Hazrat Imam Hussain alayhis salam ki azeem qurbani poori insaniyat aur deen e haq ke liye ek misali dars hai.
Yeh nihayat hi khubsoorat aur pur-asar manqabat ‘Qurban Khud Ko Kar Ke Musalla Bacha Liya’ Maula Hussain ki Karbala me sajda-rezi aur deen e Islam ki hifazat ko bayan karti hai.
Aaiye is pakiza kalam ko nihayat hi aqeedat, adab aur ehtiraam ke sath padhein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Qurban Khud Ko Kar Ke Musalla Bacha Liya |
| Poet / Writer | Rahi Bastavi |
| Category | Manqabat Lyrics |
| Naatkhawan / Reciter | Rahi Bastavi |
Naat Lyrics in Roman
qurbaan KHud ko kar ke musalla bacha liya
sar de diya husain ne, sajda bacha liya
deen-e-nabi bacha liya itna hi mat kahe.n
kahiye ‘ali ke laal ne kaa’ba bacha liya
roza, namaaz, deen-e-muhammad ki ‘azmate.n
tanha mere husain ne kya kya bacha liya
gir gir ke shah-sawaar ne nehr-e-furaat par
deen-e-rasool-e-paak ka jhanda bacha liya
Naat Lyrics in Hindi
क़ुर्बान ख़ुद को कर के मुसल्ला बचा लिया
सर दे दिया हुसैन ने, सज्दा बचा लिया
दीन-ए-नबी बचा लिया इतना ही मत कहें
कहिए ‘अली के लाल ने का’बा बचा लिया
रोज़ा, नमाज़, दीन-ए-मुहम्मद की ‘अज़मतें
तन्हा मेरे हुसैन ने क्या क्या बचा लिया
गिर गिर के शह-सवार ने नहर-ए-फ़ुरात पर
दीन-ए-रसूल-ए-पाक का झंडा बचा लिया
Naat Lyrics in Urdu
قربان خود کو کر کے مصلیٰ بچا لیا
سر دے دیا حسینؑ نے، سجدہ بچا لیا
دینِ نبیؐ بچا لیا اتنا ہی مت کہیں
کہیے علیؑ کے لال نے کعبہ بچا لیا
روزہ، نماز، دینِ محمدؐ کی عظمتیں
تنہا میرے حسینؑ نے کیا کیا بچا لیا
گر گر کے شہسوار نے نہرِ فرات پر
دینِ رسولِ پاکؐ کا جھنڈا بچا لیا