कर्बला की है याद आई / KARBALA KI HAI YAAD AAYI AB AASHK BAHAANE DO NAAT LYRICS

कर्बला की है याद आई
अब अश्क बहाने दो
सोए हुए पहलू में
सब दर्द जगाने दो

सुग़रा से कहा शाह ने
मत रोको मुझे बेटी
दीन लुटता है नाना का
सर दे के बचाने दो

अकबर की शहादत पर
सकीना से कहा शाह ने
अरमान का ये लाशा
मुझ को ही लुटाने दो

क़ुरआन मेरा दिल है
क़ुरआन की मैं जान हूँ
क़ुरआन को नेज़े पर
क़ुरआन सुनाने दो

फ़ातिमा-तुज़-ज़हरा का है
दूध पिया मैं ने
इस दूध की करबल में
अब लाज निभाने दो

 

Karbala Ki Hai Yaad Aayi
Ab Aashk Bahaane Do
Soye Huwe Pehlu Mein
Sab Dard Jagaane Do

Sughra Se Kahaa Shaah Ne
Mat Roko Mujhe Beti
Deen Lut-ta Hai Naana Ka
Sar De Ke Bachaane Do

Akbar Ki Shahadat Par
Sakeena Se Kaha Shaah Ne
Armaan Ka Ye Lashaa
Mujh Ko Hi Lutane Do

Qur’aan Mera Dil Hai
Qur’aan Ki Mein Jaan Hoon
Qur’an Ko Neze Par
Qur’aan Sunaane Do

Fatimatuz Zahra Ka Hai
Doodh Piya Mein Ne
Is Doodh Ki Karbal Mein
Ab Laaj Nibhaane Do

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,977 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,906 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,896 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,499 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,986 views

Leave a Comment