rahmat Se Shaha Na Ho Zandani E Dozakh Tera Bandah Ho Kar |
Tumhaare Zarre Key Par To Sitaar Haaye Falak, |
Tumhaare Zarre Key Par To Sitaar Haaye Falak, Tumhaare Na’al Ki Naaqis Misl Ziyaaye Falak. |
Agar Che Chaale Sitaron Sey Par Gaye Laakhon, Magar Tumhari Talab Mein Thake Na Paaye Falak. |
Sar-E-Falak Na Kabhi Taa Ba Aastaan Pohoncha, Keh Ibtidaaye Bulandi Thee Intihaaye Falak. |
Ye Mit Key Un Ki Rawish Par Huwa Khud Unki Rawish, Keh Naqsh-E-Paaye Zameen Par Na Soat-E-Paaye Falak. |
Tumhari Yaad Mein Guzri Thee Jaagte Shab Bhar, Chali Naseem Hue Band Deed Haaye Falak. |
Na Jaag Uthain Kahin Ahl-E-Baqee Kuchi Neend, Chala Yeh Narm Na Nikli Sadaye Paaye Falak. |
Yeh Un Key Jalwe Ne Keen Garmiyan Shab-E-Asraa, Keh Jab Sey Charkh Mein Hain Naqrah-O-Talaaye Falak. |
Mere Ghani Ne Jawaahar Sey Bhar Diya Daaman, Gaya Jo Kaasa-E-Mai Le Key Shab Gadaye Falak. |
Raha Jo Qaane’ Yak Naan-E-Sookhta Din Bhar, Mili Huzoor Sey Kaan-E-Gehr Jazaye Falak. |
Tajammal-E-Shab-E-Asraa Abhi Simat Na Chuka, Keh Jab Sey Waisi Hi Kotal Hay Sabz Haaye Falak. |
Khitaab-E-Haq Bhi Hay Dar Baab-E-Khalq-Min-Ajalik, Agar Idhar Sey Dam-E-Hamd Hay Sadaaye Falak. |
Ye Ahl-E-Bait Ki Chakki Sey Chaal Seekhi Hay, Rawaan Hay Be Madad Dast Aasiya-E-Falak. |
Raza Ye Naat-E-Nabi Ne Bulandiyan Bakhsheen, Laqab Zameen-E-Falak Ka Hua Samaaye Falak. |
Sar Ta Ba-Qadam Hai Tan E Sultane Zaman Phool |
Sar Ta Ba-Qadam Hai Tan E Sultane Zaman Phool |
Lab Phool, Dahan Phool, Zakan Phool, Badan Phool |
Sadqe Me Tere Baagh To Kya Laye Hai Ban Phool Iss Guncha E Dil Ko Bhi To Imaa Ho Ki Ban Phool |
Tinka Bhi Hamare To Hilaye Nahi Hilta Tum Chaho To Ho Jaye Abhi Kohe Mehan Phool |
Wallah Jo Mil Jaye Mere Ghul Ka Paseena Maange Na Kabhi Itr Na Fir Chahe Dulhan Phool |
Dil-Basta Wa Khu-Gashta Na Khusbu Na Latafat Kyo Guncha Kahu Hai Mere Aaqa Ka Dehan Phool |
Shab Yaad Thi Kin Daanto Ki Shabnam Ki Dam E Subh(A) Shokhane Bahari Ke Jada-U Hai Kiran Phool |
Dandaan O Lab O Zulf O Rukhe Shah Ke Fidayi Hai Durre Adan La’ale Yaman Mushke Khotan Phool |
Bu Hoke Nahi Ho Gaye Taabe Rukhe Shah Me Lo Ban Gaye Hai Ab To Haseeno Ka Dahan Phool |
Ho Baare Gunah Se Na Khazil Doshe Azeeza(N) Lillah Meri Na’ash Kar Aaye Jane Chaman Phool |
Dil Apna Bhi Shaidayi Hai Us Naakhun E Paa Ka Itna Bhi Mahe Nou Pe Na Ay Charkhe Kuhan Phool |
Dil Khol Ke Khu Ro Le Game Aarize Shah Me Nikle To Kahi Hasrat E Khu-Naaba Shudan Phool |
Kya Gaaza Mala Garde Madeena Ka Jo Hai Aaj Nikhre Hue Joban Me Qiyamat Ki Phaban Phool |
Garmi Ye Qiyamat Hai Ki Kaante Hai Zabaa(N) Par Bulbul Ko Bhi Ay Saaqi E Sahba Wa Laban Phool |
Hai Kaun Ki Girya Kare Ya Faatiha Ko Aaye Bekas Ke Uthaye Teri Rehmat Ke Bharan Phool |
Dil Ghum Tujhe Ghere Hai Khuda Tujhko Wo Chamkaye Suraj Tere Khirman Ko Bane Teri Kiran Phool |
Kya Baat Raza Us Chamanistaan E Karam Ki Zahra Hai Kali Jisme Husain Aur Hasan Phoo |
Paat Woh Kuch Dhaar Ye Kuch Zaar Hum |
Paat Woh Kuch Dhaar Ye Kuch Zaar Hum Ya Ilaahi Kyun Kar Utre Paar Hum |
Kis Bala Ki Mai Se Hain Sarshaar Hum Din Dhala Hote Nahi(N) Hushiyaar Hum |
Tum Karam Se Mushtari Har Aib Ke Jin Se Na Maqboole Har Bazaar Hum |
Dushmano(N) Ki Aankh Mein Bhi Phool Tum Dosto(N) Ki Bhi Nazar Mein Khaar Hum |
Lagzishe Pa Ka Sahara Ek Tum Girne Waale Lakho(N) Na Hanjaar Hum |
Sadqa Apne Baazuo Ka Al Madad Kaise Tode(N) Ye Bute Pindaar Hum |
Dam Qadam Ki Khair Aye Jaane Maseeh Dar Pe Laaye Hain Dile Beemar Hum |
Apni Rehmat Ki Taraf Dekhe Huzoor Jaante Hain Jaise Hain Badkaar Hum |
Apne Mehmaano(N) Ka Sadqa Ek Boond Mar Mite Pyaase Idhar Sarkaar Hum |
Apne Kooche Se Nikala To Na Do Hain To Had Bhar Ke Khudai Khwar Hum |
Haath Uthakar Ek Tukda Aye Kareem Hain Sakhi Ke Maal Mein Haqdaar Hum |
Chandni Chatki Hai Unke Noor Ki Aao Dekhe(N) Saire Tooro Naar Hum |
Himmat Aye Zo’f Unke Dar Par Gir Ke Ho(N) Be Takalluf Saayae Deewar Hum |
Ba Ata Tum Shah Tum Mukhtar Tum Benawa Hum Zaar Hum Nachaar Hum |
Tumne To Laakhon Ko Jaane(N) Fer Di(N) Aisa Kitna Rakhte Hain Aazaar Hum |
Apni Sattari Ka Ya Rab Waasta Ho(N) Na Ruswa Bar Sare Darbaar Hum |
Itni Arze Aakhri Keh Do Koi Naav Tooti Aa Pade Manjdhaar Hum |
Muh Bhi Dekha Hai Kisi Ke Afw Ka Dekh O Isyaa(N) Nahi Be Yaar Hum |
Main Nisaar Aisa Muslamaa(N) Kijiye Tod Daale(N) Nafs Ka Junnaar Hum |
Kab Se Failaye Hain Daaman Taige Ishq Ab To Paaye(N) Zakhm Daaman Daar Hum |
Sunniyat Se Khatke Sab Ki Aankh Mein Phool Hokar Ban Gaye Kya Khaar Hum |
Na Tuwani Ka Bhala Ho Ban Gaye Naqshe Paaye Taalibaane Yaar Hum |
Dil Ke Tukde Nazre Haazir Laaye Hain Aye Sagaane Koochaye Dildaar Hum |
Qismate Sauro Hira Ki Hirs Hai Chahte Hain Dil Mein Gehra Gaar Hum |
Chashm Poshi Wa Karam Shaane Shuma Kaare Ma Bebaaki Wa Israar Hum |
Fasle Gul Sabza Saba Masti Shabaab Chchode(N) Kis Dil Se Dare Khummar Hum |
Maikada Chut-Ta Hai Lillah Saaqiya Ab Ke Saagar Se Na Ho(N) Hoshiyaar Hum |
Naazishe Karte Hain Aapas Mein Malak Hain Ghulamane Shahe Abraar Hum |
Lutf Az Khud Raftagi Ya Rab Naseeb Ho Shaheede Jalwaye Raftaar Hum |
Unke Aage Da’waye Hasti Raza Kya Bake Jaata Hai Ye Har Baar Hum |
Ishq Moola Mein Ho Khoo Baar Kinar Daman |
Ishq Moola Mein Ho Khoo Baar Kinar Daman Yakhuda Jald Kahin Aeye Bahhar Daman |
Bah Chali Aankhh Bhi Ashkon Ki Terhan Daman Par Ke Nahi Taar Nazar Juz Do Sah Taar Daman |
Ashk Barsaun Chalay Kocha E Janaan Se Naseem Yakhuda Jald Kahin Niklay Bukhar Daman |
Dil Shidun Ka Yeh Huwa Daman E Ather Pay Hajhoom Baidil Abad Huwa Naam Dyar E Daman |
Mushk Sa Zulff Sheh O Noor Fishan Roye Huzoor Allah Allah Halb E Jaib O Khaar E Daman |
Tujh Se Ae Gul Mein Sitam Deedah E Dast E Hurman Khalish Dil Ki Kahoon Ya Gham E Khaar Daman |
Aks Afgan Hai Hilal E Lab E Sheh Jaib Nahi Mohar Aariz Ki Shu’ayen Hain Nah Taar Daman |
Asshk Kehte Hain Yeh Shedai Ki Ankhen Dho Kar Ae Adab Gard E Nazar Ho Nah Gubhar Daman |
Ae Raza Aah Woh Bulbul Ke Nazar Mein Jis Ki Jalwa E Jaib Gul Aeye Nah Bahhar Daman |
Yaad Mein Jis Ki Nahi Hosh E Tan O Jaa(N) Hum Ko |
Yaad Mein Jis Ki Nahi Hosh E Tan O Jaa(N) Hum Ko Phir Dikha Day Woh Rukh Ae Mohar Faroza(N)! Hum Ko |
Der Se Aap Mein Aana Nahi Milta Hai Hamein Kya Hi Khud Rafta Kya Jalwa E Janaa(N)! Hum Ko |
Jis Tbssm Ne Gulisitan Pay Girayi Bijli Phir Dikha Day Woh Adaye Gul E Khanda(N) Hum Ko |
Kash Aaweza E Qandil E Madinah Ho Woh Dil Jis Ki Soozish Ne Kya Rashke Cheragha(N) Hum Ko |
Arsh Jis Khoobi Raftaar Ka Pamaal Huwa Do Qadam Chal Ke Dikha Saro Kharama(N)! Hum Ko |
Shama Tayyiba Se Mein Parwana Rahon Kab Taq Door Haan Jala Day Sharer Aatish Panha(N)! Hum Ko |
Khauf Hai Sama Kharashi Sagh Tayyiba Ka Warna Kya Yaad Nahi Naala O Afgha(N) Hum Ko |
Khaak Ho Jaien Dar E Pak Pay Hasrat Mِt Jaye Yaa Ilahi Nah Phira Be Sir O Sama(N) Hum Ko |
Khaar Sehraye Madinah Nah Nikal Jaye Kahin Wehshat Dil Nah Phira Koh O Byaba(N) Hum Ko |
Tang Aeye Hain Do Aalam Tri Betabi Se Chain Lainay Day Tapay Seena E Sozaa(N) Hum Ko |
Paao(N) Ghirbaa(N) Hue Raah E Madinah Nah Mili Ae Junoo(N)! Ab To Miley Rukhsat Zanda(N) Hum Ko |
Mere Har Zakham Jigar Se Yeh Nikalti Hai Sada Ae Malih Arabi! Kar Day Namakdaa(N) Hum Ko |
Sair Gulshan Se Asiiraan Qafas Ko Kya Kaam Nah Day Takleef Chaman Bulbul E Bastaa(N) Hum Ko |
Jab Se Aankhon Mein Samai Hai Madinah Ki Bahar Nazar Atay Hain Khazaa Deedaa Gulisita(N) Hum Ko |
Gir Lab Pak Se Iqraar Shafaat Ho Jaye Yun Nah Be Chain Rakhay Joshish E Isyaa(N) Hum Ko |
Nayyar Hashar Ne Ik Aag Laga Rakhi Hai ! Taez Hai Dhoop Miley Saaya E Dama(N) Hum Ko |
Reham Farmayie Ya Shah Ke Ab Taab Nahi Taabkey Khoon Rulay Gham E Hijra(N) Hum Ko |
Chaak Daman Mein Nah Thak Jayoo Ae Dast E Junoo(N) Purze Karna Hai Abhi Jaib O Gireyba(N) Hum Ko |
Parda Uss Chehra E Anwar Se Uttha Kar Ik Baar Apna Aaina Bana Ae Meh Taba(N) Hum Ko |
Ae Raza Wasf Rukh E Pak Sunanay Ke Liye Nazar Dete Hain Chaman, Murgh Ghazal Khwa(N) Hum Ko |
Woh Suey La Lazaar Phirte Hain |
Woh Suey La Lazaar Phirte Hain Tere Din Ay Nahar Phirte Hain |
Jo Tere Dar Se Yar Phirte Hain Dar-Ba-Dar Yu Hi Khaar Phirte Hain |
Phool Kya Dekhu Meri Aankhon Mein Dashte Taibah Ke Khaar Phirte Hain |
Jaan Hain Jaan Kya Nazar Aaye, Kyu Adu Gird-E-Gaar Phirte Hain |
Unke Ima Pe Dono Bagho Par, Khaile Lailo Nahar Phirte Hain |
Wardiya Bolte Hain Har Kaare Pehra Dete Suvaar Phirte Hain |
Laakhon Qudsi Hain Kaam-E-Khidmat Par Laakhon Girde Mazaar Phirte Hain |
Har Charag-E-Mazaar Par Qudsi Kaise Parwa-Navar Phirte Hain |
Baaye Raste Na Ja Musafir Sun Maal Hain Rahbaar Phirte Hain |
Jaag Sunsaan Ban Hai Raat Aayi Gurg Behre Shikaar Phirte Hain |
Rakhiye Jaise Hain Khanazad Hain Hum Mol Ke Aibdaar Phirte Hain |
Us Gali Ka Gada Hu Main Jisme Maangte Taajdaar Phirte Hain |
Haye Gafil Wo Kya Jagah Hain Jaha Paanch Jaate Hain Chaar Phirte Hain |
Koyi Kyu Pooche Teri Baat Raza Tujhse Kutte Hazaar Phirte Hain |
Wasfe Rukh Unka Kiya Karte Hain Sharh E Wash Shams O Dhuha Karte Hain |
Wasfe Rukh Unka Kiya Karte Hain Sharh E Wash Shams O Dhuha Karte Hain Unki Hum Maddh O Thana Karte Hain Jinko Mahmood Kaha Karte Hain |
Maahe Shaq Gashta Ki Soorat Dekho Kaamp Kar Mehr Ki Raj’at Dekho Mustafa Pyaare Ki Qudrat Dekho Kaise Ayjaz Hua Karte Hain |
Tu Hay Khursheed E Risalat Pyare Chup Gaye Teri Ziya Main Taare Ambiya Aur Hay Sab Mah Paare Tujhse Hi Noor Liya Karte Hain |
Ay Balaa Be Khirdi E Kuffar Rakhte Hain Aise Key Haq Main Inkaar Ke Gawahi Ho Gar Usko Darkaar Be Zabaan Bol Utha Karte Hain |
Apne Maula Ki Hay Has Shaan E Azeem Jaanwar Bhi Kare Jinki Ta’zeem Sang Karte Hain Adab Sey Tasleem Per Sajde Me Gira Karte Hain |
Rif’ate Zikr Hay Tera Hissa Dono ‘Aalam Me Hay Tera Charcha Murgh E Firdous Pas Az Hamde Khuda Teri Hi Madh O Thana Karte Hain |
Ungliyaan Paayi Wo Pyaari Pyaari Jinse Dariya E Karam Hay Jaari Josh Par Aati Hay Jab Ghamkhwari Tishn E Sairaab Huwa Karte Hain |
Haan Yahi Karti Hain Chirriyan Fariyaad Haan Yahin Chaahti Hay Hirni Daad Isi Dar Par Shutraan E Naashaad Gil E Ranjo ‘Anaa Karte Hain |
Aasteen Rehmat E ‘Aalam Ulte Kamare Paak Pe Daaman Baandhe Girne Waalo Ko Kucha E Dohzakh Sey Saaf Alag Kheench Liya Karte Hain |
Jab Sabaa Aati Hay Taibah Sey Idhar Khilkhila Parrti Hay Kaliyan Yaksar Phool Jaamah Sey Nikal Kar Baahar Rukhe Rangeen Ki Thana Karte Hain |
Tu Hay Woh Badshah E Kouno Makaan Ki Malake Haft Falak Key Har Aan Tere Maula Sey Shah E Arsh ‘Aywan Teri Daulat Ki Dua Karte Hain |
Jiske Jalwe Sey Uhud Haytaabaan Ma’dane Noor Hay Uska Daamaan Hum Bhi Us Chaand Pe Ho Kar Qurbaan Dil E Sangi Ki Jila Karte Hain |
Kyo Na Zeba Ho Tujhse Taajwari Tere Hi Dam Ki Hay Sab Jalwa Gari Malak O Jinn O Bashar Hoor O Pari Jaan Sab Tujh Pe Fida Karte Hain |
Toot Parrti Hain Balayein Jin Par, Jinko Milta Nahin Koi Yaavar Har Taraf Sey Wo Pur Armaan Phir Kar Unke Daaman Mein Chupa Karte Hain |
Lab Par Aa Jaata Hay Naam E Janaab Muh Me Ghul Jaata Hay Shahde Naayaab Wajd Me Ho Key Hum Ay Jaan Betaab Apne Lab Choom Liya Karte Hain |
Lab Pe Kis Muh Sey Ghum E Ulfat Layen Kya Balaa Dil Hay Alam Jiska Sunayein Hum To Unke Kafe Paa Par Mit Jaye Unke Dar Par Jo Mita Karte Hain |
Apne Dil Ka Hay Unhi Sey Aaram Sompe Hay Apne Unhi Ko Sab Kaam Lou Lagi Hay Key Ab Us Dar Key Ghulaam Chaara E Dard E Raza Karte Hain |
Zairo Paas-E-Adab Rakhho Hawas Jaane Do |
Zairo Paas-E-Adab Rakhho Hawas Jaane Do Aankhein Andhi Huwi Hain Unnko Taras Jaane Do |
Sookhi Jaati Hay Ummeed-E-Gurba Ki Kheti Boondiya Lakka-E-Rehmat Ki Barras Jaane Do |
Palti Aati Hay Abhi Wajd Mein Jaane Sheereen Naghma-E-Qum Ka Zara Kaano Mein Ras Jaane Do |
Hum Bhi Chaltay Hay Zara Kaafile Waalo Thehro Gathriyaan Tosh-E-Ummeed Ki Kas Jaane Do |
Deed-E-Gul Aur Bhi Karti Hay Qiyamat Dil Par Hum-Safeero Humein Phir Sue Qafas Jaane Do |
Aatish-E-Dil Bhi To Bharkaawo Adab Waa(N) Naalo Kaun Kehta Hay Ki Tum Zabte Nafs Jaane Do |
Yoon Tane Zaar Key Dar Pe Huwe Dil Key Sho’lo Shewa-E-Khaanah Bar Andaziye Khas Jaane Do |
Aay Raza Aah Ki Yoon Sahl Katein Jurm Key Saal Do Ghari Ki Bhi Ibadat To Baras Jaane Do |
Poochte Kya Ho Arsh Par Yun Gaye Mustafa Ke Yun |
Poochte Kya Ho Arsh Par Yun Gaye Mustafa Ke Yun Kaif Ke Parr Jaha’n Jale Koyi Bataye Kya Ke Yun |
Qasre Dana Ke Raz Me Aqle To Gum He Jaisi He Ruhe Qudus Se Poochiye Tum Ne Bhi Kuch Suna Ke Yun |
Maine Kaha Ki Jalwa E Asl Me Kis Tarah Gume Subha Ne Noore Mehr Me Mitt Ke Dikha Diya Ke Yun |
Haye Re Zouq E Bekhudi Dil Jo Sambhalne Sa Laga Chak Ke Mahak Me Phool Ki Gir Ne Lagi Saba Ke Yun |
Dil Ko De Nooro Daghe Ishq Phir Mai Fida Do Neem Kar Mana He Sun Ke Shaqqe Mah Ankho Se Ab Dikha Ke Yun |
Dil Ko He Fikr Kis Tarah Murde Jhilate He Huzoor Ay Mai Fida Laga Kar Ek Thokar Use Bata Ke Yun |
Bagh Me Shukre Wasl Tha Hijr Me Hay Hay Ghul Kam He Unke Zikr Se Kher Wo Yun Hua Ke Yun |
Jo Kahe She’aro Pase Shar’a Dono Ka Husn Kyun Kar Aye La Use Paishe Jalwa E Zam Zame Raza Ke Yun |
Hay Lab-E-Isaa Sey Jaan Bakhshi Niraali Haath Mein |
Hay Lab-E-Isaa Sey Jaan Bakhshi Niraali Haath Mein Sang Reze Paate Hain Sheerin Maqaali Haath Mein |
Be Nawaon Ki Nigaahein Hain Kahaan Tehreer-E-Dast Reh Gayien Jo Paa Key Jood-E-Laa Yazaali Haath Mein |
Kya Lakiron Mein Yadullah Khat Sar-O-Aasa Likhaa Raah Yoon Is Raaz Likhne Ki Nikaali Haath Mein |
Jood Shahe Kausar Apne Pyason Ka Joya Hay Aap Kya Ajab Ur Kar Jo Aap Aaye Piyaali Haath Mein |
Abr Nisyaan Momino Ko Taigh Uriyaan Kufr Par Jam’a Hain Shaan-E-Jamaali-O-Jalaali Haath Mein |
Maalik-E-Kaunain Hain Go Pass Kuch Rakhte Nahin Do Jahan Ki Nematein Hain Un Key Khaali Haath Mein |
Saaya Afgan Sar Pe Ho Parcham Ilaahi Jhoom Kar Jab Liwaul-Hamd Le Ummat Ka Waali Haath Mein |
Har Khate Kaf Hay Yahaan Aay Dasht-E-Baizaaye Kaleem Mojzan Daryaae Noor-E-Be Misaali Haath Mein |
Wo Giraan Sangi Qadr-E-Mas Wo Arzaani Jood Nauiya Badla Kiye Sang Walaali Haath Mein |
Dastageere Har Do Aalam Kar Diya Sibtain Ko Aay Main Qurbaan Jaan-E-Jaan Angusht Kya Lee Haath Mein |
Aah Wo Aalam Key Aankhein Band Aur Lab Par Durood Waqf Sang-E-Dar Jabeen Rauza Ki Jaali Haath Mein |
Jis Ne Bai’at Ki Bahaar-E-Hassan Par Qurbaan Raha Hay Lakeerein Naqsh-E-Taskheer-E-Jamaali Haath Mein |
Kaash Ho Jaaun Lab-E-Kausar Mein Yoon Waa Rafta Hosh Le Kar Us Jaan-E-Karam Ka Zel Aali Haath Mein |
Aankh Mehwe Jalwa-E-Deedaar-E-Dil Pur Josh-E-Wajd Lab Pe Shukr-E-Bakhshish Saaqi Pyaali Haath Mein |
Hashr Mein Kya Kya Mazey Waaraftagi Key Loon Raza Laut Jaaun Paa Key Wo Daamane Aali Haath Mein |
Woh Kamal E Husn E Huzoor Hai Ki Guman E Naqs Jahan Nahi |
Woh Kamal E Husn E Huzoor Hai Ki Guman E Naqs Jahan Nahi Kay Gumaan-E-Naqs Jahaan Naheen Yay-Hee Phool Khaar Say Duur Hay Yay-Hee Sham’a Hai Kay Dhu-Aan Naheen |
Do Jahan Ki Behtariyan Nahi Ke Amaniye Dilo Jaan Nahi Kaho Kya Hain Wo Jo Yaha Nahi Magar Ik Nahi Ki Wo Haan Nahi |
Bakhuda Khuda Ka Yay-Hee Hay Darr Nahin Aur Koi Maffar Maqqar Joe Wahaan Say Ho Yaheen Aakay Ho Joe Yahaan Naheen Tou Wahan Naheen |
Main Nisaar Tere Kalaam Par Mili Yun To Kisi Ko Zabaan Nahi Wo Sikhan Hai Jisme Sukhan Na Ho Wo Bayaan Hain Jiska Bayaan Nahi |
Hain Unhi Ke Noor Se Sab Ayaan Hain Unhi Ke Jalwo Me Sab Nihaan Bane Subha Taabishe Mehar Se Rahe Peshe Mehar Yeh Jaan Nahi |
Wahi Noor E Haq Wahi Jille Rab Hain Unhi Se Sab Hain Unhi Ka Sab Nahi Unki Milk Mein Aasmaan Ki Jameen Nahi Ki Jamaan Nahi |
Teyray Aagay Youn Hayn Dabbay Lachay Fu-Saha A’rab Kay Barray Barray Ko-Ee Jaanay Muh Mayn Zubaan Naheen Naheen Balkay Jism Mein Jaan Naheen |
Wo-Hee Noor-E-Haq Wo-Hee Zillay Rub Hai Unhee Say Sub Hai Unhee Ka Sub Naheen Unkee Milk Meyn Aasmaan Ke Zameen Nahin Ke Zamaan Naheen |
Wo-Hee Laa Makaan Kay Makeen Huay Sar-E-‘Arsh Takht Nasheen Huay Wo Nabee Hai Jiss Kay Hain Yay Makaan Wo Khuda Hai Jiss Ka Makaan Naheen |
Sar-E-‘Arsh Per Hai Teree Guzar Dil-E-Farsh Per Hai Teree Nazar Malakoot-O-Mulk Mayn Ko-Ee Shay Naheen Wo Tujh Pay A’yaan Naheen |
Karoon Teray Naam Pay Jaan Fida Na Buss Aik Jaan Dou Jahaan Fida Dou Jahaan Say Bhee Naheen Jee Bharaa Karoon Kiya Karoroon Jahaan Naheen |
Karoon Madhay Ahle-E-Doel Raza Parray Iss Bala Meyn Meyree Balaa Meyn Gada Hoon Apnay Kareem Ka Meyra Deen Paara-E-Naan Naheen |
Zamana Haj Ka Hai Jalwa Diya Hai Shahide Gul Ko |
Zamana Haj Ka Hai Jalwa Diya Hai Shahide Gul Ko Ilahi Taaqate Parwaaz De Parhaye Bulbul Ko |
Bahare Aayi Joban Par Ghira Hai Abr Rehmat Ka Labe Mushtaaq Bheege(N) De Ijazat Saaqiya Mul Ko |
Mile Lab Se Woh Mushqee(N) Mohr Wali Dam Mein Dam Aaye Tapak Sun Kar Qume Isaa Kahu Masti Mein Qulqul Ko |
Machal Jaau Sawaale Mudda’aa Par Thaam Kar Daaman Behekne Ka Bahana Paau Qasde Be Ta-Ammul Ko |
Dua Kar Bakhte Khufta Jaag Hungame Ijaabat Hai Hataya Subhe Rukh Se Shah Ne Shab-Haaye Kaakul Ko |
Zabane Falsafi Se Amn Kharqo Iltiyaam Asara Panahe Daure Rehmat Haaye Yak Saa-At Tasalsul Ko |
Do Shamba Mustafa Ka Jum’aye Aadam Se Behtar Hai Sikhana Kya Lihaaze Haisiyat Khoo E Ta’ammul Ko |
Wufoore Shaane Rehmat Ke Sabab Jur’at Hai Aye Pyare Na Rakh Bahare Khuda Sharminda Arze Be Ta-Ammul Ko |
Pareshani Mein Naam Unka Dile Sad Chaak Se Nikla Ijaabat Shana Karne Aayi Gesuye Tawassul Ko |
Raza Nuh Sabzaye Gardoo(N) Hain Kotal Jiske Maukib Ke Koi Kya Likh Sake Uski Sawari Ke Tajammul Ko |
Hajiyo Aao Shahenshah Ka Roza Dekho |
Hajiyo Aao Shahenshah Ka Roza Dekho Kaba To Dekh Chuke Kabe Ka Kaba Dekho |
Rukn E Shami Se Miti Wah’shate Shame Ghurbat Ab Madine Ko Chalo Subhe Dil Aaraa Dekho |
Aabe Zam-Zam To Piyaa Khub Bujha-E Piyase Aao Jude Shahe Kowsar Ka Bi Darya Dekho |
Zayre Mizaab Mile Khoob Karamke Cheente Abre Rahmat Ka Yaha Zowr Barasnaa Dekho |
Dhum Dekhi Hai Dare Kaba Pe Betaabo Ki Unke Mushtako Me Hasrat Ka Tadapna Dekho |
Misle Parwana Phiri Karte The Jis Sham’a Ke Gird Apni Us Sham’a Ko Parwana Yaha Ka Dekho |
Khub Ankho Se Lagaya He Gilaafe Kaba Qasre Mahbub Ke Parde Ka Bhi Jalwa Dekho |
Wan Mutiyo Ka Jigar Khauf Se Pani Paya Yan Siyahkaro Ka Daman Pe Machalna Dekho |
Awwali Khana E Haq Ki To Ziyaye Dekhi Aakhri Bait E Nabi Ka Bhi Tajalla Dekho |
Aymane Tur Ka Tha Rukne Yamani Me Farog Shola E Tur Yaha Anjuman-Ara Dekho |
Mehre Madar Ka Maza Deti Hai Aagosh E Hateem Jin Pe Maa Bap Fida Yan Karam Unka Dekho |
Arz E Haajat Me Raha Ka’aba Kafeel E Injaah Aao Ab Dad-Rasi E Shahe Taibah Dekho |
Dho Chuka Zulmate Dil Bosa-E Sunge Aswad Khaak Bosi-E-Madina Ka Bhi Rutba Dekho |
Kar Chuki Rif’ate Kaba Pe Nazar Par-Vaze Topi Ab Tham Ke Khaq E Dar E Wala Dekho |
Be-Niyazi Se Waha Kapti Payi Ta’at Joshe Rehmat Pe Yaha Naz Gunah Ka Dekho |
Juma E Makka Tha Ird Ahle Ibadat Ke Liye Mujrimo! Aao Yaha Ird E Doshamba Dekho |
Multazim Se To Gale Lag Ke Nikale Armaan Adab O Shouq Ka Yaha Baham Ulajhna Dekho |
Khoob Mas’a Me B-Ummide Safa Daud Liye Rahe Janan Ki Safaka Bhi Tamasha Dekho |
Raqs E Bismil Ki Bahare To Mina Me Dekhi Dil E Khu-Naba Fisha Ka Bhi Tadapna Dekho |
Zinate Kaba Me Tha Lakh Arooso Ka Banaw Jalwa Farma Yaha Kownain Ka Doolha Dekho |
Gowr Se Sun To Raza Kaaba Se Aati He Sadaa Meri Ankho Se Mere Piyare Ka Roza Dekho |
Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho |
Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho Jub Pade Mushkil Sha’e Mushkil Kusha Ka Saath Ho |
Ya Ilaahi Bhool Jawu Naza’ki Takleef Ko Shaadiye Deedare Husne Mustafa Ka Saath Ho |
Ya Ilaahi Gor Teera Ki Jab Aayeh Sakht Raat Unke Pyaare Moonh Ki Subha Jaa Fiza Ka Saath Ho |
Ya Ilaahi Jub Padre Mahshar Me Shore Daar-O-Geer Amn Dene Waale Pyaare Peshwa Ka Saath Ho |
Ya Ilaahi Jub Zabaane Baahar Aayey Pyaas Se Saahib-E-Kauthar Sha’e Jood-O-Ataa Ka Saath Ho |
Ya Ilaahi Sard-E-Mehri Par Ho Jab Khurshid-E-Hashr Sayyad-E-Besaaya Ke Zille-E-Liwaa Ka Saath Ho |
Ya Ilaah Garmi-E-Mahshar Seh Jub Bharke Badan Daaman-E-Mahboob Ki Thandi Hawaa Ka Saath Ho |
Ya Ilaahi Nama-E-A’maal Jub Khulne Lage Aib-E-Pooshe Khalq Sat’taare Khata Ka Saath Ho |
Ya Ilaahi Jub Bahe Aankhe Hisaab-E-Jurm Me Un Tabassum Rez-E-Honto Ki Dua Ka Saath Ho |
Ya Ilaahi Jub Hisaabe Khanda-E-Bejaa Rulaaye Chashme Giryaane Shafi-E-Murtaja Ka Saath Ho |
Ya Ilaahi Rang Laayi Jab Meri Be Haaqiyah Unki Neechi Neechi Nazro Ki Hayaa Ka Saatho Ho |
Ya Ilaahi Jub Chalo Tareekh Raahe Pul Siraate Aftaab-E-Haashmi Noorul Huda Ka Saath Ho |
Ya Ilaahi Jub Sare Shamsheer Par Chalna Pare Rabbe Sallim Kehne Waale Ghamzudah Ka Saath Ho |
Ya Ilaahi Jo Dua’e Nek Hum Tujhe Se Kare Qudsiyo Ke Lub Se Aameen Rab’bana Ka Saath Ho |
Ya Ilaahi Jub Raza Khaab-E-Giraa Se Sar Uthaa’e Daulat-E-Bedaar Ishk-E-Mustafa Ka Saath Ho |
Ya Ilaahi Le Chale Jub Dafan Karne Qabar Me Ghause-E-Azam Peshwa’e Awliya Ka Saath Ho |
Naare Dozakh Ko Chaman Kar De Bahare Aariz |
Naare Dozakh Ko Chaman Kar De Bahare Aariz Zulmate Hashr Ko Din Kar De Nahare Aariz |
Main To Kya Cheez Hoon Khud Sahibe Qur’an Ko Shaha Laakh Mushaf Se Pasand Aayi Bahare Aariz |
Jaise Qur’an Hai Wird Use Gule Mehboobi Ka Yun Hi Qur’aa(N) Ka Wazifa Ha Waqare Aariz |
Garche Qur’aa(N) Hai Na Qur’aa(N) Ki Barabar Lekin Kuch To Hai Jis Pe Hai Woh Madha Nigaare Aariz |
Toor Kya Arsh Jale Dekh Ke Woh Jalwaye Garm Aap Aariz Ho Magar Aainaye Daare Aariz |
Turfa Aalam Hai Woh Qur’an Idhar Dekhe(N) Udhar Mushafe Paak Ho Hairane Bahare Aariz |
Tarjama Hai Ye Sifat Ka Woh Khud Aainaye Zaat Kyun Na Mushaf Se Zyada Ho Waqare Aariz |
Jalwa Farmaye(N) Rukhe Dil Ki Siyahi Mit Jaye Subha Ho Jaaye Ilahi Shabe Taare Aariz |
Naame Haq Par Kare Mehboob Dilo Jaa(N) Qurbaa(N) Haq Kare Arsh Se Ta Farsh Nisaare Aariz |
Mushk Bu Zulf Se Rukh Chehre Se Baalo(N) Mein Shu-Aa’ Mo’jiza Hai Halabe Zulfo Tataare Aariz |
Haq Ne Bakhsha Hai Karam Nazre Gadaya(N) Ho Qabool Pyare Ik Dil Hai Woh Karte Hain Nisaare Aariz |
Aah Be Mayagiye Dil Ki Raza-E- Mohtaj Le Kar Ik Jaan Chala Bahre Nisaare Aariz |
Kya Theek Ho Rukh-E-Nabwi Par Misaal-E-Gul, |
Kya Theek Ho Rukh-E-Nabwi Par Misaal-E-Gul, Paa Maal Jalwaye Kaf-E-Paa Hay Jamaal-E-Gul. |
Jannat He Un Key Jalwa Sey Jo Yaaye Rang-O-Boo, Aay Gul Hamaare Gul Sey Hay Gul Ko Sawaal-E-Gul. |
Un Key Qadam Sey Sil’aye Ghaali Hui Jinaan, Wallah Mere Gul Sey Hay Jaah-O-Jalaal-E-Gul. |
Sunta Hoon Ishq-E-Shah Mein Dil Hoga Khoon Fashaan, Yaa Rab Ye Muzdah Sach Ho Mubarak Ho Faal-E-Gul. |
Bulbul Haram Ko Chal Gham-E-Faani Sey Faidah, Kab Tak Kahegi Haaye Wo Ghuncha-O-Laal-E-Gul. |
Ghamgeen Hay Shauq-E-Ghaazah-Khaak-E-Madinah Main, Shabnam Sey Dhul Sakegi Na Gird-E-Malaal-E-Gul. |
Bulbul Yeh Kya Kaha Main Kahaan Fasl-E-Gul Kahaan, Ummeed Rakh Key Aam Hay Jood-O-Nawaal-E-Gul. |
Bulbul Ghara Hay Abre Walaa Muzdah Ho Key Ab, Girti Hay Aashiyana Pe Barq-E-Jamaal-E-Gul. |
Yaa Rab Hara Bhara Rahe Daagh-E-Jigar Ka Bagh, Har Mah Mahe Bahaar Ho Har Saal Saal-E-Gul. |
Rang-E-Muthrah Sey Kar Kay Khajal Yaad Shah Mein, Kheencha Hay Ham Ne Kaanton Pe Itr-E-Jamaal-E-Gul. |
Main Yaad-E-Sheh Me Rowoon ‘Anaa Dil Karein Hujoom, Har Ashke Laala-E-Faam Pe Ho Ehtemaal-E-Gul, |
Hain Akse Chehra Sey Lab Gulgon Mein Surkhiyaan, Dooba Hay Badr-E-Gul Sey Shafaq Mein Hilaal-E-Gul. |
Naat-E-Huzoor Mein Mutarannim Hay Andaleeb, Shaakhon Key Jhoomne Sey Ayaan Wajd-O-Haal-E-Gul. |
Bulbul Gul-E-Madinah Hamesha Bahaar Hay, Do Din Ki Hay Bahaar Fanaa Hay Maal-E-Gul. |
Shaikhain Idhar Nisaar Ghani-O-Ali Udhar, Ghuncha Hay Bulbulon Ka Yameen-O-Shimaal-E-Gul. |
Chahe Khuda To Payeinge Ishq-E-Nabi Mein Khuld, Nikli Hay Naama-E-Dil-E-Pur Khoon Me Faal-E-Gul. |
Kar Us Ki Yaad Jis Sey Mile Chain Andaleeb, Dekha Nahi Keh Khaar-E-Alam Hay Khyaal-E-Gul. |
Dekha Tha Khwaab-E-Khaar-E-Haram Andaleeb Ne, Khatka Kiya Hay Aankh Me Shab Bhar Khyaal-E-Gul. |
Un Do Ka Sadqa Jinko Kaha Mere Phool Hain, Kijiye Raza Ko Hashr Mein Khandaa Misaal-E-Gul. |
Hai Kalaam E Ilahi Me Shams-O-Duha |
Hai Kalaam E Ilahi Me Shams-O-Duha Tere Chehre Noore Faza Ki Qasam |
Qasam E Shab E Taar Me Raaz Yeh Tha, Ke Habeeb Ki Zulfe Duta Ki Qasam |
Tere Khulq Ko Haq Ne Azeem Kaha, Teri Khilq Ko Haq Ne Jameel Kiya |
Koee Tujh Sa Huwa Hai Na Hoga Shaha, Tere Khaliqe Husn O Ada Ki Qasam |
Woh Khuda Ne Hai Martaba Tujh Ko Diya, Na Kisi Ko Mile Na Kisi Ko Mila |
Ke Kalaam E Majeed Ne Khaee Shaha, Tere Shehro Kalamo Baqa Ki Qasam |
Tera Masnade Naaz Hai Arshe Baree, Tera Mehrame Raaz Hai Rooh E Ameen |
Tu Hi Sarware Har Do Jahaan Hai Shaha, Tera Misl Nahi Hai Khuda Ki Qasam |
Yehi ‘Arz Hai Khaliq E Ard O Sama, Woh Rasool Hai Tera, Mai Bandah Tera |
Mujhe Unki Jawaar Me Day Woh Jagah, Ke Hai Khuld Ko Jiski Safa Ki Qasam |
Tu Hi Bandaun Pa Karta Hai Lutf O ‘Ata, Tujhi Pe Bharosa Hai Tujhi Se Dua |
Mujhe Jalwah E Pak Rasool Dikha, Tujhe Apne Hi Izz O ‘Ala Ki Qasam |
Mere Gar Chay Gunah Hai Had Se Siwa, Magar Un Se Ummed Hai Tujh Se Rija |
Tu Raheem Hai Unka Karam Hai, Gawah Woh Kareem Hai Teri ‘Ata Ki Qasam |
Yehi Kehti Hai Bulbule Baagh E Jina, Ke Raza Ki Tarha Koee Sehre Bayaan |
Nahi Hind Me Wasif Shahe Huda, Mujhe Shaukhe Tabae Raza Ki Qasam |
Ariz-E-Shams-O-Qamar Se Bhi Hain Anwar Aeriyan |
Ariz-E-Shams-O-Qamar Se Bhi Hain Anwar Aeriyan Arsh Ki Ankhon Ke Tare Hain Woh Khushtar Aeriyan |
Ja Baja Partau Figan Hain Asman Par Aeriyan Din Ko Hain Khursheed Shab Ko Maho Akhtar Aeriyan |
Najme Gardoon To Nazar Ate Hain Chote Aur Woh Pau Arsh Par Phir Kyun Na Hon Mahsoos Lagar Aeriyan |
Dab Ke Zere Pa Na Gunjaish Samane Ko Rahi Ban Gaya Jalwa Kafe Pa Ka Ubhar Ka Aeriyan |
Unka Mangta Pau Se Thukra De Woh Duniya Ka Taj Jis Ki Khatir Mar Gaye Mun’am Agad Kar Aeriyan |
Do Qamar, Do Panjaye Khur, Do Sitare, Dus Hilal Unke Talwe, Panje, Nakhun, Paye Athar Aeriyan |
Haye Us Patthar Se Us Seene Ki Qismat Fodiye Be Takalluf Jis Ke Dil Mein Yun Karen Ghar Aeriyan |
Taje Roohul Quds Ke Moti Jise Sajda Karen Rakhti Hain Wallah Woh Pakeeza Gohar Aeriyan |
Ek Thokar Me Uhud Ka Zalzala Jata Raha Rakhti Hain Kitna Waqar Allahu Akbar Aeriyan |
Charkh Par Chadte Hi Chandi Mein Siyahi A Gayi Kar Chuki Hai Badr Ko Taksal Bahar Aeriyan |
Aye “Raza” Toofane Mehshar Ke Talatum Se Na Dar Shad Ho! Hain Kashtiye Ummat Ko Langar Aeriyan. |
Ahle Siraat Rooh E Ameen Ko Khabar Karen |
Ahle Siraat Rooh E Ameen Ko Khabar Karen Jaati Hai Ummate Nabavi Farsh Parr Karen |
Inn Fitanhaye Hashr Se Kahdo Hazar Karen Naazo Ke Paale Aate Hai Rah Se Guzar Karen |
Badd Hai To Aapke Hai Bhale Hai To Aapke Tukdo Se To Yahan Ke Pale Rukh Kidhar Karen |
Sarkaar Hum Kameeno Ke Atvaar Par Na Jaye Aaqa Huzoor Apne Karam Par Nazar Karen |
Unki Haram Ke Khaar Kashida Hai Kis Liye Aankho Me Aaye Sar Pe Rahe Dil Me Ghar Karen |
Jaalo Pe Jaal Padd Gaye Lillah Waqt Hai Mushkil Kushayi Aap Ke Nakhun Agar Karen |
Manzil Kadee Hai Shane Tabassum Karam Kare Taaron Ki Chaanv Noor Ke Tadke Safar Karen |
Kilke Raza Hai Khanjare Khu-Khwar Barq-Baar A’ada Se Kehdo Khair Manaye Na Shar Karen |
Unki Mahek Ne Dil Ke Ghunche Khila Diye Hain |
Unki Mahek Ne Dil Ke Ghunche Khila Diye Hain Jis Raah Chal Diye Hain Kooche Basa Diye Hain |
Ik Dil Hamara Kya Hai Aazaar Uska Kitna Tum Ne To Chalte Phirte Murde Jila Diye Hain |
Unke Nisar Koi Kaise Hi Runj Mein Ho Jab Yaad Aa Gee Hain Sab Gham Bhula Diye Hain |
Asra Mein Guzre Jis Dam Bere Pe Qudsiyon Ke Hone Lagi Salaami Parchum Jhuka Diye Hain |
Jab Aa Gein Hai Josh E Rehmat Pe Unki Ankhen Jalte Bujha Diye Hain Rote Hansa Diye Hain |
Mere Karim Se Gar Qatra Kisi Ne Maanga Dariya Baha Diye Hain Durbe Baha Diye Hain |
Allah Re Kya Jahannam Ab Bhi Na Sard Hoga Ro Ro Ke Mustafa Ne Dariya Baha Diye Hain |
Mulk E Sukhn Ki Shahi Tum Ko Raza Musallam Jis Simt Aa Gee Hain Sikke Bitha Diye Hain |
Hum Se Faqir Bhi Ab Pheri Ko Uthte Honge Ab To Ghani Ke Dar Par Bistar Jama Diye Hain |
Aane Do Ya Dubo Do Ab To Tumhari Janib Kashti Tum Hi Pe Chori Langar Utha Diye Hain |
Dulha Se Itna Kehdo Pyare Sawari Roko Mushkil Mein Hain Baraati Purkhar Laa Diye Hain |
Rukh Din Hai Ya Mehre Sama, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi |
Rukh Din Hai Ya Mehre Sama, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi Shab Zulf Ya Mushke Khuta, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi |
Mumkin Me Ye Qudrat Kaha, Wajib Me Abdiyat Kaha Hairan Hu Ye Bhi Hai Khata, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi |
Haq Ye Ki Hai Abde Ilah Aur Alam E Imkan Ke Shah Barzakh Hai Wo Sirre Khuda, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi |
Bulbul Ne Ghul Unko Kaha, Kumree Ne Sarve Janfiza Hairat Ne Jhunjhla Kar Kaha Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi |
Khursheed Tha Kis Zour Par Kya Badh Ke Chamka Tha Qamar Be-Parda Jab Wo Rukh Hua Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi |
Dar Tha Ki Isyan Ki Saza Ab Hogi Ya Rouze Jaza Dee Unki Rehmat Ne Sada Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi |
Koyi Hai Nazo Zuhad Par Ya Husne Tauba Hai Sipar Yan Hai Faqat Teri Ata Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi |
Din Lahv Me Khona Tujhe, Shab Subha Tak Sona Tujhe Sharme Nabi Khaufe Khuda Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi |
Rizq E Khuda Khaya Kiya, Farman E Haq Tala Kiya Shukre Karam Tarse Saza Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi |
Hai Bulbule Rangi Raza Ya Tutiye Nagma Sara Haq Yeh Ki Wasif Hai Tera Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi |
Chamane Taiba Mein Sumbul Jo Sawaare Gesu |
Chamane Taiba Mein Sumbul Jo Sawaare Gesu Hoor Badh Kar Shikane Naaz Pe Waare Gesu |
Ki Jo Baalon Se Tere Rauze Ki Jaaroob Kashi Shab Ko Shabnam Ne Tabarruk Ko Hain Dhaare Gesu |
Hum Siyah Kaaron Pe Ya Rab Tapishe Mahshar Mein Saaya Afgan Hon Tere Pyare Ke Pyare Gesu |
Charche Hooron Mein Hain Dekho To Zara Baale Burraq Sumbule Khuld Ke Qurban Utare Gesu |
Aakhire Hajj Ghame Ummat Mein Paresha(N) Ho Kar Teerah Bakhton Ki Shafa’at Ko Sidhare Gesu |
Gosh Tak Sunte The Fariyad Ab Aaye Taa Dosh Ki Bane Khana Badoshon Ko Sahare Gesu |
Sukhe Dhano(N) Pe Humare Bhi Karam Ho Jaaye Chaye Rehmat Ki Ghata Ban Ke Tumhare Gesu |
Ka’baye Jaa(N) Ko Pinhaya Hai Gilafe Mushkee(N) Udh Ke Aaye Hain Jo Abr Pe Tumhare Gesu |
Silsila Paa Ke Shafa’at Ka Jhuke Padte Hain Sajdaye Shukr Ke Karte Hain Ishare Gesu |
Mushk Boo Koocha Ye Kis Phool Ka Jhada Un Se Hooriyo Ambare Saara Huye Saare Gesu |
Dekho Qur’an Me Shabe Qadr Hai Ta Matlaye Fajr Ya’ni Nazdeek Hain Aariz Ke Woh Pyare Gesu |
Bheeni Khushboo Se Mahak Jaati Hain Galiya(A) Wallah Kaise Phoolo Mein Basaye Hain Tumhare Gesu |
Shaane Rehmat Hai Ki Shaana Na Juda Ho Dam Bhar Seena Chaakon Pe Kuch Is Darja Hain Pyare Gesu |
Shaana Hai Panjaye Qudrat Tere Baalon Ke Liye Kaise Haathon Ne Shaha Tere Saware Gesu |
Uhade Paak Ki Choti Se Ulajh Le Shab Bhar Subah Hone Do Shabe Eid Ne Haare Gesu |
Muzda Ho Qibla Se Ghanghor Ghatayen Umdee Abroo(On) Par Woh Jhuke Jhoom Ke Baare Gesu |
Taare Sheerazaye Majmuaye Kaunain Hain Yeh Haal Khul Jaaye Jo Ik Dum Hon Kanare Gesu |
Tel Ki Boonde Tapakti Nahi Baalon Se Raza Subhe Aariz Pe Lutate Hain Sitare Gesu |
Pul Se Utaro Rah Guzar Ko Khabhar Na Ho Lyrics |
Pul Se Utaro Rah Guzar Ko Khabhar Na Ho Lyrics Jibreel Par Bichaae To Par Ko Khabhar Na Ho |
Kaantaa Mere Jighar Sat Gham E Rozgaar Ko Yoon Kheench Leejie Ke Jighar Ko Khabhar Na Ho |
Faryaad Ummate Jo Kare Haal E Zaar Mein Mumkin Nahin Ke Khair E Bashar Ko Khabhar Na Ho |
Kehte The Yeh Buraaq Se Uske Sabaq Ravee Yoon Jaie Ke Ghard E Safar Ko Khabhar Na Ho |
Farmaate Hen Yeh Dono Hen Sardaar E Do Jahaa E Murtazaa! Ateeq O Umar Ko Khabhar Na Ho |
Esa Ghumaa De Un Ke Vilaa Mein Khuda Humein Dhoondhaa Kare Par Apne Khabhar Ko Khabhar Na Ho |
Aa Dil! Haram Ko Rokne Waalon Se Chup Ke Aaj Yoon Uth Chale Ke Pehlo Wabar Ko Khabhar Na Ho |
Teer E Haram Hen Yeh Kaheen Rishta Bapaa Na Ho Yoon Dekhiyeh Ke Taare Nazar Ko Khabhar Na Ho |
E Khaar E Taibah! Dekh Ke Daaman Na Bheekh Jae Yoon Dil Mein Aa Ke Deedah E Tar Ko Khabhar Na Ho |
E Shauq E Dil! Yeh Sajdah Ghar Un Ko Ravaa Nahin Acha! Woh Sajda Ke Jie Sar Ko Khabhar Na Ho |
Un Ke Sivaa Raza Koe Haame Nahin Jahaa Ghuzra Kare Pisar Pe Pidar Ko Khabhar Na Ho |
Kya Hi Zauk Afza Shafa’at Hain Tumhari Wah Wah |
Kya Hi Zauk Afza Shafa’at Hain Tumhari Wah Wah Karz Leti Hain Gunah Parhezgari Wah Wah |
Khama-E-Qudrat Ka Husn-E-Dastkaari Wah Wah Kya Hi Tasveer Apne Pyare Ki Sawaari Wah Wah |
Ashk Shab Bhar Intezar-E-Afwe Ummat Mein Bahe(N) Main Fida Chaand Aur Yu Akhtar Shumari Wah Wah |
Ungliya(N) Hain Faiz Par Toote Hain Pyase Jhoom Kar Nadiya(N) Panjab E Rehmat Ki Hain Jaari Wah Wah |
Noor Ki Khairaat Lene Daudte Hain Mehre Maah Uthti Hain Kis Shaan Se Gard Sawaari Wah Wah |
Neem Jalwe Ki Na Tab Aaye Qamar Saa To Sahi Mehar Aur Un Talwo Ki Aaina Daari Wah Wah |
Nafs Ye Kya Zulm Hain Jab Dekho Taaza Jurm Hain Naatwa(N) Ke Sar Par Itni Bojh Bhari Wah Wah |
Mujrimo Ko Dhundhti Phirte Hain Rehmat Ki Nigaah Taaliye Bargashta Teri Saazgaari Wah Wah |
Arz Begi Hain Shafa’at Afw Ki Sarkaar Mein Chat Rahi Hain Mujrimo Ki Fard Saari Wah Wah |
Kya Madine Me Saba Aayi Ki Phoolo Me Hain Aaj Kuch Nayi Buu Bheeni-Bheeni Pyari-Pyari Wah Wah |
Khud Rahe Parde Me Aur Aaina Akse Khaas Ka Bhej Kar Anjaano Se Ki Rahdaari Wah Wah |
Is Taraf Rouze Ka Noor Us Samt Mimbar Ki Bahaar Beechme Jannat Ki Pyari Pyari Kyari Wah Wah |
Sadqe Is In’aam Ke Qurbaan Us Ikraam Ke Ho Rahi Hain Dono Aalam Me Tumhari Wah Wah |
Para-E-Dil Bhi Na Nikla Dil Se Tohfe Me Raza Un Sagane Ku Se Inti Jaan Pyari Wah Wah |
Rashke Qamar Hun Range Rukhe Aftab Hun |
Rashke Qamar Hun Range Rukhe Aftab Hun Zarra Tera Jo Aye Shahe Gardoon Janab Hun |
Durre Najaf Hoon Gauhare Pake Khunshab Hun Ya’ni Turabe Reh Guzare Bu Turab Hun |
Gar Ankh Hoon To Abr Ki Chashme Purab Hun Dil Hoon To Barq Ka Dile Pur Iztirab Hun |
Khooneen Jigar Hoon Taire Be Asiyan Shaha Range Paridaye Rukhe Gul Ka Jawab Hun |
Be Aslo Be Sabat Hoon Behre Karam Madad Parwardaye Kanare Sarabo Habab Hun |
Ibrat Faza Hai Sharme Gunah Se Mera Sukoot Goya Labe Khamoshe Lahad Ka Jawab Hun |
Kyun Nala Soz Le Karoon Kyun Khoone Dil Piyu Seekhe Kabab Hoon Na Main Jame Sharab Hun |
Dil Basta Be Karar, Jigar Chak, Ashkbar Guncha Hoon Gul Hoon Barqe Tapan Hoon Sahab Hun |
Da’wa Hai Sab Se Teri Shafa’at Pe Beshtar Daftar Me Asiyon Ke Shaha Intikhab Hun |
Maula Duhayi Nazron Se Gir Kar Jala Ghunlam Ashke Muzah Rasidaye Chashme Kabab Hun |
Mit Jaye Ye Khundi To Woh Jalwa Kahan Nahin Darda Me Ap Apni Nazar Ka Hijab Hun |
Sadqe Hoon Us Pe Nar Se Dega Jo Makhlasee Bulbul Nahin Ki Atashe Gul Par Kabab Hun |
Qalib Tahee Kiye Hama Agosh Hai Hilal Aye Shah Saware Taiba! Main Teri Rikab Hun |
Kya Kya Hain Tujh Se Naz Tere Kasr Ko Ke Main Ka’be Ki Jan, Arshe Bari Ka Jawab Hun |
Shaha Bujhe Sakar Mere Ashkon Se Ta Na Main Abe Abas Chakidaye Chashme Kabab Hun |
Main To Kahan Hi Chahun Ke Banda Hoon Shah Ka Par Lutf Jab Hai Keh Den Agar Woh Janab ‘Hun’ |
Hasrat Me Khak Bosiye Taiba Ki Aye Raza Tapka Jo Chashme Mehar Se Woh Khoone Nab Hun |
Phir Ke Gali Gali Tabaah Thokare Sab Ki Khayen Kyoon |
Phir Ke Gali Gali Tabaah Thokare Sab Ki Khayen Kyoon Dil Ko Jo Akal De Khuda Teri Gali Se Jayen Kyoon |
Rukhsate Qaafila Ka Shor Gashse Hame Uthae Kyoon Sote Hain Unke Sayen Mein Koyi Hamme Jagaaye Kyoon |
Yaade Huzoor Ki Qasam Gaflate Aish He Sitam Khoob Hai Qaide Ghum Mein Hum Koyee Hamme Chhurae Kyoon |
Dekh Ke Hazrate Gani Phel Pare Faqeer Bhi Chaayi He Ab To Chauni Hashr Hi Aana Jae Kyoon |
Jaan He Ishqe Mustafa Roz Fizoo Kare Khuda Jis Ko Ho Dard Ka Mazaa Naaze Dawa Uthae Kyoon |
Woh Jo Nathe To Kuch Natha Woh Jo Naho To Kuch Naho Jaan Hai Woh Jahan Ki, Jaan Hai To Jahaan Hai |
Hai To Raza Nira Sitam Jurm Pe Gar Lajaaye Hum Koyee Bajaaye Soze Gam Saze Tarab Bajaaye Kyoon |
Raah-E-Irfan Sey Jo Hum Naa Deedah Ru Mahram Nahin |
Raah-E-Irfan Sey Jo Hum Naa Deedah Ru Mahram Nahin Mustafa Hay Masnad-E-Irshad Par Kuch Gham Nahin |
Hoon Musalman Garchey Naqis Hi Sahi Aay Kamilo Mahiyat Pani Ki Akhir Yam Sey Nam Mein Kam Nahin |
Ghunchey Maa Awha Key Jo Chatkey Dana Key Bagh Mein Bulbul-E-Sidrah Tak Un Ki Bu Sey Bhi Mahram Nahin |
Us Mein Zam-Zam Hay Key Tham-Tham Is Mein Jam-Jam Hay Key Beesh Kasrat-E-Kawsar Mein Zam-Zam Kee Tarah Kam-Kam Nahin |
Panjah-E-Mihr-E-Arab Hay Jis Sey Darya Bah Gaye Chashmah-E-Khurshid Mein To Naam Ko Bhi Nam Nahin |
Aysa Ummi Kis Liye Minnat Kash-E-Ustaad Ho Kya Kifaayat Is Ko Iqra’a Rabbuka’l Akram Nahin |
Aws Mihr-E-Hashr Par Par Jaye Pyaso To Sahee Us Gul-E-Khandan Ka Rona Giryah-E-Shabnam Nahin |
Hay Unhin Key Dam Qadam Ki Bagh-E-Aalam Mein Bahar Woh Na Thay Aalam Na Tha Gar Woh Na Hon Aalam Nahin |
Saayah-E-Diwar-O-Khaak-E-Dar Ho Yaa Rab Aur Raza Khwahish-E-Dayhim-E-Qaysar Shawq-E-Takht-E-Jam Nahin |
Bartar Qayaas Se Hai Maqaame Abul Hussain |
Bartar Qayaas Se Hai Maqaame Abul Hussain Sidra Se Poocho Rif’ate Baame Abul Hussain |
Wa Rasta Paaye Bastaye Daame Abul Hussain Aazaad Naar Se Hai Ghulame Abul Hussain |
Khatte Siyah Mein Noore Ilahi Ki Taabishe(N) Kya Subhe Noorbaar Hai Shaame Abul Hussain |
Saaqi Suna De Sheeshaye Baghdad Ki Tapak Mehki Hai Booye Gul Se Mudaame Abul Hussain |
Booye Kabaabe Sokhta Aati Hai Mai-Kasho Chalka Sharaabe Chisht Se Jaame Abul Hussain |
Gulgoon Sahar Ko Hai Sa-Hare Soze Dil Se Aankh Sultane Soharward Hai Naame Abul Hussain |
Kursi Nasheen Hai Naqshe Muraad Unke Faiz Se Maulaye Naqshband Hai Naame Abul Hussain |
Jis Nakhle Paak Mein Hain Chiyalees Daaliyaa(N) Is Shaakh Un Mein Se Hai Banaame Abul Hussain |
Masto(N) Ko Aye Kareem Bachaye Khumaar Se Ta Daur Hashr Dauraye Jaame Abul Hussain |
Un Ke Bhale Se Laakhon Gareebon Ka Hai Bhala Ya Rab Zamaana-Baad Bakaame Abul Hussain |
Mela Laga Hai Shaane Maseeha Ki Deed Hai Murde Jilaa Raha Hai Khiraame Abul Hussain |
Sar Gashta Mehro Mah Hain Par Ab Tak Khula Nahi Kis Charkh Par Hai Maahe Tamaame Abul Hussain |
Itna Pata Mila Hai Ke Yeh Charkh Chambaree Hai Haft Paaya Zeenaye Baame Abul Hussain |
Zarre Ko Mehr, Qatre Ko Dariya Kare Abhi Gar Josh Zan Ho Bakhshishe Aame Abul Hussain |
Yahya Ka Sadqa Waarise Iqbaal Mand Paaye Sajjaadaye Shuyookhe Kiraame Abul Hussain |
Inaam Lein Bahaare Jinaa Tehniyat Likhen Phoole Phale Tu Nakhle Maraame Abul Hussain |
Allah Hum Bhi Dekh Lein Shehzaade Ki Bahaar Soonghe Gule Muraad Mashaame Abul Hussain |
Aaqa Se Mere Suthre Miyan Ka Hua Hai Naam Is Achche Suthre Se Rahe Naame Abul Hussain |
Ya Rab Woh Chaand Jo Falake ‘Izzo Jaah Par Har Sair Mein Ho Gaam Ba Gaame Abul Hussain |
Aao Tumhe Hilaale Sipahre Sharaf Dikhayen Gardan Jhukayen Bahre Salaame Abul Hussain |
Qudrat Khuda Ki Hai Ke Talaatum Qanaa(N) Uthi Bahre Fanaa Se Mauje Dawaame Abul Hussain |
Ya Rab Hume Bhi Chashni Us Apni Yaad Ki Jis Se Hai Shakkari(N) Labo Kaame Abul Hussain |
Haan Taaleye Raza Teri Allah Re Yawari Aye Bandaye Judoode Kiraame Abul Hussain |
Yaad Me Jiski Nahi Hoshe Tano Jaan Hum Ko |
Yaad Me Jiski Nahi Hoshe Tano Jaan Hum Ko Phir Dikhade Woh Rukh Aye Mehre Faroza Hum Ko |
Der Se Aap Mein Aana Nahi Milta Hain Humein Kya Hi Khud-Rafta Kiya Jalwaye Janaan Hum Ko |
Jis Tabassum Ne Gulistaan Pe Girayi Bijli Phir Dikhade Woh Adaaye Gule Khandan Hum Ko |
Jab Se Aankhon Me Samayi Hai Madine Ke Bahaar Nazar Aate Hain Khazaan Deeda Gulistaan Hum Ko |
Kaash Aaweezaye Kindeele Madina Ho Woh Dil Jis Ki Sozish Ne Kiya Rashke Charaaga Hum Ko |
Arsh Jis Khoobiye Raftaar Ka Paamaal Hua Do Qadam Chal Ke Dikha Sarve Khiraamaan Hum Ko |
Shamaye Taiba Se Main Parwana Rahoon Kab Tak Door Haan Jala De Sha-Rare Aatishe Pinha! Hum Ko |
Khauf Hai Sam’a Kharashiye Sage Taiba Ka Warna Kya Yaad Nahin Naa-La O Afgaan Hum Ko |
Khaak Ho Jaayen Dare Paak Pe Hasrat Mit Jaaye Ya Ilahi Na Fira Be Saro Saamaan Hum Ko |
Khaare Sahraaye Madina Na Nikal Jaaye Kahin Wahshate Dil Na Fira Koho Bayaabaan Hum Ko |
Tang Aaye Hain Do Aalam Teri Betaabi Se Chain Lene De Tape Seenaye Sozaan Hum Ko |
Paaun Girbaal Huye Raahe Madina Na Mili Aye Junoon! Ab To Mile Rukhsate Zindaan Hum Ko |
Mere Har Zakhme Jigar Se Ye Nikalti Hai Sada Aye Maleehe Arabi! Karde Namakdaan Hum Ko |
Saire Gulshan Se Aseerane Qafas Ko Kya Kaam Na De Takleefe Chaman Bulbule Bustaan Hum Ko |
Gar Labe Paak Se Iqraare Shafa’at Ho Jaaye Yun Na Bechain Rakhe Joshishe Isyaan Hum Ko |
Nayyare Hashr Ne Ik Aag Laga Rakhi Hai! Tez Hai Dhoop Mile Saaya E Daamaan Hum Ko |
Reham Farmaiye Ya Shah Ki Ab Taab Nahin Tabake Khoon Rulaye Ghame Hijraan Hum Ko |
Chaake Daamaan Mein Na Thak Jaaiyo Aye Daste Junoon Purze Karna Hai Abhi Jebon Gharibaan Hum Ko |
Parda Us Chehraye Anwar Se Utha Kar Ik Baar Apna Aaina Bana Aye Mahe Taabaan Hum Ko |
Aye Raza Wasfe Rukhe Paak Sunane Ke Liye Nazr Dete Hain Chaman! Murge Ghazal Khwaan Hum Ko |
Sacchi Baat Sikhate Yeh Hain |
Sacchi Baat Sikhate Yeh Hain Seedhi Raah Chalate Yeh Hain |
Naz E Rooh Me Aasani De Kalma Yaad Dilate Yeh Hai |
Marqad Me Bando Ko Thapak Kar Meethi Neend Sulaate Yeh Hai |
Apne Bharam Se Hum Halko Ka Palla Bhari Banate Yeh Hai |
Laakh Balaye Karoro Dushman Kon Bachaye Bachate Yeh Hai |
Apni Bani Hum Aap Bigare Kon Banaye Banate Yeh Hai |
Thanda Thanda Meetha Meetha Peete Hum Hai Pilaate Yeh Hai |
Sallim Sallim Ki Dhaaras Se Pul Se Paar Lagate Yeh Hai |
Inna Aataina Kal Kauthar Saari Kasrat Paate Yeh Hai |
Unke Haath Me Har Kunji Hai Maalik E Kul Kehlate Yeh Hai |
Bap Jaha Bete Se Bhage Lutf Waha Farmate Yeh Hai |
Maa Jab Iklaute Ko Chhore Aa Aa Keh Kar Bulate Yeh Hai |
Qasr E Daana Tak Kis Ki Rasaai Jaate Yeh Hai Aate Yeh Hai |
Keh Do Raza Se Khush Ho Khush Reh Muzda Riza Ka Sunaate Yeh Hai |
Bheeni Suhani Subh Me Thandak Jigar Ki Hai |
Bheeni Suhani Subh Me Thandak Jigar Ki Hai Kaliyaan Khili Dilo Ki Hawa Ye Kidhar Ki Hai |
Khubti Huwi Nazar Mei Adaa Kis Sahar Ki Hai Chubhti Huwi Jigar Mei Sadaa Kis Gajar Ki Hai |
Daaley Hari Hari Hai To Baaley Bhari Bhari Kishte Amal Pari Hai Ye Barish Kidhar Ki Hai |
Hum Jaye Aur Qadam Se Lipat Kar Haram Kahey Sounpa Khuda Ko Ye Azmat Kis Safar Ki Hai |
Hum Girdey Kaaba Phirte They Kal Tak Aur Aaj Wooh Hum Par Nisaar Hai Ye Iradat Kidh’ar Ki Hai |
Kalik Jabeen Ki Sajdaaye Dar Se Chudaavogey Mujh Ko Bhi Le Chalo Ye Tamanna Hajar Ki Hai |
Dooba Huwa Hai Shouq Mei Zam Zam Aur Aankh Se Jhaale Baras Rahey Hai Ye Hasrat Kidhar Ki Hai |
Barsa Ke Jaane Walo Pa Ghouhar Karu Nisaar Abrey Karam Se Arz Ye Mizaabey Zar Ki Hai |
Aagooshe Shouq Kholey Hai Jin Ke Liye Hateem Woh Phir Ke Dekhte Nahi Ye Dhun Kidhar Ki Hai |
Haa’n Haa’n Rahey Madina Hai Ghafil Zara Tu Jaag Wo Paav Rakhne Waley Ye Jaa Chashmo Sar Ki Hai |
Waaru Qadam Qadam Pa Kay Har Dam Hai Jaane Nao Ye Raahey Jaan Fiza Mere Moula Ke Dar Ki Hai |
Ghadiya Gini Hai Barso Ke Ye Shubh Ghadi Phiri Marmar Ke Phir Ye Sil Mere Seene Se Sar Ki Hai |
Allaho Akbar Apne Qadam Aur Ye Khaakey Pak Hasrat Malai’ka Ko Jahaan Waz’ye Sar Ki Hai |
Mea’raj Ka Sama Hai Kaha Pahonchey Zae’roo Kursi Se Onchi Kursi Usi Pak Ghar Ki Hai |
Ushhaq Rouza Sajdey Mei Suye Haram Jhukey Allah Jaanta Hai Ke Niyyat Kidhar Ki Hai |
Ye Ghar Ye Dar Hai Uska Jo Ghar Dar Se Paak Hai Muzhdah Ho Be-Gharo Kay Salaa Achchey Ghar Ki Hai |
Mehboobe Rabbe Arsh Hai Is Sabz Qubba Mei Pahlu Mei Jalwa Gah Ateeqo Umar Ki Hai |
Chaye Malaika Hai Lagaatar Hai Durood Badley Hai Pahrey Badli Mei Barish Durar Ki Hai |
Sa’dayn Ka Qiraan Hai Pahluye Maah Mei Jhurmut Kiye Hai Taarey Tajalli Qamar Ki Hai |
Sattar Hazaar Subh Mei Sattar Hazaar Shaam Yun Bandagiye Zulfo Rukh Aatho Pahar Ki Hai |
Jo Ek Baar Aye Dobara Na Ayenge Rukhsat Hi Bargah Se Bas Is Qadar Ki Hai |
Tadpa Karey Badal Ke Phir Aana Kaha Naseeb Bey Hukm Kab Majaal Parinde Ko Par Ki Hai |
Ay Waye Beikasiye Tammana Ke Ab Ummeed Din Ko Na Shaam Ki Hai Na Shab Ko Sahar Ki Hai |
Ye Badliyan Na Ho To Karooron Ki Aas Jaye Aur Bargaahe Marhamate Aaam Tar Ki Hai |
Masoom Ko Hai Umr Mei Sirf Ek Bar Bar Aasi Padey Rahe To Sila Umr Bhar Ki Hai |
Zinda Rahe To Haazriye Baargaah Naseeb Mar Jaye To Hayaate Abad Aysh Ghar Ki Hai |
Moflis Aur Aisey Dar Se Phirey Be-Ghani Huve Chandi Har Ek Tarah To Yaha Gadiya Gar Ki Hai |
Jaana Pe Takiya Khaak Nihali Hai Dil Nihaal Han Be-Nawa’o Khoob Ye Sorat Guzar Ki Hai |
Hai Chatro Takht Saya-E Dewaaro Khaake Dar Shaho Ko Kab Naseeb Ye Dhaj Karro Far Ki Hai |
Iss Paak Ku Mei Khaak Ye Basar Sar-Ba-Khaak Hai Samjhe Hai Kuch Yahi Jo Haqiqat Basar Ki Hai |
Kyo Taajdaaro! Khwaab Mei Dheki Kabi Ye Shai Jo Aaj Jholiyo Mei Gadhayaane Dar Ki Hai |
Jaaru-Kasho Mei Chehre Likhey Hai Mulook Ke Wo Bhi Kaha Naseeb Faqat Naam Bhar Ki Hai |
Taiba Mei Mar Ke Thande Chaley Jaav Aankhey Bandh Seedhi Sadak Ye Shahre Shafa’t Nagar Ki Hai |
Aasi Bhi Hai Chahitey Ye Taiba Hai Zahido! Makka Nahi Ke Jaanch Jaha Khair O Shar Ki Hai |
Shaane Jamaal Taiba Jana Hai Naf’a Mahaz Wus’at Jalale Makka Mei Soodo Zar Ki Hai |
Kaba Hai Beshak Anjum-Aara Dulhan Magar Saari Bahar Dhulhano Mei Dulha Ke Ghar Ki Hai |
Kaba Dhulhan Hai Turbate At-Har Nayi Dulhan Ye Rashk E Aftaab Wo Gairat Qamar Ki Hai |
Dono Bani Sajeeli Aneeli Bani Magar Jo Pe’ Ke Paas Hai Wo Suhagan Kun’war Ki Hai |
Sar Sabze Wasl Ye Hai Siyaa Poshey Hijr Wo Chamki Dupatto Se Hai Jo Haalat Jigar Ki Hai |
Ma Wo Shuma To Kya Ke Khaleel E Jaleel Ko Kal Dhekna Ki Unse Tamanna Nazar Ki Hai |
Apna Sharaf Dua Se Hai Baaki Raha Kabool Ye Jaane Unke Haath Mei Kunji Asar Ki Hai |
Jo Chahey Unse Maang Ki Dono Jahaa’n Ki Khair Zar Na-Khareeda Ek Kaneez Unke Ghar Ki Hai |
Roomi Ghulam Din Habshi Baandiyan Shab’e Ginti Kaneez Zaado Mei Shaamo Sahar Ki Hai |
Itna Ajab Bulandiye Jannat Pe Kisliye Dekha Nahi Ke Bheek Ye Kis Unchey Ghar Ki Hai |
Arshe Bari Pe Kyo Na Ho Firdous Ka Dimaagh Utri Huvi Shabeeh Tere Baamo Dar Ki Hai |
Wo Khuld Jismei Utregi Abrar Ki Baraat Adna Nichawar Uss Mere Dulha Ke Sar Ki Hai |
Amber Zameen Abeer Huwa Mushke-Tar Gubaar Adna Si Ye Shanaakhat Teri Rahguzar Ki Hai |
Sarkaar Hum Gawaro Mei Tarze Adab Kaha Humko To Bas Tameez Yahi Bheek Bhar Ki Hai |
Maangenge Maange Jayenge Muh Maangi Payenge Sarkar Mei Na Laa Hai Na Hajat Agar Ki Hai |
Uff Be-Hayayi’aa Ke Ye Muh Aur Tere Huzoor Ha Tu Kareem Hai Teri Khu’ Dar Guzar Ki Hai |
Tujh Se Chupau Muh To Karu Kiske Saamne Kya Aur Bhi Kisi Se Tawaqqo Nazar Ki Hai |
Jaavu Kaha Pukaru Kisey Kiska Muh Taku Kia Pursish Aur Ja’ Bhi Sagey Be-Hunar Ki Hai |
Baab E At’a To Ye Hai Jo Bahka Idhar Udhar Kaisi Kharaabi Uss Nagharey Dar-Ba-Dar Ki Hai |
Aabad Ek Dar Hai Tera Aur Tere Siwa Jo Baargah Dekhiye Ghairat Khandar Ki Hai |
Lub Wa Hai Aankhey Bandh Hai Phayli Hai Jholiya Kitne Maaze Ki Bheek Tere Paak Dar Ki Hai |
Ghera Andheriyo Ne Duh’ee Hai Chand Ki Tanha Hu Kaali Raat Hai Manzil Khatar Ki Hai |
Kismat Mei Laakh Pech Ho Sau Bal Hazaar Kaj Ye Saari Ghutthi Ik Teri Seedhi Nazar Ki Hai |
Aisi Bandhi Naseeb Khule Mushkiley Khuli Dono Jaha Mei Dhoom Tumhari Kamar Ki Hai |
Jannat Na Dey Na Dey Teri Ruyat Ho Khair Se Is Ghul Ke Aagey Kisko Hawas Bargho Bar Ki Hai |
Sharbat Na Dey Na Dey To Karey Baat Lutf Se Ye Shahad Ho To Phir Kise Parwa Shakar Ki Hai |
Mai Khana-Zaad Kohna Hu Surat Likhi Huwi Bando Kaneezo Mei Mere Madar Pedar Ki Hai |
Mangta Ka Haath Uth-Te Hi Daata Ki Dayn Thi Doori Qubool O Arz Mei Bas Haath Bhar Ki Hai |
Sanki Wo Dekh Baad’e Shafat Ki De Hawa Ye Aabru Raza Tere Damaan E Tar Ki Hai |
Nabi Sarvar-E-Har Rasool O Vali Hai |
Nabi Sarvar-E-Har Rasool O Vali Hai Nabi Razdar-E-Ma’ Llah Li Hai |
Vo Nami Ke Nam-E-Khuda Naam Tera Raoof O Raheem O Aleem O Ali Hai |
Hai Betaab Jis Ke Liye Arsh-E-Azam Vo Is Rah Rave Laa Makaan Ki Gali Hai |
Nakeeren Karte Hai Taazim Meri Fida Hoke Tuj Pe Ye Izzat Mili Hai |
Talatum Hai Kashti Pe Tufan-E-Gam Ka Ye Kesi Hava-E-Mukhalif Chali Hai |
Na Kyu Kar Kahu Ya Habeebi Agisni Isi Naam Se Har Musibat Tali Hai |
Saba Hai Muje Sarsar-E-Daste Tayba Isi Se Kali Mere Di Ki Khili Hai |
Tere Chaaron Hamdam Hai Yak Jaan Yak Dil Abu Bakr Farrok Usmaa Ali Hai |
Khuda Ne Kiya Tuj Ko Agah Sab Se Do Alam Mai Jo Kuchh Kafi V Jali Hai |
Tamanna Hai Farmaiye Roz-E-Mehshar Ye Teri Rihaee Ki Chitthi Mili Hai |
Shafa’at Kare Hashr Mai Jo Raza Ki Siva Tere Kis Ko Ye Kudrat Mili Hai |
Kiske Jalway Ki Jhalak He Ye Ujala Kya He |
Kiske Jalway Ki Jhalak He Ye Ujala Kya He Har Taraf Deed-E -Herat Zada Tak Ta Kya He |
Mang Man Manti Munh Mangi Murade Le Ga Na Yaha Na He Na Mangta Se Ye Kahna Kya He |
Hum He Unke Wo He Tere To Huwe Hum Tere Is Se Barh Kar Teri Samt Aur Wasila Kya He |
Un Ki Ummat Me Banaya Unhe Rahmat Bheja Yu Na Farma Ke Tera Reham Me Dawa Kya He |
Sadqa Pyare Ki Haya Ka, Na La Mujhse Hisab Baqsh Be Puche Lajaye Ko Laja Na Kya He |
Zahid Un Ka Mai Gunahgaar Wo Mere Shafey Itni Nisbat Mujhe Kya Kam He Tu Samjha Kya He |
Bebasi Ho Jo Mujhe Pursishe Aamal Ke Waqt Dosto Kya Kahu Us Waqt Tamanna Kya He |
Kash Fariyad Meri Sunkar Ye Farmaye Huzoor Haan Koi Dekho Ye Kya Shor He Ghogha Kya He |
Kon Aafat Zada He Kis Pe Bala Tooti He Kis Musibat Me Giraftar He Sadma Kya He |
Kis Se Kahta He Ke Lillah Khabar Lijiye Meri Kion He Betab Ye Be Cheni Ka Rona Kya He |
Is Ki Becheni Se He Khatir-E-Aqdas Pe Malal Be Kasi Kaisi He Pucho Koi Guzra Kya He |
Yu Malaik Kare Maaroz Ke Aqa Ek Mujrim He Is Se Pursish He Bata Tune Kya Kya Kya He |
Samna Qahar Ka He Daftar-E-Aamal He Pesh Dar Raha He Ke Khuda Hukm Sunata Kya He |
Aap Se Karta He Fariyad Ke Ya Sha-E-Rusul Banda Bekas He Shaha Reham Me Waqfa Kya He |
Ab Koi Dam Me Giraftare Bala Hota Hun Aap Aajain Tu Kya Kouf He Khatka Kya He |
Sun Ke Ye Aarz Meri Behre Karam Josh Me Aai Yun Malaik Ko Ho Irshad Teharna Kya He |
Kis Ko Tum Mo’ride Aafat Kya Chahte Ho Hum Bhi To Aake Zara Dekhein Tamasha Kya He |
Un Ki Aawaz Pe Kar Uthu Mai Be Sakhta Shour Aur Tadap Kar Kahu Ab Mujhe Parwa Kya He |
Lo Wo Aaya Mera Haami…Mera Gham Khaar-E-Umam Aagayi Jaan Tane Be Jaan Me Ye Aana Kya He |
Phir Mujhe Daman-E-Aqdas Me Chupalein Sarwar Aur Farmain Hato Is Pe Taqaza Kya He |
Banda Aazad Shuda He Ye Hamare Dar Ka Kaisa Lete Ho Hisab Is Pe Tumhara Kya He |
Chor Kar Mujh Ko Farishte Kahe Mahkoom Hein Hum Hukm Wala Ki Na Taalim Ho Zahra Kya He |
Ye Sama Dekh Ke Mehshar Me Uthe Shour Ke Wah!! Chashm-E-Baddur Ho Kya Shaan He Rutba Kya He |
Sadqe Is Raham Ke Is Saya’e Daman Pe Nisar Apne Bande Ko Musibat Se Bachaya Kya He |
Aai Raza Jan-E-Ana Dil Tere Nagmo Ke Nisar Bul Bule Baghe-E-Medina Tera Kehna Kya He. |
Qaafile Ne Soo E Taibah Kamar Arayi Ki |
Qaafile Ne Soo E Taibah Kamar Arayi Ki Mushkil Aasaan Ilaahi Meri Tanhaayi Ki |
Laaj Rakh Li Tam’ E ‘Afw Key Saudaayi Ki Ey Mein Qurban Mere Aaqa Barri Aaqayi Ki |
Farsh Taa Arsh Sab Aayina Zama’ir Haazir Bass Qasam Khaaiye Ummi Teri Daanaayi Ki |
Shash Jehat Samt E Muqabil Shab O Roz Ek Hi Haal Dhoom ‘Wannajm’ Mein Hay Aap Ki Beenaayi Ki |
Paansau Saal Ki Raah Aisi Hay Jaise Dogaam Aas Hum Ko Bhi Lagi Hay Teri Shunwaayi Ki |
Chaand Ishare Ka Hila Hukm Ka Baandha Sooraj Waah Kya Baat Shaaha Teri Tawaanaayi Ki |
Tang T Hehri Hay Raza Jiske Liye Woos’ate ‘Arsh Bass Jagah Dil Mein Hay Us Jalwah E Harjaayi Ki |
Dushman-E Ahmad Pe Shiddat Kijiye |
Dushman-E Ahmad Pe Shiddat Kijiye Mulhidon Ki Kiya Murwwat Kijiye |
Zikr Unka Chheriye Har Bat Mein Chherna Shetan Ki Aadat Kijiye |
Misle Faras Zalzale Hon Najd Me Zikr-E Aayaate Wiladat Kijiye |
Ghaiz Me Jal Jaa Yen Be Dino Ke Dil Ya Rasool Allah Ki Kasrat Kijiye |
Kijiye Charcha Unhi Ka Subho Sham Jaane Kaafir Par Qayamat Kijiye |
Shirk Thahre Jis Me Tazime Habib Us Bureh Mazhab Pe Lanat Kijiye |
Zaalimo! Mahboob Ka Haq Tha Yahi Ishq Ke Badle Adawat Kijiye |
Ghaus-E-Azam Aap Se Faryad He Zinda Phir Ye Pak Millat Kijiye |
Mere Aaqa Hazrate Achche Mian Ho Raza Ac’cha Wo Soorat Kijiye |
Sunte Hain Ki Mehshar Mein Sirf Unki Rasai Hai |
Sunte Hain Ki Mehshar Mein Sirf Unki Rasai Hai Gar Unki Rasaaee Hai Lo Jab To Ban Aayi Hai |
Machla Hai Ki Rehmat Ne Ummeed Bandhai Hai Kya Baat Teri Mujrim Kya Baat Banai Hai |
Sab Ne Safe Mehshar Mein Lalkaar Diya Hum Ko Aye Bekason Ke Aaqa Ab Teri Duhai Hai |
Yun To Sab Unhi Ka Hai Par Dil Ki Agar Poocho Yeh Toote Hue Dil Hi Khaas Unki Kamai Hai |
Zaair Gaye Bhi Kab Ke Din Dhalne Pe Hai Pyaare Uth Mere Akele Chal Kya Der Lagaaee Hai |
Baazare Amal Mein Toh Sauda Na Bana Apna Sarkar Karam Tujh Mein Aibee Ki Samai Hai |
Girte Huwo Ko Muzda Sajde Mein Gire Maula Ro Ro Ke Shafa’at Ki Tamheed Uthai Hai |
Aye Dil Yeh Sulagna Kya Jalna Hai To Jal Bhi Uth Dum Ghutne Laga Zaalim Kya Dhooni Ramai Hai |
Mujrim Ko Na Sharmao Ahbaab Kafan Dhak Do Muh Dekh Ke Kya Hoga Parde Mein Bhalai Hai |
Ab Aap Hi Sambhalein Toh Kaam Apne Sambhal Jaayein Humne To Kamai Sab Khelon Mein Ganwai Hai |
Aye Ishq Tere Sadqe Jalne Se Choote Saste Joh Aag Bujha Degi Woh Aag Lagai Hai |
Hirso Hawase Bad Se Dil Tu Bhi Sitam Kar Le Tu Hi Nahi Begana Dunya Hi Parai Hai |
Hum Dil Jale Hain Kiske Haat Fitnon Ke Parkaale Kyun Foonk Du Ik Uf Se Kya Aag Lagai Hai |
Taiba Na Sahi Afzal Makkah Hi Bada Zaahid Hum Ishq Ke Bande Hain Kyun Baat Badhai Hai |
Gunahgaron Ko Hatif Se Naweede Khush Ma’ali Hai |
Gunahgaron Ko Hatif Se Naweede Khush Ma’ali Hai Mubarak Ho Shafa’at Ke Liye Ahmad Sa Wali Hai |
Tera Kadde Mubarak Gulbune Rehmat Ki Dali Hai Ise Bo Kar Tere Rab Ne Bina Rehmat Ki Dali Hai |
Kaza Haq Hai Magar Is Shok Ka Allah Wali Hai Jo Unki Rah Mein Jaaye Wo Jaan Allah Wali Hai |
Mein Ek Mohtaj Be Wak’at Gada Tere Sage Dar Ka Teri Sarkar Wala Hai Tera Darbar Aali Hai |
Tumhari Sharm Se Shane Jalal Haq Tapakti Hai Khame Gardan Hilale Aasmane Zuljalali Hai |
Abu Bakro Umar Usmano Hayder Jis Ke Bulbul Hein Tera Sarwe Saheeh Us Gulbane Khubi Ki Dali Hai |
Raza Kismat Hi Khul Jaaye Jo Geelan Se Khitab Aaye Ke Tu Adna Sage Dargahe Khuddame Ma’ali Hai |
Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noore Baari Hijab Me Hai |
Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noore Baari Hijab Me Hai Zamana Taarik Ho Raha Hai Ki Mehr Kab Se Nikaab Me Hai |
Nahi Wo Meethi Nigaah Waala Khuda Ki Rehmat Hai Jalwa Farma Ghazab Se Unke Khuda Bachaye Jalaal E Baari Etaab Me Hai |
Jali-Jali Bu Se Uski Paida Hai Sozish E Ishqe Chashme-Wala Kabaabe Aahu Me Bhi Na Paaya Maza Jo Dil Ke Kabaab Me Hai |
Unhi Ki Bu Maya E Saman Hai Unhi Ka Jalwa Chaman Chaman Hai Unhi Se Ghulshan Mehek Rahe Hai Unhi Ki Rangat Ghulab Me Hai |
Teri Julu Me Hai Maahe Taibah Hilaal Har Margo Zindagi Ka Hayaat Jaa(N) Ka Rikab Me Hai Mamaate A’ada Ka Daab Me Hai |
Siy(A)H Libasane Daare Duniya Wa Sabz-Poshane Arshe Aala Har Ik Hai Unke Karam Ka Pyasa Ye Faiz Unki Janaab Me Hai |
Wo Ghul Hain Lub-Haye Naazuk Unke Hazaaro Jhadte Hai Phool Jinse Ghulab Ghulshan Me Dekhay Bulbul Ye Dekh Ghulshan Gulaab Me Hai |
Jali Hai Soze Jigar Se Jaa(N) Tak Hai Taalib E Jalwa E Mubarak Dikha Do Wo Lab Ki Aab E Haiwa(N) Ka Lutf Jinke Khitaab Me Hai |
Khare Hain Munkar Nakeer Sarr Par Na Koi Haami Na Koi Yaavar Bata Do Aakar Mere Payamabar Ki Sakht Mushkil Jawab Me Hai |
Khudae Kehar Hai Ghazab Par Khule Hai Badd-Kariyo(N) Ke Daftar Bacha Lo Aa Kar Shafe’e Mehshar Tumhara Banda Azaab Me Hai |
Kareem Aisa Mila Ke Jiske Khule Hai Haath Aur Bhare Khazane Batao Ay Mufliso Ke Phir Kyu Tumhara Dil Izterab Me Hai |
Gunah Ki Tareekiyan Ye Chaaen Umand Ke Kaali Ghata-E Aayeen Khuda Ke Khursheed Mehr Farma Ki Zarra Bas Izteraab Me Hai |
Kareem Apne Karam Ka Sadqa La-Eeme Be Qadr Ko Na Sharma Tu Aur Raza Se Hisaab Lena Raza Bhi Koi Hisaab Me Hai |
Kya Mahekte Hain Mahekne Wale |
Kya Mahekte Hain Mahekne Wale Boo Pe Chalte Hain Bhatakne Wale |
Jagmaga Uthi Meri Gor Ki Khaak Tere Qurbaan Chamakne Wale |
Mahe Bedaag Ke Sadqe Jaaun Yun Damakte Hain Damakne Wale |
Arsh Tak Phaili Hai Taab E Aariz Kya Jhalakte Hain Jhalakne Wale |
Gul E Taiba Ki Sana Gaate Hain Nakhl E Tooba Pe Chahekne Wale |
Aasiyo! Thaam Lo Daaman Un Ka Wo Nahin Haath Jhatakne Wale |
Abr E Rehmat Ke Salaami Rehna Phalte Hain Paude Lachakne Wale |
Arey Ye Jalwa Gaahe Jaanan Hain Kuch Adab Bhi Hain Phadakne Wale |
Sunniyo! Un Se Madad Maange Jao Pade Bakte Rehte Hain Bakne Wale |
Sham’e Yaad E Rukh E Jaanan Na Bujhe Khaaq Ho Jaaye Bhadakne Wale |
Maut Kehti Hai Ke Jalwa Hai Qareeb Ek Zaraa So Lein Bilakne Wale |
Hum Bhi Khumhlaane Se Gaafil The Kabhi Kya Hansa Gunche Chatakne Wale |
Nakhl Se Chhutke Ye Kya Haal Huwa Aah! O Patte Khadakne Wale |
Jab Gire Munh Sooye Maikhana Tha Hosh Mein Hai Ye Behekne Wale |
Dekh O Zakhm E Dil Aape Ko Sambhal Phoot Behte Hain Tapakne Wale |
Mae Kahaan Aur Kahaan Main Zaahid Yun Bhi To Chhakte Hain Chhakne Wale |
Kaf E Dariya E Karam Mein Hai Raza Paanch Fawware Chhalakne Wale |
Ya Ilahi Reham Farma Mustafa Ke Waaste |
Ya Ilahi Reham Farma Mustafa Ke Waaste Ya Rasoolallah Karam Kije Khuda Ke Waaste |
Mushkile(N) Hal Kar Shahe Mushkil Kusha Ke Waaste Kar Balaayen Rad Shahide Karbala Ke Waaste |
Sayyide Sajjaad Ke Sadqe Mein Saajid Rakh Mujhe Ilme Haq De Baaqire Ilme Huda Ke Waaste |
Sidqe Saadiq Ka Tasadduq Saadiqul Islam Kar Be Gazab Raazi Ho Kaazim Aur Raza Ke Waaste |
Behre Maa’roofo Saree Maa’roof De Be Khud Saree Junde Haq Mein Gin Junaide Baa Safaa Ke Waaste |
Behre Shibli Shere Haq Duniya Ke Kutton Se Bacha Ek Ka Rakh Abde Waahid Be Riya Ke Waaste |
Bul Farah Ka Sadqa Kar Gham Ko Farah De Husno Saa’d Bul Hasan Aur Boo Saeede Saa’de Zaa Ke Waaste |
Qadri Kar Qadri Rakh Qadriyon Mein Utha Qadre Abdul Qadire Qudrat Numa Ke Waaste |
‘Ahsanallahu-Lahum-Rizqan’ Se De Rizqe Hasan Bandaye Razzaaq Taajul Asfiya Ke Waaste |
Nasr Abee Saaleh Ka Sadqa Saaleho Mansoor Rakh De Hayaate Dee(N) Muhiyye Jaa(N) Fizaa Ke Waaste |
Toore Irfano Uluwwo Hamdo Husna Wa Baha De Ali Moosa Hasan Ahmed Bahaa Ke Waaste |
Behre Ibrahim Mujh Par Naare Gham Gulzaar Kar Bheek De Data Bhikaari Baadshah Ke Waaste |
Khaanaye Dil Ko Ziya De Roo-E-Imaa(N) Ko Jamaal Shah Ziya Maula Jamaalul Auliya Ke Waaste |
De Muhammad Ke Liye Rozi Kar Ahmed Ke Liye Khwaane Fazlullah Se Hissa Gadaa Ke Waaste |
Deeno Dunya Ke Mujhe Barkaat De Barkaat Se Ishqe Haq De Ishqi Ishqe Intima Ke Waaste |
Hubbe Ahle Bait De Aale Muhammad Ke Liye Kar Shahide Ishq Hamza Peshwa Ke Waaste |
Dil Ko Achcha Tan Ko Suthra Jaan Ko Purnoor Kar Achche Pyare Shamse Dee(N) Badrul Ula Ke Waaste |
Do Jahaa(N) Mein Khaadime Aale Rasoolallah Kar Hazrate Aale Rasoole Muqtada Ke Waaste |
Sadqa In Aa’yaa(N) Ka De Che Ain Izz Ilmo Amal Afwo Irfa Aafiyat Ahmed Raza Ke Waaste |
Chamak Tujhse Paate Hain Sab Paane Waale |
Chamak Tujhse Paate Hain Sab Paane Waale Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Waale |
Barasta Nahi Dekh Kar Abr E Rehmat Badoo(N) Par Bhi Barsa De Barsane Waale |
Madine Ke Khitte Khuda Tujhko Rakhhe Ghareebo Faqeero Ke Thehrane Waale |
Tu Zinda Hai Wallah Tu Zinda Hai Wallah Mere Chashme Aalam Se Chup Jaane Waale |
Me Mujrim Hu Aaqa Mujhe Saath Le Lo Ke Raste Me Hai Jaa Baja Thane Waale |
Haram Ki Zamee(N) Aur Qadam Rakh Ke Chalna Are Sar Ka Mouqa Hai O Jaane Waale |
Chal Uth Zabah Farsa Ho Saaki Ke Dar Par Dar E Jood Hai Mere Mastane Waale |
Tera Khaye Tere Ghulamo Se Uljhe Hai Munkir Ajab Khaane Gurrane Waale |
Rahega Yu Hi Unka Charcha Rahega Pade Khaaq Ho Jaye Jal Jaane Waale |
Ab Aayi Shafa’at Ki Sa’at Ab Aayi Zara Chain Le Mere Ghabhrane Waale |
Raza Nafs Dushman Hai Dumme Na Aana Kaha Tumne Dekhe Hai Chandrane Waale |
Muzda Bad Aye Aasiyo Shafe E Shahe Abrar Hai |
Muzda Bad Aye Aasiyo Shafe E Shahe Abrar Hai Teheniyat Aye Mujrimo Zate Khuda Gaffar Hai |
Chand Shak Ho Paer Bolein Janawar Sajda Karein Barakallah Marja-E-Alam Yehi Sarkar Hai |
Jinko Su-E-Aasama Phaila Ke Jal Thal Bhar Diye Sadqa Un Hatho Ka Pyare Hamko Bhi Darkar Hai |
Ghore Ghore Paao Chamka Do Khuda Ke Waste Noor Ka Tarka Ho Piyare Ghor Ki Shab Taar Hai |
Tere Hi Daaman Pe Har Aasi Ki Parti Hai Nazar Ek Jaan-E-Be Khata Par Do Jahan Ka Baar Hai |
Rehamatullil Aalami Teri Duhaee Dab Gaya Ab To Maula Be Tarha Sar Per Gunah Ka Baar Hai |
Ghunj Ghunj Uthey Hain Nagmat-E-Raza Se Bostan Kyu Na Ho Kis Phool Ki Mid’hat Mai Waminkaar Hai |
Momin Woh Hai Jo Unki Izzat Pe Mare Dil Se |
Momin Woh Hai Jo Unki Izzat Pe Mare Dil Se Ta’zeem Bhi Karta Hai Najdi To Mare Dil Se |
Wallah Woh Sun Lenge Fariyad Ko Pahuchenge Itna Bhi To Ho Koi Jo Ah Kare Dil Se |
Bichdi Hai Gali Kaisi Bigdi Hai Bani Kaisi Pooch Koi Ye Sadma Arman Bhare Dil Se |
Kiya Usko Giraye Dahr Jis Par Tu Nazar Rakkhe Khak Us Ko Utaye Hashr Jo Tere Gire Dil Se |
Bahka Hai Kahan Majnoon Le Dali Banon Ki Khak Dam Bhar Na Kiya Khaima Laila Ne Pare Dil Se |
Sone Ko Tapaye Jab Kuch Meel Ho Ya Kuch Mail Kiya Kam Jahannam Ke Dahre Ko Khare Dil Se |
Ata Hai Dare Wala Yoon Zauqe Tawaf Ana Dil Jan Se Sadqe Ho Sir Gird Fire Dil Se |
Aye Abre Karam Fariyad Fariyad Jala Dala Is Sozishe Gham Ko Hai Zid Mere Hare Dil Se |
Dariya Hai Chadha Tera Kitni Hi Udayi Khak Utrenge Kahan Mujrim Aye Afw Tere Dil Se |
Kiya Janen Yame Gham Mein Dil Doob Gaya Kaisa Kis The Ko Gaye Arman Ab Tak Na Tere Dil Se |
Karta To Hai Yad Unki Gaflat Ko Zara Rook Lillah Raza Dil Se Han Dil Se Are Dil Se |
Ronaq E Bazm E Jahan Hain Aashiqan E Sokhta |
Ronaq E Bazm E Jahan Hain Aashiqan E Sokhta Keh Rahi Hai Shama Ki Goya Zuban E Sokhta |
Jis Ko Qurs Mohar Samjha Hai Jahan Ae Mu’emo! Unn Ke Khawan Jood Se Hai Aik Naam E Sokhta |
Mah E Mann Yeh Nayyar Mehshar Ki Garmi Taabke Aatish E Isyaa(N) Mein Khud Jalti Hai Jaan E Sokhta |
Barq E Angisht Nabi Chamki Thi Is Par Aik Baar Aaj Taq Hai Seena E Meh Mein Nishan E Sokhta |
Mohar Aalam Taab Jhukta Hai Piye Tasleem Roz Pish E Zarraat Mazaar Baed Laan E Sokhta |
Kuucha E Gaisoye Janaan Se Chalay Thandhi Naseem Baal O Par Afshaan Hon Yarab Bulbulaan E Sokhta |
Behr E Haq Ae Behr E Rehmat Ik Nigah E Lutaf Baar Taabkey Be Aabb Tarpae(N) Maahiyaan E Sokhta |
Rokash Khurshid Mehshar Ho Tumharay Faiz Se Ik Sharar E Seena E Shaedaaiya(N) Sokhta |
Aatish E Gulhaaey Ne Dil Kiye Kya Kya Kabaab Khizr Ki Jaa(N) Ho Jila Do Maahiyan E Sokhta |
Aatish Glhaye Tayyiba Par Jalanay Ke Liye Jaan Ke Taalib Hain Piyaray Bulbulaan E Sokhta |
Lutaf Barq E Jalwa E Mairaaj Laya Wajad Mein Sh’ula Jawala Saan Hai Aasman Sokhta |
Ae Raza Mazmoon Soze Dil Ki Riffat Ne Kya Is Zamin E Sokhta Ko Aasman Sokhta |
Allah Allah Ke Nabi Se |
Allah Allah Ke Nabi Se Fariyaad Hai Nafs Ki Badee Se |
Din Bhar Khelon Mein Khaak Udaayi Laaj Aayi Na Zarro Ki Hansi Se |
Shab Bhar Sone Hee Se Garaz Thi Taaron Ne Hazaar Daant Peese |
Imaan Pe Maut Behtar O Nafs Teri Naapaak Zindagi Se |
O Shahad Numaaye Zahar Dar Jaam Gum Jaaoon Kidhar Teri Badee Se |
Gehre Pyare Purane Dilsoz Guzra Main Teri Dosti Se |
Tuj Se Jo Uthaaye Main Ne Sadme Aise Na Mile Kabhi Kisi Se |
Uf Re Khud Kaam Be Murawwat Padta Hai Kaam Aadmi Se |
To Ne Hi Kiya Khud Se Naadim Tu Ne Hi Kiya Khazil Nabi Se |
Kaise Aaqa Ka Hukm Taala Hum Mar Mite Teri Khud-Saree Se |
Aati Na Thi Jab Badee Bhi Tujh Ko Hum Jaante Hain Tujhe Jabhi Se |
Had Ke Zaalim Sitam Ke Katthar Patthar Sharmaayen Tere Jee Se |
Hum Khaak Mein Mil Chuke Hain Kab Ke Nikla Na Gubaar Tere Jee Se |
Hai Zaalim! Main Nibahoon Tujh Se Allah Bachaye Us Ghadi Se |
Jo Tum Ko Na Jaanta Ho Hazrat Chaalen Chaliye Us Ajnabi Se |
Allah Ke Saamne Who Gun The Yaaron Main Kaise Muttaqi Se |
Rehzan Ne Loot Lee Kamaayi Fariyaad Hai Khizr Haashmi Se |
Allah Koonye Main Khud Gira Hoon Apni Naalish Karu(N) Tujhi Se |
Hain Pushte Panah Gause Aa’zam Kyun Darte Ho Raza Kisi Se |
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare |
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Bekasi Loot Le Khuda Na Kare |
Isme Rouze Ka Sajdah Ho Ki Tawaaf Hosh Me Jo Na Ho Wo Kya Na Kare |
Ye Wahi Hai Ki Baksh Dete Hai Kaun In Jurmo Par Saza Na Kare |
Sab Tabeebo Ne De Diya Hai Jawaab Aah Eesa Agar Dawaa Na Kare |
Dil Kaha Le Chala Haram Se Mujhe Are Tera Bura Khuda Na Kare |
Uzre Ummeed E Afw(A) Gar Na Sune Ru Siyaah Aur Kya Bahana Kare |
Dil Me Roushan Hai Shamm’e Ishq E Huzoor Kaash Joshe Havas Hawa Na Kare |
Hashr Me Hum Bhi Sayr Dekhenge Munkir Aaj Unse Ilteja Na Kare |
Zof Maana Magar Ye Zaalim Dil Unke Raste Me To Thaka Na Kare |
Jab Teri Khu Hai Sabka Jee Khana Wahi Achha Jo Dil Bura Na Kare |
Dil Se Ik Zouk E May Ka Talab Hu Kaun Kehta Hai Itteqa Na Kare |
Le ‘Raza’ Sab Chale Madine Ko Mai Na Jaun Are Khuda Na Kare |
Sabse Aula Wo Aala Hamara Nabi |
Sabse Aula Wo Aala Hamara Nabi Sab Sey Baala Wo Waala Hamaara Nabi. |
Apne Maula Ka Piyara Hamaara Nabi Dono A’alam Ka Dulha Hamaara Nabi. |
Bazme Aakhir Ka Shamae Faraouza Hua Noor E Awwal Ka Jalwah Hamaara Nabi. |
Bujh Gayi Jiske Aage Sabhi Mashaley Shama’a Woh Le Kar Aaya Hamaara Nabi. |
Jiske Talwon Ka Dhovan Hai Aabe Hayaat Hain Wo Jaane Masiha Hamaara Nabi |
Khalq Se Auliyah Auliyah Se Rasool Aur Rasoolon Se A’ala Hamaara Nabi |
Husn Khaata Hain Jinke Namak Ki Qasam Woh Maleehe Dilaara Hamaara Hamaara Nabi |
Zikr Sab Pheeke Jab Tak Na Mazkur Ho Namakeen Husn Waala Hamaara Nabi |
Jiski Do Boond Hain Kausaer O Salsabeel Hain Wo Rehmat Ka Dariya Hamaara Nabi |
Jaise Sab Ka Khuda Aik Hai Waise Hi Inka Unka Tumhara Hamaara Nabi |
Karno Badli Rasoolo Ki Hoti Rahi Chaand Badli Ka Nikla Hamaara Nabi |
Kaun Deeta Hain Dene Ko Muh Chahiye Deene Waala Hai Sachha Hamaara Nabi |
Saare Achhon Me Achha Samajhiye Jise Hain Us Achhe Se Achha Hamaara Nabi |
Kya Khabar Kitne Taare Khile Chup Gaye Par Na Doobe Na Dooba Hamaara Nabi |
Mulke Qaunain Mein Ambiya Taajdaar Taajdaro Ka Aaqa Hamaara Nabi. |
La Makaa Tak Ujalaj Hai Jisko Wo Hain. Har Makaa Ka Ujala Hamaara Nabi. |
Saare Uncho Mein Uncha Samajhiye Jise. Hai Uss Unche Se Uncha Hamaara Nabi. |
Sab Chamak Waale Ujhlo Me Chamka Kiye. Andhe Sheesho Mein Chamka Hamaara Nabi. |
Gamzado Ko Raza Mushda Di Je Ke Hain Be Kasoon Ka Sahara Hamara Nabi. |
Arshe Haq He Musnade Rif’at Rasoolullah Ki |
Arshe Haq He Musnade Rif’at Rasoolullah Ki Dekhni He Hashr Me Izzat Rasoolullah Ki |
Qabr Me Lehrayenge Tha Hasr Chashme Noor Ke Jalwah Farma Hogi Jab Tal’at Rasoolullah Ki |
Kaafiro Par Taighe Waala Se Giri Bakre Ghazab Abr-Aasa Cha Gayi Haibat Rasoolullah Ki |
Laa Wa Rabbil Arsh Jisko Jo Mila Unse Mila Bat’ti He Kownain Me Ne’mat Rasoolullah Ki |
Wo Jahannum Me Gaya Jo Unse Mustaghni Huwa Hai Khalleelullah Ko Haajat Rasoolullah Ki |
Sooraj Ulte Paaw Palte Chaand Ishaare Se Ho Chaak Andhe Najdi Dekhle Qudrat Rasoolullah Ki |
Tujhse Aur Jannat Se Kya Matlab Wahabi Duur Ho Hum Rasoolullah Ke, Jannat Rasoolullah Ki |
Zikr Roke Fazal Kaate Naqs Ka Juya(N) Rahe Phir Kahe Mardak Ke Hu Ummat Rasoolullah Ki |
Najdi Usne Tujhko Mohlat Di Ki Iss Aalam Me Hai Kaafiro Murtad Pe Rehmat Rasoolullah Ki |
Hum Bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse Fazoo Aur Naa Kehna Nahee Aadat Rasoolullah Ki |
Ahle Sunnat Ka He Bera Paar Ashaabe Rasool Najm He Aur Naav Hai Itrat Rasoolullah Ki |
Khaaq Ho Kar Ishq Me Aaram Se Sona Mila Jaan Ki Akseer Hai Ulfat Rasoolullah Ki |
Toot Jaa-Enge Gunaahgaro Ke Fawran Qaid-O-Bund Hashr Ko Khuljaaegi Taaqat Rasoolullah Ki |
Ya Rabb Ik Saa’at Me Dhul Jaa-E Siyaahkaro Ke Jurm Josh Par Aa Jaaye Ab Rehmat Rasoolullah Ki |
Hai Ghule Baaghe Qudus Rukhsaar E Zeba E Huzoor Sarve Ghulzaar E Qadam Kaamat Rasoolullah Ki |
Ae Raza Khud Saahibe Quraan Hai Mud’daahe Huzoor Tujhse Kab Mumkin He Phir Midhat Rasoolullah Ki |
(Sallallahu Alahi Wa Sallam) |
Peysh E Haq Muzhda Shafa’at Ka Sunate Jeeinge |
Peysh E Haq Muzhda Shafa’at Ka Sunate Jeeinge Ap Route Jeeinge Hum Ko Hasate Jeeinge |
Dil Nikal Jane Kee Ja Hai Ah! Kin Ankhoon Se Wo Hum Se Piyason Ke Liye Darya Ba Ha Te Jeeinge |
Kushtgane Garmiye Mahshar Ko Wo Jane Maseeh Aj Daman Ki Hawa De Kar Jilate Jeenge |
Gul Khilega Aj Yeh Unki Naseeme Faiz Se Khoon Route Eenge Hum Muskurate Jeenge |
Han Chalo Hasrat Zad Oon Sunte Hain Wo Din Aj Hai Thee Khabar Jisskee Ke Wo Jalwa Dikhate Jeeinge |
Kuch Khabar Bhee Hai Faqeeron Aj Wo Din Hai Ke Wo Na’mat E Khuld Apne Sadqe Meyn Luta Te Jeeinge |
Khak Uftado Buss Unn Ke Ane Hee Kee Der Hai Khud Wo Girr Kar Sajdah Meyn Tum Ko Utha –Te Jeeinge |
Wus’ateyn Dee Hain Khuda Ne Daman E Mehboob Ko Jurm Khulte Jeeinge Aur Wo Chupate Jeeinge |
Lo Wo Ee Muskurate Hum Aseeron Kee Taraf Khirman E Is’iyan Pe Bij Lee Gira Te Jeeinge |
Sokhta Jano Pe Wo Pur Joshe Rahmat Ee Hain Abe Kausar Se Lagi Dil Ki Bujhate Jeenge |
Aftab Unka Hii Chamkega Jab Auron Ke Chirag Sarsare Joshe Bala Se Jhilmilate Jeenge |
Pee Quba Puul Se Guzrenge Teri Awaz Par Rabbi Sallim Ki Sada Par Wajd Late Jeenge |
Sarware Di Lije Apne Natwano Ki Khabar Nafso Shaitan Seyida Kab Tak Dabate Jeenge |
Hush Ar Tak Da Leyn Ge Hum Pey Da Ish E Maula Kee Dhoom Miss Le Fa Ris Najd Ke Qil Aey Gira Te Jeeinge |
Khak Ho Jeei(N) A’doo Jal Kar Magar Hum Tou Raza Dum Mey(N) Jab Tak Dum Hai Zikr Unn Ka Suna Te Jeei(N)Ge |
Aankhein Ro Ro Ke Sujane Wale |
Aankhein Ro Ro Ke Sujane Wale Jaane Waale Nahi Aane Wale |
Sun Le Aada Main Bigadane Ka Nahi Vo Salamat Hain Banane Wale |
Aankhain Kuch Kehati Hain Tuj Se Pegham O-Dare Yar Ke Jane Wale |
Phir Na Karvat Li Madine Ki Taraf Are Chal Jhute Bahane Wale |
Nafs Main Jak Huva Tu Na Mita Ae Meri Jan Ke Khane Wale |
Jite Kya Dekh Ke Hain Ae Huro Tayba Se Khuld Main Ane Wale |
Sath Lelo Muje Main Mujlim Hu Rah Me Palke Hain Thane Wale |
Koi Din Main Ye Sara Aujad He Are Ao-Chhavani Chhane Wale |
Jabah Hote Hain Vatan Se Bichhde Dale Kyo Gate Hain Gane Wale |
Are Bad Fal Hari Hoti Hain Dale Ka Jangala Sunane Wale |
Husn Tera Sana Dekha Sunna Kehte Hain Agre Jamane Wale |
Wahi Dhoom In Ki He Mashaalla Mit Gaye Ap Mitane Wale |
Kyu “Raza” Aaj Gali Suni Hain Uth Mere Dhoom Machane Wale |
Raah Pur Khar Hai Kya Hona Hai |
Raah Pur Khar Hai Kya Hona Hai Paa(N)V Afgaar He Kiya Hona He |
Khushk He Khoon Ki Dushman Zalim Sakht Khunkhaar He Kiya Hona He |
Humko Bid Kar Wahi Karna Jis Se Dost Bezaar He Kiya Hona He |
Tan Ki Aab Kaun Khabar Le He-He Dil Ka Aazaar He Kiya Hona He |
Meethe Sharbat De Maseeha Jab Bhi Zid He Inkaar He Kiya Hona He |
Dil Ki Teemar Hamara Karta Aap Bimaar He Kiya Hona He |
Par Kate, Tang Kafas Aur Bulbul Nou-Giraftaar He Kiya Hona He |
Chup Ke Logo(N) Se Kiye Jiske Gunah Woh Khabardaar He Kiya Hona He |
Are O Mujhrim E Be-Parwah Dekh Sar Pe Talwaar He Kiya Hona He |
Tere Bimaar Ko Mere Isaa Gash Lagatar He Kiya Hona He |
Nafse Puzor Ka Wo Zor Aur Dil Zer He Zaar He Kiya Hona He |
Kaam Zinda Ke Kiye Aur Hame Shouke Gulzaar He Kiya Hona He |
Haye Re Neend Musafir Teri Kooch Taiyar He Kiya Hona He |
Duur Jaana He Raha Din Thoda Rah Dushwaar He Kiya Hona He |
Ghar Bhi Jaana He Musafir Ki Nahi Mat Pe Kiya Maar He Kiya Hona He |
Jaan Halkaan Hui Jaati He Baar Sa Baar He Kiya Hona He |
Paar Jaana He Nahi Milti Naav Zor Par Dhaar He Kiya Hona He |
Raah To Taigh Par Aur Talwo(N) Ko Gila-E Khaar He Kiya Hona He |
Roushni Ki Hame Aadat Aur Ghar Teera-Wo Taar He Kiya Hona He |
Beech Me Aag Ka Dariya Ha-Il Qasd Us Paar He Kiya Hona He |
Iss Kadee Dhoop Ko Kyu Kar Jhele Shola Jan Naar He Kiya Hona He |
Haye Bigdi Tu Kaha Aakar Naav Ayn E Manj-Dhaar He Kiya Hona He |
Kal To Deedar Ka Din Aur Yaha Aankh Bekaar He Kiya Hona He |
Muh Dikhane Ka Nahi Aur Sahar Aam Darbaar He Kiya Hona He |
Unko Raham Aaye To Aaye Warna Woh Kadi Maray Kiya Hona He |
Le Wo Haakim Ke Sipahi Aaye Subhe Izhaar He Kiya Hona He |
Wa(N) Nahi Baat Banane Ki Majaal Chaara Iqraar He Kiya Hona He |
Saath Walo Ne Yahi Chor Diya Bekasi Yaar He Kiya Hona He |
Aakhri Deed He Aao Mil Le Rang Bekaar He Kiya Hona He |
Dil Hame Tumse Lagana Hi Na Tha Ab Safar Baar He Kiya Hona He |
Jaane Walo Pe Ye Rona Kaisa? Banda Nachaar He Kiya Hona He |
Naz’a Me Dhyan Na Batt Jaye Kahi Ye Abas Pyar He Kiya Hona He |
Iska Ghum He Ki Har Ek Ki Soorat Gale Ka Haar He Kiya Hona He |
Baatein Kuch Aur Bhi Tumse Karte Par Kaha Vaar He Kiya Hona He |
Kyu Raza Kudhte Ho Haste Uththo Jab Wo Ghaffar He Kiya Hona He |
Sarwar Kahoon Ke Malik O Maula Kahoon Tujhe |
Sarwar Kahoon Ke Malik O Maula Kahoon Tujhe Baagh-E-Khaleel Ka Gul-E-Zaiba Kahoon Tujhay |
Hurman Naseeb Hon Tujhe Ammid Geh Kahoon Jaan-E Morad O Kaan Tamanna Kahoon Tujhe |
Gulzaar Quds Ka Gul E Rangin Adaa Kahoon Darmaan Dardِ Bulbul Shaida Kahoon Tujhe |
Subh-E-Watan Pay Shaam-E-Ghareeban Ko Doon Sharaf Bey-Kas Nawaaz Gey-Sue-Oon Wala Kahoon Tujhay |
Allah Ray Teyray Jism-E-Munawwar Kee Taa-Bishein Aey Jaan-E-Jaan Mein Jaan-E-Tajalla Kahoon Tujhay |
Be Daagh Lala Ya Qamar Be Kalaf Kahoon Be Khaar Gulbane Chaman Aara Kahoon Tujhe |
Mujrim Hoon Apnay Af’oo Ka Samaan Karoon Shah-Aa Ya’nee Shafe’e Roz-E-Jaza Ka Kahoon Tujhay |
Is Murda Dil Ko Muzda Hayaat Abadd Ka Dun Taab O Twan Jaan-E Masiihaa Kahoon Tujhe |
Teyray Tou Wasf A’eb Ta-Na-Hee Say Hain Baree Hairaan Hoon Meyray Shah Mein Kya Kya Kahoon Tujhay |
Keh Lay Gee Sub Kuch Unkay Sana Khuwaan Kee Khamshee Chup Ho Raha Hoon Keh Kay Mein Kiya Kiya Kahoon Tujhay |
Leykin Raza Nay Khatm-E-Sukhan Iss Pay Kar Dia Khaaliq Ka Banda Khalq Ka Aaqa Kahoon Tujhay |
Arsh Ki Aql Dang Hai Charkh Pe Asmaan Hai |
Arsh Ki Aql Dang Hai Charkh Pe Asmaan Hai Jane Muraad Ab Kidhar Haye Tera Makaan Hai |
Bazme Sana E Zulf Me Meri Aruse Fikr Ko Saari Bahaar E Hasht Khuld Chota Sa Itrdaan Hai |
Arsh Pe Jaake Murge Aql Thak Ke Gira Gash Aa Gaya Aur Abhi Manzilo Pare Pehla Hi Aastan Hai |
Arsh Pe Taaزa Cher Chaar Farsh Pe Turfa Dhoom Dhaam Kaan Jidhar Lagaiye Teri Hi Daastaan Hai |
Ik Tere Rukh Ki Roushni Chain Hai Do Jahaan Ki Ins Ka Uns Usi Se Hai Jaan Ki Wo Hi Jaan Hai |
Wo Jo Na The To Kuch Na Tha Wo Jo Na Houn To Kuch Na Ho Jaan Hain Wo Jahaan Ki Jaan Hai To Jahan Hai |
Ghod Me Aalam E Shabaab Haal E Shabaab Kuch Na Pooch Ghulbune Baagh E Noor Ki Aur Hi Kuch Uthaan Hai |
Tujhsa Siyahkaar Kaun Unsa Shafe’a Hai Kahan Phir Wo Tujhi Ko Bhool Jaen Dil Ye Tera Guman Hai |
Peshe Nazar Wo Nou Bahaar Sajde Ko Dil Hai Bekaraar Rokiye Sar Ko Rokiye Haan Yahi Imtehaan Hai |
Shaan E Khuda Na Saath De Unke Kheram Ka Wo Baaz Sidra Se Tazamee Jise Narm Si Ek Uraan Hai |
Baare Jalaal Utha Liya Garche Kaleja Shak Hua Yu To Ye Maahe Sabza Rang Nazroun Me Dhaan Pan Hai |
Khauf Na Rakh Raza Zara Tu To Hai Abad E Mustafa Tere Liye Amaan Hai Tere Liye Amaan Hai |
Andheri Raat Hai Gham Ki Ghata Isyaan Ki Kaali Hai |
Andheri Raat Hai Gham Ki Ghata Isyaan Ki Kaali Hai Dile Bekas Ka Is Aafat Mein Aaqa Tu Hi Waali Hai |
Na Ho Maayoos Aati Hai Sada Gore Ghareeba(N) Se Nabi Ummat Ka Haami Hai Khuda Bando(N) Ka Waali Hai |
Utarte Chaand Dhalti Chaandni Jo Ho Sake Kar Le Andhera Paakh Aata Hai Yeh Do Din Ki Ujaali Hai |
Are Yeh Bhediyon Ka Ban Hai Aur Shaam Aagayi Sar Par Kahaan Soya Musaafir Haaye Kitna Laa Ubaali Hai |
Andhera Ghar, Akeli Jaan, Dam Ghut-Ta, Dil Uktaataa Khuda Ko Yaad Kar Pyaare Woh Saa’at Aane Waali Hai |
Zamee(N) Tapti, Kateeli Raah, Bhaari Bojh, Ghaail Paau(N) Musibat Jhelne Waale Tera Allah Waali Hai |
Na Chaunka Din Hai Dhalne Par Teri Manzil Hui Khoti Are O Jaan Wale Neend Ye Kab Ki Nikaali Hai |
Raza Manzil To Jaisi Hai Woh Ik Main Kya Sabhi Ko Hai Tum Is Ko Rote Ho Yeh To Kaha Yaa(N) Haath Khaali Hai |
Soona Jungle Raat Andheri Chayi Badli Kali He |
Soona Jungle Raat Andheri Chayi Badli Kali He Sone Wale Jagte Rahiyo Choron Ki Rakhwali He |
Ankh Se Kajal Saf Chura Lain Yan Woh Chor Bala Ke He Teri Takri Takee He Aur Tu Ne Neend Nikali He |
Yeh Jo Tujh Ko Bulata He Yeh Thag He Mar Hi Rakhe Ga Hye Musafir Dam Main Na Ana Mat Kaisi Matwali He |
Sona Pas He Soona Ban He Sona Zehar He Uth Pyare Tu Kehta He Meethi Neend He Teri Mat Hi Nirali He |
Ankhne Mal Na Jhunjna Par Na Lakh Jamahi Angrayi Array Nam Pe Uthne Ke Larta He Uthna Bhi Kuch Gali He |
Jugnoo Chamke Patta Kharke Mujh Tanha Ka Dil Dharke Dar Samjhaye Koi Pavan He Ya Agiya Be Tali He |
Badal Garge Bijli Tarke Dhak Se Kaleja Ho Jaye Ban Main Ghata Ki Bhayanak Soorat Kaisi Kali Kali He |
Paon Utha Aur Thaukar Khayi Kuch Sambhla Phir Aondhe Mon Neend Ne Phislan Kar Di He Aur Dhortak Khayi Nali He |
Sathi Sathi Keh Ke Pukaron Sathi Ho Tu Jawab Aye Phir Jhunjla Kar Sir De Patko Chal Re Mola Wali He |
Tum To Chand Arab Ke Ho Pyare Tum To Ajam Ke Sooraj Ho Dekho Mujh Bekas Par Sab Ne Kaisi Afat Dali He |
Shehed Dikhaye Zehar Pilaye Katil Daen Shohar Kush Iss Murdar Pe Kiya Lalchaya Dunya Dekhi Bhali He |
Woh Tu Nihayat Sasta Soda Baich Rahe Hen Jannat Ka Hum Muflis Kiya Moal Chukayen Apna Hath Hi Khali He |
Mola Tere Afw-O-Karam Ho Mere Gawah Safayi Ke Warna Raza Se Chor Pe Teri Digree Tu Iqbali He |
Na ‘Arsh E Ayman Na Inni Zaahibun Mein Meyhmaani Hay |
Na ‘Arsh E Ayman Na Inni Zaahibun Mein Meyhmaani Hay Na Lutf E Udun Yaa Ahmad Naseeb E Lan Taraani Hay |
Naseeb E Dostaan Gar Unkey Dar Par Maut Aani Hay Khuda Yun Hi Karein Phir To Humesha Zindgaani Hay |
Ussi Dar Par Tarapatey Hain Machltey Hain Bilaktey Hain Uttha Jaata Nahin Kya Khoob Apni Naa Tawaani Hay |
Har Eik Deewaro Dar Par Mehr Ne Ki Hay Jabeen Saayi Nigaar E Masjid E Aqdas Mein Kab Sone Ka Paani Hay |
Terey Mangtaa Ki Khaamoshi Shafaa’at Khwaah Hay Us Ki Zabaan E Be Zabaani Tarjumaan E Khasta Jani Hay |
Khule Kya Raaz E Ehboob O Muhib Mastaane Ghaflat Par Sharaab E Qad Ra’ Yal Haq Zayb E Jaam E Man Ra Aani Hay |
Jahaan Ki Khaakroobi Ne Chaman Aaraa Kiya Tujh Ko Saba Hum Ne Bhi Un Galiyo Ki Kuch Din Khaak Chhani Hay |
Shahaa Kya Zaat Teri Haq Numaa Hay Fard E Imkaan Mein Keh Tujh Sey Koi Awwal Hay Na Tera Koi Saani Hay |
Kahaan Us Ko Shak E Jaan E Jinaan Mein Zar Ki Naqaashi Iram Key Taayire Rang E Pareeda Ki Nishaani Hay |
Ziyabun Fee Thiyabin Lab Pe Kalma Dil Mein Gustakhi Salaam Islam Mulhid Ko Keh Tasleem E Zabani Hay |
Ye Aksar Saath Unke Shaana O Miswaak Ka Rehna Bataataa Hay Ki Dil Reshon Pein Zaaid Mehrbaani Hay |
Isi Sarkaar Sey Dunia O Deen Milte Hay Saail Ko Yahi Darbaare ‘Aali Kanz E Aamal O Amaani Hay |
Duroodein Soorat E Baala Moohit E Maah E Taybah Hein Barasta Ummat E ‘Aasi Pen Ab Rahmat Ka Paani Hay |
Ta’aala Allah Istighna Terey Dar Key Gadaaon Ka Keh Unko Aaar Far O Shaukat E Saahib Qur’ani Hay |
Woh Sar Garme Shafaa’at Hay Araq Afshaan Hay Peshani Karam Ka Itr Sandal Ki Zameen Rehmat Ki Ghaani Hay |
Hirz E Jaan Zikr E Shafaat Kijiye |
Hirz E Jaan Zikr E Shafaat Kijiye Naar Se Bachne Ki Surat Kijiye |
Un Ke Dar Pe Jaise Hain Mit Jayiye Naatuaano Kuch To Himmat Kijiye |
Un Ke Dar Par Baitiye Ban Kar Faqeer Benawaao Fikr E Sarwat Kijiye |
Jin Ka Husn Allah Ko Bhi Bha Gaya Aise Pyaare Se Muhabbat Kijiye |
Naara Kijiye Ya Rasoolallah (Salla Llahu ‘Alayhi Wa Sallam) Ka Mufliso Saamaan E Dolat Kijiye |
Hum Tumhare Ho Ke Kis Ke Paas Jaaye Sadqa Shehzaado Ka Rahmat Kijiye |
Aap Sultaan E Jahaan Hum Benawaa Yaad Hum Ko Waqt E Nemat Kijiye |
Tujh Se Kya Kya Ae Mere Taiba Ke Chand Zulmat E Ghum Ki Shikaayat Kijiye |
Dar Badar Kab Tak Phire Khasta Kharaab Taiba Me Madfan Inaayat Kijiye |
Phir Palat Kar Mun Na Is Jaanib Kiya Such Hain Aur Dawa E Ulfat Kijiye |
Uqrabaa Hub E Watan Behimmati Aah Kis Kis Ki Shikaayat Kijiye |
Ab To Aqa Mun Dikhane Ka Nahi Kis Tarha Raf E Nidaamat Kijiye |
Kis Se Kehyiye Kya Kya Kya Ho Gaya Khud Hi Apne Par Malaamat Kijiye |
Arz Ka Bhi Ab To Mun Partaa Nahi Kya Ilaaj E Dard E Furqat Kijie |
Apni Ik Meethi Nazar Ke Shehad Se Chaarah E Zehr E Museebat Kijiye |
De Khuda Himmat Ke Ye Jaan E Hazeen Aap Par Waari Wo Surat Kijiye |
Aap Hum Se Bar Kar Hum Par Mehrbaan Hum Kare Jurm Aap Rahmat Kijiye |
Jo Na Bhoola Hum Ghareebo Ko Raza Yaad Us Ki Apni Aadat Kijiye |
Shukr E Khuda Ki Aaj Ghari Us Safar Ki Hai |
Shukr E Khuda Ki Aaj Ghari Us Safar Ki Hai Jis Par Nisaar Jaan Falaaho Zafar Ki Hai |
Garmi Hai Tap Hai Dard Hai Kulfat Safar Ki Hai Na Shukr Ye To Dekh Azeemat Kidhar Ki Hai |
Kis Khaaqe Paak Ki Tu Banee Khaaqe Pa Shifa Tujhko Kasam Janab E Maseeha Ke Sarr Ki Hai |
Aabe Hayaat E Ruh Hai ‘Zarqa’ Ki Boond Boond Akseer A’azame Mase Dil Khaaq Darr Ki Hai |
Humko To Apne Saaye Me Aaram Hi Se Laaye Heele Bahane Waalo Ko Ye Rah Darr Ki Hai |
Lut-Te Hai Maare Jaate Hai Yu Hi Suna Kiye Har Baar Di Wo Aman Ki Ghairat Hajar Ki Hai |
Wo Dekho Jagmagati Hai Shab Aur Qamar Abhi Pahro Nahi Ki Bisto Chahrum Safar Ki Hai |
Maahe Madina Apni Tajalli Ataa Kare Ye Dhalti Chandni To Pahar Do Pahar Ki Hai |
Mann Zaar-Turbati Wa-J-Bat Lah Shafa’ati Un Par Durood Jinse Naved In Bashar Ki Hai |
Unke Tufail Haj Bhi Khuda Ne Kara Diye Asl E Muraad Haazri Uss Paak Darr Ki Hai |
Ka’abe Ka Naam Tak Na Liya Taibah Hi Kaha Poocha Tha Humse Jisne Ki Nuhzat Kidhar Ki Hai |
Ka’aba Bhi Hai Unhi Ki Tajalli Ka Ayk Zill Roushan Unhi Se Aks Se Putli Hajar Ki Hai |
Hote Kaha Khaleelo Bina Ka’aba Wo Mina Lau Laak Wale Sahibe Sab Tere Ghar Ki Hai |
Maula Ali Ne Vaari Teri Neend Par Namaz Aur Wo Bhi Asr Sabse Jo A’ala Khatar Ki Hai |
Siddeeq Balki Ghaar Me Jaa(N) Uss Pe De Chuke Aur Hifze Jaa(N) To Jaan Furuze Gurar Ki Hai |
Haa(N) Tu Ne Unko Jaan, Unhe Fer Di Namaz Par Wah To Kar Chuke The Jo Karni Bashar Ki Hai |
Sabit Hua Ki Jumla Faraiz Furu’a Hai Aslul Usool Bandagi Us Taajvar Ki Hai |
Shar Khair, Shor Sur, Sharar Dur, Naar Nur Bushra Ki Baargah Ye Khairul Bashar Ki Hai |
Mujrim Bulaye Aaye Hai ‘Jau-K’ Hai Gawah Phir Radd Ho Kab Ye Shaan Kareemo Ke Darr Ki Hai |
Badd Hai Magar Unhi Ke Hai Baaghi Nahi Hai Hum Najdi Na Aaye Usko Ye Manzil Khatar Ki Hai |
Tuf Najdiyat Na Kufr Na Islam Sab Pe Harf Kafir Idhar Ki Hai Na Udhar Ki Adhar Ki Hai |
Haakim Hakeem Daado Dawa De Ye Khuch Na De Mardood Ye Muraad Kis Aayat Khabar Ki Hai |
Shakle Bashar Me Noore Ilahi Agar Na Ho Kya Kadr Us Khameera E Maao Mad(A)R Ki Hai |
Noore Ilahi Kya Hai Muhabbat Habeeb Ki Jis Dil Me Ye Na Ho Wo Jagah Khufo Khar Ki Hai |
Zikre Khuda Jo Unse Juda Chaho Najdiyo Wallah Zikre Haq Nahi Kunji Sakar Ki Hai |
Be Unke Waaste Ke Khuda Kuch Ataa Kare Haasha Galat Galat Ye Hawas Be-Basar Ki Hai |
Maqsood Ye Hai Aadamo Nuuho Khaleel Se Tukhme Karam Me Saari Karamat Samar Ki Hai |
Unki Nubuvvat Unki Ubuvvat Hai Sabko Aam Ummul Bashar Aroos Unhi Ke Pesar Ki Hai |
Zaahir Me Mere Phool Haqeeqat Me Mere Nakhl Uss Ghul Ki Yaad Me Ye Sadaa Bul Bashar Ki Hai |
Pehle Ho Unki Yaad Ki Paaye Jila Namaz Yeh Kehte Hai Azaan Jo Pichle Pahar Ki Hai |
Duniya Mazaar Hashr Jahaan Hai Ghafoor Hai Har Manzil Apne Chaand Ki Manzil Gafar Ki Hai |
Un Par Durood Jinko Hajar Tak Kare Salaam Un Par Salaam Jinko Tahiyyat Shajar Ki Hai |
Un Par Durood Jinko Kase Be-Kasa Kahe Un Par Salaam Jinko Khabar Be-Khabar Ki Hai |
Jinno Bashar Salaam Ko Haazir Hai Assalam Yeh Bargah Maalik E Jinno Bashar Ki Hai |
Shamso Qamar Salaam Ko Haazir Hai Assalam Khubi Unhi Ki Jyot Se Shamso Qamar Ki Hai |
Sab Bahro Bar Salaam Ko Hazir Hai Assalam Tamlik Unhi Ke Naam To Har Bahro Bar Ki Hai |
Sango Shajar Salaam Ko Haazir Hai Assalam Kalme Se Tar Zabaan Darakhto Hajar Ki Hai |
Arzo Asar Salaam Ko Hazir Hai Assalam Malja Ye Baargah Dua O Asar Ki Hai |
Shorida Sarr Salaam Ko Hazir Hai Assalam Raahat Unhi Ke Qadmo Me Shorida Sarr Ki Hai |
Khasta Jigar Salaam Ko Hazir Hai Assalam Marham Yahi Ki Khaak To Khasta Jigar Ki Hai |
Sab Khushko Tar Salaam Ko Hazir Hai Assalam Ye Jalwa Gaah Maalike Har Khushko Tar Ki Hai |
Sab Karro Far Salaam Ko Hazir Hai Assalam Topi Yahi To Khaaq Pe Har Karro Far Ki Hai |
Ahle Nazar Salaam Ko Hazir Hai Assalam Ye Gard Hi Surma Sab Ahle Nazar Ki Hai |
Aansu Baha Ki Beh Gaye Kaale Gunah Ke Dher Haathi Dubav Jheel Yaha Chashme Tar Ki Hai |
Teri Kaza Khaleefa E Ahkaame Zil Jalaal Teri Raza Haleef Kazawo Kadar Ki Hai |
Yeh Pyari Pyari Kyari Tere Khaana Baagh Ki Sard Isko Aabo Taab Se Aatash Safar Ki Hai |
Jannat Me Aa Ke Naar Me Jaata Nahi Koi Shukre Khuda Naweed Najaato Zafar Ki Hai |
Mo’min Hu Mo’mino Pe Rauf Ur Raheem Ho Sa-Il Hu Sa-Ilo Ko Khushi La-Nahar Ki Hai |
Daaman Ka Waasta Mujhe Is Dhup Se Bacha Mujhko To Shaak Jaado Me Us Duphar Ki Hai |
Maa Dono Bhai Bete Bhateeje Azeez Dost Sab Tujhko Soupe Milk Hi Sab Tere Ghar Ki Hai |
Jin Jin Muraado Ke Liye Ahbaab Ne Kaha Peshe Khabeer Kya Mujhe Haajat Khabar Ki Hai |
Fazle Khuda Se Ghaib E Shahadat Hua Unhe Iss Par Shahadat Aayato Wahiyo Asar Ki Hai |
Kahna Na Kahne Wale The Jab Se Tu Ittela’a Maula Ko Qoulo Qailo Har Khusko Tar Ki Hai |
Unn Par Kitaab Utri Bayaanul Li-Kulli Shay Tafseel Jisme Abaro Ma Gabar Ki Hai |
Aage Rahi Ataa Wo Baqadre Talab To Kya Aadat Yaha Ummeed Se Bhi Beshtar Ki Hai |
Be Maange Dene Wale Ki Ne’amat Me Gark Hai Maange Se Jo Mile Kise Faham Is Kadar Ki Hai |
Ahbaab Iss Se Badh Ke To Shayad Na Paaye Arz Na Karda Arz Arz Ye Tarze Digar Ki Hai |
Dandaa(N) Ki Naat Khwa Hu Na Payab Hogi Aab Naddi Gale-Gale Mere Aabe Guhar Ki Hai |
Dashte Haram Me Rehne De Sayyad Agar Tujhe Mitti Azeez Bulbule Be-Baalo Par Ki Hai |
Ya Rabb Raza Na Ahmade Parina Hoke Jaay Ye Bargah Tere Habeebe Abarar Ki Hai |
Taufeeq De Ki Aage Na Paida Ho Khu-E Badd Tabdeel Kar Jo Khaslate Badd Peshtar Ki Hai |
Aa Kuch Suna De Ishq Ke Bolo(N) Me Ay Raza Mushtaq Tab-A Lazzate Soze Jigar Ki Hai |
Woh Sarwar E Kishwar E Risalat Jo Arsh Par Jalwa Gar Huye The |
Woh Sarwar E Kishwar E Risalat Jo Arsh Par Jalwa Gar Huye The |
Nee Nirale Tarab Ke Saaman Arab Ke Mehman Ke Liye The |
Bahar Hai Shadiyan Mubarak Chaman Ko Aabadiyan Mubarak |
Malak Falak Apni Apni Le Main Yeh Ghar Ana Dil Ka Bolte The |
Wahan Falak Per Yahan Zameen Main Rachi Thi Shaadi Machi Thi Dhoomein |
Udhar Se Anwar Haste Aate Idhar Se Naf-Haat Ooth Rahe They |
Yeh Joot Padti Thi Unke Rukh Ki Ke Arsh Tak Chandni Thi Chhatki |
Woh Raat Kya Jagmaga Rahi Thi Jagah Jagah Nasb Aaine They |
Nei Dulhan Ki Phaban Main Kaaba Nikhar Ke Sanwara Sanwar Ke Nikhra |
Hajar Key Sadqe Kamar Key Eik Til Main Rang Lakhoon Banao Key They |
Nazar Main Dulha Key Pyare Jalwe Hea Se Mehrab Sir Jhukee |
Siyah Parde Ke Moun Per Aanchal Tajaliye Zaat E Bahat Se The |
Khushi Ke Badal Umand Ke Aee Diloon Ke Taoos Rang Lee |
Woh Naghma E Naat Ka Samaan Tha Haram Ko Khud Wajd Aa Rahe The |
Yeh Jhooma Mizab E Zar Ka Jhoomer Ke Aa Raha Kaan Per Dhalak Ker |
Phuhar Barsi To Moti Jhar Ker Hatim Ki Gaud Mein Bhare They |
Dulhan Ki Khushboo Se Mast Kapre Nasim E Gustakh Aanchloon Se |
Gilaf E Mushkeen Jo Oord Raha Tha Ghazal Naafe Basaa Rahe The |
Pahadiyoon Ka Woh Husn E Taz’ee Woh Oonchi Choti Woh Nazo Tamqeen |
Saba Se Sabzah Main Lehrein Aateen Dupatte Dhani Chune Huye The |
Naha Ke Nehroon Ne Woh Chamakta Libas Aabe Rawan Ka Pehna |
Ki Mauj E Chadiyaan Thi Dhaar Lachka Habab E Tabaan Ke Thal Take The |
Purana Purdag Malgaja Tha Utha Diya Farsh Chandni Ka |
Hajoom E Tare Nigah Se Kosoon Qadam Qadam Farsh Baadley The |
Ghubar Ban Ker Nisaar Jeein Kahan Ab Uss Rah Guzar Ko Peein |
Hamare Dil Huriyoon Ki Aankhein Farishtoon Ke Per Jahan Biche The |
Khuda Hee De Sabr Jaan E Purgham Dikhaoon Kyun Kar Tujhe Woh A’alam |
Jab Unko Jhurmat Main Lake Qudsi Jinaa Ka Dulha Bana Rahe The |
Utar Ker Unke Rukh Ka Sadqa Yeh Noor Ka But Raha Tha Bada |
Ke Chand Suraj Machal Machal Ker Jabeen Ki Khairat Mangte The |
Wohi To Ab Tak Chalak Raha Hai Wohi To Joban Tapak Raha Hai |
Nahane Me Jo Gira Tha Pani Katore Taroon Ne Bhar Liye The |
Bacha Jo Talwoon Ka Unke Dhouwan Bana Woh Jannat Ka Rang O Roghan |
Jinhoon Ne Dulha Ki Pei Utran Woh Phool Gulzar E Noor Ke The |
Khabar Yeh Tehweele Maher Ki Thi Ke Rut Sunhani Ghadi Phire Gee |
Wahan Ki Poshak Ze-Be Tan Ki Yahan Ka Joda Badha Chuke The |
Tajaliy E Haq Ka Sehra Sar Per Salat O Tasleem Ki Nichawar |
Do Roya Qudsi Pare Jama Kar Kharhe Salami Ke Waaste The |
Jo Hum Bhi Waan Hote Khaq E Gulshan Lipat Ke Qadmoon Se Ley Te Utran |
Magar Karein Kiya Naseeb Main To Yeh Namuradi Ke Din Likhe The |
Abhi Na Aee The Pusht E Zeen Tak Ke Sir Hui Maghfirat Ki Shallak |
Sada Shafa’at Ne Di Mubarak! Gunaah Mastana Jhoomte The |
Ajab Na Tha Rakhsh Ka Chamakna Gazal E Dam Khurdasa Bhadakna |
Shuaein Bukke Urha Rahi Theen Tadapte Ankhoon Pe Saieqe The |
Hujum E Umeed Hai Ghatao Muradein De Kar Inhein Hatao |
Adab Ki Baagein Liye Badhao Malaika Me Yeh Ghal Ghale The |
Uthi Jo Garde Rahe Munawar Woh Noor Barsa Ke Raaste Bhar |
Ghire The Badal Bhare The Jal Thal Umand Ke Jangle Ubal Rahe The |
Sitam Kiya Kaisi Mat Kathi Thi Qamar Woh Khak Unke Rah Guzar Ki |
Utha Na Lea Ke Milte Milte Ye Daagh Sab Dekhte Mite They |
Burraq Ke Naqshe Sum Ke Sadqe Woh Gul Khilee Ke Sare Rastey |
Mehakte Gulban Mehakte Gulshan Hare Bhare Lahlaha Rahe The |
Namaz E Aqsa Main Tha Yehi Seer Ean Houn Ma’ani E Awwal Akhir |
Key Dast Basta Hain Pichey Hazir Jo Salatanat Aage Kar Gee The |
Yeh Unki Aamad Ka Dab-Daba Tha Nikhar Her Shaiy Ka Ho Raha Tha |
Nujoom O Aflak Jam O Mina Ujalte The Khangaltey They |
Naqab Ulte Woh Mehr E Anwar Jalal O Rukhsar Garmiyoon Per |
Falak Ko Hebat Se Tap Charhi Thi Tapakte Anjum Ke Aable Tha |
Yeh Joshishe Noor Ka Asar Tha Key Aabe Gohar Qamar Qamar Tha |
Safaey Rah Se Phisal Phisal Kar Sitare Qadmon Pe Laut’te The |
Badha Ye Lehra Ke Behr O Wahdat Key Dhul Gea Naam E Raige Kasrat |
Falak Key Teloon Ki Kiya Haqeeqat Yeh Arsh O Kursi Do Bulbule The |
Woh Zill E Rehmat Woh Rukh Key Jalwe Ke Taare Chupte Na Khilne Paate |
Sunehri Zarbaft Udi Atlas Yeh Than Sab Dhoop Chaoon Ke The |
Chala Woh Serve E Chamaan Kharamaa Na Ruk Saka Sidra Se Damaan |
Palak Jhapakti Rahi Woh Kab Ke Sab Aeno Aan Se Guzar Chuke The |
Jhalak See Eik Qudsiyoon Per Aei Hawwaa Bhi Daman Ki Phir Na Pei |
Sawari Dulha Ki Dur Pohnchi Barat Main Hosh Hi Gee The |
Thake The Ruhul Amin Key Bazu Chuta Woh Daman Kahan Woh Pehloo |
Rikab Chooti Ummeed Tuti Nigah E Hasrat Key Walwaley The |
Ravish Ki Garmi Ko Jis Ney Socha Dimag Se Eik Bhabuka Phoota |
Khirad Key Jungle Main Phool Chumka Dahar Dahar Ped Jal Rahe The |
Jiloo Main Jo Murge A’qal Ure The Ajab Boore Haloon Girte Parte |
Woh Sidrah Hee Per’rahe The Thak Kar Charha Dam Tewar Aa Gee The |
Qavi They Nurgan E Waham Ke Per Ure To Urdne Ko Aur Dam Bhar |
Utha’ee Seene Ki Aisi Thokar Ke Khoone Andesha Th’oo’kte The |
Suna Yeh Itne Mein Arsh E Haq Ne Ke Le Mubarak Ho Taaj Waley |
Wohi Qadam Khair Se Phir Aee Jo Pehle Taaj E Sharaaf Tere The |
Yeh Sunke Be Khud Pukar Utha Nisar Jaoon Kahan Hain Aaqa |
Phir Unke Talwoon Ka Paoon Bosa Yeh Meri Aankhon Ke Din Phire The |
Jhuka Tha Mujre Ko Arsh E Aala Gire They Sajde Me Bazme Bala |
Yeh Aankhein Qadmoon Se Mal Raha Tha Woh Girde Qurbaan Ho Rahe The |
Ziyaein Kuch Arsh Per Yeh Aaein Ke Sari Qindileen Jhilmileeen |
Huzoor E Khurshid Kya Chamakte Chairagh Moun Apna Dekh Te The |
Yehi Sam’an Tha Ke Paike Rehmat Khabar Yeh Lea Ke Chaliye Hazrat |
Tumhari Khatir Kushada Hain Woh Jo Kalim Per Band Rastae The |
Badh E Muhammad Qaree Ho Ahmed Qareeb Aa Sarwar E Mumajjad |
Nisar Jaoon Yeh Kiya Nida Thi Yeh Kiya Samaan Tha Yeh Kiya Maze The |
Tabarakallah Shan Teri Tujhi Ko Zaiba Hai Be Niyazi |
Kahin To Woh Josh E Lan-Tarani Kaheen Takaze Visal Ke The |
Khirad Se Keh Do Ke Sir Jhuka Le Gumaan Se Guzre Guzarne Wale |
Pare Hain Yahan Khud Jaihat Ko Laale Kise Batee Kidhar Gee The |
Surag Aino Mataa Kahaan Tha Nishan E Kaifo Illa Kahan Tha |
Na Koi Rahi Na Koi Sathi Naa Sang E Manzil Naa Merhale The |
Udar Se Peham Taqaze Aana Idhar Se Mushkil Qadam Barhana |
Jalal O Haibat Ka Saamna Tha Jamalo Rehmat Ubharte The |
Barhe To Lekin Jhee-Jhakte Darte Hea Se Jhukte Adab Se Rukte |
Jo Qurb Unhi Ki Ravish Pe Rakhte To Lakhoon Manzil Ke Fasile The |
Per Unka Barhna To Naam Ko Tha Haqeeq’tan Fail Tha Udhar Ka |
Tanazuloon Mein Taraki Afza Dana Tadalla Key Silsile The |
Hua Yeh Aakhir Ke Aik Bajra Tamoje Bahrey Hoo Mein Ubhra |
Dana Ki Godi Mein Unko Lekar Fana Ke Langar Utha Diye The |
Kise Mile Ghat Ka Kinara Kither Se Guzra Kahan Utra |
Bhara Jo Misle Nazar Tarara Woh Apni Aankhoon Se Khud Chupe The |
Uthe Jo Qasre Dana Ke Parde Koi Khabar Dey To Kiya Khabar De |
Wahan To Ja Hee Nahin Duee Ki Na Keh Ke Woh Bhi Na The Are The |
Woh Baag Kuch Aisa Rang Lea Ke Guncha O Gul Ka Faraq Uthea |
Girah Mein Kal’liyoon Ki Baag Phoole Guloon Ke Takme Lage Hue The |
Muhito Markaz Mein Faraq Mushkil Rahe Na Faasil Khutoot E Wasil |
Kamaan E Hairat Mein Sir Jhukee Ajeeb Chakar Mein Da’ere The |
Hijab Uhne Mein Lakhoon Parde Har Aik Parde Main Lakhon Jalwe |
Ajab Ghari Thi Ke Waslo Furqat Janam Ke Bichre Gale Mile The |
Zabanein Sukhi Dikha Ke Mojein Tarap Rahi Thien Ke Pani Paein |
Bhanwar Ko Yeh Zofe Tashnagi That Ke Halqe Aankhoon Mein Par Gee The |
Wohi Hai Awwal Wohi Hai Aakhir Wohi Hai Batin Wohi Hai Zahir |
Usi Ke Jalwe Usi Se Milne Usi Se Uski Taraf Gee The |
Kaman E Imakan Ke Jhute Nukto Tum Awwal Akhir Ki Phair Mein Ho |
Muhit Ki Chal Se To Pucho Kidhar Se Aee Kidhar Gee The |
Udhar Se Theen Nazre Shah Namaz’ain Idhar Se Inaam E Khusravi Mein |
Salam O Rehmat Ke Haar Gundh Ker Glue E Pur Noor Mein Pare The |
Zabaan Ko Intezar Guftan To Gos Ko Hasrat E Shunidan |
Yahan Jo Kehna Tha Keh Liya Tha Jo Baat Sun’ni Thi Sun Chuke The |
Woh Burj E Batha Ka Mahpara Bahishat Ki Sair Ko Sidhara |
Chamak Pe Tha Khuld Ka Sitara Ke Iss Qamar Ke Qadam Gee The |
Suroor E Maqdam Ki Roshni Thi Ke Tabishoon Se Mah E Arab Ki |
Jina Ke Gulshan The Jhaar Farshi Jo Phool The Sab Kanwal Bane The |
Tarab Ki Nazish Ke Haan Lachakiye Adab Woh Bandish Ke Hill Na Sakiye |
Yeh Josh E Ziden Tha Keh Pode Kasha Kish E Arah Ke Tale The |
Khuda Ki Qudrat Keh Chand Haq Ke Karoroon Manzil Mein Jalwa Kar Ke |
Abhi Na Taroon Ki Chaoon Badli Keh Noor Ke Tarke Aa Liye The |
Nabi E Rehmat Shafi E Ummat Raza Pe Lillah Ho Ineat |
Ise Bhi Unn Khal’atoon Se Hisa Jo Khas Rehmat Ke Waan Bate The |
Sana E Sarkar Hai Wazifa Qabool E Sarkar Hai Taman’na |
Na Sheari Ki Hawas Na Parwah Radi Thi Kiya Kaise Kafiye The |