Dagh E Furqate Taiba Qalb Muzmahil Jata Lyrics | Barkate Raza

DAAG E FURQAT E TAIBA

Daag e Furqat e Taiba Qalb muzmahil jaata
Kaash Gumbad e Khazra dekhne ko mil jaata

Mera dum nikal jaata unke aastaane par
Un ke aastaane ki khaak meiñ maiñ mil jaata

Mere dil se dhul jaata daage Furqat e Taiba
Taiba meiñ fanaa hokar taiba meiñ hi mil jaata

Maut le ke aa jaati zindagi Madine meiñ
Maut se galey mil kar zindagi meiñ mil jaata

Khuld e zaar e Taiba ka is tarah safar hota
Peechhe Peechhe sar jaata aage aage dil jaata

Dil pe jab kiran padti un ke sabz gumbad ki
Us ki sabz rangat se baag ban ke khil jaata

Furqat e Madina ne wo diye mujhe sadme
Koh par agar padte koh bhi to hil jaata

Dil mera bichha hota un ki reh guzaaroñ meiñ
Un ke naqshe paa se yuñ mil ke mustaqil jaata

Dil pe wo qadam rakhte naqshe paa ye dil bantaa
Ya to khaake paa ban kar paa se muttasil jaata

Wo khiraam farmaate mere deeda o dil par
Deeda maiñ fida kartaa sadqe mera dil jaata

Chashme tar wahaañ behti dil ka mudd’aa kehti
Aah ba adab rehti muñh mera sil jaata

Dar pe dil jhuka hota izn paake phir badhta
Har gunah yaad aata dil khajil khajil jaata

Mere dil meiñ bas jaata jalwa zaar Taiba ka
Daag e Furqat e Taiba phool ban ke khil jaata

Un ke dar pe AKHTAR ki hasrateiñ huwiñ poori
Saail e dare aqdas kaise munfa’il jaata

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,121 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...911 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...775 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...520 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...476 views

Leave a Comment