Qadam Qadam Pe Khuda Ki Madad Naat Lyrics

Qadam Qadam Pe Khuda Ki Madad Naat Lyrics

 

 

Qadam Qadam pe Khuda ki Madad Pahunchti hai Lyrics

Qadam Qadam pe Khuda ki Madad Pahunchti hai
Durood se Mere Dil ko Rasad Pahunchti hai

Ye Aasman bhi Wahan tak nahin pahunch sakta
Jahan tak Aapke Qadmon ki Hadd pahunchti hai

Durood se Mere Dil ko Rasad Pahunchti hai

Sar Apna Paa-e-Risalat Ma’aab pe rakh dun
To Aasman pe Bulandi-e-Qad pahunchti hai

Durood se Mere Dil ko Rasad Pahunchti hai

Juluse Ishke Nabi ka ho Jis Taraf se guzar
Mere Junu’n ko bhi le kar khirad pahunchti hai

Durood se Mere Dil ko Rasad Pahunchti hai

Durood ka diya jata hai Jab Sawab Mujhe
Bahisht tak Meri Do Gaz Lahad Pahunchti hai

Durood se Mere Dil ko Rasad Pahunchti hai

Salam o Naat Muzaffar Yahan Mein Padhta hun
Kubuliyat ki Haram se Sanad Pahunchti hai

Durood se Mere Dil ko Rasad Pahunchti hai

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,989 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,663 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,347 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,246 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,146 views

Leave a Comment