ये नाज़, ये अंदाज़, हमारे नहीं होते || Yeh Naaz Yeh Andaz Hamare Nahi Hote Naat Lyrics

Yeh Naaz Yeh Andaz Hamare Nahi Hote
Yeh Naaz Yeh Andaz Hamare Nahi Hote

Jholi Me Agar Tukre Tumhare Nahin Hote

Jab Tak Madine Se Ishare Nahi Hote

Raushan Kabhi Kismat Ke Sitare Nahi Hote

Be Daam Hi Bik Jaye Bazar E Nabi Me

Is Shaan Ke Saude Me Khasare Nahi Hote

Daamaan E Shafa’at Me Hame Kaun Chupata

Sarkaar Agar Aap Hamare Nahi Hote

Milti Na Agar Bhik Huzoor Aap Ke Dar Se

Is Thaath Se Mangto Ke Guzaare Nahi Hote

Yeh Nisbat E Sarkaar Ka Aijaaz Hai Warna

Toofaan Se Namoodaar Kinare Nahi Hote

Khalid Yeh Tasaduq Hai Faqat Naat Ka Warna

Mehshar Me Tere Waare Niyaare Nahi

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,167 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,593 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,046 views

Leave a Comment