Aaqa Ke Ghulamo Ko Ab Eid Manane Do
Sarkaar Ki Aamad Hai Raaho Ko Sajane Do
Charcha Hai Yahi Har-su Kehte Hai Ye Har Koi
Tashreef Nabi Laye Mehfil Ko Sajane Do
Ghar Ghar Ye Charaga Hai Rehmat Ka Ujala Hai
Aaqa Ki Sana Karke Taqdeer Jagane Do
Khushiya Hai Sabhi Karte Sarkaar Ki Aamad Par
Ik Naat E Nabi Yaaro Mujhko Bhi Sunane Do
Payda Jo Huwey Sarwar Buth Khaaney Ke Buth Toote
Anwaar-e-ilahi Se Qismat Ko Jagaaney Do
Gowdi Main Aminah Key Woh Noor-e-mujasam Hai
Kehti Hain Halimah Bhi Qurbaan Ho Jaane Do
Hai Noor E Muhammad Ki Sab Roushni Duniya Me
Sab Kuch Hai Basheer Unka Sadqa To Lutane Do
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,375 views

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...818 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen ...528 views