SABSE AULA WO AALA HAMARA NABI NAAT LYRICS | Barkate Raza

SABSE AULA WO AALA HAMARA NABI NAAT LYRICS

 

 

Sabse Aula Wo A’ala Hamara Nabi (saw)
Sabse Baala Wo Waala Hamara Nabi (saw)

Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi (saw)
Dono A’alam Ka Dulha Hamara Nabi (saw)

Bazme Aakhir Ka Shamae Faraouza Hua
Noor-E-Awwal Ka Jalwah Hamara Nabi (saw)

Bujh Gayi Jiske Aage Sabhi Mashaley
Shama’a Woh Le Kar Aaya Hamara Nabi (saw)

Jiske Talwon Ka Dhovan Hai Aabe Hayaat
Hain Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi(saw)

Khalq Se Auliyah, Auliyah Se Rasool,
Aur Rasoolon Se A’ala Hamara Nabi (saw)

Husn Khaata Hain Jinke Namak Ki Qasam
Woh Maleehe Dilaara Hamara Hamara Nabi (saw)

Zikr Sab Pheeke Jab Tak Na Mazkur Ho
Namakeen Husn Waala Hamara Nabi(saw)

Jiski Do Boond Hain Kausaer O Salsabeel
Hain Wo Rehmat Ka Dariya Hamara Nabi(saw)

 

Jaise Sab Ka Khuda Aik Hai Waise Hi,
Inka Unka Tumhara Hamara Nabi (saw)

Karno Badli Rasoolo Ki Hoti Rahi
Chaand Badli Ka Nikla Hamara Nabi (saw)

Kaun Deeta Hain Dene Ko Muh Chahiye
Deene Waala Hai Sachha Hamara Nabi (saw)

Saare Achhon Me Achha Samajhiye Jise,
Hain Us Achhe Se Achha Hamara Nabi (saw)

Kya Khabar Kitne Taare Khile Chup Gaye
Par Na Doobe Na Dooba Hamara Nabi (saw)

Mulke Qaunain Mein Ambiya Taajdaar
Taajdaro Ka Aaqa Hamara Nabi (saw)

La Makaa Tak Ujalaj Hai Jisko Wo Hain
Har Makaa Ka Ujala Hamara Nabi (saw)

Saare Uncho Mein Uncha Samajhiye Jise
Hai Uss Unche Se uncha Hamara Nabi (saw)

Sab Chamak Waale Ujhlo Me Chamka Kiye
Andhe Sheesho Mein Chamka Hamara Nabi (saw)

Gamzado Ko Raza Mushda-Di-Je Ke Hain
Be-Kasoon Ka Sahara Hamara Nabi(saw)

 

SABSE AULA WO AALA HAMARA NABI NAAT LYRICS
SABSE AULA WO AALA HAMARA NABI NAAT LYRICS

 

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...3,681 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,079 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...951 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...733 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...719 views

Leave a Comment