चाहते आप तो ख़ुद दौड़ के आता पानी / Chahte Aap To Khud Daud Ke Aata Pani

चाहते आप तो ख़ुद दौड़ के आता पानी / Chahte Aap To Khud Daud Ke Aata Pani
चाहते आप तो ख़ुद दौड़ के आता पानी
या हुसैन ! आप की ठोकर से निकलता पानी

क्या थी औक़ात पिला देता जो दरिया पानी
मेरे ‘अब्बास ने दरिया को पिलाया पानी

एड़ियाँ अपनी ज़मीं पर जो रगड़ते असग़र
कर्बला ! तेरे सँभाले न सँभलता पानी

आसमाँ ! गर तुझे शब्बीर इशारा करते
दिल ये कहता है कि दिन-रात बरसता पानी

इतने तर-दस्त थे ‘अब्बास के दोनों बाज़ू
पड़ गया जिस के भी उस ने नहीं माँगा पानी

तुझ पे सौ जान है क़ुर्बान मेरी, ऐ असग़र !
तेरी हिम्मत ने यज़ीदों को पिलाया पानी

कौन कहता है कि पानी के थे प्यासे शब्बीर
सच तो ये है कि था शब्बीर का प्यासा पानी

या ‘अली शेर-ए-ख़ुदा ! आप के बेटे शब्बीर
हुक्म दे देते तो सूरज भी उगलता पानी

ना’त-ख़्वाँ:
ज़ैन-उल-आबिदीन कानपुरी

 

chaahte aap to KHud dau.D ke aata paani
ya husain ! aap ki Thokar se nikalta paani

kya thi auqaat pila deta jo dariya paani
mere ‘abbaas ne dariya ko pilaaya paani

e.Diyaa.n apni zamee.n par jo raga.Dte asGar
karbala ! tere sambhaale na sambhalta paani

aasmaa.n ! gar tujhe shabbir ishaara karte
dil ye kehta hai ki din-raat barsta paani

itne tar-dast the ‘abbaas ke dono.n baazu
pa.D gaya jis ke bhi us ne nahi.n maanga paani

tujh pe sau jaan hai qurbaan meri, ai asGar !
teri himmat ne yazeedo.n ko pilaaya paani

kaun kehta hai ki paani ke the pyaase shabbir
sach to ye hai ki tha shabbir ka pyaasa paani

ya ‘ali sher-e-KHuda ! aap ke beTe shabbir
hukm de dete to sooraj bhi ugalta paani

Naat-Khwaan:
Zainul Abedin Kanpuri

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,825 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...891 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...662 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...513 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...458 views

Leave a Comment