मेरी उल्फ़त मदीने से यूँ ही नहीं मेरे आक़ा का रौज़ा मदीने में है / Meri Ulfat Madine Se Yun Hi Nahin Mere Aaqa Ka Rauza Madine Mein Hai

मेरी उल्फ़त मदीने से यूँ ही नहीं मेरे आक़ा का रौज़ा मदीने में है / Meri Ulfat Madine Se Yun Hi Nahin Mere Aaqa Ka Rauza Madine Mein Hai
मेरी उल्फ़त मदीने से यूँ ही नहीं, मेरे आक़ा का रौज़ा मदीने में है
मैं मदीने की जानिब न कैसे खिंचूँ, मेरा दीन और दुनिया मदीने में है

मेरी उल्फ़त मदीने से यूँ ही नहीं, मेरे आक़ा का रौज़ा मदीने में है

‘अर्श-ए-आ’ज़म से जिस की बड़ी शान है, रौज़ा-ए-मुस्तफ़ा जिस की पहचान है
जिस का हम-पल्ला कोई मुहल्ला नहीं, एक ऐसा मुहल्ला मदीने में है

मेरी उल्फ़त मदीने से यूँ ही नहीं, मेरे आक़ा का रौज़ा मदीने में है

फिर मुझे मौत का कोई ख़तरा न हो, मौत क्या ज़िंदगी की भी परवा न हो
काश ! सरकार इक बार मुझ से कहें, अब तेरा जीना-मरना मदीने में है

मेरी उल्फ़त मदीने से यूँ ही नहीं, मेरे आक़ा का रौज़ा मदीने में है

सरवर-ए-दो-जहाँ से दु’आ है मेरी, हाँ ! ब-दो-चश्म-ए-तर इल्तिजा है मेरी
उन की फ़ेहरिस्त में मेरा भी नाम हो, जिन का रोज़ आना-जाना मदीने में है

मेरी उल्फ़त मदीने से यूँ ही नहीं, मेरे आक़ा का रौज़ा मदीने में है

जब नज़र सू-ए-तयबा रवाना हुई, साथ दिल भी गया, साथ जाँ भी गई
मैं, मुनीर ! अब रहूँगा यहाँ किस लिए ? मेरा सारा असासा मदीने में है

शायर:
मुनीर क़सूरी

ना’त-ख़्वाँ:
अल्लामा हाफ़िज़ बिलाल क़ादरी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
ज़ोहैब अशरफ़ी

 

meri ulfat madine se yu.n hi nahi.n
mere aaqa ka rauza madine me.n hai
mai.n madine ki jaanib na kaise khinchoo.n
mera deen aur duniya madine me.n hai

meri ulfat madine se yu.n hi nahi.n
mere aaqa ka rauza madine me.n hai

‘arsh-e-aa’zam se jis ki ba.Di shaan hai
rauza-e-mustafa jis ki pehchaan hai
jis ka ham-palla koi muhalla nahi.n
ek aisa muhalla madine me.n hai

meri ulfat madine se yu.n hi nahi.n
mere aaqa ka rauza madine me.n hai

phir mujhe maut ka koi KHatra na ho
maut kya zindagi ki bhi parwa na ho
kaash ! sarkaar ik baar mujh se kahe.n
ab tera jeena-marna madine me.n hai

meri ulfat madine se yu.n hi nahi.n
mere aaqa ka rauza madine me.n hai

sarwar-e-do-jahaa.n se du’aa hai meri
haa.n ! ba-do-chashm-e-tar iltija hai meri
un ki fehrist me.n mera bhi naam ho
jin ka roz aana-jaana madine me.n hai

meri ulfat madine se yu.n hi nahi.n
mere aaqa ka rauza madine me.n hai

jab nazar soo-e-tayba rawaana hui
saath dil bhi gaya, saath jaa.n bhi gai
mai.n, Muneer ! ab rahoonga yahaa.n kis liye ?
mera saara asaasa madine me.n hai

Poet:
Muneer Qasoori

Naat-Khwaan:
Allama Hafiz Bilal Qadri
Hafiz Tahir Qadri
Zohaib Ashrafi

Popular Posts

Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...16 views
नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया ! / Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai Be-Misaal Aaya, Kamaal Aaya !नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया !...15 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...11 views
Allah Badshah Maula Badshahअल्लाह बादशाह मौला बादशाह / Allah Badshah Maula Badshah या अल्लाहु !...6 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...6 views

Leave a Comment