qul-yaa-ali-lyrics

LYRICS

HAIDER HAIDER HAIDER…

Nam e Haider k siwa ghair pe khulti hi nhe
Dil ki deewar bhi deewar e haram jesi hai

Ali imam e man ast o manam ghulam e Ali
Hazar jan e girami fida ba naam e Ali

Qul Ya Ali Qul Ya Ali Qul Ya Ali

Kehta hai Khuda kehty hein nabi
Har qul ki sada jumla hai yahi

Qul Yaa Ali

Mola k fazail ki koi had he nhe hai
Aisa abul zameen hai jo arsh e baree’n hai
Qibla bhi ye aisa hai jo kaaby ka makee’n hai
Har jaa hai jo mojood wo mojood yahi’n hai
Quran mai raqam
Ayaat e karam
Kehti hai manam
Tash’heer e wali

Qul Ya Ali

Sadiyo’n k intezaar ka aisa sila dia
Dono jaha’n ka sar meri janib jhuka dia
13 rajab ko bola Ali se khuda ka ghar
Qibla mujhe to ap ne kaaba bana dia

Har lafz mai har kun ki ibadat bhi Ali hai
Har dor mai naafiz wo shariyat bhi Ali hai
Hakim mere Allah ki hikmat bhi ali hai
Kaabe ky tabassum ki wazahat bhi ali hai
Behlol numa
Har barg o shajar
Wash shams o qamar
Kehty hein sabhi

Qul Ya Ali

Honto’n pe risalat ky imamat ka qaseeda
Balligh mere maula ki wakalat ka qaseeda
Hai dast e nabi mai ye hidayat ka qaseeda
Yani hein yadullah wilayat ka qaseeda
Ab waah kro
Ya aah bharo
Kehna hai magar
Foran ye abhi

Qul Ya Ali

Sidra pe Muhammad ki nigaho’n ka nazara
Dooby huy sooraj ne palat kr ye pukara
Hai naam e Ali chand k chehre pe sitara
Meesam ki mawaddat ka sar e daar hai nara
Socho to sahi
Dekho to sahi
Har aik wali
Kehta hai yahi

Qul Ya Ali

Jo hai azal abad pe wo ehsaan Ali hai
Har doar mai har zaat pe rehman Ali hai
Boly jo salooni wahi quraan Ali hai
Sad shukr ay ilahi mera sltan Ali hai
Rab ki hai sanad
Haider ki madad
Hasil hai jisy
Kehta hai wahi

Qul Ya Ali

Bachna ho agar tum ko shayateen k shar se
Lebanon o Palestine mai Kashmir mai dar se
Be khof agar Shaam mai rehna hai khatar se
Tum door na rehna kabhi Haider ke nagar se
Rakh kr ye hadaf
Chal shehr e najaf
Qadmo’n ko barha
Kr wird abhi

Qul Ya Ali

Tu kon se chakkar mai magan hai mere bhai
Maqsood e Khuda sirf wilayat ki gawahi
Kia khud ko kabhi baat ye ik yaad dilai
Matloob e wila (teenso tera) 313 hein sipahi
Is mai hai bhala
Is ko na bhula
Yasir ye sada
Ahmed se suni

Qul Ya Ali

Leave a Comment