Na Kaleem Ka Tasawwur Na Khiyaal-E-Tur-E-Sinaa Naat Lyrics

Na Kaleem Ka Tasawwur Na Khiyaal-E-Tur-E-Sinaa Naat Lyrics

 

Na Kaleem Ka Tasawwur Na Khiyaal-E-Tur-E-Sinaa
Meri Aarzu Muhammad Meri Justuju Madinah

Main Gadaae Mustafa Hun Meri Azmatein Nah Poocho
Mujhe Deykh Kar Jahannam Ko Bhi Aa Geya Paseenah

Mujhe Dushmano Nah Cherho Mera Koi Hai Jahaan Main
Main Abhi Pukaar Lun Ga Naheen Dur Hai Madinah

Main Mareez-E-Mustafa Hun Mujhe Cherho Nah Tabibo
Meri Zindagi Jo Chaaho Mujhe Le Chalo Madinah

Meray Dubne Main Baqi Nah Koi Kasar Rahi Thi
Kahaa “Almadad Muhammad” Tho Ubhar Geyaa Safinah

Siwaa Is Ke Meray Dil Mein Koi Aarzu Nahein Hai
Mujhe Mowt Bhi Jo Aaey Tho Ho Saamne Madinah

Kabhi Aey Shakeel Dil Se Nah Mite Khiyaal-E-Ahmad
Isi Arazu Mein Marna Isi Arazu Mein Jeena.

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,350 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...926 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...524 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...502 views

Leave a Comment