baba mehfil sajaaye baithe hain lyrics

jo log gardish e dauran se maat khaate hain
fareed ud din hi unko gale lagaate hain
ata ho sadke e saabir ba haq e qutb uddin
faqeer aapke kabse sada lagaate hain

waliyon se saji dekhi baaraat hai baba ki
dulha bane hain baba kya baat hai baba ki

baba mehfil sajaaye baithe hain
aye sitaaron chalo salaam karo

aaj saabir bhi aaye baithe hain
gham ke maaron chalo salaam karo

anwaar baraste hain dil par
barish hai karam ki mehfil par
taiba se mere baba ke liye
sarkar e madina aaye hain

mere baba piya ke aangan mein
aaj phir chishtiya chaman waale
saari duniya bhulaaye baithe hain
aye bahaaron chalo salaam karo

dekhlo chaandni ki lehron pe
mere baba ki nau aayi hai
noor mein wo nahaaye baithe hain
aye kinaaron chalon salaam karo

kafila rok do zahoor yahin
hamsafar aaj mere baba hain
manzilein aaj lai baithe hain
raahguzaron chalo salaam karo

Popular Posts

Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...15 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...6 views
Allah Badshah Maula Badshahअल्लाह बादशाह मौला बादशाह / Allah Badshah Maula Badshah या अल्लाहु !...6 views
Dastan E Shujaat Ka Darain Main Noha LyricsDastane Shujaath Ka Darain Me – Akber Naqvi & Group (2019) Dastane...5 views
Hai Noori Paseene Ki Mahak Se Ye Chaman Phoolहै नूरी पसीने की महक से ये चमन फूल | सर-ता-ब-क़दम है...5 views

Leave a Comment