Un Ki Azmat Badi Ho Gai Un Ka Rutba Bada Ho Gaya Naat Lyrics

Un Ki Azmat Badi Ho Gai Un Ka Rutba Bada Ho Gaya Naat Lyrics

 

 

उन की अज़मत बड़ी हो गई उन का रुत्बा बड़ा हो गया / Un Ki Azmat Badi Ho Gai Un Ka Rutba Bada Ho Gaya

 

उन की ‘अज़मत बड़ी हो गई, उन का रुत्बा बड़ा हो गया
दिल से जो मुस्तफ़ा का हुआ, उस पे राज़ी ख़ुदा हो गया

कहते कहते नबी या नबी काट दी अपनी कुल ज़िंदगी
था अजब ‘आशिक़-ए-मुस्तफ़ा, नाम अहमद रज़ा हो गया

ज़ुल्म पर ज़ुल्म सहते रहे, खा के कोड़े भी हँसते रहे
था वो ‘इश्क़-ए-बिलाल-ए-हबश, मुस्तफ़ा पे फ़िदा हो गया

उन को भेजा था सरकार ने, दोनों ‘आलम के मुख़्तार ने
हिन्द का बादशाह देख लो, मेरा ख़्वाजा पिया हो गया

फ़ातिमा बी का वो नूर-ए-‘ऐन, कर्बला में है मेरा हुसैन
उन का सज्दा तो जारी रहा, जिस्म से सर जुदा हो गया

ना’त-ख़्वाँ:
शाहबाज़ रज़ा सिद्दीक़ी

 

un ki ‘azmat ba.Di ho gai, un ka rutba ba.Da ho gaya
dil se jo mustafa ka huaa, us pe raazi KHuda ho gaya

kehte kehte nabi ya nabi kaaT di apni kul zindagi
tha ajab ‘aashiq-e-mustafa, naam ahmad raza ho gaya

zulm par zulm sehte rahe, khaa ke ko.De bhi hanste rahe
tha wo ‘ishq-e-bilaal-e-habash, mustafa pe fida ho gaya

un ko bheja tha sarkaar ne, dono.n ‘aalam ke muKHtaar ne
hind ke baadshaah dekh lo, mera KHwaja piya ho gaya

faatima bi ka wo noor-e-‘ain, karbala me.n hai mera husain
un ka sajda to jaari raha, jism se sar juda ho gaya

Naat-Khwaan:
Shahbaz Raza Siddiqui

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,977 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,906 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,896 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,499 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,986 views

Leave a Comment