ZIKR E KHAIRULWARA NAAT LYRICS

ZIKR E KHAIRULWARA NAAT LYRICS

 

Zikr e khairulwara bay khatar kijiay
Haan yahi kaam shaam o sahar kijiay

Chaahtay ho jo barsay karam ki ghattaa
Aap kay ghar bhi a-ayn habeeb e khuda
Naat say roashni apnay ghar kijiay

Gham milay ya kay haasil ho koii khushi
Lab pay jaari rahay ya nabi ya nabi
Iss taraah zindgaani basar kijiay

Har taraf say ghulaamon ki he yay sadaa
Almadad mustafa almadad mustafa
Sadqa hasnein ka ik nazar kijiay

Zindagi mayn hazaron safar kar liay
Dil nay chaaha na chaaha magar kar liay
Ab dar e mustafa ka safar kijiay

Chaahtay ho jo barsay karam ki gahattaa
Lab pay jaari rahay mustafa mustafa
Iss taraah zindgaani basar kijiay

Laakhon tufaan heyn laykin kinara nahiin
Or naasir ka koi sahara nahiin
Ik nazar ik nazar ik nazar kijiay

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,203 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,959 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,936 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,604 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,061 views

Leave a Comment