ramadan hai allah ki qurbat ka mahina lyrics

Ramzaan hai Allah ki qurbat ka Mahina Lyrics in English ~ Hindi

Ramzaan hai Allah ki qurbat ka Mahina
Jismaani-o-Rohaani Ibaadat ka Mahina.

Ramzaan, Ramzaan, Ramadan, Ramdan, Ramdhan

Ramzan hai Islam ki azmat ki nishani
Ramzan hai Allah ki qurbat ki nishani

Rozay ka silah deta hai khud Khaliq e Akbar
Sa’im kay liye roza hai jannat ki nishani
Ramadan Hai Allah ki qurbat ka mahena
Ramadan, Ramzan, Ramazan, Ramadhan, Ramdan, Ramadaan.

Ho jata hai Shitan bhi paband e salasil
Hai jurm o khata say yeh bara’at ki nishani
Ik khas sila milta hai har achay amal ka
Yeh mah hai Rehman ki rehmat ki nishani.
Ramadan Hai Allah ki qurbat ka maheena
Ramadan, Ramzan, Ramazan, Ramadhan, Ramdan, Ramadaan.

Ik raat kay hai barah mahinoon say bhi afzal
Yani hai Shab e Qadr bhi azmat ki nishani
Ho jati hai paida dil e Muslim mein akhuwat
Ramzan to hai mehr o muhabbat ki nishani.
Ramzan Hai Allah ki qurbat ka maheena
Ramadan, Ramzan, Ramazan, Ramadhan, Ramdan, Ramadaan.

Popular Posts

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...782 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...709 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...437 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...387 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...342 views

Leave a Comment