Saba Madine Me Mustafa Se Hum Bekason Ka Salam Kehna Lyrics

Saba Madine Me Mustafa Se Hum Bekason Ka Salam Kehna
Saba Madine Me Mustafa Se, Hum Bekason Ka Salam Kehna,

Nahi Hai Koi Bajuz Tumhare, Hamara Itna Payam Kehna

Main Papiyada Hun Ya Muhammad, Sambhaal Lijiye Sambhaal Lijiye,

Siwa Tumhare Kise Pukare, Tumhara Adna Ghulam Kehna

Nisar Tere, Fida Main Tujh Par, Main Tere Sadqe, Main Tere Qurban,

Guzar Rahi Hai Jo Kuch Bhi Haalat, Saba Nabi Se Tamam Kehna

Jagah Madine Me Wo Ata Ho, Tumhare Raoze Ka Samna Ho,

Wahin Pe Rehne Ki Aarzoo Hai, Wahin Ka Mujhko Ghulam Kehna

Na Jee Rahe Hain, Na Mar Rahe Hain, Tadap Rahe Hain, Bilak Rahe Hain,

Nahin Hai Murda, Hain Phir Bhi Zinda, Tumhara Lekar Ye Naam Kehna

Saba Madine Me Mustafa Se, Hum Bekason Ka Salam Kehna,

Nahi Hai Koi Siwa Tumhare, Hamara Itna Payam Kehna

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,704 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...884 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...572 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...512 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...454 views

Leave a Comment