Naare dozakh ko chaman kar de bahare aariz Naat Lyrics

Naare dozakh ko chaman kar de bahare aariz Naat Lyrics

 

Naare dozakh ko chaman kar de bahare aariz
Zulmate hashr ko din kar de nahare aariz

Main toh kya cheez hu khud sahibe Quran ko shaha
Laakh mushaf se pasand aayi bahare aariz

Jaise Quran hai wird uss Gul e Mehboobi ka
Yunhi Quran ka wazifa hai waqare aariz

Garche Quran hai na Quran ki barabar lekin
Kuch toh hai jispe hai woh madha nigaare aariz

Toor kya arsh jale dekh ke woh jalwaye garm
Aap aariz ho magar aainaye daare aariz

Turfa aalam hai woh Quran idhar dekhe udhar
Mushafe paak ho hairane bahare aariz

Tarjama hai ye sifat ka woh khud aainaye zaat
Kyun na mushaf se zyada ho waqare aariz

Jalwa farmaye rukhe dil ki siyahi mit jaye
Subha ho jaaye ilahi shabe taare aariz

Naame haq par kare mehboob Dil o Jaan qurbaan
Haq kare arsh se ta farsh nisaare aariz

Mushk bu zulf se rukh chehre se baalon me shu-aa’
Mojiza hai halabe zulfon tataare aariz

Haq ne bakhsha hai karam nazre gadayan ho qabool
Pyaare ek dil hai woh karte hai nisaare aariz

Aah be mayagiye dil ki Raza e Mohtaj
Le kar ek jaan chala bahre nisaare aariz

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,727 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...884 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...577 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...512 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...454 views

Leave a Comment