UNKI MAHAK NE DIL KE GUJNCHE KHILA DIYA HAI NAAT LYRICS

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain
उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं
जिस राह चल गए हैं कूचे बसा दिये हैं

जब आ गई हैं जोश-ए-रहमत पे उन की आँखें
जलते बुझा दिये हैं, रोते हँसा दिये हैं

इक दिल हमारा क्या है, आज़ार इस का कितना
तुम ने तो चलते फिरते मुर्दे जिला दिये हैं

उन के निसार कोई कैसे ही रंज में हो
जब याद आ गए हैं, सब ग़म भुला दिये हैं

हम से फ़क़ीर भी अब फेरी को उठते होंगे
अब तो ग़नी के दर पर बिस्तर जमा दिये हैं

असरा में गुज़रे जिस दम बेड़े पे क़ुदसियों के
होने लगी सलामी, परचम झुका दिये हैं

आने दो या डुबो दो अब तो तुम्हारी जानिब
कश्ती तुम्हीं पे छोड़ी लंगर उठा दिये हैं

दूल्हा से इतना कह दो, प्यारे ! सुवारी रोको
मुश्किल में हैं बराती, पुर-ख़ार बादिये हैं

अल्लाह क्या जहन्नम अब भी न सर्द होगा
रो रो के मुस्तफ़ा ने दरिया बहा दिये हैं

मेरे करीम से गर क़तरा किसी ने माँगा
दरिया बहा दिये हैं, दुर्र-बे-बहा दिये हैं

मुल्क-ए-सुख़न की शाही तुम को, रज़ा ! मुसल्लम
जिस सम्त आ गए हो सिक्के बिठा दिये हैं


शायर:
इमाम अहमद रज़ा ख़ान

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी

 


un ki mahak ne dil ke Gunche khila diye hai.n
jis raah chal gae hai.n kooche basa diye hai.n

jab aa gai hai.n josh-e-rahmat pe un ki aankhe.n
jalte bujha diye hai.n, rote hansa diye hai.n

ik dil hamaara kya hai, aazaar is ka kitna
tum ne to chalte phirte murde jila diye hai.n

un ke nisaar koi kaise hi ranj me.n ho
jab yaad aa gae hai.n, sab Gam bhula diye hai.n

ham se faqeer bhi ab pheri ko uThte honge
ab to Gani ke dar par bistar jama diye hai.n

asra me.n guzre jis dam be.De pe qudsiyo.n ke
hone lagi salaami, parcham jhuka diye hai.n

aane do ya Dubo do ab to tumhaari jaanib
kashti tumhi.n pe chho.Di langar uTha diye hai.n

dulha se itna keh do, pyaare ! suwaari roko
mushkil me.n hai.n baraati, pur-KHaar baadiye hai.n

allah kya jahannam ab bhi na sard hoga
ro ro ke mustafa ne dariya baha diye hai.n

mere kareem se gar qatra kisi ne maanga
dariya baha diye hai.n, durr-be-baha diye hai.n

mulk-e-suKHan ki shaahi tum ko, Raza ! musallam
jis samt aa gae ho sikke biTha diye hai.n


Poet:
Imam Ahmad Raza Khan

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,353 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...818 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...528 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment