Ya NABI Ya NABI mai jo kehta raha Naat Lyrics

Ya NABI Ya NABI mai jo kehta raha Naat Lyrics

 

Ya NABI Ya NABI mai jo kehta raha,
Noor se motiyoun ki ladi bangayi.

Aayatoun se milata raha aayatein
Phir jo dekha to Naat-e-NABI ban gayi…

Sunnatoun per amal jab se karne laga,
Door duniya ke fashion se hone laga…
Peer-o-murshid ki jab se nigah hai padhi,
Sab se achchi Meri Zindagi Ban gayi….

Koun hai jis ko Jannat ki khwaahish nahi..?
Aur Tasleem hai, ke hai kitni hasi….
Husn-e-Jannat ko jab bhi sameta gaya…
MUSTAFA ke shaher ki gali ban gayi….

Dekh kar RABB ke MEHBOOB ﷺ ke HUSN ko,
Wad-duha padh liya Wal Qamar keh diya…
Aayatoun ki tilawat bhi hoti rahi….
Naat bhi hogayi,, Baat bhi ban gayi..

Hum faqeeroun ko Aisa GHANI chahiye…
Bheek dey aur kahe “aur kya chahiye”…….
KOUN DETA HAI DENE KO MOOH CHAHIYE..
DENE WALA HAI SACHCHA HAMARA NABI ..

Mehfil-e-Naat me aaya jaaya karo……
Apna soya muqaddar jagaya karo..
Mehfil-e-Naat me aa ke baitha hai jo..
Unki bigdi howi baat bhi ban gayi..

Mujh pe itna KHUDA ka karam ho gaya…
Shaaq-e-Naql-e-Tamanna Hari ho gayi..
US Gharane Ka mai jab se noukar bana..
Sab se achchi meri Noukari ban gayi……….

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,352 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...525 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment