Hazrat Imam Hussain r.a. ki Karbala me aamad aur unki azeem-ush-shan qurbani par mabni yeh nihayat hi jazbaati manqabat dilon ko noor se bhar deti hai.
Is kalam me jahan Imam Hussain r.a. ki bahaduri aur unki haidari shaan ka zikr hai, wahan namaz ki azeem ehmiyat par bhi roshni dali gayi hai.
Aaiye is pyari manqabat ko padhein aur Shah-e-Karbala ki paakizah taleemat ko apne dilon me jagah dein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Zameen-e-Karbala Tujh Par Ali Ka Laal Aaya Hai |
| Poet / Writer | Traditional |
| Category | Manqabat-e-Imam Hussain |
| Naatkhawan / Reciter | Noor Ali Noor Kanpuri |
Naat Lyrics in Roman
zameen-e-karbala tujh par ‘ali ka laal aaya hai
dikhaane haidari tewar ‘ali ka laal aaya hai
agar tum be-namaazi ho, husaini ho nahi.n sakte
yahi sajde me.n batla kar ‘ali ka laal aaya hai
chale jab zulfiqaar-e-haidari maidaan me.n le kar
yazeedi bhaag uThe keh kar ‘ali ka laal aaya hai
nabi ke deen ki KHaatir madine se safar kar ke
luTaane ghar kaTaane sar ‘ali ka laal aaya hai
qadam un ke pa.De to yu.n laga haidar utar aae
zamee.n bhi kaanp uThi thar thar, ‘ali ka laal aaya hai
Naat-Khwaan:
Noor Ali Noor Kanpuri
Naat Lyrics in Hindi
ज़मीन-ए-कर्बला तुझ पर ‘अली का लाल आया है
दिखाने हैदरी तेवर ‘अली का लाल आया है
अगर तुम बे-नमाज़ी हो, हुसैनी हो नहीं सकते
यही सज्दे में बतला कर ‘अली का लाल आया है
चले जब ज़ुलफ़िक़ार-ए-हैदरी मैदान में ले कर
यज़ीदी भाग उठे कह कर ‘अली का लाल आया है
नबी के दीन की ख़ातिर मदीने से सफ़र कर के
लुटाने घर कटाने सर ‘अली का लाल आया है
क़दम उन के पड़े तो यूँ लगा हैदर उतर आए
ज़मीं भी काँप उठी थर थर, ‘अली का लाल आया है
ना’त-ख़्वाँ:
नूर अली नूर कानपुरी
Naat Lyrics in Urdu
زمینِ کربلا تجھ پر علی کا لال آیا ہے،
دکھانے حیدری تیور علی کا لال آیا ہے۔
اگر تم بے نمازی ہو، حسینی ہو نہیں سکتے،
یہی سجدے میں بتلا کر علی کا لال آیا ہے۔
چلے جب ذوالفقارِ حیدری میدان میں لے کر،
یزیدی بھاگ اُٹھے کہہ کر علی کا لال آیا ہے۔
نبی کے دین کی خاطر مدینے سے سفر کرکے،
لٹانے گھر، کٹانے سر علی کا لال آیا ہے۔
قدم ان کے پڑے تو یوں لگا حیدر اُتر آئے،
زمیں بھی کانپ اُٹھی تھر تھر، علی کا لال آیا ہے۔
نعت خواں:
نور علی نور کانپوری