SALLAY ALA PUKARO SARKAR ARAHE HAIN NAAT LYRICS

SALLAY ALA PUKARO SARKAR ARAHE HAIN NAAT LYRICS

 

Alla Humma Salli Ala Sayyidina Muhammadin
Sallay Ala Pukaro Sarkar (S.A.W) Arahe Hain
Utho Aye Bay Saharo Sarkar (S.A.W) Arahe Hain
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Maulood Ki Ghadi Hai Chalo Aamina (R.A.) Ke Ghar par
Aye Khuld ki Bharo Sarkar (S.A.W) Arahe Hain
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Jo Mangna Hai Mango jo lena hain so lay lo
Duniya Ke tajdaro Sarkar (S.A.W) Arahe Hain
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Purnoor hai Zamana Subhe Shabe Wiladat
Parda Utha hai kiska Subhe Shabe Wiladat
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Pyaare Rabbi ul Awwal Teri Jhalak ke Sadqay
Chamka Diya Naseeban Subhe Shabe wiladat
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Aaii na’ee hukoomat sikka naya chalay ga
Aalam Ne rang badla subhe shabe wiladat
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Nisar Teri Chehal Pehal par hazaroun eidain qurban Rabbi Ul Awwal
Siwae iblees ke jahan mein sabhi to khushiyan mana rahe hain
Allhumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Zamane Bhar ka yeh qa’ida hai ke jiska khana usi ka gana
to neimatain jin ki kharahe hain Unhi (S.A.W) ke geet hum garahe hain
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Marhaban Marhaban Jaddal Hussaini (S.A.W) Marhaban
Marhaban Marhaban Ya Nooral Ayni (S.A.W) Marhaban
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Ya Habeebi (S.A.W) Ya Muhammad (S.A.W) Ya Aroosal Qafiqayn (S.A.W)
Ya Mu’ayyad (S.A.W) Ya Mumajjad (S.A.W) Ya Imamal Qiblatayn (S.A.W)
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Mumino Waqt e Adab Hai Amad e Mehboob-e-Rab (S.A.W) Hai
Jai Adaabo Tarab hai Amad e Shah-e-Arab (S.A.W) Hai
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Aamina Bibi (R.A.) Ka Jaya Barween Tareeq Aya
Subhe Sadiq ne sunaya Salawa Tullah Alayk
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Aamina Bibi (R.A.) Ke Gulshan Mein A’ee hai Taza Bahar
Padhte Hain Salla Alayk a Wa Sallam Aaj Daro Deewar
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Kaabay Ke Badrud Duja Tum (S.A.W) Pe Karodoun Durood
Taiba Ke Shamsud Duha Tum (S.A.W) Pe Karodoun Durood
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Subha Taiba Mein Hui Bat ta hai bada Noor Ka
Sadqa lay ne Noor Ka Aya Hai Taara Noor Ka
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Na Kyun Ara’ishain Karta Khuda duniya ke saaman mein
Tumhe (S.A.W) Dulha Bana kar Bhejna tha Bazme Imkaan mein
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Saray Padho Durood Aaj Sarkaar (S.A.W) Agaye
Duniya te do Jahanan De Muqtar Agaye
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Ya RasoolAllah (S.A.W) ke Naare Se Hum Ko Pyaar Hai
Hum Ne yeh Naara lagay apna bida paar hai
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin

Leave a Comment