SHAH-E-ARSH-E-AA’LA SALAAMUN ALAIKUM
Shah-e-‘Arsh-e-Aa’la Salaamun Alaikum
Habeeb-e-Khudaaya Salaamun Alaikum
Mere Maah-e-Taiba Salaamun Alaikum
Shahanshah-e-Bat’ha Salaamun Alaikum
Khabar Jin Ke Aane Ki Thi Mud’datoñ Se
Huwa Jalwa Farmaa Salaamun Alaikum
Jo Tashreef Laaye Wo Sultaan-e-‘Aalam
To Kaa’ba Pukaara Salaamun Alaikum
Do Aalam Ka Aaqa O Maula Bana Kar
Tumheñ Haq Ne Bheja Salaamun Alaikum
Ye Aawaaz Har Samt Se Aa Rahi Hai
Shah-e-Deen-o-Dunya Salaamun Alaikum
Taman’na Hai Apni Madine Pahunch Kar
Kahuñ Pesh-e-Rauza Salaamun Alaikum
Dua Hai Ke Jab Waqt Ho Jaañ-Kanee Ka
Ho Lab Par Wazifa Salaamun Alaikum
JAMEEL Apne Aaqa Shafi’-ul-Umam Par
Par’he Jaa Hamesha Salaamun Alaikum
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...8,403 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...2,543 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,566 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,537 views