Naara e Takbeer Allaho Akbar Naat Lyrics

Naara e Takbeer Allaho Akbar Naat Lyrics

 

Baatil ke jab jab badle hai tevar
Aaya hai tab tab meri zaban par
Naara e takbeer allaho akbar

Pyaare nabi ne jina sikhaya
Bakhuda insan hum ko banaya
Pehnaya aklaq o iman ka zevar
Naara e takbeer allaho akbar

Khud bhi jiyo jinedo sabhiko
Iza na pahuchao khud se kisiko
Islam ka yahi darse munauwar
Naara e takbeer allaho akbar

Siddiq o faruq o usman o haidar
Ashabo azvajo shabbir o shabbar
In sab ka ehsan hum sab ke upar
Naara e takbeer allaho akbar

Baghdadi mehkhana chalta rahega
Ajmeri pyaala chalakta rahega
Noori miyan denge barkati sagar
Naara e takbeer allaho akbar

Mizan par aaqa hum ko bachaiyo
Daman me apne hum ko chupaiyo
Itna karam ya shafa e mehshar
Naara e takbeer allaho akbar

Rahe khuda me ghar ko lutaye
Deen e nabi pe sar ko kataye
Uqba ki daulat lute bhar bhar
Naara e takbeer allaho akbar

Sacche sada aqval hamare
Side sada aamal hamare
Tab hoga rab meherban hum par
Naara e takbeer allaho akbar

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,698 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...882 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...572 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...512 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...454 views

Leave a Comment