Shukr Hai Tera Khudaya Main To Is Qabil Na Tha Lyrics

Shukar Hai Tera khudaya, mein to is qabil na tha
Shuker hei tera khudaaya, main tu iss kabil naa tha,

Tunay apnay ghar bulaya, mein to is qabil na tha
Tuney apney gher bulaya, main tu iss kabil naa tha.

Bha gaya meri zubaan ko zikr e Allah, Allah ka
Yeh sabaq kis nay parhaya, mein to is qabil na tha.

Khas apnay dar ka rakha, tuney aie moula mujhay
Youn nahi dar der phiraya, mein to is qabil na tha.

Meri kotai kay teri, yaad say ghafil raha
Per nahin tunay bhulaya, mein to is qabil na tha.

Shukar Hai Tera khudaya, mein to is qabil na tha….

Teri rehmat teri shafqat, say huwa mujhko naseeb
Gumbad e khazra ka saaya, mein to is qabil na tha.

Bargaye syed e konain mein aa ker nafees,
Sochta hoon kaisay aaya main to is qabil na tha.

Tunay apnay ghar bulaya, mein to is qabil na tha….

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,143 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,950 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,928 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,586 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,034 views

Leave a Comment