KARAM JO AAPKA AY SAYYAD E ABRAR HO JAYE NAAT LYRICS

KARAM JO AAPKA AY SAYYAD E ABRAR HO JAYE NAAT LYRICS

 

Karam Jo Aapka Ay Sayyad E Abrar Ho Jaye
To Har Badkaar Banda Damme Nekokaar Ho Jaye

Jo Mo’min Dekhe Tumko Mahram E Asraar Ho Jaye
Jo Kafir Dekhle Tumko Wo Deendaar Ho Jaye

Jo Sar Rakhde Tumhare Qadam Pe Sardaar Ho Jaye
Jo Tumse Sar Koi Fere Zaleelo Khaar Ho Jaye

Talatum Kaise Bhi Kuch Ho Magar Ay Na Khuda E Man
Ishara Aap Farmaye To Beda Paar Ho Jaye

Inayat Se Mere Sar Par Agar Wo Kafshe Paa Rakh De
Ye Banda Taajdaaro Ka Bhi To Sardaar Ho Jaye

Tumhare Faiz Se Lathi Misaale Sham’a Roushan Ho
Jo Tum Lakdi Ko Chaho Tej Talwaar Ho Jaye

Gunah Kitne Hi Aur Kaise Hi Ho Par Rehmate Aalam
Shafa’at Aap Farmaye To Beda Paar Ho Jaye

Bharam Reh Jaye Mehshar Me Na Palla Halka Ho Apna
Ilahi Mere Palle Par Mere Ghum Khwar Ho Jaye

Tumhare Hukm Ka Bandha Hua Suraj Phire Ulta
Jo Tum Chaho Ke Shab Din Ho Abhi Sarkaar Ho Jaye

Kawafi Aur Mazami Achhe Achhe Hai Abhi Baaki
Magar Bas Bhi Karo Noori Na Parhna Baar Ho Jaye

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,167 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,593 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,046 views

Leave a Comment