Mere Sarkar Sunte Hai Naat Lyrics

Mere Sarkar Sunte Hai Naat Lyrics
Mere Sarkar Sunte Hai

Jaha Bhi Ho Wahi Se Do Sada Sarkar Sunte Hai
Sare Aaina Sunte Hai Pase Deewar Sunte Hai

Mera Har Saas Unki Aahato Ke Saath Chalta Hai
Mere Dil Ke Dhadakne Ki Woh Raftar Sunte Hai

Gunahgaaro Duroode Waalihana Bhej Kar Dekho
Woh Apne Ummati Ka Nagmaye Kirdar Sunte Hai

Khade Rehte Hai Ahle Takht Bhi Dehleez Pe Unki
Fakeeron Ki Sadaye Bhi Shah E Abraar Sunte Hai

Main Sadqe Jaau Unki Rahmatullil Aalamini Ke
Pukaro Chahe Kitni Baar Woh Har Baar Sunte Hai

Woh Yu Milte Hai Jaise Zindagi Me Koi Milta Hai
Woh Sunte Hai Har Ek Ki Aur Saare Darbaar Sunte Hai

Muzaffar Jab Kisi Mehfil Me Unki Naat Padhta Hai
Mera Imaan Hai Woh Bhi Mere Ashaar Sunte Hai

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,764 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...4,039 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...3,022 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,810 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...2,777 views

Leave a Comment