Un Ki Bhi Shafaaat Mere Sarkaar Karenge Naat Lyrics

उन की भी शफ़ा’अत मेरे सरकार करेंगे / Un Ki Bhi Shafaa’at Mere Sarkaar Karenge
उन की भी शफ़ा’अत मेरे सरकार करेंगे
जो रौज़ा-ए-सरकार का दीदार करेंगे

मैं क़ब्र में कह दूँगा फ़रिश्तों से कि जाओ
अब जो भी करेंगे, मेरे सरकार करेंगे

बीमार हूँ मैं, ‘आबिद-ए-बीमार के दर का
और मेरी दवा ‘आबिद-ए-बीमार करेंगे

रमज़ान में हो जाए जो आक़ा का इशारा
हम लोग मदीने में ही इफ़्तार करेंगे

जब उम्मती रो रो के पुकारेंगे नबी को
सरकार कहाँ ऐसे में इंकार करेंगे !

जो ऊँगली उठाएगा बरेली के रज़ा पर
उस का तो इलाज अज़हरी सरकार करेंगे

अख़लाक़ की तलवार हमें दी है नबी ने
क्या ले के हम अब लोहे की तलवार करेंगे

घेरा है बलाओं ने मेरे घर को, मुझे भी
अब दूर इने सय्यिद-ए-सालार करेंगे

शादाब ! यही नात के अश’आर को पढ़ कर
घर अपने लिए ख़ुल्द में तैयार करेंगे

शायर:
शादाब रज़ा कानपुरी

नात-ख़्वाँ:
शादाब रज़ा कानपुरी

 

un ki bhi shafaa’at mere sarkaar karenge
jo rauza-e-sarkaar ka deedaar karenge

mai.n qabr me.n kah doonga farishto.n se ki jaao
ab jo bhi karenge, mere sarkaar karenge

beemaar hu.n mai.n, ‘aabid-e-beemaar ke dar ka
aur meri dawa ‘aabid-e-beemaar karenge

ramzaan me.n ho jaae jo aaqa ka ishaara
ham log madine me.n hi iftaar karenge

jab ummati ro ro ke pukaarenge nabi ko
sarkaar kahaa.n aise me.n inkaar karenge !

jo ungli uThaaega bareli ke raza par
us ka to ilaaj azhari sarkaar karenge

aKHlaaq ki talwaar hame.n di hai nabi ne
kya le ke ham ab lohe ki talwaar karenge

ghera hai balaao.n ne mere ghar ko, mujhe bhi
ab door ine sayyid-e-saalaar karenge

Shaadaab ! yahi naa’t ke ash’aar ko pa.Dh kar
ghar apne liye KHuld me.n taiyaar karenge

Poet:
Shadab Raza Kanpuri

Naat-Khwaan:
Shadab Raza Kanpuri

Popular Posts

Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...15 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...6 views
Allah Badshah Maula Badshahअल्लाह बादशाह मौला बादशाह / Allah Badshah Maula Badshah या अल्लाहु !...6 views
Hai Noori Paseene Ki Mahak Se Ye Chaman Phoolहै नूरी पसीने की महक से ये चमन फूल | सर-ता-ब-क़दम है...5 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...5 views

Leave a Comment