Na Kahin Se Door Hein Manzilen Naat Lyrics

Na Kahin Se Door Hein Manzilen Naat Lyrics

 

Na Kahin Se Door Hein Manzilen, Na Koi Qarib Ki Baat He
Jisse Chahe Usko Nawaaz De, Ye Dare Habib Ki Baat He

Jisse Chaha Darpe Bula Liya, Jisse Chaha Apna Bana Liya
Ye Bare Karam Ke He Faisle, Ye Bare Naseeb Ki Baat He

Na Kahin Se Door Hein Manzilen, Na Koi Qarib Ki Baat He
Jisse Chahe Usko Nawaaz De, Ye Dare Habib Ki Baat He

Woh Khuda Nahin Ba Khuda Nahin, Woh Magar Khuda Se Juda Nahin
Woh Hein Kya Magar Woh He Kya Nahin, Ye Muhib Habib Ki Baat He

Na Kahin Se Door Hein Manzilen, Na Koi Qarib Ki Baat He
Jisse Chahe Usko Nawaaz De, Ye Dare Habib Ki Baat He

Mein Buron Se Lakh Bura Sahi, Magar Unse He Mera Waasta
Meri Laaj Rakhle Mere Khuda, Ye Tere Habib Ki Baat He

Na Kahin Se Door Hein Manzilen, Na Koi Qarib Ki Baat He
Jisse Chahe Usko Nawaaz De, Ye Dare Habib Ki Baat He

Tujhe E Munawware Be Nava, Dare Shah Se Chahiye Aur Kya
Jo Naseeb Ho Kabhi Saamna, To Bare Nasib Ki Baat He

Na Kahin Se Door Hein Manzilen, Na Koi Qarib Ki Baat He
Jisse Chahe Usko Nawaaz De, Ye Dare Habib Ki Baat He

 

Na Kahin Se Door Hein Manzilen Naat Lyrics

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,061 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,925 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,917 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,546 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,013 views

Leave a Comment