Zameen Maili Nahi Hoti Naat Lyrics
Zameen Meli Nahi Hoti Zaman Mela Nahi Hota
Mohammad Kay Ghulamo Ka Kafan Mela Nahi Hota
Mohabbat Kamli Wale Say Wo Jazba Hai Suno Logo
Yai Jis Man Mai Sama Jaye Wo Man Mela Nahi Hota
Mohammad Kay Ghulamo Ka Kafan Mela Nahi Hota
Nabi Ke Pak Langer Pe Jo Palty Hain Kabhi Unki
Zaban Meli Nahi Hoti Sokhan Mela Nahi Hota
Mohammad Kay Ghulamo Ka Kafan Mela Nahi Hota
Mery Aaqa Ki Ulfat To Baddan Ko Jagmagati Hai
Kabhi Ahh-Le-Mohammad (SAW) Ka Baddan Mela Nahi Hot
Mohammad Kay Ghulamo Ka Kafan Mela Nahi Hota
Guloon Ko Choom Letain Hain Sehar Num Shabnami Qatre
Nabi Ki Naat Sun Lain To Chaman Mela Nahi Hota
Mohammad Kay Ghulamo Ka Kafan Mela Nahi Hota
Jo Name-E-Mustafa Choomey Nahi Dukhti Kabhi Ankhain
Pehen Ley Payar Jo Unka Baddan Mela Nahi Hota
Mohammad Kay Ghulamo Ka Kafan Mela Nahi Hota
Main Nazaan To Nahi Fun Per Magar Nasir Ya Dawa Hey
Sana-E-Mustafa Karney Sey Fun Mela Nahi Hota
Mohammad Kay Ghulamo Ka Kafan Mela Nahi Hota
Zameen Meli Nahi Hoti Zaman Mela Nahi Hota
Mohammad Kay Ghulamo Ka Kafan Mela Nahi Hota
زمیں میلی نہیں ہوتی زمن میلا
زمیں میلی نہیں ہوتی زمن میلا نہیں ہوتا
محمد کے غلاموں کا کفن میلا نہیں ہوتا
محبت کملی والے سے وہ جذبہ ہے سنو لوگوں
وہ جس من میں سماجائے وہ من میلا نہیں ہوتا
گلوں کو چوم لیتے ہیں سحر نم شب نمی قطرے
نبی کی نعت سُن لیں تو چمن میلا نہیں ہوتا
جو نامِ مصطفی چومیں نہیں دکھتی کبھی آنکھیں
پہن لے پیار جو اُن کا بدن میلا نہیں ہوتا
نبی کا دامنِ رحمت پکڑلو اے جہاں والو
رہے جب تک یہ ہاتھوں میں چلن میلا نہیں ہوتا
میں نازاں تو نہیں فن پر مگر ناصر یہ دعویٰ ہے
ثنائے مصطفی کرنے سے فن میلا نہیں ہوتا
*ᐗ──────────────ᐓ*
_*💎❣👉🏼“Atiyya Oufi Se Riwayat Hai, Woh Kahte Hain Ki Mein Ne Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Puchha :*_
_*💎❣👉🏼Mera Aik Daamaad Hai Jo Ghadir Khum Ke Din Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Kee Shaan Me Aap Kee Riwayat Se Hadith Bayan Karta Hai. Mein Chaahta Hoo’n Ki Use Aap Se (Baraahe Raast) Sunu. Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Kaha :*_
_*💎❣👉🏼Aap Ahl-E-Iraq Hain Tumhari Aadatein Tumhein Salaamat Rahein. Pas Mein Ne Kaha Ki Meri Taraf Se Tumhein Koi Aziyyat Nahin Pahunchegi.*_
_*💎❣👉🏼(Us Par) Unhone Kaha : Hum Juhfa Ke Maqaam Par They Ki Zuhar Ke Waqt Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ka Baazoo Thaamein Huwe Baahar Tashrif Laaye.*_
_*🌹🌿Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :👇*_
_*💎❣👉🏼“Aye Logn! Kya Tumhein Elm Nahin Ki Mein Mominin Kee Jaanon Se Bhi Qarib Tar Hoo’n? To Unhone Kaha : Kyoo’n Nahin! To Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :👇*_
_*🌹♻“Jis Ka Mein Maula Hoo’n Us Ka Ali Maula Hai.”*_
_*💎❣👉🏼Atiyya Ne Kaha : Mein Ne Mazid Puchha : Kya Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Ye Bhi Irshad Farmaya :👇*_
_*💎❣👉🏼“Aye Allah! Jo Ali Ko Dost Rakhe Use Too Dost Rakh Aur Jo Is (Ali) Se Adaawat Rakhe Us Se Too Adaawat Rakh?” Zayd Bin Arqam Ne Kaha : Mein Ne Jo Kuchh Suna Tha Woh Tumhein Bayan Kar Diya.”*_
_*[ 📒Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 04/368,*_
_*💎❣Nasa’i Ne Ye Hadith Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Khsa’is Amir-ul-Mominin Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem (Safah,/97, Raqam-92)” Me Alfaaz Ke Ma’mooli Ikhtilaf Ke Saath Riwayat Kee Hai. Us Ke Baare Haythami Ne “Majma’-uz-Zwa’id (09/107)” Me Kaha Hai Ki Ise Bazzar Ne Riwayat Kiya Hai Aur Is Ke Rijaal Shiqa Hain.*_
_*💎❣👉��Maymoon Aboo Abdullah Bayan Karte Hain Ki Aik Shakhs Ne Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ke Baare Me Puchha To Unhone Ye Hadith Mubarak Bayan Kee…✍🏽*_
_*📕Hisam-ud-Din Hindi Ne Ye Hadith “Kanz-ul-Ummal (13/104, 105, Raqam-36342)” Me Bayan Kee Hai.]*_
*ᐗ──────────────ᐓ*
_*🔮🌹“Hazrat Jabir Bin Abdullah RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Riwayat Hai Ki Hum Juhfa Me Ghadir Khum Ke Maqaam Par They, Jab Rasool-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Baahar Tashrif Laaye, Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ka Haath Pakad Kar Farmaya :👇*_
🌻📃“Jis Ka Mein Maula Hoo’n Us Ka Ali Maula Hai.”📃🌻
_*[📒 Ibn Abi Shaybah, Al-Musannaf, 12/59, Raqam-12121,*_
_*📗Ibn Asakir, Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/169, 170, 172,*_
_*🔮🌹👉🏼Dhahabi, Ne “Siyar Aalam-un-Nubula’📚 (07/570, 571)” Me Ise Abdullah Bin Mohammad Bin Aaqil Se Riwayat Karte Huwe Matan Hadith Ko Mutwateer Qaraar Diya Hai.*_
_*🔮🌹👉🏼Riwayat Me Hain Ki Ali Bin Husain, Mohammad Bin Hanifa, Aboo Ja’far Aur Abdullah Bin Mohammad Bin Aaqil RadiyAllahu Ta’ala Anhum Aj’maeen Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Ghar Par They.*_
_*🔮🌹👉🏼Ibn Kathir Ne “Al-Bidayah Wan-Nihayah 📚(04/173)” Me Likha Hai Ki Hamare Shaikh Dhahabi Ne Is Riwayat Ko Hasan Qaraar Diya Hai.,,✍*_