Muskurane Lagi Har Taraf Raushani

Muskurane Lagi Har Taraf Raushani
मुस्कुराने लगी हर तरफ़ रौशनी
ज़ुल्मतों पे यक़ीनन ज़वाल आ गया
ये ज़मीं हो गई रश्क-ए-ख़ुल्द-ए-बरीं
जिस घड़ी आमिना बी का लाल आ गया

ये हक़ीक़त है काले थे वो रंग के
निस्बत-ए-मुस्तफ़ा की ‘अता देखिए
हुस्न वाले खड़े देखते रह गए
हश्र में जब नबी का बिलाल आ गया

प्यार क्या चीज़ है, प्यार होता है क्या
जान लोगे, पढ़ो सीरत-ए-मुस्तफ़ा
रात भर ग़म में रोते रहे मुस्तफ़ा
जिस घड़ी उम्मती का ख़याल आ गया

मुस्तफ़ा के नवासे का क्या पूछना
जिस ने कर्बल में सब कुछ निछावर किया
नन्हे असग़र ने भी जान क़ुर्बान की
दीन-ए-इस्लाम का जब सवाल आ गया

ना’त-ख़्वाँ:
अख़्तर काशिफ़

 

muskuraane lagi har taraf raushani
zulmato.n pe yaqeenan zawaal aa gaya
ye zamee.n ho gai rashk-e-KHuld-e-baree.n
jis gha.Di aamina bi ka laal aa gaya

ye haqeeqat hai kaale the wo rang ke
nisbat-e-mustafa ki ‘ata dekhiye
husn waale kha.De dekhte reh gae
hashr me.n jab nabi ka bilaal aa gaya

pyaar kya cheez hai, pyaar hota hai kya
jaan loge, pa.Dho seerat-e-mustafa
raat bhar Gam me.n rote rahe mustafa
jis gha.Di ummati ka KHayaal aa gaya

mustafa ke nawaase ka kya poochhna
jis ne karbal me.n sab kuchh nichhaawar kiya
nanhe asGar ne bhi jaan qurbaan ki
deen-e-islaam ka jab sawaal aa gaya

Naat-Khwaan:
Akhtar Kashif

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...353 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...242 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...223 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...184 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...166 views

Leave a Comment