KANKAR SE KALMA PADHWAO PHIR KEHNA HUM JAISE THE NAAT LYRICS

KANKAR SE KALMA PADHWAO PHIR KEHNA HUM JAISE THE NAAT LYRICS
Kankar Se Kalma Padhwao Phir Kehna Hum Jaise The
Doobey Suraj Ko Lautao Phir Kehna Hum Jaise The

Tum Bhi Zara Meraj Ko Jao Phir Kehna Hum Jaise The
Jao Namaze Lekar Aao Phir Kehna Hum Jaise The

Lohe Se Talwar Banana Aam Hai Duniya Main Lekin
Tehni Ko Talwar Banao Phir Kehna Hum Jaise The

Peshani Par Daagh Banana Koi Mushkil Kaam Nahi
Nakshe Qadam Pathar Par Banao Phir Kehna Hum Jaise The

Bamo Daro Dewar Salami Dene Lage Kuch Aisa Karo
Ped Ko Apne Paas Bulao Phir Kehna Hum Jaise The

Uper Jaana Neeche Aana Ye To Bashar Ki Taaqat Hai
Sayr E Jannat Kar Ke Dikhao Phir Kehna Hum Jaise The

Sarwar E Dee Ki Baat Badi Hai Chodon In Sab Baaton Ko
Unke Ghulamon Se Banjao Phir Kehna Hum Jaise The

Unki Har Ik Ungli Se Tha Jaari Chasma Ay Kaleem
Pani Un Pyason Ko Pilao Phir Kehna Hum Jaise The

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...3,191 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...948 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...936 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...651 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...614 views

Leave a Comment