Qalb E Aashiq Huva Para Para

Qalb-e-aashiq hain ab para para
Alwada alwada mahe ramzan

Tere aane se dil khush huwa tha
Aur zauq-e-ibadat badha tha
Aahh ab dil pe hain ghum ka galba
Alwada alwada mahe-e-ramazan

Naikiyan kuch na hum kar sakain hain
Aah issiya he main din katain hain
Haaye gaflat main tujh ko guzara
Alwada alwada mah-e-ramzan

Koi husn-e-amal na kar sakaa hoo
Chand ansoo nazar kar raha hoo
Yehi hai mera kul asasa
Alwada alwada mah-e-ramzan

Jub guzar jayenge mah gyarah
Teri aamad ka phir shoor hoga
Kiya meri zindagi ka bharosa
Alwada alwada mah-e-ramzan

Bazm Iftar sajti thi kaisi
Khoob sehri ki ronak bhi hotee
Sub sama ho gaya suna suna
Alwada alwada mah-e-ramzan

Yaad ramzan ki tadpa rahi hai
Aansoo ki jadi lag gayee hain
Keh raha hai har aik qatra
Alwada alwada mah-e-ramzan

Tere diwane sub ke sub ro rahe hain
Muztarib sub ke sub ho rahe hain
Kaun dega inhe ab dilasa
Alwada alwada mahe ramzan

Sag-e-ATTAR, badkar, qahil
Rah gaya yeh ibadat se ghafil
Is se khush hoke hona rawana
Hum sub se khush hoke hona rawana Alwada alwada mahe ramzan

Aae musalman tho zinda rahoge
Is mahiney ko phir dekh looge
Kiya teri zindagi ka bharosa
Alwada alwada mah-e-ramzan]

Waasta tujh ko meethey nabi ka
Hashr mai hum ko mat bhool jana
Roz-e-mehshar humain bakhshwana
Alwada alwada mah-e-ramazan

Tum pe lakhoo salam mah-e-ramzan
Tum pe lakhoo salam mah-e-ghufran
Jaa o hafiz khuda ab tumhara
Alwada alwada mah-e-ramazan

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...255 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...144 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...111 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...107 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...101 views

Leave a Comment