Na Kaleem Ka Tasawwur Na Khiyaal-E-Tur-E-Sinaa Naat Lyrics
Na Kaleem Ka Tasawwur Na Khiyaal-E-Tur-E-Sinaa
Meri Aarzu Muhammad Meri Justuju Madinah
Main Gadaae Mustafa Hun Meri Azmatein Nah Poocho
Mujhe Deykh Kar Jahannam Ko Bhi Aa Geya Paseenah
Mujhe Dushmano Nah Cherho Mera Koi Hai Jahaan Main
Main Abhi Pukaar Lun Ga Naheen Dur Hai Madinah
Main Mareez-E-Mustafa Hun Mujhe Cherho Nah Tabibo
Meri Zindagi Jo Chaaho Mujhe Le Chalo Madinah
Meray Dubne Main Baqi Nah Koi Kasar Rahi Thi
Kahaa “Almadad Muhammad” Tho Ubhar Geyaa Safinah
Siwaa Is Ke Meray Dil Mein Koi Aarzu Nahein Hai
Mujhe Mowt Bhi Jo Aaey Tho Ho Saamne Madinah
Kabhi Aey Shakeel Dil Se Nah Mite Khiyaal-E-Ahmad
Isi Arazu Mein Marna Isi Arazu Mein Jeena.
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,350 views

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics Naseebon Ko Jagaya...926 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen ...524 views