Mujh Ko Ye Keh Ke Satate Hain Zamane Wale

मुझ को ये कह के सताते हैं ज़माने वाले / Mujh Ko Ye Keh Ke Satate Hain Zamane Wale
मुझ को ये कह के सताते हैं ज़माने वाले
कब बुलाएँगे तुझे सब को बुलाने वाले

रास्ता रोक न पाएँगे ज़माने वाले
जब मदीने में बुलाएँगे बुलाने वाले

जब चलूँ शहर-ए-मदीना से तो सरकार कहें
लौट आ जा, ओ मेरे शहर से जाने वाले

मुझ को इस बात का हर रात यक़ीं रहता है
आप हैं आज मेरे ख़्वाब में आने वाले

आप को देख के महशर में कहेंगे ‘आसी
आ गए हम को जहन्नम से बचाने वाले

काश ! महशर में ये कह कह के बुलाएँ आक़ा
आ इधर आ मेरे ना’लैन उठाने वाले

दीन की राह में घर-बार लुटा देते हैं
ऐसे होते हैं मुहम्मद के घराने वाले

अब कोई ख़ौफ़ नहीं मुझ को, ज़माने वालो !
मेरे ख़्वाजा हैं मेरी लाज बचाने वाले

हश्र तक फूले-फले मस्लक-ए-आ’ला-हज़रत
मिट गए ख़ुद ही ज़माने से मिटाने वाले

उन से कह दो कि वो आईने में चेहरा देखें
अपने जैसा मेरे आक़ा को बताने वाले

ना’त-ख़्वाँ:
अंबर मुशाहिदी
सैफ़ रज़ा कानपुरी

 

mujh ko ye keh ke sataate hai.n zamaane waale
kab bulaaenge tujhe sab ko bulaane waale

raasta rok na paaenge zamaane waale
jab madine me.n bulaaenge bulaane waale

jab chalu.n shehr-e-madina se to sarkaar kahe.n
lauT aa ja, o mere shehr se jaane waale

mujh ko is baat ka har raat yaqee.n rehta hai
aap hai.n aaj mere KHwaab me.n aane waale

aap ko dekh ke mehshar me.n kahenge ‘aasi
aa gae ham ko jahannam se bachaane waale

kaash ! mehshar me.n ye keh keh ke bulaae.n aaqa
aa idhar aa, mere naa’lain uThaane waale

deen ki raah me.n ghar-baar luTa dete hai.n
aise hote hai.n muhammad ke gharaane waale

ab koi KHauf nahi.n mujh ko, zamaane waalo !
mere KHwaja hai.n meri laaj bachaane waale

hashr tak phoole-phale maslak-e-aa’la-hazrat
miT gae KHud hi zamaane se miTaane waale

un se keh do ki wo aa.eene me.n chehra dekhe.n
apne jaisa mere aaqa ko bataane waale

Naat-Khwaan:
Ambar Mushahidi
Saif Raza Kanpuri

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,352 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...525 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment