Sarey Aalam Pe Wo Ehsaan Kiye Baithe Hain Lyrics

Sarey Aalam Pe Wo Ehsaan Kiye Baithe Hain Naat Lyrics

सारे आलम पे वो एहसान किए बैठे हैं

हिन्दी के लिए नीचे स्क्राल करें

Sarey Aalam Pe Wo Ehsaan Kiye Baithe Hain

Jo Hain Muflis Unhen Sultan Kiye Baithe Hain

Naam Lete Hain Farishte Bhi Adab Se Unka

Kaam Wo Hazrat-E-Hassan Kiye Baithe Hain

 

Mojza Dekh Ke Bu-Jahal Ne Ghabra Ke Kaha

Ye To Patthar (KanKar) Ko Musalman Kiye Baithe

Aap Par Hazrat-E-Ayyub, Main Sadqe Jaun

Aap To Aaqa Ko Mehman Kiye Baithe Hain

 

Hazrat-E-Khwaja Moin Ko Mere Aaqa Mola

Poore Bharat Ka Nigehban Kiye Baithe Hain

Jab Dar-E-Khwaja Pe Haazir Hua Jogi Jai-Paal

To Usko Bhi Sahib E Iman Kiye Baithe Hain

 

Anasagar Ko Katore Me Bula Kar Khwaja

Prithivi Raaj Ko Hairan Kiye Baithe Hain

Mashwara Mere Yehi Hai Wo Kichhouchha Jayen

Jinko Jinnat Pareshan Kiye Baithe Hain

 

Saikadon Mufti Nahin Kar Sake Milkar Ab Tak

Jo Bareli Ke Raza Khan Kiye Baithe Hain

Sulhe-Kulli Se Nahin Rakkhen Sunni

Fakhr E Azhar Yehi Ailaan Kiye Baithe Hain

 

Qabr Ki Mitti Unhe Khaa Nahin Sakti Gouhar

Dil Me Mahfooz Jo Quraan Kiye Baithe Hain

 

Naat Khwan: Muhammad Ali Faizi

सारे आलम पे वो एहसान किए बैठे हैं

जो हैं मुफ़लिस उन्हें सुल्तान किए बैठे हैं

नाम लेते हैं फ़रिश्ते भी अदब से उनका

काम वो हज़रत-ए-हस्सान किए बैठे हैं

 

मोजज़ा देखकर बू-जहल ने घबरा के कहा

ये तो पत्थर को मुसलमान किए बैठे हैं

आप पर हज़रत-ए-अय्यूब मैं सदक़े जाऊं

आप तो आक़ा को मेहमान किए बैठे हैं

 

हज़रत-ए-ख्वाजा मोइन को मेरे आक़ा मौला

पूरे भारत का निगेहबान किए बैठे हैं

जब दरे ख्वाजा पे हाज़िर हुआ जोगी जयपाल

तो उसको भी साहिबे ईमान किए बैठे हैं

 

अनासागर को कटोरे में बुलाकर ख्वाजा

पृथ्वीराज को हैरान किए बैठे हैं

मशवरा मेरा यही है वो किचौछा जाएं

जिनको जिन्नात परेशान किए बैठे हैं

 

सैकड़ों मुफ़्ती नहीं कर सके मिलकर अब तक

जो बरेली के रज़ा खान किए बैठे हैं

सुलहे-कुल्ली से नहीं रक्खें सुन्नी

फ़ख़रे अज़हर यही ऐलान किए बैठे हैं

 

क़ब्र की मिट्टी उन्हें खा नहीं सकती गौहर

दिल में महफ़ूज़ जो क़ुरआन किये बैठे हैं

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,685 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...880 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...570 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...512 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...454 views

Leave a Comment