Ho Karam Sarkar Naat Lyrics

हो करम सरकार अब तो हो गए ग़म बे-शुमार / Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Gham Beshumar
हो करम, सरकार ! अब तो हो गए ग़म बेशुमार
जान-ओ-दिल तुम पर फ़िदा, ऐ दो जहाँ के ताजदार !

मैं अकेला और मसाइल ज़िंदगी के बेशुमार
आप ही कुछ कीजिए ना, ऐ शह-ए-‘आली-वक़ार !

याद आता है तवाफ़-ए-ख़ाना-ए-का’बा मुझे
और लिपटना मुल्तज़म से वालिहाना बार-बार

संग-ए-अस्वद चूम कर मिलता मुझे कैफ़-ओ-सुरूर
चैन पाता देख कर दिल मुस्तजाब-ओ-मुस्तजार

या ख़ुदा ! दिखला हतीम-ए-पाक-ओ-मीज़ाब-ओ-मक़ाम
और सफ़ा-मरवा मुझे बहर-ए-रसूल-ए-ज़ी-वक़ार

जा रहा है क़ाफ़िला तयबा नगर रोता हुआ
मैं रहा जाता हूँ तन्हा, ऐ हबीब-ए-किर्दगार !

जल्द फिर तुम लो बुला और सब्ज़-गुंबद दो दिखा
हाज़िरी की आरज़ू ने कर दिया फिर बे-क़रार

चूम कर ख़ाक-ए-मदीना झूमता फिरता था मैं
याद आते हैं मदीने के मुझे लैल-ओ-नहार

गुंबद-ए-ख़ज़रा के जल्वे और वो इफ़्तारियाँ
याद आती है बहुत रमज़ान-ए-तयबा की बहार

या रसूलल्लाह ! सुन लीजे मेरी फ़रियाद को
कौन है जो कि सुने तेरे सिवा मेरी पुकार

हाल पर मेरे करम की इक नज़र फ़रमाइए
दिल मेरा ग़मगीन है, ऐ ग़म-ज़दों के ग़म-गुसार !

क़ाफ़िले वालो ! सुनो, याद आए तो मेरा सलाम
‘अर्ज़ करना रोते रोते हो सके तो बार-बार

ग़म-ज़दा यूँ ना हुआ होता ‘उबैद-ए-क़ादरी
इस बरस भी देखता गर सब्ज़-गुंबद की बहार


शायर:
ओवैस रज़ा क़ादरी

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी

 


ho karam, sarkaar ! ab to ho gae Gam be-shumaar
jaan-o-dil tum par fida, ai do jahaa.n ke taajdaar !

mai.n akela aur masaail zindagi ke be-shumaar
aap hi kuchh kijiye na, ai shah-e-‘aali-waqaar !

yaad aata hai tawaaf-e-KHaana-e-kaa’ba mujhe
aur lipaTna multzam se waalihaana baar-baar

sang-e-aswad choom kar milta mujhe kaif-o-suroor
chain paata dekh kar dil mustjaab-o-mustjaar

ya KHuda ! dikhla hateem-e-paak-o-meezaab-o-maqaam
aur safa-marwa mujhe bahr-e-rasool-e-zee-waqaar

jaa raha hai qaafila tayba nagar rota huaa
mai.n raha jaata hu.n tanha, ai habeeb-e-kirdgaar !

jald phir tum lo bula aur sabz-gumbad do dikha
haaziri ki aarzoo ne kar diya phir be-qaraar

choom kar KHaak-e-madina jhoomta phirta tha mai.n
yaad aate hai.n madine ke mujhe lail-o-nahaar

gumbad-e-KHazra ke jalwe aur wo iftaariyaa.n
yaad aati hai bahut ramzaan-e-tayba ki bahaar

ya rasoolallah ! sun leeje meri fariyaad ko
kaun hai jo ki sune tere siwa meri pukaar

haal par mere karam ki ik nazar farmaaiye
dil mera Gamgeen hai, ai Gamzado.n ke Gam-gusaar !

qaafile waalo ! suno, yaad aae to mera salaam
‘arz karna rote rote ho sake to baar-baar

Gamzada yu.n na huaa hota ‘Ubaid-e-Qadri
is baras bhi dekhta gar sabz-gumbad ki bahaar


Poet:
Owais Raza Qadri

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,627 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...4,022 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...3,008 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,772 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...2,645 views

Leave a Comment