Aamad E Mustafa Se Hai Phoola Phala Chaman Chaman
Aayi Bahar Har Taraf Khilne Laga Chaman Chaman
Shadi Hai Har Makam Me Nakhl Me Sab Kiyam Hai
Daaliya Hai Salaam Me Sar Hai Jhuka Chaman Chaman
Thandi Hawaye Aati Hai Kaliya Bhi Muskurati Hai
Bul-Bule Cheh-Chahati Hai Khilne Laga Chaman Chaman
Jhoomte Hai Shajar Shajar Taaza Huwa Hai Phool Phool
Sabza Hui Ravish Ravish Ghul Se Bhara Chaman Chaman
Kaliya Tamaam Khil Gayi Shaakhe Khushi Se Hil Gayi
Bulbule Ghul Se Mil Gayi Hasne Laga Chaman Chaman
Naat Me Keelo-Kaal Ho Midhat E Zuljalaal Ho
Akbare Khush Makaal Ho Nagma-Sara Chaman Chaman
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,793 views

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics Naseebon Ko Jagaya...939 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...901 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...545 views