AHLE SIRAT ROOH E AMIN KO KHABAR KAREN NAAT LYRICS

अहल-ए-सिरात रूह-ए-अमीं को ख़बर करें / Ahl-e-Sirat Rooh-e-Ameen Ko Khabar Karen
अहल-ए-सिरात रूह-ए-अमीं को ख़बर करें
जाती है उम्मत-ए-नबवी फ़र्श पर करें

इन फ़ितनाहा-ए-हश्र से कह दो हज़र करें
नाज़ों के पाले आते हैं रह से गुज़र करें

बद हैं तो आप के हैं, भले हैं तो आप के
टुकड़ों से तो यहाँ के पले रुख़ किधर करें

सरकार ! हम कमीनों के अतवार पर न जाएँ
आक़ा हुज़ूर ! अपने करम पर नज़र करें

उन की हरम के ख़ार कशीदा हैं किस लिए
आँखों में आएँ, सर पे रहें, दिल में घर करें

जालों पे जाल पड़ गए लिल्लाह वक़्त है
मुश्किल-कुशाई आप के नाख़ुन अगर करें

मंज़िल कड़ी है शान-ए-तबस्सुम करम करे
तारों की छाँव, नूर के तड़के सफ़र करें

किल्क-ए-रज़ा है ख़ंजर-ए-ख़ूँ-ख़्वार बर्क़-बार
आ’दा से कह दो ख़ैर मनाएँ न शर करें


शायर:
इमाम अहमद रज़ा ख़ान

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी

 


ahl-e-siraat rooh-e-amee.n ko KHabar kare.n
jaati hai ummat-e-nabawi farsh par kare.n

in fitnaahaa-e-hashr se keh do hazar kare.n
naazo.n ke paale aate hai.n rah se guzar kare.n

bad hai.n to aap ke hai.n, bhale hai.n to aap ke
Tuk.Do.n se to yahaa.n ke pale ruKH kidhar kare.n

sarkaar ! ham kameeno.n ke atwaar par na jaae.n
aaqa huzoor ! apne karam par nazar kare.n

un ki haram ke KHaar kasheeda hai.n kis liye
aankho.n me.n aae.n, sar pe rahe.n, dil me.n ghar kare.n

jaalo.n pe jaal pa.D gaye lillaah waqt hai
mushkil-kushaai aap ke naaKHun agar kare.n

manzil ka.Di hai shaan-e-tabassum karam kare
taaro.n ki chhaanw, noor ke ta.Dke safar kare.n

kilk-e-Raza hai KHanjar-e-KHoo.n-KHwaar barq-baar
aa’da se keh do KHair manaae.n na shar kare.n


Poet:
Imam Ahmad Raza Khan

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri

Popular Posts

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...759 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...600 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...433 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...365 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...322 views

Leave a Comment