Aankhon Ko Wo Pur Kaif Nazare Nahin Bhoole

आँखों को वो पुर-कैफ़ नज़ारे नहीं भूले / Aankhon Ko Wo Pur Kaif Nazare Nahin Bhoole
आँखों को वो पुर-कैफ़ नज़ारे नहीं भूले
वो दिन जो मदीने में गुज़ारे नहीं भूले

फिर कीजे करम, या नबी ! हसनैन का सदक़ा
शहर आप का ये दर्द के मारे नहीं भूले

बेचैन है, इक बार उठे फिर वही उँगली
महताब को आक़ा के इशारे नहीं भूले

गिर जाऊँ मैं जी चाहे मेरा फिर से भँवर में
आक़ा ने दिए थे जो सहारे नहीं भूले

इस्लाम के गुलशन को बचाया था जिन्हों ने
कर्बल को वो ज़हरा के दुलारे नहीं भूले

तयबा की हसीं रात में, फ़ारूक़ी ! हमारी
तक़दीर के चमके जो सितारे नहीं भूले

शायर:
सुहैल कलीम फ़ारूक़ी

ना’त-ख़्वाँ:
असद रज़ा अत्तारी
क़ारी शाहिद महमूद

 

aankho.n ko wo pur-kaif nazaare nahi.n bhoole
wo din jo madine me.n guzaare nahi.n bhoole

phir keeje karam, ya nabi ! hasnain ka sadqa
shehr aap ka ye dard ke maare nahi.n bhoole

bechain hai, ik baar uThe phir wahi ungli
mahtaab ko aaqa ke ishaare nahi.n bhoole

gir jaau.n mai.n jee chaahe mera phir se bhanwar me.n
aaqa ne diye the jo sahaare nahi.n bhoole

islaam ke gulshan ko bachaaya tha jinho.n ne
karbal ko wo zahra ke dulaare nahi.n bhoole

tayba ki hasee.n raat me.n, Faarooqi ! hamaari
taqdeer ke chamke jo sitaare nahi.n bhoole

Poet:
Sohail Kaleem Farooqi

Naat-Khwaan:
Asad Raza Attari
Qari Shahid Mehmood

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...293 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...162 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...143 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...139 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...130 views

Leave a Comment