Har Dard Se Chhutkara Dila Dijiye Aaqa Naat Lyrics

Har Dard Se Chhutkara Dila Dijiye Aaqa Naat Lyrics

 

 

Har Dard Se Chhutkaara Dila Dijiye, Aaqa !
Mujh Ko Bhi Madine Me.N Bula Lijiye, Aaqa !

Wallah, ‘Umar Qatl Ki Niyyat Se Chale The
Dekha To Kaha Kalma Pa.Dha Dijiye, Aaqa !

Ye Kehne Lage Ro Ke Nabi Se ‘Ali Maula
Doobe Hue Sooraj Ko Phira Dijiye, Aaqa !

Ye Saanp Ne Ro Kar Ke Kaha Gaar Ke Andar
Mujh Ko Bhi Zara Chehra Dikha Dijiye, Aaqa !

Sarkaar Ka Dar Dekha To Phir Mere Raza Ne
Ye ‘Arz Kiya Parda Utha Dijiye, Aaqa !

Jo Bugz Rakhe Taaj-E-Sharee’at Se Hamaare
Us Shakhs Ko Mitti Me.N Mila Dijiye, Aaqa !

Bagdaad Ke Jo Kutte Hai.N Shero.N Se Bhi Ba.Dh Kar
Un Kutto.N Ka Kutta Hi Bana Dijiye, Aaqa !

Bad-Kaar Nikamma Hai Agar Noor ‘Ali To
Tayba Me.N Bula Kar Ke Saza Dijiye, Aaqa !

हर दर्द से छुटकारा दिला दीजिए, आक़ा !
मुझ को भी मदीने में बुला लीजिए, आक़ा !

वल्लाह, ‘उमर क़त्ल की निय्यत से चले थे
देखा तो कहा कलमा पढ़ा दीजिए, आक़ा !

ये कहने लगे रो के नबी से ‘अली मौला
डूबे हुए सूरज को फिरा दीजिए, आक़ा !

ये साँप ने रो कर के कहा ग़ार के अंदर
मुझ को भी ज़रा चेहरा दिखा दीजिए, आक़ा !

सरकार का दर देखा तो फिर मेरे रज़ा ने
ये ‘अर्ज़ किया पर्दा उठा दीजिए, आक़ा !

जो बुग़्ज़ रखे ताज-ए-शरी’अत से हमारे
उस शख़्स को मिट्टी में मिला दीजिए, आक़ा !

बग़दाद के जो कुत्ते हैं शेरों से भी बढ़ कर
उन कुत्तों का कुत्ता ही बना दीजिए, आक़ा !

बद-कार निकम्मा है अगर नूर ‘अली तो
तयबा में बुला कर के सज़ा दीजिए, आक़ा !

शायर:
नूर अली नूर कानपुरी

ना’त-ख़्वाँ:
नूर अली नूर कानपुरी

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...57 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...54 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...52 views
Mangte Khali Haath Na Laute LyricsMangte Khali Haath Na Laute Lyrics     Mangte Khali Haath Na...27 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...25 views

Leave a Comment