YEHI HUMNE SAMJHA YEHI HAI PADHA MOHAMMED SA KOI NAHI NAAT LYRICS

YEHI HUMNE SAMJHA YEHI HAI PADHA MOHAMMED SA KOI NAHI NAAT LYRICS

 

Yahi Humne Samjha Yahi Hai Padha
Muhammad Sa Koi Nahi
Hai Adam Ke Ankhon Ka Dekha Huwa
Muhammad Sa Koi Nahi

Zameen Apki Aasman Apka Hai
Mere Mustafa Do Jahan Apka Hai
Sitaron Ka Yeh Karwan Apka Hai
Chaman Apka Gulsitan Apka Hai
Zameen E Falak Se Yeh Jhuk Kar Kaha
Muhammad Sa Koi Nahi

Dahan Khoobsurat Zakhan Khoobsurat
Mere Mustafa Ka Badan Khoobsurat
Hai Jisme Hussain Aur Hasan Khoobsurat
Woh Mere Nabi Ka Chaman Khoobsurat
Hai Be Misl Noori Gharana Tera
Muhammad Sa Koi Nahi

Shah E Ambiya Ka Falak Par Woh Jaana
Huwi Mehve Sakit Fazayein Zamana
Woh Asra Ki Shab Ka Tha Manzar Suhana
Imam E Rusool Ka Musalle Pe Aana
Sabhi Mukhtadi Woh Huwe Mukhtada
Muhammad Sa Koi Nahi

Agar Mere Aaqa Inayaat Karenge
Hasi Sab Se Apni Ibaadat Karenge
Rukh e Mustafa Ki Tilawat Karenge
Tilawat Baraye Ziyarat Karenge
Asad Ki Zaban Par Ho Bas Yeh Sada
Muhammad Sa Koi Nahi

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,211 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,959 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,936 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,609 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,067 views

Leave a Comment