क्या हुस्न-ए-इफ़्तेख़ार है याद-ए-हुसैन में | Kya Husne Ifteqar Hai Yaade Hussain Mein Manqabat Lyrics

क्या हुस्न-ए-इफ़्तेख़ार है याद-ए-हुसैन में
हर अश्क एक बहार है याद-ए-हुसैन में

दरबार-ए-मुस्तफ़ा की फ़ज़ीलत न पूछिए
इंसान का वक़ार है याद-ए-हुसैन में

हर अश्क कलमा पढ़ते हैं बर दीन-ए-मुस्तफ़ा
क्या हुस्न-ए-यादगार है याद-ए-हुसैन में

वल्लाह सर ब सर है वो ईमान का सुकून
जो क़ल्ब-ए-बेक़रार है याद-ए-हुसैन में

दिल ज़िंदगी में कैसे न हो ख़ुल्द आशियाँ
इस्लाम की बहार है याद-ए-हुसैन में

Kya Husne Ifteqaar Hai Yaade Hussain Mein
Har Ashq Ek Bahaar Hai Yaade Hussain Mein
Darbare Mustafa Ki Fazeelat Na Poochhiye
Insaan Ka Waqaar Hai Yaade Hussain Mein

Har Ashq Kalma Padhte Hain Bar Deene Mustafa
Kya Husne Yaadgaar Hai Yaade Hussain Mein

Wallah Sar Ba Sar Hai Wo Imaan Ka Sukoon
Jo Qalbe Beqaraar Hai Yaade Hussain Mein

Dil Zindagi Mein Kaise Na Ho Khuld Aashiyaan
Islam Ki Bahaar Hai Yaade Hussain Mein

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,601 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...4,021 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...3,004 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,762 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...2,619 views

Leave a Comment