Taiba Ki Hai Yaad Aayi Ab Ashk Bahane Do
Taiba Ki Hai Yaad Aayi Ab Ashk Bahane Do
Mehboob Ne Aanaa Hai Rahoon Ko Sajane Do
Mushkil Ho Agar Mera Taiba Me Abhi Jana
Aye Baad E Saba Meri Aaho Ko Toh Jaane Do
Mai Teri Ziyaarat Ke Qaabil Toh Nahi Maana
Yaado Ko Shaha Apni Khaabon Me Toh Aane Do
Ashko Ki Larhi Ko Ab Tutane Mat Deyna
Aaqa Ke Liye Muj Koh Kuch Haar Banane Do
Jo Chaaho Saza Dena Mehboob Ke Darbaano
Ik Baar Toh Jaali Ko Seene Se Lagane Do
Mehboob Ke Qaabil Yeh Alfaaz Kaha Saaim
Ashkoon Ki Zubaan Se Ab Ik Naat Sunane Do
Lagta Nahi Dil Mera Ab In Weerano Me
Chota Sa Ghar Mujh Ko Taiba Me Banane Do
Roko Na Mujhe Ab To Dar E Yaar Ke Darbaano
Mehboob Ki Jaali Ko Seene Se Lagane Do

Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,353 views

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen ...528 views